• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

Agasthya

I am vengeance
Staff member
Moderator
30,944
14,696
259
Update:-60





Dono ke shwans chadhi hui thi. Najren ek dusre ko nihar rahi. Honth bilkul farak rahe the. Chehre par pyari muskaan fail rahi thi. Dono ke dil gudguda rahe the. Ek mandur ehsas me khone lage the...


Sia apne hoton se Vyas ke poore chehre par dime se funkti... "Shahstri ji mamla jab khud ke hath me ho na to aise surrender nahi karte"…


Funk ka asar aisa tha ki Vyas ki aankhen band ho chali thi. Sia ki baat sun kar Vyas jhatke me aankehn khola, lekin uss se pahle hi Sia hath badha kar trial room ki kundi khol chuki thi. Jaise hi Vyas aankh khola Sia hansti hui Vyas ko aankh maari aur uske hath ke niche se nikal kar trial room se furrr ho gayi...


Sia hansti aur chakati kabhi Vyas ke baal ko bikhed rahi thi to kabhi uske gaal khinch rahi thi. Vyas gambhir sa muh banaye bus turchhi najron se Sia ko dekh kar apne jhuthe gusse ka izhar karta raha...


Lekin Sia ki adaa. Public ke bhid me sabse najar bacha kar Vyas ko chikoti kaat le aur 2 kadam ki duri bana le. Vyas badla lene ek kadam Sia ke ore badhta to Sia 4 kadam aage chali jati. Bechara Vyas, bus ander hi ander hans kar rah gaya lekin aaj ki shaam usse badla lene ka mauka nahi mila...


Yun to Vyas, Sia ko chhod kar jana nahi chah raha tha, lekin ghar se phone aa gaya aur sab ko 7 baje ki flight leni thi isliye Vyas ko ghar bula liye. Idhar ghar par wakai me Meera ne sab sambhal liya tha aur Som ko isharon me samjha gayi ki iss trip ka kharcha usse hi uthana hai.


Meera ki wo natkhat adaa aur dhime se kaan me kah dena... "Apne sasural walon ka khyal rakhiye sir" …


Khair.. Shahtri family se Nirali, Shahstri dampatti aur Meera ja rahi thi. Aane jane se le kar Mathura ki sari vayvastha ho chuki thi. Taxi me sab ko chhodne ke baad Vyas ghar pahuncha.


Sia ki harkaten usse baar-baar yaad aa rahi thi. Dil ko gudguda rahi thi. Kisi tarah khud par kabu kiye apni routein padhai khatm kiya. Padhai khatm karne ke baad mobile uthaya hi tha ki udhar se Sia ka message aa gaya... "Ghar me sab ke bich baithi hun. Kal baat karna"…


Idhar se Vyas angry emoji dete... "Nahi abhi bus 2 min"..


Sia bhi udhar se angry emoji deti... "Noooo"..


Vyas:- Thik hai main wahin aa raha hun..


Sia:- Rukooo.. main fansi na Shahstri to dekhna...


Sia kisi tarah sab ke bich se uthi aur Vyas ko call lagayi… "Kya hai sweetooo bacchon ki tarah jid karne lage ho"..


Vyas:- Kal milte hain...


Sia:- No... kal Sunday hai Diksha mujhe chhodegi nahi...


Vyas:- Main kuchh nahi janta, tumhe aana hoga...


Sia:- Please lovee... Mere sweeto jid nahi karte...


Vyas:- No.. kal milna hai... Subah chali aana... Sab kaam me vyast hote hain. Jab tak khyal aayega tum laut jana...


Sia:- Areee subah subah kaun apni girlfriend se milta hai..


Vyas:- Main milunga na. Aur iss par koi bahas nahi...


Sia:- Sweetoooo please…


Vyas:- Ab logon ke bich jane ki der nahi ho rahi...


Sia, thunakti... "Main kal nahi aa paungi"..


Vyas:- Subah main tumhari society ke Chaurahe ki baye sadak par intzar karunga… byeee..


Sia:- Sweetooo, Vyass...


