Sidd19
Well-Known Member
- 2,649
- 2,070
- 159
ThanksZabardast update bhai keep posting
Update badiya hai par ye sirf uske bare me hi kyu puch raha hai khud ke bacche ke bare me kyu nahi puch raha hai uske jesa dikhne vala ladka kaha se aaya ye kyu nahi puch raha hai aur to aur jab ye bees saal baad pakdi gayi hai to vikram kyu nahi pakad me aaya inke ye sochne vali baat hai ya phir ye ki tab tak vikram kuch kaand kiye na ho uske baad karna start kiye ho ye janne ke liye utsukta hai aur ye bhi vikram ko kese shak hua iss par bahut questions hai unke ans milege na?
Sabra rakhiye zara...ThanksBahut hi shaandar update diya hai TheBlackBlood bhai....
Nice and lovely update...
ThanksVery nice update bhai
Update - 62
____________________
Vikram singh ki diary ko padhne me magan jailer shivkant wagle aur savitri sahsa chaunke. Baahar se koi zor zor se darwaza bajaye ja raha tha. Darwaza bajne ki awaaz par jaha ek taraf savitri hadbada kar bed se niche utri wahi wagle ne chaunk kar wall clock ki taraf dekha. Use ye dekh kar hairat huyi ki ghadi me shaam ke saat baj rahe the.
"Haye ram yaha itna andhera kyo hai?" Kamre ka darwaza khol kar jab savitri ne baahar andhera dekha to hairaani se bol padi thi____"Kya raat ho gayi hai?"
"Sahi samjha tumne." Diary ko band kar ke use apne briefcase me rakhte huye wagle ne kaha_____"Ham dono vikram ki diary ko padhne me itna kho gaye the ki samay ke guzar jane ka ehsaas hi nahi hua hame."
Wagle ki baat sun kar savitri abhi kuch bolne hi wali thi ki tabhi baahar ka darwaza fir se bajaya gaya. Savitri ne sabse pahle diwaar me tatol kar bijli ka switch khoja fir button ko on kar ke bulb jalaya. Bulb ke jalte hi roshni fail gayi.
"Aap kaha chali gayi thi mom?" Darwaza khula to savitri ke bete chandrakant ne apni maa ko dekh jhallaye huye lahje me kaha____"Kitni der se darwaza khatkhata raha hu. Kya sunaayi nahi de raha tha aapko?"
"Maaf kar de beta." Savitri ne khed bhare bhav se kaha___"Shayad kuch zyada hi gahri neend me thi main is liye sun nahi paayi thi. Khair tu akela hi aaya hai kya? Teri bahan supriya nahi aayi tere sath?"
"Usne kaha ki wo neha ke sath next sunday ko aayegi." Chandrakant ne andar daakhil hote huye kaha____"Aap bataiye dad kaise hain? Unki tabiyat ab thik hai na?"
"Haan ab wo thik hain." Darwaza band kar ke savitri ne har jagah ki light jalate huye kaha____"Kal se duty jane lagenge wo."
Savitri ki baat sun kar chandrakant aage kuch na bola aur apne kamre ki taraf badh gaya. Idhar savitri bhi chaay banane ke liye kitchen ki taraf badh gayi.
Aaj dinner har roz ki apeksha thoda late taiyar hua. Dinner ke dauran wagle ne apne bete chandrakant se uska aur uski mausi ka haal chaal puchha aur ye bhi ki supriya uske sath kyo nahi aayi? Chandrakant ne apne baap ko wahi bataya jo apni maa ko pahle hi bata chuka tha.
Khair dinner se faarig ho kar wagle apni biwi ke sath kamre me aa gaya. Dono ko hi vikram singh ki diary ko padhne ki jaldi thi. Asal me kahani apne climax ki taraf tezi se badh rahi thi aur dono hi ye jaanne ko utsuk the ki CMS jaisi sanstha ko chalane wala uska maalik kaun hai? Sabse badi baad kya vikram aisi sanstha ka vajood mitane me kamyab hua hoga ya nahi? Itna to wagle bhi samjha gaya tha ki CMS jaisi sanstha ne in bees saalo me apni jado ko itna majbut aur bada zarur kar liya hoga ki uske vajood ko mita pana kisi ke liye bhi asaan baat nahi ho sakti hai. Baharhaal, dono hi pati patni bed par let gaye. Wagle ne apne briefcase se vikram ki diary nikaali aur aage ka kissa dono ne man hi man padhna shuru kar diya.
[][][][][][]
Achanak darwaze par ajeeb si awaaze huyi to bandhano me jakdi maya chaunki aur sath hi uski dhadkane bhi tez ho gayi. Chehre par ghabrahat liye wo ektak darwaze ki taraf hi dekhne lagi thi. Udhar kuch hi palo me halki awaaz ke sath darwaza khula aur khule darwaze se andar daakhil hote jis shakhs par uski nazar padi use dekhte hi uski aankhe aashcharya aur avishwaas se fail gayi. Dil ki dhadkane asmaanya gati se teevra ho gayi.
"V...vikram??" Fir uske mujh se atakta hua swar nikla_____"Ye tum ho?"
"Hu to main hi." Maine darwaze ko band kar ke uski taraf palat kar kaha____"Par shayad tumhe yaha par kisi aur ke aane ki ummid thi...hai na?"
