• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

King Aryan

Active Member
1,807
1,833
143
Awesome Fantastic Update
 
  • Like
Reactions: Milan2010

Guffy

Well-Known Member
2,065
2,173
159
Update : 2 (Khauf ki Raat)

Location : around 350 km from MediTown
Time : 10:00 PM


Dessert ya MediTown ka yeh Registan seher se karib 50 km dur tha….vese toh registan me ghumne ka maja alag rehta hai..khaskar jab hum picnic par jaay..lekin, meditown ke iss registan se koi nahi gujarta tha..gujarna toh dur..log iss jagah ka naam tak naa lete the, kyunki yeh registan kam banjaar zameen jyada lag rahi thi

Yeh registan ek esi banzar jameen hai jaha se ek parinda tak gujarna nahi chahta..aur toh aur yeh registan karib 700 km tak faila hua tha
Thand ke mausam me yeh registan aur bhi jyada darawana ho jaata hai…aaj ka din bhi kuch kuch aisa hi tha..thandi ka mausam hone ki vajah se pure registan me kohra jama hua tha..kohre ki chaddar itni jyada gahni thi ki asmaan me rahe chand ki roshni bhi zameen tak nahi pahuch paa rahi thi

Aur ese thandi ke mausam me raat ka waqt aur ghana sumsaam registan ka naam sunte hi kisi ke bhi rongte khade hi jaaye…aur jab ese registan me saayeeinnn saaayeeeeiiinnnnnn karti hui hawa bahut zoro se chal rahi ho toh kisi bhi aam insaan ki ruunh kaampne me der nahi lagti..aur sirf itna hi nahi, hawa ki ghati bhi dheere dheere apna asar dikhate hue badh rahi thi…jiske saath pura registan aur bhi jyada darawana lagne laga tha

Par kehte haina ki insaan ki kismat kuch nahi dekhti, agar aapki kismat me marna likha hai toh aap use kisi bhi haal me taal nahi sakte..thik isi tamah kuch logo ki kismat bhi esi hi thi, voh seher se dur..issi registan me aakar rehte the

MediTown se karib 350 km..issi vishaal registan me kuch hulchal si machi hui thi…kahi log uss ilake me idhar se udhar chakkar laga rahe the..aur fir turant hi voh log vaha se niche jammeen ke andar pahuch gaye
Khair zameen ke niche ke haalat bhi kuch jyada ache nahi the…vaha maujud logo ke chehre ko dekhkar saaf andaaza lagaya jaa sakta tha ki koi bahut hi badi baat ho gayi hai jinki unn sab ko ummid nahi thi..kuch aisa hua hai jiski kisine kalpana tak naa ki ho

Zameen ke niche yeh ek khufiya agency thi…aur uss agency me bana hua ek kamra jaha ek shaks kaam kar raha tha, dhyaan se dekhne par pata chalta tha ki uske charo aur kahi saari transparent images khuli hui thi..aur voh shaks unn tasweero ek ek karke bade hi dhyaan se dekh raha tha
Voh shaks unn tashweero me ho rahi gatividhiyo ko samajne ki koshish kar raha tha, lekin jab uske chehre ki aur dekhe toh saaf dikh raha tha ki jo voh dhund raha hai use voh mila nahi tha…aur yahi vajah rahi ki voh baar baar unn tasweero ko alag alag angle se dekhe jaa raha tha

Tabhi uss kamre me ek kadak aur khaufnaak awaaz gunj uthi “any contact..??”

Yeh awaaz sunkar jo shaks kaam kar raha tha voh gehri saan lete hue kehta hai “no sir, mai kaafi der se koshish kar raha hu, but no contact yet” Voh apne haatho ko jor se table par pachadta hai

Voh dusra aaya hua shaks vaise hi darawani awaaz me kehta hai “kuch pata chala..?? any news..??”