Huhhh rakh diya... Lagta hai kal pakka fasungi... Main fasi na tab Shashtri ko batati hun... Kah rahi hun kal Sunday hai Diksha nahi chhodegi.. fir bhi jid pakad liya... Mera pyara jiddi.... Umaaahhh love you.. Chalo kal ye dar wala milne ka maza bhi le lete hain..


Ravivar ki subah thi. Chhuti ka din. Friday night Asif ne kuchh jyada hi pahle Jannat ko sunaya tha. Fir Aqsa se phone par bahas ho gayi. Jannat ko to kisi tarah mana liya tha Asif ne, lekin Aqsa muh fulaye baithi thi.


Fir khel shuru hua manane ka. Friday night se kosis shuru thi. Saturday evening ko aaram se ek baar fir Asif aur Aqsa bike par sawar the. Dar aur masti ke bich ka ye bike ride Aqsa ko kafi romanchit kar raha tha aur yahi vajah thi ki wo Sunday morning ghar walon ki najron me dhul jhonk kar Asif ke sath nikalne ko taiyar thi.


Taiyar bhi aisi ki ghar wale dang the. Aaj tak jo kabhi apna muh na dhaki, wo poore parde me thi aur sabab ke liye apni kuchh saheliyon ke sath aaj garib bacchon me biryani baant'ti. Bada bhai, aami, abbu sab bilkul khush. 3000 rupya bhi de dale...


Loveria ke kide kate 2 aur bimar.. bole to Vyas aur Sia bhi aaram se nikal rahe the. Sia to bina kisi ko kuchh bataye tahalti hui mukhya dwar tak aayi aur kab bahar nikli kisi ko pata tak nahi chala. Subah-subah sab apne kaam me lage the...


Ravivar ki subah Makhan laal Chaturvedi bole to netaji bhi pahunch gaye apne rishte me lage mausere bhai Kapendra Mishra se milne. Dono ki jugalbandi kuchh der tak chali aur Kapendra Mishra, Makhan Lal Chaturvedi ko apne ban rahe naya makan dikhane le gaya..


Lata Mishra ke pass baith kar Pranshu baaten kar raha tha. Dono ek dusre se apni-apni bhavnayen bayan kar rahe the. Baton ke dauran hi baat Meera ki hone lagi. Lata Mishra thodi serious hoti...


"Pranshu beta tumhe bura to laga hi hoga, Meera tumhari shadi me nahi aayi?"


Pranshu:- Nahi mammi ji, mujhe koi gila nahi.


Lata:- Fir bhi beta...


Pranshu muskurate huye... "Ghar ki sab se chhoti ladki hai. Meri aur meri maa ki thodi ladli bhi hai. Usse khud afsos ho raha hoga ki wo shadi me kyun nahi thi? Main uss se naraj ho kar kya karunga"…


Lata:- Nahi fir bhi kuchh to baat rahi hogi...


Pranshu:- Mammi ji, jane do na koi bhi baat rahi ho. Wo Lucknow me khush hai.


Lata Mishra, Pranshu ka chehra bade dhyan se dekh rahi ho. Wo padhne ki kosis kar rahi thi ki Pranshu ke ander chal kya raha hai. Wahin Pranshu, baat ko badalte huye... "Mammi ji, aap Som ki shadi ko le kar kuchh sochi ki nahi?"


Lata:- Main sochne wali kaun hoti hun beta. Jodiyan to aasmano me banti hai... Baki dekhte hain... Waise teri biwi nahi dikh rahi...


(Dikh to aap ka beta bhi nahi raha hai mammi ji... Dono baithe kar aaram se sutta maar rahe honge..)… Pranshu dhime se budbudaya..... "Kya hua kya bol rahe?"…. "Kuchh nahi mammi ji"


Lata:- Chalo ghum kar aate hain... Tumhe dikha laati hun apna naya makan...


Pahle Kapendra Mishra fir Lata Mishra dono hi Som aur Sia ko bina bataye makan dekhne chal diye the. Idhar Som aur Diksha aaram se ghar ke pichhe ja kar ek-ek kas sutta khinchte...


"Tu khush to hai na Diksha?"…


Diksha:- Tu meri khushi ki chhod, uski dekh bhal karne ke tum sab ne ek pyara sa jivan sathi diya hai. Tujhe aur pitaji ko uske liye dil se dhanywad...