Meri baat sunte hi maya ke chehre par kayi tarah ke bhaav aate jate nazar aaye. Wo bade dhyaan se mere chehre par maujood bhaavo ko padhne ki ya fir ye kahe ki samajhne ki koshish kar rahi thi.
"Kya hua?" Maine uske ekdam kareeb aa kar uski ankho me dekhte huye thoda shakht bhaav se kaha____"Jawaab kyo nahi de rahi tum? Ya fir main ye samjhu ki tumhare paas mere sawaal ka koi jawaab hi nahi hai?"
"T...tum ye kya kah rahe ho vikram?" Maya ne uljhan poorn bhaav se kaha____"Meri kuch samajh me nahi aa raha."
"Asal me galti meri hi hai dear." Maine feeki muskaan ke sath kaha____"Mujhe ye galat fahmi nahi paalni chahiye thi ki is duniya me har koi bura nahi hota balki kuch achhe log bhi hote hain jinki vajah se ye duniya apne vajood ko salamat rakhe huye hai. Mujhe ye hargiz nahi sochna chahiye tha ki is duniya me koi aisa bhi ho sakta hai jo mujhe apna samajhta hai aur mujhe dilo jaan se prem karta hai. Saari ki saari galti meri hi thi maya. Bees saal jail me itne dukh dard sahne ke baad bhi main ye soch lene ki himakat kar baitha ki is beraham duniya me kahi koi nek-dil insaan bhi ho sakta hai."
Kahte kahte mere andar aisa tufaan aur aisa gubaar uth khada hua ki meri awaaz kaampne lagi thi. Maine khamosh ho kar aur aankhe band kar ke apne andar ke tufaan aur jazbaato ko niyantrit karne ki koshish karne laga. Udhar maya mujhe aise dekh rahi thi jaise main achanak hi kisi jinn me tabdeel ho gaya tha. Chehra ghabrahat se bhar gaya tha uska. Maathe par palak jhapakte hi dher saara paseena ubhar aaya tha.
"Jail se jab main baahar aaya tha." Uski taraf dekhte huye maine fir se bolna shuru kiya____"Tab sirf ek hi khwaaish aur maksad tha ki jinhone meri zindagi ko nark bana diya tha unka is duniya se naamo nishaan mita dooga, bhale hi uske liye mujhe apni jaan se bhi hath kyo na dhona pad jaye. Lekin....lekin jab tum mili to ek alag hi ehsaas dil me jaag utha. Tumne jab bataya ki tumne mere pyar ki ek aisi nishaani ko janm diya hai jo hubahu meri hi tarah dikhta hai to kasam se jine ki lalak paida ho gayi. Jis upar wale ko main bees saalo se kosta aaya tha usko maine tahe dil se hazaaro baar shukriya kaha tha. Bhala main ye kaise tasavvur kar sakta tha ki mere sath ye jis tarah ka achanak se pariwartan hua tha uske pichhe kisi ki sochi samjhi saazish thi? Main ye kaise kalpana kar sakta tha ki koi mere soye huye ehsaaso ko jaga kar mujhe aisi maut maar dene ka khwaab sanjoye huye tha jiski main saat janmo me bhi kalpana nahi kar sakta tha. Kyo maya....aakhir kyo kiya tumne mere sath aisa?"
"M..m..maine kya kiya hai?" Maya buri tarah hadbada kar haklaate huye boli thi.
"Mujhse ab kuch bhi chhupa nahi raha maya." Maine sanjeedgi se uski taraf dekha, mera dil is wakt behad takleef me tha____"Man to kiya tha ki jisne meri bhavnaao ke sath khela hai usko aisi maut du ki agle kisi bhi janm me wo kisi ki bhavnaao ke sath is tarah khelne ka na soche magar maine aisa nahi kiya. Jaanti ho kyo? Kyoki main tumhare mukh se sunna chaahta tha ki mere sath is tarah ka fareb kyo kiya tumne? Mujhse be-inteha prem karne ka jo daawa tumne kiya tha kya wo sab jhooth tha?"
Meri baate sun kar maya ki aankhe band ho gayi aur fir band palko se sahsa aansuo ki dhaara bah chali. Main usi ki taraf dekh raha tha. Shayad meri baato se wo samajh gayi thi ki ab mere saamne uska kisi bhi baat se mukarma bekaar hi tha. Idhar mere andar maano aag lagi huyi thi jise main badi mushkil se kaabu kiye huye tha.
"Mujhe maaf kar do vikram." Fir maya ne dukhi bhaav se kaha____"Maine jo kuch bhi tumhare sath kiya hai wo sab karne ke liye main majboor thi. Ye baat ya to upar baitha hua vidhata jaanta hai ya fir mera dil ki maine tumhare sath fareb karne ke liye apne dil ko kitni mushkil se patthar banaya tha. Halaaki is sabke liye main har roz apne aapko kosti hu aur ye dua bhi karti hu ki mujhe maut aa jaaye."
Maya itna kahne ke baad sahsa chup ho gayi. Asal me wo apne jazbaato ko samhaal hi nahi paayi thi jiske chalte usse aage kuch bola hi nahi gaya tha. Ek taraf jaha uska chehra dukh aur santaap me dooba hua dikhne laga tha wahi uski aankho se aansu bhi bahte ja rahe the.
"Maine tumhare sath majburi me fareb zarur kiya hai vikram." Kuch palo baad usne fir se kaha____"Lekin puri tarah se nahi, kyoki ye dil jinhe toot toot kar mohabbat kar raha hota hai wo itna bhi patthar ka nahi ban sakta ki apne mahboob ko mukammal taur par nuksaan pahucha de. Haan vikram, tumhare prati mera prem meri chaahat ekdam sachchi hai."
