- 18,557
- 13,660
- 229
Iska 2nd part bhi to likha tha Xp pr wo incomplete tha use hi start kr de
complete ho gaya hai [ost kar raha hu padh lijiyeIska 2nd part bhi to likha tha Xp pr wo incomplete tha use hi start kr de
Writer ji har page par jo index aa rha hai use hata do aap
bhai abhi kar deta huWAiting
good updateUpdate 4
Pratap aditya ko akela saath men dekhkar rahat ki sans leta hai. Aditya ek cigratte jalata hai par kuchh kahta nahi hai. Aditya bas saamne take jata hai.
Pratap “are aditya kya hua?’
Par aditya kuchh jawab nahi deta, wo to bas cigratte funkte huye dekhe jata hai. Achanak pratap ko aisa lagta hai ki koi unka pichha kar raha hai. Wo rear view mirror men dekhta hai to pata hai ki ek gaadi uske pichhe pichhe hi aa rahi hai.
Pratap gaadi bhagane lagta hai, par wo gaadi thik uske pichhe hi aa rahi thi. kuchh dur jaane par wo gaadi ek turn par mud jaati hai. Pratap kuchh samajhe usse pahale hi kuchh dur chalane par achanak se wahi gaadi ek mod se aakar unke aage ruk jati hai.
Pratap ye dekhte hi dar jata hai wo turant gaadi ke brakes daba deta hai. Gaadi aakar us gadi ke kuchh dur hi ruk jaati hai. Pratap kuchh kar paaye isse pahale hi gadi men se 4 ladke nikal aate hai. Achanak se aditya jaise ek nind men se nikal aaye waise dekhta haia aur unko pistols nikalte dekh turant pratap ka shirt garden se pakad kar use niche khinchata hai.
Andhere men ladkon ko kuchh dikhta nahi hai sab apni magazine khaali kar deta hai. Wo reload karne ke liye rukte hai to aditya apni bandook nikal kar saamne ki taraf 2 goliyaan shoot karta hai. Ab unhe reload karne ke liye car ki aad leni padti hai. Ab to pratap bhi aage dekhta hai aur gadi se bahar dekhte huye apni gun nikalta hai. Kisiki aahat hone par wo goliyaan chalata hai.
Kuchh der baad use samjhta hai ki uski goliyaan khatam ho gayi hai.
Wo bhi aad le leta hai. Aditya tabhio car start karta hai. Pratap “aditya goliyaan de”
Aditya “ nahi hai agali baar aur rakhunga”
Aditya “andar aaja main tujhe cover karta hun”
Itna kahkar aditya 2-3 goliyan chalkta hai aur tabhi pratap andar aa jata hai. Aditya turant gaadi dauda deta hai. Aur apni revolver pratap ke hath men dekar kahta hai “rakh le masale kutne ke kaam aayegi” Pratap “kyu?’
Aditya “abe goliyaan kahtam ho gayi hai”
Aditya rear view mirror men dekhta hai to wo gaadi firse uske pichhe thi.
Pratap “aaj to gaya beta tu ladki naa mili jaan se bhi haath dho
baithega”
Aur ye kahkar wo apna mobile nikalne lagta hai. Aur yahan aditya gaadi highway par le jata hai jisse wo gadi aur speed se bhaga sake.
Aditya “oye gadi ka darwaja khol agale turn par ek ghaas wala mod hai main gadi dhimi karunga kud jaana”
Prtaap “nahin”
Aditya “fat rahi hai kya?”
Pratap “nahi tujhe akela nahi chhod sakta”
Aditya “ye meri ladai hai akele ki aur main uske agale mod par kudne wala hun tu kud yahan”
Pratap “inka badala lenge”
Aditya “pahale abhi jaan bacha le baad men badla le lenaa” Prtap “thik hai” itna kahta hai aditya turant gaadi ke breaks jor se dabkar turn ke paas jata hai, aur pratap kud jata hai.
Kudne ke baad wo dekhta hai ki aditya car lekar aur speed se bhagaye jaa raha hai, aur wo pichhe ki car uske pichhe bhaagti ja rahi hai. Wo turant phone karke vikram ko inform karna jaruri samajhta hai.
Wahan aditya gaadi men ye faisalaa leta hai ki wo isko aaj maut ka manjar dikha kar hi rahega wo bhi apne driving skills se. wo gaadi aur tej lekar jata hai. Ab wo ek ek karke dangerous tarike se overtakes karna shuru kar deta hai.
Pichhali gaadi chalane wal adriver itna accha nahi thaa, wo kabhi pichhe nikal jata kabhi usko jagah nahi milti aakhir kaar usne ek galat faisala liyaa aur wo 2 tej aamne saamne chalane wale trailors ke beech men ghus jata hai aur wahi uski gaadi chaknaachur, aditya wo accident apne side mirror men se dekhta haia aur khushi se steering par haath maarta hai.
Ab wo aage dhyaan deta hai to achanak se use pata chalta hai wo wrong lane men ghhus aaya hai aur wo saamnse se aane wali gaadi ko bachane ke liye raste par se niche jane ki sochta hai aur jaise hi wo niche utartaa hai gadi ki speed jyada hone se gaadi sidhe jaakar ek ped se takraa jaati hai.
