Chapter 015
Do minute me translate karna khatm karne ke baad Soumya aur Arjun ne baith kar nashta kiya. Thodi der aram karne ke baad Arjun bola, “shopping karne chalogi?”
“Sach me.” Soumya khush hote hue boli. Akhir koi ladki shopping ke naam se khush na ho bhala aisa kabhi ho sakta hai.
“Ekdam Sach” Arjun haa me sir hilate hue bola. Soumya khush hoti hui boli, “ruko main abhi apan baal bana leti hu.”
Soumya abhi nahayi thi aur baal bhiga hone ke karan usne bandhi nahi thi. Ab tak uske baal sukh gaye the. Wah apne bal ko bandh li.
![image-2024-08-23-214346867 image-2024-08-23-214346867](https://i.ibb.co/SwD2MKL/image-2024-08-23-214346867.png)
15 minute baad Soumya ne simple si choti bandh li. Uske baad dono hotel se bahar nikal gaye. “Chalo sabse pahle ek car leni hai mujhe.” Arjun bolta hai.
Arjun uske sath car ki show room me jata hai. Virpur third tier city thi. Lekin yaha electric vehicle ki showroom aa gayi thi.
Arjun Tata ki showroom me gaya. Waha abhi jyada bhir nahi thi. Subah ka samay tha aur koi session bhi nahi thi jaha jyada kharidari ho.
Ek saleslady ne Arjun aur Soumya ko greet kiya. “Welcome sir, welcome miss”
“Sir aap kaisi car dekhna chahenge. Apni koi preference bataiye.” Sales lady puchi.
“Tiago EV hai?” Arjun ko car pasand aa gayi thi aur apna samay barbad nahi karna chahta tha. Isliye sidhe mudde par aa gaya.
Sales lady pahle to chauk gayi phir uske face par ek badi si smile aa gayi thi. Akhir 10 lakh ki gadi bikne par usko bhi kuchh commision milenge.
Wah smile karti hui Arjun ko car ke bare me batayi uske baad usne color preference ke bare me pucha. “Soumya tum choose karo.”
Arjun ko jyada color mayne nahi rakhta tha. Woh Soumya se hi pucha. Gadi ke jyada color nahi the. Usne kuch der me gray color ko choos kar liya.
![image-2024-08-23-214444673 image-2024-08-23-214444673](https://i.ibb.co/b1Cwc4L/image-2024-08-23-214444673.png)
Saleslady ne bataya ki ₹ 1.2 million hai. Aur ₹ 10,000 paperwork complete karne me lagenge. Usne docoment aur driving license mange.
Sales lady ne Arjun se document liya. Arjun ne extra kuch rupaye diye taki jaldi se paperwork pura ho jaye. Sales lady 15 minute rukne ke liye boli.
15 minute baad Arjun aur Soumya car me baith kar showroom se nikle. Abki baar unka target tha real estate office.
“Tum abhi real estate kyu le rahe ho?” Soumya puchi. Arjun ne abhi abhi car kharidi thi. Soumya ko laga ki Arjun kharch bahut adhik kar raha hai.
“Kya har baar hotel me aane ka irada hai kya?” Arjun ankh marte hue bola. Pahle to Soumya ko samajh nahi aaya. Thodi der baad usko samajh aaya ki Arjun kya kahna chah raha hai.
![image-2024-08-23-214609206 image-2024-08-23-214609206](https://i.ibb.co/Qj55tVg/image-2024-08-23-214609206.png)
“Dhatt” Soumya sharma kar apna chehra niche kar leti hai. Lekin uske dil me abhi sweet feeling aa rahi thi. Arjun kuch hi der me new community me aa gaya. Yaha flat ki sale hoti thi.
“Chinta mat karo. Abhi city me real estate manda chal raha hai. Agar abhi hamne kharid liya to baad me isko bech bhi sakte hai.” Arjun samjhate hue bola.
Soumya ko samajh me aaya ki Arjun real estate kyun kharid raha hai. Arjun ke paas abhi kul milakar ₹ 2.42 million the. Usme usko koi decent flat to nahi milegi. Arjun EMI par kharidna chahta tha.
Saleslady dono ko flat dikhane le gayi. Arjun ne ek achha view wala 3BHK flat choose kiya. Flat pura furnish tha. Kewal bed, kitchen ki saman sab baki the. Jo log apni pasand se kharidte hai.
![image-2024-08-23-214753706 image-2024-08-23-214753706](https://i.ibb.co/wpys1b1/image-2024-08-23-214753706.png)
Arjun ne flat book kar liya. Flat ₹ 6.9 million ke the. Usko month ke antim tak interest mila kar ₹ 7 million ho jane the. Saleslady ne bataya ki agar aap ek mahine ke andar amount pay kar dete ho to aapko flat mil jayega.
Arjun ne bahana banaya. “Miss mere account me one time upper limit ₹ 2 million ki hai. Isliye main ek baar me payment nahi kar sakta. Lekin aaj hi main payment kar dunga.”
Arjun ke kahne par Saleslady uski baat maan gayi. Arjun ne char baar me ₹ 7 million payment kar diya. Sath me usne do parking space ke liye ₹ 100,000 payment kiye. Jo do salo ke liye valid thi.
Sales lady bhi bahut efficient thi. Adhe ghante me usne sare paperwork complete kar diye. Usne gate par lock bhi change karwa diye. Ab Soumhya aur Arjun ke hath me ek-ek key padi hui thi.
Soumya achambha me khadi thi. Usko sab kuch sapna jaisa lag raha tha. Wah Arjun ke liye khush bhi thi. Sath me usko apne upar garv bhi ho raha tha ki usne sahi faisla liya tha.
Arjun ne apni balance check kiye. Uske account me ₹ 9.42 million the. Arjun ne pahli baar apni account me itna rupya dekha tha. Woh bahut exited tha. Aaj uske paas apni gadi aur makan tha.
Pichli life me uske paas kabhi descent si ghar aur car bhi nahi thi. Usne puri life struggle hi ki thi. Woh aaj satisfy tha. Uske naam par aaj ek flat tha aur ek car thi.