Chapter 002
Arjun sabse pahle canteen gaya. Usko bhukh lagi thi. Usne pure ₹ 50 ka nashta kiya. System se usko 2X rupaye mile. Matlab ₹ 100.
Ab uske paas 100 rupaye the. Wah city center ki taraf nikal gaya. Usko raste me saloon dikhi. Wah janta tha ki uske baal sahi se nahi kate gaye hai.
Wah saloon ki taraf badha. Usne apne baal set karwaye. Yaha par usne ₹ 100 kharch kiye. Jo do guna ho kar ₹ 200 ho gayi thi. Ab uske paas ₹ 200 tha.
Uske baad wah supermall me gaya. Yaha kapde ki dukan thi. Arjun ek kapde ki dukan me gaya. Waha bahut tarah ki tshirt dikhai jaa rahi thi.
Tshirt ki baat alag thi. Arjun ko jo baat pasand aayi ki yaha tshirt ₹ 200 ki thi.
Usne ek acha sa tshirt dhunda aur kharid li. Sath me usne change bhi kar liya.
Ab uske paas ₹ 400 ho gaye the. Uske baad usne jeans, socks, shoes kharide. Arjun ke paas ₹ 2,000 ikathe ho gaye the.
Arjun ko cricket khelna pasand tha. Wah college ki team ka hissa tha. Arjun ke paas man pasand shoes nahi the. Wah sports shoes ki dukan me gaya.
Wah andar ghus raha tha ki usko kataksh bhari awaj sunai di. “Huh, ye apna hero nahi hai. Yeh yaha kya kar raha hai?”
Arjun palat kar dekhta hai to yaha uska roommate Rohit apni girlfriend soumya ke saath khada tha. Usne hi Arjun ko kataksh bhari baat boli thi.
soumya ek ghamandi ladki thi. Wah apni sock pure karne ke liye Rohit ko apna boyfriend banaya tha.
Rohit bhi soumya se koi pyar nahi karta tha. Wah apni hawas mitane ke liye Soumya ka use kar raha tha.
“Arjun kya tum yeh jute kharid sakte ho?” soumya soft awaj me boli. Pahle usko Arjun pasand tha. Wah dikhne me handsome tha. Lekin wah garib tha. Isliye usne Rohit ko chuna.
Arjun kuch nahi bola. Wah dukan me ghus gaya. Usne ₹ 2,000 ka ek juta kharida. Payment karke bina Rohit aur soumya ki or dekhe bahar nikal gaya.
Dono Arjun ko aise jate dekh but ban kar khare the. Unko vishwas nahi hi raha tha ki Arjun ne itne mahnge sports shoes kharid liya tha.
Arjun waha se nikla to usko pata nahi chala ki kaha kharch kare. Tabhi usko addidas ki showroom dikhi. Jisme sports tshirt show kar raha tha. Arjun ne dekha ki wah uski range ka aa raha tha.
Wah show room me ghus gaya. Uske baad pehle usne t-shirt kharidi. Payment kar dene ke baad usne jins kharidi. Uska bhi payment kar diya. Uske baad usne phir sports shoes, gloves, cricket kit kharidi.
Jab wah bahar nikla to usne koi bhi saman nahi laya. Showroom wale ne usase uska address le liya tha. Unhone bola tha ki wo uske room par pahucha denege.
Jab Arjun waha se nikla to 3 baj chuke the. Uske bank account me ₹ 40,000 rupaye pade hue the.
Usko mobile ki dukan dikhi. Wah mobile city me aaya. Usne apne liye ek iphone kharida. Jiska daam 40,000 ke aas paas tha. Phir usne teen android ki set kharidi. teeno same company ki thi lekin alag alag color ki thi - pink, red and black.
Arjun ke paas ab ₹ 140,000 se upar rupaye the. Arjun ne ek laptop kharid li. Pichhli baar usko laptop uski badi bahan ne gift kiya tha. Wo bhi dusre saal me.
Ab uske paas pahle year me laptop thi. Usne laptop me updates sab karwa liye. Tab tak apni mobile bhi set kar li aur chalu kar liye.
Usne salana recharge bhi kara liye. Wifi aur router bhi usne kharide. Sari kharidari karne ke baad uske khate me ab ₹ 310,000 ho gaye the.