UPDATE 2
“Yeh akhir hai kya?” Ayush un dono papers ko lekar bed par baitha unka muyana kar raha tha.
“Pehle subah koi door bell baja kar ise chhod gaya fir mere cycle par…. Koi majak kar raha hai kya? Par mere sath majak kon kar sakta hai?” Ayush soch mein pad gaya.
“Goli.... Han wahi hoga….. nahi nahi… wo nahi ho sakta… Pura time mere sath hi toh tha class mein… Aisa kon ho sakta hai jo mere ghar aur School dono jagah pahunch gaya.” Ayush ko kuchh bhi samajh mein nahi a raha tha. Tabhi door bell baji.
“Lagta hai mom a gayi.” Ayush ne wo papers bed ke side wale drawer mein daale aur uth kar darwaja kholne chala gaya.
“Hey baby…” Madhu ne age badh kar Ayush ke mathe par kiss kiya aur Ayush ne uske hath se uska suitcase aur laptop bag liya aur ander a gaya.
“apka din kaisa raha...” Ayush ne paani ka gilas Madhu ko dete huye kaha.
“It was ok... tum batao tumhari presentation kaisi thi?” Madhu ne paani peete huye puchha.
“presentation nahi mom... math test tha..” Ayush haste huye bola but Madhu thoda udaas ho gayi.
“kya huya mom?” Madhu ko aise udaas dekhkar Ayush ne puchha.
“i am sorry honey... main kaam ki wajah se tumhe bilkul bhi time nahi de paati... ulta tumhe mera dhyan rakhna padta hai..” Madhu ne mayus hote huye kaha. Ayush ne Madhu ke hath se paani ka gilas lekar table par rakha aur use chair par bitha kar khud uske samne ghutnon par baith gaya.
“Mom i still remember ki apne kaise mujhe paala hai and I know ki ap kitni mehnat karte ho pura din... agar main apke liye thoda kar dunga toh usse apka pyar kam thode na ho jayega. And i am not a kid anymore .... ap sirf apna khyal rakhiye baaki meri fikar mat kijiye ap...”
Ayush ki batein sunkar Madhu ke ankhon mein ansoo the usne halka sa muskura kar apne ansoo saaf kiye aur Ayush ko utha kar use hug kar liya “i love you Baby...” Madhu ne uske mathe ko chumte huye kaha.
“i love you too mom and plz yeh sab rona dhona band kijiye aur jakar fresh ho jaiye... Fir mil kar dinner karte hain.” Ayush ne Madhu ke gaal kheechte huye bola. Jisse Madhu ki hansi chhut gayi.
“pagal kahin ka... Kabhi kabhi lagta hai ki tu meri mom hai.... tu khana laga main ayi das minute mein fresh hokar...” Madhu hanste huye seedian chadhte huye uper chali gayi.
“lalalalala… maan ke dil ka kaha… main kahin ka na raha…” Ayush gaane gungunate huye khana table par lagane laga. Thodi der baad Madhu bhi niche aa gayi.
“Kya baat hai bada khus lag raha hai aj?” Madhu ne Ayush se puchha.
“Are kuchh nahi mom… ap baithiye… khana thanda ho raha hai.” Ayush ne baat taalte huye kaha.
“Yup baby… Vaise khushbu badi achhi a rahi hai.” Madhu boli.
“thanks mom…” Ayush ne jawab diya.
“Chal jaldi se khana shuru karte hain… wait nahi hota ab…” Madhu ne Ayush ki khana proshne mein help ki. Fir dono aram se khana khane lage. Ayush baar baar kuchh yaad karke khus huye ja raha tha. Madhu ne use notice kiya.
“lagta hai kuchh toh baat hai jo itna khus ho raha hai aj… Achha hi hai… haste huye achha lagta hai…” Madhu ne man hi man socha aur halka sa muskura di.
“Thak thak" “thak thak" darwaja khatkane ki awaj ayi.
“Are yaar Is waqt kon hai ab?” Ayush ankhein malte huye bistar se khada huya.
“ek minute… Yeh darwaja khatkane ki awaj meri balkani se ayi hai kya?” Ayush ne thoda samjhne ki try ki. “lekin behanchod koi meri balkani tak kaise pahunch gaya?”
Ayush buri tarah se ghabra gaya. Usne jaldi se kamre ki light on ki aur bed ki side mein pada guldaan utha kar balkani ki taraf chal pada. Usne ek baar gehri saans li aur uper wale ka naam lekar darwaja khol diya.
Usne apna guldaan uper uthaya par balkani mein koi bhi nahi tha. Bas fir se darwaje par wahi kagaz aur us par wahi ajeeb sa nishan.
“Kya yaar… Ab yeh kya bakchodi hai. Sala itni raat ko bhi kisi ne iske liye uthaya aur behanchod yeh konsa bander hai jo pehle maale par bina seedi ke chadh gaya.” Ayush ne neeche ki taraf dekhte huye kaha. Usne woh kagaz ka tukda liya aur Darwaja band karke wapis ander a gaya.
