Update : 44 (Kya hua tha uss raat ko)
Mayank fir ek baar apne sar me ho rahe dard ko seh raha tha, voh apne haath se sar ko dabate hue dard ko khatam karne ki koshish kar raha tha, par use kamiyabi nahi mil rahi thi..halaki uska dard kam ho raha tha..lekin itna bhi kam nahi hua tha ki voh usse saha jaaye
Tabhi achanak se use kuch yaad aata hai aur voh fauran apni aankhe kholte hue apne charo aur dekhta hai, use Pari kahi bhi dikhayi nahi de rahi thi, toh voh puchta hai “pari kaha hai..?? voh..voh thik toh haina..??”
Ab aage..
Mayank apne charo aur dekh raha tha..aur dusri tarah uske sar dard ki vajah se aankho se paani nikal aaya tha, yeh dekh pathi kehta hai “shant ho jaa mere bhai, pari ekdum thik hai..bas voh iss waqt aaram kar rahi hai, uske mummy papa ke saath..aur aarav bhi vahi hai”
Pathik ki baat sunkar Mayank thoda shant ho jaata hai..aisa lag raha tha maano uski jaan me jaan aayi ho, Naresh ne tabtak injection taiyaar kiya aur Mayank ko laga diya, uske baad Naresh kahta hai “tuje kuch der aur aaram ki jarurat hai..sab kuch thik ho jayega”
Mayank “nahi..mai iss waqt….” Voh dard ke maare chilla padta hai
Siddhi “please..kuch der aaram kar le, apne liye naa sahi..teri pari ke liye”
Iss baar Mayank kuch nahi bola aur voh vaapas so jaata hai
Kuch der baad
Pari ko ab hosh aa chuka tha lekin fir bhi use thodi kamjoori sa mehsoos ho raha tha, Pari ko jagte hi Aarav puchta hai “di..ab kesa lag raha hai aapko..??” usne bahut hi masumiyat se pucha
Pari ne haa mein apna sar hilate hue kaha “mai thik hu” aur uske baad aarav turant hi apne hatho se apni behen ko paani pilata hai
Aarav ka iss tarah se care karna Pari ko bhi bahut acha lagta hai..use apne ghar ki yaad aajati hai, vahi pari ko dekhkar Aarav bhi samaj jaata hai ki iss waqt pari kya soch rahi hogi, isiliye voh turant hi apne jeb se chocolate nikalta hai aur fir pari ko chidate hue khane lagta hai
Vahi pari apne haath se aarav se uss chocolate ko lene ki koshish karti hai..par voh le nahi paati, aur pari ko ese pareshan dekhkar Aarav joro se hasne lagta hai
Chocolate ke khatam ho jaane ke baad Pari ne aarav ko masti me marte hue kaha “mumma, dekho ne aarav ko..muje hamesa pareshan karte rehta hai”
Pari ke iss tarah se baat karne dekhkar aarav aur uske parents ke chehre par Muskaan aajati hai, aur pari ko ese dekhkar uski maa kehti hai “kab bade honge tum dono” aur unhone aarav aur pari dono ke sar par pyaar se haath firaya
Apne maa ka haath apne sar par firate hi pari khud ko rok nahi paayi, voh tut gayi aur joro se unke gale lagkkar rone lagti hai, kuch der baad jab voh alag hui toh aarav uske pas baith jaata hai aur apne kaan pakadte hue pyaar se kehta hai “didi, mai toh masti kar raha tha..mere pass aapke liye bhi ek chocolate hai”
Pari aur aarav..inn dono ka Rishta bada kamaal ka hai…chahe kitna bhi lade..par dono ko hi ek dusre ke bina nahi chalta tha..aisa tha ki maano ekdusre me inn dono ki jaan basti thi, Aaj bhi aarav ko pari ka dard dekhka nahi jaa raha tha
Jab pari ne chocolate liye toh use pata chala ki voh toh sirf ek khali wrapper tha, toh uspar pari halka sa chid jaati hai…par issbar aarav kehta hai “di, yeh chocolates me inn bacho ke liye laaya tha..actually ek store me chocolates rakhi hui thi..toh socha inn bacho ke liye lete aau, aur maine bhi chocolate nahi khayi”
Pari “jaanti hu badmaaash, maine dekha tha tu muje pareshan kar raha hai, aur mai tuje hurt nahi karna chahti thi..aur vese bhi meri earth par mai aur aarav hamesa aise hi lada karte the”
Aarav “yeh toh acha hai na di, koi toh hona chahiye na aapko pareshan karne ke liye..dekha di, aap mujse bach nahi sakti…aap chahe koi bhi earth par chale jao..mai aapko kabhi akela nahi chodunga”
Aarav ki iss baat ko sunte hu na jaane kyu pari ekdum se ghabra jaati hai, voh apne bhai ko khachkar apne gale lagate hue boli “please bhai..please aaj ke baad aisa kabhi mat bolna..mai pehle hi apne bhai ko kho chuki hu..ab mere me himmat nahi hai ki mai tuje bhi kho du”
Aarav “di, mai toh bas masti me keh raha tha, I am sorry di..mai apko hurt nahi karna chahta tha”
Pari “masti me bhi tuje yeh nahi kehna hai” aur voh aarav se alag hoti hai aur pyaar se uske chehre par ek mukka marti hai
Aarav “ouch..didi lagta hai”
Ispar pari aur aarav dono hi hasne lagte hai, aur fir aarav kehta hai “lekin sach me di, hum bahut hi kismet vaale hai..aise duniya me kitne honge jinko apni family vaapas milti hai..??”
