• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The Almighty VEER

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,033
42,973
354

Hello, Ladies  & Gentleman, 
We are so glad to Introduce Ultimate Story Contest of this year.

Jaise ki aap sabhi Jante Hain is baar Hum USC contest chala rahe hain aur Kuch Din pahle hi Humne Rules & Queries Thread ka announce kar diya tha aur ab Ultimate Story Contest ka Entry Thread air kar diya hai jo 10th, June 2020, 11:59 PM ko close hoga.

Khair ab main point Par Aate Hain Jaisa ki entry thread aired ho chuka hai isliye aap Sabhi readers aur writers se Meri personally request hai ki is contest mein aap Jarur participate kare aur Apni kalpnao ko shabdon ka rasta dikha ke yaha pesh kare ho sakta hai log use pasand kare.
Aur Jo readers nahi likhna chahte wo bakiyo ki story padhke review de sakte hai mujhe bahut Khushi Hogi agar aap is contest mein participate lekar apni story likhenge to.

Ye aap Sabhi Ke liye ek bahut hi sunhara avsar hai isliye Aage Bade aur apni Kalpanao ko shabdon Mein likhkar Duniya Ko dikha De.

Ye ek short story contest hai jisme Minimum 800 words se maximum 6000 words tak allowed hai itne hi words mein apni story complete Karni Hogi, Aur ek hi post mein complete karna hai aur Entry Thread mein post karna hai.
I hope aap mujhe niraash nahi Karenge aur is contest Mein Jarur participate Lenge.

Rules Check Karne k Liye Ye Thread Use karein :- Rules And Queries Thread

Entry Post Karne k Liye Ye thread Use Karein :- Entry Thread
Reviews Post Karne K liye Ye thread Use karein :- Reviews Thread
On Behalf of Admin Team
Regards :- Xforum Staff..
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,879
188
IMG_20200410_233546.jpg



Prologue

Ye kahani hai ek aise ladke ki jo apne sapne ko pura karna chata hai lekin kar nhi pata
Ye kahani hai us ladke ki jo logo ki madad karna chata hai lekin kismat ko sayad ye manjoor nhi.

Kya vo ladka apne sapne ko pura kar payega?
Kya vo ladka apni kismat badal payega?

Dekhiya us ladko ko kaise vo apne ko pura karega aur apni kismat badlega
Dekhiye uske iss safar ko…….
Nice update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,879
188
Chapter - 1

The Trash


"Aaaa…., Aaaa a..,.. Aaaa...…."

"Hahaha…….
Tum bekar insaan, Tum yaha kya kar raho ho ye jagah tum jaise useless insaan ke liye nhi hai jo kabhi cultivation (1) bhi nhi kar sakta vo army kya join karega chal bhag yaha ye se. You trash."

"Hahaha… sahi kaha tumhe to koi apna nokar bhi na rakhe aur tum chale ho army join karne
Jao apne ussi bekar baap ki tarah lakdiya kato aur agli baar yaha par dikhna mat nhi to tumhare liye accha nhi hoga"

Koi 4 ladke ___ sal ke ek ___ saal ke ladko ko maar rahe the ye ladka dikhne me apni unar ke baccho se kamjor tha aur rang me kuch sawla tha vo ladka maar khata raha lekin kuch bola nhi kuch der baad ve us ladke ko vahi chod kar chale jate hai

Unke jane ke baad vo ladka khada hota hai aur langdata hua waha se chala jata hai us ladke ko bahut chot aayi thi kahi jagah se neela pad gaya tha aur kuch jagah se to khoon bhi nikal raha tha


Kuch der chalne ke baad vo ladka ek ghar ke samne rukta hai aur gate kholkar ander chala jata hai andar jaakar vo ladka pani garam karta hai aur ek bathtub me dalta hai aur ek kamre me jaakar us kamre se kuch herbs ( jadi-butiya ) lata hai aur unhe bhi bathtub me daal deta hai

Kuch der baad us bathtub me se halka-2 white colour ka fog uthna suru ho jata hai jiske baad vo ladka us bathtub me let jata hai aur sochne lagta hai

'hey bhagwan! Kyu tune mujhe aisa banaya ki na to cultivation sikh sakta hu na hi mai apne dad jaisa ban sakta hu. Aisi jindagi hi jeene ka kya faida jisme na to mai apna sapna pura kar sakta hu naa hi mai apne dad ki aankho me apne liye garv dekh saku. Mai janta hu mere dad mujhse bahut pyar krte hai lekin aisi jindagi ka hi kya faiyda jo kisi ki madad karne ke bhi kaam nhi aa sakti isse aacha to tum mujhe yaha par bhejte hi nhi……'

Aise hi vo ladka na jane kitne der tak aise hi sochta rahta hai usse time ka bhi dhyaan nhi rahta aur naa hi ye pata chalta ki ghar ja darwaja kholkar koi andar aaya hai

__________________

Green Bamboo village,

Ye hai is jagah ka naam jahan par vo ladka rahta hai. Is village ka naam Green Bamboo village isliye hai kyoki is gaon ke piche hi ek Bamboo ka chota sa forest hai isliye is gaon ka naam Green Bamboo village pad gaya.