Som, Diksha ka matha thokte… "Itni formal"..


Diksha:- Kyun na rahun itni formal... Bata ki kis baat se pareshan hai mera chhota Som…


Som:- Very funny... Chal rahi jindgi hi suspence hai aur suspence jahan hoga wahan confusion bhi hoga... Usse pareshani ka naam na de...


Diksha:- Sab samjhti hun re Som, koi ladki aa gayi hai iss vishwamitr ke jivan me... Tu nahi teri aankhen bata rahi...


Som:- Isse apne vichar dusron par thopna kahte hai... Tu kuchh bhi maan sakti hai jhalli...


Diksha:- Jaldi se shadi kar le shadi ke baad bade maze hain...


Som:- Pagal kahin ki... Kuchh bhi bolti hai..


Diksha:- Haan beta mauj masti ke naam se main bhi samjh rahi hun tere soch ke ghode kahan daur rahe hain...


Som, ghurti najron se Diksha ko dekhte... "Karegi bakwas"..


Diksha:- Shadi kar le sudhar jayega. Biwi aayegi to har sukh suvidha ka dhyan rajhegi. Khyal rakhne wali biwi hogi aur kitchen se aawaj aayegi.. Ae ji sunte ho..


Som:- Tu bhi ae ji o ji karti hai kya?


Diksha:- Aur nahi to kya.. bada maza aata hai...


Som:- To ja na apne ae ji o ji ke pass subah-subah mera matha chat rahi...


Diksha, Som ke baal ko mutthi me pakad kar khinchti... "Uske pass jane ke liye teri salaah ki jaroorat nahi hai. Chal ghar dikha... Mujhe laga grih praves ka muhrrat nikal raha hoga, lekin tune to koi update hi nahi diya"..


Som:- Jamin par kisi neta ne kabja kar liya hai...


Diksha:- Kya????


Som:- Jamin par kisi ne kabja kar liya tha lekin aaj 12 se 2 baje ke bich poora mamla nipat jayega.


Diksha:- Hua kya tha?


Som, Jamin ke kabze ka poora mamla batane ke baad.… "Tum log jis din aaye the ussi din main settlement ke liye gaya tha. 4400 sq ft ki jamin usse 6 lakh me chahiye thi. Soch to tabhi liya ki ab lagta hai mamla settlement se nahi hoga. Ussi waqt 5-6 majdoor aaye, jo sidha sofe par baith gaye. Unki juban urdu aur punjabi mix thi. Yahan ki bhasha to bilkul nahi thi"…


Diksha, chaunkti... "Matlab.."..


Som:- Haan matlab wahi ki bhagwan ne uski Lanka dhane ka mauka de diya. Wo sabhi aadmi militents hi the. Jaise hi mujhe shak hua turant unki tasveer lee aur dad ko bhej diya. Unhone 3-4 agency me wo tasveer circulate kar diya. Ussi sham mujh se ek mejor ne sampark kiya aur aaj uska operation chalega. Zerul Imam ke tamam logon ki khak chhan lee gayi hai. 2 strong witness ke dum par defence wale aaj unhe naap lenge ..


Diksha:- Aur un 2 witness me se ek to tu hi hoga ..


Som:- Nahi… Main to bus informer hun... Khair aaj ye case na bhi hota to bhi mangalvar ke din main usse naap chuka hota ..


Diksha:- Kaise...


Some apne mobile se ek pdf file kholte.… "Lucknow ke 48 top sites uske kabje me hain. Poora evidence collect ho gaya hai. Kuchh jhute evidence bhi taiyar karwane ka plan tha. Abhi jo 2 gawaah hai wo dono hi Zurul ke ghar ke bhedi hai. Unhi me se ek ne mujhe sare dastavej shaunpe the. Iske alawa kuchh Zerul Imam ke competitors bhi the, unse end moment par sampark karta. Lekin itna karne ki jaroorat hi nahi hui. Uss se pahle hi nap gaya..."


Diksha:- Kafi samjhdari wala descision... Ab sab settle hai na..


Som:- Haan ..


