mashish
BHARAT
- 8,032
- 25,909
- 218
superb updateThe Mirror
Update 9
Anish ke office me jate hi kamini aaine se baahar aayi aur anish ke piche office ki taraf jane lagi tab uski payal ke awaj se sandhya ka dhyan tuta aur wo baahar aakar dekhti hai to kamini anish ke office me ja rahi thi.. sandhya jaldi se waha pahuchi to kamini anish ke piche khadi thi aur use dekh rahi thi.. sandhya ne use dekha aur fir anish ki taraf dekha itne me kamini waha se gayab ho gayi..
Sandhya kafi ghabra gayi thi aura b usne soch liya tha ke is sab ka jald se jal kuch ilaj karna padega
-------------
Ab dadasaheb ki patni garbhvati thi aur usne apne rehne ki vyastha niche hi kar li thi, baap banne ki khushi me dadasaheb pagal huye ja raha aur isi khushi me usne apni patni ki icha ke liye gaon ke mandir ka jirnoddhar bhi karaya tha… ap upar wala karma sirf dadasaheb ke hi use me tha aur wo sirf apna hai ye bhavna kamni ko sukun pahucha rahi thi..
Ek din subah appasaheb kuch aap se dadasaheb ke room ke gaya to uske bagal me ek aurat baithi thi, lagta hai bahu darwaja band karna bhul gayi ye soch ke appasaheb jane ke liye muda to usne kano me fir wahi chir parichit payal ka awaj aaya, palat ke dekha to waha kamini thi apne bhayankar roop me jise dekh kar appasaheb wahi gir gaya aur uski maut ho gayi.. abhi abhi beta bahut sath rehne aaye the par appasaheb ke nasib me sukh nahi tha aisa log bolne lage aur kai to ye bhi bolne lage ki ye kamini ke liye saree na rakhne ka parinam hai
Dadasaheb apni patni ko kuch dino ke liye mayke chhod aaya tha isiliye kamini ko aisa lagne laga ki ab is wade ki malkin wahi hai uski aaine ki duniya abs are wade me thi, kayi baar use logo ne dekha tha aura b bate failne lagi thi ke kamini ke bhoot ne wade par kabja kar liya hai, jab dadasaheb ki patni bacche ko lekar wapis aayi to gaon me baate hone lagi kea b kamini iski bhi jaan le legi..
Aise me shambhu ki maa ne usse kaha ki unhe kamini ke liye sarre rakh aani chahiye uske ghar ki payri par, shambhu ki maa umra me badi thi wo uski baat maan kar wo kamini ki saree uske ghar ke payri par rakh aaye.. kuch din shanti me bite ab wapis se pati patni sath rehne lage the..patni ka sukh pakar dadasaheb ekdum khush the use kya karu kya nahi aisa ho raha tha aur unka pranay dekh kar kamini jalan aur gusse se jhulas rahi thi
Patni ka sahwas dadasaheb ko har tarah se khush kar raha tha aise me ek din usne apni9 patni se kaha ki mai baggi bulata hu chalo devi ke darshan kar aaye, wo bhi ha bol kar tayar hone chali gayi, aur nayi saree pehanne ka socha to almari ke upar trunk me rakhi thi fir wo trnk utarne ko khurchi par chadhi aur jab wo trunk utar hi rahi thi to kamini ne khurchi ko dhakka de diya.. trunk ke sath girne se aur trunk se sar par chot aane ki wajah se dadasaheb ki patni ki maut ho gayi.. dadasaeb mano pagal ho gaya tha, shambhu ke maa baap se use sambhala aur fir raosaheb ko padhai ke liye shahar me hi rakha gaya… dadasaheb sirf bete ke liye jinda tha aur fir uske bada hote hi uski bhi shadi karwa digayi aur unhe shahar me hi rehne ko kaha..
Kafi saal beet gaye anish ka janm bhi shahar me hi hua tha aur thoda bada hone tak usne wada dekha bhi nahi tha umar ki wajah se ab dadasaheb ki tabiyat bhi ab kharab rehne lagi thi to raosaheb apni patni aur anish ke sath gaon me rehne aa gaye, dadasaheb ne iska virodh kiya par raosaheb ne unki nahi suni aur umar ke chalte dadasaheb bhi chal base…
Wade me sirf dadasaheb rehte the is wajah se kamini ka kissa ab piche reh gaya tha gaon me ab bhi saree rakhne ki pratha shuru thi par dheere dheere kamini ki kahaniya sunane wale log ab swarg wasi hone lage the aura b wade par sirf apna raaj hai is baat ne kamini ke man to tasalli di thi..
Baad me anish ki padhai ke liye wo aur uski maa shahar me rahe aur raosaheb gaon me aate jate rahe.. kamini ko ab koi bandhan nahi tha aura b uski puri najar raosaheb par thi.. kamini ke hisab ne is gharane ka har purush uske liye prempatra tha iiliye nanasaheb aur appasaheb ke alawa wo kisi ko nahi dikhi na hi kisi purush ko usse kuch dhoka mehsus hua
Fir ek saal anish aur uski maa chuttiyo me wade par rehne aaye aur waha aane ke baad anish ki maa ko laga ki wade me kuch changes kiye jane chahiye fir us hisab se baate huye kaam walo ko bulaya gaya aur sabse pehle purani chze bahar nikalne ki baathuye jisne us dresseing table ka number sabse upar tha,
Agle hafte me anish ke hostel jane ke baad kaam shuru hone wala tha wade ka, usi sham ko raosaheb unki patni aur anish baggi ride par gaon se ghumne gaye aur ghumte huye unki baggi kamini ke khandhar numa ghar ke paas ruki jaha kayi logo ne kamini ke liye sariya chadhayi huyi thi..