Pari “yeh toh sahi kaha aarav, par hamare saath jitney bhi log hai unhe bachani ki responsibility hamare haath me hai”
Aarav “haa sahi kaha didi, aur I think ab hume chalna chahiye”
Pari “manthan kaha hai..??” usne achanak se pucha
Aarav “relax di, voh thik hai..jiju aaram kar rahe hai” kehte hue voh joro se hasne laga
Jiju shabd sunkar pari halka sa sharma jaati hai..kyunki saath me uske mummy papa bhi iss waqt khade the
Ab aap sabko lagta hai ki pari kyu sharma rahi hai..kyunki iss earth par toh unhe pehle se hi manthan aur pari ke rishte ke baare me pata tha…toh jawab yeh hai ki jaha se pari aayi thi voh hamari earth ke jese thi..aur uske earth par uske mummy papa ko nahi pata tha, toh yeh pehli baar tha jab Pari ke samne kisine manthan ko lekar baat ki hai aur voh bhi apne hi parents ke samne
Khair yeh dono ese hi masti karte hai, aur fir pari sabke pas chali jaati hai aur unke saath jo kuch bhi hua voh sab kuch bata deti hai..zorians aur time wriath ki ladayi se lekar Siddhi ke balidan tak sab kuch bata deti hai
Apni kahani batane ke baad Pari vahi Mayank ke pass baith jaati hai aur pyaar se uske sar par haath firati rehti hai, aur jab kuch der baad Mayank ko hosh aata hai toh voh pyaar se sirf uska naam pukar ti hai “manthan”
Pari ki awaaz sunte hi Mayank uske gale lag jaata hai, voh jitni jor se ho sake utni jor se pari ko apne banho me sama raha tha “tu thik toh haina pari..mmm..aammaaiiii..ai tuje kuch nahi hone dunga”
Pari ne pyaar se uske sar par haath firate hue kaha “mai thik hu manthan, muje kuch nahi hua hai”
Pari ke sparsh aur uski awaaz apne kaano se sunte hi Mayank ki aankhe thodi si nam ho jaati hai, aur voh Pari ko aur kaske gale lagate hue kehta hai “I am sorry pari..mai tuje..pata nahi…voh kese…” voh samaj nahi paa raha tha ki voh kya bole “voh time-wraith aur zorian..pata nahi voh kese vaha..i mean ki voh…”
Mayank ko ese dekh kar pari ne pyaar se use apne se alag kiya aur uski aankho me dekhte hue boli “sshhhhhhh, kaha na mai thik hu, relax, jo kuch bhi hua voh bhul jaa, hum sab hi thik hi yeh baat jaruri hai”
Pari ki baat sunkar Mayank thoda hairan reh jaata hai, voh fauran sabpar apni najar ghumata hai aur sawaliya bhari najro se dekhte hue pathik se puchta hai “sam kaha hai..??”
Pari “haa yeh toh mai bhi puchna bhul hi gayi, muje sam aur akshita kahi nahi dikh rahe..voh dono hai kaha..?? thik toh haina..??”
Pathik “bhai, voh toh tere saath tha, hume laga ki tuje malum hoga”
Mayank sawaliya bhari najar se dekhte hue Pathik se puchta hai “kya matlab hai iss baat ka..??”
