• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?


  • Total voters
    11

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 74



Kuchh din baad aditya aur Pratap nashte ke table par baithe the. aditya aaj dekhta hain ki Pratap apne kaam se kaafi pareshaan ho chuka hain.

Aditya “subah ke 9 baj rahe aur tere muh par 12 kyun baje hain?” Pratap “kuchh nahin hain”

Aditya “dekh jhuth bolna buri baat hain aur mujhe jaise se jo teri rag

rag se wakif ho usse to bahut jyada dangerous”

Pratap apne sir ko haath lagakar kuchh der sochta hain aur aakhirkaar bol hi deta hain “are yaar tere ko kyaa bataau ye production targets, workers ke lafde aur naa jaane kya kya”

Aditya hante huye kahta hain “are company ka maalik main hun yaa tu?”

Pratap “haan sach baat hain malik mast ishq farmate rahte hain to kisina kisi ko to company ki fikar karni padegi naa?”

Aditya “chhod re sab kuchh thik ho jaayega”

Pratap “haan tu bas yahi suna main deepa hun naa jo teri baton par yakeen kar lunga”

Aditya ab zor zor se hansne lagta hain aur kahta hain “tere jagah koi

aur bharti kar le aur tu maje maar”

Pratap “ye sab itna aasan hain naa wo Buddha narayanan apne donon ka muh dekhega aur kahega ki aap donon mauj manaao main kaam karunga”

Aditya hansta rahta hain Pratap aage kahta hain “wo Buddha khud roj aakar dinbhar office baithta hain aur chahta hain ki hum bhi dinbhar kaam Karen”

Aditya “are wo to uski biwi se uski jamti nahin isliye wo dinbhar office

men baitha rahta hain”

Pratap “are wo to chhod designer ladkonko kuchh problem aayi nahin ki hamen yaad karta hain”

Aditya “wo bolta hain ladkonko ‘errr…. Ye kyaa laaya…… aditya sir ko dikhao, ye wahi dekhta hain’”

Pratap “aur koi acchi chhokri aaye office men”

Aditya “are bahar ki to de chhod pichhali baar ek customer aayi thi purchase officer thi”

Pratap “kya kiya thaa?”

Aditya “are office men hi jo dore daal raha thaa uspar ki mujhe hi sharam aa rahi thi. bahar smoke kar raha thaa to bahar hi maine usse baat karke deal pakki karwai par jaate waqt bol gaye ki ‘sambhaal ke raho apne partner ko”

Is baat par donon hansne lagte hain aur Pratap kahta hain “ab pata chala mujhe ki kyun tum office men koi ladki job par nahin rakhne dete”

Aditya “yaar aakhir meri bhi koi jimmedari hain kaise main kisi bakri ko laakar ek bhediye ke side men baandh du”

Pratap “waise isko sabak sikhane wali koi bharti karwa le”

Aditya “koi milne de aisi ki jo isko milk no.6 yaad dila sake 1 minute men bharti kar lungaa”

Is baat par firse hansne lagte hain. Pratap waqt dekhta hain “oh shits yaar chal office ke liye late ho jayenge”

Aditya turant gadi ki chaabi uthata hain aur chalta hain. Pratap ko office drop karke kahta hain “taiyar rahna saath men lunch karne abhiman ke yahan jaayenge” itna kahkar wo kahin par chala jata hain.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 75

Dopahar men aditya deepa ke saath aur abhiman Pratap ke saath lunch karte hain. lunch hone ke baad teenon smoke karne ke liye firse ikkatthe ho jate hain.
Is baar abhiman packet nikalta hain aur sab log usmen se ciggrate lete hain. light karne ke baad Pratap aditya se kahta hain “kyaa re shayaane subah subah main hi mila thaa kya tujhe ullu banane ke liye?”
Aditya mast cigratte ka kash le raha thaa aur uske muh par muskan thi. abhiman “kyun kya hua?”
Pratap “subah bola tu, main aur abhiman milkar lunch karenge, aur
yahan aate hi chala gaya deepa ke saath aur chhod diya mujhe tere saath”
Abhiman “ek minute baar clear kar ki tujhe bura kis baat ka laga hain?
aditya ne deepa ke saath luch kiya uska ya tumhe mere saath karna pada iska?”
Ab aditya aur abhiman jor jor se hansne lagte hain, Pratap kahta hain
“haan ab tu bhi isika saath de aakhir ye tera dost hi hain main kaun hun tera?”
Aditya “chal bas kar be ab nautanki”
Pratap “nautanki kisko bola be?” Aditya “tere ko”
Pratap “chal main to nautanki hun par tu to kamina hain”
Aditya aur abhiman ab aur jor jor se hanste hain aditya kahta hain “daru piyega”
Pratap “haan piunga” wo is baar jara gusse men aakar hi kahta hain Abhiman “oye tune shadi pakki hone ki party promise kiyi thi abhi tak diyi nahin hain”
Aditya “chal wo chhod ye batao tum donon apne kaam se itne frustrated ho gaye ho break lekar kahin ghumne kyun nahin chale jaate?”
Pratap “ab kahan jaau main akela?”
Aditya “tere saath mere ko pakad le, deepa ki koi tension nahin use samjha dunga”
Abhiman “oye kaminon tumne apni donon ka to fix kar liya mera kya?” Aditya “chal tu bhi saath chalna hamare”
Abhiman “mujhe tum logonke hi saath agar jana hain to main jaau hi
kyun, tum donon kaminon ko main saalonse pahchanta hun, raat ko daru pioge aur fir puri raat baton men yun nikal jaayegi, tum donon ko kuchh farak nahin padega, din bhar aadhi nind men aur aadha jaga hua rahunga to main”
Ab ki baar aditya aur Pratap hansne shuru kar dete hain. wo donon hans rahe hain dekhkar abhiman ab chidh jata hain. aditya “chal thik hain fir ye bata tu jana kiske saath chahta hain?”
Pratap “ye jaana kiske sath chahega itna bhi tujhe samjha nahin” Aditya “nahin yaar ab ye bataye to main jaanu naa”
Pratap “chal fir jane de ise apne saath hi le jaayenge” aur firse thahake lagane lagte hain
Abhiman “tum jaise dost ho to bhagvan ne dushman banaye hi kyun?”
Pratap “yaar tariff kar raha hain ya beijjatti” Abhiman “jo chahe samajh lo”
Aditya “chal thik hain pooja ke saath hi aana chahta hain na tu?” Abhiman “fir aur kisiko le jaaunga kya?”
Pratap “pata nahin agar reshma ko sath le jana chahte ho to humare
saath aana bekar hain fir” Abhiman “bas bhi karo ab”
Aditya “chal thik hain par pooja mere hisaab se manegi nahin akeli
aane ko”
Abhiman “matlab?”
Pratap “she doesn’t want to be the only lady member of our crew” Abhiman “fir deepa ko bhi saath le jayenge”
Aditya “halwa samajh rakha hain kya?”
Abhiman “abe tu hain naa fir saath men aane se mana kyun karegi aur fir saath men pooja bhi to hogi uske saath”
Aditya “chal thik hain par ye bata Manisha ka kyaa karega kyunki pooja saath ja rahi hain to wo to Manisha ko batane se rahi nahin”
Pratap “aur Manisha ghar men jo matter ko tul de degi tumhare jane ke baad ki tujhe aane par sabse pahale ghar men ladai ko taiyar rahna padega”
Abhiman “haan yaar ye to maine socha hi nahin, karenge kyaa uska?” Aditya “use bhi saath le chal”
Abhiman “kahin tu pagal to nahin ho gaya, wo hamare saath aayegi fir
to mauj hi kar paayenge” Aditya “uska tension tu mat le”
Abhiman “aur jayenge kahan re?”
Aditya “tadoba tiger reserve”
Abhiman “sunkar hi excitement ho rahi hain” Aditya “hain naa aur bhi excitement hogi ismen” Abhiman “kyaa?”
Aditya “2 din wahan tiger reserve ghumenge aur baad men 3 din
traking”
Abhiman “traking wo bhi tiger ke ilake men?”
Aditya “nahin yaar usse kuchh dur bada maja aayega”

