• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?

  • Total voters
    11

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Alternate Ending
jese hi dilawar ne triger khicha aditya ki ak47 se goliyan chalne lagi...dilawar ladkhadata huwa pichhe ki aur ja gira... fir bhi aditya ne goli barsana chalu rakha jab magzin khatam hogyi tab aditya ek katil muskan apne chehre pe waha lata hai... aur wahi pe bhtha rehta hai... tabhi waha pe ravi aajata hai... ravi ko uske papa ka plan maloom pad

chuka tha... aur wo yahan aditya ki madad ko aaya huwa tha... ravi aake sidha aditya ke pass hi beth jata hai aur kehta hai...
ravi dekh aditya nazdik hi hospital hai hum waha chalte hai.. tumhe
kuchh nahi hoga.. abhi to kafi lambi umer hai tumhari aur fir tumhari sadi bhi to karwani hai...
itna keh kar ravi aditya ko uthana chahta hai lekin aditya use rokta hai...
but ravi uski bat na sunte huwe usko aditya ki car me daldeta hai... aur car hospital ki aur doda deta hai..
hospital me aate hi aditya ki treatment suru ho jati hai tab tak ravi ye
khabar pratap ko de deta hai...
pratap abhiman ke sath waha aa pahochta hai... pratap waha aake ravi se kehta hai ki aditya ke sath ye sab kese huwa..
ravi un dono ko apne papa ka plan aur dilawar dwara ki gaya attack ke bare me bata deta hai... itna sunte hi...
pratap: ravi tu agar pehle bata deta to abhi shayad aditya ki halat esi na
hoti...
abhiman: dekh pratap ravi ne jo kiya wo sab thik tha... chal ab ye soch ki aage kya karenge "vikram" bhaiya ko khabar dete hai...
pratap: haan vikram bhai ko khabar dete hai uske bad hum pradhan ka
bhi bandobast karte hai... ab deepa meri bhabhi banke hi rahegi.. pratap vikram ko call karke sab bata deta hai vikram apne baki ke tabhi thodi der bad operation room se doctor bahar aata hai to pratap utable pan se kehta hai...
pratap: doctor kesa hai mera bhai...? kesa hai aditya... ?
doctor: dekhiye ab khatere ki bat nahi hai do goli lagi thi mene nikal di hain... aur haan usko thoda khoon bhi chadha na padega aap khoon ka

bandobast kare.. hospital me available nahi hai... aur haan aap yahi rahega mene police ko inform kiya huwa hai..
pratap is bat pe kuchh nahi bolta sirf itna kehta hai : doctor aditya ko
hosh kab tak aayega...
doctor: kuchh keh nahi sakte... shyad jald hi aajaye kyunki itna khoon baha hone ke bad bhi unko hosh tha...
doctor itna kehke waha se nikal jata hai... uske bad pratap..
pratap: abhiman ab hume hi kuchh karna padega... do din bad deepa ki sadi hai... ab pradhan ko sirf itni khabar pahocha do ki aditya ki maut ho chuki hai...
ravi: wo me sambhal lunga...
pratap: dekho humari tumhare baap se koi dushmani nahi thi... lekin wo khud dushman bana tha...
ravi: mujhe aditya ke bare me sab pata chal chuka hai ki usne kya kya jela hai...
pratap aur abhiman ravi ki bat sunke chonk jate hai... to ravi unka ye reaction dekhke kehta hai..
ravi: haan ye bat sach hai.. ye sab humne deepa ne hi bataya hai...
pratap: kab aur kese bataya?
ravi :bat ab neha ko bhi pata hai kyunki usi ne deepa se sab puchha tha neha aditya se pyar karti hai but aditya deepa se pyar karta hai ye bat sunke wo kafi hurt huyi par usne socha kyun na me apne pyar ki madad karu... to usne jake deepa se bat kari.. aur aditya ki kasam deke sari sachai pata karli neha ne hi mujhe sab bataya aur neha ke kehne pe hi mene mere dad aur aakash pe nazar rakhni suru ki thi aur aaj unka ye plan mujhe maloom pada tha but me thoda late hogya..

