-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Update:-80
Thoda bhavuk kshn tha. Har koi Meera ki khawaish ko mehsus kar sakta tha. Har koi samjh sakta tha ki kyun Meera apni shadi ki baat Sia se kah gayi.… Haan Som aur Meera ke batane ka tarika galat tha, lekin shadi ki baat batana bilkul bhi galat nahi...
Sabhi Meera ki baaton me gum ho gaye. Meera, jab apne aas-pass ghere logon ko dekhi tab uske chehre par muskaan aa gayi aur challakte aanshu ke sath apne aap hi muh se nikal gaya.… "Ab mera bhi ek apna parivar hai. Thankooo soo much Patidev mujhe swikar karne ke liye"..
Lata Mishra, Meera ko 1 thappad lagati... "Emotional kar di pagal... Chal aanshu pochh.. aur ye batao ki jab itne armaan ander dabaye baithi thi, to thoda dhang se apni shadi ki baat batane aati... Aise ek-ek karke sabke upar bomb fodne ki kya jaroorat thi... Wo bhi tab jab poora party ka mahol hai aur kayi sare log wahan maujood the. Tumhare ghar tak tumhari shadi ki khabar na kahin pahunch jaye... Fir ho gayi dhum-dham wali shadi..."
Sia:- Chalo ab chhodo bhi, jane dete hain iss baat ko. Mere cuteee ki shadi ho gayi wo bhi mere sweeto ke sath, iss se jyada khushi ki baat kya ho sakti hai...
Diksha:- Ye sahi kahi Sia. Ab kisi tarah dono ko honeymoon par bhejne ka jugad karte hain...
Lata:- Honeymoon par jaakar kya karegi... Fir to ho gaye kaand. Udhar se pregnent ho'kar aa gayi to…
Sia aur Diskha dono Lata Mishra ko aankhen dikhati.… "Maaaa"..
Diksha:- Achha ab papa ko Som aur Meera ki shadi kee baat kaun batayega...
Sia:- Pitaji ke armaan bhi to humare tarah hi hain. Upar se bete ki shadi ko le'kar to wo hum sab se jyada utsahit dikh rahe the... Mujhse to bataya nahi jayega...
Diksha:- Hum kyun batayen... Hum to beti hai... Paraya dhan... Nipatne do in saas bahu aur bete ko...
Lata:- Nahi nahi, Mishra ji ko sidha dhum-dham wali shadi ka pata chalne do..
Sia aur Diksha ek sath... "Bilkul nahi"..
Lata:- Kya matlab bilkul nahi...
Diksha:- Ye koi chhoti baat nahi hai jo chhipi rahe... Ab jab hume Som aur Meera ke bare me pata hai to hum kitna bhi chah le, humare emotion kabhi na kabhi dikh jayenge...
Sia:- Haan maa, Diksha sahi kah rahi hai. Upar se, bhagwan na kare aisa ho. Lekin Jadeja family shadi se mukad gayi tab to unhe bhi ye baat batani hogi na... Uss waqt pitaji ko pata chalega tab unka dil toot jayega..
Lata:- Hmmm !!! Thik hai ye baat main hi Mishra ji ko bata dungi lekin tum sab bhi sath rahna... Ab ye batao ki Jadeja ko iss baat ki khabar na lage uska kya karna hai? Kyunki hume nahi pata kitne log Meera aur Som ki shadi ke bare me jante hain..
Sia:- Som aur Kuku ki shadi ke bare me hum jante hai... Baki yadi Jadeja family tak ye baat pahunchi to mujhe yakin hai Meera ne koi na koi drama soch rakha hoga...
Meera:- Sia didi...
Meera itna hi kahi thi ki bich me usse Lata Mishra rokti... "Ab se Sia didi nahi balki Sia bolo. Rishte me tum Sia se badi hui aur didi kahna achha nahi lagta"..
Meera:- Kosis karungi, abhi muh se jo nikalta hai wo nikalne dijiye... Jis naam se pukare, bus ek dusre me pyar hona chahiye...
Diksha:- Haan Som gyani ne Meera gyani se shadi kar lee. Khair tum continue karo Meera...
Meera:- Jis din meri shadi hui uss din main kisi aur boyfriend ke sath college se nikli thi...
Teeno ek sath hairani se... "Kya???"
Meera:- Itna hairan hone ki jaroorat nahi hai. Ye sab set-up Som sir ne kiya tha.. Upar se abhi party me main Nikku bhaiya se kah chuki hun ki, main Neerav se pyar karti hun...
Sia, Meera ko ghurti... "Bus itne hi boyfriends hai na bhabhi ya aur koi naam hai"..
Meera:- Sia didiiiiiii…
Sia:- Haan aage bol na... Plan kya hai?
Meera:- Plan kuch bhi nahi hai... Wo sab to dimag wale log banate honge. Main to chal rahe mahol ko dekh'kar situation bana lungi aur 3 ladkon ke bich Jadeja family aisa chakkar khayenge ki sab ghanchakkar ban jayenge... Wo khud kabool karenge ki log meri shadi ka afwah udaa rahe...
Uski baat sun'kar sabhi hasne lage. Mahol kafi halka-fulka tha. Sia ne Meera aur Som ke first night ka bhanda phod diya. Fir to teeno ne hi mil'kar jo Meera ko chhedna shuru kiya, bechari sharm se pani-pani ho gayi. Hasi ke thahake charo ore gunj rahe the.