Diskaha:- To chal chalte hain site dekhne...


Som:- Sia ko mujhe aaj ye surprise dena tha. Military operation ho jane de fir hum dono mil kar Sia ko surprise denge... Chal chalte hain. Aur haan tu apne kamre me kya-kya facilities chahti hai wo bhi bata dena ..


Diksha:- Mera kamra???


Som:- Haan bilkul... Ab reaction dena band kar aur chal...


Ghar se nikle kar kuchh dur chale hi the ki Som ke mobile par ring hua. Som car se utar kar isharo me Diksha ko drive karne kaha...


Som:- Sir, sabhi snipers to kal hi pahunch gaye, aur koi sewa...


Mejor:- Who is Sia & Vyas..


Som:- Sia meri bahan hai aur Vyas uska dost...


Mejor:- Vyas koi local rowdy hai kya?


Som:- Nope. Student hai aur helpful nature ke karan kafi chaheta hai apne logon ka…


Mejor, jo surveillance me suna uss hisab se apni samiksha dete.… "Got it... I thought tumhari bahan disputed Site ke matter ko le kar uss ladke Vyas ko involve kar rahi hai. Wo dono iss waqt site par hi hain. Zurul ke bete Istak ke pass kisi Gungun Shrivastava ka phone aaya tha. Wo usse chetawni de rahi thi.. kah rahi thi Vyas fir se taang adane ke mood se hai. Ex-minister Makhan Lal ko bhi wahan ke society ke kisi dusre ghar me jate dekha gaya hai...


Som:- Hmmm !!! Thanks for information mejor. Main wahan sab dekh lunga...


Mejor:- Hold on Som. Wo log poori taiyari ke sath nikal rahe hain. 10 rifle man aur uske alawa 30-35 log hai. Matter family ke jaan ki hai boss..


Som:- To main bhi taiyar hi hun sir.. Har baar pichhe hatna apni fitrat bhi nahi.. Aapka ye ehsaan raha. Next service completely free...


Mejor:- Koi ehsaan mat karo bus iss info ke badle ek favour kar do... Baki official permission main tumhe bhej chuka hun..


Som:- Mejor kya aap mujhe apne opretion me ghasitna chahte hain...


Mejor:- Som try to understand. Personal dushmani aur uss dushman me kisi aam aadmi ko marne ki taiyari Zurul karega, usme wo bade aasani se phans jayega. Yahan inki basti itni badi aur ghani aabadi wali hai ki yahan aam public aur ander ghuse officers dono ko high risk hai…


Som:- Aap karna kya chahte hain..


Mejor:- Istak ke logon se pahle tumhare Sniper wahan pahunch kar position le chuke honge. Wahan se sabhi civilians ko nikalo aur iss local matter par Zerul ko bill se bahar nikalo. Uske ilaka chhodte hi hume uss ilake me ghusne me koyi samsya nahi hogi.


Som:- Mejor mere jamin par itna bada kand karwaoge. Kal ko har kisi ko pata hoga ki Zurul ki tip humne di hai. Meri poori family dushmano ke najar me hogi.


Mejor:- I will take care of everything.


Som:- How mejor? Kya mere jamin ko kahin aur shift kar doge ya fir kahin ye to nahi soch rahe ki hume hi Lucknow se kahin aur shift kar doge.


Mejor:- Second option bura nahi hai but iss poore operation ka hero Makhan Lal Chaturvedi ko bana dete hain. Wo political milege gain karega aur humara kaam bhi ho jayega.


Som:- Wo dogla neta hai sir. Uski jaan halakh me fasegi to wo opposition ke sath mil kar humara shikar karega...


Mejor:- Lekin opposition bachega tab na. Humne Zurul aur uske sabhi logon ko naap diya hai. Uski ek beti aur beta waise bhi tumhare close contact me hai. Koi bhi Zurul ke ore se tumse badla lene aayega to pahle sampark ussi se karega. Hope you understand…


Som:- Ok mejor, main taiyar hun. Aaj iss paap ko saaf kar hi do. Aur haan aap sahi ho, uss ilake me millitary operation se collateral damage ka khatra jayda hai. Ummid hai aapne snipers ko mere site par pahle se bhej diya hoga..


