• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The Ring of Light

Naik

Well-Known Member
21,507
77,363
258
Hakimo pedon- jhadion se takrate huye tezi se bhag raha tha. Tez barish aur kadakti bijli ke beech uske hamfne ki awaj alag hi gunj rahi thi. Wo thak chuka tha . aur bhagna uske liye Sambhaw nahi tha. Lekin sawal zindagi aur maut ka tha. Koi aur chara bhi toh nahi tha. Usne peeche mud kar dekha toh Nazim badi tezi se uski taraf badh rahe the. Kale ghode par sawar 7’5” ka daityakar aadmi. Kale kapde aur lambe baal. Uski hawa mein lehrati Talwar mein use maut saaf nazar a rahi thi. Uske paas ladne ko kuchh thaa bhi nahi. Usne apni kamar mein tange chhote se khajar ko dekha. “yeh kafi nahi hoga.” Uske man se awaj ayi aur sath hi himmat bhi tut si gayi. Tangon ne bhi sath chhod diya... Hakimo pathar se takrate huye munh ke bal kichad mein gir pada.



“Ahhhhhhhhhhh” ander se takat jutate huye usne uthane ki kosish ki.



“Hakimo... tum aur nahi bhaag paoge...” Nazim ne talwar ko uski peeth par rakhte huye halke se daba diya.



“ahhhhhhhhhhhhhh" ek tez cheekh jungle ki gehrayion mein kho si gayi.



“Hakimo... Ring mujhe dedo.” Nazim ne bhari awaj mein kaha.



“Ring mere paas nahi hai.” Hakimo ne kisi tarah apni saanson ko thamte huye kaha.



“Nahi hai… Toh fir kahan hai.” Nazim Gusse se chilaya



“yahan use hona chahiye…. The chosen one ke paas.” Hakimo ne garv ke sath kaha.



Nazim ki ankhon mein gussa aur aakrosh saaf nazar a raha tha usne neeche jhuk kar Hakimo ke gale ko pakada aur kisi khilone ki tarah use hawa mein uchhal diya. Wo udte huye seedha ek ped se takraya aur wahin dher ho gaya.



“Hakimo bas karo… tumhari ladayi ab khatam ho chuki hai…” Nazim ne talwar dikhate huye kaha. Hakimo ne dard se karahate huye Nazim ki taraf dekha aur halke sa muskura diya.



“Sahi kaha Nazim… meri ladayi ab khatam ho chuki hai…” Itna bolkar Hakimo ne wo khanjar apni kamar se keecha… Isse pehle wo dono kuchh samajh pate wo khanjar Hakimo ke pet mein utar Chuka tha. “On the name of ETHAN" Hakimo ke munh se akhri shabad yahi the. Tabhi tez Roshni ke sath ek bada dhamaka huya aur wo Nazim hawa mein udate huye dur jakar gira.



“Hakimoooo" Nazim jor se chilaya. Wo uth kar us jagah gaya yahan Hakimo gira huya tha. Par wahan na toh Hakimo tha aur nahi kuchh aur. Bas jameen par ek ajeeb sa chin tha.



“The order of ETHAN” Nazim ne us Sign ko dekhte huye gusse se kaha aur apni talwar us sign ke beecho beech gada di.



“Awwwwwwwwwwww" Nazim uper ki taraf dekhte jor se chilaya aur uski awaj pure jungle mein dur dur tak gunj uthi.

(I hope you guys liked it. Vaise yeh just ek sneak peek tha main pehla update jaldi hi post karta hun.)
Behtareen shaandaar update
 

Naik

Well-Known Member
21,507
77,363
258
UPDATE 1​

“Good Morning Rosebowl. Main hun apki apni Anjali. Aur ap sun rahe hain Rosebowl Radio. Apki mast subah ko aur mast banane ke liye suniye ek tadkata fadkata gaana.” Radio par koi Gaana play hone laga aur Ayush bhi omelette banate banate uske sath gun guna raha tha.



“Mera Dil Tere liye hi…. Lalalala"



“Ayush kya kar rahe ho beta. Mujhe der ho rahi hai.” Bahar se Madhu ki awaj ayi.



“Aya mom bas do minute.” Ayush ne jawab diya aur fir se gaane ke sath jhumte huye coffee aur omelette banane laga.



Kuchh der baad usne nashta dinning table par laga diya. “Breakfast is ready.” Ayush jor se chilaya aur tabhi uski mom hath me suitcase liye apni shirt sahi karte huye seedion se neeche utri.



“Han bas Ayi… do minute..” Madhu kafi jaldi mein lag rahi thi.



“Are mom ap kion sara din paglon ki tarah bhagti rehti ho. Thoda khud ke liye bhi time nikala karo.” Ayush ne Suitcase Madhu ke hath se lete huye kaha.



“oh shit… main apna laptop toh room mein hi bhool gayi.” Madhu ne mathe par hath maara.



“Are mom ap aram se baithiye aur nashta kijiye main jakar abhi apka laptop le ata hun.” Ayush ne Madhu ko kandhe se pakad kar chair par bithate huye kha.



“Ohhh… thanks Honey.” Madhu ne pyar se Ayush ke gaal pe hath firaya. Ayush ne samne se ek pyari si smile paas ki aur uper ki taraf chal pada.



“Lalalala… mera dil tere liye… hi dhadhke meri janejana…” Ayush abhi bhi wahi gaana gungunate huye ja raha tha. Usne Madhu ke room ka darwaja khola aur idhar udhar dhundhne laga.



“Lalala. Kahan hai tu … kahan chhipa hai re tu…” Ayush ne fir se usi gaane ki dhun gungunayi aur laptop dhundhne laga.



“fuck man... Yeh mom ke room mein sab kitna bikhra pada hai.” Usne idhar udhar bikhre kapdon ko dhyan se dekhte huye kaha. Tabhi uski nazar ek chhote se kaale bag par padi.



“aha... Yeh raha laptop...” Ayush ne bag liya aur wahan se nikal kar niche ki taraf chal pada. Uske pahunchne tak Madhu ne apna breakfast khatam kar liya tha aur woh apne kapde theek karke chair se khadi huyi.



“Thank you baby.” Madhu ne Laptop bag Ayush ke hath se liya aur sath hi apna suitcase bhi utha liya. Usne age badh kar Ayush ke gaal par ek halki si kiss ki aur use bye bol kar wahan se nikal padi.



“Hashhh... mom time se tyar ho gayi. Ab main bhi jaldi se khana khake tyar ho jata hun nahi toh Goli kabhi bhi yahan tapak padega.” Yeh soch kar Usne jaldi se khana khaya aur School ke liye tyar ho gaya.



“Ting Tong" Darwaje ki ghanti baji.



“Lagta hai Goli a gaya.” Ayush ne khud se hi kaha. “Aya... do minute”...woh jor se chila kar bola.



Ayush ne fatafat apna school bag uthaya aur bahar ki taraf chal pada. Usne Darwaja khola “are Goli.” Itna bolte hi woh chup ho gaya kionk wahan koi bhi nahi tha.



“Kamal hai.” Usne hairan hote huye kaha. Idhar udhar dekha par koi nazar nahi aya. Tabhi jameen par ek kagaz ka tukda pada dikhayi diya. Ayush ne jhuk kar use uthaya toh kuchh khaas nahi tha. Bas ek ajeeb sa nishan.







“Ab yeh kya hai?” Ayush ne us Sign ko gaur se dekhte huye kaha. Par kuchh samajh mein nahi aya.



“Ayushhh.”



Ayush ko Goli ki awaj sunayi di. Usne dekha toh wo apne cycle par uske ghar ke samne khada tha. Ayush ko dekhte hi usne hath hilaya.



“han bas aya...” Ayush ne samne se jawab diya. Usne us paper ko fold karke pocket mein daala aur darwaje ko lock laga kar Garage ki taraf chal pada. Usne apni cycle wahan se nikali aur garage band kardi.



“Yaar aja... late ho jayega...” Goli chilate huye bola.



“han han.. bas a hi raha hun.” Ayush ne jaldi se apni cycle street par nikali aur pedal maar kar nikal pada school ki aur.



“kya huya pareshan sa lag raha hai.” Goli ne cycle chalate huye Ayush ki taraf dekh kar kaha.



“Nahi kuchh nahi. Bas mom ki tension ho rahi thi.” Ayush ne age dekhte huye hi jawab diya.



“Tension mat le.... She is a fighter yaar... jab unhone itne saal sab kuchh manage kar liya hai toh age bhi kar hi lengi.” Goli ne kaha.



“han pata hai but aj kal woh kuchh jyada hi kaam karti hain. Mujhe dar hai ki kahin unki tabiyat hi kharab na ho jaye.” Ayush ne chinta mein kaha.



“chill dude... kuchh nahi hoga... Tu hai na unka khyal rakhne ke liye...” Goli ne Ayush ki taraf muskurate huye kaha.



Ayush ne kuchh nahi kaha bas halki si muskaan ke baad woh age dekh kar cycle chalata raha.



“achha tune math ke test ki tyari karli?” Goli ne Ayush se puchha.



“han ki toh hai.... par kuchh pale nahi pada...” Ayush ne jawab diya.



“Tension mat le... asaan hi hai.” Goli bola.



“Han tujhe toh lagega hi.... miss Nandini ka chamcha jo thehra.” Ayush ne Goli ko chhedte huye kaha aur woh samne se ladkion ki tarah Sharma gaya aur Ayush use dekh kar hasne laga.



Dono ne school pahunch kar cycle parking mein apne cycle park kar diye aur School ki taraf jaane lage. Tabhi unke theek samne se bijli ki raftaar se ek bike nikli. Woh bike itni tezi se nikli ki Goli ki toh fat kar hath mein a gayi.



“Awww.... Yeh kya tha.” Goli chaukte huye bola.



“kuchh nahi wahi chutiya hoga... Rocky...” Ayush ne munh banate huye kaha.



“aise kon chalata hai... Agar uske paas bike hai toh aisi harkatein karega?” Goli gusse mein bola.



“chhod na yaar... woh hai hi aisa...” Ayush ne Goli ke kandhe par hath rakh kar use apne sath lekar school ki taraf chal pada.



“Pata nahi hamare paas bike kab ayegi?” Goli ne puchha.



“A jayegi bhai.” Ayush bola.



“Pata nahi kab ayegi.” Goli badbadaya. Woh dono apni class mein chale gaye.




“kaisa raha tera test?” Ayush ne Class se niklte huye Goli se puchha.



“Ekdum badiya.... Tu bata...” Goli ne jawab diya.



“han theek hi ho gaya. Mujhe toh laga tha ki fail hi ho jaunga but jyada mushkil nahi tha.” Ayush ne khus hote huye kaha.



“bola toh tha maine.” Goli ne jawab diya. Tabhi usne dekha ki Ayush use sunne ki bajaye kahin aur hi dekh raha hai. Usne uski ankhon ka peechha kiya toh woh Ritika ko dekh raha tha. Woh apni do sahelion ke sath batein karte huye unki taraf hi a rahi thi.



“Yeh nahi sudhrega" Goli ne sir jhatkate huye kaha. “are bhai use ankhon se hi nighal jayega kya.”



Goli ki baat sunkar Ayush thoda sakpaka sa gaya. Usne aise acting ki jaise use kuchh pata hi na. “kya huya... kiski baat kar raha hai.”



“Achha sale... Tu..” abhi Goli itna bola hi tha ki tabhi kisi ke ladne ki awaj ane lagi. Un dono ne garden ghuma kar dekha toh wo Ritika hi thi.



“Ab isko kya huya.” Goli ne puchha.



“mujhe kya pata... Chal kar dekhte hain.” Ayush itna bolte huye uski taraf chal pada.



Wahan aur bhi students ikathe hone lage aur Ritika jor jor se chilla rahi thi. “tum andhe ho kya jo tumhe itna bada insaan dikhta nahi hai.” Ritika Rocky par jor jor se chilla rahi thi.



“han nahi dikhta... kya kar legi..” Rocky ne ankhein dikhate huye jawab diya.



“Tujhe toh main...” itna bol kar Ritika ne apne hath ki mukki banayi aur seedha Rocky ke naak par de maari. Sab bache jor jor se hasne lage. Unhe haste huye dekh kar Rocky jhalla utha.