pratap : koi bat nahi abhi bhi waqt hai humare pass ab sab thik ho jayega... but haan is bar wo itihas fir se dohrayega... lekin isme jit sirf pyar ki hogi...
thodi der tino bat karte hai tabhi waha vikram apne bhaiyon ke sath pahoch jata hai.. vikram ne aate hi pratap se sari kahani sunli thi.. kuchh der sabhi log aur intzar karte hai tabhi ravi achanak se kehta hai.. ravi: pratap me tumse ek bat to kehna bhul hi gaya...
ravi ki is tarah shanti chirti huyi aawaz sabka dhyan uske taraf khinchti hai...
pratap: kya kehna bhul gaya...
ravi: pratap bat ye hai ki jab neha ne deepa se sab bat puchhi tab neha ne ye bhi puchha tha ki kya tum ab bhi usse pyar kati ho tab deepa ne kaha tha ki me mere mata pita aur bhai ke hathon majbur hun.. aur aaj bhi me yahi intzar kar rahi hun ki kab aditya mujhe lene aaye aur kab me uske sath chali jaun...
ravi itna kehne ke bad kuchh nahi bolta..
pratap: to iska matlab deepa ab bhi aditya ke intzar me hai.. vikram: to fir jake ab deepa ko le aao...
pratap: nahi bhaiya ab ye nahi karna hai.. ye to pichhli bar ki tarah hi
hoga sab kuchh... hum kuchh alag karte hai.. kyun na hum deepa ke mom dad ko jo galat fehmi hai usko dur karde.. use aditya ki sachai bata de...
vikram: tumhara idea achha hai pratap... but wo log to humari family ke logo ki bat ko sach manenge hi nahi...
is bat se pratap bhi kuchh soch me dub jata hai.. tabhi ravi achanak se.. ravi: ek inshan hai jo humari madad kar dega aur deepa ke mom dad

bhi uski bat sach man lenge... pratap: kon hai wo..? jaldi batao..? ravi: meri mom...
pratap: wo to pradhan ki biwi hai... wo humare liye esa kyun karegi... ravi: esa nahi hai pratap........................... jis din aditya neha ko ghar chhodne aaya tha
us din usne mom se kaha tha na ki apne bacho pe bhi dhyan do..... tab
mom ko uski bat thodi realize huyi thi..... uske bad jab aditya ne mujhe
MD banaya tab mom ko bhi achha laga tha.... to usne kaha bhi tha ki
wo aditya se milegi... par moka hi na mila..... to is bat pe mom uski
madad jarur karegi.. aur wese bhi mom ko bhi aakash bhaiyaa achhe nahi lagte hai... kyunki uska asli beta to me hun..
pratap: to fir thik hai tum apni mom ko phone karke abhiman ke ghar
bulwalo... aur haan tumhare baap tak khabar bhi pahocha do ki aditya
mar chuka hai.. but haan neha ko idhar bula lo mujhe kuchh bat karni hai...
vikram: pratap ab tum kya karna chahte ho...
pratap: kuchh nahi filhal ravi ki mom ko sab sachai batayenge.... uske
bad usko deepa ke mom dad ke ghar bhej denge bat karne..... tab tak kal
ka suraj ho jayega.. aur pradhan aditya ki mout se khush hoga jo ki uske pass aane wale tufan ke pehle ki shanti ka sandesh hoga par wo apni is khushi men duba aane wale tufan ko nahi pehchan payega.. ravi thoda dur jake neha ko call karke use hospital aane ko bolta hai aur uske bad apni mom ko call karke abhiman ke ghar ka pata batake
khud abhiman aur vikram ke sath abhiman ke ghar ke liye nikal deta hai...
dusri taraf ravi ne apne ek khas aadmi se bat karke ye khabar apne