Mejor:- Yep, tumhare 20 sniper ke sath humare 10 snipers roof top se support denge aur ek battalion ground level se support karegi. Baki main yahan, NIA ki team,. RPF aur 3 battalion ke sath ghusunga. Maine poora operation tum se sajha kar diya hai. Wahan ki poori team tumhare command me hogi. Zurul ke basti se nikalte hi hum poore area ko block kar ke ghusenge. Tum wahan sambhalna. Remeber one thing, mujhe Zurul jinda chahiye. Best of luck…






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Sia vyas ko chunna laga kr nikal gyi trial room see..
Aur voo usse dekhne ke sivye kuch naa kr saka..
Ab action dekhne me maza aayega..
Site pr too saare family members already paunch chuke h..
Umeed h kisi koo koi choot naa aye..
Kahi zarul imam Makhan Lal Chaturvedi ke liye too kamm nahi kartaa..
Ab intezar nahi hoo raha next update kaa..
Wait naa hoo raha..
 

11 ster fan

Lazy villain
2,961
7,007
143
Dono ke shwans chadhi hui thi. Najren ek dusre ko nihar rahi. Honth bilkul farak rahe the. Chehre par pyari muskaan fail rahi thi. Dono ke dil gudguda rahe the. Ek mandur ehsas me khone lage the...


Sia apne hoton se Vyas ke poore chehre par dime se funkti... "Shahstri ji mamla jab khud ke hath me ho na to aise surrender nahi karte"…


Funk ka asar aisa tha ki Vyas ki aankhen band ho chali thi. Sia ki baat sun kar Vyas jhatke me aankehn khola, lekin uss se pahle hi Sia hath badha kar trial room ki kundi khol chuki thi. Jaise hi Vyas aankh khola Sia hansti hui Vyas ko aankh maari aur uske hath ke niche se nikal kar trial room se furrr ho gayi...


Sia hansti aur chakati kabhi Vyas ke baal ko bikhed rahi thi to kabhi uske gaal khinch rahi thi. Vyas gambhir sa muh banaye bus turchhi najron se Sia ko dekh kar apne jhuthe gusse ka izhar karta raha...


Lekin Sia ki adaa. Public ke bhid me sabse najar bacha kar Vyas ko chikoti kaat le aur 2 kadam ki duri bana le. Vyas badla lene ek kadam Sia ke ore badhta to Sia 4 kadam aage chali jati. Bechara Vyas, bus ander hi ander hans kar rah gaya lekin aaj ki shaam usse badla lene ka mauka nahi mila...


Yun to Vyas, Sia ko chhod kar jana nahi chah raha tha, lekin ghar se phone aa gaya aur sab ko 7 baje ki flight leni thi isliye Vyas ko ghar bula liye. Idhar ghar par wakai me Meera ne sab sambhal liya tha aur Som ko isharon me samjha gayi ki iss trip ka kharcha usse hi uthana hai
How romantic hai na . To isse spoiled nhi karte hai aage badhate hai...oh to Meera shadi ke pahale hi kharch karwana shuru Kar di...sahi hai guru...
Loveria ke kide kate 2 aur bimar.. bole to Vyas aur Sia bhi aaram se nikal rahe the. Sia to bina kisi ko kuchh bataye tahalti hui mukhya dwar tak aayi aur kab bahar nikli kisi ko pata tak nahi chala. Subah-subah sab apne kaam me lage the.
Ye to mostly har ladake aur ladki ki kahani hai..but it's amazing ♥️♥️♥️.
Diksha:- Sab samjhti hun re Som, koi ladki aa gayi hai iss vishwamitr ke jivan me... Tu nahi teri aankhen bata rahi...


