UPDATE 5
“Abe tu sach bol raha hai kya?” Goli ne Hairan hote huye puchha.
“Han yaar… main bhala jhuth kion bolunga… Yeh dekh…” Ayush ne ek chalang lagakar Goli ko dikhaya.
“Wow… Toh iska matlab yeh Ring magical hai…” Goli ne Ayush ki ungli mein pehni huyi Ring ki taraf dekhte huye kaha.
“Han… lag toh aisa hi raha hai… but mujhe nahi lagta ki yeh sirf yahin tak Limited hai…” Ayush ne Goli se kaha.
“Kya matlab… main kuchh samjha nahi…” Goli ne Ayush se kaha.
“mujhe lagta hai ki main sirf kudne ki bajaye aur bhi bahut kuchh kar sakta hun… Mujhe nahi pata kya par dekhna jarur chahunga ki is Ring mein aur kya khasiyat hai.” Ayush ne kaha.
“Dekh tera Idea achha hai but mujhe nahi lagta ki yeh karna sahi rahega… agar kuchh gadbad ho gayi toh khamkha lene ke dene pad jayega…” Goli ne jawab diya.
“yaar tu itna darta kion hai… aur vaise bhi jisne bhi mujhe yeh bheji hai... Mujhe yunh circus ke bander ki tarah kudte huye toh nahi dekhna chahta hoga...” Ayush ne kaha.
Ayush ki baat sunkar Goli thoda soch mein pad gaya. Wo sofa se uth kar idhar udhar chakkar kaatne laga aur Ayush use side mein khada dekh raha tha.
“ab tu kya chakkar kaat raha hai...baith ke baat kar na...” Ayush ne kaha.
“Pata nahi yaar... but mujhe kuchh theek nahi lag raha... BTW agar tu yeh chutiyapa karna hi chahta hai toh its better ki main tere saath rahun...” Goli ne kaha. Ayush ne uski baat sunkar kar khush hote huye use gale laga liya.
“ab yeh huyi na mere best friend wali baat...” Ayush ne uske kandhe par hath rakh kar kaha.
“Han theek hai jyada maska mat maar... chal bol kahan jakar gaand marani hai...” Goli bola.
“Pata nahi.... par koi aisi jagah yahan koi aur na ho...” Ayush ne kaha.
“ab aisi konsi jagah hai... behanchod Jungle mein chale jayein kya?” Goli bola.
“Tera Idea bura nahi hai but Jungle kuchh jyada hi ho jayega... par uske aas paas mere dimag mein ek jagah hai...” Ayush ne kaha aur muskurate huye Goli ki taraf dekha.
“behanchod tu kahin Uphill park ki baat toh nahi kar raha na... dekh main tere sath jahnum tak ja sakta hun but wahan nahi...” Goli ne saaf mana karte huye bola.
“bhai dekh mana mat kar... ab agar humein experiment karna hi hai toh wahin chalte hain na... wahan koi nahi hoga....” Ayush ne Goli ko manane ki kosish ki.
“Abe sale... wahan koi nahi jata uske peeche bhi toh koi wajah hogi na... behanchod jitni chadhayi chadh kar banda wahan tak jayega utne mein chaand ke teen chakkar lag jayein... bhai dekh chahe tu mujhe pure duniya jahan ki daulat dede toh bhi main wahan nahi jaunga... matlab nahi jaunga...” Goli ne puri tarah se baat ko nakaar diya. Aur Ayush bhi uske bina hi bahar ki taraf chal pada. Goli usko kuchh bolta usse pehle woh darwaje ke bahar chala gaya.
“Mat ja sale... main akele hi ja raha hun tu bas jaate huye darwaja lock kar jana...” Ayush bina Goli ki taraf dekhe ghar se bahar nikal gaya. Usne apna cycle uthaya aur fencing ka gate kholke north ki taraf chal pada.
“Abe dheere chal bhai… mujhe bhi ane de… behanchod khud toh marega… Mujhe bhi marwayega kisi din…” peeche se Goli ki awaj ayi toh Ayush ne peeche mud kar dekha.
“behanchod tu toh bol raha tha ki jahan ki puri daulat bhi tujhe dedun toh bhi tu nahi ayega… ab kya huya…” Ayush ne gusse mein kaha.
“han nhi ata sale… but tere jaise gadhe se dosti ki hai toh marwani toh padegi na… aur vaise bhi agar tujhe kuchh ho gaya toh main yahan kya karunga… toh socha tere sath main bhi parlok sidhar leta hun…” Goli hanste huye bola.