“Akhir yeh hai kya... Yeh sign jarur koi hint yah kuchh paheli bagera hoga.... par yeh sab kar kon raha hai.... Sala kab ata hai kab jata hai kuchh samajh hi nahi a raha....” Ayush ne woh teeno paper eksath bed par failaye aur unhein dhyan se dekhne laga.
“yeh kya hai yaar... Ek bada sa circle usmein yeh ajeeb se triangle bane huye hain aur yeh ajeeb si bhasha mein kuchh shabad likhe huye hain... sabse badi baat yeh chahta kya hai mujhse.... kuchh samajh mein nahi a raha....” Ayush kuchh der aise hi baitha sochta raha. Time dekha toh raat ke 1 bajne wale the.
“chhod yaar abhi so hi jata hun... subah dekhi jayegi.... Goli se baat karta hun kal ko...” Ayush ne woh kagaz wapis se drawer mein rakhe aur light band karke bed par late gaya.
“Good Morning Rosebowl. Main hun apki apni Anjali. Aur ap sun rahe hain Rosebowl Radio. Apki mast subah ko aur mast banane ke liye suniye ek tadkata fadkata gaana.”
Roz ki tarah Ayush Radio chala kar nashta bana raha tha par uska dhyan gaane taraf tha hi nahi.
“yaar akhir wo hai kon… jisne meri neend haraam kar rakhi hai… yaar jitni shiddat se wo meri lene pe tula hai usse ek baat toh saaf hai ki koi mazak toh nahi kar raha… Raat ke 1 Baje kisko Pamphlet baantne ke daure padte hain…” Ayush ne man hi man socha. “Agar mere ko ek baar mil jaye na toh main….”
“babyyy…” Pichhe se Madhu ke chilane ki awaj ayi.
“Oh Shit yeh toh pura jal gaya….” Ayush ne chule par pade nashte ka haal dekha toh usmein se dhuyan nikle ja raha tha. Usne jaldi se gas band kiya aur pan ko utaar kar side mein rakh diya.
“Kya huya Ayush… tumhara dhyan kahan tha beta?” Madhu ne puchha.
“I don’t know mom… Pata hi nahi chala… ap bas do minute rukiye main apke liye sandwich bana deta hun…” Ayush ne refrigerator ka door kholte huye kaha.
“that’s ok Honey…. I am getting late… main bahar se kha lungi… aur tum bhi late ho jaoge…” Madhu ne kaha.
“Ok… are you Sure ki ap bahar se kha lengi?” Ayush ne puchha.
“are han beta… sach mein kha lungi…” Madhu ne muskurate huye kaha aur wo Ayush ko mathe par kiss karke ghar se chali gayi.
“shit yaar… Yeh sign ke chakkar mein toh mera nashta bhi jal gaya…chalo pehle toh ise hi saaf kar deta hun…” Ayush ne Refrigerator band kiya aur pan utha kar Sink mein le gaya.
“hashhh… yeh toh ho gaya ab bas main fresh ho jata hun fir tab tak Goli bhi a jayega…” Ayush uper apne room ki taraf jate huye bola.
“Ting Tong” Darwaje ki ghanti baji.
“Lagta hai Goli a gaya… yah fir wahi Ninja Postman na ho…” Ayush hanste huye khud se bola aur darwaja kholne chala gaya.
“Abe sale tu tyar nahi huya abhi tak?” Goli ne Ayush ko dekh kar kaha.
“Are nahi yaar... aur tu ander a... Mujhe tujhse kuchh baat karni hai.” Ayush Ne Goli ko ander kheench kar darwaja band kar diya.
“kya huya tujhe... Itna pareshan kion lag raha hai... aur aj tujhe school nahi jana kya??” Goli ne sawalon ki barsaat karte huye kaha.
“Abe chodulaal... zara saans toh lele... Tu uper kamre mein chal tujhe sab batata hun...” Ayush bola.
“Bhai kamre mein jaane ka time nahi hai... Tu jaldi se tyar hoja humein school jana hai..” Goli bola.
“Abe bhaad mein jaye school... Yahan meri raaton ki neend gayab hai aur tujhe school jane ki padi hai...” Ayush chidhte huye bola..
“Par huya...” Goli itna hi bola tha ki Ayush ne uska hath pakda aur khinchte huye uper jane laga...
“Abe ata hun yaar... Tu toh serious hi ho gaya...” Goli Ayush se bola par woh toh seedha Room mein hi jakar ruka. Usne bina kuchh bole woh teeno paper Drawer se nikale aur Apne study table par rakh diye. Goli ne ek baar un papers ki taraf dekha aur fir Ayush ki shakal par jo ki ekdum serious huyi padi thi.
“kya hai yeh...” Goli ne puchha.