“Behanchod.” Usne gaali dete huye Ritika ko dhakka de diya aur woh seedha Ayush se ja takrayi. Ayush ne kisi tarah khud ko aur Ritika... Dono ko sambhal liya.



“thank you.” Ritika ne Ayush ko kaha.



Isse pehle ki Ayush kuchh bol pata Rocky baghte huye unki taraf aya. Jise Ayush ne dekh liya aur usne Ritika ko side kar diya. Itne mein saand ki tarah chilate huye Rocky ne seedha sir Ayush ke ribs mein de mara aur woh peeche ki taraf gir pada. “ahhhhh" uske munh se ek jor ki cheekh nikli.



“Ayush..” Goli chilate huye uski taraf bhaga.



“kya chal raha hai yahan?” Tej awaj mein principal Bansal chilaye aur sabhi ke sabhi bache ek dum shant ho gaye. Rocky toh chup chap wahan se nikal gaya.



Bansal ne Ayush ko jameen par gira dekha “kya huya Ayush?”



Ayush ne jawab dene se pehle nazar ghuma kar Ritika ki taraf dekha aur socha ki agar ladayi ka bataya toh Ritika bhi fas jayegi. “Sir woh main gir gaya tha.” Usne badi safayi se jhuth bolte huye kaha.



“kaise gir gaye... dhyan se chalna chahiye tumhe...jyada chot toh nahi lagi?” Bansal ne apni bhari awaj mein puchha.



“Nahi sir.... i am fine.” Ayush ne jawab diya.



“Tum log yahan kya khade ho... Koi tamasha ho raha hai kya?” Bansal wahan khade bachon par chilate huye wahan se chala gaya aur baaki bache bhi apne apne raste chal pade. Goli ne Ayush ko jameen se khada kiya. Usne apne kapde saaf kiye aur ribs ko halka sa sehlane laga.



“i am really very sorry...”



Ayush ke kaanon mein Ritika ki pyari si awaj padi. Uski tone Rocky ke sath ladte waqt bilkul alag hi thi.



“that’s ok...” Ayush ne muskurate huye jawab diya.



“And thanks for saving me.... By the way I’m Ritika...” usne apna hath age badhate huye kaha. Ayush jaise apna pura dard bhul gaya ho. Usne jhat se apna hath age badha kar handshake kar liya.



“Hi... Ayush... nice to meet you...” Ayush ne bateesi nikalte huye kaha.



“Sala aise natak kar raha hai jaise use janta hi na ho.” Goli apne Man mein badbadaya.



“I know it was not a really good meeting.” Ritika ne muskurate huye kaha toh Ayush bhi halka muskura diya. “i am really sorry once again and how are you now?” Ritika ne puchha.



“don’t worry... main theek hun.” Ayush ne jawab diya.



Ritika ne use apni friends se introduce karwaya toh usne bhi Goli ka parichay karwa diya. Thodi der aur batein karne ke baad woh apne ghar jane ke liye nikal gayi aur Goli aur Ayush bhi bahar ki taraf chal pade.



“Tu kion kab se mujhe ghure ja raha hai?” Ayush ne Goli se puchha.



“kuchh nahi... par tere lachhan theek nahi lag rahe mujhe.” Goli bola.



“kion maine kya kiya... Ab kisi ki help karna koi buri baat hai kya?” Ayush ne safayi di.



“Nahi lekin tu aj kal us ladki ki taraf kuchh jyada hi dhyan de raha hai.” Goli bola.



“han... kuchh bhi... chal jaldi se ghar chal mujhe aur bhi kaam hain..” itna bol kar Ayush tezi se cycle parking ki taraf chal pada.



“han bachu... Kab tak bhagega mujhse?” Goli ne man hi Man socha aur uske peeche peeche wo bhi chal pada.



Ayush jaise hi apne cycle ke paas pahuncha toh use apne cycle ke uper ek paper pada huya dikhayi diya usne use utha kar dekha toh fir se wahi subah wala nishan tha. “yeh sab kon kar raha hai?” Ayush soch mein pad gaya.



“Kya huya aise kya khada hai?” Pichhe se Goli ki awaj ayi. Ayush ne jaldi se woh paper apni pocket mein rakha aur muskurate huya bola “kuchh nahi mote... tera wait kar raha tha...”



Goli ko uska bartaw kuchh ajeeb sa laga par usne usse kuchh puchha nahi aur woh dono wahan se apne ghar ki taraf chal pade.


(Thanks for reading guys. This is the first update of the story. Please give me your thoughts and opinions on the content and writing style. Your comments will help me improve.

Thank you.)
Bahot behtareen shaandaar zaberdast update
 

Naik

Well-Known Member
21,507
77,363
258
UPDATE 2

“Yeh akhir hai kya?” Ayush un dono papers ko lekar bed par baitha unka muyana kar raha tha.



“Pehle subah koi door bell baja kar ise chhod gaya fir mere cycle par…. Koi majak kar raha hai kya? Par mere sath majak kon kar sakta hai?” Ayush soch mein pad gaya.



“Goli.... Han wahi hoga….. nahi nahi… wo nahi ho sakta… Pura time mere sath hi toh tha class mein… Aisa kon ho sakta hai jo mere ghar aur School dono jagah pahunch gaya.” Ayush ko kuchh bhi samajh mein nahi a raha tha. Tabhi door bell baji.



“Lagta hai mom a gayi.” Ayush ne wo papers bed ke side wale drawer mein daale aur uth kar darwaja kholne chala gaya.



“Hey baby…” Madhu ne age badh kar Ayush ke mathe par kiss kiya aur Ayush ne uske hath se uska suitcase aur laptop bag liya aur ander a gaya.



“apka din kaisa raha...” Ayush ne paani ka gilas Madhu ko dete huye kaha.



“It was ok... tum batao tumhari presentation kaisi thi?” Madhu ne paani peete huye puchha.



“presentation nahi mom... math test tha..” Ayush haste huye bola but Madhu thoda udaas ho gayi.



“kya huya mom?” Madhu ko aise udaas dekhkar Ayush ne puchha.



“i am sorry honey... main kaam ki wajah se tumhe bilkul bhi time nahi de paati... ulta tumhe mera dhyan rakhna padta hai..” Madhu ne mayus hote huye kaha. Ayush ne Madhu ke hath se paani ka gilas lekar table par rakha aur use chair par bitha kar khud uske samne ghutnon par baith gaya.



“Mom i still remember ki apne kaise mujhe paala hai and I know ki ap kitni mehnat karte ho pura din... agar main apke liye thoda kar dunga toh usse apka pyar kam thode na ho jayega. And i am not a kid anymore .... ap sirf apna khyal rakhiye baaki meri fikar mat kijiye ap...”



Ayush ki batein sunkar Madhu ke ankhon mein ansoo the usne halka sa muskura kar apne ansoo saaf kiye aur Ayush ko utha kar use hug kar liya “i love you Baby...” Madhu ne uske mathe ko chumte huye kaha.



“i love you too mom and plz yeh sab rona dhona band kijiye aur jakar fresh ho jaiye... Fir mil kar dinner karte hain.” Ayush ne Madhu ke gaal kheechte huye bola. Jisse Madhu ki hansi chhut gayi.



“pagal kahin ka... Kabhi kabhi lagta hai ki tu meri mom hai.... tu khana laga main ayi das minute mein fresh hokar...” Madhu hanste huye seedian chadhte huye uper chali gayi.



“lalalalala… maan ke dil ka kaha… main kahin ka na raha…” Ayush gaane gungunate huye khana table par lagane laga. Thodi der baad Madhu bhi niche aa gayi.



“Kya baat hai bada khus lag raha hai aj?” Madhu ne Ayush se puchha.



“Are kuchh nahi mom… ap baithiye… khana thanda ho raha hai.” Ayush ne baat taalte huye kaha.



“Yup baby… Vaise khushbu badi achhi a rahi hai.” Madhu boli.



“thanks mom…” Ayush ne jawab diya.



“Chal jaldi se khana shuru karte hain… wait nahi hota ab…” Madhu ne Ayush ki khana proshne mein help ki. Fir dono aram se khana khane lage. Ayush baar baar kuchh yaad karke khus huye ja raha tha. Madhu ne use notice kiya.



“lagta hai kuchh toh baat hai jo itna khus ho raha hai aj… Achha hi hai… haste huye achha lagta hai…” Madhu ne man hi man socha aur halka sa muskura di.




“Thak thak" “thak thak" darwaja khatkane ki awaj ayi.



“Are yaar Is waqt kon hai ab?” Ayush ankhein malte huye bistar se khada huya.



“ek minute… Yeh darwaja khatkane ki awaj meri balkani se ayi hai kya?” Ayush ne thoda samjhne ki try ki. “lekin behanchod koi meri balkani tak kaise pahunch gaya?”



Ayush buri tarah se ghabra gaya. Usne jaldi se kamre ki light on ki aur bed ki side mein pada guldaan utha kar balkani ki taraf chal pada. Usne ek baar gehri saans li aur uper wale ka naam lekar darwaja khol diya.



Usne apna guldaan uper uthaya par balkani mein koi bhi nahi tha. Bas fir se darwaje par wahi kagaz aur us par wahi ajeeb sa nishan.



“Kya yaar… Ab yeh kya bakchodi hai. Sala itni raat ko bhi kisi ne iske liye uthaya aur behanchod yeh konsa bander hai jo pehle maale par bina seedi ke chadh gaya.” Ayush ne neeche ki taraf dekhte huye kaha. Usne woh kagaz ka tukda liya aur Darwaja band karke wapis ander a gaya.



“Akhir yeh hai kya... Yeh sign jarur koi hint yah kuchh paheli bagera hoga.... par yeh sab kar kon raha hai.... Sala kab ata hai kab jata hai kuchh samajh hi nahi a raha....” Ayush ne woh teeno paper eksath bed par failaye aur unhein dhyan se dekhne laga.



“yeh kya hai yaar... Ek bada sa circle usmein yeh ajeeb se triangle bane huye hain aur yeh ajeeb si bhasha mein kuchh shabad likhe huye hain... sabse badi baat yeh chahta kya hai mujhse.... kuchh samajh mein nahi a raha....” Ayush kuchh der aise hi baitha sochta raha. Time dekha toh raat ke 1 bajne wale the.



“chhod yaar abhi so hi jata hun... subah dekhi jayegi.... Goli se baat karta hun kal ko...” Ayush ne woh kagaz wapis se drawer mein rakhe aur light band karke bed par late gaya.




“Good Morning Rosebowl. Main hun apki apni Anjali. Aur ap sun rahe hain Rosebowl Radio. Apki mast subah ko aur mast banane ke liye suniye ek tadkata fadkata gaana.”



Roz ki tarah Ayush Radio chala kar nashta bana raha tha par uska dhyan gaane taraf tha hi nahi.



“yaar akhir wo hai kon… jisne meri neend haraam kar rakhi hai… yaar jitni shiddat se wo meri lene pe tula hai usse ek baat toh saaf hai ki koi mazak toh nahi kar raha… Raat ke 1 Baje kisko Pamphlet baantne ke daure padte hain…” Ayush ne man hi man socha. “Agar mere ko ek baar mil jaye na toh main….”



“babyyy…” Pichhe se Madhu ke chilane ki awaj ayi.



“Oh Shit yeh toh pura jal gaya….” Ayush ne chule par pade nashte ka haal dekha toh usmein se dhuyan nikle ja raha tha. Usne jaldi se gas band kiya aur pan ko utaar kar side mein rakh diya.



“Kya huya Ayush… tumhara dhyan kahan tha beta?” Madhu ne puchha.



“I don’t know mom… Pata hi nahi chala… ap bas do minute rukiye main apke liye sandwich bana deta hun…” Ayush ne refrigerator ka door kholte huye kaha.



“that’s ok Honey…. I am getting late… main bahar se kha lungi… aur tum bhi late ho jaoge…” Madhu ne kaha.



“Ok… are you Sure ki ap bahar se kha lengi?” Ayush ne puchha.



“are han beta… sach mein kha lungi…” Madhu ne muskurate huye kaha aur wo Ayush ko mathe par kiss karke ghar se chali gayi.



