Update : 2 (Khauf ki Raat)
Location : around 350 km from MediTown
Time : 10:00 PM
Dessert ya MediTown ka yeh Registan seher se karib 50 km dur tha….vese toh registan me ghumne ka maja alag rehta hai..khaskar jab hum picnic par jaay..lekin, meditown ke iss registan se koi nahi gujarta tha..gujarna toh dur..log iss jagah ka naam tak naa lete the, kyunki yeh registan kam banjaar zameen jyada lag rahi thi
Yeh registan ek esi banzar jameen hai jaha se ek parinda tak gujarna nahi chahta..aur toh aur yeh registan karib 700 km tak faila hua tha
Thand ke mausam me yeh registan aur bhi jyada darawana ho jaata hai…aaj ka din bhi kuch kuch aisa hi tha..thandi ka mausam hone ki vajah se pure registan me kohra jama hua tha..kohre ki chaddar itni jyada gahni thi ki asmaan me rahe chand ki roshni bhi zameen tak nahi pahuch paa rahi thi
Aur ese thandi ke mausam me raat ka waqt aur ghana sumsaam registan ka naam sunte hi kisi ke bhi rongte khade hi jaaye…aur jab ese registan me saayeeinnn saaayeeeeiiinnnnnn karti hui hawa bahut zoro se chal rahi ho toh kisi bhi aam insaan ki ruunh kaampne me der nahi lagti..aur sirf itna hi nahi, hawa ki ghati bhi dheere dheere apna asar dikhate hue badh rahi thi…jiske saath pura registan aur bhi jyada darawana lagne laga tha
Par kehte haina ki insaan ki kismat kuch nahi dekhti, agar aapki kismat me marna likha hai toh aap use kisi bhi haal me taal nahi sakte..thik isi tamah kuch logo ki kismat bhi esi hi thi, voh seher se dur..issi registan me aakar rehte the
MediTown se karib 350 km..issi vishaal registan me kuch hulchal si machi hui thi…kahi log uss ilake me idhar se udhar chakkar laga rahe the..aur fir turant hi voh log vaha se niche jammeen ke andar pahuch gaye
Khair zameen ke niche ke haalat bhi kuch jyada ache nahi the…vaha maujud logo ke chehre ko dekhkar saaf andaaza lagaya jaa sakta tha ki koi bahut hi badi baat ho gayi hai jinki unn sab ko ummid nahi thi..kuch aisa hua hai jiski kisine kalpana tak naa ki ho
Zameen ke niche yeh ek khufiya agency thi…aur uss agency me bana hua ek kamra jaha ek shaks kaam kar raha tha, dhyaan se dekhne par pata chalta tha ki uske charo aur kahi saari transparent images khuli hui thi..aur voh shaks unn tasweero ek ek karke bade hi dhyaan se dekh raha tha
Voh shaks unn tashweero me ho rahi gatividhiyo ko samajne ki koshish kar raha tha, lekin jab uske chehre ki aur dekhe toh saaf dikh raha tha ki jo voh dhund raha hai use voh mila nahi tha…aur yahi vajah rahi ki voh baar baar unn tasweero ko alag alag angle se dekhe jaa raha tha
Tabhi uss kamre me ek kadak aur khaufnaak awaaz gunj uthi
“any contact..??”
Yeh awaaz sunkar jo shaks kaam kar raha tha voh gehri saan lete hue kehta hai
“no sir, mai kaafi der se koshish kar raha hu, but no contact yet” Voh apne haatho ko jor se table par pachadta hai
Voh dusra aaya hua shaks vaise hi darawani awaaz me kehta hai
“kuch pata chala..?? any news..??”