Abhiman “chal thik hain jana kab hain?” Aditya “packing kar le 2 hi din bache hain”

Itnaa kahkar aditya aur Pratap hansne lag jate hain. abhiman “itni short

notice, chal koi nahin tu sab se baat kar le main chala kaam karne”…
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 76

2 din baad subah aditya aur Pratap abhiman ke ghar aa jate hain. ghar par sari packing karke abhiman baitha thaa uske paas bas ek handbag thi. wo aditya aur Pratap jab ghar aate hain tab uthkar kahta hain Abhiman “chalo”
Aditya “are ruk itni bhi kya jaldi hain, jara chaay to pila” Abhiman “haan chi pilata hun karke chaay ke liye kahta hain”
Chaay ke liye kahne ke baad aditya se chhoti si aawaj men puchhta hain “sari taiyari ho gayi hain naa?”
Aditya “haan sab kuchh taiyari hain tu tension mat le”
Pratap abhiman ki baat sunkar hans deta hain. chaay aa jati hain. Aditya “wo Manisha kahan hain?”
Abhiman “taiyar ho rahi hogi pata nahin ki uski packing hui hain ya nahin?”
aditya “aawaj laga use ki hum ja rahe hain”
abhiman “Manisha aana hain ya nahin hum log nikal rahe hain”
tabhi andar se aawaj aati hain “jara rukna abhi thodi packing baki hain” aditya apni chaay khatam karke cup niche rakhta hain aur kahta hain “ye ladkiyan bhi naa pata nahin kitni packing karti rahengi…. Main hi jaakar dekhta hun”
itna kahkar aditya uthkar anadar jata hain. kuchh der baad jab aditya ke saath Manisha bahar aati hain tab uske haath men ek badi si handbag thi.
use dekhkar Pratap rah nahin pata aur kahta hain “Manisha hum wahan ghumne ke liye jaa rahe hain humen wahaan jaakar bans nahin jana hain”
Manisha aage badhte huye “ha ha funny thaa hansu kya?”
Pratap aur baki sab hansne lag jate hain siway Manisha ke. Aditya “chalo abhi late ho raha hain kabhi lambi drive hain aur un donon ko bhi unke ghar se pickup karna hain”
Sabhi bahar chal padte hain. bahar aakar abhiman ruk jata hain. aditya uske saamne haath badha deta hain. abhiman “kya?”
Aditya “gadi ki chabi” Abhiman “kyun?”
Aditya “hamen charonko nahin jana hain aur bhi log aa rahe hain
hamare saath”
Itna kahte hi abhiman andar jakar apne endevour ki keys le aata hain. uske baad wo jaakar donon ko pickup kar lete hain.
Bahut badi drive ke baad wo raat ko resort pahunch jate hain jahan se unke liye safari arrange thi. raat ko unhone 2 rooms liye the. ek room men pooja, Manisha aur deepa ka rahne ka intejam tha aur dusare men baki sab ka.
Raat men sab thak chuke the to sab khana khaakar sidhe soneke liye chale gaye. Aditya room ke andar ghuste hi abhiman aur Pratap ek saath kahte hain “chal nikaal ab”
Aditya “haan ruko change karlo fir start karte hai”
Sab log change kar lete hain tab tak aditya wahan ladke ko bulakar pani aur glass mangwa leta hain.
Abhiman dekhta hain ki wahan par ice aur soda ya uske jasa kuchh
nahin thaa, wo turant aditya se puchh leta hain “ice aur soda nahi hain?”
Aditya “yahan daru bhi apni layi hui hain wo bhi nahin mili to ice aur
soda kahan se milenge?” Abhiman “par aise kaise?”
Aditya “yaa to pani ke saath piyo ya neat pio, aapke pas abhi bhi 2
choices hi hain aap kaise pina chahoge?” Abhiman “banao pani ke saath hi”
Aditya “praap tum?”
Pratap “pani ke saath”
Ab aditya peg banata hain kuchh der ke baad abhiman aditya se firse puchh leta hain “are yaar aditya tu yahan laya to hain humen aur aise hi sula raha hain”
Pratap “thik se dekh daru pila raha hain” Abhiman “are waise nahin re yaar” Aditya “fir kaise?”
Abhiman “samjha kar yaar”
Pratap “ab hum bina bataye kaise samjhe?” Abhiman “yaar kyun ab….”
Aditya “kya ab?”
Abhiman ab chup ho jata hai, aditya aur Pratap hansne lag jati hain. Aditya “tension mat le 2 din jane de, jab camping par jayenge tab usse baat kar lena”
Itna sunte hi jaise abhiman ke andar ek anokha josh aa jata hain aur wo apna peg pura pee leta hai. Raat ko der raat unki mahfil chalti hain aur uske baad 2 din tak wo tiger reserve ghumte hain aur kai khush

naseeb pal unke saath hote hain…
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 77





Itna sunte hi jaise abhiman ke andar ek anokha josh aa jata hain aur wo apna peg pura pee leta hai. Raat ko der raat unki mahfil chalti hain aur uske baad 2 din tak wo tiger reserve ghumte hain aur kai khush naseeb pal unke saath hote hain.

Dusare din sab uthkar ready ho jaate hain. aditya sabhi se kahta hain “sab log taiyaar hain camping ke liye?”

Sab log ek saath “taiyaar….”

Aditya “waah chalo nashte ki table par kuchh samjha deta hun”

Sabhi log nashte ki table par the aur aditya unhe bata raha tha “aaj se hum 3 din ke liye camping par ja rahe hain dopahar hum udhar jayenge, car wahi chhodni padegi aur fir hum log paidal ghumenge” Pooja “wait a sec. paidal ghumenge”

Aditya “ji maharani saheba aapko camping ka poora poora feel aaye isliye hum naa chahte huye bhi paidal hi ghumenge”

Pooja kuchh naraj si najar aditya ki taraf fenkati hain aur uske jawaab men aditya usko ek smile chipkaa deta hain. aditya aage kahta hain “ladkiyonko aapko wahan khana bhi banana padega”

Is baat par aur kuchh na sunanaa pade isliye koi kuchh nahin bolta. Fir nashta khatam karke sab log gaadi lekar nikal padte hain. kuchh der gadi chalane par aditya ek gaanv men lekar aata hain.

Us gaanv men wo ek ghar ke saamne gadi rokta hain. ghar bhale hi puri tarah se mitti aur lakdi ka bana hua thaa par acchi tarah se banaa hua thaa. Baaki gharonse bada aur kaafi accha thaa. Aditya jab gadi rokta hai ghar ke saamne 2 pahalwanon ki tarah dikhne waale log laathiyan pakad kar khade the.