In sab ki hansi tab ruk gayi jab Mishra ji drawing room me pahunche. Unke aate hi sabhi aise khamosh huye mano wahan koi ho hi nahi... "Areee main koi bhoot hun jo mujhe dekh'kar sab khamosh ho gaye"…
Diksha aur Sia dono Kapendra Mishra ke karib pahunchi. Dono ek-ek baju pakad kar... "Aap pahle aaram se baith jaeye"..
Mishra ji thode se hairan huye kintu wo apni betiyon ki baat maan'kar baith gaye... "Aisa bhi kya ho gaya jo mere aate hi sab aise serious ho gaye"…
Diksha:- Papa, maa aapse kuch kahna chahti hai...
Mishra ji:- Naaa... Mujhe iska-uska fir nahi sun'na...
Sia:- Pitaji ye jaroori hai please...
Mishra ji:- Hmmm !!! Thik hai.. Kahiye ji itni takalluf kyun hai... Ya main hi kah dun... I love you meri ras-malai.. chalo kahin ghuma laaun... Sirf tum aur main.
Lata Mishra:- Chhi-chhi Mishra ji... Kuch to sharm karo.. dono beti baithi hai... Bahu baithi hai…
Mishra ji:- Areee abhi to hone wali bahu kaho ji... Meera bete tere aur Som ki shadi poora desh dekhega...
Meera:- Papa ji shayad ye baat maa na kah paye… Humne pahle hi shadi kar lee hai...
Mishra ji:- Kyaaaa????
Lata Mishra apne pati ke pass baith'kar uska haath thamti... "Suniye aap pahle poori baat sun lijiye"..
Mishra ji:- Poora sun'ne ke liye bacha hi kya hai... Main kaun sa inka saga baap hun... Aur saga baap bhi hota to kya ye puchh'kar shadi karte... Main sone ja raha... Lata bahu ke aane ki sari rashmen poori kar dena...
Mishra ji uth khade huye... Tabhi Sia ke phone se kadakti aawaz aayi.... "Mishra ji baith jaeye"..
Mishra ji ke pahunchte hi Sia apne dad Anurag Malhotra ko call laga chuki thi. Sia phone speaker par daale thi aur Anurag Malhotra poori baat sun rahe the...
Mishra ji:- Anurag tum ho kya? Kya tumne bhi sab sun liya?
Anurag:- Haan sun liya Mishra ji. Lekin mujhe aapse ye ummid nahi thi...
Mishra ji:- Anurag sach-sach batao kya tumhe Diksha ki shadi me na aane ka malal nahi...
Anurag:- Poora malal hai Mishra ji. Main to aata hi lekin aap logon ne mujhe meri beti ke shadi me aane nahi diya...
Mishra ji:- Apne bacche ki shadi me hum hi sarik na ho paye ye kitna dard deta hai tumhe nahi pata kya? Kya issi din ke liye itne laad pyar se inhe bada karte hai, ki ek din hume aisi khabar sun'ne mile. Aree ek baar kam se kam kah kar to dekhte... Inki shadi karwane me main yadi vifal ho jata to main inka pita kahlane ke kabil na rahta... Lekin in logon ne mujhe puchhne layak bhi nahi samjha... Ek pal me mere sare sapne, mere sare armaan par pani fer diya... Mujhe ummid nahi thi ki Som itna swarthi ho jayega...
Anurag:- Mishra ji mujhe Som par yakin hai. Wo aapka aur Lata bhabhi ka kabhi dil nahi tod sakta... Ek baar unhe sun to lijiye... Jaise aapke emotions hai, thik waise hi mere emotions hai. Thoda dhairya rakhiye...
Mishra ji:- Hmmm !!! Thik hai Anurag main inko sun raha hun...
Kuch bhavnatmak kshan the aur baton me bhavnao ka samagam. Meera dub'kar jab apni vivasta jahir karne lagi fir to Anurag aur Mishra ji dono, apni soch ke liye sharminda mehsus karne lage. Wahan har koi Meera se ek judav sa mehsus karne laga tha. Anth me Mishra ji aur Anurag ne unka poora sath dene ke liye haami bhar diya...
Finally.… Ek poori ghatna ko samet liya gaya tha. Halaanki Mishra family ke liye thoda mushkil aur dard bhara mahol tha jab pata chala ki Som ne shadi kar lee.. lekin koi na anth bhala to sab bhala...
Agli subah khushiyon ka naya savera le'kar aayi thi... Har koi Meera ko bith'kar apni khushi sajha kar rahe the aur Som ke na hone ka afsos bhi...
Subah ke karib 9 baje, Sia taiyar ho'kar bahar aayi... Usse aise taiyar ho'kar kahin jate dekh... "Ravivar ki subah kahan chali, kahin aisa to nahi ki humse chhipa'kar teri bhi koi kahani chal rahi ho"..
Sia:- Aur wo story kaun si ho sakti hai Diksha...
Diksha:- 2 hi to hongi... Ya to pyar ya fir Som ki tarah shadi…
Sia:- Ji nahi... Mere taiyar ho'kar jane ke pichhe teesri vajah hai... Aaj Mbbs 3rd year Vs Final year ka cricket match hai aur mujhe final year walon ke ore se match dekhne ka nimantran mila hai..
Diksha:- Kya wakai me cricket match dekhne ja rahi... Mujhe bhi le chal na bahan.. khub hooting karungi...
Meera:- Akele aklele kahan ja rahi ho... Main bhi chalungi… Main bhi khoob hooting karungi…
Sia:- 10 baje se match shuru ho jayega tum log jaldi taiyar ho'kar aa jao...