“shit yaar… Yeh sign ke chakkar mein toh mera nashta bhi jal gaya…chalo pehle toh ise hi saaf kar deta hun…” Ayush ne Refrigerator band kiya aur pan utha kar Sink mein le gaya.



“hashhh… yeh toh ho gaya ab bas main fresh ho jata hun fir tab tak Goli bhi a jayega…” Ayush uper apne room ki taraf jate huye bola.



“Ting Tong” Darwaje ki ghanti baji.



“Lagta hai Goli a gaya… yah fir wahi Ninja Postman na ho…” Ayush hanste huye khud se bola aur darwaja kholne chala gaya.



“Abe sale tu tyar nahi huya abhi tak?” Goli ne Ayush ko dekh kar kaha.



“Are nahi yaar... aur tu ander a... Mujhe tujhse kuchh baat karni hai.” Ayush Ne Goli ko ander kheench kar darwaja band kar diya.



“kya huya tujhe... Itna pareshan kion lag raha hai... aur aj tujhe school nahi jana kya??” Goli ne sawalon ki barsaat karte huye kaha.



“Abe chodulaal... zara saans toh lele... Tu uper kamre mein chal tujhe sab batata hun...” Ayush bola.



“Bhai kamre mein jaane ka time nahi hai... Tu jaldi se tyar hoja humein school jana hai..” Goli bola.



“Abe bhaad mein jaye school... Yahan meri raaton ki neend gayab hai aur tujhe school jane ki padi hai...” Ayush chidhte huye bola..



“Par huya...” Goli itna hi bola tha ki Ayush ne uska hath pakda aur khinchte huye uper jane laga...



“Abe ata hun yaar... Tu toh serious hi ho gaya...” Goli Ayush se bola par woh toh seedha Room mein hi jakar ruka. Usne bina kuchh bole woh teeno paper Drawer se nikale aur Apne study table par rakh diye. Goli ne ek baar un papers ki taraf dekha aur fir Ayush ki shakal par jo ki ekdum serious huyi padi thi.



“kya hai yeh...” Goli ne puchha.



“Wahi toh main janna chahta hun ki hai kya yeh... kal se koi meri lene pe tula hai... Pehle koi doorbell baja ka mere darwaje par chhod gaya fir Dopehar mein school parking mein mere cycle par... chal yeh sab theek tha par bhai sahab raat ko 1 baje meri balkani mein pahunch gaye... bhai pata nahi konsa maal funk ke baitha hai koi...” Ayush ne puri baat batayi.



“Toh tune kaha ki raat ko koi teri balkani mein yeh kagaz chhod kar gaya...” Goli ne Hairani se puchha.



“han... sahi suna tune...” Ayush bola.



“behanchod yeh kaise ho sakta hai... Teri balkani mein bahar se koi kaise pehle maale par a sakta hai?” Goli chaukte huye bola.



“Abe yaar tu kya yahan par time waste kar raha hai... Yeh Jo bhi hai... kuchh palle nahi pad raha... Tu pehle yeh dekh ki yeh kya hai is paper par...” Ayush ne us Sign ki taraf ishara karte huye kaha.



Goli ne unmein se ek paper uthaya aur use dhyan se dekha. Fir baari baari sabko check kiya...



“haha" Goli achanak se hasa.



“kya huya?” Ayush ne puchha.



“kuchh nahi... soch raha tha ki kitna chutiya hai koi... Ek paper baar dene ke liye kitni ghis raha hai apni...” Goli hanste huye bola.



“Oye Chamanlaal ke chodu... Tu kya yahan yeh gande joke sunane aya hai... Tu ek kaam kar tu school ja main khud hi kar lunga...” Ayush ne uske hath se paper chhinne ki try ki.



“Abe rukja... Mujhe pata hai ki yeh kya hai...” Goli us paper ko jor se pakadte huye bola.



“Achha... chal bata kya bawaseer hai yeh?” Ayush ne puchha.



“matlab mujhe exactly nahi pata but itna pata hai ki yeh Sign The Order of Ethan ka hai.” Goli ne kaha.



“Kya... konsa order... aur yeh hai kya?” Ayush ko kuchh samajh mein nahi aya.



“achha tu do minute mujhe apna laptop de main tujhe dikhata hun.” Goli ne apna backpack side mein rakhte huye bola.



“Ok... Yeh le..” Ayush ne use apna Laptop lakar de diya. Goli ne use study table par rakha aur chair par baith gya. Usne laptop mein log in karke internet par The Order of ETHAN search kiya. Wahan bahut se articles ke sath us Sign ke photos khul gaye. Ayush Goli ki chair ke peeche khada sab dekh raha tha but use kuchh samajh mein nahi a raha tha.



“Yeh sab kya hai?” Ayush ne puchha.



“Toh actually maine ek baar ek book padi thi The Secrets of the Galmor... Basically Writer ke according Galmor ek old human civilisation thi jo magic aur Divine Brilliance mein maante the. Aur unhone hi apni ek Secret Community banai thi The Order of ETHAN. Uske writer ne is bare mein jyada kuchh toh nahi bataya but yeh jarur likha tha ki woh log kuch research wagera karte the.” Goli ne Ayush ko pura explain kiya.



“Ek minute... Toh basically tu kehna chahta hai ki koi mujhe kisi fictional organisation ke fictional Symbol ke parche baant ta fir raha hai... Yaar tu baat ko suljhane ki jagah aur uljha raha hai..” Ayush gusse mein bola.



“han ek baat aur ki us Writer ne yeh bhi likha tha ki The Order of ETHAN abhi bhi exist karta hai aur kahin na kahin se chhip kar operate karta hai.” Goli ne baat ko age badhaya.



“Achha theek hai... main samajh gaya... par is sab se mera kya lena dena?” Ayush jor se chilaya.



“Ab pata nahi us Writer ne itna hi likha tha... Maine uska aur koi article dhundhne ki bahut kosish ki taki isse age ki story padhne ko mile but baad mein pata chala ki yeh wala article likhne ke 2 din baad hi woh achanak gayab ho gaya tha aur aj tak nahi mila...” Goli ne thoda sanjida hote huye kaha.



“Sale tu mujhe abhi dara raha hai... kahin tu hi toh koi ganda majak nahi kar raha...” Ayush ne Goli se puchha.



“kya yaar... mummy kasam maine kuchh nahi kiya... aur yaar tujhe lagta hai ki main balkani mein bina seedi ke chadh jaunga...” Goli ne apne pet ki aur ishara karte huye kaha.



“Sorry yaar... bas main thoda pareshan hun...” Ayush bola.



“koi baat nahi... tu ek kaam kar... Tu fresh hoja... hum school jakar library mein check karte hain agar kuchh mila toh...” Goli ne kaha.



“Han theek hai... Tu yahi baith... main do minute mein aya... Fir dekhte hain ki yeh hai Kya... The Order of ETHAN...” Itna bol kar Ayush Washroom mein chala gaya aur Goli wahin baitha Internet par kuchh dhundhne ki kosish karta raha.
Bahot behtareen zaberdast shaandaar update bhai
 

Naik

Well-Known Member
21,507
77,363
258
UPDATE 3

“Kuchh mila?” Ayush ne ek kitab ke panne palat te huye puchha.



“Naa.. kuchh nahi… Tumhe?” Goli bhi ek section mein kitab pe kitab palte ja raha tha.



“Nahi yaar… lagta nahi kuchh milega.” Ayush ne nirash hokar Kitab wapis rakhdi.



“Hey Ayush…”



Achanak se pichhe se awaj ayi toh Ayush ekdum sakpaka sa gaya. Usne pichhe palat kar dekha. “Ohhh… hey Ritika… tum yahan?”



“Ofcourse mein yahan…. Vaise tum yahan kya kar rahe ho?” Ritika ne halka sa hanste huye puchha.



“Nahi wo… main toh bas… bas wo….” Ayush ke paas koi bhi jawab nahi tha.



“wo main ek book dhundh raha tha mere class project ke liye.. mil hi nahi rahi…” tabhi Goli pichhe se wahan tapak pada.



“hashh... bacha liya....” Ayush ne man hi man socha aur chain ki saans li.



“Konsi book dhundh rahe the tum log… mujhe batao shayad main kuchh help kar sakun…” Ritika ne kaha.



“han wo hum.... woh Goli batayega....” Ayush ne Goli ki taraf ishara karte huye kaha.



“Goli...?” Ritika ne confused sa hokar puchha.



“han woh mere hi project ke liye chahiye thi... Yeh toh bas meri help kar raha tha...And humne already Dhundh liya hai sab jagah... shayad yahan nahi hai… “ Goli ne bhi Ayush ki baat Cover karne ki puri kosish ki.



“kya huya… tum dono yun ajeeb sa behave kion kar rahe ho?” Ritika ne un dono ko dekhte huye kaha. “is everything alright?”



“han… Sab badiya… kion Goli?” Ayush ne bola.



“Han… han sab theek hi toh hai… shayad tumhe kuchh galatfehmi huyi hai…Actually shayad humein abhi yahan se jana chahiye...” Goli ne nakli si Hansi hanste huye kaha aur sath hi Ayush ko wahan se nikalne ka ishara bhi kiya.



“actually i am sorry Ritika... but humein jana hoga… chal Goli...” woh dono Ritika ko bye bol kar wahan se jaldi se nikal gaye.



“Kamaal hai... inko achanak kya huya...uff... these guys are so weird...” Ritika ne khud se hi kaha aur un dono ko jate dekhti rahi.



“Yaar tu itna ajeeb kion pesh a raha tha usse?... you have to be normal... nahi toh sab sochenge ki pata nahi kya huya hai humein...” Goli ne Ayush se kaha.



“sale main bhade ka actor hun kya... ab main uske samne ho jata hun nervous toh aur kya karta... uper se yeh chutiya sa nishan... mera dimag kharab karke rakha hai...” Ayush gusse mein bola.



“are yaar tu gussa bahut karta hai kabhi kabhi... main toh aise hi keh raha tha taki use shak na ho jaye... chal chhod tu bata ab kya karein?” Goli ne Ayush ke kandhe par hath rakhte huye kaha.



“Ab kya kar sakte hain... jitna dhundh sakte the dhundha... ab aur kya karein...” Ayush nirash hokar bola.



“han baat toh teri sahi hai... chal tu ghar jake aram kar main bhi apne ghar jake kuchh pata lagane ki kosish karta hun tab tak...kuchh na kuchh pata chal hi jayega...” Goli ne kaha.



“Han yaar... Vaise bhi bahut thak gaye... sala pehli baar ehsaas huya ki school ki library itni badi hai...” Ayush ne kaha.



Goli halka sa hans diya par Ayush ka munh abhi bhi utra tha.



“tu tension mat le... kuchh na kuchh ho hi jayega.... ab chal ghar chalte hain...” Goli ne use samjhate huye kaha aur fir dono wahan se apne ghar ki taraf chal pade.




“aaawhhhhh....” Ayush gusse mein chilaya aur usne apna bag apne bed par patak diya.



“Yaar yeh Symbol ki maa ki aisi ki taisi... behanchod Chahta kya hai koi mujhse...” Ayush ne chidhte huye kaha...



Ayush ne apni pocket se unmein se ek paper ko bahar nikala. “sala hai kya ismein... aur yeh kisi ne sirf teen hi kagaz kion diye.... Uske baad kuchh kion nahi diya...” usne kagaz ko ek baar fir se Gaur se dekha. Usne use uper ki taraf uthaya. Seedha kiya... ulta kiya... Fir palta... Fir ulti taraf se dekha... Tabhi woh achanak use dekhte dekhte Window ke samne chala gaya.



“wow....” uske munh se bas yahi nikla. “Is it true... or am i watching a dream...did i just solve the mystery.” Use khud par yakeen nahi huya. Usne gaur se dekha toh us paper ki ulti side kuchh adhure se symbol bane huye the. Sab pata chal raha tha ki unko tod kar chhapa gaya hai. “Its looking like a secret message...par Inka baaki hissa kahan hai...Ek minute... so that’s the reason behind three of them... wooohooooo... i am the genius....” Ayush khusi se chilaya aur usne baaki ke dono paper bhi pocket se nikal liye...