Uss pehle vale shaks ki halat itni jyada kharab thi ki voh kya kahe kuch bhi samaj me nahi aa raha tha, apne chehre par aaye hue pasino ko pochte hue voh kehta hai
“negative sir..i am trying my best..but nothing"
Dusra shaks thoda narmi se kehta hai
“bennet, I know yeh task bahut hi tough hai..but you have to do this, you need to find out ki vaha par aakhir me kya hua tha”
Bennet “I know sir, isiliye maine apni puri taqat laga di hai..bas ek chota sa bhi clue mil jaaye toh hume pata chal sakta hai ki aakhir me vaha par hua kya tha”
Location : MediTown, Sam’s House
Sam ki halat dekhkar uski mom kaafi pareshan thi, unhe samaj nahi aa raha tha ki voh uss baat ka kese pata kare jisse sam itna jyada pareshan hai, kyunki voh yeh achche se janti thi ki agar sam ko koi baat pareshan kar rahi hai toh voh jaldi kisiko nahi batata, lekin iss baar haalat alag the..sam ko ghar laute hue ek hafte se jyada ho chuka hai..par iss ek hafte me sam ek bhi baar apne mom dad se baat nahi karo thi..itna hi nahi..sam apne kamre se bahar tak naa nikala tha..aur yahi baat thi jo sam ki mom ko sabse jyada pareshan kar rahi thi
Sam se iss baare me baat karne ke baare uski mom soch hi rahi thi ki usi waqt akshita sam ke ghar aajati hai..aur akshita ko dekhkar sam ki mom bahut hi jyada khus ho jaati hai..kyunki sam ke sabse jyada close akshita hi thi..aur voh yeh bbaat jaanti thi ki chahe kuch bhi ho jaaye..par akshita se milna taal nahi sakta
Akshita ki age bhi karib sam ke jitni hi thi, aksh aur sam ko dost bane abhi 1 saal hi hua tha, aur iss 1 saal me inn dono ki dosti itni jyada gehri ho gayi thi ki voh ek dusre ki baato ko bina kuch kahe hi samaj jaate the..agar koi bhi inn dono ko pehli baar dekhe toh yahi samjega ki yeh dono ek dusre ko bachpan se jaante hai
Lekin yeh sach nahi tha…bas voh dono itne kam samay me ekdusre ke bahut karob aagaye the..aur yeh baat kisi se chup nahi thi…isi vajah akshita ko dekhkar sam ki mom khush ho gayi thi..unhe laga ki shayad sam akshita se baat kare
Sam ki yeh halat ke baare me Akshita pehle se janti thi, aur voh sam ko iss halat me akela toh bilkul bhi nahi chodna chahti thi..lekin iss waqt haalat kuch ese thi ki akshita ko naa chahte hue bhi sam se dur jaana pada tha..aur jese hi akshita me apna kaam pura kiya voh sidhe sam ke pass chali aayi
Akshita ko dekhkar sam ki mom ne bola
“thanks akshita, thank you so much beta for coming, mai jaanti hu ki sam ki iss haalat ke baare me tuje pata hai, bas mai sam ko iss halat me nahi dekh sakti..muje samaj nahi aa raha tha ki mai kya karu..?? Sam ko aaye hue 1 hafta ho chuka hai…aur iss 1 hafte me usne apne aap ko apne kamre me band kar rakha hai..naa toh voh kisi se kuch bolta hai..aur naahi voh apne kamre se bahar aata hai, acha hua tu aagayi, shayad voh tujse kuch baat kare..??”
Akshita “aunty..aap fikar naa kare, mai sam se baat karne hi aayi hu..mai janti hu ki use kese manana hai” Aur voh sam ke kamre ki aur jaane lagi ki sam ki mom ne usse ek sawal kiya
Sam’s Mom
“akshita..kya tu muje bata sakti hai ki aakhir sam aisa behave kyu kar raha hai..?? Aisa toh kya hua hai uske saath jo usne khud ko apne kamre me band kar diya hai..??”
