• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?


  • Total voters
    11

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 8







15-20 minute aditya aur abhiman kisi baat par discuss karte hain aur saathmen hi waapas deepa ke cabin men aa jaate hain

Abhiman “ deepa check taiyar ho gaya ho to dedo sign karke dedetaa hun aur saathmen hi Production Planning men se ek job ki drawing aayegi aur saathmen hi schedule bhi to uskaa rate aditya ki taraf se lekar mere paas final karne ke liye lekar aana”

Deepa “ ok sir aur yah raha check”

Abhiman check sign kartaa hain aur aditya ki taraf badhaate huye muskurke kahtaa hain “ ek cigrate pilaa kar 250000 nikalwaate ho !!” Tabhi aditya jor se hans kar kahta hain “ abhi aur 8 bachi hain so aur 2000000 ka check taiyar karne ko kahdo”

Aur dono jor jor se hansne lagte hain tabhi ek aadmi aditya ko jo chahiye thi wo drawing lekar aataa hain aur abhiman apne cabin men chala jaata hain

Aditya “ madam mujhe ek paper , pen milegaa kya ?” Deepa “ sure sir par aap mujhe madam naa kahen “ Aditya “ to kyaa kahun ?”

Deepa “ deepa” itnaa kahkar wo paper aur pen aditya ki taraf badhaa deti hain

Aur aditya bas muskuraa detaa hain aur kahtaa hain “ agar main yahaan 10-15 minute baith kar kuchh kaam karun to aap disturb to nahin hongi naa ?”

Deepa “ no sir aap jitni der chahiye ruk sakte hain”

Aditya “ ab aap ko main madam nahin kah saktaa to aapko mujhe sir ke bajaay aditya kahane men kyaa aitraaj hain?”

To deepaa sharmaa jaati hain aur bade hi sundar andaaj men “ jee sir” itna kahkar abhi jeebh ko deno daaton ke beech kaaat kar feer se kahtee hain “ ok aditya”

Deepa ke chehre par kaa husn aur saamne ghataa huaa ek kshan aditya hameshaa ke liye apni aankhon men bhar letaa hain aur muskuraane lagtaa hain aur deepa se kahtaa hain “ deepa

please mere liye reshma se ek coffee mangaa do”

Deepaa “ thik hain” itnaa kahati hain aur 2 coffee mangwaati hain aur aditya saamne paper drawing ko dekhkar kuchh likhte huye kuchh kaam karne lagtaa hain tabhi coffee aati hain aur dono coffee pite hain par aditya upar najaren uthaaye binaa hi coffee ke saath kaam men mashgul ho jaata hain par puri der deepa aditya ko nihaarti jaati hain aur 15 minat baad aditya kam khatam kar detaa hain aur achanak najaren upar uthaa letaa hain aur dekhtaa hain ki deepa usko hi dekh rahin hain so wo bas apnea ankh se hi ‘kya?’ yah puchhataa hain par deepaa apni gardan dol “ kuchh nahin” kahti hain

Aditya “ chalo abhiman ke paas chalte hain”

Aur aditya uthkar abhimaan ke cabin ki taraf chal detaa hain aur uske pichhe pichhe bhi Baad men kuchh der abhimaan ke saath kuchh Discussions hote hain aur baadmen aditya wijayi mudra ke saath check aur nayi ek aur PO lekar jaata hain..

Idhar aditya office se nikal jaane ke baad sidhe apni company men jaakar PO dekar seedha shopfloor par chalaa jaataa hain aur wo apne dost pratap ko dhundhane lagtaa hain 2-3 minute ki khojbeen ke baad pratap aditya ko raw material store men kuchh kaam kartaa mil jaataa hain wo jaate hi prataap ko baajumen khinchtaa hain aditya ke chehre

par kaafi khushi hoti hain

Aditya “ yaar pratap ek chij tujhko bataani hain “ Prataap “ kyaa ho gaya ab yaar ?”

Aditya “ free hain kyaa khaas baat hain yahan nahin bataa saktaa hun” Pratap “ abhi to free nahin hun par agar tu kahen to chal baahar jaakar baat karte hain”

Aditya “ nahin tu apnaa kaam puraa niptaa le aur baad men mujhko phone baahar jaakar shaanti se baat karenge”

Pratap “ thik hain”

Waise pratap bhi aditya ke chehre par ki khushi dekh kar khush ho jataa hain usne bahut saalon baad aditya ko itnaa khush dekhaa hain aur wo bhi iski wajah jaanne ko bekaraar ho jaata hain to wo bhi apne kaam jaldi niptaane ke pichhe lag jaata hain
nice update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 9



Pratap aditya kaa sabse khaas dost hain aur who hi hotaa hain jisne aditya ko uske mata –pita gujar jaane ke baad emotionally aur kai tarikonse sambhaal kar rakhaa hain bhale aditya ko paisonki jarurat nahin thi par usko koi aise dost ki jarurat thi jo ki usse emotionally ataach ho jaaye aur hamesha uske saath rahkar uskaa khayaal rakhe Waise pratap bhi kuchh kam nhain thaa who bhi ek dam mast tagdaa naujawaan thaa unchain men aditya se height men 2 inch chhota par body wagairaa looks ke maamle men donon hi ekdusare ko tough competition dete hain

