Chapter - 3
Cultivation, origin energy and use of techniques
Iss world me cultivation ek difficult, dangerous aur expensive kaam hai. People different karano se cultivation karte hai jaise ki long lives, duniya ki deep aur profound samajh rakhne ke liye, apne aap ko aur apne chahne walo ko bachane ke liye ya phir fame and fortune ke liye aise bahut se karan hai jiske liye log cultivation karte hai
Cultivation ke liye sabhi jaruri hai energies jo humesha humare aas paas surroundings me rahti ya ye keh sakte ho ki nature me rahti hai in energies ko hum origin energy kahte hai.
Cultivation ko realms me divide kiya gaya hai sabhi realms me 9 ranks ( levels ) hai. Cultivation generally sabse lowest realm se suru hoti hai aur har realm ke levels ke through progress karte hai. Ek realm ke 9th level ke baad ve agle realm ke 1st level par pahuch jate hai.
Ek person cultivation me kitni upar tak pahunch sakta hai wah kai chijo par depend karta hai. Jaise ki bloodline, physique, family, cultivation technique, uski perception, luck, etc.
Aise aur bhi chije hai jinse cultivation me madad milti hai unhe cultivation resources kahte hai jo aage pata chalegi
Ek person kayi tariko ka use karke apni cultivation ko badha sakta hai. Ex :-
Koi bhi jaha par energies jyada ho vaha par jaakar natural tarike se breakthrough[1] ki koshish kar sakte hai
Ya koi energies ki madad se banne wali medicine ka use karke aur unki energies ko absorb karke bhi breakthrough karne ki try kar sakte hai
Ya phir koi formation ya natural phenomena ki madad se bhi breakthrough karne ki koshish kar sakte hai
Upar se kisi bhi single ya multiple method ko use kane ka disadvantage ye bhi hai ki ye bahut slow hai aur wasteful bhi jis karan cultivation techniques banayi gayi hai.
Cultivation techniques humari energies ko absorb karne ki speed ko increase karti hai jisse hum humari surroundings se, medicines se, aur other tariko se jyada speed se energy absorb kar sakte hai. Kuch cultivation ke tariko ke kuch side effects bhi hote hai kuch acche kuch bure.
Aisi cultivation techniques ke use se hum jyada energies ko gather kar sakte hai, medicines ki absorbing speed ko increase kar sakti hai, jisse humare dantian me adhik energies badh jati hai aur humari battle abilities bhi normal logo ki tulna me kayi guna jyada strong hoti hai.
___________________
Note :- hello guys mai janta hu ki ye bahut chota update hai aur aapki samaj me bhi nhi aaya hoga lekin ye iss chapter ke liye bahut jaruri hai waise inse sab kuch nhi aaya ye sirf kuch general knowledge ke liye tha jisse aage aane wale updates me mujhe jyada explain na karna pade aur waise bhi agar aap ko kuch samajh me nhi aaya to vo aage aa jayega jaise-2 humari story aage badhe gi waise hi ye sab clear bhi ho jayega
Aur aaj chota update dene ke karan mai kal double update dene ki koshish karunga aur sayad humari story ka turning point bhi kal hi aajaye