“Wahi toh main janna chahta hun ki hai kya yeh... kal se koi meri lene pe tula hai... Pehle koi doorbell baja ka mere darwaje par chhod gaya fir Dopehar mein school parking mein mere cycle par... chal yeh sab theek tha par bhai sahab raat ko 1 baje meri balkani mein pahunch gaye... bhai pata nahi konsa maal funk ke baitha hai koi...” Ayush ne puri baat batayi.
“Toh tune kaha ki raat ko koi teri balkani mein yeh kagaz chhod kar gaya...” Goli ne Hairani se puchha.
“han... sahi suna tune...” Ayush bola.
“behanchod yeh kaise ho sakta hai... Teri balkani mein bahar se koi kaise pehle maale par a sakta hai?” Goli chaukte huye bola.
“Abe yaar tu kya yahan par time waste kar raha hai... Yeh Jo bhi hai... kuchh palle nahi pad raha... Tu pehle yeh dekh ki yeh kya hai is paper par...” Ayush ne us Sign ki taraf ishara karte huye kaha.
Goli ne unmein se ek paper uthaya aur use dhyan se dekha. Fir baari baari sabko check kiya...
“haha" Goli achanak se hasa.
“kya huya?” Ayush ne puchha.
“kuchh nahi... soch raha tha ki kitna chutiya hai koi... Ek paper baar dene ke liye kitni ghis raha hai apni...” Goli hanste huye bola.
“Oye Chamanlaal ke chodu... Tu kya yahan yeh gande joke sunane aya hai... Tu ek kaam kar tu school ja main khud hi kar lunga...” Ayush ne uske hath se paper chhinne ki try ki.
“Abe rukja... Mujhe pata hai ki yeh kya hai...” Goli us paper ko jor se pakadte huye bola.
“Achha... chal bata kya bawaseer hai yeh?” Ayush ne puchha.
“matlab mujhe exactly nahi pata but itna pata hai ki yeh Sign The Order of Ethan ka hai.” Goli ne kaha.
“Kya... konsa order... aur yeh hai kya?” Ayush ko kuchh samajh mein nahi aya.
“achha tu do minute mujhe apna laptop de main tujhe dikhata hun.” Goli ne apna backpack side mein rakhte huye bola.
“Ok... Yeh le..” Ayush ne use apna Laptop lakar de diya. Goli ne use study table par rakha aur chair par baith gya. Usne laptop mein log in karke internet par The Order of ETHAN search kiya. Wahan bahut se articles ke sath us Sign ke photos khul gaye. Ayush Goli ki chair ke peeche khada sab dekh raha tha but use kuchh samajh mein nahi a raha tha.
“Yeh sab kya hai?” Ayush ne puchha.
“Toh actually maine ek baar ek book padi thi The Secrets of the Galmor... Basically Writer ke according Galmor ek old human civilisation thi jo magic aur Divine Brilliance mein maante the. Aur unhone hi apni ek Secret Community banai thi The Order of ETHAN. Uske writer ne is bare mein jyada kuchh toh nahi bataya but yeh jarur likha tha ki woh log kuch research wagera karte the.” Goli ne Ayush ko pura explain kiya.
“Ek minute... Toh basically tu kehna chahta hai ki koi mujhe kisi fictional organisation ke fictional Symbol ke parche baant ta fir raha hai... Yaar tu baat ko suljhane ki jagah aur uljha raha hai..” Ayush gusse mein bola.
“han ek baat aur ki us Writer ne yeh bhi likha tha ki The Order of ETHAN abhi bhi exist karta hai aur kahin na kahin se chhip kar operate karta hai.” Goli ne baat ko age badhaya.
“Achha theek hai... main samajh gaya... par is sab se mera kya lena dena?” Ayush jor se chilaya.
“Ab pata nahi us Writer ne itna hi likha tha... Maine uska aur koi article dhundhne ki bahut kosish ki taki isse age ki story padhne ko mile but baad mein pata chala ki yeh wala article likhne ke 2 din baad hi woh achanak gayab ho gaya tha aur aj tak nahi mila...” Goli ne thoda sanjida hote huye kaha.
“Sale tu mujhe abhi dara raha hai... kahin tu hi toh koi ganda majak nahi kar raha...” Ayush ne Goli se puchha.
“kya yaar... mummy kasam maine kuchh nahi kiya... aur yaar tujhe lagta hai ki main balkani mein bina seedi ke chadh jaunga...” Goli ne apne pet ki aur ishara karte huye kaha.
“Sorry yaar... bas main thoda pareshan hun...” Ayush bola.
“koi baat nahi... tu ek kaam kar... Tu fresh hoja... hum school jakar library mein check karte hain agar kuchh mila toh...” Goli ne kaha.
“Han theek hai... Tu yahi baith... main do minute mein aya... Fir dekhte hain ki yeh hai Kya... The Order of ETHAN...” Itna bol kar Ayush Washroom mein chala gaya aur Goli wahin baitha Internet par kuchh dhundhne ki kosish karta raha.