Akshita juth bolte hue
“nahi aunty, muje nahi pata ki sam aisa behave kyu kar raha hai..kahi dino se muje bhi sam ka behaviour thoda ajeeb laga…isiliye mai apna kaam khatam karke sidhe yaaha aagayi, aur aapki baato se lag raha hai ki mai sahi thi…muje pura yakeen hai ki sam mujse kuch toh chupa raha hai”
Sam’s mom “go..but please help him, aur pata kar ki sam aakhir hum sab se kya chupa raha hai..??”
Akshita haa mein apna sar hilati hai aur sam ke room me chali gayi, sam ke room me jaane ka password voh janti thi..isliye voh siddhe uske kamre me aa gayi aur kamre me jaate hi uski najar sam par gayi jo abhi bhi usi yaad me khoya hua tha
“muje pura yakeen tha ki tu abhi bhi usi hadse ko yaad kar raha hoga” usne sam ki projection image ko dekha jisme ek ladki uske aankho ke samne mari thi
Akshita ki awaaz sunkar Sam ne apni najar uski aur ghumayi
“dekh..agar tu iss baare baat karne aayi hai toh muje tujse koi baat nahi karni..you can go back”
Akshita “haa baba, mai janti hu ki tuje uss hadse ke baare me koi baat nahi karni, par kya teri dost hone ke naate mai tujse milne bhi nahi aa sakti..??”
Sam “hmm..dekh yaar yeh faltu ki baate naa kar, tu jaanti hai ki tu meri sabse achi dost hai..aur isiliye toh maine tuje yaaha bulaya hai”
Akshita kuch sochkar
“ek min, tune muje bulaya hai..?? matlab..??” voh sawaliya bhari najro se sam ki aur dekhti hai
Sam “aksh, muje galat nahi samajna par tera yeh dost bahut hi kayar aur darpok hai..aur isiliye maine yeh decide kiya hai, I will QUIT”
Akshita “QUIT..?? matlab..?? mai kuch samji nahi”
Sam “mai yeh team chod raha hu, I am going to resign”
Akshita chaunkte hue
“whaaatt..?? aaa..rrrr…eeeeee you mmm…aaa…adddddddd..?? yeh tu kya keh raha hai, you are our leader man”
Sam “I am not aksh, mai leader rehne ke kaabil nahi hu, ab tuje yeh ladayi mere begair ladni hai, and I know that..you can do it..you can lead the team in better way..the way I couldn’t”
Akshita “listen sam, ab dekh bahut bakwaas kar li tune, sidhe se chal mere saath” Aur usne sam ka haath pakad liya
Lekin sam ne uska haath pyaar se hataya aur thoda dur jaate hue
“ek aur baat, ho sake toh mujse dur rehna, shayad mai teri dosti ke layak bhi nahi raha” aur voh khidki se bahar asmaan me dekhne laga
Sam ki yeh baat sunte hi akshita ko ek bada sa jatka laga…uski aankhe nam hone lagi…sach toh yeh tha ki akshita ko sam ki yeh baat kisi kaante ki tarah chubi thi…voh kuch bhi bardasht kar sakti thi..lekin sam se duri usse hargiz bardast nahi thi
“tune aisa soch bhi kese liya ki..” voh aage nahi bol paayi, ruansi aawaaz me kehti hai
“sam..mai nahi janti ki tu aisa kyu kar raha hai, par mai tuje yeh nahi karne dungi, mai tuje apne se dur nahi jaane dungi, agar tuje mujse dur hi jaana tha toh fir kyu itna kareeb aaya, kyu voh ehsaas jagaya jo mai bachpan me hi kho chuki thi, kyu itna pyaar kiya mujse..kyu sam kyu..??”