baap tak pahochane ko bol diya ki aditya ki maut ho chuki hai... par ye bat usko subah pata chale aisa karna... aur haan sath me itna bhi kehna ki dilawar bhi mara gaya hai aur me underground ja raha hun aap paise sambhal ke rakhna...
is taraf neha aate hi aditya ko dekhne chali jati hai... aditya waha bad pe behoshi ki halat me leta huwa tha uske aaspass kuchh machine lage huwe the... tab tak pratap uske pass aata hai aur kehta hai... pratap: neha tumne jo kuchh bhi aditya ke liye kiya uske liye me tumhara zindgi bhar ehshan band rahunga.. bus ab ek aur kam kardo... neha: kya kam karna hai sirf ye kaho..
pratap: jab deepa tak aditya ki maut ki khabar pahoche tab tum uske sath rehna usko sach mat batana... lekin agar zyada kuchh ho jaye to tum usko sach bata sakti ho lekin kisi dusre ko ya fir diwar tak ko ye bat pata nahi lagni chahiye... ki aditya zinda hai..
neha: thik hai...
neha itna kehne ke bad ek bar fir se aditya ki taraf dekhti hai uske bad wo waha se chali jati hai.. doctor ke kehne ke mutabik aditya ko khoon to vikram aur uske bhaiyon ke aane ke bad turunt mil gaya tha but aditya abhi tak hosh me nahi aaya tha...
is taraf abhiman ke ghar ravi ki mom vikram pooja abhiman aur ravi ek room me bethe the... ravi ki mom ko sari bate bata di gayi thi.. ravi ki mom ke aankh me aasu aa chuke the aditya ke past ke bare me sunke... tabhi vikram kehta hai
vikram: hum chahe to deepa ko aise hi uthwa sakte hai.. but deepa ke mom dad ki izzat ka khayal karte huwe aisa nahi karna chahte........................... aur
dusri bat hum chahe to abhi jake tumhare pati aur wo aakash ko bhi

uda sakte hai... but aap humari madad kar rahi hai.. isi liye hum unhe kuchh nahi karenge... hum shurveeron ke khandan se talukat rakhte hai humara hath sirf raksha ke liye uthta hai... badla lene ke liye nahi... warna aaj tak hum ye mamla nipta chuke hote..
ravi ki mom: vikram bhai aap chinta na karen me apne pati ke khilaf bhi jake aapka sath dungi... kyuki sachai aapke paksh me hai... main abhi jake deepa ke mata pita se bat karti hun
uske bad ravi ki mom akeli waha se deepa ke ghar ki aur nikal jati hai tabhi uske dimag me ek idea aata hai aur wo deepa ke bhai dinesh ko call karti hai
dinesh call pick karte huwe: namste aunty...?
ravi ki mom: beta tum abhi apne mata pita ke sath hotel brown me aajao mujhe aap tino se jaruri bat karni hai..
dinesh pehle to kuchh soch me dub padta hai fir bolta hai: aunty koi tension wali bat hai kya..?
ravi ki mom : beta tum bus sirf apne mata pita ke sath hotel brown me aajao... aur haan ye bat kisi ko pata nahilagni chahiye ki aap kaha ja rahe hai..
dinesh: ji aunty hum abhi thodi der me hi waha aate hai.. ravi ki mom: me tumhe room number msg kar dungi..
uske aadhe ghante bad sab hotel brown ke room me mojud the... ravi ki mom ne sab bat karna start kiya aur usne ab tak ki aditya ki sari sachai suna di.. jis sunke sabko bada jatka laga.. dinesh ko yakin nahi ho raha tha ab bhi but jab ravi ki mom batati hai ki unke pati (pradhan) us aditya ki part ke opposition party me the tab uske fayde ke liye ye bat galat tarike se tumhe batayi thi taki aditya uske raste se hat jaye...