Pathik “exactly muje nahi pata kya hua tha, lekin jab tum dono hume mile tab tum akele the..sam tumhare saath nahi tha”
Mayank “nahi tha..?? nahi tha se kya matlab..?? aur ek min” voh kuch yaad karte hue kehta hai “hum yanha par kese aaye..?? muje ache se yaad hai ki maine apne samne AVI ko dekha tha..aur fir” voh apne sar par jor dete hue dard me kahrate hue bola “aahhhhhhhhh, muje yaad kyu nahi aa raha..?? kya hua tha hamare saath”
Pathik “tuje sach me yaad nahi hai bhai..??” ne bhi hairaan hote hue pucha..aur sirf pathik hi nahi..vaha mujud har ek shaks utna hi hairan tha jitna Mayank aur pari the
Pathik ki iss baat par Mayank ne use ghurte hue dekha, jisse Pathik thoda hadbada jaata hai aur apne sawaal ko badalte hue puchta hai “mera matlab ki aisa toh kya hua tha tumhare saath..??”
Pathik ki baat puri hote hi Mayank kehta hai “muje sach me nahi malum, jo kuch bhi yaad hai voh bas dhundla sa hai, ek pal ke liye hum uss pipeline me the..Time-wraith aur zorian ko harane ke baad pari ki haalat bahut kharab ho gayi thi..aur siddhi..” uska naam aate hi voh thoda bhawuk ho jaata hai
Pathik “bhai, hum sab pata hai..pari ne hume pehle hi bata diya tha, aakhri chiz jo pari ko yaad hai voh thi Avi ka tum sab ke samne aa jaana aur fir achanak se kisi chiz ka dhamaka hota hai aur tum dono sidhe yaanha pahuch jaate ho”
Mayank apne sar par haath rakhte hue kehta hai “behosh hone se pehle maine anokhi Roshni ko dekha tha..aur fir kya hua muje yaad nahi..jab meri aankh khuli toh mai yanha par tha”
Pari “manthu, muje laga tha ki..tuje kuch malum hoga” voh pyaar se Mayank ki aur dekhti hai “yeh sab hamare saath ho kya raha hai..uss dhamake ke baad hum yaaha aagaye the”
Pathik “hume kuch awaaz sunayi di, toh hum fauran bunker ke baahar aagaye, vanha humne tum dono ko jakhmi haalat me paaya toh hum tum dono ko andar le aaye, uss waqt sam tumhare saath nahi tha..aur janha tak muje yaad hai akshita uss dhamake se kuch der pehle hi bahar gayi thi..usne kaha tha ki voh bahar ka chakkar lagakar aati hai”
Mayank “yeh kese ho sakta hai..??”
Pathik “bhai, humne unhe dhundhne ki bahut koshish kari..yanha tak humne Gideon se bhi madad li..par voh dono hume kahi nahi mile..aisa lag raha hai maano jese unka hamare samay me astitva hi naa ho”
Pathik ki baat sunne ke baad sabhi log shant khade rehte hai, aur vahi Mayank kuch sochne lagta hai..aur fir voh apni aankhe badi karte hue kehta hai “kahi voh..alalieeenssss..…” voh thoda halkate hue bolta hai aur ruk jaata hai “no no no, muje ache se yaad hai jis waqt hum avi ke samne aaye the tab hum vaha par akele the”
Pathik “mere bhai, akhir me tumhare saath hua kya tha..?? I mean tum dono achanak se yanha vapas kese aagaye..??”
Pathik ke iss sawal ke baad kuch der ke liye vanha par fir ek baar sannata cha jaata hai..sabhi ke mann me sawal toh bahut saare the..lekin jawab kisike pass nahi
Sabhi iss aas me Mayank ki aur dekh rahe the ki ab shayad Mayank kuch jawab dega..lekin iss bar Mayank bhi kuch samaj nahi paa raha tha, tabhi ekak uss chupi ko todte hue Aarav bolta hai “ho sakta hai voh dono apne waqt me vapas laut gaye ho..??”
Pari “bhai, tu kehna kya chahta hai..?? sam aur akshita dono vapas 31st century me laut gaye hai aur voh bhi bina bataye..??”
Aarav “haa didi, jara sochiye..aap sabne avi ko ek saath dekha tha, aur uske dekhne ke baad aap dono hi yanha vaapas laut aaye..toh kya aisa nahi ho sakta ki voh dono bhi apne samay me vapas chale gaye ho..thik isi tarah jese aap dono yanha aaye”
Pari “par bhai, agar aisa hota toh sirf sam hi gayab hota..akshita bhi yanha nahi hai..voh toh hamare saath nahi aayi thi..aur naa hi usne Avi ko dekha tha”
Aarav “par didi, aisa bhi toh ho sakta hai na ki voh dono ek hi samay me aaye the toh dono vahi vapas chale gaye ho..??”