"Band karo apni ye bakwas." Main gusse se maano cheekh hi pada____"Ab main tumhare fareb me fasne wala nahi hu. Ye sach hai ki mere dil me tumhare prati chaahat paida ho gayi thi lekin tumhara fareb dekhne ke baad wo chaahat palak jhapakte hi khaak ho chuki hai. Ab is dil me agar kuch hai to sirf nafrat. Un logo se bhi kahi zyada jinhone mere apno ki jaan le kar meri zindagi barbaad ki hai."
"Tumhari nafrat kabool hai mere dilbar." Maya siskate huye boli____"Mujhe to khud hi us din apne aapse nafrat ho gayi thi jis din maine majburi me tumse fareb karna accept kar liya tha. Maine bahut koshish ki ke tumhare andar maujood badle ki aag shaant ho jaye aur tum ek nayi zindagi ki shuruaat karo magar main kamyaab nahi ho paayi aur fir wahi hota gaya jo nahi hona chahiye tha."
"Apne fareb ka kissa mat sunaao mujhe." Maine use bich me hi tookte huye kaha____"Main sirf ye jaanna chaahta hu mere sath is tarah ka fareb kyo kiya? Wo kaun hai jiska mohra ban kar tum mere kareeb aayi thi?"
"CMS ka chief." Maya ne kaha____"Usi ne mujhe majbur kar ke tumhare paas aane ko kaha tha."
"Waah bahut khoob." Maine zor zor se taaliya bajate huye kaha____"Iska matlab to ye bhi hua ki tum aaj bhi us ghatiya sanstha ki member ho aur uske prati wafadaar bhi ho. Tabhi to apne chief ke kahne par meri bhavnaao se khelne ke liye mere paas aa gayi thi."
"Ye bilkul bhi sach nahi hai vikram." Maya ne hataash bhaav se kaha____"Maine to sanstha ko tabhi alvida kah diya tha jab tumhe umar kaid ki saza ho gayi thi. Us din tumse milne par maine apni jo kahani tumhe bataayi thi wo zarur CMS ke chief ki gadhi huyi kahani thi lekin tumhare prati mera prem aur mera samarpan jhootha nahi hai. Bees saal pahle main bhi is shahar se gaayab ho gayi thi. Asal me apni aisi zindagi se tang aa gayi thi main. Tumhe saza ho gayi to mere andar bhi jine ki hasrat nahi rah gayi thi. Maine ek din suicide karne ki koshish ki thi magar ain wakt par ek aurat ne mujhe pakad liya. Uske puchhne par maine use sab kuch bataya. Meri kahani sun kar wo aurat bada hairaan huyi thi fir usne bataya ki wo ek aise NGO ki member hai jaha par mere hi jaisi duniya ki sataayi huyi aurto ko behtar jeewan dene ki koshish ki jati hai. Us aurat ne mujhe bahut samjhaya ki baat chaahe jitni bhi badi ho lekin uske liye kisi bhi insaan ka suicide karna uchit nahi hai. Duniya me mujhse bhi kahi zyada dukhi aur sataye huye log maujood hain fir bhi wo apne jeewan ko naya mod de kar ek nayi shuruaat karte hain. Khair us aurat ne bataya ki wo madhya pradesh ke indore ki rahne wali hai. Yaha par wo apne kisi kaam se aayi thi. Aakhir us aurat ke zor dene par mujhe uske sath indore jana hi pada. Uske baad jaisa ki usne kaha tha maine apne jeewan ko ek alag disha di aur wahi sabke sath rahne lagi. Aise hi wakt guzarta raha magar yakeen maano itne saalo me na to main tumhe bhula saki aur na hi apne dil se tumhare prem ko mita saki. Is baat ka dar bhi hamesha satata rahta tha ki jis sanstha ko alvida kah ke main yaha aayi thi us sanstha ke log meri khoj zarur karenge. Mera naseeb bachpan se hi behad kharaab tha is liye kabhi kuch achha hone ki ummid hi nahi kar paati thi main. Yahi vajah thi ki us aurat se maine kah diya tha ki main na to kabhi NGO ke baahar jaaugi aur na hi NGO ke kisi program ka hissa banugi. Us aurat ko bhi is baat ka ehsaas tha ki main jis sanstha se talluk rakhti thi wo log itna jaldi mujhe chhodne wale nahi the. Khair zindagi aise hi chalti rahi. Upar wale ka aisa karam hua ki bees saal bina kisi samasya ke guzar gaye. Sanstha ka dar zarur satata raha tha lekin ye bhi sach tha ki sanstha ke log mujhe kabhi khoj nahi paaye the. Ya fir ye bhi ho sakta tha ki sanstha ke logo ne mujhe khojne me zyada dilchaspi hi na dikhaayi ho."
"Agar aisa tha." Maya saans lene ke liye jaise hi ruki to maine shakht bhaav se usse puchha____"To fir tum sanstha ke chief ke hath kaise lagi aur uska mohra kaise ban gayi?"
"Insaan ka ateet kabhi uska peechha nahi chhodta vikram." Maya ne sanjeedgi se kaha____"In bees saalo tak main bhale hi sanstha ki nazro se chhupi rahi thi magar fir wakt ne aisi karwat li ki main ek baar fir se unhi logo ke hath lag gayi jinse bachne ke liye maine sanstha ko alvida kaha tha. Asal me aisa meri hi galti se hua tha."
