- 38,218
- 54,028
- 304
The Mirror..
Update 7
Update 7
Aur usi jehrili najar ke sath kamini ne us aaine me se sandhya ki taraf dekha, itne samaytak aaine me ye sab ghatnaye kisi film ki tarah chal rahi thi aur sandhya use dekhne me khoyi huyi thi par kaisi ji kamini ne use is tarah dekha wo hosh me aa gayi, wade me sidhiyo par dekhi huyi won ajar use aaine ke paar lejati wo khunnas bhari najar, ye sab bhayankar tha aur wo aurat koi aur nahi kamini thi…..
Aage kuch hota isse pehle hi sandhya study se baahar aakar apne bedroom em chali gayi aur palang par jakar ek kone me baith gayi, darr se uska pura sharir kamp raha tha.. ye sab uske samajh ke baahar tha dimag sunn ho gaya tha kafi samay aise hi baithe rehne ke baad sandhya uthi aur kitchen me gayi aur jakar usne pani piya, uska pura sharir pasine sechipchipa ho raha tha aisa lag raha tha mano kisi ne sharir se jivanras chus liya ho, subah anish ke office jate hi wo study me chali gayi thi aur wahi uska hath jaise hi aaine kochua thaw aha jaise koi film shuru ho gayi thi aura b anish ke wapis aane ka waqt hone ko aaya tha par sandhya ke pet ne anaj ka ek dana bhi nahi tha.. ye jo kuch bhi thaw o sandhya ko apni taraf khinch raha tha aur sath hi uske man me uske astitva ko lekar darr bhi paida kar raha tha..
sandhya ko thand lagne lagi thi aur fir se bukhar badhne laga tha to wo room me jakar bed par let gayi aur anish ne aate hi docter ko phone laga kar bula liya.. docter ne sandhya ko kuch dawaiya di aur use hospital me lane ka bol kar chala gaya
age din bhi sandhya ka bukhar barkarar tha, hospital me kuch tests bhi karaye gaye par un tests me kaha kuch milne wala tha, docter ne ye bas viral fever hai bolkar anish ko dilasa de diya tha..
wo pura din anish sandhya ke sath hi raha jiska ye asar bhi hua ke us din kamini ne koi harkat nahi ki aur sandhya ko aaram karne ka mauka mila par agle din anish ki kuch important meetings thi to sandhya ne fir use jabardasti office bheja aur kaha ki wo bed se hilegi tak nahi aur anish bhi sandhya ko apna khayal rakhna keh kar chala gaya aur fir uske jate hi wahi khel shuru, abki baar sandhya chah kar bhi apne aap ko nus aaine ke karib jane se nahi rok payi aur aaine me wapis film chalne lagi
--------
Appasaheb ki shadi ke agle din naye dulha dlhan ko kuldevta ke darshan ke liye jana tha, wahe jane ke liye kuch 7 se 8 ghante ka rasta tha, nanasaheb apni tabiyat ka bahana banakar ghar par hi ruk gaye aur appasaheb ke jane ke baad naukaro ko bhi chhuti de di aur jais hi wade se sab log chale gaye nanasaheb kamini ki lash ko almari se nikala aur use ghasit kar chhat par le gaye, wada thoda uchai par bana hua tha aur uske piche sidhi dhalan thi yay u kahe ki khai thi, aura age jungle ka ilaka shuru hota tha, nanasaheb se kanimi ki lash ko waha se niche fek diya fir niche aakar us alamri ke darwaje tode aur ganu sutar(carpainter) ko bulaya aur use nayi almari banana kaha aur ek naya dressing table bhi jisme us aaine ko lagane kaha, ganu bhi wo ammari apne sath le aaya aur kaam shuru kar diya
Ganu jab kaam kar raha tha tab uski najar thoda upar gayi to use waha kamini dikhi jise dekh ke ganu bola
Ganu-aye kamini kidhar thi tu kal, teri maa dhundh rahi thi teko ja paile ghar ku ja
Aur itna bol ke ganu wapis apne kaam me lag gaya, ab ganu ko do ghut daru ke chadha kar kaam karne ki adat thi isiliye usne kamini ko dekha jarur par baad me wo wahi hai ya ghar gayi hai ispar usne dhyan hi nahi diya, baad me jab use gaon me pata chala ki kamini abhi bhi lapata hai aur uski maa use dhundh rahi hai tab wo gaon walo se bola
Ganu-arey kal hi to mere jhopde ke samne se gayi hai wo maine usko ghar jane ku bi bola tha..
Aur isi tarah gaon wale kamini ko khojte rahe par uska kahi kuch pata nahi chala, aurwade ki taraf to kabhi kisi ka shaq gaya hi nahi kyuki ganu ne kamini ko wade par huye karyakram ke baad dekha tha…
Ye sari ghatnaye us aaine me kisi film ki tarah chal rahi thi, tukdo tukdo me hi sahi sandhya ko roj kuch na kuch naya pata chal raha tha par aise me uski shari Shakti kam ho rahi thi, na wo ache se khana khati thin a soti thi, aankhe gaddhe me dhasti ja rahi thi, sharir ka vajan ghat raha tha, bukhar kam tha par kamjori bahut thi
Anish sandhya ko fir ek baar docter ke paas le gaya par jab is baar bhi sare reports negative aaye tab docter ne unhe psychiatrist ke paas jane ki salah di, sandhya janti thi ke in sab se koi fayda hone wala nahi hai, kyuki uska samna ek aisi takat se hai wo is duniya ki hi nahi hai par fir bhi wo anish ke samadhan ke lye psychaitarist ke paas gayi par waha bhi koi result hath nahi aaya, aata bhi klaise sandhya ki bolchal se kahi se bhi aisa nahi lagta tha ke use koi mansik rog ho sakta hai fir bhi psychairist ne kuch dawaiya di aur neend ke liye mild power wali neend ki dawai di aur wapis bhej diya..
Kamini ne bhale hi shuru ke sandhya ke man ko apne kabje me ar liya tha par sandhya ne jald hi apne aap ko uske bandhan se chudaya tha aura b ye ladayi sandhya ke astitva kit hi jiske liye sandhya bharpur koshish kar rahi thi..
Ye sirf sandhya hi janti thi ke use kamini ke mukabala karne ke liye kafi himmat se kaam lena hoga aur sath hi anish ko is beech ghasit kar tension nahi dena chahti thi wo aur iske piche ek ye bhi wajah thi ke anish in sab peshayad hi yakin karta. Yaha tak ki agar kuch dino pehle sandhya ko bhi koi aisa kuch bolta to sandhya bh yakin nahi karti.. ab sandhya ko bahut soch samajh kar kadam uthane the sath hi anish ko bhi in sab se dur rakhna tha
Docter ke paas se wapis aate waqt anish sandhya ko uske pasand ke restaurant me lekar gaya taki uska mood thoda theek ho wahi sandhya anish ke sath jyada se jyada theek hone ki koshish kar rahi thi jiska asar bhi hua kyuki ghar lautne ke baad anish ne sandhya ko aaram karne kaha aur khud apna kaam karne laga, agar use lagta ki sandhya ab bhi bimar hai to wo uske paas se hilta nahi
Anish apne hi ghar me bane chhote se office me kaam karne chala gaya aur uske jate hi sandhya ne laptop on kiya…