Rock~Devir
Member
- 145
- 322
- 78
BAHOT shaandaar mazedaar update dostUpdate 2
Update 2
Jaise jaise hamari gadi aage badhti gayi , babuji ki haweli najar aane lagi. Bohot badi alishan haweli ko dekhkar me sunn rah gaya tha. Mujhe tab pata chala ki ye thakur h us gaav ke. Haweli ko dekh kar andaja lagaya ja sakta tha. Puri haweli takriban panch yekad me bani huyi thi. Ek bada sa compound tha uske bichobich haweli . bohot sare paid podhe , bagicha bhi tha . baccho ke khelne ke liye bohot si jagah banayi gayi thi. Ek side me nokaron ke liye kuch rooms bane huye the .
Fir hamari gadi haweli me darwaje ke samne ruki. Hum gadi se utar hi rahe the ki ghar ke sare log eke k kar bahar aane lage. Ek bujurg ourat haathon me aarti ki thali lekar baahar aayi. Shayad ye unki patni thi.
Us ourat ne babuji ki aarati utari sath hi najar bhi uteri. Parantu unki family ke kuch sadaasya mujhe ghur ker ajib si najaron se dekh rahe the, soch rahe honge ki ye babuji kis bhikhari ko utha le aaye.
Sabhi andar jane ke liye mude hi the ki babuji ne sabko rok liya. Sabko hall me ikattha hone ka aadesh diya. or mujhe andar aane ka ishara kiya, me unke piche piche andar chala gaya. Main jaise hi andar aaya haweli ke andar ki khubsurati dekh kar me kahi kho sa gaya tha. Bohot hi badi or bohot hi khubsurati se har diwar pe kala ka pradarshan kiya gaya tha. Har ek kone me bohot saari sundar murtiya rakhi gayi thi.
Ghar ke sabhi log hall me baithe huye the babuji bhi jakar un sabhi ke sath baith gaye. Me bas khada khada sabko dekhe jar aha tha. Par kisise aankh milane ki himmat nahi ho rahi thi. Ye sab unke rutbe or mere gawar pan ke bich mano jaise yuddh chhid gaya ho or meri hi sikhast ho rahi ho.
Tabhi babuji bole ,
BA : hamara naam – Thakur. Vijaypratap singh hai . hum yaha ke thakur hai, ye gaav or usi ke sath or 4 gaav hamare hai. Un sabhi ki dekhbhal or kushionki jimmedari hamari hai.
Ye hai hamari patni –( Thakurain ) Bhanumati vijaypratap singh . ghar ki sari jimmedariya yahi sambhalti hai.
(chalo baki sabhi logonka intro me hi suna deta hun)
Unka bada beta – Pritam singh . inku umar 48 ke aaspas hai. Kheto ki sari jimmedari inhi ke sar di gayi hai. Ye apni patni se bohot pyar karte hai, kare bhi kyu na inki patni hai hi itni sundar komal sacche dil se apne pati ki or ghar ki saari jimeeradiya jo nibhati hai.
Badi bahu ( pritam singh ki patni )- Madhavi Pritam singh .inki umar 42 saal hai, unki khubsurati ko dekhte huye inki umar ka andaja lagaya nahi ja sakta. bohot pyari hai. Sabki dekhbhal karna inki aadat hai. Aapne saas or sasur ka bohot khayal rakhti hai or thakurain ko har kaam me haath batati hai.
Inke do betiya hai.
- Pari – 22 sal ki hai . bilkul apni maa par gayi hai. Graduation puri kar chuki h. aage kuch karna nahi hai inhe.
- Anu – 19 saal ki hai . thodi gussewali hai . parantu bohot pyari hai. Bsc kar rahi hai. Rang thoda sawala hai isiliye thodi kati kati rehti hai sabse.
Dusra beta – Jaydev singh – 46 saal ki umar hai inki. Par ab bhi khud ko young mante hai. Jimmedari ka inhe koi ahsas hi nahi hai. Bas aayyashi karna or apne kiye kaamo ko duniya se chupana yahi inhe ache se aata hai. Par sabke samne ye doodh ke dhule bane firte hai.
Inki patni or ghari dusri bahu - payal jaydev singh . ye lagbhag 40 saal ki hai. Inka nature apne pati se bilkul alag hai. Ye apne pati ko bohot chahati hai. Par pati ke bare me inhe kuch pata nhi hai ki wo bahar kya karta hai. Bohot khubsurat hai. Yoga karna inhe behad pasand hai . or ye khud bhi yoga karti hai or ghar ke chote bade sabhi se yoga karwati hai teacher ki tarah.
