Chapter 014
Soumya formula ko translate karne me lagi hui thi. Usko bhi kaphi problems aa rahi thi. Formula ki text bahut purani jo thi.
Soumya ko itni serious ho kar kaam karte hue Arjun ne pahli baar dekha tha. Uske andar se self confidence nikal kar bahar aa rahi thi. Ek alag tarah ka hi aura uske upar chhaya hua tha. Jo Arjun ko attract kar rahi thi.
Kuch der tak Soumya ko dekhne ke baad Arjun ne apna dhyan uske upar se hataya. Usne ghadi me time dekhi to abhi 8:00 baj rahe the.
Aaj sunday ka din tha. College ki koi bhi class to thi nahi. Arjun ne faisla kiya ki aaj bhi woh yahi rahega. Soumya ko busy dekh Arjun ne usko disturb nahi kiya aur woh bahar chala gaya.
Wah sabse pahle reception counter par gaya. Receptionist usko dekh kar puchi, “Sir, koi problem. Main aapki kya madad kar sakti hu.”
“Kya main apna stay day badha sakta hu?” Arjun ne pucha.
“Yes sir. Uske liye aapko payment karna hoga. Aur form fill up karne honge.” Receptionist boli. Usne apni desk se ek form nikal kar Arjun ko diya.
Form par jyada kuch nahi tha. Usne usko jaldi se wahi par fill kiya. Usne do din ke liye date extend kiya tha. Receptionist form lekar apne computer par data enter karne lagti hai.
Data enter karne ke baad woh Arjun se bolti hai, “Sir payment kar dijiye.”
Arjun card swipe karne ke ₹ 600,000 payment karta hai. Uske mobile par do massage ek ek kar ke aati hai. Usne apna balance check kiya to uske paas ₹ 1,210,000 the. Do hi din me woh millionaire ban gaya tha.
“Thank You sir. Aur bhi kuch madad kar sakti hu?” receptionist payment data enter karti hui Arjun se puchti hai.
Arjun ko yaad aata hai ki abhi room saaf nahi hua hai. Sath me usne abhi tak nashta nahi kiya hai. “Please, room clean karwa do aur uske baad breakfast bhijwa do.”
“Okay sir.” receptionist bolti hai uske baad woh apne kaam par lag jati hai. Arjun waha se chala jata hai. Suite me pahuch kar Arjun phir se Soumya ki bagal me baith jata hai.
Woh mobile se shahar me ghar khojne lagta hai. Arjun abhi Virpur shahar me rah raha tha. Uska ghar yaha se paas me hi tha. Virpur shahar ek third tier shahar thi. Yeh naya naya basaya jaa raha hai.
Yaha ki adhikansh ghar purani hai. Kuch kuch nayi community ye society dekhne ko mil jati hai. Jaise city center abhi abhi pichhle do teen saal me basaya gaya hai. Yaha ki sabhi chij nayi hai.
City center ke bagal me ek naya villa area basaya gaya hai. Waha kul milakar 100 villa hai. Adhik daam hone ke karan koi usko kharidta nahi hai. Kul mila kar abhi tak 20 villa hi bike hai. Wo bhi sabse kam damo wala.
Arjun ne search kiya to paya ki koi bhi villa ₹ 10 million (1 crore) se kam nahi hai. Aur sabse adhik daam ka villa to pucho hi mat woh ₹ 100 million tak ka pahuch gaya hai. Wo bhi auction (nilami) ki shuruati price thi.
Arjun ne villa ki futej dekhi to usko kaphi pasand aaya. Lekin uske paas abhi utne paise nahi the. Woh apna sir jhatakta hua car ke bare me search karne laga. Usko do teen car pasand aa gayi thi. Jo uske paise ki range me thi.
Good citizen hone ke nate Arjun ne electric vehicle choose kiya. Tata Tiago EV ₹ 800,000 se 1,200,000 ke range me aati hai.
Arjun santushti ke sath apna phone rakha to dekha ki Soumya abhi bhi translate kar rahi thi. Isi bich room clean ho chuka tha.
Sath hi sath hotel walo ne bedsheet change kar diya tha aur kapde wash karne ke liye washing machine me rakh diya tha.
Tabhi doorbell baji. Arjun kholne gaya to samne ek waiter tray lekar khadi thi. Usne andar aane ke liye bola. Wah table par nashta laga ke chali gayi.
“Chalo nasta kar lo uske baad translate karna.” Arjun Soumya se bola.
“Do minute ruko. Bas ho gaya.” Soumya apna dhyan laptop par lagaye hue hi boli.
Arjun uske paas baith gaya aur Soumya ki translate kiya hua dekhne laga. Upar panch jadi butiyon ke naam likhe gaye the. Uske niche usko kaise use karna hai woh likha gaya tha.
Arjun ne jadi butiyo ke bare me jab mobile se search kiya to wo hairan reh gaya. Usme likhi sari jadi butiya sex drugs banane me kaam aati thi.
Arjun ke man me shanka to thi lekin usne uske baare me jyada sochna thik nahi samjha. Jab se usne dobara janam liya tha tab se system uske sath thi. Aur woh uski madad kar rahi thi.
Soumya bhi in jadi butiyo ke bare me janti thi. Usne abhi search jo kiya tha. Lekin usne bhi kuch puchhna thik nahi samjha.