Update : 45 (Rahsyamay Samay)
Sam “bhai, baat sirf zorians ki nahi hai, ab hamari ladayi keval dharti ke liye nahi…balki pure multiverse ke Astitva ke liye hai, jo hamare space time se jude hai”
Sam ki iss baat ka asar sab par padta hai, sab ke mann me ek alag sa darr ban gaya tha
Ab aage
Mayank “what do you mean..??”
Akshita “yeh ladayi ab hamare akele ki nahi hai, aur naa hi iss ladayi ko tu akele jeet sakta hai”
Mayank “baat kya hai..??”
Sam “it’s simple, hume ek hona padega..kyunki ab hamari ladayi hamare planet ke liye nahi..balki humare Astitva ki hai”
Sam ki baat sunne ke baad ek baar fir khamoshi cha jaati hai, sam ki baat ki gambhirta ko sab log samaj rahe the, par koi bhi yahi nahi jaanta tha aakhir me baat kya hai..lekin fir bhi sab ke mann me ek anjaan sa darr panap raha tha
Mayank “muje kuch sawalo ke jawab chahiye” ne sam aur akshita ki aur dekhte hue pucha
Sam “hum tere har sawal ka jawab dene ko taiyaar hai” aur fir voh chup ho jaata hai
Mayank sam ki chuppi ko samaj gaya tha, voh kehta hai “muje aisa kyu lag raha hai ki tumhe kuch pata chala hai”
Akshita “haa bilkul, tu itni badi baat chupa kesa sakta hai..??”
Aarav “kesi baat..?? aur Mayank ne konsi baat hume chupayi..??”
Sam ne aarav ke kandhe par haath rakhte hue kehta hai “yakeen maan mere bhai, voh baat tuje naa hi pata chale toh behtar tha..par hum majbur hai”
Aarav thoda hairan ho jaata hai, voh kabhi sam ki aur dekhta toh kabhi Mayank ki aur dekhta hai “baat kya hai..??” iss baar uski awaaz me darr ki jalak dikhayi deti hai
Sam fir Mayank ki aur ghum jaata hai aur uski aur dekhte hue puchta hai “tu bata raha hai yaa hum bata de..??”
Akshita “sorry dost, par agar hume yeh ladayi jitni hai toh hume ek dusre par trust karna hi hoga, aur trust ki shuruwat tab hoti hai jab hum ek dusre se koi bhi baat naa chupaye”
Mayank “tumhe iss baare me kese pata chala..??” ne sawaliya bhari najro se dekhte hue kaha
Sam “tuje kya lagta hai..hume yeh baat kaun bata sakta hai..??”
Akshita “hum apne atit se bhaag nahi sakte, voh kabhi na kabhi apna asar jarur dikhata hai”
Sam “dekh bhai, hum tere uss raaz ke baare me jante hai, aur yeh bhi jante hai ki tune use raaz kyu rakha hai”
Mayank thoda darte hue puchta hai “it’s impossible, tumhe uske baar ae me pata nahi hona chahiye tha, tell me…tumhe uss baare me kese pata chala”
Aarav “aakhir tum log kis baare me baat kar rahe ho..??”
Pathik “iss tarah se behas karne se koi hal nahi nikelga, Zorians se ladayi abhi khatam nahi hui hai”
Sam “thik hai bhai, pehle hum tere sawaal ka jawaab dete hai…shayad tuje pata chal jaaye”
Mayank “tum dono bhavishya me kese laut gaye the..?? uss raat aisa toh kya hua tha hamare saath..?? aur bhavishya se yanha vaapas aane ka kya matlab..?? jaha tak muje maloom hai tum log time travel kabhi nahi karna chahte the”
Akshita “thik kaha Mayank, aur humne time-travel kiya bhi nahi hai..bas hum kisi ke saath yaanha aaye hai”
Mayank “kaun..?? aur kyu..??”
Sam “mai batata hu”
Kuch der pehle
Bhavishya me
Sam haklate hue kehta hai “muje kuch samaj nahi aa raha aksh, yeh baat toh ab Paridhi hi hume bata sakti hai” iske baad sam apni time machine band kar deta hai
Vahi dusri aur command center me Bennet aur Commander dono hi iss baat se pareshan ho rahe the ki Sam aur Akhsita ne abhi tak launch kyu nahi kiya
Bennet “sir, sam ne time machine ko band kar diya hai”
Commander “kya..?? par kyu..?? kahi koi gadbad toh nahi hai, check the time machine”
Bennet “nothing sir, yaha se toh sab kuch sahi dikh raha hai engine, fuel, tachyons everythink looks fine” voh apne samne rahi screen ki aur ishare karte hue kehta hai
Commander “kahi voh Zorians toh yanha nahi aagaye..??”