In ke teen bacche h –
- Sukannya – 21 saal ki hai. Or shahar me rehkar padhai kar rahi hai. Thodi swarthy kism ki hai , har wakt sirf khud ke bare me sochti hai. Ise apni sundarta par bohot ghamand hai.
- Maya – jaisa iska naam hai waise hi ye bhi hai . inpar gaavwalon ki bhalayi ka bhoot sawar hai to ye kuch na kuch kaam karti rehti hai . inki umar 19 saal hai. Ye rural development ki padhai karti hai. Khubsurat hone ke sath akalmand bhi hai.
- Yash – umar 17 saal hai abhi 12th me padh rahe h. inhe kisi ke life ke bare me koi lena dena nahi hai. Bas padhai padhai me hi gum hoye rehte hai.
Ghar ka chhota beta – vikram singh . ye 40 saal ke sai . peshe se ek doctor hai. Videsh me rehte hai apni patni or baccho ke sath. Saal me 2 mahine ke liye yaha aate hai taki family ke sath vakt bita sake or gaav walo ka bhi ilaj ka intejam kar sake.
Ghar ki chhoti bahu – parul vikram singh . inki umar 38 saal hai . ye bhi ek doctor hai. Collage ke douran inki dosti hui or dosti rishte me badal gayi. Bohot khubsurat hai. Koi bhi inhe dekh le to ve pyar me hi pad jaye . khud ki sehat ka bohot dhyan rakhti hai.
Inke bhi do bcche h
Inki family ko dekhkar meri aankhe bhar aayi . kaash meri bhi family hoti?????????
- Inke bhi do bcche h
- Sapna – 20 saal ki hai or ye bhi medical student hai. Maa ki tarah behed khupsurat h. nature bhi bohot acha hai. Videsh me jyada samay rehne ki vajah se ise india ke bare me jyada pata nahi hai.
- Sourabh – 18 saal ka hai . ye bhi apni maa par gaya hai. Inhe traveling ka bohot shouk hai . isiliye inhone traveling photography chun li usi ki padhai karte hai.
- Sabhi ka parichay ho gaya , are me ghar ke nokaron ko bhul hi gaya .
- Baki ghar me 7 noukar h unme se 5 mahilaye or baki do purush hai.
Inke liye bahar rehne ka intejam hai.
Bahot bahot shaandaar update dostUpdate 4
Sham ke panch baje ramu ne aakar mujhe uthaya,
Ramu : “ are bhai uthiye juldi, aapko thakur ji ne yaad kiya hai. Uthiye juldi.”
Mai : “ are ramu chacha aap inti aadar se naa baat kare hum aapse bohut chote hai, aap mujhe tut u boliye mujhe acha lagega. Samjhe aap?”
Ramu : “ samajh gaya beta, tum to thakur ji ke mehman ki tarah ho to thodi aadar to honi hi chahiye na ?”
Mai : “ aapki baat sahi hai, par me koi mehman nahi hun ek nokar hun to aap mujhe apne bête ki tarah hi bulaiye.”
( Ramu kaka : ye is ghar ke wafadar noukar hai. inki age 35 saal hai. Ye inki patni ke sath ghar ke khane pine ka sara intejam karte hai. Ye apne haatho se job hi banate hai pyar se banate hai. Subah ki coffiee se lekar sham ke khane tak. Haweli ko koi party ho ya koi karyakram sabhi ka sara intejam ye dono pati patni hi karte hai. Ramu kaka ka bachpan se lekar jawani tak saara jivan haweli me hi bit chukka hai . thakur ji or thakurain ji ne hi inki shadi karwai or inko naya jivan diya.
Kanta : Ramu kaka ki patni. Inki umar 31 saal hai. Dikhne me normal hai, Rang se saavli hai. 7th tak padhi likhi hai. Ye bhi apne pati ki tarah hi dil ki achi hai.
