Update 49
Sham ko neha jab aditya ko lene aati hai, darwaja manisha kholti hai.
Donon ek dusare ko smile pass karti hai. Manisha fir neha ko thumbup karke andar ka rasta dikhati hai. Wahan aditya apne bar men baithkar daru pina shuru hi karne wala tha.
Neha wahan aa jati hai. “aditya tum mere sath bahar dinner par aane wale the”
Aditya jaise bhul hi gaya tha us baat ko achanak se use yaad aaya ho
fir udas sa chehara lekar wo kahta hai “aaj nahin kisi aur din neha” Neha “aaj hi chalna padega chalo utho, jao jakar ready ho aao” uske hath ko pakad kar wo uthati hai.
Aditya chhota sa muh banakar bahar apne kamre ki taraf taiyar hone ko nikal jata hai.
Wahan neha aakar bahar lounge men manisha ke sath baaten karte
huye baithati hai. Aditya kuchh hi der men taiyar hokar bahar aata hai. Aditya “chalo”
Neha car drive karke shahar ke sabse bade hotel le jaati hai. Neha jane
par unke reserved table ki maang karti hai. Waiter unhe ek table ki or le jata hai jo ki sabhi se hatkar thoda side men tha wahan raushani bhi thodi madham hi thi. Mahaul khushabu se bhara hua tha.
Aditya aur neha wahan baith jate hai aur order dete hai. Aditya wahan ka aalam dekhta hai aur chup baith jata hai.
Neha “kuchh kaho na” Aditya “kya kahun?”
Neha “kuchh bhi tumhari har chij mujhe acchi lagti hai”
Aditya “madam ye itne bade hotal men aap mujhe le aai ho khana khaane,. Aise bahalane fusalaane waali baaten kar rahi ho, aap karne kya wali ho”
Donon is baat par hansne lagte hai aditya firse shuru ho jata hai “aisa to tab hota hai jab party dene wala samne wale ka galat istemal karna chahta ho, aapke irade kya hai madam?”
Neha “well irade to mere hamesha se hi nek rahe hai”
Aditya “sambhal kar kabhi kabhi is bhari jawani men buri chijen bhi bhali dhikhane lagti hai”
Neha firse hans deti hai “waise pyaar karna koi buri chij nahin” Aditya ab is baat ko sunkar hairan tha. Kuchh der ke liye wahan sannata raha, kuchh der baad neha ne hi kaha “haan aditya main
tumse bahut pyaar karti hun, jabse maine tumhe pahali baar dekha hai tabse pyaar ho gaya tha, jis tarah tumne mere bhai ko pita, mere papa se baat kiyi, us taraah se ek sachha mard hi baat kar sakta hai aur maine wohi tum men dekha….”
Aditya abhi bhi kuchh nahin bola. Neha ne aditya ka hath upar se thaam liya aur kaha “aditya I love you…. Say you love me too” Aditya ne uske hath ke niche se apna hath khinch liya. Ab uske chehare ke bhaav badalne lage the, par wo kuchh kuchh shant hi tha
use gussa jarur nahin aaya tha. Aditya “neha main aakash yaani neele gagan ke jaisa hun, mere niche rahana har ek ko achha lagta hai, main hare k aadmi ko pyar lagta hun, mere niche aapko pyaar milta hai wo apna pan milta hai, par aakash ke niche koi apna basera to nahin basata, kyunki ek pal men accha lagne wla nila aasman kab kaala ban jaaye aur aapko bhigo de iska koi bharosa nahin rahta”
Neha “main tumpar vishwas rakhti hun, tum mujhe bhigo doge to bhi mujhe koi farak nahin padega”
Aditya “ab kaise samjhau tumhe main neha?”
Kuchh der ke liye shanty chha jati hai. Aditya “to suno main kisi aur se pyaar karta hun… aur uska naam depa hai”
Neha “ek minute kahin ye deepa wo to nahin jo hamari company ke
board of directors men hai” Aditya “haan wo hi hai”
Neha “par uski to shaadi aakash bhaiyaya se tay huyi hai”
Aditya “haan wo hi” itna kahkar wo use aajtak ki story suna deta hai. Aditya neha ki car men se utar kar ja hi raha tha. Neha apne ghar ke aage apne aankhon men ask lekar khadi thi, tabhi aditya pichhe palatkar dekhta hai aur uske paas aata hai.
Aditya neha ke aansu pochhkar kahta hai “sach batau neha tum bahut acchi ho, par main deepa se pyaar karta hun, tumhe mujhse kai jyada guna behtar ladka mil sakta hai, tum ye aansu bahana band karo”
Itna kahkar wo ek cigratte jalakar wahna se paidal apne ghar ke liye nikal jata hai.
Aditya ne deepa ke bare men soch kar khud se hi kaha
Mujhe badnaam na kar dil ki nazaron se,
Aisa kaam na kar ke rona pade khoon se, Tum bhale hi apni nazron se gira de mujhe,
Leki tu ehsaan to mat kar mere hi dushmano par.
Jaise jaise deepa ke shadi ka din paas aa raha tha aditya aur bhi jyada sharab ka aadi banta ja raha tha. Neha ne khudko aditya ki advice sunkar sambhal jarur liya tha par dil ki gaharaayi men aaj bhi wo ek
chingaari uthati aur wo raat raat bhar tanhai men uske liye aansu bahati.Neha se saamna na ho aur wo aur tut jaaye is liye aditya ne pradhan ki liyi huyi company men bhi aana band kar diya tha.
XXX
Pradhan aur aakash ne khichadi pakayi thi ki ab aditya ko raaste se hata denge. Par pradhan bahut hi acchi tarah se jaanta tha ki aakash kitna bhi kuchh kar le wo aditya ka saamna nahin kar paayega. To unhone ek underworld ke ubharte don ko bulawa bheja.
Dilawar pathan, dikhne men bilkul ek bahut bade sand jaisa kaala aur tagda. Uske upar se wo aaya tha kaali pathani pahan kar jo uske upar se usne kaali pathani pahani hui thi. Wo jaise ek jinda shaitan lag raha tha.
Pradhan aditya ke poto use dekar kahta hai “aditya jahagirdar, isko pakado aur ise khatam karo”
Dilawar “kahan milega?”
Pradhan “dekhna padega kahin kisi bar men milega aadmi laga deta hun khabar ke liye”
Dilawar “faila do… kaam kab tak karke chahiye hai?”
Pradhan “kal ka suraj isne nahi dekhna chahiye”
Dilawar “dilawar ki kimat de do, dilawar usko kal ka suraj nahin dega” Pradhan “kitna chahiye?”
Dilawar “5 crore”
Aakash “itni badi rakam ek aadmi ko maarne ke liye” Dilawar “thik hai fir aap kisi aur se kaam karwa lijiye”
Pradhan aakash ko chup karte huye “thik hai de diya thodi der baad tumhe aadha advance de dunga baki subah uski maut ki khabar ke
sath”
Dilawar “fir ye bhi dilawar ki bandook ka loha chakhega” itna kahkar wo bahar chala aata hai.