Teeno subah ke paune dus (9.45am) baje tak University ground pahunch chuke the. Wahan ka mahol dekh'kar Diksha hansti hui kahne lagi... "Maidan darshkon se khacha-khach bhada hua"…
Sia:- Haan band kar tane dena... University ki match hai koi international match nahi... .
Diksha:- Fir bhi 200-300 log to hone hi chahiye the.… Vyas... Vyas...
Sia se baat karte huye Diksha ki najar jaise hi Vyas par gayi wo usse bulane lagi...
Vyas unke karib pahuncha... "Aap log bhi match dekhne aaye ho kya?"
"Kaisi hain Diksha di"… Vyas ke pichhe se Sagar Chaturvedi ki aawaz aayi...
Diksha:- Sagar kaise ho? Kya tum bhi match khel rahe...
Sagar:- Haan main apni team ka captain hun ..
Diksha:- Sia wahan dekh to... Ye Nanda ki beti Kirti jaisi dikh rahi hai na...
Sia:- Diksha, abhi chup-chap yahan baith jao... Hum inke vipakshi ke supporter hai..
Diksha:- Kamal hai ek hi jagah itne jaan pahchan ke log kahan se aa gaye...
Vyas:- Aap log match ke maze lijiye hum log ground par jate hain...
Sagar:- Chalta hun Diksha di... Chalta hun Sia, Meera...
Un logon ke jate hi... "Sia Nanda ki beti ke bare me tu pahle se janti thi kya?"…
Diksha ka itna puchhna tha aur Meera ne campus ki uss din ki ghatna ka bakhan kar diya jis din Sia aur Faisal Sahnavaj aamne-samne the...
Diksha:- Hmmmm !!! Sia Faisal ki baat na bata'kar tumne bahut badi galti ki hai...
Sia:- Aaj ke baad main tumhe kabhi college le'kar nahi aaungi... Match enjoy karne ke badle kuch aur hi chal raha hai...
Diksha:- Som ko aane de ussi se baat hogi... Mujhe yahan ka mahol kuch thik nahi lag raha... Aakhir Faisal aur Nanda ke bich chal kya raha hai… Aur kya ussi ke sah par Nanda ne mujhse baimani tak karne ki sochi thi...
"Kaisi ho senior.. Aapke sath aur kaun guest hai"…. Wahan Nisha aur uska poora group pahunch chuka tha... Ek chhote se formal introduction ke baad sabhi log match dekhne lage... Final year ke captain… Captain Amarnath Chaudhry ne toss jita aur pahle batting chuna… Sagar ki team fielding karne maidan me utarne lagi...
Opening baiting ke liye jaise hi ballebaaj aane lage... Meera jor-jor se hooting karne lagi... Kyunki final year team ke opener ke taur par Neerav batting karne aaya tha... Neerav ke hath me balla dekh, Asif aur Vyas uske pass pahunche... "Baiman humare vipaksh se khel rahe"…
Neerav:- Maine tum dono se kaha apni team me mujhe bhi le lo.. Ek trial kar'ke dekh lo... Lekin nahi, main to convent baby hun. Padhaku ladka hun.. Cricket to un logon ka game hai na jo padhai-likhai kaam chalau karte hain... Dekho yahan mujhe opening mili hai...
Asif:- Main bhi opening bowling karunga bacche... Apne gote bacha…
Vyas, Asif ki baat par hanste huye... "Abe thoda slow boll dalna, baccha abhi se ghabra raha hai"…
Neerav unki baat par 2 kadam aage aa'kar kahne laga... "Best of luck"…
Match ka pahla over, Asif ke hath me ball. Asif ne apna run up set kiya. Darshak maidan par tak-taki lagaye... Aur ye Asif ne pahli ball dali... Woooo.. ek perfect bowncer aur Neerav ne duck kar diya..
Asif apni doosri ball dalne ke liye run-up liya.. Tej run-up ke sath dusri ball, aur ek perfect yourker... Aur Neerav ne defence kiya... Balling par wapas laut'te waqt Asif ne hath se defensive batting ka ishare karte wahan se nikal gaya...
Pahla over samapt hone ke paschat team ka score 1-0-0… Yani ki ek over, zero run bina kisi nuksan ke. Idhar audience stand me baithi Meera, chilla-chilla kar Neerav ko kos rahi thi... Chauke-chhakke marne ke liye halla kar rahi thi... Baki sabhi usse dekh'kar hans bhi rahe the aur sath me Neerav ko kos bhi rahe the ki, kis tuk-tukiya batsman ko batting ke liye bhej diya...
Wahin Sia, match ka luft bhi utha rahi thi aur apne aas-pass bhi dekh rahi thi. Sia Mbbs kar rahe sabhi students ko to nahi jaanti thi, lekin canteen me usne bahuton ko chehre dekhe the. Match jab shuru hua tab se uske aas-pass kayi anjaan log aa'kar baith rahe the...
Beshak sabhi 20 se le'kar 25 ke umr ke ladke the, lekin wo mbbs ke student nahi the aisa Sia ko shaq sa hone laga... Pahle over ki samapti ke baad Sia, Nisha se kahne lagi... "Lagta hai Mbbs students Sunday ke din der tak sote hain.. Sabhi match shuru hone ke baad ek-ek kar'ke aa rahe hain"…
Nisha apne aas-pass dekhti... "Sab to pahle aa chuke hain aur jo aa rahe hain wo kisi aur branch ke student hain.. inhe main nahi janti"..
Sia:- Are you sure.. Tum medical ke har student ko janti hi ho... Ho sakta hai ye medical students ho aur tum inhe nahi janti.