Aditya aur baki sab gadi se utar jate hain. aditya aage badh jata hain to uske pichhe Pratap bhi chala jata hain. aditya aur Pratap aage badh kar unse kuch baat karte hain aur wo donon bakiyonko bhi aane ke liye ishara karte hain.

Baaki sab wahan jate hain. ab unmen se ek pahalwan unhe andar le jane ke liye aage badhta hain aur aditya uske pichhe chal padta hain. baaki sab bhi uske pichhe chale aate hain. sab log unke pichhe aate hain to ghar ke saamne jo ek jhula bana hua thaa uspar ek 50 ke aaspas umr ka ek aadmi baitha hua thaa.

Wo aadmi bhi kisi pahalwan se kam nahin thaa. Wo ek kudta aur dhoti pahane huye us jhule par jhul raha thaa. Aditya ko saamne dekhkar hi wo uth khada hota hain. aditya sidha aage jakar uske pair padta hain. wo kahta hai “jite raho beta”

Aditya “kaise ho kaka?”

Kaka “accha hun tum sunao kaise ho? Aur ghar men sab kuchh thik thaak hain?”

Aditya “haan sab thik thaak hain”

Kaka “bahut dinon baad aaye ho ab khana khaane ki hi taiyari ho rahi hain chalo khane ko baith jaao”

Aditya “main wahi soch kar aaya thaa ki mast bajre ki roti khaaunga

yahan”

Kaka hanste huye “are tumhara hi ghar hain kabhi tumhe mana kiya hain”

Aditya baaki sabka unse parichay karwate huye kahta hain “haan to miliye inse ye hain mere kaka, mere chachaji ke bahut purane dost aur is gaanv ke mukhiya”

Itna kahte hi sab log unhe Namaste karte hain. uske baad aditya un sab ki pahchaan kaka se karwata hain. sab log saath men khana khate hain.

Aditya “kaka meri gadi ki chabi ye rahi rakh lo main in sab ke saath traking ko le ja raha hun 3 din men aa jaaunga”

Kaka “thik hain beta chale jaao par batao to sahi jaa kaha rahe ho?”

Aditya unko dur ek parbat ki taraf ungli dikhata hain aur kahta hain “udhar jana hain, kisi ko kahiye jahan tak gadi jati hain humen chhod de” Uske baad wo unhe side men le jakar kuchh kahta hain aur wo haan men gardan hilane lagte hain aur aakhir men hanste hain aur aditya bhi ek naughty smile unhe paas kar deta hain. kaka ek ladke ko aawaj deta hain aur use un sab ko chhod kar aane ko kah deta hain.

Wo ladka gaadi nikalta hain. aditya jab desi ka theka dekhta hai tab use gadi rokne ko kahta hain. wo akela andar jata hain aur jab wo wapas aata hain tab uske haath men desi mahuye ki botal lekar aaya aur raw tambakoo ki 2-3 packet.

Uske aane ke baad hi Pratap bolta hain “aaye haaye desi mahua iske jaisa kuchh nahin”

Aditya “haan usiliye laya hain aur ye pakad” aisa kahkar use tambakoo ki pudiya deta hain.

Pratap “oye tambaakoo to apne men se koi nahin khata fir kyun laya?” Aditya “rakh le baad men bataunga”
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 78

Kuchh der men wo ladka ek jagah chhod kar wapas chala jata hain…
Wo ladka chala jaane par saamne bags pade the aur sab log unki taraf dekh rahe the. aditya kahta hian “dekh kya rahe ho koi aur aane wala hai kya uthane ko?”
Sab log ab saman ki taraf aage badhte hain ab aditya ek ek bag ko uthakar hare k ko dene lagta hain last men ek bag utahakar Pratap ke haath men deta hain aur kahta hain “sambhaal kar haan”
End men do bags wo khud uthakar chal deta hain. ab aditya sabse aage chalane lagta hain aur sab uske pichhe chalte hain, pichhe se pooja aawaj deti hain “jana kahan hain?”
Aditya “kuchh socha nahin hain”
Pooja “fir hum aise hi bina decide kiye huye kaise chal rahe hain”
Ab aditya saamne ki ek unchi se pahadi dekhta hain aur pooja ko wo dikhate huye kahta hain “wo wahan jana hain humen sham tak” Pooja “aur wahan jakar?”
Aditya “raat ko dera wahin laga lenge”
Pratap “sounds intresting”
Aditya “haan bhai intresting aakhir kyun naa ho mast ghumo fir jangal men”
Ab abhiman ek cigratte nikalta hain aur packet aage badhata hain jismen se Pratap aur aditya bhi cigratte lekar sulga dete hain.
Abhiman “yaar aditya rahne ka badobast kya hain?”
Aditya “3 tents laye hain chhote par unki rods gadi men se nikali nahin hain”
Manisha “ye kya baat hui ki tumne unki rods gadi men se nikali nahin?” Aditya “darasal men aapke paas already itna wajan hain to maine samjha ki aur wajan naa diya jaaye isliye maine nikale hi nahin”
Deepa “fir hum raat ko kaise soyenge? Main khule men nahin soungi” Aditya “tension mat lo lakdi ka sahara dekar khade kar denge”
Aditya ki baat par yakeen maankar aur aditya se jyada sawaal naa
puchhe deepa aditya ke paas chali jati hain. Ab wahan 2 couples aise the ki jo jaante the ab unhe yahan koi nahin dekh raha aditya deepa aur abhiman pooja. Aur jo unke saath 2 log hain wo dekh bhi le to wo koi darne walon men se the nahin.
Ab donon couples ekdusare ka haath pakad kar chal rahi thi aur unke pichhe pichhe Manisha aur sabse pichhe Pratap. Kuchh ghante bhar chalne ke baad Manisha thak kar kah deti hain “ab main nahin chal sakti”
Pooja bhi uske sur men sur mila leti hain “main bhi….” Aditya “ wo aage dekho ped hain uske niche baithte hai”
Us ped ke niche sab baith jate hai. Aditya “ab pani pi lo aur chalo” Manisha “main nahin chal sakti”
Aditya “thik hain 5 minute ka break le lo”
Itna kahkar wo apni pani ki bottle nikal kar usmen ka pani pita hain. tabhi pichhe se abhiman kahta hain “sherni ka dam khatam ho gaya” Pooja “shut up… tumhe aisa kahte huye kuchh nahin lagata” Abhiman “kis baat ka isko tease kiya uska ya use sherni kaha iska” Pooja apne sir ko haath laga leti hain aur kahti hain “tumse baat karna hi bekar hai”
Ye sunkar sab boys gang hansne lagti hai. Boys gang ka sutta round ho jane ke baad sab ladkiyaan uthti hain.
Aditya “ab jyada der mat karo jaldi chalo sham dhalne se pahale humen camo laganeke liye jagah dhundhni hai”
Tabhi aditya ki najar ek ped par padti hai. Wo aage uske paas jaakar ruk jata hai. Abhiman aur Pratap bhi uske pichhe aa jate hai. Aditya apne bagpar side men lagi hui knife nikalta hain aur kahta hai “chalo ho
gaya kaam” Pratap “matlab?”
Aditya apne chaku se uski jad ke baaju ki mitti nikalne lagta hai aur
kahta hai “raat ko kuchh alag khana hai to nikalo ise bahar”
Ab wo dekhkar girls aakar ruk jati hai aur deepa kahti hai “kya hain ye sab?”
Aditya “shhh kaam kar rahe hain naa hum”
Deepa “kya kaam kar rahe ho suraj dhalne se pahale camp ke liye jagah dhundhni hai aisa kuchh tum hi kah rahe the”
Aditya “main raat ko kuchh alag khane ke bare me soch raha hun” Deepa “thik hain tum socho tab tak hum log kuchh der baith jate hain” Kuchh 5 hi minute men ladkiyan dekhti hain ki teenon mil kar ek bade se kand ko ukhad kar laaye hai
Pooja “ye kya hai?’
Aditya “kand hai, aag par senk kar banaunga mast banta hai” Manisha “ye tumhare experiments tum apne par hi rakhna hum nahin aisa kuchh khane wale”
Aditya “thik hai mat khana tum, pooja tum to khaogi naa?”
Pooja “na baba na bhari jawani men mujhe aise nahin marna”
Ye sunkar sab hansne lag jate hain tab aditya kahta hai “ab mera muh mat khulwao”
Pooja “chupp ek bi baat kahi to dekh lena”
Aditya “ab utho aur chalo nahin to hum hi tumhe yahan chhod chale jayenge”
Pooja “haan chale jaao”
Aditya “thik hai hum chale jate hain raat ko yahan sher aate hain raat

