Flashback of armaan's family:
aaj armaan ko london jaaye hue 15 din ho gaye the. par in 15 dino me armaan ne kisi bhi family member se baat karna to door milne se bhi mana kar diya rudra aur samara jab amy ko london chodh ke aaye the wapas newyork uske baad rubal aur kayra ne bhi amy se milne ki koshish kari par har baar ki tarah same result aise hi ek din
kayra, rubal, niti aur amayra london pahuche wajah amy ka birthday. birthday ke liye surprise party ki prepration bhi ho chuki thi. tab niti ne kaha
niti - ab dekhna armaan kaise hum sab se nahi baat karta betu ko surprise kitne pasand hai. ye to sab jante hi hai. aaj jab wo apne birthday ki party dekhega tab jo uske face par smile aayegi mujhe wo dekhni hai.
kayra - bas wo hum ko maaf kar de..i know ki ye easy nahi hai. aur jo humne kiya hai agar uske bawjud arman hum sab ko maaf kar deta hai to sach me usse mahan koi nahi hai. kyonki hum sab uske pain ko nahi feel kar sakte jo wo kar raha hai. agar asj usne maaf kar diya to aaj ke baad ghar me sab kuch uski pasand ka hoga.
rubal - kayra kash aisa hi ho. waise party dekh kar armaan khush to bhaut ho jaayega. and mom dad bhi evening tak aa jayenge. abhi unka message aaya tha.
niti - but is party me sirhum sab hi rahenge koi bhi outsider nahi hoga. kyonki sab ko pata hai ki armaan ko jyada logo se milna julna pasand nahi. to specially ye baat dad se karo nahi to ek family function ko humesha ki tarah grand bana de aur amy jisko manane hum yaha aaye hai wo aur bhadak jaaye.
kayra - i agree.
rubal - sane here.
ruko main dad ko call karta hoon.
iske baad rubal rudra ko call karta hai.
rudra - haa rubal bolo.
rubal - dad actually mujhe means ki hum sab ko kuch baat karni thi. aapse tabhi niti ne rubal ko call speaker par karne ko bola.
niti - dad hum sab ye chahte hai ki armaan ki surprise b'day party me sirf hum log hi ho koi bhi outsider nahi hona chahiye kyonki aap jante hi honge ki armaan ko jyada ghulna milna pasand nahi hai.
samara aur mujhme ye baat already ho chuki hai. ab hum aisa kuch nahi karna chahenge ki jisse armaan ko gussa aaye. bas sab kuch armaan ki pasand ka hi hoga. rudra ne kaha
kayra - hmm right waise aap log kab pahuch rahe hai hai.
hum log blue water shopping mall ja rahe hai aur tum sab bhi waha aa jao. samara speaks.
kayra - blue water shopping mall matlab aap london aa bhi gaye....wow
samara - yes princess...to tum log bhi niklo jaldi waha se.
kayra - bas abhi pahuch rahe hai.
niti - kya hua di.
kayra - mom and dad london pahuch chuke hai and wo amy ke liye gift lene blue water mall jaa rahe hai. hum sab ko bhi bulaya hai.
rubal - oh shit...hum sab kaise bhool gaye ki hume gift to liya hi nahi.
in sab me koi aisa bhi tha jo yaha hokar bhi yaha nahi tha. wo aur koi nahi amu hi thi.
tab niti uski tandra bhang karti hai aur bolti hai ki tu kaha khoi hai. ye jo ho raha hai kya tujhe pasand nahi.
amu - bas meri jaan mujhe maaf karde mere liye wahi kaafi hoga.
tab rubal bola
relax amu hum sab bhi yahi chahte hai. to tu bhi ready ho jaa. kyonki hum sab ko amy ke liye gift lene jana hai.
chal jaldi kar
kuch der baad sab bluewater mall ne the.