ravi ki mom ki sab bate sunke dinesh to jese apna aapa hi kho bethta hai... dinesh kehta hai..
dinesh: jise main apna dost manta tha usi ne mere sath aisa kiya.. aur
to aur me uske hath ko apni behan ka hath de raha tha
ravi ki mom: abhi bhi kuchh bigda nahi hai.. kal subah rishta tod do... aur aditya ke sath rishte ki bat kar dena... aur haan mera name mat lena...me yaha sirf aap logo ko sachai sunane hi aayi thi.. aap kal rishta tod dena baki ka sab aditya ke ghar wale sambhal lenge..
is taraf aditya ko ab bhi hosh nahi aaya tha pratap ab bhi uske pass hi betha tha..
udhar subah hote hi pradhan ko khush khabri il jati hai ki aditya mar chuka hai... to wo bahot khush hota hai.............................. tabhi waha dinesh ke papa
(deepa ke papa) ka call aata hai aur sadi se inkar kar dete hai...
pradhan ko to is bat se kuchh fark nahi pada lekin aakash ko ajib laga ki achanak se kese mana kar diya use ye bat hajam nahi hoti hai aur..wo sodha deepa ke ghar chala jata hai...
but wo waha jake dekhta hai waha jahagirdar ki car padi huyi hai..... wo
kuchh kuchh mamla samaj jata hai.. lekin wo andar jake dekhta hai to waha vikram betha huwa tha deepa ke papa ke sath aur unke sath aditya ke dusre bhai bhi the aur sath me deepa ka bhai dinesh aur uski mom bhi thi..
aakash dinesh ko dekhte huwe..: ye kya hai dinesh .. yun achanak shadi se inkar kyun kar diya...
dinesh: hume aditya ki sachai pata chal gayi.... aur sath me mujhe ab ye
bhi realize hogya ki deepa aditya ke sath hi khush rahegi...
aakash dinesh ki bat sunke hasta hai: are aditya to is dunya me tha.. ab

wo nikal chuka hai... is duniya se...
sabhi log sakte me aajate hai vikram aur baki log jinko sachai maloom thi.. wo bhi aisa reaction dete hai jese unko bahot bada jatka laga ho.. aur vikaram bich me bolta hai..
vikram: oye apni jaban sambhal ke bat kar... aur haan aaj tak koi peda nahi huwa jo aditya jahagirdar ko mar sake...
aakash is bat pe joro se hasne lagta hai.. tab tak deepa bhi anadar se neha ke sath bahar aati hai....
aakash : are jake dhundho aditya ki lash... kahi mara pada hoga wo...
deepa ko bhi ab sachai mloom chal chuki thi.. but pratap ke dusre plan ke anusar wo aisa reaction deti hai ki wo aditya ki maut ki khabar
sunke rone lagti hai aur chillati hai nahiiiiiiii
aakash deepa ki taraf badhta hai aur uska hath pakadta hai.. aur kehta hai...
aakash: deepa uske pichhe aasu bahane ke jarurat nahi hai.. wo to ab mar chuka hai..
aakash ki is harkat se dinesh ko gussa aata hai to wo deepa ka hath aakash ke hath se chhudwata hai.. aur kehta hai nikal jao yaha se...
tabhi aakash gun nikalta hai aur dinesh pe tan ke deepa ko bolta hai ki
mere sath chalo warna tere bhai ko yahi mar dunga..
is harkat se sab ko jatka lagta hai.. lekin deepa aakash ke sath chal deti hai to aakash uske uper gun tane bahar nikal raha hota hai tabhi waha samne se..ek goli chutti hai aur sidha aakash ke sine ke par ho jati hai.. sab samne dekhte hai to samne pratap khada tha hath me gun liye...
aur tabhi pratap kehta hai..
pratap: kamine meri bhabhi pe gun tanta hai...

vikram pratap ko dekhke: pratap tu yahan kya kar raha hai..
pratap: ji me to yaha aap ko bulane aaya tha lekin mahol garam tha to thanda kar diya..
vikram: aditya ke pass kon hai..?
pratap: wo waha pe varun hai... us doctor ne police ko inform kiya tha to waha varun hi aaya tha ab waha ki security aur tight hai.. aur haan main bat aditya ko hosh aa chuka hai.. but abhi tak usko koi mila nahi hai main chahta hun ki bhabhi hi sabse pehle jake mile
vikram: thik hai chalo sab chalte hai...
sabhi hospital pahunch jate hai.. deepa sidhe aditya ke room me chali jati hai jaha aditya kabse kisi na kisi ka aane ka soch raha tha but samne deepa ko aata huwa dekh ke thoda jatka lagta hai usko... deepa: chalo janab hosh aagya aapko..?
aditya: deepa tum yahan kese..?
deepa: kyun mujhe yahan aane se mana kiya tha kya kisi ne?.. aur waise bhi aditya jahagirdar ki biwi ko koi mana karne ki himmat nahi rakhta..
aditya deepa ki bato pe sochne pe majbur ho jata hai ki aakhir ye sab
ho kya raha hai aur kaise huwa?
tabhi bahar se sabhi andar aate hai aditya waha pe sabke sath deepa ke mata pita aur uske bhai ko dekhke aur bhi chauk jata hai... tab wo pratap ko dekhta hai jiske chehre pe vijayi muskan dekhta hai to kuchh aur jatka lagta hai.. wo vikram se puchhta hai..
aditya: vikram bhaiya ye sab kaise aur.....
vikram aditya ki bat ko bich me kat deta hai aur..: ye sab is pratap ka kiya huwa hai... usi ne sab kiya hai.. shayad tere sath rehne ka ispe