Nisha:- Dusra over shuru ho gaya.. Ye Mukul to Asif se bhi khatarnak bowler hai..
Sia:- Nisha, kuch puchhi...
Nisha:- Kya senior.. khud se jawab puchho na... Jahan tumne padha wahan apne senior-junior aur bahar wale ko pahchan'ne me koi bhul ho sakti hai kya? Hardly 5%… Ab match dekho… Ye dono opener kar kya rahe hain.. t-20 nahi test chal raha ho jaise..
Diksha:- Boooo… Boooo... Booooo… Final year walon haar maan lo... Tumse cricket na khela jayega...
Diksha jor se hooting karti chillayi... Nisha apni team se chidhti hui kahne lagi... "Salon ne naak Katwa diya.. power play me run nahi bana rahe"…
Ab cricket dekhne walon ke emotions kaun nahi samjh sakta, jab apni team ke batsman run nahi banate... Team ka score 5-4-0… yani 5 over me 4 run wo bhi extra ke the.. aur koi nuksan nahi... Neerav 18 ball khel'kar koi run nahi banaya tha aur uska partner 12 ball khel'kar koi run nahi bana saka...
Idhar support kar rahe darshakon ka para high ho raha tha... Udhar 3rd year team supporter apni team par khush the aur vipakshi team par tanj kas rahe the.. Aur idhar Sia...
Sia apne charo ore dekh rahi thi... Halanki jo bhi log baithe the wo Sia ke poore group se 5 fit ki duri par baithe the, lekin charo ore se takriban 200 log baith chuke the... Sidhiyon ke dayen aur bayen itni dur tak darshak baithe the, ki unke bich se gujrne ke dauran yadi sabhi darshak khade ho gaye to pata bhi na chale ki wahan bich me kya ho raha hai...
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Superb updateUpdate:-7
Som madam ko dekh kar muskurate huye uske gale lag kar gaal ko chuma.... "Sooooo Sorry. Uska adress de do, main ja kar sorry bol dunga."
Madam kisi bacche ki tarah uske gaal khinchte... "Sit down, Anusia kaisi hai, aur usse kyon nahi laya"
Som:- Wo baad me aa jayegi.
Som apni baat kahte. Kabhi madam ke chehre ko dekhta to kabhi wahan aas-pass ki mitti ko. Bhavnatmak judav, aur uss jagah ka lagaav aisa tha ki Som ke aankhon se aanshu bahne lage. Madam niche baith kar uske sar ko gode me lee. Wahan khade student ko tel lane bol kar Som ke aanshu pochhte... "Mere class ka sab se jyada majboot baccha ro raha. Bejjati karwayega kya?"
Som sikud kar madam ke gode me simt'te.… "Kuchh chijon par control nahi rahta madam."
"4 sal se Mount Abu aa raha hai, aaj bhi main nahi dekhti to yahan aata nahi na".
"Socha Sia ke sath aaunga surprise dene. Isliye yahan aa kar bhi milta nahi tha. Bus aap ko dekhne ki ikchha hoti thi to chala aata tha. Aap ke pass to 1000 log hain ek Som ko nahi dekhogi to koi issue nahi hai. Lekin mere pass"..
"Haan maar le beta. Mujh se hi emotional dialogue maar le. Baal to tune bahut maintained rakhe hain. Kya lagata hai jo itne bade baal ko bhi maintain kiye hai"
"Badam ka tel, aaj bhi"
Madam Som ke baal ko poore tej me dooboti... "Tu Lata, Kapendra aur Diksha ko bhi dur se dekh kar aise hi bhag jata hai kya?"
"Aur hai hi kitne log mere pass. Haan par batana mat unhe ki main chhip kar dekhte rahta tha. Wo sab chhodo Madam, Sia se baat karen. Wo surprise ho jayegi"..
"Thik hai baat kar lungi main."
"Madam laptop lao na, abhi Sia se baat karenge, uska chehra dekhne layak hoga."
"Kuchh din pahle hi baat hui thi."
Som ek najar ghadi par diya. 12 bajne ko aaye the. Madam se usne vida liya aur wahan se sidha 1 baje Jugnu ke pass khada tha. Jugnu bina waqt gawaye usse outdoor arrangements ke bare me samjha di.
Som ne kaam shuru kiya. Base aur root support banaya. Bahar me kayi jagah par drill karna allowed tha isliye jyada samasya nahi tha, lekin lawn bada tha, Som kaam me lag gaya.
Jugnu ke liye aaschrya tha kyonki Som ne jo kaam shuru kiya usse bina ruke agle din tak karta raha aur 3 alag-alag team se karwata raha. 27-28 ghante me na sirf usne base support diya balki poori celing ka kaam complete kar chuka tha.
Jugnu uske huliye ko ek baar dekhi. Wahi jataon wali baal. Dadhi badhe huye. Aankhen hardam nashili. Fir bhi kaam ko kisi junnon ki tarah karne ki aadat. Jo kaam pakda bina poora kiye rest tak nahi kiya.
Jugnu management student rahi thi aur kuchh hi waqt me, event management me uska bahut bada naam hua tha. Chahti to wo office me baith kar apne logon se kaam karwa sakti thi, lekin apne kaam me wo bhi utni si sadhi hui thi. Ek din me bhale kitne bhi site ke kaam ko cordinate kyon na karti ho, lekin jo bhi coordination karti thi, kisi na kisi site ke ground se hi karti thi. Aaj tak kisi ko bhi office se baith'kar order nahi dee. Usse kaam karna pasand tha aur kaam karne wale log bhi.. Som, Jugnu ko poori tarah impress kar chuka tha.