Som:- Isse apne vichar dusron par thopna kahte hai... Tu kuchh bhi maan sakti hai jhalli...
Pakad li baat ko diksha ne ...kitna Bhi jhootala le baat ko but Diksha jald hi sach jaan jayegi...aur phir. Som Tera kya hoga re...
Mejor, jo surveillance me suna uss hisab se apni samiksha dete.… "Got it... I thought tumhari bahan disputed Site ke matter ko le kar uss ladke Vyas ko involve kar rahi hai. Wo dono iss waqt site par hi hain. Zurul ke bete Istak ke pass kisi Gungun Shrivastava ka phone aaya tha. Wo usse chetawni de rahi thi.. kah rahi thi Vyas fir se taang adane ke mood se hai. Ex-minister Makhan Lal ko bhi wahan ke society ke kisi dusre ghar me jate dekha gaya hai...
Lagata hai ki sia ab fasane wali hai..🤣🤣🤣..
Ghar se nikle kar kuchh dur chale hi the ki Som ke mobile par ring hua. Som car se utar kar isharo me Diksha ko drive karne kaha...


Som:- Sir, sabhi snipers to kal hi pahunch gaye, aur koi sewa...


Mejor:- Who is Sia & Vyas..


Som:- Sia meri bahan hai aur Vyas uska dost...


Mejor:- Vyas koi local rowdy hai kya?


Som:- Nope. Student hai aur helpful nature ke karan kafi chaheta hai apne logon ka…


Mejor, jo surveillance me suna uss hisab se apni samiksha dete.… "Got it... I thought tumhari bahan disputed Site ke matter ko le kar uss ladke Vyas ko involve kar rahi hai. Wo dono iss waqt site par hi hain. Zurul ke bete Istak ke pass kisi Gungun Shrivastava ka phone aaya tha. Wo usse chetawni de rahi thi.. kah rahi thi Vyas fir se taang adane ke mood se hai. Ex-minister Makhan Lal ko bhi wahan ke society ke kisi dusre ghar me jate dekha gaya hai...


Som:- Hmmm !!! Thanks for information mejor. Main wahan sab dekh lunga...


Mejor:- Hold on Som. Wo log poori taiyari ke sath nikal rahe hain. 10 rifle man aur uske alawa 30-35 log hai. Matter family ke jaan ki hai boss..


Som:- To main bhi taiyar hi hun sir.. Har baar pichhe hatna apni fitrat bhi nahi.. Aapka ye ehsaan raha. Next service completely free...


Mejor:- Koi ehsaan mat karo bus iss info ke badle ek favour kar do... Baki official permission main tumhe bhej chuka hun..


Som:- Mejor kya aap mujhe apne opretion me ghasitna chahte hain...


Mejor:- Som try to understand. Personal dushmani aur uss dushman me kisi aam aadmi ko marne ki taiyari Zurul karega, usme wo bade aasani se phans jayega. Yahan inki basti itni badi aur ghani aabadi wali hai ki yahan aam public aur ander ghuse officers dono ko high risk hai…


Som:- Aap karna kya chahte hain..


Mejor:- Istak ke logon se pahle tumhare Sniper wahan pahunch kar position le chuke honge. Wahan se sabhi civilians ko nikalo aur iss local matter par Zerul ko bill se bahar nikalo. Uske ilaka chhodte hi hume uss ilake me ghusne me koyi samsya nahi hogi.


Som:- Mejor mere jamin par itna bada kand karwaoge. Kal ko har kisi ko pata hoga ki Zurul ki tip humne di hai. Meri poori family dushmano ke najar me hogi.


Mejor:- I will take care of everything.


Som:- How mejor? Kya mere jamin ko kahin aur shift kar doge ya fir kahin ye to nahi soch rahe ki hume hi Lucknow se kahin aur shift kar doge.


Mejor:- Second option bura nahi hai but iss poore operation ka hero Makhan Lal Chaturvedi ko bana dete hain. Wo political milege gain karega aur humara kaam bhi ho jayega.


Som:- Wo dogla neta hai sir. Uski jaan halakh me fasegi to wo opposition ke sath mil kar humara shikar karega...


Mejor:- Lekin opposition bachega tab na. Humne Zurul aur uske sabhi logon ko naap diya hai. Uski ek beti aur beta waise bhi tumhare close contact me hai. Koi bhi Zurul ke ore se tumse badla lene aayega to pahle sampark ussi se karega. Hope you understand…


Som:- Ok mejor, main taiyar hun. Aaj iss paap ko saaf kar hi do. Aur haan aap sahi ho, uss ilake me millitary operation se collateral damage ka khatra jayda hai. Ummid hai aapne snipers ko mere site par pahle se bhej diya hoga..