“Behanchod tu bhi na bade darame karne laga. Sale itna bhi kuchh dur nahi hai… Thodi himmat se kaam le.. dekh do minute mein pahunch jayenge…” Ayush Goli ko hausla dete huye bola. Samne se Goli ne ek smile pass ki par uske peeche ke dard ko sirf Goli ki janta tha. Kionk uske mutabik aj woh dono stretcher ke bina ghar nahi ane wale the.
Pure ek ghante ke baad woh dono hill street par apne cycle khinchte huye ja rahe the. Tirchi chadhayi wali yeh chhoti si pavement seedhi park tak jaati thi. Ek taraf sirf jungle tha aur dusri taraf ek gehri khayi jo ki ek Lohe ki unchi railing se protected thi.
“bas bhai main thak gaya hun yaar… aur nahi hota…” Goli chalna band karke wahin ruk gaya. Aur uper jaate huye us antheen raaste hi taraf dekhne laga.
“Abe himmat kion haar raha hai… bas thodi dur aur hai… Tu bas dheere dheere chalta reh…” Ayush ne kaha.
“are bhai dekh tu toh bander ki tarah kud sakta hai na toh hum cycle se kion ja rahe hain.... Yaar kudte huye pahunch ja na wahan par...” Goli jameen par baithte huye bola.
“mote uthja yaar... faaltu time kion kharab kar raha hai...” Ayush ne Goli ko kheenchne ki kosish ki par woh khud bhi thoda thak chuka tha aur wahin uske bagal mein baith gaya. “sorry yaar...”
“kion kya huya...” Goli ne Hairani se puchha..
“Kuchh nahi... soch raha hun ki wapis chalte hain... actually humein ana hi nahi chahiye tha... behanchod mujhe toh yeh samajh mein nahi a raha ki yeh park yahan banayi hi kion... jab koi pahunch hi nahi sakta...” Ayush ne chidhte huye bola.
“Shukar hai... tumhe der se hi sahi par akal toh ayi... behanchod faltu mein meri gaand faad di... saale hamesha overexcited hone se kuchh nahi hota... Thoda dhyan se socha kar...” Goli ne Muskurate huye kaha.
“Sorry yaar... Abhi thodi der baith ke wapis chalte hain...” dono wahin baith kar thoda aram karne lage.
“vaise tujhe pata hai... meri mummy kehti hain ki yeh park kisi alien ne banayi thi aur wahan se sunset bahut khubsurat dikhta hai...” Goli ne kaha.
“Han behanchod koi insaan toh aisa kaand kar nahi sakta... behanchod jitni uper tak yeh rasta jata hai aadmi khud hi suraj ke paas pahunch jata hoga...” Ayush haste huye bola.
“Sahi kaha.... Yeh le cold drink pee aur chill kar...” Goli ne apne bag se Cold drink ke do Cans nikal kar ek Ayush ko de diya aur dono use peete huye batein karne lage.
“Chal abhi wapis chalte hain...” Thoda aram karne ke baad Ayush ne Goli se kaha aur woh dono apne cycle lekar wapis chal pade. Woh dono dheere dheere batein karte huye chale ja rahe the. Andhera hone laga tha aur age chal kar rasta dono taraf se pedon se ghira huya tha.
“Abe tune koi awaj suni kya...” Goli ne thoda ruk kar Ayush se kaha.
“Nahi... Maine toh kuchh nahi suna...” Ayush ne jawab diya aur dono fir se chalne lage. Par thodi der baad jhadion mein se kisi ke chalne ki awaj ayi aur is baar Ayush bhi ruk gaya.
“tu isi awaj ki baat kar raha tha...” Ayush ne Goli se puchha.
“han... is baar tune bhi suna na...” Goli ne thoda darte huye kaha.
“han yaar... lagta hai koi hai yahan par...” Ayush ne kaha.
“ab kya karein...” Goli buri tarah se ghabra gaya.
“karna kya hai bas jaldi jaldi chalta reh... Thodi age chal kar hum sehar mein pahunch jayenge...” Ayush ne Goli se kaha aur dono Cycle par baith kar use jitni tez ho sake bhagane lage. Abhi dono thodi dur hi pahunche the ki achanak unke raaste mein ek aadmi akar khada ho gaya aur woh dono achanak se ruk gaye..Pata nahi aadmi tha bhi yah kuchh aur... par andhere mein kisi insaan jaisa hi lag raha tha.
“bhai... Yeh toh apni taraf hi a raha hai...” Goli ne darte huye Ayush se kaha. Uska dar ke mare gala sukhe ja raha tha.