Jugnu owner ho'kar bhi khud coffee lekar Som ke pass pahunchi. Som ab bhi kaam hi kar raha tha.… "2 minute ka break le lo Lancer, aao coffee pite hain"
"120 ml ke 4 peg le aao. Body jawab de rahi hai. Thoda energy jayegi to kaam jaldi poora hoga"
"What????"
"Peg ki kimat main pay kar dunga tum bus bol do."
"Som tum jante bhi ho kitna turnover hai mera. Tum jante ho main apni company ki owner hun. At least "ji" hi laga do naam ke aage. Mere staff meri izzat karna chhod denge"…
Som ne koi jawab hi nahi diya bus apna kaam karta raha. Jugnu bewakoof ki tarah apni baat kah kar upar dekhne lagi. Hard plastic ko lagane ke baad Som logon se uss celing ke upar natural ladiyan lagwa raha tha.
Jugnu bus uske barik kaam ko dekh rahi thi. Kaise bina kisi nuksan ke wo patli najuk paudhon ki ladi ko poore celing par khud bhi bichhaa raha tha aur logon ko instructions bhi de raha tha. Agle din 3 baje tak usne kaam final kar diyaa.
Kaam final hone ke sath hi wo sidha Alfredo ke office me ghus gaya. Usne 5 din ka kaam khatm kar diya tha. 1-2 ghanta overtime tha lekin usne iss baat ki charcha nahi ki.
Alfredo Som se kuchh baat karne ki kosis kiya... Som usse bich me hi rok kar..
"Yahan meri madam rahti hain. Yahan se lagbhag 7 km ki duri par hai unka makan. Boarding school se karib 2 km. Unke bare me kuchh jante ho to batao. Tum unki info do main badle me tumhara koi ek kaam kar dunga"
"Kalpna madam ki baat kar rahe ho"
"Matlab tumhe poori kahani pata hai"
"Mujhe kya, yahan sab ko pata hai. Lekin tumhe unme itna intrest kyon hai"
"Tum nahi samjh sakte aur main samjha nahi sakta."
"Kalpna madam ka grand son ko cancer ho gaya tha. She mortgage her everthing for saving him. But she couldn't save him"
"Kitna karj liya tha unhone"
"Around 2 carore man"
"Total unko kitna pay karna hai"
"Exactly pata nahi man, but"..
"Explanation ki jaroorat nahi hai. Uske sabhi dendar ko call karo. Bol do madam ka paisa aa kar le jaye aur sare papers aur ek-ek saman jo girvi hai, sabhi wapas chahiye"
"But man tumhare pass 2 carore hain kya."
"10 lakh cash hai. Ye cash nahi bhi hota to bhi madam ke liye 2 carore to kya, 200 carore dene wale students ki kami nahi hai. Koi kitna bhi kamina kyon na ho lekin madam ke liye koi naa nahi kahega. Tum meeting arrange karo. Aur yaad rahe"…
"Ya I know, no body knows who is behind this"
"Thanks Alfredo"
"Tumhare liye main meeting bula raha hun. Lekin man, jab main apni girvi resort nahi bacha pa raha hun to tum madam ki property kaise bacha sakte ho"
"Tumne ek achha kaam kiya hai, meeting fix karo bus"..
Sham ka waqt tha. Close door meeting arrange thi. Alfredo bhigi billi ki tarah baitha hua tha. 2 mukhya log aur uske sath 8-10 chamche gun liye ghere khade the.
Wo dono Alfredo ke free ka daru peekar, usse yahan settlement ke liye bulane par gariya rahe the. Dono apni poori mansa jahir karte huye Alfredo par davab banana shuru kar chuke the… "Aaj hi unhe ye resort apne naam par chahiye."
Exactly 8 baje Som darwaje se ander ghusa. Pith par uske ek bag tangi hui thi. Som aaya unke bich baitha. Samne rakha ek kaanch ke maze ko khincha aur apne bag se chilam ka masala nikal liya. Wo kaanch ki maze par chilam ka masala rakh kar masala banane laga.
Wahan maujood sabhi usse hi ghur rahe the. Bhu-mafia Manik singh.… "Kyon be randi ke bacche yahan kya tamasa laga rakha hai. Chup chap resort likhne ke badle, kisi kutte ke pille ko yahan meeting me kyon bulaya". …
Som apni najar utha kar ek baar charo ore dekha. Itne me ek gun man gusse me aaya aur Som ke gardan ko pakad uska sar maze se chipka kar pistol kanpatti par lagate.… "Madarchod ka baccha ghurta kya hai be harami"
Som ki aakhen band thi. Uski shawans madhyam-madhyam chal rahi thi. Dimag bilkul shant aur kanpatti ke upar bandook ki nali ko wo mehsus kar sakta tha. Kano me uss gunde ki galiyan jab tak ja rahi thi, shayad utne waqt ka viram liya tha. Ek baar uska bolna samapt hua aur uske thik baad Som meze ke nichle hisse par ek laat maara. Maze kafi tej jaa kar samne baithe dono bhu-mafia ke paun se itna tej takraya ki wo baap-baap chillane laga.
Maze par laat marne ke sath hi. 2 silencer lagi hand gun niche rakhe bag se nikal chuki thi. Maze par laat marne ke sath hi ek bullet uss aadmi ko lagi jo Som ko gun point par liya tha. Bullet lagte hi uski bhi dard bhari chinkh nikal gaya. Maze par laat maarne ke sath hi jis single sitter sofe par Som baitha hua tha wo khiskte huye pichhe jane laga. Sofa fisalta hua pichhe ja raha tha aur dono gun ki bullet samne un bu-mafia ke bandook-dhari ghundon par.