Bennet “hum detect nahi ho raha hai sir, hum vahi chalkar dekhna chahiye” itna kehne ke baad voh warehouse ki aur bhagta hai aur uske saath commander bhi chala jaata hai
Ware house ke andar sam aur akshita time machine bahar aate hai, unke chehre par Khushi aur hairani ke bhaav ek saath dikhayi de rahe the, kyunki ek tarah pari ko dekhkar voh log khush jarur the..lekin apne waqt me use dekhkar utne hi hairan..kyunki pari ka yaanha hona koi aaam baat nahi thi
sam aur akshita ke chehre ke bhav ko dekhte hi Paridhi samaj gayi ki voh dono kya soch rahe hai, isliye voh kehti hai “mai sab kuch bata dungi, par tumhe yeh mission rokna padega”
Sam aur akshita ek pal ke liye ek dusre ki aur dekhte hai aur fir pari ki aur, uske baad Sam sawal karta hai “pari, tum yanha kese..?? I mean hamare waqt me kese..?? kya manthan bhi tere saath aaya hai..?? kanha hai voh..?? tum dono thik toh hona..??”
Pari “relax sam, mai tumhe sab kuch bata dungi..par filhaal tumhe yeh mission rad karna padega..isse jyada iss waqt mai tumhe aur kuch nahi bata sakti”
Pari ki baat sunne ke baad sam aur akshita pata nahi kyu par uski baat maan lete hai, shayad yeh unki dosti ki vajah se tha, sam ke mann me abhi bhi bahut saare sawaal the, voh puchna toh bahut kuch chahta tha lekin bol nahi paa raha tha, voh dono hi chalte hue pari ke pass aane lagte hai, aur jese hi voh pari ke pass aajate hai toh unke piche ek dhamaka hota hai aur voh dono hi aage ki aur gir padte hai
Girne ke baad bhi sam khud ko sambhalte hue turant piche mudta hai aur use jalti hui time machine dikhayi deti hai, time machine ko ese jalte dekh voh gusse me aajata hai aur apne haath ko joro se jameen par marte hue gurraya “noooooooooooooooooooo”
Akshita bhi uss time machine ko jalte hue dekh thodi si ruansi ho jaati hai, voh nam aankhon se apne time machine ko jalte hue dekhti hai aur sam se sawal karti hai “sam..yeh hamari aakhri ummid thi..ab kya hoga..??”
Sam “I know aksh” voh khudpar hi gussa hote hue kehta hai
Akshita “sam, yeh hamare planet ka eklauta time machine tha, ab hum past me kabhi nahi jaa sakte..hum yeh ladayi haar gaye hai sam”
Sam bhi halka sa ruansa hote hue kehta hai “aur yeh sab meri galti hai..muje saare test sahi se karne chahiye the..agar mai itni jaldbaazi nahi karta toh shayad hum time machine ko khone se bacha sakte the” fir voh samne khadi pari ki aur dekhta hai aur khade hote hue bola “par pari..tumhe yeh kese pata chala ki hamari time machine me gadbad hai..?? aur..aur tumhe yeh kese malum chala ki hum dono tumhare waqt me jaane ki koshish karenge”
Tabhi vaha par daudte hue bennet aur commander aate hai, bennet “sam, akshita..tum dono thik toh hona..?? yanha aane se pehle hume ek dhamake ki awaazzzzzz……” voh bolte hue ruk jaata hai..kyunki uski najar samne jalti hui time machine par padti hai
Commander “who the hell are you..??” voh apni laser gun ko pari ke samne rakhte hue kehta hai
Sam “commander, yeh hamari dost hai”
Commander “mai tere har dost ko janta hai..aaj se pehle toh maine ise kabhi nahi dekha”
Bennet “sam, tum dono thik toh hona..?? aur tumhe kese pata chala ki time machine blast hone vaali hai”
Sam “isine kaha ki hum yeh mission nahi kar sakte” ne pari ki aur ishara karte hue kehta hai
Bennet “kaun hai yeh..?? aur toh aur yeh hamare command center me aayi kese..?? iss area ke baare me toh koi nahi jaanta..yeh hamari confidential jagah mese ek hai”
Bennet ke iss sawal se sam aur akshita dono hi chaunk jaate hai..kyunki jaha par time machine rakhi hui thi vaha koi bhi nahi aa sakta tha..yaha tak ki sam aur akshita ko bhi yanha aane ke liye kaafi saare security check se gujarna pada tha
Sam ekdum se chaunkte hue kehta hai “yeh toh humne socha hi nahi..kaun ho tum..?? aur tum pari ke jesi kyu dikh rahi ho..??”