Ye ek chota sa gaon hai jisme koi 25-30 pariwar rahte hai aur koi 200-300 karib log rahte hai jisme bacche , budhe sabhi umar ke log aate hai.

Gaon se kuch dur ek ghar alag hi bana hua hai jo ki gaon ke piche ki aur hai yaani Bamboo forest ke paas. Ye ghar kisi aur ka nhi balki ussi ladke ka hai.

Is waqt us ghar ke bahar ek aadmi aakar rukta hai ye aadmi koi 40-45 saal ka hoga. Vo aadmi is waqt apne sar kati hue lakdiya lekar us ghar me ghusta hai vaise to vo aadmi ek dum majboot kad kathi wala aadmi hai lekin chalte samay vo ek pao ( leg ) se lagdakar chalta hai

Vo aadmi dekhta hai ki ghar ka gate to khula hau hai jisse dekhkar vo samaj jata hai ki uska beta ghar aagaya hoga aur uske face par ek smile aajati aur vo lakdiya bahar hi rakhar andar jata hai

Ye ghar ek dum simple tarike se bana hua hai iss ghar me do kamre, ek rasoi, ek bathroom hai. Ek kamra uss ladke ka aur dusra kamra uske pita ka hai dono kamro me sirf ek-2 almirah hai jo kapde etc. rakhne ke kaam aati hai

Vo aadmi andar apne bete ke kamre me jaakar dekhta hai lekin usse waha par koi dikhai nhi deta jiske baad vo kamre se nikal kar apne bete ko awaj deta hai

" VEER "
very nice update bhai maza aa gya
 

Pradeep singh

Active Member
680
2,464
138
Bhai ye bhi ek achhi story lag rha th. But pata nhi band kyo ho gya.

Yadi ye restart ho to bahut achha rhega.
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,879
188
Chapter - 2


The Father and son



"Beta kyu karte ho aisa" vo aadmi kahta hai "kyu jate ho vaha par tum jante ho ki jab bhi tum vaha par jate ho jaha sab log tumhe pareshaan karte hai"

"Mujhe aap jaisa banna hai baba" vo ladka us aadmi ko dekhte hue kahta hai "mujhe apna sapna pura karna jai"

"Hahaha…… mujh jaisa bankar kya karoge beta" vo aadmi haste hue kahta hai "mujh jaise aphaij se aise hi tum aache ho"

"Lekin mai tumhe ab aur aisi halat me nhi dekh sakta" vo aadmi thoda sad hokar kahta hai "sayad kismat bhi tumhare sath nhi hai isliye tumhe ab ye koshish chod deni chahiye"

"Dad aap hi kahte ho na ki ' koshish karne valo ki kabhi haar nhi hoti' aur humhe apni kismat ke samne jhukna nhi chahiye balki hume apni kismat khud banani chahiye" vo ladka apne pita ke sad face ko dekhte hue kahta hai "isliye mai kabhi bhi apni kismat ke samne haar nhi maanuga na hi mai kabhi koshish karna chodunga mai apna sapna pura karke hi rahunga isliye mai apni kismat apne haatho se likhunga"

Ye sunkar vo aadmi Khush Ho jata hai aur uske face par ek smile aajati hai vo aadmi kahta hai "sahi ka tumne ki hume kabhi bhi kismat ke samne jhukna nhi hai chahe hum kitni hi musibat me kyo na ho bas tum apne upar bharosa rakhna"

Ye sunkar vo ladka bhi muskura deta hai aur apne pita ke gale lag jata hai aur vo aadmi bhi apne bete ko gale laga leta hai aur uske sar par hath pherne lagta hai

"Jairam"

Tabhi bahar se kisi aadmi ki awaj aati hai jisse sunkar vo aadmi yani Jairam apne bete se alag hota hai aur bahar nikal kar dekhta hai bahar ek middle age aadmi khada tha ye gaon ka hi ek aadmi tha

"Are hariya ( us aadmi ka naam ) tum yaha koi kaam tha kya" Jairam us aadmi se puchta hai

"Vo mai tumhe ye batane aaya tha ki kal hume town jana hai isliye subhe jaldi gaon ke gate par aajana" hariya kahta hai

"Ok" Jairam usse jawab deta hai aur kuch der baate karte hai aur hariya wapas chalta jata hai

Jairam bhi andar chala jata hai aur apne bete se kahta hai "beta subah jaldi uth jana hume town jana hai"

"Ok dad" veer jawab deta hai

Kuch hi der me saam ho jati hai tabtak Jairam bhi khana bana leta hai khane me jyadatar dishes meat ki thi kyuki yaha par jyada meat hi khaya jata hai phir khana kha kar dono baap-beta sone chale jate hai

______________________

Agli subah dono suraj nikalne se pahle hi uth jate hai aur taiyar hone lagte hai kuch der baad unhe nikalna tha tabhi Jairam apne kamre se nikalta hai aur veer ko awaj deta hai