Sabhi gundey pahle apne malik ke chinkh par daure. Chhanik der baad ek gundey ke muh se bullet lagne ki chinkh nikli. Pahle malik fir apne sathi. Iss bich Som ka single sitter sofa picche jane laga aur nishane par sabhi gundey. Uss sofe ke rukne se pahle, Som apne dono hath ki gun se 8 bullet fire kar chuka tha aur wo hall chinkh se gunj utha tha.
Bhu-mafia ke sabhi chamche khun se lath-path jamin par gire huye chilla rahe the. Som kuchh duri par pichhe baitha tha.… "Alfredo, bahar ambulence hai, kachra saaf karvao"…
Alfredo bahar bhaga. Som uth kar dono bhu-mafia ke karib pahuncha. Dono poori tarah se dare huye the. Som ko apne pass dekh kar dono ne hath jod liye.… "Dekho hum baith'kar baat karte hain na. Tum bhi apne hi biradari ke lagte ho. Aaram se baitho na"
Som ne ishare me pichhe dekha. Ek bhu-mafia daura gaya aur khiske huye sofe ko wapas apni jagah lagate... "Aaram se baith jao bhai"
Som sofe par baitha. Maze ko sidha kiya. Chilam ko dono ke ore pass kar ke apne bag se masale ka dusra packet nikala aur wo bhi pass kar diya. Dono had'badi me dikhe. Ek ne chilam uthaya, dusra usme masala bhadne laga. Chilam bana kar Som ke ore badha diya...
Som:- "Jalao isse"
Dono me se ek bhu-mafia chilam pine wala tha. Wo chilam jala kar ek kas mara aur Som ke ore badha diya. Som ne jab chilam khinchna shuru kiya tab in dono ke sath-sath Alfredo ki bhi shwans chadne lagi. Som jab dhuwan chhod raha tha, poora chehra dhuwen ke niche dhak gaya.… "Tum log kuchh shant dikh rahe"
Manik:- Dekho hum jamin ka dhandha karte hain. Hum to bicholiye hain. Hum iss land deal se hat bhi gaye to bhi wo nahi hatenge. Kisi aur ko bhej denge.
Som:- Madam aur Alfredo ka jamin jis se deal hua hai usse phone lagao.
Manik:- Soch lo bahut bade log hain..
Som:- Naam bata uss bade se log ka..
Manik:- Business tykoon Shikander Malhotra hai. Top ke connections hai uske. Koi ulajhna nahi chahta.
Som, apna laptop nikala. Uske bare me Google karte huye... "Call laga"
Phone speaker par tha. Shikander 2 minute baad line par aaya aur Manik se property ke bare me puchhne laga. Resort uske naam hui ki nahi aur school ke land ka kya hua...
"Tum jo bhi ho, main uss madam ka student bol raha hun, jiske jamin par tumhari najar hai"…
"Manik ye kaun chutiya bol raha hai. Agli baar.…"
"Google par dikha raha hai, tere 2 bete aur ek beti hai. Ek beta tere sath business me hai. Ek beta USA me business management kar raha. Beti Mumbai me."
"Tu hai kaun re, aur janta bhi hai kiske bare me baat kar raha hai"
Shikander apni chetavani se Som ko dhamkaya. Kuch pal ke liye dono ore sannata pasar gaya. Bhu-mafia aur Alfredo bade dhyan se bilkul khamosh hokar Som ka chehra dekh rahe the. Wahin Som ek baar apni najren washroom ke ore kiya, jahan usne kisi ke hone ki pahchan kiya. Sath me ye bhi pata chala ki yahan ki poori ghatna video shoot ki ja rahai...
Sabhi baton ko darkinar karta Som gahri shwans la'kar, fefron se nikalne wali shwans ke sath apni gale ki gambhir awaj jod diya, jise phone ke dusri ore se bhi suna ja sakta tha. Kafi ghanbir aur utna hi bhay paida karne wali awaj... Aur shuru hua fir ek chhota sa bhay ka khel.….
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Wahan mere bahut sare revoo hain... Kal ke liye aaj raat tak me update likh lunga .. kyunki likhne ke liye bahut baten hai jo shayad mujhe 1-2 reserv update bhi de de... So kal subah se hi harshit1890 bhai ke story par dhamal karenge...Only one. Hariya bhai ki story padhiye. Aap jante hi hai ki kitne achhe writer hai. Lekin dukh hota hai mere aur Leon ke alawa aur koi readers nhi hai. Jabki kahani bahut hi badhiya hai. Aap pahle ke kuchh update padhe bhi hai esliye jyada problem nahi hogi.
Third person Naina thi jisne forum hi chor diya.
Badi paini najar rakha hai fan babua ne... Lekin ye short info dene ke bich where is your revooWaise Revo se yaad aaya user bhi bahut achchha Revo deti hai
Lazwaab updateUpdate:-8
Sbhi baton ko darkinar karta Som gahri shwans la'kar, fefron se nikalne wali shwans ke sath apni gale ki gambhir awaj jod diya, jise phone ke dusri ore se bhi suna ja sakta tha. Kafi ghanbir aur utna hi bhay paida karne wali awaj... Aur shuru hua fir ek chhota sa bhay ka khel.….
