- 4,422
- 1,976
- 143
Update 51
Katt, karke aawaj aaya us aadmi ne firse khinchne ki koshish kiyi par uski gun khaali ho chuki thi. Aditya ne thoda jor lagaya aur us aadmi ko aage dhakel diya. Wo aadmi gira aur uske muh se bhi khun aana shuru ho gaya. Aditya ne thodi aur takad jutayi aur us aadmi ko khinchkar apne paas laaya aur gadi se pichhe tikakar bitha diya.
Use kuchh hosh men lane ki koshish kiyi aur use puchha ..” aye….. aye uth kaun hai tu? Aur kisne tujhe bheja tha?”
Us aadmi ne thadi aawaj men jawab diya “main dilawar pathan….”
Aditya “bahut naam suna hai maine tera….” Dialwar “maine bhi tumhara kaafi naam suna hai”
Aditya bhi uske side men baith gaya aur usne ek cigratte jalayi. Ek use
bhi offer kiyi usne liyi to aditya ne usko lighter jalakar diya aur use us lighter ki raushani men dikha ki use 4-5 goliyaan lag chuki hai.
Aditya “meri to tumse koi dushmani nahin thi fir kyu aa gaya yahan” Dilawar “supari liyi thi tei… bol diya tha ki tujhe apni bandook ka loha chakhwaunga”
Aditya jor se hanste huye kahta hai “abe bewakoof bandook ki goli lohe ki nahin hoti lead ki bani hui hoti hai”
Dilawar “ye mujhe kya pata”
Aditya “waise tujhe bheja kisne?” Dilawar “pradhan”
Aditya “kitne ke liye mujhe maarne chala aaya?”
Dilawar “5 crore dega wo”
Aditya hanste huye “tujhe pata nahin hai agar tu mere liye uski aadhi jaaydat bhi maang leta to bhi wo de deta”
Dilawar “wo to sahi baat hai… par ek baat bolta hun jitna tere bare men suna tha usse kahin jyada tujhko paaya”
Aditya “tu bhi koi kam thode hi hai… mujhe to mere naam ka protection
tha par tu apne khudke dam par taiyar hua hai, is waqt naa milkar hum kahin aur milte to shayad dost aasani se ban jaate”
Dilawar “baat to teri sahi hai”
Aditya “chal mujhe maarne ka khayal chhod de main tujhe hospital lekar chalta hun tu bach jaayega”
Dilawar “bas ab nahin…” Aditya “kyun kya hua?’
Dilawar “ab nahin jina mujhe tu goli maar de”
Aditya “kyun?”
Dilawar “aaj tak jaban se nahin mukra hun , pradhan ko bola tha teri jaan lekar hi lautunga”
Aditya “thik hai yahi sahi”
Dilawar “koi dard naa hone paaye, bas ek second ki baat……” aur uske ye shabd goli ki aawaj sunkar uske hi gale men atak gaye. Ab chaaron aur shanti thi.
Aditya ne apne jeb se mobile nikala aur pratap ko call kiya “hello pratap yahan hotel skylark ke bahar parking men aaja turant”
XXX
Aditya ki aankh khuli to pahale uska sar bhaari mahsus hua. Usne apne sar ko sahlane ke liye haath uthana chaha par wo bhi bhaari tha. Use streture par litaya gaya tha aur usko dhakel kar kahin le jaa rahe the.
Kuchh der men usne apni takad jaam karni chaahi aur jor jor se saanse liyi. Kahin kisi aur ki aawaj use sunai diyi “relax ab kuchh nahin hoga” Usne achanak pratap ki jor se chillane ki aawaj suni. Wo jarur kissi par gussa ho raha tha. Aditya ne paas khade wardboy ko roka. Ab tak wo kisi room ke darwaje tak aa chuke the. Wo uthkar jaise taise us straicher par baith chuka tha. Wahan kahin se daudta hua abhiman aaya.
Wardboy aur usne milkar aditya ko ek bed par litaya. Aur wahan doctor aur uske sath ek nurse aur pratap aa gaya tha. Waise doctor aur nurse ke chehare ke bhaav dekhkar to yun lag raha tha ki aditya ke hosh men aane ki unko koi ummid nahin thi.
Aditya ne pratap ki taraf dekha aur ek baar apne jakhmi shareer ka jaayja liya to paaya ki sare jakhmon par malam patti ho hi chuki hai. Pratap firse doctor par jhallaya “aap operation ki taiyari kijiye” Doctor “unki is halat men operation nahi kar sakte, unhe naa hi koi dawai de sakte hai, wo is waqt bahut bure tarike se nashe men hai,
upar se anesthesia dena matlab maut ko bulawa dena hoga.
Aditya ne pratap ka haath khinch liya use samajhte hi pratap aditya ki taraf jhuk gaya aur usne najaron se hi puchha kya?
Aditya ne bhi gardan dhire se hilakar naa kah diya. Pratap ko usne halki aawaj men kaha “bas yaar ab nahin saha jaata”
Pratap “ye kya kah rah ahi yaar tu, tu aisa kaise kah sakta hai, goli
nahin nikaali to tu infection ki wajah se …..” aur aage ke words wo kah nahin paaya.
Aditya “dekh mujhe pahale lagta tha tera is dunia men mere siway koi
nahi hai par aaj is dunia men koi hai jo tera mujhse bhi jyada khayal rakh sake, ab bas bahut kar liya ab shanti se ……” iske aage ke labj naa hi aditya kah saka. Aur usi waqt uski aankh bhaari hokar band ho gayi, aankhon ke saamne pura andhera chha chuka tha.