bhar baithkar uska sar khana” Pooja “are baba sher na re na”

Aditya “haan raat bhar uska dimag acchi tarah se chabana taaki wo

subah tunhe chaba le”

itna kahte hi sab uthkar uske pichhe uthkar chal dete hai….
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 79


Suraj dubne se pahale wo camp ke liye jagah bhi dekh lete hain, idher ladkiyonko Pratap tents lagane men madad kar raha thaa udhar abhiman aur aditya ladkiyaan ikatthe kar rahe the. kuchh der men jab tak wo wapas aate yahan sab tents lag chuke the aur kuchh kuchh padte andhere men sab unki raah dekh rahe the.
Aakhirkar kuchh der baad aditya aur abhiman apne saath dher sari lakdiyan lekar aajate hain aur dekhte hain idher Pratap aur deepa wahan ke kuchh lakdiyonse hi aag jalane ki koshish kar rahe hai.
Aditya “jal gayi aag”
Pratap “naa yaar jal hi nhain rahi”
Abhiman “yaar wo lakdiyan hain cigratte nahi jo aise hi jal jaaye”
Ye sunkar Pratap hans deta hai. Ab aditya aur abhiman apne haath men Kaman le lete hain aur pooja aur Manisha ko kahte hain ki khana banane ki taiyari karo.
Aditya aur abhiman ki fir jaldi jal jati hain. ab aditya udhar se nikal kar laaye huye kand ko nikal kar uske chhote par lambe tukde karne laga aur ye dekhkar Pratap bhi uska saath dene laga.
Un sab ko chhilkar aditya unke 1-2 tukdonko ek ek lakdi ke tukde par
laga deta hain. aur kahta hain kise kise khana hain, chale aao. Udhar Pratap ek bag men se kuchh nikal raha thaa. Usko dekhkar abhiman soch hi raha thaa ki wo kya nikalega.
Pratap “dhant ta dan” itna kahkar haath men ek aditya ne saath men laya hua khamba nikalta hain.
Pooja “ho gaya ab kaam ab ye kuchh sunne wale hain nahin, khana
khaalo aur jaldi sone ko chalo waise bhi pair kaafi dard kar rahe hai” Manisha “mere bhi….”
Deepa “accha mauka haath laga hain chalo unke muh se kuchh
ugalwate hain”
Pooja “haan chalo ….”
Manisha “main kya aur kyun ugalwaungi kisise?”
Deepa “chal naa hamare saath” itna kahakar wo apne plates lekar pahunch jaati hain.
Saath men khana khane ke bad unka round firse shuru ho jata hain.
Aditya “are yaar Pratap tujhe pata hain” Pratap “kya?”
Aditya “jangal men bhut rahte hain…. pedonke niche….. aur wo jab suraj
dub jata hain tab bahar nikalte hai”
Abhiman “haan yaar bade darawane hote hai maine suna hai”
Pratap “bag saali kuchh hota hai ye bhut wut sab khaali kahne sunne ki baat hai”
Aditya sabhi ladkiyonki taraf dekhta hain to wo sab khana khaane men
busy the apni thaali men najar dale. Aditya Pratap ko aankh dikhata hai aur muh par ungli dikhakar shaant rahne ke liye kahta hai.
Ab aditya unhe darane ke liye apna agala patta fenke usse pahale hi
deepa kahati hai “bhut wut sach men kuchh nahi hai, khaali ek dusare ko baaten sunaakar darate rahte hai”
Aditya “are bhut se bhi danger chij hai yahan…”
Ab aditya ek ghunt lene ke liye rukta hai aur kahta hai “bhut se bhi ek baar bach jaaoge par baagh usse kaise bachoge”
Abhiman “haan yaar baagh ki speed se inmense koi bhaag bhi to nahin
sakti”
Aditya “are tumne 3 hafte pahale paper men padha yahan ke paas men ke hi gaanv men ek aadmi ko ek baagh khaa gaya”
Abhiman “haan yaar maine padhi thi”
Aditya “aisa karo tum sab log akeli ma sojaana hum men se kisi na kisi ko saath men so jao”
Deepa “ab ek tent men 2 hi aadmi to so sakte hai”
Aditya “to fir kya hua mere saath tumhe sone men dar kaisa, pooja abhiman ke saath so jayegi”
Manisha “aur main?” Abhiman “Pratap hain naa”
Deepa halki si aawaj men pooja se “bagh se to bach jayenge par inse
kaun bachayega”
Ye sunkar pooja hans deti hai aur Manisha tense ho jati hai. Manisha “tumhara to kuchh nahi, main kaise…”
Deepa “tension mat lo Pratap waisa ladka nahi hai” Manisha “haan tumhe bada pata hai naa”
Deepa “sach me wo accha ladka hai” Aditya “ye kya khusurpur chal rahi hai?” Deepa “kuchh nahi”
Aditya “fir sone ko chali jaao”
Manisha sab ki plates lekar saaf karke sab sone ko chali jaati hai. Idhar inki bottle khatam ho jati hai.