Usne unko gaur se dekha toh sab ek jaise hi the. Toh usne window ke samne khade hokar un papers ko ek dusre ke uper rakh kar dekha. “naaah.... baat nahi ban rahi...” usne fir unko rearrange kiya aur fir se kuchh tute fute se aksar ban gaye. Usne fir se try kiya... Ek baar aur... Ek baar aur and then achanak se raaz se parda uth hi gaya...



“yup... Yeh huyi na kuchh baat... par ab yeh kya nayi problem hai... Yeh toh kisi paheli ki taraf lag rahi hai...par yeh likha kya hai....” Ayush ne use padhna shuru kiya...



“Phoolon ki Tokri mein nanha sa Phool.

Angan mein raha tha jhula jhool.

Bachpan beeta aur yadon pe dhool.

Itni jaldi gaye kya bhool.

Daayein na bayein.

Seedha jayein.

Yadon ki potli se khoya huya payein.”



“ab yeh kya bawaseer hai bhenchod.” Ayush ek baar fir nirash ho gaya. “kya yaar BC... ghoom ghoom ke wahin a gaye... Yeh hai kon jo mere sath paheli paheli khel raha hai...jhantu kahin ka...” Ayush Nirash hokar bed par baith gaya. Tabhi uske phone ki Ring tone baji.



“oye kuchh pata chala...” Goli ne Ayush se puchha.



“ab kya bataun...Han bhi aur nahi bhi...” Ayush ne jawab diya.



“matlab...” Goli bola.



“matlab yaar kuchh nahi... Tu ek kaam kar mere ghar aja tujhe puri baat batata hun...” Ayush ne jawab diya.



“Theek hai bas do minute mein aya.” Goli ne itna bol kar phone kaat diya aur Ayush ke ghar jane ke liye nikal pada.




“Bhenchod yeh kya baat huyi... paheli pe paheli hi suljhate raho...” Goli ne Ayush ki puri baat sunne ke baad kaha.



“ab kya karein... jo hai so hai... agar iska raaz pata karna hai toh paheli toh suljhani hi padegi na...Yaar ek kaam kar tu kuchh soch tab tak main jara washroom hoke aya...” Ayush wahan se uth kar washroom mein hi chala gaya aur Goli abhi bhi Living Room mein baitha tha.



“Han par ab kon pata lagaye... kya pata konsi Tokri... konsa Phool... aur yeh hai kya bakwas mujhe toh kuchh samajh mein nahi a raha...” Goli khud se hi badbadaya aur Un papers ko Uthakar khidki ke samne chala gaya... “Abe bhai wo paheli kahan gayi?” Goli unchi awaj mein chilaya.



“Abe yaar dhyan se dekh... papers ke pichhe hi toh hai...” Ayush ne washroom se hi jawab diya.



“Are bhai nahi... tune toh bola tha ki sunlight mein message dikhta hai... par yahan toh kuchh bhi nahi hai...” Goli bola.



“achha... Tu ruk main aya do minute...” Ayush ne jawab diya.



“han dikha kya huya...” Ayush ne Goli ke hath se woh papers liye aur khidki ke samne rakhkar dekha. “are han... Yahan toh kuchh bhi nahi hai... par mere kamre mein jab maine dekha tab toh paheli thi is par.” Ayush Hairan hokar bola.



“Toh ab kya huya... Sunlight toh ek hi hai na... tere kamre mein konsa alag se suraj ugta hai...” Goli bola.



“Ab woh mujhe nahi pata... par main jhuth thode na bol raha hun... chal ek kaam kar tu mere sath chal main tujhe dikhata hun...” Ayush Goli ko lekar apne kamre ki taraf chal pada. Usne Ander jaate hi Window ke samne papers kiye aur Paheli dikhne lagi.



“Ab dekha... Maine kaha tha na...” Ayush ne bola.



“han par aise kaise ho sakta hai.... lagta hai paper mein kuchh technical glitch huya hai...” Goli hanste huye bola.



“Abe gadhe ki gaand... koi glitch-blitch nahi hai... pakka iske peeche koi kaaran hoga... Thoda dimag laga shayad kuchh hint hi mil jaye...” Ayush ne Goli se kaha.



“ab Ismein kya kaaran hoga... shayad yahan se suraj ka angle alag ban raha hoga.... chal Geometry Box lakar dekhte hain....” Goli apni hi bakwas pele ja raha tha par Ayush ko pura yakeen tha ki use kuchh tagda hath laga hai.



“par kya... kya ho sakta hai hint... Aisa kya hai mere kamre ki khidki mein jo living room mein nahi hai...” Ayush khidki se bahar dekhte huye sochne ki kosish kar raha tha. “Backyard" Ayush achanak jor se bola.



“kya... backyard ko kya huya.” Goli Confused sa hokar bola.



“Abe backyard hi wo hint hai jo humein paheli ke jawab tak pahunchayega.”Ayush khush hote huye bola.



“Par kaise...” Goli ko kuchh samajh nahi a raha tha.



“Ruk tujhe samjhata hun... Pehle tu paheli bata ki kya hai...” Ayush ne Papers Goli ko diye. Goli ne bina kuchh bole woh papers Khidki ke samne kiye aur Paheli padhne laga.



“Phoolon ki Tokri mein nanha sa Phool.

Angan mein raha tha jhula jhool.

Bachpan beeta aur yadon pe dhool.

Itni jaldi gaye kya bhool.

Daayein na bayein.

Seedha jayein.

Yadon ki potli se khoya huya payein.”



Goli ne puri paheli padhi.



“Ab dekh... Phoolon ki Tokri matlab Rosebowl... hamara Sehar... nanha sa Phool matlab main... ab tu yaad kar ki jab hum chhote huya karte the toh mere backyard mein jhula huya karta tha... jo theek isi khidki ke samne hota tha...Baad mein use wahan se hata diya gaya tha... kuchh yaad aya?” Ayush ne Goli ko yaad dilane ki kosish ki.



“han lekin us jhule se paheli ka kya lena dena....” Goli abhi bhi confuse hi tha.



“Abe dhakkan... age ki line padh... likha hai... Daayein na bayein... seedha Jayein... matlab jis taraf jhule ka chehra hota tha us taraf hi kuchh hai...” Ayush ne kaha.



“ab jhule ka chehra toh isi taraf ko tha... matlab tere kamre mein hai kya kuchh...” Goli ne apna dimag lagane ki kosish ki.



“han mana ki mera kamra uske samne hai... par yahan par yaadon ki potli kahan hai... Sab kuchh toh naya hai kamre mein...” Ayush ne jawab diya.



“Toh fir aur kya ho sakta hai... jhule ke samne?” Goli bhi soch mein pad gaya.



“Pata nahi yaar... Ek minute... lag gaya pata...” Ayush jor se chilaya aur kamre ke bahar ki taraf chal pada.



“Abe kahan ja raha hai... Mujhe toh bata..” Goli uske peeche bhagte huye bola.



“are meri bulbul... yadon ki Potli mil gayi tere bhai ko....” Ayush khush hote huye bola.



“Par kahan..” woh dono bolte bolte peeche ke darwaje se backyard mein pahunch gaye.



“yahan...” Ayush ne Basement ki seedion ki taraf ishara karte huye kaha joki theek uske kamre ke neeche se jaati thi.



“Par yahan kya milega... Sab kabad toh ander daal rakha hai...” Goli bola.



“Are bhool gaya... mera khilone ka box... jismein main apne sare khilone daal kar rakha karta tha...” Ayush ne kaha.



“Han woh purana sa lakdi ka box... yaad aya..” Goli ne jawab diya.



“Han toh fir wahi toh hai yadon ki potli... chal ab time waste mat kar... kal se pareshan ho raha hun...” Ayush ne seedian utarte huye kaha.



“Han par kya pata usmein ek aur Paheli mil jaye...” Goli bhi uske peeche peeche chal pada..



“Are bhai shubh shubh bol... is baar kuchh nahi hoga... pakka kuchh kaam ki cheez hath lagegi...” Ayush atamvishwas ke sath bola.



“kya pata koi khazane ka naksha ho...” Goli ki bhi ankhon mein chamak a gayi.



Ayush ne jaldi se basement ka darwaja khola aur light on ki.Sab jagah makdi ke jaale lage huye. Puri basement purane furniture aur bigde huye appliances se bhari padi thi.



“Ohoooo... Yahan toh pura horror house bana rakha hai... par tera woh mystery box kahin dikhayi nahi de raha...” Goli ne idhar udhar dekhte huye kaha.



“Ek minute shanti rakhega?” Ayush ne halke gusse se kaha aur diwar ke sath padi huyi chhoti si ladder utha kar ek Badi si shelf ke neeche laga di...



“isko pakad kar rakhna... main uper se box utaar leta hun...” usne Goli ko seedi thamayi aur khud uper chadh kar ek bada sa ladki ka sanduk utha kar niche a gaya.



“yeh rahi hamari yadon ki potli...” usne box ko neeche rakha aur ek phoonk maar kar uske uper ki dhool hatane ki kosish karne laga. Is chakkar mein dhool Goli ke uper ud gayi.



“offoo... Ek kaam kar pura mere sir mein daal de...” Goli ne gussa karte huye kaha...



“Are sorry yaar... galti se ho gaya..” Ayush ne kaha.



“han theek hai... chal ab khol ise... dekhein toh sahi kon sa khazana chhipa hai yahan...” Goli bola.



“Han han kholta hun...” Ayush ne Dhire se us box ko khola aur achanak ek chhota sa dhamaka huya aur bulb fat gaya. Basement mein ek dum andhera ho gya. Un dono ki fat kar hath mein a gayi. Dono andhere mein idhar udhar takrate huye darwaje tak pahunchne ki kosish kar rahe the.



“bhai mera toh phone bhi band ho gaya achanak... Tu apne wale se light toh kar thodi.” Ayush ne awaj dekar kaha.



“Abe mera toh living room mein hi pada hai... Yaar mujhe bahut dar lag raha hai... mere pure hathon pe makdi ke jaale lag gaye...” Goli almost rote huye bola...



“koi na dar mat... Tu bas darwaja dhundhne ki kosish kar...” Ayush ne use dilasa dete huye kaha par asal mein Uski bhi fat chuki thi.



“Han mil gaya...” Goli ke hath mein darwaje ka handle laga toh woh khusi se uchhal pada. Tabhi achanak........



TO BE CONTINUED......
Bahot khoob shaandaar update
 

Naik

Well-Known Member
21,507
77,363
258
UPDATE 3A

“Han mil gaya...” Goli ke hath mein darwaje ka handle laga toh woh khusi se uchhal pada. Lekin isse pehle ki wo darwaja kholta… Tabhi achanak us andhere kamre mein ek green si light chamkane lagi.



“Ayush… bhai yeh kya hai…” Goli ne Us box se ati huyi light ko dekhte huye kaha. Tabhi wo Light dheere se uper ki taraf uthane lagi. Uska prakash itna jyada tha ki un dono ki ankhein chaundiya uthi.



“Yaar kuchh dikhayi nahi de raha….” Ayush ne ankhon par hath rakh kar light se bachne ki kosish ki par wo use abhi bhi mehsus kar pa raha tha. Thodi der baad wo light thoda kam hone lagi. Ayush ne dheere dheere se apni ankhein kholi.



“oh my god…” Ayush ke munh se bas itna hi nikla. Ek chamchamati huyi Ring uske ankhon ke samne hawa mein tair rahi thi. Goli ne Ayush ki awaj sunkar apni ankhein kholi toh uski bhi fat kar hath mein a gayi.



“bhai… Yeh hai kya… aur yeh hawa mein kaise ud rahi hai…” Goli ko apni ankhon par yakeen hi nahi ho raha tha.



“bhai lagta hai isi ke liye yeh sab ho raha tha… par yeh hai kya…” Ayush ne dheere se apna hath Anguthi ki taraf badhaya.



“Abe ruk…” Goli ne chilla kar Ayush ko roka… “agar kuchh gadbad ho gayi toh… dekh ise chhod aur yahan se bhaag…”



“saale tu itna darta kion hai... aur aisi bhi kya gadbad ho jayegi...” Ayush ne Goli ko daant te huye apna hath age badha kar us Ring ko apni Muthi mein pakad liya...