"Bahut jyada samjhaane ki mujhe aadat nahi hai. Sidha point par aata hun. Main wo hun jo tere bare me upar-upar jaan gaya hun. Waqt nahi lagega poora pata lagane me. Tere bare me har chij jald hi jaan jaunga. Tujhe khud ko aur tere pariwar ko 24X365 protection dena hoga. Har jagah dara sa ghumega. Kya 24 ghante me 10 minute ki chuk nahi hogi. Kya bathroom ke ander guards ko le jayega. Kya sadak par bullet proof car bomb se paltegi nahi aur palti car ke upar jab achanak se petrol chhidak kar aag laga diya jaye to tu bahar nahi niklega kya?… aur jaise hi bahar nikla thik ussi waqt kya ek car full speed se dharam takkar maar kar nahi nikal sakti? Ya fir thik ussi waqt ek motercycle gujre aur 2 log andhadhund fire karte nahi ja sakte kya??"
"Dhyan se sun... tujhe mere bare me pata lagane me 10 din lag jayenge. Aur mere wada hai ki mujhe bhanak bhi lagi ki tum mere bare me pata laga raha hai to un 10 din me tu har din dukh aur dard hi jhelega. Charo disha se tujhe kewal buri khabar hi milegi. Business me upar uthne ki chahat honi chahiye lekin haar bhi jaye to bura nahi maan'na chahiye. Jitna investment hai usse byaj ke sath le aur 2 property ko bhul jao. Le tere dono anmol ratan yahin hai."
Sikander ko shayad baat samjh me aa gayi. Usne turant hi back off kiya. Madam ke 2 carore hi wapas karne ko kaha aur Alfredo se intrest sahit 6 carore lekar bhu-mafia ko sare aur girvi ke saman paper wapas karne bol diya.
Dono bhu-mafia Som ki soorat dekhte... "Sir 30 carore ki deal thi. Hume 2% milne the".
Alfredo:- 1% Main paid kar dunga lekin please ab dobara mujhe padesan mat karna.
Manik:- Ye sir kaun hai...
Alfredo:- Main bhi nahi janta. Aap bhi mat jano. Warna aapke boss ki lash gira diya to aap road par aa jaoge.
Paise dene ka waqt aaya. Som ne apne pass rakhe 10 lakh de diya. Fir Som ne Alfredo ko kuchh number dete huye un par call laga kar baat karne kaha. Itne me hi uss meeting hall ke washroom ka darwaza khula. Jugnu bahar aayi.… "Baki ke paise main deti hun. Account number bolo"…
Dono bhu-mafia account number de kar hath jod liye. "Main sabhi paper aur girvi saman khud yahan pahuncha jaunga. Ab hum jaye kya?"
Som, usse jane ka ishara kiya. Jaise hi wo darvaje se bahar nikla... "Tum madam ke itne karib thi fir bhi tumne unke problem ka pata nahi chala. Shame on you Jugnu."
Jugnu:- Aap kaun hai. Main kyon nahi pahchan paa rahi aap ko...
Som:- Alfredo paise poore nahi ho to kisi bhi number par call laga lena aur unse kahna madam problem me hai paise chahiye. Unko sare proof dikha dena...
Jugnu:- Listen me Som.. hello...
Jugnu usse bulati rahi lekin wo nikal gaya. Jugnu ussi waqt 1 carore 90 lakh transfer karti niche trancation reason me likh di... "Payback to my carrier maker"
Alfrdo hairani se dekhte huye puchhne laga… "Kya main in number par phone karta to log amount bhej dete"
Jugni:- Madam ke liye hum kuchh bhi kar sakte hain. Mere batch ke 10 log management toppers the aur sab ke juban se ek hi baat nikli thi, "hume banane me kalpna maim ka haath tha".
"Jiski shadi yahan ho rahi hai, Diksha Mishra, wo humari senior rah chuki hai. Sabse pahla number unhi ka hai. Call kar ke kah dena madam ko 50 carore ki jaroorat hai. Tum kahoge aur uske pass nahi hoga to wo bank se karj lekar de degi".
"Uske niche dusra number, USA me apna software company chalata hai, Indra patel. Humare super senior me se ek. Wo apna business poora bech kar jitne debt hota utna pay kar dete. Saaf kah deta wo aadmi, paise ka kya hai zero se shuru kiya tha fir shuru kar lenge, lekin jisne zero se shuru karne ka hausla diya hai unhe kaise chhod den."
"Zindgi ki bhid me bhale hi hum unse mil naa pate ho, lekin jab tak jiyenge unke liye kabhi emotion nahi badlenge. Lekin aaj afsos sa ho raha hai, main to yahin thi, madam ke aas-pass, fir bhi mujhe property mortgage ke bare kyon pata nahi.?"
Alfredo:- Tumko kaise pata hoga. Tab to tum madam ke sath hospital me busy tha. Kabhi puchhta ya pata karta tab na ki madam paisa kidhar se laa rahi hai.
Jugnu:- Tumhe to pata tha, tumne bhi nahi bataya Alfredo.
Alfredo:- Kaisi baat karti hai Jugnu. Hum kya logon ko pakad-pakad kar bolega, kalpna madam ne apni property girvi rakhi hai.
Jugnu:- Sorry Alfredo...
Alfredo:- It's okey. By the way, Lancer bhi boarding school ka koi student hai...
Jugni:- I thought ki ye wo na ho jiske bare me main soch rahi hun...
Alfredo:- Kaun...
Jugnu:- The Mysterious Brother & Sister"… Purusom & Anusia. Boarding me aisa koi nahi tha jo in dono ke bare me nahi janta ho. Lekin ye dono kisi se baat nahi karte the, siway ek dusre aur ek close Diksha didi. Diksha didi ka batchmate tha Purusom aur dono bhai bahan kafi close the. They are like family.