Waise to prap aditya se 2 mahine chhota thaa aur uske pitaaji bhi adita ke pitaa ke paas kaam karte the aur ek din unkaa aur prataap ki maa ka dehaant ho gayaa thaa tabse usko aditya ke saath hi aditya ke papa ne badaa kiyaa thaa aur uski har padhai aditya ke saath hi hui hain. Aditya

ke mata – pita ke dehant ke baad donon eksaath hi rahte hain aur dono ek dusare ke hamdard hain unkaa rishtaa kaafi gaharaa thaa aditya usko kabhi dost Samjhta hi nahin thaa wo to usko hamesha usko apna bhai samjhta thaa aur uski hi taraf hamesha pyaar kartaa thaa

Par aaj dekhiye kaal ki maar ke wo donon hi saath the aur saath hi Aditya ka bahut hi bada pariwar thaa par wo unke saath naa rahkar akela rahta thaa pratap ke saath naa hi us shahar men thaa jahaan se uskaa pariwar hain balki wo kai saalon se ek alag par ghar se 200 km dur ek shahar men apnaa alag kaarobaar chalaa raha tha .

Aditya chalaa jaata hain aur intejaar kartaa hain ki kab uske dost pratap ka kaam khatm ho aur wo usse bahot saari baaten Karen ismen kaafi der ho jaati hain tab tak wo apne cabin men jaakar uskaa intejaar kartaa hain

Lagbhag 7 baje pratap ka aditya ko phone aataa hain ki wo ab free ho gayaa hain

Uske baad donon parking men mile aur aditya usko bataane ke liye saath lekar ek bar men le gayaa

Bar men jaane ke baad pahale to 1-1 peg ka order diya gayaa aur wo aa bhi gayi

Dononne cheers karke wo down bhi kardi firse refill ka order diya aur usmen ka ek ghoont pine ke baad pratap bola “ kyaa hain yaar kyaa bataane ke liye aaj itne jaldi mujhe yahaan le aaya ?”

Aditya “ are yaar hain ek khaas baat !”

Pratap “ aur aaj to chehre par bahut dinonbaad khushi bhi dikh rahin hain kyaa uski wajah hi yahi hain ?”

Aditya “ haan isi baat ki wajah se main kaafi khush hun” Pratap “ ab bataa de yaar”

Aditya “yaar ab kaise bataa dun , kyaa bataau” aisaa kahkar aditya

bottom up lekar apnaa sar pakad letaa hain

Prataap bhi bottom up lekar firse refill ka order deta hain aur chaknaa khate khate aditya ko bolta hain “ ab apne yaar se kya sharmaanaa bak bhi de kyaa baat hain ?”

Aditya “ yaar pratap I am in love yes I am in love”

Prataap khush ho jaata hain aur uski khushi uske chehre par jhalak jaati hain aur wo apna pura glass uthakar top to bottom maar deta hain aur kahata hain “ kaun hain wo ladki ?”

Aditya “ yaar apne abhiman ke yahaan accounts manager hain”

Pratap “ pahale to uske yahan koi lady accounts manager nahin dekhi” Aditya “ yaar abhi abhi nayi aayi hain”

Pratap “oho pahali hi meeting men setting !!” itnaa kahakar pratap

hansane lagaa aur aditya thodaa sharmaa gaya Aditya “are yaar par dar lag rahaan hain”

Pratap “ kyun yaar majaak kar rahaan hain ladki pataane men ek samay

tu master thaa”

Aditya “ haan par ab is master ko jang lag gayaa hain long time............ ”

usne ek thandi saans bharte huye bola

Pratap “ haan yaar kai saal ho gaye yaar ab to sachmen tere ko jang lag gayaa hoga” aur jor se hans padaa aditya bhi uski baat sunkar muskuraayaa

Aditya “ yaar par ab dil ke haanthon majboor hun firse puraane waale aditya ko jagaanaa padega”

Pratap “ jagaa jagaa main tere saath hun par aisaa mat kar denaa ki ‘andhi paani lane gayi, aur matki hi fod aayi” yah sun kar aditya bahut jorse hansne lag jaata hain aur thodi der baad hansi rok kar bolaa Aditya “ chup be aisaa kuchh nahin hongaa dekh lenaa”

Pratap “ han han dekh lenge dilli jyaada dur nahin” Aditya “ haan dekh lenaa bacchu”

Darasal kaafi saalon baad pratap aditya ko firse aise dekh rahaan thaa toh wo bhi bahut khush thaa uske liye iske baad men donone daaru khatam karke dinner ka order diyaa aur dinner karte waqt aditya ne deepa kaa warnan pratap se kiyaa aur pratap to bas aditya ke chehare par ki khushi hi dekh rahaan thaa

Dinner ke baad donon ghar chale jaate hain par wahaan jaakar bhi aditya ko nind nahin aati hain puri raat aditya to bas deepa ke khayaalon men hi rahta hain aur usko nind raatke 3-3:30 ke kareeb aati hain
lovely update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 10