Mejor:- Yep, tumhare 20 sniper ke sath humare 10 snipers roof top se support denge aur ek battalion ground level se support karegi
Mujhe pata tha ki writer jarur gul khilane ke chakkar me hai...aur wahi hua chahe wo University ke jamin ka mamala ho ya zurul ke julus ka ...koi na thoda action dekh hi lete hai...
RPF aur 3 battalion ke sath ghusunga. Maine poora operation tum se sajha kar diya hai. Wahan ki poori team tumhare command me hogi. Zurul ke basti se nikalte hi hum poore area ko block kar ke ghusenge. Tum wahan sambhalna. Remeber one thing, mujhe Zurul jinda chahiye. Best of luck…
RPF seriously railway protection force (RPF) iske bharose zurul ko kissa khatm hoga...wo RPF jo Mahasust force hai...CRPF ,SSB HOTA TO CHALO THIK THA BUT RPF 🤣🤣🤣🤣🤣🤣🤣
 

nain11ster

Prime
23,612
80,679
259
Isiliye bolte hai saste film na dekho...gabbar ko dekh lo,joker ko dekh lo aur to aur moganbo ko dekh lo, Katya ko dekh lo...kon se film dekhate ho jisme ye do kaudi ke harkat karte hai ye filmy villain...God ka first son Lucifer tha Jo villain hai lekin uski bhi koi Santana nhi hai....aur Jo villain inn Miya Bibi aur bachcho ke mohmaaya me aa Gaye wo Kya villain banega...sala kahi agar kisi ko marane Gaye aur aaye to Bibi bolegi tu mujhe bina kaise gaya..Teri himmat kaise hue,,Marne wali larki thi ki larka agar larki thi to mujhase Sundar to nhi thi,usne mujahse jyada jewellery to nhi pahani thi...bachche alag royenge papa papa chocolate kyo nhi laye...ab koi bhi Bata do ki villain ko wife rakhani chahiye ki nhi aise situations ke Karan...
Aap ka gyan prashaniniya hai mitr... Sabko... Abhi hi sare villan ka talaq karwata hun main... Koi achha sa vakil ho to please uska pata dene ka man 😜😜😜😜😜

Aur ju to kabhi shadi byah ke chakkar me na padoge... Isliye mujhe thode distance banane honge... Je launda future me ek bhi party na dene wala hai ... Na to break up me pilayega aur na hi shadi tay hone ki khushi me party par paise luyayega... :(
 

nain11ster

Prime
23,612
80,679
259
Are nhi Kal sham ko hi pata Chala ki opera mini se ad nhi aate hai,to wahi download Kiya hai...aur rahi baat comments ki to som,mangal,aur budhwar ko bahut busy rahane laga hu...duty ka time bhi Ulta pulta Kar Diya... isiliye update bhi nhi padata Mai kyoki mood hi nhi ban pata read Karne ka ...Kal ya parso sabhi update par review de dunga...tane Marne ki jarurat nhi hai...

Haan lekin mile sur mera tumhara krayakarm ke organiser ji aadat uske baad bhi na sudhri... 5 update de diye... Chariyane par ek comment aaya :sigh2:

अब इसे मेरी समझ कहें या मजबूरी।

मीरा ने मेरे पसंदीदी पात्र को अपना जीजा बना लिया है। तो अब मीरा को बर्दाश्त तो करना ही पड़ेगा न।।😃🤣😜

Koi na kaun kaun pasandida ya didi patr hai sabka list de dijiye... Taki sabhi patron ko main aise hi ek dusre se connection kar dun :D

पसंदीदी पात्र. .. :akshay:
हाँ वही वही।

अब जमाना बदल रहा है न।
इसलिए कुछ शब्द बदल रहे हैं और उसके मायने बदल रहे हैं।।🤣🤣

Ek typose pakad rahi hai.... Lekin kyun :banghead: ... Bechari nahi ji ko aakar uss par safai dena par raha... Lekin kyun...

Manne to dono mentos zindgi wali laage hai
 
Top