Sam ki aankhe bhi halki nam ho chuki thi, voh mudkar akshita ke pass aaya aur uski aankho se aansuo ko pochte hue kehta hai
“aksh, mai dar gaya hu..mai iss ladayi me ab tera saath nahi de sakta..muje yeh dar hai ki agar uss ladki ki jagah tu hoti toh kya hota..?? nahi aksh..mai tuje kuch nahi hone de sakta..aur mai itna kaabil nahi hu ki mai tuje bacha saku..so please Aksh, if possible, please mujse dur rehna”
Akshita “sam, agar yahi baat hai aur tu uss ladki ki maut ki vajah se yeh sab kar raha hai toh” voh thoda rukkar kahti hai
“thik hai, mai bhi yeh team chod rahi hu, muje uss team ka hissa nahi rehna jisme tu nahi hai”
Sam “Akshita please..try to understand, mai ab vaha vapis nahi jaa sakta...aur team ko teri jarurat hai..and I have already appointed you as a TEAM LEADER”
Akshita “sam, vahi toh mai bhi tujse keh rahi hu, team ko teri jarurat hai..team ko ek aise leader ki jarurat hai jo on the spot tough calls le sake..aur yeh kaam tujse better hamari team me aur koi nahi kar sakta..mai bhi nahi”
Sam “enough is enough, mai already resign de chuka hu, aur tuje yahi behas karni hai toh you may go now” apne haath se gate ki aur ishara kiya aur fir voh akshita se thoda dur chala gaya
Yeh baat jitni jyada Akshita ko chubi thi..usse kahi jyada takleef Sam ko hui thi..sirf vohi janta tha ki uspar yeh baate kehte waqt kya gujari thi, lekin yeh sirf uski galat femi thi..kyunki Sam ki halat ko akshita uske khud se bhi jyada ache se jaanti thi, aur isiliye usne akhri baar Sam ko manane ki koshish karte hue kaha
“sam, tu bahut badi galti kar raha hai, hum already bahut si team kho chuke hai, aur iss waqt tera resign karna..it’s not good sam”
Sam ne vahi dur se jawaab dete hue kaha
“agar mai resign nahi karta hu toh casualties aur badhegi”
Akshita “sam..koi bhi ladayi bina casualties ke nahi jeeti jaa sakti”
Sam “haa, mai janta hu, lekin mai itna kaabil nahi hu ki mai kisi team ko lead kar saku..aur uss hadse ke baad toh bilkul bhi nahi”
Akshita “sam, maine tuje bahut baar kaha, ek aur baar keh rahi hu, uss ladki ki maut teri vajah se nahi hui”
Sam akshita ki aur mudkar uski aankho me dekhte hue kehta hai
“haa, mai janta hu ki uss ladki ki maut meri vajah se nahi hui hai, lekin mai use bacha sakta tha, lekin mai khudgarj ho gaya tha, aur jo sirf apne baare me soche uska iss tarah ki ladayi me rehna thik nahi hai”
Akshita “sam, har chiz hamare haath me nahi hoti, kuch faisle hume aise bhi lene padte hai..jo hum kabhi nahi chahte, aur voh sirf ek chota sa hadsa tha, aur kuch nahi”
Sam “agar uss ladki ki jagah tu hoti toh..?? kya tu tab bhi yahi kehti..??”
Sam ke iss sawal ka jawab akshita ne bahut hi pyaar se uski aankho me dekhte hue diya
“haa sam, mai tab bhi yahi kahti, kyunki muje tere par pura bharosa hai”
Location : Somewhere
“Delta to Alpha..Delta to Alpha”
“alpha to delta, over”
Hanfte hue
“sir, muje samaj nahi aa raha yeh kya ho raha hai” aur uski ek dardnak cheekh vaha par gunj uthi
“alpha to delta..alpha to delta, vaha ki condition batao, common delta”
Tabhi uske pass me rahe ek shaks ne kaha
“sir, connection is lost”
Voh jor se gurraya
“damm it, I want to know, vaha par chal kya raha hai”
“sir, I think delta team is down, hamara connection kaafi der pehle hi tut gaya tha, aur mai tabse connection banane ki koshish kar raha hu..and yeh bas ek broadcast tha..aur shayad yeh aakhri tha”
“what do you mean ki yeh akhri baar tha”
To be continued..