- 4,422
- 1,976
- 143
Update 68
Agali subah aditya ki aankh 11 baje ke aaspas khulti hain. wo apni aankhen malta hua ghadi ki taraf dekhta hain. “are baap re 11 baj chuke”
Aditya sidha uthkar Pratap ke room men jata hain. wo dekhta hain ki Pratap to ghide bechkar so raha hai. Aditya Pratap ko jor jor se hilaakar jagata hain “abe uth dekh 11 kab ke baj gaye”
Pratap apni aankhen malte huye “11 hi to baje hain sone de” Aditya “are uh raat ke 11 nahin baje hain din ke baje hain”
Pratap “are koi baat nahin aaj Sunday hain puraa din sone ka mood
hain tujhe kahin bahar jana hain to chala ja”
Aditya “are mujhe akele ko nahin jana kahin bahar tujhe bhi saath men aana hain”
Pratap “ab ye kyaa nayi musibat hain, subah subah kahan jana hain” Aditya “are deepa ke ghar nahin jana kya?”
Pratap ki nind ye sankar ud jaati hain “are shit yaar mujhe to yaad hi
nahi raha par waise bhi abhi kaafi waqt hain”
Aditya “are uth ja shave karle taiyaar ho ja na jane kaise 4 baj jayenge pata bhi nahin chalega”
Pratap “chal uth gaya”
Bas itna kahkar wo bathroom men ghus jata hain aur aditya taiyar hone apne room men chala aata hain.
Dono khana khaakar taiyaar hokar hall men baithe hote hain. Pratap haath men remote liye TV ke channel change karke kuchh dhundh raha thaa ki kahi kisi channel par kuchh dekhne jaisa mil jaaye.
Aditya to bas ghadi ki taraf hi dekh raha thaa. Usko to maano ghadi ki wo suiyaan chalti hui nahin rengati hui prateet ho rahi thi. wo bas apni najar ghadi par lagaye baitha thaa ki kab 4 baj jaaye aur wo donon ghar se nikale.
Aditya ko kuchh shaq ho raha tha ki kahin ghadi band to nahin pad gayi is liye wo apne mobile men time dekhta hain. usmne bhi wahi waqt kuchh sochta hain aur Pratap ka mobile uthakar usmen waqt dekhta hain.
Har ghadi ek hi waqt dikha rahi thi. wo bechra confusion men pada thaa ki kab ho jaaye wo waqt.
Wo Pratap se kahta hain “are Pratap dekh to kahin ghadi band to nahin
pad gayi”
Pratap “kuchh band nahin padi tune same wallclock waqt dekha wahi waqt tere mobile ki clock bhi dikha rahi hain aur wahi waqt mera mobile bhi dikhayegaa”
Aditya ko bas wahi chulbuli si mahsus ho rahi thi. firse Pratap kahta hain “waah re mere majnu aaj waqt nahin kat raha tera nahin to roj kaam karne ke liye waqt kam padta hain” itnaa kahkar wo khud hi hansne lagta hain aur aditya apna sa muh banakar baaju men dekhne lagta hain.
Pratap uski feelings samajh jata hain aur kahta hain “chal chalte hain” Aditya car ki chabi uthakar bahar aata hain aur car kholne lagta hain to Pratap use kahta hain “drive main karunga tu mat karnaa”
Aditya “kyun?”
Pratap “wo kyaa hain tumhara aaj kuchh bharosa hain nahin tum to kho jaaoge deepa ke khayaalon men aur mujhe aise hi single marwa doge”
Aditya “chal thik hain” kahkar gadi ki chabi use deta hain.
Wo donon abhiman aur uske papa aur chahchaji ko pickup karke deepa ki ghar ki taraf ja hi rahe hote hai tabhi aditya ke chachaji aditya se puchhte hain “aditya deepa ke ghar walon ko tumhare background ke bare men idea hai naa?”
Aditya apne side men driving kar rahe Pratap ki taraf dekhta hain. Pratap bhi uski taraf dekhta hain. tabhi aditya ko yaad aata hain ki usne ek bahut badi bhol kiyi hain ki deepa ko apne family ke baaren men naa batakar.
Aditya “nahin chachaji nahin bataya hain aaj bata denge”
Chachaji “thik hain main isliye puchh raha thaa ki agar ye baat unko pata hoti to aur accha hota”
Aditya “koi baat nahin aaj jakar bata denge”
Tabhi chachaji abhman ke papase jo ki unke side men hi baithe the unse kuchh baat karne lagte hain aur aditya ab nervous feel karna shuru kar deta hain.
Aditya ko to kab wo deepa ke ghar aa gaya pata bhi nahin chalta hain. Pratap usko hilata hain “abe uth aa gaya uska ghar”
Aditya saamne dekhta hain to Pratap gadi lekar uske gali men ghusa
hua thaa. Pratap ki ye baat sunkar pichhe baithe sab hansne lag jaate hain.