"Kya matlab?" Mere chehre par sochne wale bhaav ubhar aaye.
"Jaisa ki maine tumhe bataya ki bees saal bhale hi guzar gaye lekin in bees saalo me main na to kabhi tumhe bhool saki aur na hi apne dil se tumhari chaahat ko mita paayi." Maya ne gahri saans le kar kaha____"Main kyoki ye baat jaanti thi ki tumhe umar kaid ki saza huyi thi is liye aksar tarah tarah ki kalpanaye karti rahti thi. Jaise ki shayad kabhi aisa koi chamatkaar ho jaye jisse kanoon tumhari saza ko maaf hi kar de ya fir tum jail se faraar hi ho jaao. Itna to main bhi samajhti hi thi ki tumhe us baat ki saza huyi thi jo tumne kiya hi nahi tha to zaahir hai aise halaato me badle ki bhaavna hi paida hoti hai insaan ke andar. Agar badle ki bhaavna ke chalte insaan pagalpan ki had ko paar kar jaye to zyadatar yahi hota hai ki wo jail se kisi na kisi tarike se faraar ho jata hai aur fir tab tak shaant nahi baithta jab tak ki uska ek ek dushman uske hatho khaak me nahi mil jata. Aisi hi kalpanaye karti rahti thi main. Main chaah kar bhi tumse milne ya tumhe dekhne ke liye jail nahi aa sakti thi magar apne tarike se tumhare bare me pata kar liya karti thi. Khair kahte hain ki wakt har tarah ke zakhm aur yaade mita deta hai aur fir insaan ek naye maksad ke sath aage badh jata hai magar main na to kabhi tumhe bhula paayi aur na hi tumhari chaahat ko apne dil se mita paayi. Agar ye kahu to galat na hoga ki har guzarte wakt ke sath tumhare prati meri chaahat me izafa hi ho raha tha. Ek din jab mujhe pata chala ki tumhari saza ko maaf kar ke kanoon ne tumhe riha kar dene ka faisla kiya hai to kasam se main khushi se uchhalne lagi thi. NGO ki aurte mujhe yu chhoti bachchiyo ki tarah khushi se uchhalte dekha to unhe bada ashcharya hua. Sab ek dusre se kahne lagi ki kya main pagal ho gayi hu ya mere dimaag ka koi screw dheela ho gaya hai. Us raat meri aankho se neend gaayab thi. Mera man kar raha tha ki saari duniya ko bataau ki mere mahboob ko ek nayi zindagi mil gayi hai. Main nahi jaanti ki ye meri duaao ka asar tha ya kuch aur magar itna zarur samajh baithi thi ki upar wale ne tumhe us narak se azaad kiya hai to yakeenan mere liye hi kiya hai. Bas, uske baad saari raat tumhare sath ek nayi zindagi jine ke sapne sajaati rahi. Subah huyi to kisi bhi kaam me man nahi laga mera. Dil cheekh cheekh kah raha tha ki pankshi ki tarah ud kar tumhare paas pahuch jaau aur yakeen karo main sach me pankshi ki tarah ud jane se khud ko rok na saki. Teesre din main us aurat ko joki ab budhi ho chuki thi usko bata kar indore se delhi ki taraf ud chali. Tumse milne ki khushi aur pagalpan hi itna tha ki main ye soch hi na paayi thi ki mera aisa karna mere liye kitna bhaari pad sakta hai."
Maya saans lene ke liye ek baar fir se ruk gayi. Main khamoshi se uski baate sun raha tha aur ye bhi sochta ja raha tha ki wo jo kuch bata rahi thi usme kitni sachchaayi ho sakti hai? Kahi aisa to nahi ki pakde jane ki vajah se wo khud ko nirdosh saabit karne ke liye mujhe apni ek alag hi kahani gadh kar sunane lagi thi.
"Delhi aa kar main ek hotel me ruki." Maya ne fir se bolna shuru kiya____"Indore se to main aa gayi thi lekin ab ye nahi pata tha ki delhi jaise shahar me tumhe kaha khojugi? Dusri baat ye bhi thi ki jail se riha ho kar tum delhi me hi kahi maujood hoge ya kahi aur apna kayaam karoge? Hotel ke kamre me yahi sab sochte huye sahsa main chaunk padi aur ghabra bhi gayi. Mere zahen me achanak se ye baat ubhar aayi thi ki yaha par agar sanstha ke logo ne mujhe pahchaan liya to kya hoga? Ye sawaal hi aisa tha ki palak jhapakte hi tumse milne ki meri saari khushi kapoor ki tarah kafoor ho gayi aur dilo dimaag me sanstha ke prati khauf paida ho gaya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki ab main kya karu? Fir maine faisla kar liya ki chaahe jo ho jaye lekin tumse milugi zarur. Bhale hi iske liye meri zindagi khatre me pad jaaye. Maine bade mushkil se us hotel ke kamre me do dino tak maano band rakha aur jab na raha gaya to hotel se baahar aa kar tumhari khoj me nikal padi. Saara din auto aur taxi me baithi delhi ki sadko me main ghoomti rahi magar main tumhe khojne me kamyab na huyi. Aise hi ek do nikal gaye. Tumhe khoj na paane se main ab pareshaan aur dukhi ho gayi thi. Upar wale se baar baar request kar rahi thi ki wo mujhe tum tak pahuchane ka koi raasta dikha de aur fir jaise sach me upar wale ne meri request ko accept kar liya. Chauthe din main ek taxi me baithi tumhe khoj hi rahi thi ki achanak ek jagah taxi ruk gayi. Us wakt shaam ka andhera chhaane laga tha. Maine dekha do teen nakabposh taxi ko ghere khade the. Isse pahle ki main kuch samajh paati un nakabposho ne jo kuch kiya bijli ki tezi se kiya. Nateeja kuch hi palo me taxi driver aur main behosh ho gaye. Main samajh gayi thi ki main sanstha ke logo dwara pahchaan li gayi thi aur ab main unke rahmo karam par thi."