Pratap “tum logonka ye sab thik hai par Manisha ko mere saath kyu?” Aditya aur abhiman donon ek saath kahte hain “humen tum par humse bhi jyada bharosa hai”
Aur sab andar chale jate hai. Aditya deepa ke tent men ghus jata hai. Andar dekhta hai ki deepa uski raah dekh rahi hai.
Aditya “soyi nahi?”
Deepa “nahin so jaaungi” Aditya “so jaao”
Deepa “itni sharab kyu pite ho”
Aditya aakar deepa ke side men let jata hai aur upar dekhte huye kahta hai “hai kuchh, uski wajah se mujhe raatonko nind nahi aati to main saaki ka sahara le leta hun”
Deepa “hain kyaa tumhare man men mujhe batao to sahi” Aditya “mere man men to bas tum basi ho”
Deepa “jhuth sarasar jhuth”
Aditya “are sacchi tumhaare bare men hi hameshaa sochta rahta hun” Deepa “fir ye raatonko nind naa aana aisa kyu?”
Aditya “hain ek kaali raat us raat ki wajah se mujhe aajtak kabhi thik se
raatonko nind hi nahin aayi” Deepa “mujhe batao”
Aditya “Raat chhoti hain aur kahani bahut badi tumhe jarur banaunga main par abhi nahi”
Deepa “fir kab?”
Aditya “par tum wo sunkar mujhse nafarat naa karne lag jaao” Deepa sochti hai ki ab aditya ke man men nilofar ke shaadi wali raat aati hogi uski wajah se use nind nahin aati hai isliye wo kah deti hai

“nahin nafarat karungi tumse” Aditya “khaao kasam”
Deepa “haan kasam khaati hun”
Aditya “kiski? Kisi aise ki khaao jise tum jindgi men kabhi khona nahin chaahti”
Aditya uski aankhon men aankhen dale aur uski baalonko sahlaate
huye kahta hai. Deepa “are baba ab to tumne bahut badi mushkil men daal diya kaun hain aisa?”
Aditya “lo ji abhi se aise humen nahin rahnaa aapke saath”
Deepa “are chidte kyu ho majak kar rahi hun…. Tumhari kasam nahin krungi tumse nafarat….. tumse nafarat karke bhala main jee sakti hun” Aditya “to thik hain, main sunaunga tumhe wapas ghar jane ke baad” Deepa “abhi….”
Aditya “nahin deepa abhi nahin aaj mujhe nind aa rahi hai aur tum bhi kaafi thaki hui ho to so jaao”
Deepa “tumne hi to abhi kaha thaa ki tumhe raatonko nind nahin aati” Aditya “kyunki wo raaten main tanhaa katataa hun tumhare saath nahin, tum mere saath ho aur main tumhe aagosh men bhar lu aur jindagi bhar so jaau” itna kahte kahte wo deepa ko apni baahon men bhar leta hain.
Deepa “haan rahne do tum to naa bas mujhe pata hain ki tum kyu mere paas aaise chipak rahe ho”
Aditya “tum mere pyaar ko ye samahti ho, tum mere saath sowogi to
bhi tumhari ijjat par koi aanch nahin aayegi, main tumhe apni suhagan ke roop men mahsus karna chahta hun aise nahin”
Deepa “maaf karna mujhe laga” bas itnaa hi wo kah paayi iske aage

aditya ki aankhon ne use kuchh kahne hi nahin diya. Aur uske hoth apne aap aditya ke hothon ki taraf khinche aaye.
Udhar jab ye donon apne apne tent ke andar gaye tab Pratap bahar
khada hokar ek cigratte smoke kar raha thaa. Wo smoke karke ab andar ghus jata hai. Usko andar aate hi Manisha usko aise dekhti hai jaise ki kisi bhed aur bagh ek hi pinjare men chhod diye gaye ho.
Aisa nahin thaa ki wo kabhi Pratap ke saath nahin ghumi ho yaa usse baat naa kiyi ho par kabhi sharab piye huye Pratap se usne baat nahin kiyi thi. Pratap aakar uske side men ekdum corner ko usse dusari taraf muh kar ke gir jata hai.
Manisha “Pratap ye kaisi baans aa rahi hai?”
Pratap “kuchh nahin hai mere sharab aur smoke ki mix baans hain so jaao”
Manisha “kuchh kar nahin sakte kya iska?” Pratap “kuchh nahin ho sakta ab so jaa” Manisha “accha ye batao”
Ab Pratap uski taraf muh karta hain. jaise hi wo uski taraf muh karta hain uski saans se aane wale bans ke karan wo apne naak par ek haath rakh deti hain.
Pratap “haan kya?”
Manisha “jangal men kya sach me bhut hote hai?”
Pratap “nahin hote aur agar hote bhi to tujhe nahin lagta ki agar wo abhiman aur aditya ke hathhe aise sharab piye huye condition men chaddha jate to ye donon usko baaten aur kisse suna suna kar pagal naa kar dete”
Manisha “haan ye to hain bhaiyya aur aditya baaten karne men bade

dangerous hai” Manisha “aur bagh?”

Pratap “baagh” itna kahakar hansne lagta hai.

Manisha “baagh naa hua joker ho gaya jo naam sunkar hi hans rahe ho” Pratap “ek dimag lagao aaj india men tiger bache hi kitne hai, unmense is reserve men government kahti hain 25 hain jabki main kahta hun

10-15 hi honge aur area itna bada hain ki 2 jilon men faila hua hain” Manisha kaan dekar ye sab sun rahi thi

Pratap “aur hum jahan baithe wahan tumhe koi hiran wagaira aisa koi

jaanwar dikhai diya jise baagh khata ho?” Manisha “nahin”

Pratap “agar khana nahin to kya baagh yahan bhukh hadtaal karne

aayega”

Manisha “lekin aditya kah raha tha yahan kahin par kisiko baagh khaa gaya”

Pratap “yaar is jile men kitne saare gaanv hain un men se kahin par hua hoga kuchh tum nishchint so jaao”

Manisha “Pratap”

Pratap “ab kyaa baki rah gaya” Manisha “kahin tum….”

Pratap “main kaafi thak gaya hun agar abhi mera sar khana band nahin kiyaa na to jarur main kuchh karunga”

Itna kahkar wo Manisha se ulti taraf muh karke so jata hain aur

Manisha bhi so jati hai…
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 80

Jis din unhe trekking khatam karke jana thaa us din ladkiyaan dekhti hain ki teenon ladke milkar kuchh baaten kar rahe hai. Bahut der tak wo
baaten karte hain. wo unse dur khade the isliye wo kuchh sun bhi nahin sakti thi.
Kuchh der ke baad jab teenon ek saath unke paas aa jate hain.
Abhiman “ek buri khabar hai aur ek acchi khabar hain kya sunanaa chahogi”
Deepa “pahale buri waali hi suna do baad men acchi sun lenge.”
Aditya “to buri khabar ye hai ki hum raasta bhatak gaye hai” Sabhi ladkiyaan ek saath “kya??”
Aditya “haan”
Manisha “omg ab kya hoga? Main is jungle men aadiwasi banker nahin rahna chahti”
Aditya “e pagal hain kya tu? Jo aisi baaten kar rahi hai”
Deepa “paagal ye nahin tum ho aage sabko tum hi le aate ho aur abhi tum hi bata rahe ho ki hum raasta bhatak gaye hai”
Aditya “ok ab galti bhi insaan se hi hoti hai naa”
Deepa jagah par hi baith jati hai aur sar ko haath laga leti hain “ab kaunsi acchi khabar hai wo bhi suna do”
Abhiman “aditya ko bharosa hain ki agar hum log aage se kuchh duri
par ek pahadi hain udhar se mud jaaye to wahan ke gaanv men pahunch jayenge jahan se humen koi saadhan mil jaaye wapas jane ka”
Manisha “chalo thik hain kam se kam itnaa to yad hain naa”
Aditya “ab saamne map dalte huye ye dekho tum ye jo saamne ek parbat dekh rahi ho usse pahale ek pahadi hain aur thik wahi parbat wahan samne hain aur wahan niche thik se dekho ek gaanv hain wahan se sadak nikalkar us gaanv jati hain jahan humne car chhodi
hai”
Pooja “chalo thik hain yaani aur kitna chalna padega” Aditya “ye to tum par depend karta hain 2 din ya 3 din” Manisha “nahin main nahin chal sakti aur 2 din mere pair…”
Pratap “chalo utho ghar jana hai naa to chalna padega nahi to yahan baitho”
Aditya, Pratap aur abhiman ko chhodkar baki teenon saaman sametne jate hai.
Pratap “yaar ek problem hai”
Aditya “kya?”
Pratap “yaar apne paas ka cigratte ka stock khatam ho gaya hain” Aditya “kya???” wo abhiman ki taraf dekhta hai. Abhiman bhi khande uchka deta hai.
Aditya “dekh mere paas aakhir ka packet hain aur usmen 2 hi bache hai”
Pratap “mere paas ek bhi nahin hai”
Abhiman “mere paas eklauti bachi hain” kahkar packet kholkar dikhata hai
Aditya “yaar ab to badi problem ho gayi” sabhi ke chehare utar jate hai Aditya “chal koi naa koi jugaad dekh lenge”
Abhiman “yaar ab share karke pine ke siwaay koi raasta hi nahin bacha hai”
Baaki donon bhi sahmati men gardan hilate hai. Ab abhiman sabko
apni eklauti cigratte nikal kar jalata hai aur kash lekar aage pass kar deta hai.
Deepa wahan se aati hai “aditya aaj kyaa khaayenge khana bhi usi