Subah pratap uth jaata hain aur taiyaar ho kar dekhta hain ki aditya to abhi tak uthaa hi nahin hain to wo aditya ko uthaa kar usko taiyaar hone ko kah detaa hain
Aditya uth kar taiyaar ho jaata hain aur naashte ki table par dekhta hai ki pratap uskaa intejaar kar rahan hotaa hain to aditya baith kar kuchh naashte ke liye letaa hain aur pratap ko kahtaa hain “ yaar pratap deepa ko ‘good morning’ masaage bhejtaa hun”
Pratap “ oye chup kar yaar ladki ko kuchh to pahal karne de” Aditya “ matlab”
Pratap “ mujhe to ab shak ho rahaan hain ki main ab bhi usi aditya ke saath baitha hun jo apne collage men ek mashhoor ladkaa thaa wo bhi
ekdam playboy ke jaise”
Aditya “ yaar maaf kar par ab main waisaa rahana nahin hun par aaj dopahar tak apne aap ko restore kar lungaa par play boy banne ke liye nahin balki bas ek ladki pataane ke liye”
Pratap “ thik hain lunch par dekh lenge”
Aditya “ dekh sham tak uskaa number bhi lungaa aur usko apnaa number bhi deke dikhaaungaa”
Pratap “ haan haan apni position kaa use karke, abhiman ko phone karke to koi bhi uskaa number le sakta hain”
Aditya “ chal thik hain yahi bolta hain to abhiman se binaa number maange uska number lekar dikhaungaa”
Pratap “ ho hi nahin saktaa”
Aditya “ chal lagata hain sham ke daaru ki” aisaa kah kar haath aage badhata hain aur pratap uspar clap karke kahtaa hain “ chal lag gayi par dekh seedhe abhiman se number nahin maangna hai aur naa hi uske office ke kisi aur aadmi se ya udhar ke forms par se nahin lene hain”
Aditya “ manjoor sham ko dekh lenaa 4 baje” Prataap “ thik hain dekh lenge”
Tab tak dononkaa breakfast khatam ho jaata hain aur dono company
par nikal jaate hain aur aditya apne cabin men jaakar sochne lag jaata hain dopahar 2 baje lunch par pratap aditya ko bulaane aa jaata hain aur donon saath men harroj ki hi tarah lunch lete hain
Lunch khatam karke uthte waqt aditya pratap se kahtaa hain “ aaj dopahar 3:30 baje tak sab kaam niptaakar mujhse milnaa”..
Udhar abhimaan ke office men deepa kaam kar rahi thi aur usko
abhiman ka phone aata hain “deepa mujhe ***** ki file lekar mere cabin men milo”
Us phone call ke baad deepa abhiman ki kahi hui file lekar abhiman ke
office men jaati hain aur darwaja kholne se pahale hi sheeshe se dekhti hain ki abhiman apni kohniyonko table par
rakhkar haathonmen apnaa sar pakad kar baithaa hain
Deepa darwaja knock karti hain to abiman apni gardan uthkar dekhta hain ki kaun aaya hain aur wo paata hain ki deepa uski kahi hui file apne haathonmen lekar darwwjepar khadi hain
Abhiman “ haan deepa aa jao …… baitho” aisaa kahakar saamne ki kursi ki taraf ungali dikhaata hain
Deepa saamne ki kursi par aakar baitha jaati hain aur file abhiman ki
taraf aage kar deti hain
Abhiman wo file lekar thodi der padhta hain aur baad men uske baarenmen deepa se kuchh discussions kartaa hain par deepa ko yah mahsus hota hain ki abhiman kisi tension men hain aur wo kaam par concentrate nahin kar paa rahaan hain
To deepa abhiman se puchhti hain “is there everything all right sir?” Abhiman “ nahin kuchh nahin hain ab tum ja sakti ho”
Deepa “ kya aapko aur kisi chij ki jarurat hain sir ?”
Abhiman “ nahin aur kuchh nahin chahiye” abhiman ekdam muh latkaaye kah detaa hain isse deepa ko pataa chal hi jaata hain ki abhiman koi tension men hain par wo use kuchh bataa nahin chahata hain to wo uth kar baahar jaane ke liye khadi ho jaati hain
Tabhi abhiman bolta hain “ deepa mere liye ek coffee mangaogi” Deepa “ sure sir abhi bolti hun” aisaa kahkar wo phone uthakar coffee

ke liye bolti hain aur uske phone rakhte hi abhiman ka mobile baj uthata hain abhiman dekhta hain ki kiska phone hain
Phone kiska hain yah dekhkar hi uske chehre par thoda rang aa jaata
hain aur wo phone utha leta hain “ hello” phone aditya ka hota hain Aditya “ hello abhiman kya kar rahan hain tu ?”
Abhiman “ kuchh khaas nahin kyun?”
Aditya “ gaadi nilaal aur fauran mere yahaan aajaa par kisiko bataana mat ki tu kidhar jaa rahan hain”
Abhiman “ kya kam kya hain?”
Aditya “ aa to sahi sab bataa deta hun aur waapas office jaane ko nahin milega”
Abhiman “ thik hain abhi aata hun”
Phone par baat karte karte abhiman ke chehre par thhodi khushi aa jaati hain aur wo turant apne car ki chabi uthaane lag jaata hain aur isko dekhkar deepa chakit hi rah jaati hain ki ek call aane par hi abhiman ka mood firse accha ho gayaa
Abhiman uth kar cabin ke darwaje ki taraf nikal hi padta hain ki pichhe se deepa aawaj deti hain “sir”
Abhiman “ haan deepa”
Deepa “ sir aapke liye coffee mangwaai hain”
Abhiman muskuraate huye kahtaa hain “ wo ab aap pee lo main baahar jaa rahan hun”
Deepa bhi muskuraa deti hain aur abhiman apni gaadi lekar aditya ki
company ki taraf nikal padta hain aur 10-15 minute men pahunch jaata hain
Aditya company ke baahar hi road ke ek side ki tapari par usko dikhtaa

