Naik
Well-Known Member
- 21,577
- 77,466
- 258
Update 48Raj, Anu aur Viren Ruhi ke ghar wale ko pick karke sidhe airport jate hai aur wanha se Bangalore, wanha Rohan aur Kabir dono aaye thy sabhi ko lene ke liye.Sharma ji Rohan se mil ke bahut khush hote hai, Rohan Kabir ke bare mai bataya hai, usse bhi khush hokar milte hai.Sabhi Raj ke ghar per hi rukhte hai aur sham ko Mallik sahab ko milne ke liye nikal jate hai. Iss saab mai Raj saab ki bahot care karta hai. Ruhi ki mom to baas Raj ki tarif hi Kari ja rahi thy. Ron to pehle se hi Raj se impressed tha. Baas Sharma ji chid rahe thy per Ruhi ki mom ne unhe bilkul ignore kiya hua tha. Raj Anu aur Viren ka plan kaam kar raha tha.baas 10 din baad shadi thy. Shadi do tarike se honi thy, din mai nikah aur raat ko phere...saab tayari Raj aur Rohan kar rahe thy ladke balo ki taraf se.Ladki walo ki taraf se Viren aur Kabir lage thy. Rohan bhi Raj ke plan mai shamil tha aur wo bhi Raj ki achi adat batata aur dikhata rehta Sharma ji ko, Sharma ji ka dil aab pighalane laga tha.Shadi ko aab ek hafta hi reh gaya tha aur Sharma ji taas se maas nahi ho rahe thy. Ruhi ki mom ne bhi han kar di thy Rohan ki puchne per saab baas Sharma ji ke jawab ke intezar mai thy. Sabhi ne try kar liya tha aab iss baar Kabir ne kaman sambhala....Ek din Kabir kisi kaam se Raj ke banglow aaya to pata chala ki saab shoping karne gaye hai, fir usne Ram ji ko dekha to wo sofe pe bethe bethe pure ghar ko nihar rahe thy Kabir bhi unke paas jake beth gaya.Kabir : kese hai uncle aap?Ram ji : aare beta tum..mai thik hun tum batao kese ho, tayari kese chal rahi hai shadi ki?Kabir : bahut achi chal rahi hai per maine suna hai ki do do shadiya ho rahi hai yanha....Ram ji thode akad ke sath : nahi saab ke waham hai ye...saab chahte hai ki Ruhi ki shadi uss....uss Rajveer ke sath hi ho jaye....Kabir : oohh...to ye baat hai per isme to apka hi fayeda hai....Ram ji herani se : wo kese...mai kuch samajha nahi....kabir apna master mind use karke : dekhiye uncle..aagar Ruhani ji ki shadi Rajveer se ho gayi to wo to apki haar baat manne ke liye jhukna hoga aur manni hi padegi...wese bhi uske maa papa nahi hai to apni patni ke hi maa papa ko unka darja hi dega....Fir kuch der rukh ke Ram ji ke aur dekhta hai jo kuch soch rahe thy....Kabir : ye jo ghar dekh rahe hai na ye uski maa ka sapna tha jo usne puri ji jaan laga kar pura kiya. Jyada tar jo anath bache hote hai kabhi sahi raste pe nahi badhte aur ye mukam nahi hasil karte, per Raj ne ye kiya...wese to mujhe bhi wo kuch khash pasand nahi hai hamesha apni chalata hai per uski mehnat aur imandari ki daat deta hun..hamesha galat ke khilaf ladha hai.aab jaab Kabir ne Ram ji ko dekha to wo thode naram pad rahe thy,Kabir (mann mai) : chal beta Kabir baas aab akhri chot de hi de fir dusman haar jayega.Kabir : per uncle ek baat to hai, wo gussa bahut karta hai..aur aagar aapne han nahi ki to gusse maj hi per shadi to karega Ruhani ji se aur gusse se ki to puri jindegi wo aur Ruhani dono hi apke hatho se nikal jayenge....Wo to apne bache tak ko apke paas aane nahi dega..soch lo uncle aab aap...wese bhi aunty aur chote Ron dono uske taraf hai..ye na ho ki head of the family usse hi bana de..aage aap