Achanak se steering sir par lagne se uske sir se khoon bahne lagta hai. Apna khoon se sana hua chehara wo steering par se uthata hai aur bahar nikalne ke liye darwaje ka knob khinchta hai par wo usse khincha hi nahi jataa. Thoda jor lagakar wo kholta haia aur bahar aata hai par wo apne pairon par hi nahi khada rah paata aur uski aanhon se roshni ojhal ho jaati hai….
awesome updateUpdate 5
Yahan jab nilu aditya ko jaata dekh wapas mudti hai. To wo dressing table par rakhi hui chhithi dekhti hai aur use lekar padhti hai.
Wafaa ki aakhri had se gujar liyaa jaaye Sitamgaaron ke muhalle men ghar liyaa jaaye Jidhar nigah uthe aapke hi jalwe ho
Jiye to aise jiye warnaa mar liya jaaye
Ab to wo ye padh kar rone lagti hai aditya ki baton ke baad bhi jo wo andar kuchh bachi thi ab wo bhi tut chuki thi. Bahar ka darwaja log khatkhataa rahe the aur saath hi sath men nilu ko aawaj hi de rahe the. Par yahan nilu to ek kone men baith aur us chitthi ko sune se lagaakar ro rahi thi.
Uske ek bhai ne aakhir darwaja tod hi diya. Sab ne dekha ki nilu baithi ro rahi hai. Uski maa ne uske aansu pochhe aur kaha “chalo beti”
Nilu men ab kuchh naa bacha thaa wo bas ek jinda laash bach gayi thi.
Yahan accident hone par vikram aur baaki sab kuchh hi der men pahunch jaate hai. Wo dekhte hai ki aditya ki sir ko gahari chot aayi hai, wo apni gaadi se bahar nikal kar jahan bhi pada hua hai wahan khoon ka taalab sa ban gaya hai. Par uski saanse abhi tak chal rahi thi.
Pratap apna shirt utaarta hai aur aditya ke sar ke ghaav par band deta haia aur kahta hai “bhaiya gaadi nikialo jaldi”
Vikram bina der kiye gaadi chalu karta hai. Jaise hi aditya ko lekar pratap gadi men baithtaa hai, vikram gaadi ko hospital ki taraf dauda deta hai.
Hospital men jaane par doctors uskaa ilaaj karte hai. Hospital men ghar ke sab log jamaa ho jaate hai. Doctor bahar aajkar kahta hai “sir ko andruni chot aane ki wajah se aditya coma men chala gaya hai” Vikram “kitni der?”
Doc “ab kuchh bata nahi sakte ki kitni der lagegi bas ab hum to raah
dekh sakte hai”
Itnaa kahkar wo chala jaata hai. Wahan vikram aur pratap baith jaate hai.
Aditya ke papa “pratap..” Pratap “ji…”
Papa “chalo mere saath”
Tabhi aditya ke papa ka phone bajtaa hai, kuchh der baat karne ke baad unke chehare par ki chintaa ki rekhaayen aur gahari ho jaati hai. Phone rakhkar wo pratap ko saath lekar hospital se bahar aate hai.
Papa “ab bataoge bhi kya hua thaa ki tumhare pichhe wo mosin ke ladke pade the”
Pratap se raha nahi jata use pata thaa ki ab wo kuchh bhi chhupana
sahi nahi hai. Wo ek ek karke shuruaat se aajtak jo hua thaa wo sab aditya ke papa ko bata deta hai.
Papa “tumhe aajtak aisa nahi lagaa ki kuchh hint to deni chahiye thi
mujhe. Ye aditya to kuchh batata nahi hai wo pichhali baar vikram ke waqt bhi yahi hua thaa par this time he have gone too far, pata hai kya hua hai?”
Pratap “kya?”
Papa “wo gaadi mosin ka beta chala raha thaa aur gaadi ka jab accident hua tab ek bhi wahan jinda nahi bacha, ab wo sarfiraa pata nahi kyaa karega”
Wahan mosin ke ghar jaise hi nikaah ho jata hai, waise hi khabar aati
hai ki uska bada beta jalal accident men maara gaya hai. Sara ghar gam men dub jata hai.
Jab jalal ka janaaja uthane wala thaa, tabhi mosin ko saari baat samajh
men aati hai ki aditya aur nilu ka pyaar thaa, wo nilu se hi milne aaya
thaa, aur baad men uska pichha karte huyte hi uski accident men maut hui.
Mosin apne bete ki laash par fut fut kar ro raha thaa aur achanak se uske aankhon men angaar aa gaye. Wo use kahne laga “tumhaare kaatil un jahagirdar khaandan ko khatam naa kar du tab tak main chain se nahi baithunga”
Itnaa kahkar hi wo imtiyaaaj ki taraf dekhta hai uske bhi aankhon men aansu the, usko wo gale se lagaakar kahta hai “bas ab rokar apne aansu jaya mat karo unko barsaat banakar jahagirdaron par barsaawo jisse wo dub jaaye”
Aur fir aage dekhkar kahata hai “uthaao janaja aaj mere bete ka farj mujhe adaa karma hai”…