Pari “muje nahi lagta aarav, kyunki agar aisa hota toh hum log bhi toh vapas apne earth par chale jaate” fir voh rukte hue kehti hai “agar hum yeh maante hai ki voh dono vaapas apne waqt me chale gaye hai toh fir hume bhi apne earth par vapas chale jaana chahiye tha, kyunki mai, kruti, siddhi aur manthan..hum sab yanha se nahi hai..aur naa hi hum log vaapas apne ghar gaye hai”
Pathik “nahi pari, shayad aarav sahi keh raha hai”
Manthan “haa, muje bhi aarav ki baat sahi lag rahi hai, hum log vapas isiliye nahi gaye kyunki hum sab alag duniya se aaye hai..alag earth se aaye hai..jabki sam aur akshita isi duniya se the..lekin bhavishya se”
Aarav “haa didi, aur fir ek baat batao..aap aur manthan..isi waqt me kyu aaye..?? aap kahi bhi jaa sakte the..past me future me..lekin aap isi samay me…present me hi kyu aaye..??”
Pari “iska matlab toh yeh hua ki…” voh bolte hue ruk jaati hai aur uski baat Kruti puri karti hai “ki time sahi ho chuka hai”
Inn logo ki baat chit ke daruan Mayank ekdum se shant baithe hue sabki baate sunn raha tha aur sabki baate sunne ke baad voh kehta hai “agar time wakayi me sahi ho gaya hai toh iska pata lagana jaruri hai”
Pathik “time sahi hua hai yaa nahi yeh hume kese pata chalega bhai..??”
Mayank ne apne haath me pehni watch ki ishara karte hue kaha “Gideon ki madad se”
Pari “voh kese..??”
Mayank “yaad hai sam aur akshita hamare waqt me time-portals ke jariye aaye the”
Manthan “aur time-portals khule the time ke tutne ki vajah se, brilliant”
Mayank “exactly, agar voh time portals ab band ho chuke hai toh hume malum chal jayega ki hamara waqt sahi ho chuka hai” itna bolte hi voh uthne laga lekin kamjori hone ki vajah se voh vapas bed par gir pada
Pari “manthu, tu aaram kar, yeh kaam hum log kar lenge”
Aarav “haa manthan, please..tu aaram kar, jung abhi khatam nahi hui hai, hume teri jarurat hai” voh itna bolte hue apna haath aage badhata hai “yeh watch muje de, mai jaunga”
Ek pal ke liye Mayank aarav ki aur dekhta hai, lekin voh apni watch aarav ko nahi dena chahta tha, aur yeh baat aarav ache se jaanta tha “manthan, you have to trust me, agar hume yeh jung jeetni hai toh saath milkar kaam karna hoga..mai samaj gaya hu ki yeh ladayi hamari ladayi se kahi ghuna badi hai, didi ke saath jo kuch bhi hua usme mai ya tu..kuch nahi kar sakte”
Yeh sunkar Mayank ki aankho se aansu aa jaate hai, voh kuch kehne jaata hai lekin uske pehle hi unn sab ko ek awaaz sunayi deti hai “kisi ko kahi jaane ki jarurat nahi hai”
Aawaaz sunte hi sabhi log uss aur dekhte hai toh paate hai ki sam aur akshita neele rang ki Roshni se baahar aate hai aur sam apni baat ko firse dohrata hai “aarav, iski jarurat nahi hai, tumhare sawalo ke jawab hum saath lekar aaye hai”
Mayank “kaha the tum dono..??”
Sam “relax Mayank, hum dono apne wakt me vapas chale gaye the”
Aarav “matlab mai sahi tha..waqt vakai me sahi ho chuka hai”
Sam “haa aarav, waqt ko toh humne thik kar diya..lekin ladayi abhi khatam nahi hui hai”
Aarav “haa janta hu, Zorians abhi tak hamari duniya se gaye nahi hai”
Sam “bhai, baat sirf zorians ki nahi hai, ab hamari ladayi keval dharti ke liye nahi…balki pure multiverse ke Astitva ke liye hai, jo hamare space time se jude hai”
Sam ki iss baat ka asar sab par padta hai, sab ke mann me ek alag sa darr ban gaya tha
To be continued...