Ab raosaheb aur unki patni dopno shahar me rahe padhe likhe log the unka in sab kar vishwas nahi tha.. us jagah pe bare me fir baggi wale ne suni sunayi kahani batayi jise sun anish ki maa ne us kahani ka majak bana diya.. pehle wade par haq jamana fir uska majak banana se kamini a banish ki maa par gussa thi aur sabse badi baa two us aaine ko baahar fekne wali thi jisse kamini ka astitva tika hua tha isiliye kamini ne use tadpa tadpa kar maarne ka man bana liya tha..
Chhutiya khatam huyi, raosaheb anish ko hostel chhodne gaye us din jab anish ki maa ne us dressing table wale kamre me kadam rakha to use bahut jada badbu aane lagi mano kisi jaanwar ko maar ke waha feka gaya ho par kal tak to ye badbu waha nai thi, fir use laga ki shayad ye baahar se aa rahi hai to usne saari khidkiya bad kar li.. par badbu ab bhi waisi hi thi to usne use najarandaj kiya aur anlami kholi to usne hath par kuch chipchipa sa laga puri almari khulte hi kamini ka sadi huyi lash anish ki maa par gir gayi, achanak se agar aapke upar kisi ki aisi lash giregi to aapka kya hoga? Anish ki maa darr se wahi behosh ho gayi
Bahut samay se malkin dikhi nahi ye dekhne shambhi upar aaya to usne anish ki maa ko behosh halat me paya aur usne jaldi se apni biwi ko bulaya aur malkin ko uthakar palang par letaya, uska sharir kisi bhatti ki tarah tap raha tha,3 din baad raosaheb ke wapis aane tak unki patni ki halat bahut bigad chuki thi gaon ke docters ne hath khade kar diye the aur fir jab unhe shahar ke docter ke paas lejane wale the tab tak 4 din me anish ki maa ki maut ho chuki thi
---------------------------------
Sandhya ka pura sharir dimag sunn ho raha tha, darr uspar havi ho raha tha, wo uthi aur ghar me alag alag jagah par namak ke pani ke bhre bowls rakhne lagi, usne kahi padha tha ke aisa karne se negative energy kam hoti hai…
Isse aage ki kahani usne anish ke muh se suni thi ki kaiseuse uski maa ke bare me bataya gaya, raosaheb ke hisab se to wo bukhar se hi mari thi iske piche aisa bhi koi reason hoga ye kaun soch sakta tha
Sandhya ko ab in sab bato ko shuru se sochna tha aur inhe kahi koi clue milta hai kya ye dhundhna tha, kamini ka agla ghav kab aur kaise hoga ye sochna tha.. uski jaan khatre me thi… wade ki baki bahuo me aur usme kya fark tha ye use dhundhna tha, pichla itihas ab use pata tha ya shayad ab bhi kuch reh gaya tha, achanak use pne sasur ki yaad aayi, ki wo use baar baar savargaon jane kyu bol rahe the..? wo bhi apni patni ki halat dekhne ke baad…
Achanak fir se uski aankho ke samne film shuru huyi
------------------
Raosaheb upar ke room ke soye the tabhi unhe apne sharir par kisi ka hath mehsus hua.. unhone uth ke dekha to koi nahi tha weham hoga soch kar firse sone ki koshish ki to fir se wahi hath mehsus hua aur abki baar unhone dekha to kaminibaithi thi apni kutil muskan liye..
Raosaheb-k..k..kon hai tu..?
Par kamini ne koi jawab nahi diya, raosaheb ki ghiggi bandh gayi thi, kamini ne hath aage badhaya to raosaheb ne use jhatakna chaha to kamini ne unka hath pakad liya… “uske sath(raosaheb ki biwi) kitna ache se rehta tha..mujhme kate lage hai kya.? Kaisi halat ki uski dekhi na? ghabra mat marungi nahi tujhe, tujhme hai hi kya, jawan mard to tera beta hai, par wo aata nahi yaha, biwi ke sath shahar me hai, mere rehte wade ko nayi malkin ki kya jarurat, ghabra mat, itni jaldi nahi marungi teri bahu ko, pehle baccha hone de vansh badhne de, main kiske bharose rahungi, ek beta ho jaye fir dekhte hai uska kya karna hai”
Raosaheb se darr ke mare bola nahi ja raha tha aur kamini apni bhedak najro se unki aankho me dekhte huye boli
“bhejdena use yaha, galti mat karna, warna tera beta to marega par usse pehle tu marega”
Itna bol ke kamini gayab ho gayi, raosaheb ne chillane ki koshish ki par awaj nahi nikal raha tha baahar aana chaha to palang se gir gaye…. Iske aage ka sandhya ko pata tha, raosaheb ko paralysis ka attack aaya tha, left side ne kaam karna band kar diya tha, jiske baad unhe shahar laya gaya, sandhya ne bahut seva ki thi apne sasur ki aur raosaheb use hamesha savargaon jane ka kehte, unhe bahut bura lagta tha apni beti jaisi bahu ko khud maut me muh me dhakal kar par apne bete ke liye unhe ye karna tha…
-------
Ab sandhya ko sab samajh aa gaya tha…. Use samajh aa gaya tha ke wo aag se khel rahi hai,ek nagin ho paal rahi hai aur ab sandhya ko ye sab jald se jald khatam karna th aur usne jaldi jaldi kisi ko phone lagaya……