Uss pehle vale shaks ki halat itni jyada kharab thi ki voh kya kahe kuch bhi samaj me nahi aa raha tha, apne chehre par aaye hue pasino ko pochte hue voh kehta hai “negative sir..i am trying my best..but nothing"

Dusra shaks thoda narmi se kehta hai “bennet, I know yeh task bahut hi tough hai..but you have to do this, you need to find out ki vaha par aakhir me kya hua tha”

Bennet “I know sir, isiliye maine apni puri taqat laga di hai..bas ek chota sa bhi clue mil jaaye toh hume pata chal sakta hai ki aakhir me vaha par hua kya tha”


Location : MediTown, Sam’s House
Sam ki halat dekhkar uski mom kaafi pareshan thi, unhe samaj nahi aa raha tha ki voh uss baat ka kese pata kare jisse sam itna jyada pareshan hai, kyunki voh yeh achche se janti thi ki agar sam ko koi baat pareshan kar rahi hai toh voh jaldi kisiko nahi batata, lekin iss baar haalat alag the..sam ko ghar laute hue ek hafte se jyada ho chuka hai..par iss ek hafte me sam ek bhi baar apne mom dad se baat nahi karo thi..itna hi nahi..sam apne kamre se bahar tak naa nikala tha..aur yahi baat thi jo sam ki mom ko sabse jyada pareshan kar rahi thi

Sam se iss baare me baat karne ke baare uski mom soch hi rahi thi ki usi waqt akshita sam ke ghar aajati hai..aur akshita ko dekhkar sam ki mom bahut hi jyada khus ho jaati hai..kyunki sam ke sabse jyada close akshita hi thi..aur voh yeh bbaat jaanti thi ki chahe kuch bhi ho jaaye..par akshita se milna taal nahi sakta

Akshita ki age bhi karib sam ke jitni hi thi, aksh aur sam ko dost bane abhi 1 saal hi hua tha, aur iss 1 saal me inn dono ki dosti itni jyada gehri ho gayi thi ki voh ek dusre ki baato ko bina kuch kahe hi samaj jaate the..agar koi bhi inn dono ko pehli baar dekhe toh yahi samjega ki yeh dono ek dusre ko bachpan se jaante hai

Lekin yeh sach nahi tha…bas voh dono itne kam samay me ekdusre ke bahut karob aagaye the..aur yeh baat kisi se chup nahi thi…isi vajah akshita ko dekhkar sam ki mom khush ho gayi thi..unhe laga ki shayad sam akshita se baat kare

Sam ki yeh halat ke baare me Akshita pehle se janti thi, aur voh sam ko iss halat me akela toh bilkul bhi nahi chodna chahti thi..lekin iss waqt haalat kuch ese thi ki akshita ko naa chahte hue bhi sam se dur jaana pada tha..aur jese hi akshita me apna kaam pura kiya voh sidhe sam ke pass chali aayi

Akshita ko dekhkar sam ki mom ne bola “thanks akshita, thank you so much beta for coming, mai jaanti hu ki sam ki iss haalat ke baare me tuje pata hai, bas mai sam ko iss halat me nahi dekh sakti..muje samaj nahi aa raha tha ki mai kya karu..?? Sam ko aaye hue 1 hafta ho chuka hai…aur iss 1 hafte me usne apne aap ko apne kamre me band kar rakha hai..naa toh voh kisi se kuch bolta hai..aur naahi voh apne kamre se bahar aata hai, acha hua tu aagayi, shayad voh tujse kuch baat kare..??”

Akshita “aunty..aap fikar naa kare, mai sam se baat karne hi aayi hu..mai janti hu ki use kese manana hai”
Aur voh sam ke kamre ki aur jaane lagi ki sam ki mom ne usse ek sawal kiya

Sam’s Mom “akshita..kya tu muje bata sakti hai ki aakhir sam aisa behave kyu kar raha hai..?? Aisa toh kya hua hai uske saath jo usne khud ko apne kamre me band kar diya hai..??”

Akshita juth bolte hue “nahi aunty, muje nahi pata ki sam aisa behave kyu kar raha hai..kahi dino se muje bhi sam ka behaviour thoda ajeeb laga…isiliye mai apna kaam khatam karke sidhe yaaha aagayi, aur aapki baato se lag raha hai ki mai sahi thi…muje pura yakeen hai ki sam mujse kuch toh chupa raha hai”

Sam’s mom “go..but please help him, aur pata kar ki sam aakhir hum sab se kya chupa raha hai..??”