✤༺✧༻✤
Gajab ka update dude 1 sacchai se parda to uth gaya hai ki ye maya kaam karti hai cms ke liye 2 sacchai ye ki vo jo ladka hai vo nakli hai isme baat ye ulajh rahi hai ki ab tak maya ne jo bhi bataya kya vo sach hai ki vo usse pyaar karti hai agar pyaar karti hai to pehele hi kyu nahi bataya usne ki vo cms se aise jud gayi vapis se kese kyu pehele kyu nahi bataya ye janne ke liye utsukta hai aur vo cms ne bilkul uske jesa ladka kaha se kese dhundha ab vikarm kya karega aage ye sacchai jaan ke ye janne ke liye utsukta haiUpdate - 63
____________________
"Jab mujhe hosh aaya to main CMS ke headquarter me thi." Ek lambi saans lene ke baad maya ne fir se bolna shuru kiya____"Main jaha par thi wo ek lamba chuada hall tha joki neem andhere me dooba hua tha. Us hall me kayi saare log the jo kaale naqaab aur kapdo me the. Hall ke dusre chhor par ek singhasan tha jo unchaayi par tha usme ek rahasyamay shakhs baitha hua tha. Mera usse pahle bhi ek do baar saamna ho chuka tha is liye main jaanti thi ki wo CMS ka chief tha. Khair bees saalo baad main ek baar fir se us daldal me ya ye kahu ki us narak me pahuch gayi thi aur achhi tarah jaanti thi ki yaha par ya to mujhe sanstha se bhaagne ke jurm me saza-e-maut di jayegi ya fir mere sath kuch aisa hoga jiski us wakt main kalpana bhi nahi kar sakti thi. Kaha iske pahle main tumhari rihaayi se khush ho kar khushi khushi tumse milne indore se bhaagti huyi aayi thi aur kaha ab aisi musibat me fans gayi thi. Afsos to bahut hua magar sabse zyada is baat ki takleef huyi ki ab shayad hi main tumhe dekh paaugi. Us wakt dil me bas ek hi hasrat maano machal uthi thi ki kisi bhi tarike se sirf ek baar tumhari surat dekh lu uske baad bhale hi sanstha ka chief meri jaan le le. Man hi man upar wale ko yaad kar ke maine usse kaha ki kya is liye usne meri dua kabool ki thi?"
"Sach to ye tha ki sanstha ke chief ke saamne khadi meri har ummid maano khaak me mil gayi thi." Maya ne kuch pal rukne ke baad fir se bolna shuru kiya____"Main khwaab me bhi aisi kalpana nahi kar sakti thi ki us situation me bhi kuch aisa hoga jiske chalte tumse milna sambhav ho jaayega. Khair chief ne bina kisi bhumika ke pahle to yahi kaha ki jis tarah bees saal pahle main sanstha ki ijazat ko taak par rakh kar gayab huyi thi uske liye sanstha use maut ki saza hi degi lekin agar main chief ke kahne par wo karu jo wo chaahte hain to bahut had tak sambhav hai ki mujhe ek nayi zindagi mil jaye. Chief ki baate sun kar mujhe bada ashcharya hua. Fir sahsa main ye soch kar man hi man khush huyi ki nayi zindagi mil jayegi to ek din tumse mulakaat bhi ho sakti hai. Maine chief ke kahne par bina soche samjhe unke har hukum ka paalan karna accept kar liya. Maine to yahi socha tha ki mujhe ek baar fir se wahi kaam de diya jaayega jo kaam main bees saal pahle karti thi. Yaani naye ladko ko sex ki training dena. Bhala main ye kaise soch sakti thi ki is baar mujhe ek aisa kaam diya jaayega jo kisi bhi keemat par mere zameer ko gawara na hoga lekin iske bavjood mujhe wo kaam karna hi padega. Chief ne mujhe apna jasoos bana kar tumhare sath rahne ko kaha tha. Tumhare sath rahte huye mujhe tumhare har kriya kalaap ki khabar chief ko deni thi aur is baat ka bhi khaas dhyaan rakhna tha ki tumhe is baat ki bhanak tak na lage. Balki ye kahu to zyada behtar hoga ki tum khwaab me bhi ye na soch sako ki main tumhare paas kisi ka mohra ban kar aayi hu. Chief ko hamare bich bane sambandho ka pahle se hi pata tha. Wo pahle se hi jaante the ki ham dono baahar ki duniya me ek dusre ke liye ajnabi nahi hain balki ek dusre ke behad kareeb hain. Hamare is rishte ko adhaar bana kar hi chief ne ek drama create kiya aur drame ko safal banane ke liye ek aisa kirdaar bhi create kiya jiske chalte tum mere dwara sunaayi jane wali kahani par yakeen kar loge aur fir kahani ke anusaar apne us bete ko bhi video call ke jariye dekhoge jo dikhne me hubahu tumhare jaisa hoga. Chief ke anusaar ye sab itna perfect hona tha ki tum sach me meri baato par yakeen kar loge aur fir fauran hi jazbaato me bah kar ek nayi zindagi ke sapne dekhne lagoge."