“Kuchh huya... aise hi sale ki fat ti rehti hai...” Ayush ne Goli ko woh Ring dikhate huye kaha.



“Han yaar... sach mein kuchh bhi nahi huya...” Goli ne khush hote huye kaha.



“kaisi lag rahi hai...” Ayush ne woh Ring apni ungli mein pehan kar Goli ko dikhayi.



“Han achhi lag....” abhi Goli itna hi bola tha ki tabhi usne dekha ki Ayush achanak hawa mein uth gaya aur ek tez raushni ka dhamaka huya.





“Ayush...” Goli chilaya par woh us light ke ander kuchh dekh nahi pa raha tha. Bas use Ayush ke chilane ki ek awaj ayi. Woh ek dum se ghabra gaya aur Ayush ki taraf bhaga.



“Ayush... Ayush...” Ayush ko Goli ki awaj sunayi di par isse pehle wo kuchh bol paata uski ankhon ke samne ek andhera sa chhaa gaya.




“toh tum a hi gaye... Mujhe tumhara hi intezar tha...”



Ayush ke kaanon mein Ek bhaari aur buddhi si awaj padi. Par use kuchh samajh mein nahi a raha tha ki woh hai kahan. Har taraf andhera hi andhera tha. Usne idhar udhar dekha toh use kuchh bhi dikhayi nahi diya.



“Kise dhundh rahe ho... Yahan koi nahi milega... bas tum aur main...” us Awaj ne fir se Ayush ko bola.



“Par tum ho kon... aur main kahan hun...” Ayush ne us awaj se puchha...



“main kon hun... is baat ka koi mahatav nahi hai... Lekin tum wahin ho.... Yahan tumhe hona chahiye... Apne antarman mein...” us awaj ne utar diya.



“Lekin mujhe yahan kion hona chahiye. Kya main mar chuka hun....” Ayush ne swaal kiya..



“nahi bache... tum abhi bhi jinda ho... aur antarman murdon ke nahi huya karte...” awaj ne utar diya.



“Lekin tum kya chahte ho mujhse...” Ayusb bola.



“kuchh nahi... Tumhare paas filhal toh aisa kuchh nahi hai... jo tum mujhe de sako... aur main yahan kuchh lene nahi... dene aya hun...” Awaj ne utar diya.



“Lekin mujhe kuchh nahi chahiye... Mujhe bas yahan se bahar nikalo...” Ayush ne kaha.



“yahi toh Manushya ki samasya hai ki woh kabhi apne man ke bheetar jhank kar nahi dekhna chahta....” Awaj ne utar diya.



“Mujhe nahi pata tum kya chahte ho... par plz mujhe yahan nahi rehna... Mujhe kuchh samajh mein nahi a raha...” Ayush ne haath jod kar kaha.



“mera kaam tumhe pareshan karna nahi hai... bas itna kehna chahta hun ki apne ap ko pehchano... tumhari jarurat hai sab ko... “ awaj ne kaha.



“kisko jarurat hai meri.... aur apne ap ko pehchanne se kya matlab hai tumhara...” Ayush ne puchha...



Par samne se koi jawab nahi aya... Ayush ne apna swaal dohraya par fir se koi utar nahi...



“Ayush... ayush..” Goli ki awaj uske kaanon mein padi toh Ayush ek dum se uth kar baith gaya...



“Kya huya... kahan hun main...” Ayush ne idhar udhar dekha toh usne khud ko apne bed par paya. Goli uske bagal mein baitha tha...



“hashh... sale dara diya tha mujhe... behanchod nikal is ring ko abhi...” Goli ne gusse mein chillate huye woh Ring nikal kar window se bahar fenk di.



“Kya huya... Tu itna gusse mein kion hai...” Ayush ne Goli se puchha...



“pata nahi... Tu achanak behosh ho gaya tha... Maine bola tha na tere ko ki woh ghatiya ring mat pehan...” Goli ne use daant te huye kaha.



“Han theek hai bhai... nahi pehanunga... ab tu shant hoja...” Ayush ne Goli se kaha.



“Han theek hai... Tu yahin aram kar main paani lekar aya...” Goli wahan se uth kar bahar chala gaya aur Ayush abhi bhi us sapne ke bare mein soch raha tha.



“kya woh sapna hi tha... yah fir sach mein aisa huya... main behosh kaise ho gaya...” Ayush apne bed se utha aur window ke bahar dekhne laga. Use woh Ring kahin bhi dikhayi nahi di.



“Lagta hai Goli sahi hi keh raha hai... Mujhe usse dur hi rehna chahiye...” Ayush ne man mein hi socha aur wapis akar bed par baith gaya.



“yeh le bhai paani pee le..” Goli ne paani ka gilas Ayush ko dete huye kaha.



Ayush ne jaise hi paani lene ke liye hath badhaya toh uska dhyan apni ungli mein Anguthi par gaya. Isse pehle ke Goli use dekh pata usne dusre hath se paani le liya aur woh wala hath blanket ke ander chhipa liya.
Bahot behtareen shaandaar update
 

Naik

Well-Known Member
21,507
77,363
258
UPDATE 4

“Raka… Jara mujhe Wo wali kitab dena..” Elvis ne ek kitab ki aur ishara karte huye kaha. Raka ne bina kuchh bole wo kitab utha kar Elvis ko de di aur wapis se apni jagah par khada ho gaya.



“Shukriya... Raka tumne kahin Sheena ko dekha hai?” Elvis ne wo kitab lete huye kaha.



“Nahi...” Raka ne bas itna hi bola.



“Pata nahi maine bhi use pichhle kuchh dinon se jyada dekha nahi hai... achha hi hai... Vaise bhi uski suyi hamesha ek hi baat pe atki rehti hai...” Elvis ne bola aur fir Kitab khol kar use padhna shuru kar diya. Usne apne Bade se kanon par apna chashmah achhe se set kiya aur kitab ke panne palatne laga. Raka bas wahin chup chap sa khada raha.



“Elvis.... Elvissss...” Sheena jor jor se darwaja peet te huye Elvis ko awaj dene lagi.



“offoo... Raka ise bolo ki baad mein aye... Abhi main thoda vyasat hun...” Elvis ne khijhte huye kaha. Raka uski baat sunte hi Darwaje ki taraf chal pada. Usne Darwaja khola toh Sheena bahar gusse se vyakul khadi thi.



“Wo pagal Buddha kahan hai...” Sheena ne sawa saat feet lambe Raka ki ankhon mein ankhein daalne ke liye apni mundi uper utha rakhi thi.



“padh raha hai...” Raka ne apni bhari awaj mein jawab diya.



“Side hato... Mujhe usse baat karni hai...” Sheena ne Raka ko dhakka dena ki kosish ki par wo pahad apni jagah se hila tak nahi.



“mana kiya hai..” Raka ne fir se apni bhari si awaj mein lekin shanti se kaha.



“Mujhe usse farak nahi padta... woh yahan ka Maharaj nahi hai...” Sheena ne gusse mein chillate huye kaha.



Lekin Raka ne bina koi jawab diye Darwaja band kar diya.



“Elvis.... bujhdil kahin ke... dum hai toh khud mere samne ao... Raka ke peeche kion chhipe baithe ho...” Sheena gusse se Darwaja peet te huye boli.



“ Raka maine tumhe bola tha na ki ise yahan se bhagao...” Elvis apni book side mein patakte huye bola.



“bola tha...” Raka ne shanti se jawab diya aur apni jagah par khada ho gaya.



“oye buddhe.... Darwaja khol...” Sheena fir se chillate huye boli.



“hey ETHAN... Yeh kinse pala pada hai...” Elvis ne Uper dekhte huye kaha aur uth kar Darwaja kholne chala gaya.



“Han bolo... kya samasya hai...” Elvis ne Darwaja kholte hi Sheena se rukha sa sawal kiya.



Lekin Sheena ke irade kuchh aur hi the... Usne Elvis ko uski Garden se pakda aur 2 feet hawa mein uper utha liya.



“Raa...... rak......” Elvis Raka ko awaj dete huye Hawa mein tangein chalane laga. Uski ankhein ulti hone lagi aur sansein bhari. Use uska kaal Sheena ki gusse bhari ankhon mein saaf dikhayi de raha tha. Par tabhi Raka ne ek jordar Ghunsa Sheena ke chehre par de mara.



“ahhhh...” jor se chilate huye Sheena Darwaje ke bahar jakar giri aur pakad dheeli padte hi Elvis bhi jameen par gir gaya.



“Baune.... tujhe toh mein chhodungi nahi...” Sheena jameen se uthte hi dobara Elvis ki taraf lapki...





“Rakaaaa" Elvis kisi bache ki tarah Rote huye chilaya. Isse pehle ki Sheena Elvis ko dobara daboch paati Raka ne beech bachav karte huye Sheena ko kamar se pakad kar hawa mein utha liya.



“Mote chhodd mujhe... nahi toh tujhe bhi is buddhe ke saath yahi gaad dungi...” Sheena ne peeche ki taraf Raka ko laat maarte huye kaha. Par use is sab se koi farak nahi pada aur woh kisi gudiya ki tarah Sheena ko pakde khada raha.



“Eh ladki... Tu pagal ho gayi hai kya...” Elvis ne jameen se uth kar apni garden ko sehlate huye kaha. Uski buddhi garden par Sheena ki unglion ke nishan saaf dikhayi de rahe the.



“han ho gayi hun main pagal... aur iski wajah ho tum... tumhe kisne haq diya ki Tumne Galmor ki kismat ek bache ke hath mein de di...jis Ring ke liye mere pita ji ne apni jaan ka balidaan diya woh tumne ek Highschool ke aam se balak ko thama di... tum sathiya gaye ho Elvis... tum jee jee kar ak chuke ho isliye ab Galmor ke logon ki zindagi ke sath khel rahe ho...” Sheena ne gusse mein chillate huya Elvis ki khub li. Par Elvis ko jaise usse koi lena dena hi na ho.



“Ho gaya... jo bolna tha bol liya... ab ek baat tum kaan khol kar sun lo... Yeh mat bhulo ki maine Galmor aur yahan ke logon ke liye bahut bade bade faisle kiye hain... Tumhare baap ne jo bhi kiya wo uska farz tha... aur maine jo kiya wo mera... ab tumhara farz yeh hai ki jab tak wo bacha puri tarah se tyar nahi ho jata... tab tak tum uski raksha karogi...” Elvis ne jameen se utha kar apna chashmah dobara se apne Bade bade kanon par tika liya.



“raksha... tum chahte ho ki Galmor ki sabse takatbar yodha us bache ki raksha kare... tum sach mein hil gaye ho kya...” Sheena ne hairan hote huye kaha.



“pehle toh tumhe apne se 1332 saal bade, Galmor ke sabse budhimaan shakas aur maujuda Supreme se baat karni seekhni chahiye... dusri baat tum galmor ki sabse takatbar yodha nahi ho... shayad tum uper ke 100 mein bhi nahi ati... teesri aur sabse jaruri baat ki tum wahi karogi jo main kahunga... kionk Galmor Knights mein kis kis naye yodha ko jagah milegi uska faisla jis Baithak mein hoga usko lead main karne wala hun...” Akhri baat kehte huye Elvis ke chehre par ek vijayi muskan thi aur Sheena bas apne daant pees kar reh gayi. “Raka... chhod do ise...” Elvis ne Raka se kaha aur wapis jakar apne reading table par baith gaya.



Raka ne Sheena ko jaise hi chhoda wo gusse mein apne pair patakte huye library se bahar chal padi..



“han ek baat aur...” Elvis ki awaj sun kar Sheena wahin ruk gayi “Ayush ke ring pehante hi Nazim bhi uske peeche pad jayega toh tum jaldi se jaldi wahan pahunch kar uski raksha karo...” Elvis ne Sheena ko adesh dete huye kaha.



“Ji... SUPREME...” Sheena ne gussa dil mein daba kar Elvis ko jhuk kar salam kiya aur wahan se nikal gayi.



“Raka... ispar nazar rakhna...” Sheena ke jate hi Elvis ne dheemi awaj mein Raka se kaha aur wapis se apni book padhne laga.