Akshita haa mein apna sar hilati hai aur sam ke room me chali gayi, sam ke room me jaane ka password voh janti thi..isliye voh siddhe uske kamre me aa gayi aur kamre me jaate hi uski najar sam par gayi jo abhi bhi usi yaad me khoya hua tha

“muje pura yakeen tha ki tu abhi bhi usi hadse ko yaad kar raha hoga” usne sam ki projection image ko dekha jisme ek ladki uske aankho ke samne mari thi

Akshita ki awaaz sunkar Sam ne apni najar uski aur ghumayi “dekh..agar tu iss baare baat karne aayi hai toh muje tujse koi baat nahi karni..you can go back”

Akshita “haa baba, mai janti hu ki tuje uss hadse ke baare me koi baat nahi karni, par kya teri dost hone ke naate mai tujse milne bhi nahi aa sakti..??”

Sam “hmm..dekh yaar yeh faltu ki baate naa kar, tu jaanti hai ki tu meri sabse achi dost hai..aur isiliye toh maine tuje yaaha bulaya hai”


Akshita kuch sochkar “ek min, tune muje bulaya hai..?? matlab..??” voh sawaliya bhari najro se sam ki aur dekhti hai

Sam “aksh, muje galat nahi samajna par tera yeh dost bahut hi kayar aur darpok hai..aur isiliye maine yeh decide kiya hai, I will QUIT”

Akshita “QUIT..?? matlab..?? mai kuch samji nahi”

Sam “mai yeh team chod raha hu, I am going to resign”


Akshita chaunkte hue “whaaatt..?? aaa..rrrr…eeeeee you mmm…aaa…adddddddd..?? yeh tu kya keh raha hai, you are our leader man”

Sam “I am not aksh, mai leader rehne ke kaabil nahi hu, ab tuje yeh ladayi mere begair ladni hai, and I know that..you can do it..you can lead the team in better way..the way I couldn’t”


Akshita “listen sam, ab dekh bahut bakwaas kar li tune, sidhe se chal mere saath” Aur usne sam ka haath pakad liya

Lekin sam ne uska haath pyaar se hataya aur thoda dur jaate hue “ek aur baat, ho sake toh mujse dur rehna, shayad mai teri dosti ke layak bhi nahi raha” aur voh khidki se bahar asmaan me dekhne laga

Sam ki yeh baat sunte hi akshita ko ek bada sa jatka laga…uski aankhe nam hone lagi…sach toh yeh tha ki akshita ko sam ki yeh baat kisi kaante ki tarah chubi thi…voh kuch bhi bardasht kar sakti thi..lekin sam se duri usse hargiz bardast nahi thi “tune aisa soch bhi kese liya ki..” voh aage nahi bol paayi, ruansi aawaaz me kehti hai “sam..mai nahi janti ki tu aisa kyu kar raha hai, par mai tuje yeh nahi karne dungi, mai tuje apne se dur nahi jaane dungi, agar tuje mujse dur hi jaana tha toh fir kyu itna kareeb aaya, kyu voh ehsaas jagaya jo mai bachpan me hi kho chuki thi, kyu itna pyaar kiya mujse..kyu sam kyu..??”

Sam ki aankhe bhi halki nam ho chuki thi, voh mudkar akshita ke pass aaya aur uski aankho se aansuo ko pochte hue kehta hai “aksh, mai dar gaya hu..mai iss ladayi me ab tera saath nahi de sakta..muje yeh dar hai ki agar uss ladki ki jagah tu hoti toh kya hota..?? nahi aksh..mai tuje kuch nahi hone de sakta..aur mai itna kaabil nahi hu ki mai tuje bacha saku..so please Aksh, if possible, please mujse dur rehna”

Akshita “sam, agar yahi baat hai aur tu uss ladki ki maut ki vajah se yeh sab kar raha hai toh”
voh thoda rukkar kahti hai “thik hai, mai bhi yeh team chod rahi hu, muje uss team ka hissa nahi rehna jisme tu nahi hai”

Sam “Akshita please..try to understand, mai ab vaha vapis nahi jaa sakta...aur team ko teri jarurat hai..and I have already appointed you as a TEAM LEADER”

Akshita “sam, vahi toh mai bhi tujse keh rahi hu, team ko teri jarurat hai..team ko ek aise leader ki jarurat hai jo on the spot tough calls le sake..aur yeh kaam tujse better hamari team me aur koi nahi kar sakta..mai bhi nahi”

Sam “enough is enough, mai already resign de chuka hu, aur tuje yahi behas karni hai toh you may go now”
apne haath se gate ki aur ishara kiya aur fir voh akshita se thoda dur chala gaya

