Update 86
Aditya bhi uthkar ready ho jata hai. Bahar aate hi wo breakfast jaldi jaldi men khata hai aur sidhe Pratap ko kahta hain “sab taiyari hai?”
Pratap apne kamar men se 2 pistol nikalta hain aur ek aditya ke haath men de deta hai. Aditya “abe marwayega kya tu? Extra magazines kahan hai?”
Pratap andar jata hai aur ek extra bhari hui magazine lakar aditya ko thama deta hai. Pratap gaadi ki chabi lekar bahar nikalata hai. Aditya uske side men baithkar kahta hain “newspaper ke office lena”
Idhar naa jane kitne deepa ke call aate hain jo aditya uthata nahin hain. ant me ek call wo utha leta hai.
Aditya “hello, ye sab padhkar kuchh ray mat banalena maine to tumhe
sab kuchh sach bataya hai naa?” Deepa “par main kaise maan lu”
Aditya “main abhi paper ke editor se milne ja raha hun, tumse wapas
aakar baat karta hun”
Gaadi full speed men nikal padti hai. Aur seedhe jakar news paper ke office ke bahar jakar rukti hai. Aditya aur Pratap nikal kar sidhe pahale dinesh ke cabin men jate hai.
Dinesh khade hokar unko saamne baithne ke liye kahta hai. Aditya “kya hain ye sab?”
Dinesh “sach”
Aditya “tere sach ki to aisi ki taisi…. Kal ke paper men maafi chhapni chahiye”
Dinesh “kya sach ko chhapne ke liye maafi maangne ki koi jarurat bhi hoti hai”
Aditya “dekh mujhe naa sunane ki aadat nahin hai”
Dinesh “ab daal lo kyunki jald hi aap salakhonke pichhe jane wale ho” Ye sunkar Pratap ko gussa aata hain aur kahta hai “itne waqt tak tu deepa ka bhai hai isliye hum thik se baat kar rahe par shayad tujhe koi aur hi bhasha samajh men aati hai”
Itna kahkar wo uthne lagta hai to aditya uska haath pakad kar niche bithata hai au kahta hai “are Pratap iske jaise khwab to kaiyon ne dekhe aaj kuchh kabar men hain kuchh raakh men tabdil ho gaye, par isko iske ye kiye ki kuchh aur hi saja milegi”
Itna kahkar uthkar nikalne lagta hai to Pratap bhi uske pichhe uthkar nikal jata hai.
Aditya aur Pratap bahar aakar puchhte hai ki editor ki cabin kahan hain
to wo ladki ek cabin ki taraf ishara karti hai. Aditya us taraf nikalne lagta hai to wo kahti hain ek minute ruk jaaiye aap ke aane ki unhe ittelah deni padegi.
Aditya bina sune aage nikal padta hain aur uske pichhe pichhe Pratap. Aditya sidha uske cabin ka darwaja khol kar andar ghus jata hain aur uske saamne ki ek kursi par baith jata hai.
Editor “kya hain ye? Kaun ho tum?”
Aditya hanste huye “kya yaar abhi se sathiya gaye ho aaj itna accha phota chhapa hain mera front page par aur aap mujhe nahin pahchante, are koi aajka newspaper dena re editor sahib ko taaki inhe pata chale ki main kaun hun”
Tabhi side men baitha hua ek aadmi darted huye aadmi news paper thama deta hain. wo kuchh der usmen dekhta hain. kuchh der men aditya sidhe uske aankh ke samne ka paper chin leta hai.
Aditya “bahut padh liya ab to tu jaan gaya higa ki main kaun hun”
Wo manager kuchh kah nahin pata, tabhi Pratap baju wale ke sar par pichhe se maarta hain aur kahta hain ki cabin se bahar nikal jaaye. Wo aadmi wahan se nikal jane men hi balai manta hai.
Ab Pratap aditya ke side men aakar baithta hai. Aditya “tumhari himmat kaisi hui ye sab likhkar chhapne ki?”
Editor “ab reporter ne pure saboot laye the to chhap di”
Aditya “chhap di….. aise hi….. bina kuchh soche….. ki kal koi aayega, dhamaki wamaki dega, aur shayad wo bhi hajam naa ho to khun bhi kar dega”
Yah synkar Pratap hansne lagta hain. wo editor yahan wahan se thodi takad jutakar kahta hai “hamara koi kuchh baal bhi baanka nahin kar sakta”
Aditya hante huye kahta hain “haan baal kyun baanka karenge bhai, hum to sidhaa mundi hi baaki kar denge” aur fir Pratap aur aditya jor jor se hansne lagte hai.
Aditya “dekho kal ke paper men aaj ka jo bhi hungama kiya hain uspar maafi chhap do wo bhi frontpage par nahin to kuchh aur hi parso paper men chhapa milega”
Editor “main nahin chaapunga”
Aditya “tu kyu nahi chhapega tera malik bhi chhapwaayega” Editor “agar nahin chhapa to?”
Aditya “bhai mujhe majboor mat karo, ye jo tu sab padh raha hai naa ye
sab kuchh bhi nahin hai, tere jaisonko marna mere liye bas sochne barabar ka kaam hai, baki kaam karne walonki koi kami nahin hai” Editor “dekhiye…..”