"Waah bahut khoob." Main kathorta se bol pada_____"Chief ne tumhe meri bhavnaao ke sath khelne ko kaha aur tum apni jaan jane ke khauf se maan bhi gayi...waah."
"Nahi, ye sach nahi hai vikram." Maya ne bebasi se dekha meri taraf____"Mujhe apni jaan ke jane ka koi khauf nahi tha. Chief ne jab mujhe ye sab karne ko kaha to maine fauran hi iske liye mana kar diya tha use. Tab chief ne mujhe apna maksad bataya. Uska kahna tha ki sanjay and party sanstha ke liye sir dard ban chuke hain. Ab kyoki wo sab tumhare dushman the aur jail se riha hone ke baad tumhara bhi ab ek hi maksad hoga ki tum apne sabhi dushmano ka safaya karo to chief ne socha ek teer se do shikaar ho jaye to kya bura hai? Chief ne mujhse kaha ki tum sanstha ke dushman nahi ho aur badle ki aag me sanjay and party ke sath jo karne wale ho usse sanstha ka bhi faayda hi hai is liye wo chaahte hain ki kisi na kisi tarike se sanstha ka support bhi tumhe mile. Sanstha ke support se matlab ye hai ki tum kabhi police dwara pakde na jaao aur ye tabhi sambhav ho sakta hai jab tumhare dwara hone wali hatyaao ke liye police aur kanoon ki ugrata ko roka jaye. Khair chief ne bhale hi mujhe ye sab bata kar convince karne ki koshish ki magar main tab bhi nahi maani. Main achhi tarah samajhti thi ki aisi sanstha ka chief tum par is tarike se kabhi bhi meharbaani karne ka nahi soch sakta. Matlab ye ki apna matlab nikal jane ke baad yakeenan wo tumhe aur mujhe bhi apne raaste se hata dega. Tab chief ne mere saamne maano apna aakhiri paansa fenka. Usne kaha ki agar maine uske kahne par apna kaam imandaari se kiya aur meri vajah se sanstha ka kaam ho jayega to main tumhare sath hansi khushi ek nayi zindagi ki shuruaat kar sakti hu. Meri us zindagi me sanstha ka kabhi koi dakhal nahi hoga."
Maya saans lene ke liye ruk gayi. Idhar mere andar ki halchal thoda shaant pad gayi thi. Halaaki mujhe ab bhi uski baato par yakeen nahi ho raha tha. Uski baate main is liye sun raha tha taaki jaan saku ki maya apni safaayi me mujhse kya kya kahti hai.
"Tumhare sath ek nayi zindagi shuru karne ki khwaaish to jane kab se thi mere dil me." Maya ne fir se bolna shuru kiya____"Aakhir inodre se bhaagti huyi isi liye to main yaha aayi thi. Main achhi tarah jaanti thi ki chief ka aisa kahna bhi mahaj laalach dena hi tha. Kyoki sanstha apne rules kabhi nahi badal sakti thi aur na hi wo khud uske khilaf ja kar apne kisi member par itni badi meharbani kar sakti thi. Uski ye baat sun kar main yahi sab sochne lagi thi aur fir main ye sochne lagi ki maut to dono hi surat me milni hai hame to kyo na kuch din ham dono ek dusre ke sath ji le. Aakhir kuch der sochne ka naatak karne ke baad main chief ke hukum ki tameel karne ke liye raazi ho gayi. Mere zahen me ab sirf yahi khayaal tha ki tumhare sath jab main rahne lagugi to tumhe apne tarike se ye sab karne se rokugi aur ye bhi koshish karugi ki tum bhi sab kuch bhula kar meri tarah mere sath ek nayi zindagi shuru karne ka soch lo. Duniya bahut badi hai is liye ham dono sanstha ki pahuch se door kahi chale jayenge aur fir ek sath apne prem ki alag duniya basa lenge. Khair chief ke kahne par jab main tumhare paas pahuchi aur fir jab ham ek sath rahne lage to main apni isi koshish me lag gayi. Yaad karo vikram, main aksar tumse ye sab bhula kar ek nayi shuruaat karne ko isi liye kahti thi. Haan is baat ka dukh mujhe zarur hota tha ki main dusri taraf tumhari bhavnaao se bhi khel rahi hu magar uske liye main majbur thi. Sabse badi baat ye bhi hai ki iske alawa mere paas aur koi raasta bhi nahi tha...aur agar ek pal ke liye maan bhi liya jaye ki koi dusra raasta hota bhi to sawaal hai ki kya us surat me hame sanstha ka khatra nahi rahta?"
"Tumhe kaise pata tha ki main tumhe apne bangle par miluga?" Uski baat puri hote hi maine puchha_____"Kya is bare me sanstha ne tumhe bataya tha?"