Yeh baat jitni jyada Akshita ko chubi thi..usse kahi jyada takleef Sam ko hui thi..sirf vohi janta tha ki uspar yeh baate kehte waqt kya gujari thi, lekin yeh sirf uski galat femi thi..kyunki Sam ki halat ko akshita uske khud se bhi jyada ache se jaanti thi, aur isiliye usne akhri baar Sam ko manane ki koshish karte hue kaha “sam, tu bahut badi galti kar raha hai, hum already bahut si team kho chuke hai, aur iss waqt tera resign karna..it’s not good sam”

Sam ne vahi dur se jawaab dete hue kaha “agar mai resign nahi karta hu toh casualties aur badhegi”

Akshita “sam..koi bhi ladayi bina casualties ke nahi jeeti jaa sakti”

Sam “haa, mai janta hu, lekin mai itna kaabil nahi hu ki mai kisi team ko lead kar saku..aur uss hadse ke baad toh bilkul bhi nahi”

Akshita “sam, maine tuje bahut baar kaha, ek aur baar keh rahi hu, uss ladki ki maut teri vajah se nahi hui”


Sam akshita ki aur mudkar uski aankho me dekhte hue kehta hai “haa, mai janta hu ki uss ladki ki maut meri vajah se nahi hui hai, lekin mai use bacha sakta tha, lekin mai khudgarj ho gaya tha, aur jo sirf apne baare me soche uska iss tarah ki ladayi me rehna thik nahi hai”

Akshita “sam, har chiz hamare haath me nahi hoti, kuch faisle hume aise bhi lene padte hai..jo hum kabhi nahi chahte, aur voh sirf ek chota sa hadsa tha, aur kuch nahi”

Sam “agar uss ladki ki jagah tu hoti toh..?? kya tu tab bhi yahi kehti..??”


Sam ke iss sawal ka jawab akshita ne bahut hi pyaar se uski aankho me dekhte hue diya “haa sam, mai tab bhi yahi kahti, kyunki muje tere par pura bharosa hai”

Location : Somewhere

“Delta to Alpha..Delta to Alpha”

“alpha to delta, over”


Hanfte hue “sir, muje samaj nahi aa raha yeh kya ho raha hai” aur uski ek dardnak cheekh vaha par gunj uthi

“alpha to delta..alpha to delta, vaha ki condition batao, common delta”

Tabhi uske pass me rahe ek shaks ne kaha “sir, connection is lost”

Voh jor se gurraya “damm it, I want to know, vaha par chal kya raha hai”

“sir, I think delta team is down, hamara connection kaafi der pehle hi tut gaya tha, aur mai tabse connection banane ki koshish kar raha hu..and yeh bas ek broadcast tha..aur shayad yeh aakhri tha”

“what do you mean ki yeh akhri baar tha”


To be continued..
Kya kar rahe ho chicha yeh sam ki job ko chodne ke liye laga kuch samjh na aa raha shuru se suspense mein kyu daal rahe ho aur waise padh kar maza aa gaya waiting next
 
  • Like
Reactions: Milan2010

Milan2010

Well-Known Member
4,854
3,649
159
Abhi to kuch samajh mai nhi aaya ..sam kya krta hai aur kyu quit kar rha hai..story ka ye part agle do tin updates padh kar samajh jawga
:thanks: bhai :dost:
Bhai yeh part me bahut kuch hai jo samajne me der lagegi, saath bane rahiye :dost:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,854
3,649
159
Kya kar rahe ho chicha yeh sam ki job ko chodne ke liye laga kuch samjh na aa raha shuru se suspense mein kyu daal rahe ho aur waise padh kar maza aa gaya waiting next
:thanks: bhai :dost:
Sirji..aapke sare sawaal ke jawab aapko mil jayenge, bas saath bane rahiye :dost:
Maja toh ab se shuru hoga :smarty:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,854
3,649
159
Update : 3 (Yeh Kese Ho Sakta hai)

“what do you mean ki yeh akhri baar tha”

Ab aage..