samajhdar hai, soch lijiye...Ram ji Kabir ki baate sunke soch mai pad jate hai, aur Kabir wanha se khisak jata hai aur mall mai uske paas chala jata hai phone karke.Mall mai aake Kabir sidha Raj aur Viren ke paas aata hai jo Rohan ki dress lene mai madat kar rahe thy.Kabir : to Raj..dekh tera ye kabil dost saab set kar diya hai, yesi yesi baate boli hai hi Sharma ji se pehle hi ball mai out ho gaye. Tu baas ghar ja dekhna tujhe gale se laga lenge.Viren : aur aagar tune kuch gadbad ki huyi hogi to....Kabir : yaar...thoda to bharosha rakh....Rohan : aagar kuch gadbad huyi to ye haam teeno se pitega.....Raj : han ye thik hai..aagar kuch hua to tu dekh lena ki tera kya hoga....Kabir : aur aagar maan gaye to....Raj : tere liye pakka ek achi si ladki dekh ke tera shadi karwa dunga....Kabir khush hoke : saab apni baat per rehna.....teeno ek sath : tu bhi.....saab ladkiyo ke taraf jati hai jo abhi bhi kapde le rahe thy, Ruhi jo bhi saree uthati Raj na mai sar hila deti hai, saab ke kapde ho gaye aur idha Raj baas na na kar raha tha to Ruhi ke nahi huye thy.Anu saab ko jane ko bols aur khud Ruhi ke sath aane ko bol diya. Ritika ji ne bhi Raj ko rukhne ke liye bol diya, wo to khud chahti thy ki dono sath hi rahe. Raj ka dil to maano khushi se uchal raha tha.Raj ke kehne le Viren bhi rukh jata hai aur Raj Anu aur Viren ko kuch ishara kar deta hai to wo dono sath mai chale jate hai Raj aur Ruhi ko chod ke.Raj ne ek shadi ka joda Ruhi ko diya aur pehne ko kaha, Ruhi bhi bina kuch kahe leke chali gayi aur try karke trial room se bahar aagayi aur Raj ko dikhane lagi.Jaab Ruhi bahar aayi trial room se to sare jo bhi shop pe thy saab Ruhi ko dekhne lage. Raj bhi baas Ruhi ko dekhe ja raha tha.Fir Raj aage badh ke Ruhi ke paas aajata hai,Raj : Ruhi ye shadi ke jode mai bahut pyaari lag rahi ho..yanhi pehen na hai tumhe hamare shadi mai....Ruhi herani se : per papa....Raj : wo masn jayenge..mujhpe bharosha hai na...Ruhi han mai apna sar hila deti hai.Raj : to baas fir...jao change kar lo aur kuch thik karwana baj to abhi bol do....Ruhi : han..wo...wo..ye choli thodi loose hai to....Raj : koyi baat nahi abhi thik kar denge...Ruhi jaab change karke aati hai to usko thik karne ke liye de dete hai aur usme 1 ghanta lagna tha to Anu aur Viren ko bula ke kuch khana khane chale jate hai, aur fir aake dress leke ghar chale jate hai.jesse hi ghar pahunche to samne Sharma ji bethe thy aur baki saab side mai khade thy, charo aur sannata tha.Viren (mann mai) : ek to inhe bhi Chen nahi..pata nahi kya kahenge...fir Kabir ke taraf dekha to uska munh utra hua tha.Ram ji (gusse se) : Ruhani tum...tum iss..iss Rajveer se pyaar karti ho?Ruhi bina dare Raj ka hath tham kar : ji papa....Sharma ji ne Ruhi ko ghurne lage per Ruhi ne Raj hath choda nahi aur jor se pakad liya, saab Ruhi aur Raj ko dekh rahe thy.Raj (mann mai) : wah meri sherni...hitler ko pehli hi ball mai clean bold kar diya....Ram ji : to tumhare liye mera faisla koyi mayene nahi rakhta....Ruhi : rakhta hai papa bahut rakhta hai tabhi to aab taak maine Raj ke sath shadi ke liye han nahi kahi sur to aur wo khud yanhi chahte hai ki aapki han ke baad hi ham shadi kare.
Bahot behtareen zaberdast shaandaar lajawab update bhai