- 4,422
- 1,976
- 143
Prologue
Us din ki subah har roj jaisi hi thi, deepa aaj bhi apne bistar par baithkar apne hi khayalon men hi khoyi hui thi, shayad uske men men viraajmaan aditya ki tasweer ko wo sach men bhul nahi sakti thi. Uski
aankhen ro ro kar suj gayi thi. Ye sab uski shaadi tutne ke baad hua thaa.
Usne kai baar suna jarur thaa par aaj usne heer ko jab rajhe se alag kiya gaya thaa tab uske man ki wyatha kya thi wo samajh rahi thi. Aaj uske aankh ke aansu such chuke the. Ab un aankhon men koi khwaab nahi bancha thaa. Par fir bhi man men ek aas thi ki wo jald hi aditya se mile uske gale lag jaaye aur use kahen “aditya ab main kisika kuchh nahi sunungi mujhe apne sath le chalo, in sab chijon se dur le chalon
har ek gam se dur jahan main bas tumhari baahon men rahun tumhari sansonki garmi ke mahsus karu aur meri saari dunia bas tum hi ho”
Wo yahan wahan dekhne lagti hai apna mobile dhundhne ke liye par wo
uski battery down hone se wo switch off ho gaya tha wo use charger lagakar on karti hai to use abhiman ke kai saare miss calls najar aate hai. Wo pahale aditya ko call karti hai par uska mobile switch off pati hai. Wo fir abhiman ko call lagati hai. Tab use pata chalata hai aditya ka accident hua hai aur wo coma me hai. Deepa turant bahar daud jati hai. Deepa apni aansuon men such chuki ankhen lekar hospital ke bahar thi. Uske man men sach men itni himmat nahi thi ki wo itne bade kahar ke baad bhi aditya ko aisi haalat men dekh paye par ye aditya ka pyaar hi thaa jo use abhi tak sambhaale huye tha. Halke man aur bhare huye gale ko saath men lekar wo reception par ja pahunchati hai.
Deepa “aditya jahagirdar”
Recepation par jo lkadki thi usne apni najar uthayi aur bola “first floor room no. 104”
Deepa apne andar ek anjaan dar lekar aage badh chali use pata nahi thaa ki aage kya dekhne ko milega aur aditya kis halat men hoga. Lift ruki aur uske najaronke saamne aur koi nahin balki pratap thaa. Jaise hi pratap ne deepa ko dekha uske aankhen gusse se lal ho gayi. Wo jaise hi bahar aana chahti thi tabhi pratap ne uska haath pakad kar firse use lift ke andar khinch liya.
Pratap ke aise behavior se wo kuchh chaunk jarur gayi thi. Par use lagta hai use kuchh kahna hai isliye wo bhi kuchh nahin kahti. Pratap deepa ko lekar bahar aata hai. bahar aate hi wo kahta hai “bahut hua ab aditya ko baut dukh pahuncha chuki ho tum ab nahi ab bas….. main
use ab kuchh hote huye nahi dekh sakta chali jaao yahan se”
Deepa najare jhukaaye huye khadi ho jaati hai. Pratap “tumhe pata hai vikram bhaiyya ke saamne aajtak naa kahne ki kisiki himmat nahi hui hai, bhale hi wo ek businessman hai par unke saamne aajtak ek bhi minister ne naa nahi kaha hai aur tumhare papa ne to jab wo acchi tarah se baat karne aaye the tab hi naa kah diya aur wo tumhara bhai dinesh uski to naa…. Aajtak kisiki himmat nahi hui aditya ke coller ko hath lagane ki, agar aditya ne roka naa hota naa to use aajtak pata nahi kisne kya kiya hota, bas ab nikal jaao”
Deepa “main aditya se pyaar karti hun”
Pratap “ ye tab kahan gaya thaa jab tujmhari shadi thi aur aditya aakhri baar bhi tumse puchhane aaya thaa”
Deepa “mere mummy, papa agar main tab palat jati to unki kitni jaghasai hoti”
Pratap “pahale apne dil ki sono uske aage koi jaghasai nahi rahati,
aditya ne mujhe itna tak kaha tha ki agar deepa maan jati hai to usi mandap men usi muhurt par wo tumse shadi kar lega taaki tumhare ghar walonpar koi aanch naa aye”
“tum wo dusari ladki ho jiski wajh se main aditya ko is halat men dekh raha hun”
Deepa “matlab dusari matlab??”
Pratap “nilofar, uski wajah se pichali bar wo isi halat men thaa”
Deepa “please mujhe aditya ko dekhne do main ab use chhod kar kahin nahi jaaungi, mujhe ab kuchh nahi chahiye bas aditya chahiye”
Pratap ka gussa uski bholi surat dekhkar kuchh kuchh pighal hi chukka thaa use laga shayad yahi wo hai jo ki aditya ke liye bani hai.
Wo aakhirkar use apne sath lekar aa jata hai. Wo sochta hai jab bhi aditya aankhen kholega uske saamne deepa hone se accha koi aur khubsurat ho hi nahi sakta.
Deepa pratap ke saath aditya ke bed ke side men baithi thi. Uske hath men aditya ka haath tha. Wo pratap se kahti hai “mujhe aditya ke past ke baren men jaananaa hai kaun thi ye nilofar aur kya hua thaa?” Pratap “tumhe main bata nahi sakta tum uska galat matlab nikalogi” Deepa “nahi bilkul nahi”
Pratap “wo waqt ka takaja thaa ki humen apni jaan bachane ke liye apne haath khun se rangne pade the, apne pure pariwar ko bachane ke liye aur sath hi main kuchh aur jaanon ko bachane ke liye hathiyar uthane pade the, par hamari wo kahani koi shur katha naa bani balki ek aisi kahani bani jispar humen hi ek pardaa daalna pada aur jisne bhi
wo aadi jaani usne humen khunkhaar daridon men ginaa, par hum bhi tumhari tarah hi hai bas baat ye hai ki humne ek faisala liya …. Faisala ki hum jinda rahenge chaahe jo bhi ho jaaye aur apni jaan danv par lagakar humne kai begunaah jaanen bachai”
Deepa “kya thaa wo mujhe batao”
Pratp “iski shuruat to wahin se hoti hai jahan se aditya hai aur uski shuruat hui thi wahan se hi”
Pratap ye sochta hai ki agar deepa aditya ne kya saha hai wo sun le to shayad aditya se fir kabhi dur naa jaaye isliye wo sab batane ko taiyar ho jati hai.