Bennet iss sawal ka jawab hatash hokar deta hai “iska matlab yeh ki, we lost them..hamari puri army khatam ho chuki hai”

Bennet ki baat sunkar uss kadak awaaz vale admi ke pair dagmaga se gaye, voh haklate hue dubara puchta hai “aa…rrr..eee yyy.yyy..oooo..uuuuu ss….sssss…..uuuuu.uu..rrre…eeeee”

Bennet ne vaise hi kaha “yes commander”

Voh dusra shaks aur koi nahi balki Earth ki Special force ka Head tha, voh kehta hai “yeh kese possible hai..?? they are the best of all”

Bennet “I don’t know sir, I really don’t, muje kuch bhi samaj me nahi aa raha”

Head “bennet, I want to know yeh sab kese hua”

Bennet “I am already working on it sir”
aur voh transparent screen par kuch karne laga aur kuch der baad kehta hai “sir, sam ko vapas laana hoga”

Head “uska resignation muje ek hafte pehle hi mil chuka hai”

Bennet “par aapne uska resignation approve nahi kiya, kyunki aap jante the ki hume uski jarurat padegi, aur Akshita usko lene gayi hai”


Head gehri saans lete hue kehta hai “I hope ki voh Sam ko lekar hi aaye”

Back to Sam’s House
Sam “agar uss ladki ki jagah tu hoti toh..?? kya tu tab bhi yahi kehti..??”


Sam ke iss sawal ka jawab akshita ne bahut hi pyaar se uski aankho me dekhte hue diya “haa sam, mai tab bhi yahi kahti, kyunki muje tere par pura bharosa hai” thoda rukkar “sam, mai nahi janti ki tu uss waqt kya karta…par mai bas itna janti hu ki jabtak tu mere saath hai muje kuch nahi ho sakta, I trust you”

Sam apna chehra jukate hue kehta hai “lekin I don’t, mai khud se hi haar chuka hu aksh, isiliye mai tujse Keh raha hu, please akshita..please mujse dur chali jaa..itni dur ki mera saaya tak tere karib naa aasake” darasal sach toh yeh tha ki voh ab akshita ki aankho me nahi dekh sakta tha

Aur akshita ki halat bhi kuch thik nahi thi..balki uski halat sam se bhi jyada kharab thi..sam ki iss tarah ki baate use dara rahi thi..uska dil tha ki joro se ro raha tha..par fir bhi usne muskil se khud ko sambhal rakha tha…kyunki voh janti thi ki iss waqt use apne sam ko sambhalna hai, sam ka iss tarah se najre churane uske dil me kaante ki tarah chub raha tha…shayad voh aur kuch bardasht kar leti..lekin sam ka usse yu nahre churana voh seh nahi paa rahi thi…akshita kaa gaala bhari ho chuka tha aur voh ruansi awaaz me kehti hai “sam..mai nahi janti ki tu aisa kyu kar raha hai..muje yeh bilkul bhi samaj me nahi aa raha ki uss hadse se mera tujse dur jaane me kya relation hai..par mai tujse kuch kehna chahti hu" voh rukkar kehti hai “agar tuje yahi karna tha toh kyu mere itne kareeb aaya..?? kyu muje voh ehsaas dilaya jo mai bhul chuki thi, shayad tu nahi janta ki tera saath mere liye kitna mayne rakhta hai, mai nahi janti kabse..par mai tujse pyaar karne lagi hu..yes sam I LOVE YOU, tujse dur rehna ka mai soch bhi nahi sakti” par akshita khud ko rok nahi paayi..jo dard uska dil bayaan kar raha tha voh uski aankho se behne lage the aur apna sar jukaaye rone lagi

Akshita ke liye sam ke dil me bhi vohi pyaar hai, par voh kabhi apne pyaar ka izhaar nahi kar paaya tha, lekin aaj jab uske kaano me akshita ke yeh lafz sunai diye.toh voh khud ko rok nahi paaya
Haroj jiss chehre par muskaan rehti thi uss chehre par aaj aansu beh rahe the..jo sam se bardast nahi hui..akshita ki ruansi awaaz ne sam ko akshita ki aur dekhne ke liye majbur kar diya
Sam toh akshita se uss din se pyaar karne laga tha jis din akshita ne usko haraya tha..aur vahi voh akshita ke dil ka haal nahi janta tha…use dar tha ki agar usne apne pyaar ka izhaar kiya toh shayad voh akshita ki dosti tak kho dega..sirf yeh vajah thi ki usne akshita se kuch nahi oaha tha
Sam chalte hue akshita ke karib aaya…aaj pehli baar tha jab voh akshita ke itni karib jaane par dar raha tha..uske dil joro se dhadak raha tha…usne apne haatho ko pyaar se akshita ke chehre par rakha aur akshita ka chehre apni aur kiya..ab akshita ki najar sam ki aur thi..aur dono hi ek dusre ki aankho me ektak dekhe jaa rahe the..lekin naa toh sam kuch bol raha tha aur naahi akshita ne ek lafz kaha..bas voh dono hi ek dusre ki aankho me deekhte hue aankho se baate kar rahe the