Sam ke iss sawal par paridhi halka sa muskurate hue unn dono ko dekhti hai, lekin voh kuch bol paati uske pehle commander ne apni gun se uspar fir kar diya
Achanak se hue hamle ki vajah se sabloh chaunk jaate hai, aur vahi Sam joro se chillata hue kehta hai “nooooooooooo, yeh aapne kya kar diya hai”
Commander “yeh Zorian hai” lekin agle hi pal voh chaunk jaata hai, kyunki uske samne Paridhi abhi bhi vese hi khadi thi aur uske chehre par vahi muskurahat thi
Commander “how is this possible” voh bhi pari ko vese hi khade dekh chaunk gaya tha
Paridhi ko iss tarah se dekhkar Akshita aur bennet bhi chaunke hue the, bennet uski aur dekhte hue kehta hai “who are you..??” aur voh bhi apni gun nikalte hue gusse me puchta hai “show me yourself…tum zorian ho”
Pari ne vese hi muskurate hue kaha “nahi bennet, mai zorian nahi hu”
Sam sawaliya bhari najar se dekhte hue kehta hai “toh fir tum ho kaun..?? iss tarah ke vaar se insaan nahi bach sakte”
Paridhi iss baar kuch nahi bolti aur bas apna haath samne ki aur karti hai, thik uske baad uski hatheli par ek neele rang ki Roshni ka gola chamakne laga aur dekhte hi dekhte voh neele rang ka gola commander ki dun ke andar chala gaya
Bennet ne gun ki trigger par halka sa bhar dete hue kaha “yeh tumne kya kiya..??”
Sam bhi yeh dekhkar hairan tha, voh haklate hue kehta hai “tt..ttummm pp…paaarrii..riiiii nahi ho sakti”
Paridhi ne sam ki aur dekhte hue kaha “tumne sahi kaha..insaan iss gun ke var se nahi bach sakte..lekin mai insaan nahi hu”
Sam “fir tum ho kaun..??”
Paridhi “mera naam Paridhi hai, aur mai hi manthan ki pari hu..bas tum muje jante nahi ho..thodi si alag hu”
Akshita “alag hu..?? iska kya matlab..??”
Sam “pari, tumhe ho kya gaya hai..?? yeh sab tum..muje kuch samaj nahi aa raha”
Paridhi “yeh khel waqt ka hai aur waqt ko koi nahi samaj sakta, it’s a STRANGE WORLD”
Uske baad voh hua jo kisine sapne me bhi nahi socha tha, paridhi ke ek ishara karte hi uss room me rahi sari gatividhiya vapas dohrane lagti hai..lekin iss baar waqt aage na chalkar piche chal raha tha
Commander ka pari par vaar karna, Bennet aur Commander ka uss kamre me aana, uss Time machine ka blast hona aur jo kuch bhi pichle kuch minute me ghatit hua tha voh sab firse dohrane lagta hai
Lekin iss baar kuch alag tha, yaha jo kuch bhi ho raha tha voh keval Sam aur Akshita hi dekh paa rahe the..yaha tak ki unhone khud ko hi uss time machine se nikalte hue dekhte hai
Sam apne charo dekhte hue kehta hai “yeh..yeh sab ho kya raha hai” achanak se hi sabkuch shant ho gaya aur ek baar fir Sam aur Akshita time machine ke andar pahuch jaate hai aur Paridhi ko apne samne paate hai
Akshita ghabrate hue puchti hai “sam…yeh, yeh kya hua abhi hamare saath”
“tumhe yeh rokna hoga..tum Oculus Protocol ka istemaal nahi kar sakte” unn dono ko vahi awaaz fir sunayi deti hai, lekin iss baar Sam janta tha ki use kya karna hai
Usne fauran Akshita ka haath pakda aur akshita ko lete hue voh time machine se baahar aagaya, aur voh daudte hue Paridhi ke samne aa jaata hai aur fir ek baat unki time machine blast ho jaati hai
Lekin iss baar sam pehle se hi jaanta tha kia age kya hone vala hai toh voh pehle se hi taiyaar tha, time machine ke blast hone vale dhamake se voh khud ko aur akshita ko bhi bacha leta hai
