us keede ko chhod ke koi bhi hathiyar ya koi khatarnaak prani nahi bache black heart ke paas...Waise bahot uttpat macha liya is black heart ne lekin isse pehle BH aur uddham machaye, usko uske anjam tak pahuncha diya gaya... bakre ki maa kab tak kher manati... wo bhi mara gaya rider ke hatho.... sab kuch thik ho gaya.... wo holes band hoke aise gayab hua jaise waha wo the hi nahi... dharti bhi sahi jagah pe aa gayi....
sab kuch ho jaane ke baad ab inko kuch dino tak sukun bhari jindagi dena
Rahul0087@ sahab ka farz tha.... taaki apne Jeevan saathiyo ke sath ek achha time bita sake.... par hum readers ko pata hai writer sahab inko thodi na itne dino tak sukun bhari jindagi jeene denge... phir koi Naya villane entry lega, phir suru hoga mahasangram....
is story mein jo ek karm mein srikhalaa vadh tarike har hissa jode gaye hai, un sabhi hisson mein jis tarah se romance se leke rahashya tak, suspense se leke action aur thrill tak.... Past, aur present mein jikar kiye gaye har pehlu ko jis tarah se bina bigade ek lay vadh tarike se darshaya hai writer sahab ne sach mein adbhut aur aakarshaniya the.... kahani har bhag ko readers samjhe, uske anukul ek details ke sath explanation tha.... Pehlu, mod aise aakashit kare ki hazar baar kahani aur update se jude kirdaaro se dil se judne ko jee kare.... is tarah ki kahaniyo ko padhana sach mein kisi adventure se kam nahin hoti....na jaane kab kya seekhne ko mil jaaye.. kab kounsi baat aapke mann dil ke gehrayi tak chali jaaye.. ye sab kuch is tarah ki bemisal kahaniyo mein hi sambhav hai.... kahanikaar ne bharpoor koshish ki hai apni kahani mein apna best dene ki... aur sahi maayno mein writer sahab kaamyab bhi huye......
Fantasy prefix based story hi sahi lekin jeevan ke kayi anubhavon aur maadhurya se mishrit plot hai.. jo ki kahani kaar ne badi khubsurati se buna hai ,jeevan ki chunautiyaan, jimmedari, vachan , prerana, bhay aur laalach aur na jaane kya kya kahani kar apni kahani mein bata gaye .
kher ab dekhate hai katha ke majaboot paksh kya kya the...
narrations mein aapne kamaal kar diya hai ....shabdon ka aisa kamaal kaafi kam dekhne ko milta hai...har shabd ke andar bhaavnaye koot koot ke bhari hui hai ..har kisi ke bas ki baat nahin hoti, bhaavanao ko pradarshit karna jo ki aapne behatareen dhang se kiye hai...aapka bahut bahut dhanyavaad jo ek utkrisht kahani hume padhane ko mili....
Brilliant storyline with awesome writing skills