"Haan." Maya ne udaas bhaav se kaha____"Main to shayad kabhi ye pata hi na kar paati ki tum mujhe kaha miloge aur is baat ki to kalpana bhi nahi kar sakti thi ki tum apne hi bangle me mujhe mil sakte ho. Halaaki bangle ka khayaal to aata lekin main yahi sochti ki tum apne bangle me jane ka sochoge hi nahi, dusri baat bees saalo se viraan pade bangle par koi pagal hi jane ka sochta. Us din chief ne hi bataya ki main raat ke is samay tumhare bangle par jaau. Main samajh gayi thi ki chief tum par nazar rakhe huye hai. Us raat jab main tumhare bangle me pahuchi to bedhyaani me main mukhya darwaze se hi andar daakhil ho gayi thi. Asal me mere dilo dimaag me itna kuch chal raha tha ki mujhe kisi baat ka hosh hi nahi raha tha. Jabki bangle ke mukhya dwar se mere andar daakhil hone se tumhare zahen me shanka ke keede paida ho sakte the aur agar aisa hota to yakeenan bahut kuch bigad jata. Wo to shukar tha ki tumne is par dhyaan hi nahi diya tha."
"To tumhare anusaar." Maine gahri saans li____"Shuru se hi sanstha ka chief mujh par nazar rakhe huye tha? Zaahir hai maine ab tak jo kuch bhi kiya hai us sabki khabar bhi usko hai."
"Haan." Maya ne kaha____"Chief ke kahne par sanstha ke kuch khaas log har wakt tumhari activity ko watch kar rahe the aur sirf tumhari hi kyo balki meri bhi. Tum samajh hi sakte ho ki aise me chief jab bhi chaahta tumhe pakad sakta tha, jabki tum yahi samajhte rahe ki abhi tak tum sirf apni hoshiyaari ke chalte hi pakde nahi gaye ho. Khair main ye soch kar hairaan hu ki tumhe is baat ka pata kaise chala ki main sanstha ka mohra ban kar tumhare sath rah rahi hu?"
"Bas kismat ki hi baat hai." Maine ek cigarette jalate huye kaha_____"Kuch din pahle tarun ne mujhse contact kiya tha. Usi ne mujhe bataya ki main jo khud ko shoorma samajhta hu asal me mujh par sanstha ke chief ki nazar har wakt bani huyi hai. Shuru me mujhe uski baato par yakeen nahi hua tha. Maine yahi socha tha ki wo mujhe pakadne ke liye aisi chaal raha hai aur zaahir hai main bhala kaise apne kisi dushman ki chaal me fans sakta tha? Tab usne bataya ki main jis maya naam ki ladki ke sath rahta hu wo khud bhi sanstha me chief ka mohra hai aur chief ke hi kahne par mere sath hai. Tarun ki is baat ne mujhe buri tarah chaunka diya tha. Yakeenan main aisi baat ki kalpana nahi kar sakta tha kyoki tumne apne bare me kahani hi aisi bataayi thi. Kuch der tak main uski is baat par soch vichaar karta raha aur fir isi nateeje par pahucha ki shayad wo ab bhi mujhe pakadne ke liye chaal chal raha hai. Jab maine uski baato par yakeen nahi kiya to usne mujhe apni baat ko saabit karne ke liye saboot dene ki bhi baat kahi. Sach to ye tha ki ab yakeenan main soch me pad gaya tha. Agar uski baat sach thi to ye mere liye bahut hi bade jhatke ki baat thi. Mera dil to cheekh cheekh kar yahi kah raha tha ki maya mujhe is tarah se dhokha nahi de sakti aur na hi is tarah meri bhavnaao se khel sakti hai magar tarun saboot bhi pesh karne ki baat kah raha tha is liye main soch me pad gaya tha. Khair maine usse saboot maanga to usne kaha thik hai. Ek din usne mujhe call kiya aur kaha ki wo fala jagah par saboot rakh dega jise main le sakta hu. Sach kahu to is baat ne mujhe bahut zyada bechain aur pareshan kar diya tha. Raat me jab tum gahri neend me thi to main chupke se kamre nikal gaya aur tarun ki bataayi huyi jagah par pahuch gaya. Usne jo kaha tha wo sach hua, yaani jis jagah par usne saboot rakhne ko kaha tha mujhe waha se wo mil gaya. Flat par aa kar maine jab us saboot ko dekha to mera dimag hil gaya."
"Aakhir kis tarah ka saboot diya tha usne tumhe?" Maya ne utsukta se puchha.