Jab sam ne akshita ke gaal par aansu ko dekha toh usne pyaar se apne haatho see uss unn aansu ko hataya..aur naa mein apna sar hilate hue kehne laga “nahi aksh…muje teri aankho me yeh aansu nahi dekhne…mai bilkul bhi teri inn aankho me aansu nahi dekh sakta" fir voh thoda rukkar kehta hai “aksh…mai nahi janta tha ki tu mujse pyaar karne lagi hai…par sach toh yeh ki mai tujse bahut pyaar karta hu…aaj se nahi..uss din se jab maine tuje pehli baar dekha tha…I love you Akshita..i love you so much aksh"

Akshita yeh sunte hi voh sam ke gale lag jaati hai..aur sam bhi akshita ko joro se apne gale laga deta hai…aaj dono ne hi apne pyaar ka izhaar kar diya tha…akshita vaise hi sam ke gale lage hue kehti hai “pagal..jab itna pyaar karta hai toh kyu khud ko mujse alag kar raha hai..kyu muje khud se dur karne me laga hua hai…hmmm..??”

Akshita ke puche hue sawal ka jawab sam ke pass nahi tha..yaa tha, par voh kya kahe use samaj me nahi aa raha tha, voh kese bataya ki uske dil ka haal kya hai, sam ke ese chup rehne par akshita fir se puchti hai “bolna…tu chup kyu hai"

Akshita ko khud se alag karte hue kehta hai “kya kahu aksh..kese kahu mai..??”

Akshita sawaliya bhari najro se sam ki aur dekhti hai toh sam kehta hai “mai voh sam nahi hu jise tu janti hai..mai tujse bahut jyada pyaar karta hu aksh..shayad yeh baat tu nahi jaanti..aur mai yeh kabhi nahi chahunga ki mai khud ko tujse alag karu..par mai majbur hai aksh, agar mai tere saath raha toh sirf tuje takleef pahuchegi..tuje hurt karunga…aur yeh mai nahi chahta, mai jaan gaya hu aksh ki yeh ladayi mere baski nahi hai…hum unhe nahi hara sakte..we can’t win…. agar mai tere saath raha..aur tuje kuch ho gaya toh mai khud ko kabhi maaf nahi kar paunga”

Akshita turant hi sam ke gale lag jaati hai “sam, yeh toh mai nahi jaanti ki hum unhe hara sakte hai yaa nahi..par ek baat mai bahut hi ache se jaanti hu..maine jisse pyaar kiya hai, jo mera sabse achcha dost hai use mai jaanti hu aur voh itni jaldi haar nahi maan sakta”

Akshita ki aankho me dekhte hue sam kehta hai “tuje itna bharosa hai mujpar..??”

Akshita bhi sam ki aankho me dekhte hue jawab deti hai “khud se bhi jyada, yaad hai jab team selection ke waqt sab mere against the..tab tune hi muje select kiya tha..uss waqt mai tuje jaanti bhi nahi thi..aur uske baad hamari team ne kabhi piche mudkar nahi dekha…hamari team sabse jyada kamiyab rahi..humne apne sare missions pure kiye, kyu..?? kyunki hamari team ke pass ek bahut hi acha leader hai”

Sam “yeh sahi nahi hai aksh…hamari team isliye hamesa kamiyab rahi hai kyunki tu har waqt mere saath thi..isliye mai apne sare missions ko pura kar paaya hu, par tune bhi dekha tha..tu khud bhi mere saath thi..tu jaanti hai ki uss raat ko kya hua tha, uss hadse se mai bahut hi jyada dar gaya hu…isliye nahi ki mai fight nahi kar sakta…mera darr unn logo se nahi hai…mai aajtak kabhi kisise nahi dara…life me first time muje dar lag raha hai, aur darr bhi kaisa, tuje khona ka darr..mai nahi chahta hai ki meri koi bhi galti ki vajah se tuje kuch ho”