hain to wo udhar hi gaadi rok leta hain aur gaadi se utar kar aditya ke paas chalaa jata hain
Abhiman ko dekh kar aditya khush hota hain aur wo pratap ko call
karke baahar yaani jahaan wo khade hain wahi bulaa leta hain Abhiman “ kyaa baat hain yaar itni jaldi aise phone karke bulaa liya” Aditya “are yaar tujhse ek chhota sa kam hain”
Abhiman “ kya ?”
Tab aditya usko sab samjhaa detaa hain tabhi pichhe se pratap bhi aa jaata hain
Aditya pratap se “ to shuru kiyaa jaye operation possible”
Yah sunkar donon hansne lag jaate hain aur pratap kahtaa hain “ jo karnaa hain tujhe hi karna hain”
Aditya “ to fir thik hain tu bas dekh ab kya hota hain”
Aditya apna mobile uthata hain aur abhiman ke office ka number lagaata hain aur us call ko accounts men deepa ke paas transfer karne ko kah detaa hain
Aditya “ hello main aditya bol rahaan hun perfect spm se”
Udhar deepa ke mathepar achanak shikan aa jaati hain ki ab kyaa hoga Deepa “ hello sir haan kahiye kyaa kaam hain”
Aditya “deepa aapke yahaan meri file padi hongi jaraa nikaaliye to”
Deepa “ek minute” aur wo aditya ke compay ki file nikaalti hain aur saamne rakhti hain
Deepa “ haan sir kahiye mere saamne hi hain file”
Aditya “ haan to usmen 3 mahine pahale ek spm diyaa thaa uska payment overdue huye 2 mahine beet chuke hain madam uskaa payment kab milega”

Deepa “ abhi dekhti hun” aisaa karke who us file ko dekhne lag jaati hain aur wo dhundhti hain us spm ke baarenmen
Deepa “ haan sir wo spm abhi tak hamaare yahaan se dispach nahin
hua hain jaise hi wo hamaare yahaan se dispach ho jaayega aapko aapka payment mil jayega aisaa is par likhaa hain”
Aditya “ deepa par humne to isko aapke PO par hi diya tha aur usmen
aapne hi condition likhi thi 30 days men payment ki aur uski date gaye 60 days se upar ho gaye hain” aditya jaraa apne aawaaj men thodaa gussa laakar boltaa hain
Deepa “ sir iske liye mujhe abhiman sir se baat karni padegi aur wo yahaan par nhain hain kahin bahar gaye hain kyun naa aap unse hi khud baat kar lijiye”
Aditya “ madam unse baat karnaa yah meraa kam nahin aapka kam hain aur waise bhi abhiman mera phone nahin le rahaan hain wo company men kaa phone jarur legaa”
Deepa “ thik hain sir main unse baat karke aapko bataati hun” Aditya “ haan aur yah mujhe aap directly jaldi se jaldi bataayen” Deepa “ thik hain sir jaisaa aap kahen”
Aditya “ aur haan kahin par mere liye massage mat rakhiye yah baat bas mujhe directly bataaiye” is baar aditya ke aawaj men kuchh jyaada hi kathortaa thi
Deepa “ jee thik hain sir” itnaa kah kar wo phone rakh deti hain Deepa ab abhiman ko phone karti hain
Deepa “ hello sir main deepa rahin hun” Abhiman “ haan bolo”
Deepa “ sir wo aditya sir ka phone aayaa thaa kuchh 3 mahine pahale

unhone diye huye spm ke baaremen” tabhi abhiman uski baat ko kaat kar kah detaa hain
Abhiman “ wo mujhe abhi kisi baaren men baat nahin karni main
baahar hun aur please mujhe aaj disturb naa Karen”
Deepa “par sir aditya sir ko turant kuchh jawaab chahiye thaa” Abhiman “usse kahnaa ki kal mujhe aakar mile”
Deepa “sir par agar isse wo khush nahin huye to ?”
Abhiman “ tum apni taraf se sambhaal lenaa wo jyaada kuchh bole to use kahnaa ki kal hi jo kahna ho mujhse hi kahen”
Deepa “ thik hain sir” itna kahate hi abhiman phone kaat deta hain Yahaan par teenon hans rahe hote hain
Aditya abhiman se “ are aage ki step”
Abhiman “ haan yaar abhi kartaa hun”
Wahaan deepa telephone directory men se aditya ke company kaa number nikaal kar dial karti hain par usko yah pataa chaltaa hain ki aditya kahin par baahar gayaa hain to wo udharse aditya ka mobile number le leti hain
Idhar abhiman apna mobile uthata hain aur company me phone kartaa hain udhar reshma phone uthaati hain
Abhiman “ haan hello main abhiman bol rahaan hun”
Reshma “ kahiye sir kisko transfer karun ?”
Abhiman “ kisi ko transfer mat karo bas company men ki sabhi telephone line 15 minat ke liye band kar do”
Reshma “ ji thik hain sir”
Udhar deepa aditya ke mobile par call karne ke liye phone uthati hain to who dead hotaa hain to binaa jyaada soche aditya ko jald se jald