hisab se laya tha”
Aditya “khane ki tension mat lo khane ko mil jaayega” Abhiman “haan tu to sabko jadibuti khilayega”
Sab hansne lagte hain. Aditya kahta hain “choice apni apni ya to bhukhe maro ya khana khaao”
Sab chalne lagte hai. Din bhar chalne men aditya kuchh unke liye wahi
kand dhundh leta hain jo unhone pichhali baar khaaye the.
Suraj dhalne ko thaa aur wo log ek jharne ke paas pahunch jaate hai. Aditya “chalo aaj yahin dera daalte hai”
Aditya “chalo Pratap seth jaakar lakadiyaan dhundhiye aur hum log khaneke liye kuchh aur chij dhundhte hai”
Pratap “samajh gaya main bhi 5 minute men dhundhta hun lakdiyaan”
Aditya aur abhiman ab us jharne ke paas bane huye patthar uthakar dekhne lage to unhe khekadi milne lage. Use abhiman ko dikhate huye kahta hain “le tere liye khaane ka bandobast hua”
Aditya aur abhiman unko pakadkar ekattha karne lagte hai. Ekattha karne ke baad aditya aur abhiman wapas camp lagaye hain wahan aane lagte hai. Tabhi raaste men aditya ko ek sukhe huye pattonka ek ped dikhta hai.
Aditya “smoking karni hai?”
Abhiman “yaar yaad mat dila sab cigratte kahatam ho chuki hai” Aditya “tujhe smoke karne se matlab hai naa, main tujhe kuchh pilata hun”
Abhiman “kya?”
Aditya “beedi, wo bhi pure natural” Abhiman “main nahin piunga”

Aditya “dekh soch le bilkul nahin se kuchh na kuchh behtar hai” Abhiman “chal thik hain maan liya par pilayega kaise?”
Aditya “wo dekh” aisa kahkar saamne sukhe huye ped ki taraf ishara
karta hai.
Abhiman “kya dikha rahe ho?” Aditya “abe wo ped dekh” Abhiman “to”
Aditya “kuchh mat kar bas us ped ke sukhe patte tod le, ye hai tendu ka ped iske patte se hi beedi banti hai”
Sab kechh lejakar wo log pahunchte hai to dekhte hain ki Pratap ne aag jala di thi.
Aditya “chalo jama ho jaao khaneke liye kuchh mast si chij laayi hai”
Sab jama ho jaate hai ki kya laya hai. Aditya sab nikal kar saamne rakhta hain.
Deepa “eek ye kya hai”
Aditya “khekadi aag par bhun ke khayenge” Deepa “eer main nahi khane wali….”
Aditya “mat khaao baaki sab to khayengi naa”
Kand mul khaane se kuchh alag milne wala hai ye sochkar pooja aur Manisha gardan hila deti hai.
Aditya “deepa ye mul tum lo aur iske kaat ke pieces bana do, Manisha ye khekadi banane ki jimmedari tumhari aur pooja ki”
Ab aditya, Pratap aur abhiman jama ho jate hai. Aditya unke saath
beedi banana men lag jaata hai. Unke paas jitni tambaakoo thi uski wo beedi bana dete hai. Wo ladkiyaan jahan khana bana rahi thi usko dekhne aate hai.

Har ek ke muh men ab beedi thi. ladkiyaan unhe beedi pite huye dekhkar muh mod leti hai.
Deepa “achhi inki cigratte khatam ho gayi thi to dekho kya jugad ban
liya inhone”
Pooja bas haan men gardan hilati hai. Wo sab log aakar paas men baithte hai.
Deepa “aditya” Aditya “haan”
Deepa “ye beedi mili kahan tum logonko aaj to tumhari dopahar men hi
cigrattes khatam ho gayi thiu naa?”
Aditya “jab jis chij ki jarurat ho hum log use bana lete hai, ab hamare paas itni beediyonka stock hai ki hum log ek hafte bhar ise funk sakte hai” yah kahkar ek badi si thaili dikhakar kahta hai.
Deepa wo dekhkar apne sir par haath maar leti hai. Khana khane ke baad aaj sab angreji sharab to khatam ho chuki thi to wo mahua nikalte hai.
Aditya “dekh Pratap jyada mat pee liyo ye desi hai bahut dangerous chadhti hai”
Pratap “ye mujhe nahin tu abhiman ko suna” ye sunkar aditya hansne lagta hai.
Kuchh ek peg ke baad abhiman kahta hai “aditya…” Aditya “haan”
Abhiman “soch yaar dekh apun teenon aise khule aasmaan ke niche
desi pee rahe hain aur saath men beedi funk rahe hai”
Aditya “dekh tu ab one sip men saari jo glass men hain wo pee sakta hai?”

Abhiman “haan”

Aditya “to fir pee le” abhiman ek sip men puri maar leta hai. Aditya “ab jaakar soja kyunki tujhe chadh gayi hai”

Abhiman ladkhadata hua uthta hain aur kahta hain “chal thik hai tu kahta hain to jaakar so jata hun”

Aditya aur Pratap bhi apni daru khatam karke sone chale jate hai.

din men wo wahan se us chhote gaanv bhi pahunch jate hai aur wahan se waapas apni gadi lekar apne shahar.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 81