Akshita “sam, hum ek esi jung lad rahe hai jaha har mod par kamiyabi nahi milti, yeh ek aisi fight hai jisme har mood par jeet nahi hoti…yaad hain tune hi kaha tha ki iss jung ko jeetne ke liye hume bahut si kurbaniya deni hogi”

Sam “haann…mai janta hu, yaad hai muje, par aksh..mai tuje khona nahi chahta”

Akshita “jab tak tu mere saath hai muje kuch nahi hone vala, aur naa hi mai tuje kuch hone dungi, voh bas ek haadsa tha sam..aur mai janti hu ki agar aisa kuch fir kabhi hua…toh tu muje kuch nahi hone dega, now please sam..let’s go, we need to get back to the bureau, hamari condition bahut hi kharab hai”


Tabhi ek message aaya, jo room me sunayi dene laga “sam, I know you want to quit, but iss waqt muje tumhari jarurat hai, yu samaj le ki yeh ek akhri mission hai”

Sam ne akshita ko hug karte hue kaha “we are coming sir”

Sam ki aankho me ek alag si chamak aagayi thi, usne akshita ke hotho par ek pyaara sa kiss kiya, akshita iske liye taiyaar nahi thi toh voh pyaar se sam ko marti hai aur fir voh sam ko hug karti hai


Thodi hi der me sam aur akshita dono hi kamre ke baahar aate hai, sam ke chehre par firse muskurahat dekhte hi sam ki mom samaj jaati hai ki ah sab thik hai

Sam ko dekhti hi uski mom aksh se kehti hai “thanks aksh, mai janti thi ki tu hi iss nalayak ko thik kar sakti hai”

Sam “haa mom, yeh toh aapne sahi kaha, aur ab muje toh ise puri zindagi jhelna hai”


Sam ki iss baat ko sunte hi akshita aur sam ki mom dono hi use ghurne lagi, akshita sam ko gusse me dekh rahi thi aur vahi sam ki mom sawaliya bhari najro se dekhte hue kehti hai “kya matlab..??”

Sam “we love each other”


Sam ki mom yeh sunkar khush ho jati hai aur voh akshita ko gale lagate hue “I am happy for both of you, toh yeh baat thi..isliye yeh Bandar kamre me band tha, tum dono ke bich jagda hua tha..??” aur voh akshita se puchti hai “aur tune toh kaha tha ki tuje sam ke ese behaviour ke baare me nahi pata hmmmm"

Akshita ki haal aisa tha ki kaanto toh khun nahi…voh sharam ke maare paani paani ho rahi thi..voh bina kuch bole bas niche dekh rahi thi, toh sam yeh dekhkar haste hue apni mok se kehta hai “nahi mom, jo aap soch rahi hai vaisa kuch bhi nahi hai, voh sab mai aapko vapas aakar bataunga...but right now, I need to get back to the bureau”

Sam aur akshita ne ab bina deri kiye sidhe bureu jaane ke liye nikal gaye..voh dono sam ki garage gaye aur vaha se sam ne apni jet bike li aur akshita uske piche baith gayi
Bike par baith te hi sam ne bike par 2 buttons press karke commands diye..jise accept karte hi bike hawa me lehrane lagi aur garrage ka gate open hote hi balcony se sam aur akshita vaha se nikal gaye

Sam ka ghar 150th floor par tha..aur raat ka waqt plus emergency hone ki vajah se uski bike kaafi teji se nikali thi..aur vahi raste me sam aur akshita kuch baate karte hai
Akshita ne sam ko piche se hug karte hue kaha “sam, tune muje pehle kyu nahi bataya..??”

Sam “kya nahi bataya..??”

Akshita “that you love me”

Sam “yaar, mai khud confuse tha, vaise toh mai jaanta tha ki mai tuje like karta yaalekin mai yeh tayy nahi kar paa raha tha ki mai tujse love karne laga hu, par jab uss ladki ko dekha tab ehsas hua ki hum dono ke bich sirf friendship nahi hai”

Akshita “bada aaya muje nahi pata vala, huh, aur fir yeh sab kya nautanki thi teri, bata toh muje"

Sam “kesi nautanki..??”