“Khul ja sim sim.....abra ka dabra....gili gili apa... iski maa ki choot... kuchh ho kion nahi raha...” Ayush ne gusse mein Ring ko utar kar jameen par fenka aur agle ki chhan woh Ring fir se uski ungli mein thi...



“Ahhhhh.... kya karun main iska....” Ayush gusse se chilaya. Tabhi achanak uske room ka darwaja khula aur uski mom bhaag kar uske paas ayi.



“kya huya baby... tum achanak se chilaye kion...” Madhu ne usko apne alingan mein lete huye kaha.



“Kuchh nahi mom... bas woh main bas... halka sa cramp tha pair mein...” Ayush ne apna Ring wala hath takiye ke neeche chhipate huye kaha.



“Lao dikhao mujhe...” Madhu ne Blanket ke ander se hi Ayush ke pair ko pakad kar sehlana shuru kiya...



“are mom...kya kar rahi hain ap yeh...” Ayush ne apni mom ka hath apne pair se hatane ki kosish ki.



“Baby... let me do it.... Chup chap baithe raho...” Madhu ne Ayush ko daant te huye kaha. Usne uska pair sehlana jaari rakha aur usse idhar udhar ki batein karne lagi. Ayush ek pal ke liye apni saari tension bhul gaya aur batein karte karte kab so gaya use pata hi nahi chala.



“love you beta...” Madhu ne Ayush ko sota huya dekh uske mathe pe halki si kiss ki aur light band karke halke kadmon se uske room se bahar chali gayi.




“Good Morning Rosebowl. Main hun apki apni Anjali. Aur ap sun rahe hain Rosebowl Radio. Apki mast subah ko aur mast banane ke liye suniye ek tadkata fadkata gaana.”



“o mere sapnon ki raani kab ayegi tu..

Ayi rut mastani kab ayegi tu…

Biti jaye jindgani kab ayegi tu…

Chali Aaa o chali Aaa…”



Gaane ki dhun par jhumte huye Ayush roz ki tarah nashta bana raha tha. Tabhi achanak se knife uske hath se gir gaya.



“EEEEE….” Apna pair bachane ke liye who halka sa peeche ki taraf kuda.



“Hashhh… bach...” abhi Ayush itna hi bola tha ki agle hi pal uski goti munh mein gayi. Kionk woh halka sa kudne bhar se kareeb 7 feet dur kitchen ki entrance tak pahunch gaya. Usne apne hath ki taraf dekha toh uski Ring halka sa chamak rahi thi.



“what the fuck.... Yeh kya tha...” usne double check karne ke liye ek chalang samne ki taraf laga di. Lekin force thoda jyada hone ki wajah se wo seedha sink mein jakar gira.



“ahhhh... fut gayi gaand... but i like it man...” Ayush apni is nayi kabliyat ko dekhkar halka sa muskurate huye bola.



“hahaha... tum kya bander ki tarah wahan chadhe baithe ho...” Madhu kitchen ke darwaje par khadi Ayush ki halat par hanse ja rahi thi.



“Kuchh nahi mom... bas thoda balance bigad gaya...” Ayush ne thoda darte huye bola aur apni ring wala hath peeche chhipa liya.



“Han par tum wahan pahunche kaise...” Madhu ne thoda hairan hokar puchha.



“woh main... main...actually main wo wala dibba utarne ke liye counter par chadha aur itne mein balance bigad gaya toh...” Ayush ne kisi tarah ek theek thaak sa jhuth bana hi liya.



“achha theek hai par ab wahin baithe rehna hai ki bahar bhi niklo ge.” Madhu ne muskurate huye kaha.



“han bas ap bahar wait kariye main abhi khana lekar aya....” Ayush ne Sink se bahar nikalte huye kaha. Madhu bahar jakar dinning table par baith gayi aur fir un dono ne milkar nashta kiya.



“ok baby bye... have fun...” Madhu ne Darwaje ke bahar jate huye Ayush se kaha.



“ok mom.. see you...” Ayush ne Madhu ke jane ke baad Darwaja band kiya... “han ab Fun toh jarur hoga" usne us anguthi ki taraf dekhte huye ek smile ki aur phone nikal kar Goli ko call mila diya.
Bahot behtareen shaandaar lajawab update bhai
 

Naik

Well-Known Member
21,507
77,363
258
UPDATE 5

“Abe tu sach bol raha hai kya?” Goli ne Hairan hote huye puchha.



“Han yaar… main bhala jhuth kion bolunga… Yeh dekh…” Ayush ne ek chalang lagakar Goli ko dikhaya.



“Wow… Toh iska matlab yeh Ring magical hai…” Goli ne Ayush ki ungli mein pehni huyi Ring ki taraf dekhte huye kaha.



“Han… lag toh aisa hi raha hai… but mujhe nahi lagta ki yeh sirf yahin tak Limited hai…” Ayush ne Goli se kaha.



“Kya matlab… main kuchh samjha nahi…” Goli ne Ayush se kaha.



“mujhe lagta hai ki main sirf kudne ki bajaye aur bhi bahut kuchh kar sakta hun… Mujhe nahi pata kya par dekhna jarur chahunga ki is Ring mein aur kya khasiyat hai.” Ayush ne kaha.



“Dekh tera Idea achha hai but mujhe nahi lagta ki yeh karna sahi rahega… agar kuchh gadbad ho gayi toh khamkha lene ke dene pad jayega…” Goli ne jawab diya.



“yaar tu itna darta kion hai… aur vaise bhi jisne bhi mujhe yeh bheji hai... Mujhe yunh circus ke bander ki tarah kudte huye toh nahi dekhna chahta hoga...” Ayush ne kaha.



Ayush ki baat sunkar Goli thoda soch mein pad gaya. Wo sofa se uth kar idhar udhar chakkar kaatne laga aur Ayush use side mein khada dekh raha tha.



“ab tu kya chakkar kaat raha hai...baith ke baat kar na...” Ayush ne kaha.



“Pata nahi yaar... but mujhe kuchh theek nahi lag raha... BTW agar tu yeh chutiyapa karna hi chahta hai toh its better ki main tere saath rahun...” Goli ne kaha. Ayush ne uski baat sunkar kar khush hote huye use gale laga liya.



“ab yeh huyi na mere best friend wali baat...” Ayush ne uske kandhe par hath rakh kar kaha.



“Han theek hai jyada maska mat maar... chal bol kahan jakar gaand marani hai...” Goli bola.



“Pata nahi.... par koi aisi jagah yahan koi aur na ho...” Ayush ne kaha.



“ab aisi konsi jagah hai... behanchod Jungle mein chale jayein kya?” Goli bola.



“Tera Idea bura nahi hai but Jungle kuchh jyada hi ho jayega... par uske aas paas mere dimag mein ek jagah hai...” Ayush ne kaha aur muskurate huye Goli ki taraf dekha.



“behanchod tu kahin Uphill park ki baat toh nahi kar raha na... dekh main tere sath jahnum tak ja sakta hun but wahan nahi...” Goli ne saaf mana karte huye bola.



“bhai dekh mana mat kar... ab agar humein experiment karna hi hai toh wahin chalte hain na... wahan koi nahi hoga....” Ayush ne Goli ko manane ki kosish ki.



“Abe sale... wahan koi nahi jata uske peeche bhi toh koi wajah hogi na... behanchod jitni chadhayi chadh kar banda wahan tak jayega utne mein chaand ke teen chakkar lag jayein... bhai dekh chahe tu mujhe pure duniya jahan ki daulat dede toh bhi main wahan nahi jaunga... matlab nahi jaunga...” Goli ne puri tarah se baat ko nakaar diya. Aur Ayush bhi uske bina hi bahar ki taraf chal pada. Goli usko kuchh bolta usse pehle woh darwaje ke bahar chala gaya.



“Mat ja sale... main akele hi ja raha hun tu bas jaate huye darwaja lock kar jana...” Ayush bina Goli ki taraf dekhe ghar se bahar nikal gaya. Usne apna cycle uthaya aur fencing ka gate kholke north ki taraf chal pada.



“Abe dheere chal bhai… mujhe bhi ane de… behanchod khud toh marega… Mujhe bhi marwayega kisi din…” peeche se Goli ki awaj ayi toh Ayush ne peeche mud kar dekha.



“behanchod tu toh bol raha tha ki jahan ki puri daulat bhi tujhe dedun toh bhi tu nahi ayega… ab kya huya…” Ayush ne gusse mein kaha.



“han nhi ata sale… but tere jaise gadhe se dosti ki hai toh marwani toh padegi na… aur vaise bhi agar tujhe kuchh ho gaya toh main yahan kya karunga… toh socha tere sath main bhi parlok sidhar leta hun…” Goli hanste huye bola.



“Behanchod tu bhi na bade darame karne laga. Sale itna bhi kuchh dur nahi hai… Thodi himmat se kaam le.. dekh do minute mein pahunch jayenge…” Ayush Goli ko hausla dete huye bola. Samne se Goli ne ek smile pass ki par uske peeche ke dard ko sirf Goli ki janta tha. Kionk uske mutabik aj woh dono stretcher ke bina ghar nahi ane wale the.



Pure ek ghante ke baad woh dono hill street par apne cycle khinchte huye ja rahe the. Tirchi chadhayi wali yeh chhoti si pavement seedhi park tak jaati thi. Ek taraf sirf jungle tha aur dusri taraf ek gehri khayi jo ki ek Lohe ki unchi railing se protected thi.



“bas bhai main thak gaya hun yaar… aur nahi hota…” Goli chalna band karke wahin ruk gaya. Aur uper jaate huye us antheen raaste hi taraf dekhne laga.



“Abe himmat kion haar raha hai… bas thodi dur aur hai… Tu bas dheere dheere chalta reh…” Ayush ne kaha.



“are bhai dekh tu toh bander ki tarah kud sakta hai na toh hum cycle se kion ja rahe hain.... Yaar kudte huye pahunch ja na wahan par...” Goli jameen par baithte huye bola.



“mote uthja yaar... faaltu time kion kharab kar raha hai...” Ayush ne Goli ko kheenchne ki kosish ki par woh khud bhi thoda thak chuka tha aur wahin uske bagal mein baith gaya. “sorry yaar...”



“kion kya huya...” Goli ne Hairani se puchha..



“Kuchh nahi... soch raha hun ki wapis chalte hain... actually humein ana hi nahi chahiye tha... behanchod mujhe toh yeh samajh mein nahi a raha ki yeh park yahan banayi hi kion... jab koi pahunch hi nahi sakta...” Ayush ne chidhte huye bola.



“Shukar hai... tumhe der se hi sahi par akal toh ayi... behanchod faltu mein meri gaand faad di... saale hamesha overexcited hone se kuchh nahi hota... Thoda dhyan se socha kar...” Goli ne Muskurate huye kaha.



“Sorry yaar... Abhi thodi der baith ke wapis chalte hain...” dono wahin baith kar thoda aram karne lage.



“vaise tujhe pata hai... meri mummy kehti hain ki yeh park kisi alien ne banayi thi aur wahan se sunset bahut khubsurat dikhta hai...” Goli ne kaha.



“Han behanchod koi insaan toh aisa kaand kar nahi sakta... behanchod jitni uper tak yeh rasta jata hai aadmi khud hi suraj ke paas pahunch jata hoga...” Ayush haste huye bola.



“Sahi kaha.... Yeh le cold drink pee aur chill kar...” Goli ne apne bag se Cold drink ke do Cans nikal kar ek Ayush ko de diya aur dono use peete huye batein karne lage.



“Chal abhi wapis chalte hain...” Thoda aram karne ke baad Ayush ne Goli se kaha aur woh dono apne cycle lekar wapis chal pade. Woh dono dheere dheere batein karte huye chale ja rahe the. Andhera hone laga tha aur age chal kar rasta dono taraf se pedon se ghira huya tha.



“Abe tune koi awaj suni kya...” Goli ne thoda ruk kar Ayush se kaha.



“Nahi... Maine toh kuchh nahi suna...” Ayush ne jawab diya aur dono fir se chalne lage. Par thodi der baad jhadion mein se kisi ke chalne ki awaj ayi aur is baar Ayush bhi ruk gaya.



“tu isi awaj ki baat kar raha tha...” Ayush ne Goli se puchha.