Sam “tum waqt ho” voh thoda darte hue kehta hai
Paridhi “nahi sam, mai toh bas waqt ke saath hu” voh naa mein apna sar hilate hue kehti hai
Tabhi bennet aur commander dono hi ware house ke andar daudte hue aate hai, aur unke aate hu commander aur bennet vahi chiz dohrate hue jo pehle hua tha
Commander ne apni laser gun nikalkar Paridhi ki aur kar di, aur vahi bennet puchta hai “sam, akshita..tum dono thik toh hona..?? yanha aane se pehle hume ek dhamake ki awaazzzzzz……”
Sam “bennet, mai sab kuch bata dunga” fir voh commander ki aur haath aage karte hue kehta hai “sir, don’t shoot, she is on our side..yeh hamari dost hai”
Sam ke aisa kehne par commander use sawaliya bhari najro se dekhne lagta hai, toh sam thoda hadbadate hue kehta hai “sir, mai aapko janta hu..aap anjaan vyakti ko hamare command center me dekhte hi kuch aisa hi react karte hai”
Bennet “par bhai, yeh kaun hai..?? mai ise apne screen par kyu nahi dekh paa raha tha..??”
Sam ka haath pakadte hue “haa sam, aur yeh sab kya tha..??” voh thoda darte hue puchti hai
Sam ne akshita ki aur dekhte hua kaha “aksh, tu abhi bhi nahi samji..we won, hum jeet gaye..humne apna ek task pura kar liya, humne waqt ko sahi kar diya”
Akshita “yeh tu itne yakeen se kese keh sakta hai”
Sam “kyunki yeh ek time-traveller hai aksh, pata nahi kese par pari time travel kar sakti hai”
Iss baat par sabhi log sawaliya bhari najro se Sam ki aur dekhne lagte hai, kyunki kisiko ko bhi kuch nahi samaj aa raha tha, toh vahi sam kehta hai “yeh mat puchna muje kese pata, par pari ko dekhkar muje yahi lagta hai..aur abhi abhi hamare saath jo hua uske baad toh mai sure hu ki humne time ko sahi kar diya hai”
Paridhi ne sam ko tokte hue kaha “nahi sam, mai time-traveller nahi hu” iss baat ko sunkar sam ke pairo tale se jameen khisak gayi ho esi haalat ho jaati hai, uske chehre par aayi hui Khushi do pal me hi gayab ho jaati hai aur voh apne mann me umad rahe saare sawal ek saath puch leta hai “kya..?? toh yeh sab kya tha..?? kaun ho tum..?? abhi jo hua voh time travel nahi tha..?? kya tum koi aur earth se ho..??”
Abhi tak jo muskurahat paridhi ke chehre par thi voh achanak se gayab ho jaati hai aur ek dum Gambhir chehra banate hue kehti hai “I leave in space time..mai samay me jinda hu..samay hai toh mai jinda hu”
Lekin shayad hi yaha par koi tha jo paridhi ki baat ko samaj paaya tha, sab ke sab ek dusre ki aur dekh rahe the, koi kuch puch paata usse pehle hi pari bolti hai “lekin mai tumhare ek sawaal ka jawab deti hu..voh time travel nahi tha..maine time ko rewind kiya tha, get ready for Zorians..hamare pass waqt nahi, we don’t have time”
Paridhi ki baat khatam hote hi uss jagah par joro se hamla hone laga aur dekhte hi dekhte voh pura ware house hilne laga, aur fir achanak se hi chat todte hi vaha par zorian ki sena aagayi
“murkh insaaan, yeh tumhari aakhri galti thi..ab tumhe humse koi nahi bacha sakta” zorian ka leader gurrate hue unn sabke samne aa khada hua “humlaaa” uska hukum milte hi zorian ki sena ne sabhi par waar karna chalu kar diya
Akshita “sam, Pari kaha hai..??” ne apne charo aur dekhte hue kaha
To be continued..