- 4,422
- 1,976
- 143
Update 84
Dopahar ka waqt thaa aditya ek garden men bech par baitha thaa aur
kuchh soch men duba thaa. Wo bench ek ped ke niche chaav men laga hua thaa. Dopahar ki tapti garmi men us ped ki chhav ek alag hi aanand de rahi thi.
Aditya aaspaas dekhta hain ki Pratap kahan hai. Par kuchh der men hi wo kuchh alag sochne laga. Kuchh sochte huye usne ek cigratte nikal kar sulga li. Wo pahala kash lagata usse pahale hi ek aadmi wahan aaya.
Us aadmi ne naa kuchh puchha bas wo aditya ke bech par aake baith gaya. Us aadmi ke aise behavior se aditya ka dhyaan uski taraf gaya. Usne usko baithte huye hi dekha thaa, wo aadmi koi 50-55 ke karib, kaafi lamba 6 feet se upar height, usko acchi dikhne wali body, wo aadmi pure safed libas men thaa.
Wo libas us aadmi par jach bhi raha thaa. Us aadmi ke chehare par ek alag hi tej thaa, jo use dekhe bas dekhta rah jaaye. Aditya use bas
taaka jaa raha thaa. Achanak se wo aadmi bol pada “are aditya Jahagirdar, aur kitna ghoor ke dekhoge mujhe, dekhiye cigratte kab ki bujh chuki”
Achanak aditya kuchh khayalon men se bahar aaya. Aditya ko pata thaa ki wo aajtalk is aadmi se nahin mila hai. Usne kaha “aap kaun hain aur mujhe kaise jaante hai?”
Usne hanste huye kaha “main kaun hun? Ye main aapko abhi nahin bataunga jate waqt bataunga, aur main aapko kaise jaanta hun? To main kaafi logonko jaanta hun jaise Pratap, Abhiman, Pooja, Manisha, aur Deepa bhi”
Ab aditya to pura hil gaya thaa. Usne ek aur cigratte nikali. Aur kaha “kyaa chahte ho mujhse?”
Us aadmi ne firse apne chehare par ek halki muskurahat late huye kaha “mujhe aura apse kaam? Kuchh nahin hai bas yunhi man kiya to milne aa gaya”
Kuchh der ki shanti ke baad wo aadmi kahta hai “aditya dinesh ke maamle men jyada mat socho”
Aditya “fir kya karun?”
Aadmi “tumhe iske siway bhi kuchh aur hai jiske bare men sochna chahiye abhi”
Aditya ye kisi ke saamne nahin kahta par us aadmi ke aawaj se use naa jane aisa kyun laga ki usse uski naa jane kitni pahchan hai “wo dinesh pata nahin ab kya karega”
Aadmi “tum agar uski jagah hote to kya karte”
Aditya “main is men se koi bhi baat apne shauk ke liye nahin kiyi hai” Aadmi “haan mujhe pata hai”
Aditya “pata hai kaise?”
Aadmi “wo chhodo ye yaad rakho ki tumhara raasta kaanton bhara hain aur tumko sirf aage badhna hai”
Aditya “maine ye chije apne man se hi nahin kiyi hai firbhi…” iske aage wo kah nahin paya
Aadmi “so dark the con of man…… har ek aadmi tumhare jaisa special
nahin hota, aur mahan banne ke liye kuchh kurbaaniyaan deni padti hai”
Aditya “haan par main hi kyun? Main nahin banana chahata mahaan”
Aadmi “tum aise insaan ho jismen kaafi kuchh badalne ki takad hai” Aditya “sach fir main deepa mujhse dur kyun hun?”
Aadmi “shatyad nilofar ko tum bhul gaye ho”
Aditya ko nilofar ka naam uske muh se sunkar ek aur jhatka baitha thaa.
Aadmi “pichhali baar yah sab bhi to nilofar ke saath bhi hua thaa”
Aditya “us chij ne meri jindagi badal di thi”
Aadmi “han uske baad hi wo sab kuchh hua hain jo tum kabhi nahin chahte the”
Aditya ab apne haath men aur ek cigratte sulgata hain aur ek us aadmi ki taraf badhata hain jisko wah aadmi mana kar deta hai. Aditya uska kash lekar kahta hai “deepa hamesha mujhe kahti hai, ise chhod do ye tumhe maar dalegi”
Aadmi “ismen utni himmat nahin ki tumhari jaan le sake”
Aditya firse ek aur kash khinchkar kahta hai “agar deepa naa mili to main tut jaaunga”
Aadmi “nahin aisa kuchh nahin hoga yaad rakho dunia kisike liye rukti
nahin tumhe bhi uske saath chalna padega”
Aditya ko aisa lagta hai jaise ab wo ro padega wo samne dekhta hai par uski aankh se aansu nahin aate.
Wo aadmi muskurate huye kahta hai “rona chahte ho, par tum ro nahin sake, tumhare aansu kabhi nahin nikalenge, yaad hain jab tumhare mummy-daddy gujare the, nilofar ki maut tab bhi tum nahin roye” Aditya “to main yahan kyun hun?”
Aadmi “lagta hai ab tumhe sab batana hoga…. Tum apne janm ke saath ek takdeer lekar aaye ho, tum apne family ke rakshak ho, tumhe in sab bhaavnaonmen ulajhne ki ijajat nahin hai”
Aditya kuchh nahin kahta bas wo aadmi kya kahta hain uski taraf dhyan deta hain
“tumhare papa bhi kuchh aise hi the, yaad rakho tum kabhi khud ek samraat nahin banoge par tum ek samraat se kam bhi nahin ho, tum apne jindagi men bahut digajjonko dhul chataoge, aur abtak to kaiyonko chata bhi chuke ho”
Aditya “to mere life men kya likha hai?”
Us aadmi ne ek thandi saans lete huye kahta hai “kaafi jangen dekhni hain to taiyar ho jao, tumhe dusaronko itna bada banana hain ki wo kuchh ban sake”
Aditya “main kuchh samajha nahin”
Us aadmi ne aditya ke peetha par haath ferte huye kaha “godfather to bahut bante hain par unhe banane wale kuchh hi hote hai, ab utho jaao taiyar ho jaao, aise kinare baithe rahna tumhare liye accha nahin” Aditya uthkar nikalta hain aur thoda dur chalne par pichhe mud kar us aadmi ki taraf dekhta hain aur puchhta hain “aapne bataya nahin aap
kaun ho?”
Wo aadmi hansne lagta hain jor jor se aur fir kahta hai “main to bas ek chhota sa mohra hun upar wale ka, bas mil leta hun kisiko agar koi apni raah se bhatak jaaye to”
Aditya “to main kya karun dinesh ke baren men?”
Aadmi “lado apni puri takad se bas ek yad rakhna, jindgi men kuchh bhi karo par kabhi kisipar bas anyay mat karna”
Ab aditya aage badh jata hai kuchh kadam aur chalkar use aisa lagta hai ki use aur kuchh puchhna hain isliye wo pichhe dekhta hain to use us ped ki chhav men laga hua khali bench najar aata hai.
Ab aditya kuchh soche tabhi achanak uski nind tut jati hai, wo uthkar saamne ghadi men dekhta hain to subah ke 4 baj rahe the…