“han... is baar tune bhi suna na...” Goli ne thoda darte huye kaha.



“han yaar... lagta hai koi hai yahan par...” Ayush ne kaha.



“ab kya karein...” Goli buri tarah se ghabra gaya.



“karna kya hai bas jaldi jaldi chalta reh... Thodi age chal kar hum sehar mein pahunch jayenge...” Ayush ne Goli se kaha aur dono Cycle par baith kar use jitni tez ho sake bhagane lage. Abhi dono thodi dur hi pahunche the ki achanak unke raaste mein ek aadmi akar khada ho gaya aur woh dono achanak se ruk gaye..Pata nahi aadmi tha bhi yah kuchh aur... par andhere mein kisi insaan jaisa hi lag raha tha.



“bhai... Yeh toh apni taraf hi a raha hai...” Goli ne darte huye Ayush se kaha. Uska dar ke mare gala sukhe ja raha tha.



“Kon ho bhai... raaste se hato aur humein jane do...” Ayush ne Chila kar usse kaha aur tabhi use apne peeche se kisi ke ane ki awaj ayi. Usne peeche palat kar dekha toh udhar se bhi koi unki taraf chala a raha tha. Ab Ayush bhi thoda ghabra gaya. Tabhi samne se aa raha shakas unke kareeb pahunch gaya. Usne apni bagal se talwar nikali aur seedha Ayush ki taraf taan di.



“Lao bache ring mujhe dedo aur chup chap ghar chale jao...” un aadmi ne Ayush se kaha.



“Kon ho tum... Aur kis ring ki baat kar rahe ho... mere paas koi ring nahi hai...” Ayush ne Anjaan banne ka natak kiya.



“achha toh tumhare hath mein kya hai...” usne Ayush ke hath ki taraf ishara karte huye kaha aur woh Ayush ki taraf badhne laga. Isse pehle ke woh Ayush ke paas ata Usne ek jor ki chalang lagayi aur us aadmi ke uper se kudne ki sochi. Lekin isse pehle ki woh aisa kar pata us aadmi ne use hawa mein hi dhar dabocha. Usne Ayush ko kisi khilone ki taraf patak kar jameen par fenka.



“ahhhhhh....” Ayush jor se chilaya aur neend se uth gaya. Usne dekha toh woh abhi apne kamre mein aram se so raha tha. Usne jaldi se apne phone ko utha kar dekha toh abhi tak raat hi thi.



“behanchod... main bas sapna dekh raha tha... matlab woh subah subah unchi chalang lagana aur fir woh Goli ke sath... Yeh sab sapna tha...” Ayush paseene se tar neeche hi jameen par baitha tha. Use kuchh samajh mein nahi a raha tha.



“kya huya bache... neend se uth gaye kya...” Ayush ko fir se wahin awaj sunayi di jo Ayush ne Ring pehnne ke baad suni thi. Magar is baar woh hosh mein tha aur abhi abhi gaand faad sapna dekh ke hata tha.



“kon ho tum... kya chahte ho mujhse...” Ayush ne gusse se chilate huye kaha.



“tum ne kya socha tha ki Yeh Ring tumhe kisi superhero mein badal degi.... aur superhero bhi kahan... bander kehna jyada sahi rahega...” us Awaj ne hanste huye kaha.



“Tumhe kaise pata ki main kya sapna dekh raha tha... aur tum ho kon aur mere peeche kion pade ho...” Ayush ne puchha.



“mujhe kaise pata usse koi farak nahi padta... Magar tumhe pata hona chahiye ki yeh Ring koi inaam nahi hai... Yeh ek jimmedari hai... agar tumhe lagta hai ki yeh Tumhein isi liye di gayi hai ki isse tumhe shakti milegi toh tum galat ho... Yeh tumhe di gayi hai taki tum iski raksha kar sako...”



“Tum kon ho... kya bol rahe ho... Mujhe kuchh nahi pata... aur mujhe yeh Ring Nahi chahiye... ise kisi aur ko dedo bhai... main bas ek normal sa High school ka bacha hun... Mujhe wahi rehne do... agar meri mom ko iske bare mein pata chala toh unhone alag se meri class lagani hai... aur yaar main koi fighter nahi hun jo main iski raksha karun...” Ayush ne kaha.



“Vaise tum kon ho yeh toh shayad tumhe pata hi nahi hai... par maaf karna yeh Ring ab tumhare paas hi rahegi... matlab kam se kam jab tak tum mar nahi jate tab tak toh rahegi hi... Abhi aram se so jao subah baat karte hain...”



“mar nahi jate... kya matlab... behanchod kon ho tum...” Ayush gusse mein bola par samne se koi utar nahi aya. Usne thoda intezar kiya par koi jawab na milne par woh jameen se khada huya aur apne hath mein pehni Ring ki taraf dekhne laga. Usne kuchh socha aur fir Jor se chalang lagayi par woh Normal hi thi. Uska woh “monkey Jump” bas sapne tak hi simit reh gaya.



“Behanchod jaadu ke naam pe Scam ho gaya... gaand maraye iski Ring aur uski Raksha... saale ne chaukidaar samajh rakha hai kya...” Ayush ne Ring utar kar Khidki se bahar fenki aur rajayi lekar let gaya. Par agle hi pal woh Ring fir se uski ungli mein thi. “han behanchod tu meri hi gaand mein ghus bas...”
Bahot shaandaar mazedaar update
 

Naik

Well-Known Member
21,507
77,363
258
UPDATE 6

“Hey mom… thanks for the last night…” Ayush ne kitchen se bahar nikalte huye Madhu se kaha.



“Are wah… Aajkal kuchh naya market mein aya hai kya... ki jab koi mom apne bache ko sulaye toh use thanks bolna padega… hamare time toh aisa kuchh tha nahi…” Madhu halka sa taunt marte huye Ayush ko khana table par lagane mein help karne lagi.



“Sorry…” Ayush bas halka sa hans diya aur agle hi pal wo fir se Ring ke bare mein sochne laga.



“Kya huya Ayush… kuchh pareshan se lag rahe ho...” Madhu ne Ayush se puchha.



“Kuchh nahi mom… bas aise hi… ap khana khaiye… nahi toh kaam ke liye late ho jayega…” Ayush ne apni najrein churate huye khana parosna shuru kiya.



“I know ki ab tum bade ho gaye ho… but you can still talk to me about anything… shayad ek bete ki tarah na sahi toh ek dost ki tarah hi sahi… kuchh bhi matlab kuchh bhi… including that new Ring in your finger…” Madhu ne halka sa muskurate huye kaha.



“no mom… its not a relationship ring… Yeh bas aise hi kisi ne sambhalne ke liye di hai… Maine bola ki mujhse nahi hoga… but he said ki tumhe hi rakhni padegi...” Ayush ne khane ka niwala lete huye kaha.



“Toh fir problem kya hai... rakhlo kuchh din... Vaise kafi kimti lag rahi hai... shayad jisne bhi di hai tum par kuchh jayada hi trust karta hai...”Madhu ne Ayush ki ankhon mein dekhne ki kosish ki par usne apni najrein churate huye apna khana jaari rakha.



“It’s not like that mom... main ek aisi cheez ko sambhal kar kaise rakh sakta hun jiske bare mein mujhe kuchh bhi pata hi nahi hai... jo cheez mere liye mayne hi nahi rakhti uske liye itna jhanjhat hi kion lena...” Ayush ne himmat karke apni ankhein utha kar kaha. Woh bas kisi tarah apne dil ki baat kisi se kehna chahta tha aur is kaam ke liye uski maa se better kon ho sakta tha.



“dekho beta I don’t know ki actually chal kya raha hai.... but mujhe yeh jarur pata hai ki if you want to do something you can do anything aur agar koi itna hi chahta hai ki tum iska khyal rakho toh ek baar iske peeche hi wajah samajh lo... kya pata tum bhi wahi socho jo woh soch raha hai...” Madhu ne bade aram se Ayush ko kaha.



“i think you are right mom...” Ayush ne apna khana jaari rakha. Iske baad wahan ek ajeeb si shanti fail gayi shayad dono hi apne vicharon mein kahin kho se gaye. Nashta khatam hote hi Madhu ne Ayush ko bye kaha aur apne office ke liye nikal gayi.




“Abe sale tune abhi tak bataya nahi ki tumne yeh Ring utari kion nahi...” Goli ne dheemi si awaj mein fusfusate huye Ayush se puchha.



“yaar class ke baad baat nahi kar sakte kya...” Ayush ne bhi fusfusate huye jawab diya.



“subah se puchh raha hun tujhse... ab hamare beech mein secrets kab se ane lage...” Goli ne fir se fusfusate huye par gusse mein kaha.



“Can I ask... what is going on there... hmm... Mr. Jain...” teacher ne Chilate huye kaha.



“nothing miss Nandini... we were just talking about the equation...” Ayush ne jawab diya.



“Ohh... great... i think ki tum hi aj yeh Equation solve kar sakte ho... i will be more than happy to give you a chance...” Nandini ne Ayush ko ghurte huye kaha.



“actually main woh... main toh bas bol hi raha tha ki Miss Nandini is so intelligent and ap kaise sabhi problems chutkion mein solve kar sakti hain... haina Goli....” Ayush ne Goli ko ghurte huye kaha.



“yeah... Ayush sahi bol raha hai... miss ap hi padhaiye na please abhi hum chup chap baith kar samjhenge pakka...” Goli ne request karte huye kaha.



“Ok... i know ki tum log achhe students ho but koi bhi baat karni ho toh bahar jakar kiya karo... now i hope ki tum log samajh gaye honge... Mr. Jain...” Nandini ne kaha.



“Yeah miss... ofcourse we get it...” Ayush me halki si smile ke sath kaha aur Nandini ne palat kar wapis se padhana shuru kar diya.



“Abhi chup chap baitha reh... class ke baad baat karte hain...” Ayush ne fir se fusfusate huye Goli se gusse mein kaha aur apni note book ki taraf dekhne laga. Is baar Goli bhi Nandini ke dar ki wajah se chup hi raha.




“toh tu kehna chahta hai ki ab yeh Ring tu kabhi nahi utaar sakta...” Goli ne Ayush ki puri baat sunne ke baad dheemi awaj mein kaha.



“Han... Kam se kam jab tak main Zinda hun... Aisa us Awaj wale buddhe ne kaha...” Ayush ne mayus hote huye kaha.



“Yaar tu tension mat le... hum koi na koi hal nikal lenge... Isse chutkara paane ke liye...” Goli ne Ayush ke kandhe par haath rakhte huye kaha “i am with you buddy...”




“Yeh Sheena ke bare mein kuchh pata chala?” Elvis ne Raka se puchha.



“Nahi…” Raka ne apne usi Straight forward andaz mein jawab diya.



“Mujhe pakka yakeen hai ki yeh ladki kuchh na kuchh gadbad jarur karegi…” Elvis ne chinta bhare andaz mein kaha aur ek lambi saans chhodi.




Sheena Jhadion ke peeche se chhip kar Ayush aur Goli ki batein sun rahi thi. Jaise hi Ayush ne Goli ko awaj ke bare mein bataya toh uski ankhein gusse se laal hone lagin. Uske baad Ayush ka us Ring se peecha chhudwane ka plan. Yeh Sab Sheena ke liye us cheez ka bada apmaan tha jiske liye uske baap ne apni jaan tak de di. Usse bhi jyada ek aise ladke ke hath pure galmor ki chabi de dena jise na toh Galmor aur na hi Galmor ke logon se koi Lena dena tha. Yeh sab batein Sheena ke ander ke gusse aur nafrat ko aur bhi badhawa de raha tha.



“Goli… tune koi awaj suni…” Ayush ne Goli se puchha. Ayush ki baat sunte hi Sheena starak ho kar jhadion ke peeche achhe se chhip gayi.



“kaisi awaj…” Goli ne dhyan se sunne ki try ki.



“kuchh nahi… shayad koi galatfehmi huyi hogi…” Ayush ne us awaj ko Ignore karte huye age chalna hi theek samjha.



“chal theek hai fir… tera ghar a gaya… kal ko milte hain…” Goli ne Ayush ke ghar ke samne pahunch kar kaha.



