Update 46
Dono samne sakhs ko baas dekh rahe thy herani se fir ek dusre ko dekh ke mann mai badbadane lage,
Raj : yaar...nahi ye nahi ho sakta..ye mera sasur hai.. mujhe to iski sakal bhi pasand nahi hai.....
Viren : aab jo hai wo hai..aagar sasur exchange hota to pakka kar deta tere liye.
Raj Viren ki aur dekh ke : aagar yesa koyi offer hota to mai pakka exchange kar leta.....
fir dono Ruhi ke awaj sunke apne apne khyalo ki duniya se bahar aate hai.
Jessa haal inn dono ka tha Ruhi ke papa ka bhi haal kuch wesa hi tha. Jesse hi Ruhi ke papa hath upar karne lagte hai dono jaldi se aage badh ke unke pair chu lete hai. Ruhi ke papa aur bhi herani se in dono ko dekhne lagte hai. Jaab Ruhi ki maa Ruhi ki papa ko hila ti hai taab jake wo hosh mai aate hai.
Ram Sharma : Ruhi ke pita....
Ritika Sharma : Ruhi ki maa....
Rohan Sharma (Ron) : Ruhi ka chota bhai.
Ritika Ram ko hilane ke baad : bacho ko ashirbad dijiye....
Ram : han...jite raho.....
Dono Raj aur Viren khade ho jate hai.
Ram : Ruhi ye..ye dono....
Ruhi : papa ye Rajveer hai mere boss aur Rohan Bhai ke bachpan ke dost...aur ye Viren ji hai Rohan Bhai aur Rajveer kr dost.....
Ram ji apna sar hilake gehri ankho se inn dono ko ghurte hai.
Viren Raj ke kaan mai : sasur ko chod apni saas ko pakad....inhe pata le phir ye bhi maan jayenge....fir ankh maar deta hai.....
Viren ki baate sunke Raj uske aur dekh ke dhire se,
Raj : tu na Anu se dur raha kar...uske Jessa hota ja raha hai tu....
Fir dono aage badhkar Ritika ji ke pair chu lete hai,
Ritika : jite raho beta..khush raho.....
Ron : Rajveer sir mai apka bahot bada fan hun..sach mai apne itne kaam time mai itna bada mukam hasil kiya hai..aap to mere inspiration ho...apko pata hai mere laptop per apki hi photo lagi huyi hai mom ko bhi pata hai, hai na mom....
Ritika : tabhi to Sochu ki tumhe kanhi to dekha hai. Ye sach mai bahut bada fan hai.
Viren (mann mai Raj se) : aare wah teri saas aur sala dono hi tujhse pehle hi impressed hai.
Ram : mujhe nahi pata ki tune iska...mera matlab inka photo lagaya hai.
Ron : papa aap mere paas bethte hi kaab ho jo apko pata ho..mom ko pata hai....
Ritika ji Anu ko dekh ke : ye bachi kon hai beta..badi pyaari hai....
Ruhi : ye anuska hai Rajveer sir ki behen aur meri bahut achi pyaari si dost....
Anu : sukar hai aunty apne dekh to liya mujhe to laga ki mujhe to bhul hi gaye saab....
Ritika : aap ko koyi kesse bhul sakte hai aap to into pyaari ho....
Viren (mann mai) : han ye to sach hai pyaari to bahot hai per bin mousam ki barish hai...jaab marzi baras jati hai.....
fir sabhi car ke taraf aane lagte hai,
Raj : mai,Viren aur uncle ek car mai aate hai..wo kya hai na Rohan ke liye sagun ka saman lena hai aur uncle se thodi baat bhi ho jayegi.....
Jesse hi Ram ji kuch bolne ko huye....
Viren : han aur kaal subha hi nikalna hai to aaj hi saab kuch lena hai to aap chalenge na uncle.....
Ritika : han han..jarur jayenge..Rohan hamara bache ki tarah hai..Ruhi ka kitna madat ki hai usne...uske liye kuch bhi...kyun ji....
Ram : hmmm..chalo....
fir dono Raj aur Viren ko ghurne lagte hai per Raj aur Viren inko dekh ke hasne lagte hai per mann hi mann.