abhiman ka masaage deneke liye who apna mobile uthati hain aur aditya ke mobile ka number dial karti hain
Udhar teenon chaay ke saath saath cigrate kaa majaa le rahen hote
hain aur unki bakbak chal hi rahi hoti hain tabhi aditya ka mobile bajne lagtaa hain aditya dekhtaa hain koi unknown number hain aur dononko apne muh par ungli rakhkar “shhhh!!” kartaa hain aur donon chup ho jaate hain
To wo use jhat se uthaa letaa hain “ hello who’s this ?”
Udhar se deepa ki surili aawaj aati hain “ hello sir main deepa bol rahin hun ******** pvt. Ltd. Se”
Aditya “ haan boliye kyaa kaha aapke sir ne ?”
Deea “ ji sir ne aapko kal bulaaya hain unse us baarenmen baat karne ke liye”
Deepa ko man hi man lag raha tha ki ab kyu, kab, kaise, etc., etc. questions aditya puchhega so wo firing sunne ke lie taiyaar ho jaati hain
Aditya “ thik hain par aapne apne company ka phone use karne ke bajaay ye kis number se phone kiyaa hain ?” yah sawaal aayegaa aisaa to deepa ke man men bhi nahin thaa achanak ke is googly se wo thodi chauk jaati hain
Deepa “ wo …. Wo sir yeh mera personal number hain abhi yahaan ki phone line dead hain isliye isse karnaa padaa”
Aditya “ to kyaa main office ke kuchh kaamonke liye aapse is number
par directly call kar saktaa hun?”
Deepa thodi hichkichate huye aur apni najaren sharm ke maaren niche jhukaa leti hain aur kahti hain “ ji jaisaa aap thik samjhe sir”

Aditya aawaj men thodi khushi late huye “ok then good bye deepa” Deepa bhi thodi sharmse aur naajuk aawaj men “ good bye take care” itna kahkar phone cut kar deti hain

Phone rakhne par deepa sochne lagati hain ki aditya wo pahlaa ladka hain jiske pas uskaa number hain aur wo yah sochte huye hi Sharma jaati hain aur uske man men kai vichaar aane lag jaate hain aur wo usmen hi dub jaati hain par wo aditya ka number apne mobile men save karnaa nahin bhulti
lovely update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 11

Idhar aditya phone rakh detaa hain aur teenon firse hansne lag jaate hain aur aditya pratap ko ghadi dikhtaa hain ghadi men exact 4 baje hote hain ab abhiman ruk jaata hain aur aditya & pratap pet pakad pakad kar hansane lag jaate hain par isko abhiman nahin samajh paataa hain
Hansi rukne par abhiman aditya se puchhta hain “ yaar apna khuraapati dimaag itnaa ladaa kar kyaa karnaa chahte the?”
Aditya firse hansne lagta hain aur apni hansi thodi der baad rok kar bolta hain “ are yaar mujhe deepa ka mobile number chahiye thaa isi liye”
Abhiman “uske liye itnaa badaa dravidi pranayam mujhse phone aaya tha tab hi maang liyaa hota to main hi dila deta”
Jo logonko pataa nahin dravidi pranayam unke liye iskaa matlab hain ki kisi bhi chij ko karne ke liye aasan raasta chhod kar mushkil raasta apnaanaa
Aditya “ are yaar meri aur pratap ka challage lagaa thaa ki sham 4 baje tak main deepa ka mobile number lungaa aur usko apnaa number dungaa wo bhi binaa tumse maange”
Abhiman “aur challange par lagaa kya tha ?” Aditya “aaj sham ki daaru !”
Pratap “abhi thoda kaam hain wo niptaa letaa hun aur pine jaayenge”
Abhiman “are bhai par puri baat to bataao” Aditya “pine baithenge to bataayenge”
Aur sabhi company ke andar chale gaye
Pratap kaam ko lag gaya aur aditya, abhiman donon aditya ke cabin men jaakar time pass karne lag gaye
Thode hi waqt men aditya bhi samjh jaata hain ki abhiman bhi koi
tension men hain par wo chij usko idhar puchhna munaasib nahin samjhtaa aur sochtaa hain ki sham ko saath men honge tab puchhega 1 ghante ke baad pratap apnaa kaam nipta detaa hain aur teenon apni car lekar bar ki taraf chal padte hain aur thodi hi der men sab bar men hote hain aur wo teenon order de dete hain
Thodi hi der men unke table par peg aa jaate hain aur ek top to ottom ho jaane ke baad refill ka order diya jaata hain tabhi aditya abhiman ka latka hua muh dekh kar kahata hain “are yaar tera muh kyun latkaa hua hain?”
Abhiman “kahaan aditya main to thik hun”
Aditya “tu kitnaa bada hain par apne guru se jhut nahin bol paayega” Abhiman “are yaar sachmen koi baat nahin hain”
Aditya “chal ab jaldi se bataa bhi de bhaav mat khaa”
Abhiman “are yaar tum donon kuchh subah ke baaren men bataane waale the wo bataao” abhiman ne baat taalne ke liye kahaa
Aditya “ tu pahle apna problem bataa fir hamaari kahaani sun lenaa” Pratap “ ab bol bhi de business ki koi tension hain kyaa?”