“Han theek hai… ok bye…” Ayush ne Fence ka gate khola aur ander chala gaya.



“tension mat lena hum koi na koi raasta dhundh hi lenge…” Goli jate jate hi chilaya . Ayush ne bas usko samne se hath dikhate huye bye kiya aur apne ghar ke ander chala gya. Udhar Sheena kisi bhukhi sherni ki tarah apni ankhein gadaye Ayush ko dekhti rahi jab tak ki wo ander nahi chala gaya.
Behtareen bahot shaandaar update
 

Naik

Well-Known Member
21,507
77,363
258
UPDATE 7

Raat ke 11 baj rahe the aur Ayush abhi bhi apne kamre mein Ring ke bare mein sochte huye pareshan sa ghum raha tha.



“Akhir main hi kion…. Aur yeh awaj wala Buddha kabhi mujhe sahi jawab bhi toh nahi deta…” Ayush pareshan sa apne room mein idhar se udhar ghum raha tha. Use kuchh samajh mein nahi a raha tha ki wo kare toh kare kya.



“Kya huya bache… kuchh pareshan sa lag rahe ho aaj…” Ayush ke kanon mein ek baar fir se wahi awaj padi.



“Aiye sir… ap hi ka intezar tha… Abhi toh kam pareshan tha toh aap uski kami puri kar dijiye….” Ayush ne chidhte huye kaha.



“bache… Tum khamkha hi mujh par ilzaam laga rahe ho… Maine kabhi tumhe ulta jawab nahi diya… Balki hamesha tum hi galat sawal puchh te ho…” awaj ne kaha.



“achha… toh fir mujhe sabse pehle batao ki tum kon ho…” Ayush ne puchha.



“Ek baar fir se galat sawal… bache tumhe sabse pehle toh sawal karna seekhna hoga uske baad hi main tumhari koi madad kar paunga…” us Awaj ne kaha.



“Par ab Ismein kya galat… seedha sa toh sawal puchha….” Ayush ne kaha.



“han sawal seedha toh hai… par tumhare kaam ka nahi hai… tumhe yeh janne se koi fayada nahi hoga ki main kon hun... aur faltu sawalon ke jawab dena meri aadat nahi hai...” Awaj ne kaha.



“achha toh fir aur kya puchhun main tumse... tum khud hi bata do na...” Ayush ne gusse se kaha.



“ek baar Phir se galat sawal bache.... Abhi time nahi hai baad mein baat karta hun... shayad tab tak tum kuchh kaam ka sawal dhundh kar rakho....” Awaj ne kaha.



“ek mint... hlo... oo chacha... behanchod kaha gaya yeh Buddha...” Ayush ne us awaj se baat karne ki kosish ki par koi jawab nahi mila... “ behanchod is buddhe ke nakhre bahut hain... Samne aa jaye toh gaand mein chhata khol dunga...”



Tabhi Ayush ko peeche se awaj ayi jaise koi uske kamre ki khidki kholne ki try kar raha ho. Ayush ne jaldi se palat kar dekha aur tabhi achanak uske sir se kuchh takraya aur ek jordar dard ke sath uske ankhon ke samne halka sa andhera ane laga. Usne apne sir ko pakde huye palat kar peeche ki taraf dekhna chaha par tab tak uski ankhein puri tarah se band ho chuki thin.




“Lord Darzaal... main woh Ring jald hi hasil kar lunga...” Nazim ne ek bade se band darwaje ke samne apne ghutne tekte huye kaha.



“Commander... Humein tumse yahi umeed hai... Lekin pichhle 700 saalon se hum is ghatiya taikhane mein kaid hain... aur humein tumhari baatein sunne se jyada kisi nateeze ki apeksha karte hai.” Us Darwaje ke ander Darzal ki gusse se bhari awaj ayi aur Nazim ke peeche khade uske sipahi thar thar kaampne lage.



“maine suna hai ki is baar Protector koi prithvi vaasi aam sa bacha hai... Humein jald hi woh Ring mil jayegi...” Nazim ne badi namrata ke sath Darzaal ko ashwashan dete huye kaha.



“Humein is baar us Ring ke ilawa aur kuchh bhi manjur nahi hoga... is baar Galmor ko hamari takat ke age jhukna hi hoga... hahaha...” Ander se Ek khaufnaak hansi ki awaj gunjne lagi. Us hansi mein ek alag sa khauf aur atank chhipa tha jise wahan khada har ek sipahi mehsus kar paa raha tha. Yahan tak ji Nazim bhi uske age apna sir uthane ko tyar nahi tha. Agle hi pal Darwaje par ek jordar dhakka laga aur pura darwar kaamp utha.



“Nazim... Humein bahar nikalo jaldi... woh Ring jaise bhi ho humare paas lekar ao....” Ander se Darzaal ki khatarnak awaj fir se pure darwar mein gunj uthi.



“ji Malik...” Nazim halke se khada huya aur usne apna chehra apne sipahion ki taraf ghuma liya aur unhein sambodit karte huye bola.... “mere bahadur sipahio.... humne pichhli kayi sadion se duniya mein maujud jhuthi aur khokhli ummeedon ke virrudh yudh lada hai... un murkhon ko sachi takat aur sache maksad ki koi khabar nahi hai... Lekin hum is duniya ko aise vyarath nahi jaane denge hum is sansaar ke har ek kone tak Lord Darzaal ka samrajya kayam karke rahenge... Chahe iske liye humein kitne bhi murakh pranion ki bali deni pade.... Lekin hamare is sarvotam maqsad ke liye humein us Jaduai Anguthi ki jarurat hai... taki hum Lord Darzaal ko is andheri kaal kothri se azad karwa sakein aur woh hamari is sachi ladayi ki aguwayi karke is duniya ka udaar karein... kya hum sab Lord Darzaal ke is maqsad mein sache dil se unke sath hain.....”



“haaaan ....” sabhi sipahi ek sath chilaye aur us darwar mein unke hi swaron ki gunj thi... Nazim ki hawa mein lehraati talwar uski puri sena mein Josh ki ek lehar bhar rahi thi.



“Bahut khud sathio... Mujhe tum sab se yahi umeed thi... Humein jald se jald woh Anguthi hasil karni hogi.... jab tak humein woh nahi mil jaati hum shaant nahi baith sakte... jald se jald humari sena ki alag alag tukdian us ladke ki talash mein niklengi jiske paas woh Jaduai Anguthi hai... ON THE NAME OF LORD DARZAAL...” Nazim ek baar fir se apni talwar hawa mein lehraate huye chilaya.



“ON THE NAME OF LORD DARZAAL....” sabhi sipahi bhi uske jawab mein utne hi josh se chilaye.... pure warship se Darzaal ke naam ke jaikare gunj rahe the...



“Waqt aa gaya hai dost....” Nazim ne apne paas khade ek saksh se kaha aur usne aage ek ishara kuchh sipahion ko kiya. Agle hi pal space mein tair rahi us vishal warship mein se anek chhote chhote spaceship earth ki taraf badhne lage. Nazim ek bade se Windshield ke samne khada us adbhut drishya ko dekhta raha jab uski sena uski sabse badi chahat ko pura karne ke liye nikal rahi thi. Uske chehre ki khushi uske man ki feelings ko achhe se vyan kar rahi thi.




Achanak Ayush ki aankh dhire dhire khulne lagi. Uske sir ka dar abhi bhi kahin gaya nahi tha. Uski nazar kuchh dhundhli si hi thi. Par dheere dheere usne apni ankhein stable karne ki kosish ki aur ek dhundhla sa darishya dikhayi diya toh woh kisi seat se bandha huya tha. Par woh yahan kahin bhi tha woh cheez still nahi thi kionk baar baar lag rahe jhatke use saaf mehsus ho rahe the. Fir thoda aur vision clear huya toh use samne ek ladki dikhayi di. Shakal nahi dikhi par lambe baal dekhkar usne ek andaza lagaya. Shayad driving kar rahi thi. Par yeh kaise ajeeb si gaadi hai. Ayush ne khud se hi sawal puchhne shuru kiye. Woh abhi bhi puri tarah se sahi nahi tha kionk use dikhayi toh sab de raha tha par sunayi kuchh bhi nahi.



“Oye ladke tujhe sun nahi raha kya.... hum crash hone wale hain...” Achanak se Ayush ke kaanon mein Ek Ladki ki awaj padi.



“kya kaha...” Ayush ko abhi bhi kuchh samajh mein nahi a raha tha. Agle hi pal uski ankhon ke samne windshield se dikhayi de rahe pedon ka bada sa area aya. Andhera kaafi tha bahar lekin Us spaceship ki light mein woh hare hare ped dikhayi de rahe the.



“Kya yeh Koi plane hai... bada khubsurat nazara hai us jungle ka...main is plane mein kaise aya...mujhe aisa kion lag raha hai ki woh jungle hamare paas a raha hai...” Ayush ne puchha. Ayush ki awaj sunte hi ek pal ke liye Sheena ne peeche hi taraf dekha par agle hi pal woh dobara samne dekhkar ship udaane lagi.



“ladke... tu thoda hausla rakh... kionk woh jungle paas nahi a raha hum neeche ja rahe hain.... meri spaceship ke sabhi engines fail ho gaye hain aur ab hum us khubsurat jungle mein crash karne wale hain...” Sheena ne thoda chidhte huye kaha.



“iski maa ki choot... behanchod main is doob rahe titanic mein kaise aya.... kon ho tum.... plz mujhe marna nahi hai... agar mujhe kuchh ho gaya toh Meri mom ka kya hoga....” Ayush chilate huye bola. Crash ki baat sunte hi woh pagal ho gaya tha aur lagatar Khud ko seat se khulwane ki kosish karne laga.



“Yaar tu chup karega... Ek toh teri wajah se meri ship ki maa chud gayi uper se tu mere kaanon ki baja raha hai... dekh agar abhi tune kuchh bhi bola toh tujhe akela chhod kar yahan se evacuate kar jaungi...” Sheena gusse mein chilate huye boli.



“theek hai meri maa... nahi bolunga... bas ek baar land kara de....” Ayush ne jor se apni ankhein band karli aur uper se apni jaan hi bheekh maangne laga. Use bas yahi umeed thi ki woh abhi apne bed se gire aur uski neend khul jaye. Par kismat itni bhi meharbaan nahi hoti. Sheena apni puri jaan laga kar kisi tarah ship ko land karwane ki kosish kar rahi thi kionk use pata tha ki agar Ayush ko kuchh bhi huya toh Elvis uski gaand maar lega. Usne apni gaand ka jor laga diya par kabhi chamach se samandar khaali huya hai bhala. Agle hi pal uski spaceship seedhi pedon se takrate huyi jameen par girne lagi. Ayush toh bas ankhein band kiye baitha tha. Metal se ped takrane ki awaj aur mehsus ho rahe jordar jhatke use yeh mehsus karwane ke liye kaafi the ki yamraz niche khud uski pratiksha kar rahe hain. Pedon ko todte huye Ship ki speed thodi kam jarur ho gayi thi lekin Abhi bhi itni jarur thi ki jameen par girne ke baad bhi spaceship kaafi dur tak jakar ruki. Raaste mein ped, paude, pathar jo kuchh bhi aya sab mitti mein mil gaya.



Spaceship ke rukte hi Sheena ne chain ki saans li. Lekin dar ke maare uska dil abhi bhi joron se dhadak raha tha. Usne jaldi se apni seatbelt kholi aur bhaag kar Ayush ke paas gayi.



“Oye... Ayush.... uth ja.... hlo... Ayush...” Usne Ayush ko uthane ki kosish ki par woh behosh tha. Usne Shukar manaya ki kam se kam woh abhi bhi zinda tha. Usne use bahar leja kar ek ped ke sahare bithaya aur kuchh sukhi ladkian laa kar thodi aag jala li. Usne ek baar Ayush ki taraf dekha toh use khud ki harkat par gussa ane laga. Usne ek galti se apne pure career ko daon par laga diya tha. Shayad Elvis ko use saja dene ka yahi mauka chahiye tha aur yeh Usne khud hi bana diya. Ab bas woh sab theek hone ka intezar kar sakti thi.
Behtareen shaandaar update
 
Top