Aditya deepa ko uske ghar chhodta hai, deepa kahti hai “andar chalo
mummy papa kuchh bolenge unke sawalonke jawab tumhe dene hai” Aditya “are mujhe kyun?”
Deepa “kyunki humen lead tum kar rahe the”
Aditya “thik hai”
Pratap se fir kahta hai “in sab ko inke ghar chhod kar apni gadi lekar yahan aa jaao”
Aditya deepa ka saaman uthaye uske saath andar jaate huye deepa se kahta hain “kamal hain abhi shadi hui nahin hain, uske pahalese hi apna bojh mujhpar daal diya”
Deepa kuchh kahti nahin bas muskura deti hai aur yahan wahan dekhti hai ki kahin koi dekh to nahin raha. Jab use yakeen hota hai ki koi dekh nahi raha to apne do ungliyonko apne hothon par kiss karke aditya ke honton par thama deti hai.
Aditya bina kuchh soche uski un ungliyonko kiss kar leta hai. Tabhi ghar ka darwaja khulta hai aur andar se dinesh aate hi bahar inko aisa karte dekh aankhen badi badi karta hain.
Aditya jab saamne dinesh ko dekhta hai to pichhe hat jata hai. Aur uski
taraf dekhti hui deepa ko aankh se ishara karte huye saamne ki or dekhne ko kahta hai. Deepa saamne dinesh ko dekhte hi chauk jaati hai aur apnaa haath niche kar leti hai. Dinesh aage aakar aditya ke haath men ka saman le jata hai.
Ab donon aage badhte hai, to dinesh bhi andar ki taraf mud jata hai. Dinesh ki pith jab inke saamne hoti hai to aditya deepa ke kaan ke paas aakar dhimi se aawaj men kahta hai “agar aisa kuchh muawaja milne wala ho to main is wajan ko hi kya tumhe bhi saath men utha lu” itna kahkar uske kaan ko kaat leta hai.
Use kuchh samajh men aaye isse pahale hi uske muh men se ek chhoti si chikh nikal jati hai. Dinesh pichhe dekhne ke liye palatataa hai par aditya usse pahale ki aisi position men pahunch gaya thaa ki jaise use iske baaren men kuchh pata hi naa ho. Deepa niche dekhti hai.
Aditya “niche dekhkar chala karo” itna kahkar aage badh jata hai. Aditya sidha andar ghar me jaakar sofe par baith jata hain. saamne deepa ke daddy baithe the.
Daddy “aaiye, kaisi rahi aapki trip?”
Aditya “acchi rahi kaafi bas ek jagah par dil lag gaya to 2 din jyada ruk gaye the wahan”
Daddy “are beta phone kar lete taaki humen koi tension nahin hoti”
Aditya “ab hum gaye hi aisi jagah the wahan naa koi telephone aur naa hi mobile tower”
Daddy “jara chaay lana to aditya ke liye” tabhi wahan dinesh aakar
uske papa ke side men baith jata hai aur aditya ko ghurne lagta hai. Aditya usko aise ghoorta dekh saamne pada newspaper uthakar apne saamne pakad leta hai. Chaay aane par wo newspaper rakh deta hain

aur chaay ka cup utha leta hai. Dinesh “aditya ek baat puchhu?” Aditya “haan”

Dinesh “haal hi men main ek research kar raha thaa, mujhe laga uske baren men tumhe mujhse jyada jaankari ho”

Aditya “jitna mujhe pata hoga main bataunga”

Dinesh “mosin ahmad ka naam suna hai?”

Yah naam sunte hi aditya ki najare jo ki chaay ki pyali par thi wo hat kar ab seedha saamne dinesh par jaa atakti hai.

Aditya ek saans lete huye kahta hain “ye maamla ghar men discuss karne jaisa nahin hai”

Dinesh apni chaay ki pyali khatam karte huye kahta hai “thik hain baad

men baat karte hai”

Tabhi wahan deepa fresh hokar aati hai. Aditya wahi sofe par baitha thaa Pratap ke intejar men. Tabhi dinesh use kahta hain “jara bahar chalo mujhe tumse baat karni hai”

Aditya ko pata chal gaya thaa ki ye bahut bade khatre ka aagaj hai. Par wo kuchh kahne se accha samajhta hai ki wo dinesh ke saath bahar chala jaaye.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 82

Ghar ke bahar aakar wo donon sadak par chalne lagte hai. Kuchh dur aate hi aditya apne jeb se cigratte ka packet nikalkar dinesh ko offer karta hai. Dinesh leta hai aur aditya khudki aur uski cigratte sulga deta hai.
Aditya “to kya puchh rahe the tum?” Dinesh “mosin ahmad kaun hain?” Aditya “pata nahin hoga koi?”
Dinesh “wahin mosin ahmad jo ki tumhare shahar men rahne wala aur opposition ka ek bada powerfull leader hua karta thaa”
Aditya “oh haan wo, mere collage ke dinon men uski kaafi hawaa thi”
Dinesh “aur?”
Aditya “aur kya batau? Mujhe kuchh pata ho to bataunga naa?”
Dinesh “tumhare ghar men tumne uske bare men kuchh suna to hogaa hi naa?”
Aditya “main shuruaat se hi politics aur usse related chijon men kabhi intrest nahin leta thaa aur isi liye aaj bhi unse dur yahan baitha hun” Dinesh “maine suna thaa uska khoon hua thaa? Aur wo tumhare pariwar ne karwaya thaa?”
Aditya is baat par kuchh nahin kahta aur bas apne cigratte ka kash leta hai. Aur hanste huye kahta hain “are yaar usse ek saal bhar pahale mere daddaji ne haan shayad use hi bahut aasani se haraya thaa to use maarne ki kya jarurat thi”
Dinesh “chalo jaane do un sab chijonke bare men kya kahna chahoge tumhare upar lage hue kai sare cases openly road par fighting karna, aur kai saare serious cases”
Ab ki baar pahali cigratte khatam ho chuki thi to aditya dusari nikal kar sulga deta hain aur kahta hai “sab jhoothi cases thi”
Dinesh “tumhe shayad usi wajah se tadipar kiya gaya thaa naa?” Aditya “haan par baad men wo sab cases jhuthi nikali thi”
Dinesh “agar thik se kaha jaaye to cases is liye stand nahin ho paayi
thi kyunki koi gawah nahin mile the aur jo the wo apne jubani se mukar gaye the”
Aditya “lagta hain mere pichhe tumne acchi khaasi investigation kiyi

hai”
Dinesh hansta hain aur kahta hai “kuchh saamne aaya hain isliye sach saamne lane ki koshish kar raha hun, aakhir ek reporter ka kaam bhi yahin hai”
Tabhi pichhe se Pratap uski car lekar aa jata hai. Aditya driver ke side ka darwaja kholta hain aur baithte huye kahta hain “tum abhi kaafi kam chijen jaante ho is baaren men aur tumne abhi tak us sikke ki ek hi side dekhi hain, dusari side dekhne men abhi tumhe waqt hai”
Gaadi men baithte hi aditya ka chehara thoda tensed ho jata hai aur Pratap uske chehare ko dekh puchhta hai “kya hua?”
Aditya “yaar wo dinesh ko mosin ahmad ke baaren men pata chal gaya”
Pratap “kya pata chala hain use?”
Aditya “abhi to kuchh pata nahin hain shayad usr par use iske bare men pata hai ki main tadipar hua thaa”
Pratap “hmm” kahta hain aur saamne dekh kar gaadi chalata hai Aditya “agar use ye pata hai ki main tadipar thaa to use ye bhi pata hoga ki tum bhi the”
Aditya kuchh der sochne lagata hain aur baad men bolta hain “dekh lete hain jo kuchh hota hain wo”
Gaadi sidha aditya ke ghar ki taraf daudti jati hai aur aditya sochta hain ki wo aaj deepa se raat ko kuchh batayega…
Sham ko aditya aur Pratap saath men daru pine baithte hai. Pratap
dekhta hai ki aditya abhi bhi kuchh tensed hai. Pratap “yaar kya baat hain thik se bata naa”
Aditya “wo dinesh ne pata nahin kahan se gade murdonko ukerna