Aditya “ are nahin re yaar business men koi problem nahin hain ghar men hi koi problem hain”
Abhiman “ are chhod yaar”
Aditya “ chhod kaise ruk kal uncle se baat kartaa hun ki kyaa maajraa hain ?”
Abhmaan “ are aisaa mat karnaa yaar”
Aditya “ to fir jaldi bataayega bhi ke baat kyaa hain?”
Abhiman “ are yaar mummy papa shaadi ke liye pichhe pade hain” Pratap “ to kar le naa waise bhi lailaa majnoo ki tarah aur kitne saal rahoge pati patni ban jaao”
Aditya “ ruk pratap yeh baat nahin hain”
Abhiman “ yaar main aur kisise shaadi nahin karnaa chahata hun bas mujhe pooja se shaadi karni hain”
Pratap “ to kar le naa”
Aditya “ jo ki aise haalat men jab tak in dononke baap jinda hain tab tak to nahin ho sakti”
Abhimaan “ haan naa yaar yahi to baat hain main kitni baar donon gharon men baat kar chukka hun”
Pratap hansane lag jaata hain aur saath men aditya hi tabhi thodi der thahaake lagane ke baad pratap bol padte hain “ saale abhiman tera kuchh nahin hone waala hain tu to aise jindagi bhar kunwara rah jaayega”
Aditya “ yaar yah to thik nahin hain hamen apne dost ke liye kuchh karnaa hi padega”
Pratap “ matlab ?”
Aditya “ kal se iska mission impossible main haath men lungaa”

Abhiman “ oye yaar mujhe ladki utha kar nahin laani hain”
Aditya “tension naa le teri shaadi pure jorshor se hogi aur wo bhi pooja ke saath hi”
Pratap “ oye iske liye to iskaa baap aur saath men sasur bhi lagegaa naa”
Aditya “ haan to”
Pratap “ saap aur newalaa eksaath kaise mumkin hogaa yah ?”
Aditya “dekh le tu aur abhiman kal se tension lene ki koi jarurat nahin hain bas free rahaa kar aur main kahun waisaa hi karte jaana 1 mahine ke andar andar teri sagaai karaa dungaa”
Itnaa kahte hi abhiman ke chehre par khushi aa jaati hain aur wo refill ka order detaa hain
Uske baad kal sham se lekar aaj subah par jo bhi hua wo sab aditya aur pratap abhiman ko bataate hain aur wo sun kar abhiman dang rah jaata hain
Abhiman aditya se “are yaar tu kahen to main teri baat chalaau kya?” Aditya “are nahin yaar main is mamle men teraa guru hun apna maamla khud sultaa lungaa”
Abhiman “thik hain agar jarurat pade to bol denaa teri setting kar deungaa”
Aditya “haan haan ab hamen apni setting lagaane ke liye aapki jarurat padne wali hain” aditya thode se banaawati gusse ke saath bola Abhiman muskuraate huye “maaf karna guruji main bhul hi gayaa thaa ki aapne hi meri aur pooja ki setting karwaai thi aur ab baap aur sasur ki bhi setting karwaane waale ho aur iske liye main aapka janmbhar upkrut rahungaa” Itnaa kahne ke baad teenon hansane lagte hain

Pratap “ yah to thik hain tum dononkaa par aditya yah bataanaa ki mujhe bhabhise kab milaaoge”

Aditya “ milaayenge jarur milaayenge yaar jaraa sabr rakh”

Pratap “ kab tak?”

Aditya “ thik hain kal abhiman ke office men main jab bulaau tab aa jaana”

Aur sab daaru pikarghar chale jate hain

Idhar sham ko office se deepa bhi ghar pahunch jaati hain par deepa bas apne khayaalon men sochne lag jaati hain ki kyaa hain yah ladkaa who to bas uljhan men hi aa jaati hain

Waise aajtak usne aisaa kisi ladke ke baaren men sochaa nahin hain. bhale kitne aashik uske aage pichhe uske collage men mandraate rahate the par wo kisiko bhi ghaas nahin daalti thi.

Aajtak usne kisi ko bhi apne paas nahin aane diyaa thaa.

Deepa jaise taise ghar aa jaati hain par usko ghar aate waqt bus men har ek mard men bas aditya hi dikhaai de rahaa thaa wo ghar aa kar khaanaa banane men maa ki madad karti hain. raat kaa khaana sabke saath khaakar aur waqt bitaane ke liye tv dekhne ke baad bed par let jaati hain par uski aankhonmen to nind to jaise hoti hi nahin hain bas usmen ek betaabi rahti hain ki kab aditya aaye aur wo aditya se firse gapshap Karen par wo is uljhanmen thi ki aditya kaa chehraa uske aankhonke saamne se ojhal hi nahin ho rahaa thaa. wo samjh hi nahin paa rahi thi ki wo isko kahe to kyaa kahen pyaar yaa aakarshan.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 12