In dono ki khushal zindagi me bas ek hi dag hai or wo h ki inke koi bacche nahi hai . bas yahi ek baat in dono ko thes pahunchati hai dukh de jati hai. Parantu ye baa two kisiko batate nahi the sara dard apne sine me chupaye rakhte the. Jitni koshish kar sakte the kar chuke the , or paiso ki kami ke karan sari koshishe chhod di thi unhone , kisi ko batana nahi chahate the . kyun ki izzat ka khatara ban sakta tha. )
Mai char payi se utha or fresh ho kar haweli ke piche ki taraf chala gaya. Waha thakur ji or pritam singh baat kar rahe the. Mai waha gaya.
Mai : “ babuji aapne mujhe bulaya ?”
Thakur : “ haa tum pritam ke sath jao , wo tumhe saari baate samjha dega. Ache se kaam karna , mai tumpar bharosa kar raha hun mera bharosa mat todna. Agar kuch galat lage ya koi galti kare to mujhe ya pritam singh ko bata dena.”
Mai : “ ji babuji , me aapka bharosa nahi todunga. Aapne mujh jaise anath ko sahara diya hai , our waise bhi maa ji ne to mujhe family ka hissa mana hai. To fir aap hi bataiye ek beta apne pariwar ka barosa kaise tod sakta hai . ye meri bhi to family hai na.”
Thakur : “ bate to badi achi kar lete ho. Thik hai jao iske sath.” Muskurate huye haweli ke andar chale gate hai.
Mai or pritam singh tractor me baith kar kheto ki taraf nikal jate hai, gaav se gujarte wakt har koi pritam singh ko pranam karta to koi unka haalchal puchta. Kaib 15 min baad hum kheto me pahunch gaye the.
Pritam singh ne bataya ki, “ Gaav ki saari jamin thakur ji ki hi hai. Kul mila kar 1000 yekad ki jamin hai unke 4 hisse kiye gaye the or har hisse pe bohot sare log kaam karte hai kuch logo ko kheto ki dekhbhal ke liye rakha gaya hai. Or ye hissa tum sambhalo ge bich bich me mai bhi yaha aaya karunga. Baki raat me tum torch or ek lakdi sath me rakha karo . bich bich me chakkar lagate rehna . or dekho shree yaha choriya bohot hoti hai isliye dhyan se kaam karna. Shikayat ka koi mouka mat dena.
Mai : “ji chote thakur .”
Pritam singh : “ are me koi thakur nahi hun, mujhe ye thakuro wale kaam pasand nahi ha . ye sab jane do , apne bare me kuch batao?” meri taraf dekhte huye smile kar dete hai.
Mai : “ mera kya hai me bas ek musafir hun jise khud ke bare me kuch nahi pata , khud ka koi wajud hi nahi hai yun samajh lijiye khud ki talash me hun.”
Pritam singh : “ hmm samasya thodi gambhir hai, par mere pass iska ilaj hai, agar tum mano to?” smile karte huye.
Mai : “ pata nahi pr aap kehte ho to maan leta hun, bataiye kya ilaj hai?”
Pritam singh : “ dekho tumhari pichli zindagi kaisi thi ye sab chhodo, or jo ab tumhe jindagi jine ke liye sari umar padi hai, khud ko akela samjhna chhodo or sabhi ko apna samjho . jaise ki is gaav ka har shaks apna hai . ye gaav ek pariwar hai. Inke sukh me dukh me shamil ho jao unhe apnao . fir dekhna ye sab log tumhe itna pyar denge kit um khud ko hi bhool jaoge samjhe buddhu.” Mere sar par haath ferte huye, “ dekho mai janta hun me tumse umar me bohot bada hun , parantu hum dost ban sakte hai, tum apne dil ki saari baate mujhe bata sakte ho kabhi bhi.”
Mai : “ kya aap sach me mere dost banenge?”
Pritam singh : “ haa haa kyu nahi agar tum chaho to.”
Mai : “ haan hum dost hai. Or aapki har baat me samajh gaya, aaj se kabhi dukhi nahi hounga.
Pritam singh : “chalo me chalta hun, tumhara khana kisike haantho bhijwa dunga. Or savdhan rehna samjhe. Me chalta hun.” Pritam singh chale jate hai.
Abhi tak suraj dhala nahi tha isiliye me bhi kheto me ghumne chala jata hun ek torch or ek danda lekar .
( dosto is kahani me bohot sare romantic seens hai, bohot sara suspance bhi hai, mai kahani ko real feeling dene ka prayas kar raha hun , isiliye kahani thodi lambi khinch sakti hai. Me apni puri koshish karunga )
Nice update brother.....Update 4