UPDATE 2 (INTRO)
Dev sabse pahle shmashan se nikal ke apni mata pita ki asthiyo ko leke apne ghar agaya jaha sabhi relatives jo sirf nam ke the wo meri bahan Muskan ko samjhane aur shant karne ki nakam koshi kar rahe the koshish kya ye khna galat nhi hoga ki us nanhi si jan ko darane ki koshish kar rahe the aur wo nahi si jan ye sunke hi sadme mein thi ki uske mata pita mar gaye hai.
Jab mene uski ye halat dekhi to mera khun kahul gaya lekin mein apne gusse ko pi gaya aur sabse pahale mein Muskan ko uske kamare me le jake use sulaya jo ki almost behoshi ki halat me thi. Aur doctor ko call karke bulaya doctot ne akar use check kar ke nind ka injecton deke mujhe hidayat di ki use tention se dur rakhe.
Mene to pahel hi soch liya tha desh chor ke yaha se dur jane ka to bs ab mein wahi karne laga.
Mene mere compny ke ceo ko call karke ghar bulaya aur sare legar formalitys complete karke pura buisiness London mein shift karne ko kaha aur yaha ka pura kam C.E.O. pe chor ke Muskan ko leke nikal gaya badrinath jaha ma aur papa ki asthiya visrjit karke sidha dekhi aur wahae london.
10 YEARS LATER
LODON
Princess utha jao beta subah hogayi hai kitni der tak sona hai aj apja result hai.
Result ka nam sunte hi Muskan ki nind furr hogayi lekin phir bhi wo waise hi sone ka natak karne lagi aur Dev ko ye pata tha ki wo natak kar rahi hai isliye wo uske sir ke pass baith ke uske balo me hath phirane laga aur use bolne laga ki.
Princess apko pata hai aj tak mujhe ma aur papa ki yaad nhi arahi lekin aj unkj bahut yaad arahi hai pata hai kyun?
Kyun ki aj wo hote to bahut khush hote tumhe aj is tarh kamyabi ke shikar pe dekh ke wo khud ko proud feel karte.
Halaki Dev ne in 10 salo me kabhi bhi muskan ko Ma aur papa ki kami mahsus nhi hone di. Uske parwarish mein koi kami na rahe is liye usne kabhi shadi bhi nahi ki.
Muskan ko jb laga ki uska bhai ro raha hai to wo jht se uth baithi aur Dev se gale lagi aur rone lagi aur khne lagi.
Muskan-bhai agar ap rone lage to apse kabhi bat nhi karungi.
DEV- Are meri gudiya agr mein kaha ro raha hu ye to kushi ke asoo hai.
Chal ab utha ja aur fresh hoke niche ana.
Itna bolke dev alag hokar niche jana laga aur pich mude bina bola jaldi ana tere liye gift hai.