Agale din hi deepa jaise taise uth kar office chali jaati hain par uske kaam men dil nahin hotaa magar usko yah jarur aas hoti hain aaj jarur
aditya se mulaakaat hogi aur wo to bas sochte hi rahati hain ki aditya se jab saamna hoga tab wo kyaa bole
Tabhi abhiman usko kisi kaam se apne cabin men bulaa letaa hain
Deepa abhiman ke cabin men jaakar usse kaam ki baat kar leti hain par aaj baaten karte waqt wo dekh leti hain ki abhiman kaa aaj kaa mood kaafi accha hain aur kal ki udasi shaayad gaayab ho gayi hain to wo abhiman se puchhti hain “ sir aap ki kal waali tension khatam ho gayi kyaa ?”
Abhiman apni kursi par aaaram se apne haath sar ke pichhe rakh kar aaram se bataata hain “ maine apni tension kisi aur ko de di hain” aisaa kahkar muskuraadeta hain
Tab deepa palat kar cabin se baahar jaane lagti hain to pichhe se
abhiman aawaaj deta hain “ deepa” Deepa “ji sir”
Abhiman “aap us maamle ki tension naa le wo kaam ab jis aadmi ke
haath men hain wo kaam niptaa hi dega”
Deepa muskuraakar “thik hain sir agar kuchh mujhse hone jaisaa ho jarur bataiye”
Abhiman “ok agar kuchh hoga to jarur bataaunga”
Deepa apne cabin men firse aane par khidki men se baahar dekhti hain ki ek mercedes andar aati hai aur ek 55 ke aaspaas kaa aadmi jo ki white shirt, white pant men ekdam raubdar personality waala usse utar kar andar aata hain
Thodi hi der men aditya ki gadi bhi aa jaati hain aur aditya usmen se baahar aakar seedha building men aa jaata hain
Kaafi der beet jaati hain par abhiman ka usko bulaawa nahin aata jo ki
wo expect kar rahi hoti hain to deepa thodi pareshan ho jaati hain to usko lagtaa hain ki wo hi abhiman ke cabin tak chakkar lagaa kar aaye Deepa apne cabin men se baahar nikal kar abhiman ke cabin ki taraf nikal padti hain aur dheere dheere wo abhiman ke cabin ke paas pahunch jaati hain to wo dekhti hain ki andar wo aadmi abhiman ki kursi par baithaa hain aur uske saamne aditya baithaa hain aur donon cigrate pite pite kuchh baatchit kar rahen hain (darasal men abhiman ka cabin puri tarah se kaanch ka banaa hone ki wajah se puri tarah se andar waale ko baahar ka aur baahar waale ko andar ka dikhai deta hain)
Tabhi pichhe se bhagi bhagi reshma apne hath ke tray men 2 cup chaay ke kar aa rahin hoti hain tab deepa reshma ko rokkar puchhti hain “ wo kaun hain?”
Reshma “aditya sir hain pahchanti to hongi hi aap naa”
Deepa “wo to pataa hain par unke saath wo thode aged kaun hain” Reshma “wo abhiman sir ke papa hain”
Deepa “aur abhiman sir kahaan hain?”
Reshma “production men gaye hain kyun kuchh kaam hain kya?” Deepa “nahin tum jaao chaay lekar”
Reshma “main kahaan aapse badbadti baithi sir ab kuchh naa kuchh
jarur sunaayenge”
Reshma ke jaane ke baad deepa yah sochti hi rahti hain ki aditya kyaa chij hain jo ki abhiman ke papa ke saath men hi cigrate pitaa hain aur wo kuchh bolte bhi nahin
Thodi hi der men abhiman deepa ke cabin men aa jaata hain usko dekhkar deepa khadi ho jaati hain to abhiman usko baithne ko kah

detaa hain
Abhiman “baitho tum wo jaraa papa aur aditya mere cabin men kuchh baaten kar rahen hain so main unko disturb nahin karnaa chahtaa” Deepa “baithiye naa aap sir”
Abhman saamne waali kursi par baith jaata hain aur cabin ko ghur ke chaaron taraf dekhtaa hi rah jaata hain darasal wo kabhi kisi samay isi cabin men baithaa kartaa thaa par tab to ye cabin bas file ke gatthon se bharaa rahataa thaa to chuppi tod kar abhiman bol padta hain Abhiman “aapne kaafi acchi tarah se sanwaara hain is cabin ko” Deepa sharmaa kar “thank you sir”
Abhiman “pataa hain kabhi kisi samay men main yahaan par baithaa kartaa thaa”
Deepa “sach men sir?”
Abhiman “haan par meraa cabin to bas ek files ke store room ki tarah hi rahtaa thaa baithne ke liye jagah hi nahin milti thi, sachmen har ghar ki tarah hi har ek office ko bhi kisi sambhaalne waale ki jarurat hoti hain aur wo aap bakhubi nibhaa rahin ho” yah sab wo deepa ke table par ke kuchh chhote chhote show items ko dekhkar kahtaa hain Deepa kuchh kahen uske pahale hi aditya wahaan pe abhiman ko dhundhtaa huaa aa jaata hain
Aditya “are yaar kahaan kahan dhundhaa tujhe aur tu yahaan hain” yah kahte kahte aditya abhiman ke paas ke kursi par aakar baith jaata hain Tabhi pichhe se pratap bhiaa aa dhamktaa hain aur abhimaan ko “hi” kahtaa hain
Abhiman “aa jaa bhai aa jaa”
Pratap “accha cabin sajaaya hain yaar”