shuru kiya hai”
Pratap “yaar is par to ek baar pahale bhi enquiry ho chuki hain aur usmen apne paas sabhi saboot hai”
Aditya “wo mosin ahmad ke katl ke baaren men puchh raha thaa” Pratap “jis waqt mosin ahmad ka khoon hua us raat hum dono ne 10 baje apne tadipaari ki haajri lagai hain aur dusare din subah bhi lagayi thi isse hamare upar koi shaq nahin le saka”
Aditya “chal maan liya ki apan donon ne uska khoon nahi kiya to bhi usko ye pata hai ki main aur tu tadipar thaa”
Pratap hanste huye kahta hain “yaar ye to badi complicated situation ho gayi par yaad rakh humare upar ke saare cases jhuth nikale the” Aditya “yaar wo case kabhi court men stand ho bhi nahin sakte the hum donon ka naam sunkar hi”
Pratap bhi is baat par ek aur baar thahaka laga deta hai aur kahta hain “fir kya pareshaani hai?”
Aditya apne glass men ka ice cube desolve karne ke liye ghumate huye kahta hain “use lagta hain ki wo sab cases humne manipulate kiye hai” Pratap “yaar ab usne apne baapu ke saamne ye sab bak diya to laga gaye lanka”
Aditya “haan aur ye koi aisa aadmi bhi to hain nahi ki isko chup karwa de”
Pratap “tu bolta hai to kuchh intejam karun wo aajke baad kahin bhi dikhega nahi”
Aditya “naa yaar ab ye sab se dur rahna hai” Pratap “fir kar bhi kya sakte hai”
Aditya “tu jaa so jaa kaafi thaka gaya hoga tu main hi kuchh sochta

hun”

Pratap ko pata thaa ki aditya kuchh na kuchh jarur sochega wo apna peg khatam karke chala gaya.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 83

Pratap ke jate hi aditya ne apna mobile nikala aur deepa ko phone karta hain.
Aditya “hello”
Deepa “hello jaan itne der se phone kiya”
Aditya “to sahiba hamare call ki hi raah dekh rahi thi” Deepa “haan”
Aditya “to maine naa kaha thaa ki main kuchh tumhe bataunaga”
Deepa “haan”
Aditya “dekho sunkar mere baren men kuchh galat ray mat taiyar karna”
Deepa “ek minute tum kya sharab pi rahe ho?”
Aditya “haan maine sharab piyi hain par is liye taaki main tumhare saamne apne dil ki kitaab kholkar rakh du”
Deepa “milne aa jaate to mere aankhonke nashe se hi wo kitab khul jati”
Aditya “wo chhodo main tumhe kisi aur chij ke baaren men batana
chahta hun” Deepa “batao”
Aditya “meri life men tum pahali ladki nahin ho jisse maine pyaar kiya hai. Main jab collage men padhta thaa, tab meri ek junior hua karti thi, nilofar. Naa jane kab kaise mujhe usse pyaar ho gaya. Uske papa bhi ek bade politician the, hamare ghar ki aur unki banti nahin thi.
Naa jane kahan se ye baat uske ghar pahunch gayi, to uski turant shadi karwa di gayi. Main chaahkar bhi rok naa saka, mere naam par ulte
sidhe galat police cases lagaye gaye. Jis din uski shadi thi usi din mera car accident hua aur main coma men chala gaya.
Coma se main jab bahar aaya to dekha mere mummy papa ek road
accident men gujar gaye the. mere liye to jaise dunia hi lut gayi thi, main aawara bankar ghumta raha naa hi maine kabhi firse nilofar se milne ki koshish kiyi, maine socha wo apni dunia men khush hogi fir kyun usse milkar uske jakhmonko naasur banau.
Kuchh aur din bhatakne par kuchh aur cases lag gayi aur mujhe tadipar kiya gaya”
Deepa “fir”
Aditya “waise jo hua acche ke lie hi hua, main yahan aaya aur khud ko maine sambhala, job pakadi aur dhire dhire apne kaam men dubta chala gaya. Ek din mujhe nilofar ki maut ki khabar mili aur main uske maut ki khabar sunkar hil jarur gaya thaa par tab tak main kuchh ubharne laga thaa.
Us din se maine soch liya ki main wapas kabhi us shahar men nahin jaunga aur fir waqt ke saath sab jhuthe cases se main bari hota gaya. Aur fir meri jindagi men kuchh nahin thaa wiraan thi aur baad men meri jindagi men tum aa gayi”
Deepa ki aankh ye sab sunkar bhar aayi thi, aur kuchh kuchh wo rone bhi lagi thi.
Aditya “rowo mat main hun naa tumhare saath”
Deepa “I love you aditya, tumne mujhse itna sab chhupakar rakha thaa” Aditya “kabhi kabhi kuchh chijen naa jaananaa hi behatar hota hain par aaj tumhe ye sab bata kar mere dil par ka boj hat gaya”
Deepa “tumne apna boj mere upar daal diya”
Aditya “aisa bilkul nahin hain, ise chhupane se kya aaj nahin to kal ye tumhe pata chalana hi hai us din ko kaise main face karun ye soch soch kar jine se accha hain ki yah baat tumhe aaj hi bata dun”
Deepa “accha hain tumne bata diya”
Aditya “tumhe pata hain ye sab kuchh main tumhe pahale din se batana chahata thaa”
Deepa “fir pahale kyun nahin bataya”
Aditya “himmat nahin thi pahale aur ek dar bhi thaa ki kahin ye sab jaankar tum mujhe…”
Deepa “nahin tumhare saath jo hua wo bura hua”
Aditya hansta hain. Deepa “ab ye batao tumhare jaise aadmi ko aur mujhse dar”
Aditya “jab kisise pyaar ho naa usko khone ka dar hota hai, wo sabse bada dar hai”
Deepa “you are a right person”
Aditya “chalo ab kaafi der ho gayi hain ab tum so jaao” Deepa “haan good night”
Aditya “good night”
Deepa “ummmmahhhhhh”
Aditya “chalo bye love you take care” Deepa “you too & love u too much”
Itna kahkar wo phone rakh deti hain aur so jaati hai. Ab aditya baithkar ek jam bana leta hain par ab usko ek sukun thaa ki bhale usne deepa ko sab sach nahin par accha khaasa idea de diya hai. Ab bhale dinesh ghar men jaakar kuchh bata bhi de to bhi uski side lene wala koi thaa. Uske baad wo man men kuchh udas bhi hua ki main sach apne pyaar

ko nahin bata sakta. Wo chaahakar bhi kuchh nahin bata sakta thaa uske man men dar thaa ki aditya ne jo kuchh bhi sochkar ye sab kiya thaa, wo kahin deepa ko pasand naa aaye to.

Agala peg banate waqt apne aap se kahta hain “either I die like a hero, meri majar par sab log kahte ki ye aadmi bada accha thaa, ya fir live long to see become yourself a villen.”

Wo peg khinchkar kahta hain “main jeena chahta hun aage badhna chahta hun chahe kuchh bhi ho” itna kahkar wo apne samne ka bana peg bhi khinch leta hai.

Jyada daru pine ki wajah se use aisa laga ki ab jaakar usne so jana chahiye aur wo jaakr so jata hai…
 
  • Like
Reactions: mashish
Top