Ruhi dusri car mai sabko leke chali jati hai aur ye wala car Raj chala raha tha Viren uske paas ki seat mai tha aur Ram ji piche.
Viren : to kese hai aap Sharma ji...kitne din baad mil rahe hai...hai na....
Ram ji kuch nahi bolte....
Raj : aare uncle kya hua.....
Ram ji : mai koyi uncle nahi hun tum dono ka....
Viren piche dekh ke : to junior to hai na...fir yese baat karte hai apne senior se, fir Ram ji ko ghurne lagta hai....
Ram ji thoda ghabra ke : sorry sir....
Raj : kya Viren tu bhi..it's ok uncle koyi baat nahi aap bade hai ham se..aur baas ham per apka gussa kabhi samajh nahi paye..aap hamesha ham dono se kyun itna chidte ho....
Raj ne car ek jagah rok di, wanha pe baas ek garage tha.
Viren abhi bhi Ram ji ko ghur raha tha,
Viren : chale Sharma ji.....
Ram ji : ji sir....
Raj aur Viren dono garage me ander jate hai aur unke piche piche Sharma ji bhi.
Raj : uncle apne bataya nahi.....
Ram ji : ander chal me baat kare.
Raj sar hila deta hai, yanha baas ek ladka moujud tha Raj ne usse ishara kar deta hai to wo pichla Sutter khol deta hai, teeno ander chale jate hai. Aage ek darwaja tha jo code se khulta tha, Raj ne code dal ke khol deta hai to uska iris scan hota hai fir jake darwaja khulta hai. Teeno ander aake niche sidhiyo se jane lagte hai.
wanha ek computer lab thy aur ek aur office bana tha, teeno wanha chale jate hai.
Ram : han to kya puch rahe thy...ki mai tum dono se kyun chidta hun...ye to tum dono ko bhi pata hai koyi mission tum dono ne kisi ko bina maare pura nahi karte..jo orders diye jate hai tumhe tum dono uss tarah se kabhi kaam nahi karte...Viren sir ko kaha tha ki punjab se drugs ka khatma karna hai per inhone wanha 3 police walo ko mara diya aur aap Rajveer sir...uss minister ko marna nahi tha baas information nikalni thy, aapne usse bhi maar diya....
Viren bich mai hi bol padta hai : to apko ye bhi pata hoga ki maine kyun mara tha unhe, wo teeno drugs supply karte thy border se paar se leke, aur do ladkiyo ki jindegi kharab kar di thy. Wese hi yese logo ko mere nazar mai inhe jine ka koyi haak nahi hai.
Raj : aur apko ye bhi pata hoga ki maine kyun mara wo minister, wo sala... ladkiyo ki...chi..mujhe to bolte huye bhi ghin aati hai, wese bhi jo information chahiye maine le li thy.....
Viren : aap to hamare computer expert hai. Apko to hamne saab kuch bheja tha na...to wajah bhi pata hogi unhe marne ki wajah. Aab bhi ham aapko galat lagte hai.
Raj : wese bhi agar dharti pe paap badh jata hai to usse khatam karna padta hai aur haam ye karke thodi bahut bhagwan bhi madat kar rahe hai.
Ram ji : per unke paapo ki saza unhe mil jayegi....
Viren : apko bhi pata hai hamara law wo kuch nahi kar pata aur kaab tak haam bhagwan bharose rehte...
Ram ji : per hamme govt. Ki bhi jawab dena padta hai....
Viren : uske liye chief hai na...wese bhi hamme jo bhi karte hai unhe bata kaar karte hai.
Raj : aab to apko koyi pareshani nahi hai na hamse....
Ram ji : wo to hamesha rahegi....
Raj aur Viren Ram ji ki baate sunke ek dusre ko dekhte hai aur fir sar hila kar hasne lagte hai.
Viren : aapka kuch nahi ho sakta Sharma ji....
Ram ji (gusse se) : kya matlab....
Raj : kuch nahi ye pen drive hai uncle...sabhi detail hai yanha ke do no. Ki kaam hai aap dekh ke chief ko bata dijiye....