Aditya “hum kuchh dekhne ke aadi nahin hain hum to bas logonko dikhate hai, ab uljhulul tamasha mat kijiye kal ya to main subah paper men mafi padhunga yaa fir dopahar men aapke death body ke saath baithkar sharab piyunga”
Editor “aap aisa kaise kar sakte hai, mere cabin men camera hai, is sab ki tape kiyi ja rahi hai”
Aditya “abe kya hoga kal dusari haalat me batau, main aur ye aayege, hum donon tere ko tere cabin se ghasitate huye bahar le jaayenge, bahar lejakar sare aam public ke beech men kuchh jute maarenge, fir hum tujhe apne saath le jayenge, wahan tu ek gun lega aur khudko usse shoot kar lega ya fir khudko fansi laga lega, simple”
Itna kahkar aditya cigratte sulgata hai, aur aage kahta hai “main jab andar aaunga tab se lekar bahar jane tak saare cameras technical problem ki wajah se band ho jayenge, itne saare log jo yahan tamasha dekhenge unmen se ek bhi chamarit gawah nahin banega, darwaje par laga hua jo visitor register hoga wahan se hum donon aayenge iski entry hi nahin hogi”
“aur rahi baat wo tere jaanbaj sipahi dinesh ki” itn kahkar hi aditya
hansne lagta hain aur uska hansana dekh Pratap bhi hansne lagta hai Aditya “wo mukadama daayar karega, agale din mujhe court men pesh karke bail de di jayegi pahale to police giraftar hi kyun karegi wo to isko suicide maan chuki hogi, aur agar case par koi accha officer aa bhi gaya to bhi case court men itne ghumegi itna ghumegi ke baad men dinesh ke pagal ho jaane se case band ho jaayegi”
Editor ab pura dar gaya thaa. Tabhi uske table par ka phone bajta hai… Saamne pada phone baj raha thaa aur editor ki himmat nahin ho rahi
thi, uske to pasine chhut gaye the. Aditya “are phone uthaiye”
Wo editor bina ek pal ganwaaye phone utha leta hai. “hello…… ji sir……
ho jayega sir….. nahin sir aisa nahin hai…..”
Uske baad kuchh der tak wo saamne wala hi kahta jata hai aur ye yahan se bas yes sir karta jata hai. Par har minute us AC kamare men us editor ke mathe par ka pasina badhte jata hai. Wo rumal nikal kar usse pochh deta hai.
Editor “sir wo mere saamne baithe hain yahan….. thik hain aap unse baat kar lijiye”
Itna kahkar wo aditya ko receiver thama deta hai. Aditya “hello” Saamne se “main avdhoot bol raha hun is paper ka malik” Aditya “haan boliye”
Avdhoot “sir main aapse maafi maangna chahata hun aap koi…” Aditya “are aap to maafi is tarah se maangiye hi mat”
Avdhoot “sir kal ke paper men bhi front page par maafinama chhap jayega uske baren men aap koi chinta naa Karen, par main personally aapse mafi mangna chahta hun”
Aditya “thik hai” Avdhoot “sir aur kuchh”
Aditya “haan jis reporter ne ye khabar likhi thi..”
Avdhoot “sir uske baren men aap sochiye bhi mat wo wahan kaam nahin karta isi waqt se”
Aditya “nahin aap use kaam se nahin nikalenge, bas main jo kahta hun wo kijiye”
Avdhoot “thik hai sir aapki jaisi iccha”
Aditya “infact maine uske liye kuchh alag soch rakha hai” Avdhoot “kya?”
Aditya “wo main aapke editor ko bata dunga”
Avdhoot “thik hai sir, aur kuchh sir” Aditya “kuchh nahin”
Avdhoot “thik hain sir main city men aane par aapse ek baar milunga”
Aditya “jarur..”
Avdhoot “ji sir ab aap editor ko phone de dijiye main unhe samajha deta hun”
Tab tak editor ne donon ke liye chaay mangai thi wo aa jati hai. Aditya aur Pratap chaay ka cup uthata hai aur editor kuchh der receiver pakad kar bas sonata jata hai.
Editor phone rakhkar sidhe dinesh ko bulata hai. Dinesh jab andar aata hai tab wo dekhta hai ki editor apne chehare par kuchh dar aur kuchh jhuthi hansi liye aditya se baat kar raha thaa.
Editor “dinesh jara aapne inke liye jo bhi research kiyi thi uski file laaiye to… kuchh bhi mat chhodna us men se”
Kuchh der men dinesh ek file lekar aata hai. Editor wo file usse lekar
aditya ko sonp deta hai. Aditya use Pratap ko thama deta hai. Aditya ek muskaan dinesh ke upar fenkta hai, par dinesh to andar hi andar jal raha hota hai.
Aditya “dinesh kuchh kuchh power aisi chij hoti hain jiske saamne badi badi takaden jhuk jati hai”
Dinesh “main tumhe salakhon ke pichhe kar ke hi rahunga”
Aditya “khwab dekhna acchi baat hain par kuchh khwab aise hote hain jo kabhi pure nahin hote”
Dinesh “jaise ki ye kwab ki tum apne sab gunah daba doge” Aditya “are amin to daba chukka”
Dinesh “you will pay for this”
Aditya “kya karoge isi khabar ko kisi aur ko uchhalne ko kahoge” Dinesh “main apni taraf se puri koshish karunga”
Aditya “jor laga lo koi chhap nahin paayega”
Editor “bas karo dinesh”
Aditya “aur dinesh kal se ye sab political issues par likhna band” Dinesh “ab tum mujhe bataoge ki main kis chij par likhun”
Aditya “editor saab kal se ise page 3 ke collome likhne ke liye laga do, unke saath rahega tab kuchh hamari tarah ho jayega”
Editor “thik hai kal se ye page 3 par kaam karega”
Dinesh “aditya main tumhara wo haal karunga…”
Usi baat ko kaatkar editor kahta hain ki “dinesh abhi tumari tabiyat kuchh acchi nahin hain day off le lo tum”
Dinesh “sir….”
Editor “maine kaha naa aaj tum ghar chale jaao”
Dinesh bina kuchh kahe wahan se nikal jata hai. Aditya bhi nikalne
lagta hain. is baar bahar nikalte waqt uske chehare par jeet ki muskaan thi.