“Kon ho bhai... raaste se hato aur humein jane do...” Ayush ne Chila kar usse kaha aur tabhi use apne peeche se kisi ke ane ki awaj ayi. Usne peeche palat kar dekha toh udhar se bhi koi unki taraf chala a raha tha. Ab Ayush bhi thoda ghabra gaya. Tabhi samne se aa raha shakas unke kareeb pahunch gaya. Usne apni bagal se talwar nikali aur seedha Ayush ki taraf taan di.
“Lao bache ring mujhe dedo aur chup chap ghar chale jao...” un aadmi ne Ayush se kaha.
“Kon ho tum... Aur kis ring ki baat kar rahe ho... mere paas koi ring nahi hai...” Ayush ne Anjaan banne ka natak kiya.
“achha toh tumhare hath mein kya hai...” usne Ayush ke hath ki taraf ishara karte huye kaha aur woh Ayush ki taraf badhne laga. Isse pehle ke woh Ayush ke paas ata Usne ek jor ki chalang lagayi aur us aadmi ke uper se kudne ki sochi. Lekin isse pehle ki woh aisa kar pata us aadmi ne use hawa mein hi dhar dabocha. Usne Ayush ko kisi khilone ki taraf patak kar jameen par fenka.
“ahhhhhh....” Ayush jor se chilaya aur neend se uth gaya. Usne dekha toh woh abhi apne kamre mein aram se so raha tha. Usne jaldi se apne phone ko utha kar dekha toh abhi tak raat hi thi.
“behanchod... main bas sapna dekh raha tha... matlab woh subah subah unchi chalang lagana aur fir woh Goli ke sath... Yeh sab sapna tha...” Ayush paseene se tar neeche hi jameen par baitha tha. Use kuchh samajh mein nahi a raha tha.
“kya huya bache... neend se uth gaye kya...” Ayush ko fir se wahin awaj sunayi di jo Ayush ne Ring pehnne ke baad suni thi. Magar is baar woh hosh mein tha aur abhi abhi gaand faad sapna dekh ke hata tha.
“kon ho tum... kya chahte ho mujhse...” Ayush ne gusse se chilate huye kaha.
“tum ne kya socha tha ki Yeh Ring tumhe kisi superhero mein badal degi.... aur superhero bhi kahan... bander kehna jyada sahi rahega...” us Awaj ne hanste huye kaha.
“Tumhe kaise pata ki main kya sapna dekh raha tha... aur tum ho kon aur mere peeche kion pade ho...” Ayush ne puchha.
“mujhe kaise pata usse koi farak nahi padta... Magar tumhe pata hona chahiye ki yeh Ring koi inaam nahi hai... Yeh ek jimmedari hai... agar tumhe lagta hai ki yeh Tumhein isi liye di gayi hai ki isse tumhe shakti milegi toh tum galat ho... Yeh tumhe di gayi hai taki tum iski raksha kar sako...”
“Tum kon ho... kya bol rahe ho... Mujhe kuchh nahi pata... aur mujhe yeh Ring Nahi chahiye... ise kisi aur ko dedo bhai... main bas ek normal sa High school ka bacha hun... Mujhe wahi rehne do... agar meri mom ko iske bare mein pata chala toh unhone alag se meri class lagani hai... aur yaar main koi fighter nahi hun jo main iski raksha karun...” Ayush ne kaha.
“Vaise tum kon ho yeh toh shayad tumhe pata hi nahi hai... par maaf karna yeh Ring ab tumhare paas hi rahegi... matlab kam se kam jab tak tum mar nahi jate tab tak toh rahegi hi... Abhi aram se so jao subah baat karte hain...”
“mar nahi jate... kya matlab... behanchod kon ho tum...” Ayush gusse mein bola par samne se koi utar nahi aya. Usne thoda intezar kiya par koi jawab na milne par woh jameen se khada huya aur apne hath mein pehni Ring ki taraf dekhne laga. Usne kuchh socha aur fir Jor se chalang lagayi par woh Normal hi thi. Uska woh “monkey Jump” bas sapne tak hi simit reh gaya.
“Behanchod jaadu ke naam pe Scam ho gaya... gaand maraye iski Ring aur uski Raksha... saale ne chaukidaar samajh rakha hai kya...” Ayush ne Ring utar kar Khidki se bahar fenki aur rajayi lekar let gaya. Par agle hi pal woh Ring fir se uski ungli mein thi. “han behanchod tu meri hi gaand mein ghus bas...”