Abhiman “meraa thodi naa hain inkaa hain”kahkar saamne deepa ke taraf dekhtaa hain to uske pichhe pratap ki najaren bhi deepa par jaati hain aur who usko dekhkar mantrmughd ho jaata hain
Abhiman “inse milo yeh hain miss deepa yahaan ki accounts manager” itnaa kahte hi pratap apnaa haath shake karne ke liye aage badhaata hain par deepa bas file men se muh uthaakar usko smile de deti hain Tabhi abhiman pratap ki pahchaan karwaate huye kahataa hain ki “yeh hain pratap, aditya ka sabse close friend aur meraa bhi dost hain aur yeh perfect spm men hi partner hain”
Yah sab sunne ke baad deepa firse muskuraakar firse file men apnaa sir daal deti hain
Tabhi abhiman kahtaa hain “are chalo cigrate peekar aate hain” aur
uthne lag jaata hain tabhi aditya uskaa haath pakad ke firse beetha detaa hain
Aditya “are ruk baahar tere papa hain unke saamne cigrate piyegaa kya
tu?”
Abhiman “hamaari aisee kismet kahaan ki papa ke saamne cigrate piyu”
Aditya tabhi reshma ko phone karke ashtray mangwaata hain Adityaa “deepa sunna to jaraa” deepa apnaa sar file men se baahar nikaal kar jawaab deti hain
Deepa “jee sir”
Aditya “hum log yahaan cigrate piyenge to tumhe koi problem to nahin hain naa” aditya deepa ko ghurte huye yah boltaa hain
Deepa “nahin sir koi problem nahin hain”
Tabhi pichhe se reshma aakar ashtray table par rakhkar chali jaati hain

Aditya sabko cigrate aur light karke sabse aakhir men apni light karte huye boltaa hain
Aditya “accha hain agar hoti bhi to bhi hum yahi pite” aditya ki is baat
par donon hansate hain aur aditya apni cigrate light kar letaa hain Abhiman “papa gaye honge kyaa abhi?”
Aditya “khidki men se baahar dekh unki gaadi abhitak baahar hi khadi
hain”
Abhiman “to kahan honge abi wo”
Aditya “tere papa abhi tak tere hi cabin men hi honge” aditya ki is baat par pratap hanstaa hain
Abhiman “teri baat ho gayi kyaa?”
Aditya “han ho gayi dimaag men kidaa chhod diyaa hain dekhte hain ki kyaa hotaa hain?” aditya apni cigrate ko donon honthonke beech dabaaye huye boltaa hain
Abhiman “aur kuchh?”
Aditya “haan ab se ghar par jaane ke baad thodaa aisaa dikha ki tera kisi chij men intrest nahin hain”
Abhiman “haan thik hain aur kuchh?”
Aditya “ haan aur manisha ko jaraa samjhaa de ki ghar men thode din jyaada muh naa khole usne muh khol diyaa to ho gayaa tera kaam tamaam”
abhimaan hansne lagta hain aur apni hansi rok kar boltaa hain “ haan thik hain usko samjhaa dungaa”
Sab ki cigrate khatam ho jaati hain
Aditya pratap se “dekh dekh saanp aur newle ke beech men mujhko chhod kar kaise hans rahaan hain”

Pratap bhi yah sunkar hansne lagtaa hain aur kahta hain “tune ki aafat apne gale baandhi hain wo kahaan bolne aayaa thaa ki aditya meri madad kar”
Aditya “are yaar dosti bhi to koi chij hoti hain mujhse iskaa dukh dekhaa nahin jaa rahaan thaa isliye jimmedaari liyi hain” Abhiman “wo chhod ab unse milne ab kab jaane waalaa hain?” abhiman aditya ka dhyan apni taraf khinchtaa huaa kahtaa hain
Aditya “abhi thodi der baad jaane waalaa hun prataap ko saath lekar aayega kyaa tu bhi?”
Abhiman “le le ab meri condition kaa majaa le” yah sunkar firse donon hansne lagte hain
Aditya “main aaj wahaan pahal karne jaa rahaan hun isliye aaj tu saath
men nahin aayegaa samjhaa”
Abhiman “thik hain par tu karnewalaa kyaa hain?”
Aditya hanste huye kahtaa hain “tu aam khaane se matlab rakh baaki mujhpar chhod de”
Abhiman “ haan haan thik hain jo man chaahe wo kar par bas matter badhaa mat denaa bas”
Aditya hansne lagtaa hain tabhi wo dekhtaa hain ki abhiman ke papa ki gaadi chali gayi hain to wo abhiman se kahta hain “ chal ab to tere baapu chale gaye ab chal baahar”
Itnaa kahkar teenon baahar chale jaate hain aur deepa sabke jaane ke baad file men se apna sar baahar nikaalti hain
Itni der uske sab sunne ke baad usko pataa chaltaa hain ki darasal jo bhi abhiman ki tension thi wo ab aditya suljhaane waalaa hain par wo yah jaan nahin saki ki yah manisha kaun hain? Aur uskaa chup rahne

se kyaa hoga? Fir wo yaad karti hain ki aditya ne uski taraf kuchh bhi gaur nahin kiyaa naa hi uske cabin ki taraf

Idhar aditya aur donon baahar aakar seedhe abhiman ke cabin men

chale jaate hain

Pratap “yaar tune deepa ko kuchh dikhaaya nahin yaa uske cabin ke baaren men kuch kyun nahin bola”

Abhiman “ haan yaar main to expect kar rahaa thaa ki ab hum sab deepa ke cabin men hain to tu deepa ke saath thodi flirting wagairaa kuchh karegaa par tune to usko ignore hi kar diyaa”

Aditya hanste huye kahtaa hain “maine kahin par padhaa hain ‘pretty girls behave best when you ignore them’”

Abhiman “fir uske cabin men itni der baith kar gappe ladaane ka

faayda kya ?”

Aditya gambhirtaa se kahata hain “girls must know you are ignoring them”

Itnaa sunkar sab hansne lag jaate hain aur adhaa ghantaa kuchh aur

topics par baat chit hoti hain aur fir aditya pratap ko lekar nikal jaata hain..
 
  • Like
Reactions: mashish
Top