Akshita “vahi jo tu kar raha tha, mujse dur hoja bla bla bla"

Sam “aksh..mere dil me yahi dar tha ki agar meri vajah se tuje kuch ho gaya toh mera kya hoga..?? Bas isi dar ki vajah se maine khud ko tujse dur karna chaha..lekin jab tune muje aaj bataya ki tu bhi mujse pyaar karti hai…jo mai tere liye feel karta hu..vohi feeling tere dil me mere liye hai…toh fir mai tuje iss fight me akele kese jaane du..?? ab chahe kuch bhi ho jaye..mai hamesa tere saath rahunga..yeh mera promise hai, kyunki tu meri sabse badi taqat hai”


Akshita ne pyaar se uske kamar me mukka maara “pagal kahi ka, mai toh hamesa tere saath hu, tuje na ek di hona tab pata chale huh”

Sam “acha..kya dena hai hmm..?? Kissi ya fir huggy”

Akshita “kuch bhi nahi..besharam…chup chap aage dhyaan de"


Ese hi yeh dono baat karte hue bureu pahuch gaye, lekin bureau ke halaat dekhkar lag raha tha ki halat bahut hi jyada kharab hai, kyunki vaha par kaam kar rahe sabhi agents bahut hi jyada pareshan the
Unn agents ko dekhkar Sam sawaal karta hai “aksh, yeh sab kya hai..?? inn logo ke chehro se toh lag raha hai ki hamari condition bahut hi jyada kharab hai”

Aksh “I think, tuje yeh baat commander se hi sunni chahiye”


Sam bina deri kiye hue sidhe Head aur Bennet ke pass pahuch gaya aur Head se pucha “sir..baat kya hai..??”

Commander “sam, we lost everyone, ab sirf tum dono hi bache ho”


Sam aur akshita ek saath chillate hai “what..?? how..??”

Bennet “sam, pichle week ke compare me casualties bahut hi jyada high rahi hai..upar se yeh haadse itne jyada ajeeb hai ki muje kuch bhi samaj me nahi aa raha”

Sam ekdum se serious hote hue puchta hai “bennet, baat kya hai..??”

Bennet “tere yaaha se jaane ke baad..yaani ke iss ek hafte me Zorians ne hamari 60% team ko already khatam kar diya tha..aur baaki ki 40% team achanak se gayab ho chuki hai”

Bennet ki baat sunkar sam ko jatka laga, jatka isliye ki usne ek agent ke muh se aise baat suni thi jo ki impossible hai “gayab..?? kese..??”

Bennet “pata nahi, lekin jaha par Delta aur Bravo team thi, uss jagah se muje kuch ajib se energy signatures mile hai..aur jab tak mai uss energy ko trace karke study kar pau usse pehle toh voh energy hi gayab ho jaati hai, aur toh aur jabse maine uss energy ko dekha hai tabse hi hum apni dono hi team se contact nahi kar paa rahe hai”

Sam “nahi ho paa raha, matlab..?? aur baaki ki teams ka kya hua..?? Tune abhi yeh kaha ki hamari sari army khatam ho chuki hai..iska kya matlab hai..?? Aur tu itne yaakeen se kese keh sakta hai ki hamari puri army hi nahi rahi”

Bennet “ha sam, tune sahi suna..Zorians se ho rahi ladai ki sari report hume Delta aur Bravo team se milti thi, but ek week se unse koi contact nahi kar paa raha hu”

Sam “bennet contact naa kar paana aur army khatan hona, yeh toh koi reason nahi hua..maybe shayad connection problem ho”

Bennet “maine bhi pehle yahi socha tha, lekin jab kisi se contact nahi hua toh maine traffic cams ki madad li, aur muje yeh mila..”
Aur usne ek traffic cam ki footage chala di

Room ke bicho bich ek badi si transparent screen me voh clip dikahyi dene lagi, uss clip kp dekhkar Sam aur Akshita ke chehre par bahut sare bhaav ek saath aaye

Sam apne baalo ko khujate hue bennet se sawal karta hai, jese ki bennet ne uske saath koi majak kiya ho “bennet, yeh majak ka time nahi hai”

Bennet “mai majak nahi kar raha, bravo aur delta team ko inhone hi khatam kiya hai”


Yeh sunkar sam aur akshita ek dusre ke chehre dene lage, aur fir dono ne apni najar firse uss transparent screen ki aur ghumayi aur dono hi ek saath chaunkte hue bole “DINOSAURS”

To be continued…
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,833
143
Awesome Superb Update
 
  • Like
Reactions: Milan2010
Top