achha khasa asar pada hai jo isne sab aasan sa kar diya... isi ke plan se aaj deepa tumhare sath hai aur isi ke dusre plan se aaj koi khoon kharaba bhi nahi huwa...?
aditya: matlab..?
vikram: matlab ki isne ek plan aise hi bana liya ki aakash ko sadi ke liye mana karen aur pradhan ko tere maut ki khush khabri me duba rakhe taki aakash aakele aaye bat karne.. lekin usne aake ek galti ki usne deepa pe gun tani to pratap ne usko maar diya... but kuchh bhi kaho aaj yaha pe sab khush hai...
haan sahi hi bat thi aaj yaha pe sab khush the... aditya ka pura pariwar khush tha uski wajah aditya ki zindgi me deepa ka wapis aana tha to neha ki khushi ka raaz ye tha ki aditya khush hai...
us taraf pradhan ko jatka lagta hai jab ravi batata hai ki aakash mar chuka hai aur aditya jinda hai... pradhan aaga babula ho jata hai lekin waha pe ravi ki mom aur ravi ne usko kafi kuchh sunaya....................................................... aur sunaya
bhi kya... pradhan ki aag hi thandi pad gayi aur wo kuchh na bola bola
to sirf itna ki.... hum sab bhi aditya ki sadi me jayenge...
dusre din sadi ke murhat ke waqt hi deepa aur aditya ki sadi ho jati hai aditya ki sari family waha mojud thi aur sabke chehre pe bahot sari khushi thi...
waha pradhan bhi mojud tha jo aditya ke pass jake " sorry aditya mene kafi kuchh galat kar liya tumhare sath but finally sadi mubarak ho" aditya usko thanks kehta hai.. uske bad to aditya ki sari aadte hi badal gayi... ek bewda sarabi... sarab ko nahi dekhta tha....................................................................... kyunki uski biwi
usko dekhne nahi deti thi...
aaj aditya aur deepa sath milkar jahagirdar ki sari zimmedari achhe se

nibha rahe hai..

neha ki sadi bhi ho chuki bacha tha ravi jo apne papa ke sabhi business ko sambhal ne me busy tha...

aditya sadi ke bad ekdam badal gaya tha... jise dekhke pratap usko kahi bar kuchh yun hi chidata tha

pratap: chal aditya ek ek jaam ladate hai

aditya: agar tune aage se sarab ka nam bhi liya na to me tujhe pit dunga...

pratap is bat pe hasta rehta hai to sath me aditya bhi hasta hai..

The end
 
  • Like
Reactions: mashish

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218

super duper end writer ji isse achha is story ka end ho hi nahi sakta tha ager koi aur romance per aapki story ho to jarur bataye hame
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

kingkhankar

Multiverse is real!
6,232
14,006
188
thank you bhai for reading

waise to hum khud bas baklol hai jo man me aaya likhte chale gaye
Yes, you are the "MODESTY" personified. You really write very well. Ek dum Makhan jaiese smooth...............
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
super duper end writer ji isse achha is story ka end ho hi nahi sakta tha ager koi aur romance per aapki story ho to jarur bataye hame
thank you sirji do story start kiyi thi par kabhi puri nahi kar paaya aur unke updates bhi nahi hai ek story ke 3 updates likhe hai par super busy hone ke kaaran puri nahi kar paa raha pahale puri karunga fir post karunga
 
  • Like
Reactions: mashish
Top