UPDATE 1
Ek 26 sal ka ladka shamshan mein jalti huyi chita ke pass baith ke apni life ke ane wale kal ke bare mein soch raha tha.
Use khudki chinta nhi thi bs use chinta thi to uske chote bahan ki jo abhi bahut choti thi jise ye bhi ab pata nhi tha ki ab uske ma aur baap dono is duniya mein nahi rahe.
Uske pass paiso ki to koi kami nahi thi lekin ab usle pass kuch naho tha to ma baap ka margdarshan aur pyar.
Use khudke bare mein koi chinta nhi thi wo khudko kaise bhi karke sambhal sakta tha.lekin us nanhi si jaan ko kaise sambhale aur samjhaye ki ab uske pass ab family ke nap pe sirf ab uska bhai hi bacha hai.
Dhire dhire wo chitaye ab thandi pad rahi thi ab usme utni aag nhi bachi thi wo ladka apne jagah se utha aur apni ma ke chita ke pass jake usme se apni maki asthiya ek lote mein bahrli aur apne pita ki asthiya bhi dusre lote mein bharli. Aur kuch rakh dono ke chitao mein se utha ke ek kapde me rakh ke lapet li apne ma pita ki akhri nishani ki taur pe.
Usne asthiyo ko hath mein rakh kar kasam khayi ki apne bahan ko kabhi bhi ma aur pita ki kami mahsus nhi hone dega aj hi wo ani bahan ko lke ye dsh chor dega.