"Tarun ne ek envelope bheja tha mujhe." Maine cigarette ka ek gahra kash lene ke baad kaha_____"Us envelope me do teen photos thi aur ek letter. Un photos me tum aur ek nakabposh tha, zaahir hai wo sanstha ka hi koi aadmi tha jo sanstha ke chief ke kahne par hi tumhare paas aaya raha hoga. Tarun ke letter me saaf likha tha ki agar mujhe ye lage ki usne tumhare aise photo's photography dwara tum par shak daalne ke iraade se banaya hai to us par yakeen karne ke liye main tumhari talashi le sakta hu. Usne likha tha ki tum sanstha ke chief ka mohra ho is liye tumhare paas aisa koi saadhan zarur hoga jiske dwara tum chief ko mere har kriya kalaap ki khabar deti hogi. Khair ye sach hai ki un photos ko dekh kar maine yahi socha tha ki tumhare aise photos nakli ho sakte hain lekin kyoki mere man me ab shanka ne janm le liya tha is liye maine apni tasalli ke liye apne tarike se tumhari talashi lene ka socha. Kal raat jab tum gahri neend me soyi huyi thi tab maine talashi shuru ki. Kaafi der ki talashi ke baad aakhir kitchen me mujhe ek aisi cheez mil hi gayi jisne tarun ki baat ko sahi saabit kar diya. Wo cheez thi ek chhota sa mobile jise shayad tum tabhi on karti rahi hogi jab tumhe sanstha ke chief ko mere kisi kriya kalaap ki khabar deni hoti thi. Maine iske pahle kabhi tumhare hath me wo mobile nahi dekha tha. Tumhare paas touch screen ka sirf wahi mobile tha jisse tum mujhe apne nakli bete se baat karwati thi. Khair main maanta hu ki sanstha ke chief ne gazab ka drama create kiya tha lekin ye meri achhi kismat hi thi ki samay rahte mujhe sach ka pata chal gaya. Ab to yahi lagta hai ki pakde jane par abhi tumne mujhe apni majburi ki jo kahani sunaayi hai wo jhoothi hi hai. Yaani tumhara wo pyar ka dawa karna aur mere sath ek nayi zindagi ki shuruaat karna sab kuch jhooth hi hai. Waah maya waah, kya shandaar acting ki hai tumne. Tumhare saamne to badi se badi actress bhi fail ho jaye. Kuch is tarike se mere sath khel khela hai ki main moorakh sach me hi ye samajh baitha tha ki mere jaise insaan ki zindagi me bhi khushiyo ki bahaar aayegi. Itni takleef to mujhe apne dushmano ke dwara nahi mili jitni tumse mili hai."
"Aisa mat kaho vikram." Maya ki aankhe chhalak padi____"Main maanti hu ki maine sanstha ke chief ke kahne par ye sab kiya hai lekin ye bilkul bhi sach nahi hai ki mujhe tumse pyar nahi hai aur maine tumhari bhavnaao ke sath khela hai. Pahle jo maine kahani sunaayi thi wo yakeenan jhuthi thi lekin ye kahani bilkul bhi jhuthi nahi hai."
"Ab kisi par aitbaar nahi raha maya." Mere andar fir se tufaan uth khada hua, bola_____"Bees saal pahle bhale hi mere dil me tumhare prati prem ki bhavna nahi thi balki sirf ek lagaav aur judaav tha magar bees saalo baad jab tum mujhe mili aur tumne mujhe wo sab kuch bataya tha to jane kaise ekdam se tumhare prati baat dil me mohabbat paida ho gayi. Shayad is liye ki maine tumhare mukh se apne bete wali baate suni aur dusri shayad is liye ki barsho ki dabi huyi khwaaishe jaag uthi thi. Is duniya me kuch aisa bhi dekha tha jiski vajah se dil me ye chaahat jaag uthi ki kaash apna bhi koi aisa hota jise pariwar kahte hain. Kahi dekha to main bhi ye sunne ke liye ekdam se lalaayit ho utha ki koi mujhe bhi papa ya dad kahe. Main ye bhool hi gaya tha ki mujhe aisi khwaaishe nahi karni chahiye thi. Mujhe to sirf is baat ko hi yaad rakhna chahiye tha ki main is duniya ka wo bad-naseeb insaan hu jiske jeewan me ek pal ke liye bhi khushi jaisi baat nahi ho sakti, balki apne naseeb me to ta-umar ghut ghut kar jina ya fir mar jana hi likha hai."
"Nahi...nahi please vikram." Maya foot foot kar ro padi____"Aise shabd mat bolo. Mera yakeen karo mere dilbar, tumhari maya ne sirf majburi me aisa kiya hai jabki uski neeyat tumhare prati hamesha se hi paak thi. Mujhe apne kisi anjaam ki parwaah nahi hai. Maut milni hai to aaj hi mil jaye mujhe, mujhe zara bhi dukh na hoga. Is dil me to sirf tumhe dekh lene ki hi hasrat thi to usse zyada maine pa liya hai. Itne dino se tumhare sath thi aur khud ko tumhari patni bana kar hi tumhare sath rahi hu. Tumhare sath bitaye huye ye din mere jeewan ke sabse khubsurat din the. Apni zindagi ke sare dukh dard bhool gayi thi main. Mera yakeen karo vikram, main tumhare sath fareb karne ka soch bhi nahi sakti. Is dil me bees saal pahle bhi tumhare liye bepanaah chaahat thi aur aaj bhi hai. CMS ke chief ka prastaav bhi maine isi liye swikaar kiya tha kyoki mujhe kahi na kahi yakeen tha ki aise me main ham dono ke liye ek naye jeewan ki raah bana lugi."
Maya ki baate sun kar aur uske chehre par maujood sachchaayi dekh kar sahsa mere andar ajeeb se ehsaas jaag uthe. Zahen me tarah tarah ke khayaal ubharne lage. Main sochne laga ki kya sach me wo mujhse prem karti hai ya fir wo aisi majhi huyi actress hai ki wo apni baato se aur apne chehre par sachchaayi ke bhaav paida kar ke mujhe gumraah ya fir yakeen dilane ki koovat rakhti hai? Main fauran kisi nateeje par na pahuch saka. Maya ke chehre par kahi bhi aisa koi bhaav nazar nahi aa raha tha jiski vajah se main uski baato par sandeh kar saku. Aansuo se uska chehra tar tha. Bandhano me jakdi wo bas murjhaye huye phool ki tarah dikh rahi thi.
✤༺✧༻✤
Bahut hi badhiya update diya hai TheBlackBlood bhai....Update - 63