Chapter 016
Arjun ne apni car ko flat ke paas laya aur parking space me khada kiya. Tab tak Soumya flat me saman ko dekh rahi thi.
Arjun flat me aakar Soumya se bola, “chalo shopping kar ke aate hai.”
Soumya jo abhi flat ko dekh rahi thi, wo uski taraf mudte hue boli, “baby, flat me bahut saman kami hai. Ruko list bana leti hu. Uske baad chalte hai.”
Arjun ko bhi uski baat sahi lagi. Wah ek kamre me jate hue bola, “thik hai baby to tum dekh lo kya kya lena hai. Waise bhi maine hotel kal tak ke liye book kar li hai. To hamare paas time hai.”
Soumya sahmati me sar hilati hui boli, “thik hai. Tum aaram kar lo.”
Arjun room me chala gaya. Wah sofe par baith kar paper nikal kar padhne laga. Wah do baar ache se usko padha. Yeh paper woh thi jisko Soumya ne translate kiya hua tha.
Arjun net se jadi butiyo ke bare me check karne laga. Usko is baat ki chinta thi ki kahi woh sab jadi butiya kaphi mahangi na ho.
Lekin Arjun ko woh sab jadi butiya common mili. Woh kisi bhi ayurvedic jadi butiyo ki dukan par mil jane wali thi.
Idhar Soumya khushi khushi ghar me ghum rahi thi aur paper par chijo ka note bana rahi thi. Adha ghanta laga usne upar upar se note bana liya tha. Wah kuch saman agle din kharidne ka sochi.
Wah list lekar Arjun ke paas pahuchi. “Yeh dekho, itne saman ghate hue hai. Aur bhi honge.”
“Ab tum is ghar ki malkin ho. Dekh lo tumhe hi sab sambhalna hai.” Arjun chidhate hue Soumya ko bola.
Malkin shabd sun kar Soumya sharma gayi. Uske dil ki dhadkan badh gayi, “kya usne abhi mujhe propose kiya?” Soumya apne man me sochne lagi.
Arjun uske sath market ghumne chala gaya. Sabse pahle dono bed ki shop me gaye. Waise to palang thi, lekin Arjun king size bed chahta tha.
Usne ek king size bed, aur do queen size bed kharide. Uske sath uspar jarurat ki chije bhi kharidi, jaise gadda, takiya, bedsheet aur bhi bahut kuch. Usi dukan se unhone sofa set bhi kharida.
Unhone ghar ka address de diya. Dukandar ne bola ki woh log kal aakar set kar denge. Uske baad dono kitchen ki saman lene gaye. Waha par bhi achhi chije kharidi.
Uske baad sabhi room ke liye ek ek LED TV kharidi unhone. Sath me hi ek computer system aur ek study table kharidi.
Soumya boli ki woh ek room ko study me convert karna chahti hai. Uske baad woh log AC ki dukan par gaye. Waha se AC ke liye order kiya.
Sabhi saman kal unke ghar shift kar diya jayega. Sath me we log apni mistri bhejenge fit karne ke liye. Arjun in sab ki chinta nahi ki. Usne Soumya ko bola tha ki jo bhi ho best select karne ke liye. Paise ki chinta woh na kare.
Uske baad dono mobile phone ki dukan par gaye. Waha se Arjun ne Soumya ke liye mobile phone kharidi. “Ye lo maine wada kiya tha na mobile phone ka. Kaisa laga.” Arjun usko ek Iphone thamata hua bola.
“Hmm.” Soumya sharmate hue Arjun ki pehli gift accept kari. Arjun ne abhi tak bahut sari chije kharidi thi. Lekin usne pahli baar uske liye kuch kharidi thi.
Sath me Arjun ne uske liye ek laptop bhi kharidi. Uske baad woh log ek mall gaye. Unhone waha se kapde kharide. Soumya ke jidd karne par Arjun ne apne liye bhi kuch kapde aur suites kharide. Soumya ne kuch innerwear bhi kharide.
Kul milakar unhone aaj bahut jyada shopping kari thi. Arjun ne check kiya to usne abhi tak lagbhag ₹ 10M ki shopping ki thi. Uske account me ₹ 19M rupaye the.
Jab sare saman kharid liye gaye tab Arjun ne car ko ek ayurvedic medicine shop ki taraf le kar gaya. Usko malum tha ki abhi usko medicine jarur kharidni chahiye. Warna kahi phir se aaj KLPD ho jayega.