Veer awaj sunkar apne pita ke paas aata hai aur dekhta hai ki uske pita ke hatho me kuch hai

Jairam jab dekhta hai ki veer aagaya hai to vo apne hath me liya hua saman veer ke hatho me rakh deta hai ye ek simple as dagger tha



"Ye tumhari safety ke liye ise humesha apne paas rakhna" Jairam kahta hai

Ye sunkar veer bahut khush ho jata hai kyuki ye uske dad ka tha jisse Jairam humesha apne pass rakhta tha aur kuch samay pahle jab veer Jairam ke sath forest me gaya tha to uspar ek jungli janwar ( wild beast ) ne humla kar diya tha ye ek wild boar tha veer achanak hue us humle se dar gaya tha lekin tabhi Jairam ne is dagger se us boar ka sar ek strike me hi kaat diya tha bas tabhi se veer is dagger ko lena chata hai aur aaj uski ye khawaish puri ho gayi isliye vo khush tha

Kuch der baad dono ghar se bahar aate hai aur ek ghoda baggi jo pahle se hi bahar khadi thi usse lekar gaon ke gate ki aur chal dete hai

Gaon ke bahar pahle se hi kuch log ghoda baggi ke sath khada hue in dono ka hi intezar kar rahe the

Hariya dono ko aata hua dekhkar Jairam se kahta hai "yaar hum kitni der se tumhara intezar kar rahe hai aur tum ab aa rahe ho chalo ab jaldi chalo hum raat se pahle town jana hai"

Ye sunkar sabhi log apni apni ghode baggi me baith jate hai aur chal dete hai 10 ghode baggi gaon se town ki chal deti hai
nice update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,879
188
Chapter - 3

Cultivation, origin energy and use of techniques



Iss world me cultivation ek difficult, dangerous aur expensive kaam hai. People different karano se cultivation karte hai jaise ki long lives, duniya ki deep aur profound samajh rakhne ke liye, apne aap ko aur apne chahne walo ko bachane ke liye ya phir fame and fortune ke liye aise bahut se karan hai jiske liye log cultivation karte hai



Cultivation ke liye sabhi jaruri hai energies jo humesha humare aas paas surroundings me rahti ya ye keh sakte ho ki nature me rahti hai in energies ko hum origin energy kahte hai.

Cultivation ko realms me divide kiya gaya hai sabhi realms me 9 ranks ( levels ) hai. Cultivation generally sabse lowest realm se suru hoti hai aur har realm ke levels ke through progress karte hai. Ek realm ke 9th level ke baad ve agle realm ke 1st level par pahuch jate hai.




Ek person cultivation me kitni upar tak pahunch sakta hai wah kai chijo par depend karta hai. Jaise ki bloodline, physique, family, cultivation technique, uski perception, luck, etc.

Aise aur bhi chije hai jinse cultivation me madad milti hai unhe cultivation resources kahte hai jo aage pata chalegi



Ek person kayi tariko ka use karke apni cultivation ko badha sakta hai. Ex :-

Koi bhi jaha par energies jyada ho vaha par jaakar natural tarike se breakthrough[1] ki koshish kar sakte hai

Ya koi energies ki madad se banne wali medicine ka use karke aur unki energies ko absorb karke bhi breakthrough karne ki try kar sakte hai

Ya phir koi formation ya natural phenomena ki madad se bhi breakthrough karne ki koshish kar sakte hai

Upar se kisi bhi single ya multiple method ko use kane ka disadvantage ye bhi hai ki ye bahut slow hai aur wasteful bhi jis karan cultivation techniques banayi gayi hai.



Cultivation techniques humari energies ko absorb karne ki speed ko increase karti hai jisse hum humari surroundings se, medicines se, aur other tariko se jyada speed se energy absorb kar sakte hai. Kuch cultivation ke tariko ke kuch side effects bhi hote hai kuch acche kuch bure.






Aisi cultivation techniques ke use se hum jyada energies ko gather kar sakte hai, medicines ki absorbing speed ko increase kar sakti hai, jisse humare dantian me adhik energies badh jati hai aur humari battle abilities bhi normal logo ki tulna me kayi guna jyada strong hoti hai.




___________________

Note :- hello guys mai janta hu ki ye bahut chota update hai aur aapki samaj me bhi nhi aaya hoga lekin ye iss chapter ke liye bahut jaruri hai waise inse sab kuch nhi aaya ye sirf kuch general knowledge ke liye tha jisse aage aane wale updates me mujhe jyada explain na karna pade aur waise bhi agar aap ko kuch samajh me nhi aaya to vo aage aa jayega jaise-2 humari story aage badhe gi waise hi ye sab clear bhi ho jayega


Aur aaj chota update dene ke karan mai kal double update dene ki koshish karunga aur sayad humari story ka turning point bhi kal hi aajaye
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: Aryanv

EngineerLoda

Active Member
542
885
109
Update kaha ha bhai

Running story
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in
Top