Alfredo:- Haan to ye wahi hai... Mysterious Purusom hai, jo khud ko Som bata raha hai… Lagta hai yahan kaa kaam bhi shadi ko dhyan me rakh kar liya hoga. Rishta nibhane wala lagta hai tabhi to madam se mila aur unke sath jude rishte ka farj nibha diya.
Jugnu:- Ye wahi hai to isne apni haalat kya bana rakhi hai...
Alfredo:- Madam ne ek phyco ko padhaya tha... Nashedi kahin ka...
Jugni:- "Nashedi nahi hai... 27-28 ghante wo lagatar kaam kiya tha. Nashedi hota to kaam chhod kar kayi baar ja chuka hota... Haan lekin physco to dono bhai-bahan the. Purusom 3 sal senior tha apne bahan ke. Humne usse tab jana tha jab main 6th me thi. Uski bahan 4th class me aur wo 7th class me tha. Tab sab se pahle jo complaint aayi thi wo tha ek PT teacher ko buri tarah se marne ki."
"School management baithi. Purusom se poocha gaya ki kyon maara teacher ko. Purusom ne koi jawab nahi diya tha. Lagbhag 1 ghante tak sawal repeat hota raha. Tab Kalpna madam wahan uski bahan Anusia ko lekar aayi. Fir sach bahar aaya ki child molestation kar raha tha wo kamina..."
"Haan school me dono tarah ki hawa thi. Ek ore log jo Kalpna maim ke uss jamin par chalne wali class se nafrat karte the aur unke ghar nahi jate the, un sab ne hawa udda diya ki PT teacher ko fasaya gaya hai. Kalpna maim ne fasaya hai."
"Management ko bhi yahi laga tha. Unhone uss chhoti bacchi se saboot maang liya "koi saboot hai uske baat ki". Tab uski bahan Anusia hansti hui sab se ek hi sawal puchhi… "Kya Purusom ne maara hai uska koi saboot hai. Yadi ab ye teacher apni baat ke support ke liye 4 logon ko khada karega to 8 log humare sath bhi hain. Chal Purusom". Ye thi 4th class ki uski bahan Anusia".
"Kisko nahi maara Purusom ne. Jis-jis ne schhol me chindi harkat kiya, Kalpna maim ko target kiya tha, sab ko dono bhai-bahan ne thok pit kar barabar kar diya tha. Jab Purusom school se nikal raha tha, tab wo kahta chala tha… "Abhi to Sia hai yahan. Lekin jab wo bhi nikal jayegi to koi ye na bhule ki Kalpna maim mere dil me basti hai aur bhoot hun main. Bus itna hi."
Alfredo:- Itna bada school hai. Itna maar kiya to usse school se nahi nikale kya?
Jugnu:- Dar Alfredo dar. Student ke bich charcha hoti thi ki Purusom ne kisi ko peeta hai. Lekin kab, kahan, kaise ye kisi ko pata nahi hota tha.
Alfredo:- Aur kalpna maim.. wo kuchh nahi kahti thi…
Jugnu:- Tumhe kya lagta hai... Hum kyon kalpna maim ko itna love karte hain... Unhone hi hume sikhaya tha… "bura karne ke liye jab bure log hath utha sakte hai to tum kya burai sahne ke liye paida liye ho. Jo wo kar sakte hain tum bhi karo, lekin kiya kisne ye kaun janta hai"... Wo ek carrier maker hain, jisne apne har student ko kewal aur kewal worst possible situation se bahar nikalne ki techniques sikhayi hai. Taki boarding se nikalne ke baad hume ye duniya ajooba na lage. Ye duniya yadi nirdayi hai to hume iss nirdayi duniya ko face karne aana chahiye, na ki musibton me rona chahiye…"
Alfredo badi si aankh kiye... "Oh to ye khatarnak ladka ek modern Guru ka sagird hai"…
Jugnu:- Mysterious sagird...
Dono hasne lage. Jugnu kuchh sukoon me lag rahi thi. Aaj usne kisi ke karj ka thoda hissa hissa chukaya tha, aisa mehsu kar rahi thi. Wo jab uss meeting hall se nikal rahi thi, Alfredo se kahti chali... "Alfredo madam ko pata nahi chalna chahiye ki unki property wapas kaise hui"…
Jugnu, ke jahan me ek ke baad ek school ki ghatnayen yaad aane lagi. Aisa koi sa bhi din nahi tha jab Purusom aur Anusia ka naam kisi ghatna me me na suna ho. Inhi sab khyalon me dubi Jugnu Som ka darwaja khat-khatayi. Som darvaja khol'kar usse ander baithne kaha...
"Som aap wahi hai kya?"
"Leave it. Can u arrange an event for madam. Event ki shurwaat exactly waise hi ho jaise hum madam ke yahan ki shurwat karte the, unke class se. Then a Thanksgiving party. Ek video Kalpna madam ke fans ke liye. Online uplaod kar dena taki wo sab bhi madam ko dekh sake jo kisi karan vash unke pass aa nahi sakte."
"Thanks for this great idea. Ye ho jayega. But madam aayengi kya?"
"Madam se shadi ke din milna aur unhe tum bus shadi ke din apna kaam dikhane ke bahane yahan le aana. Tum unki kafi close ho, aur unke sabhi alumani me eklauti tum ho jo unke sath waqt bitati hai. Tumhe mana nahi karegi."
"How would you know"
"School ke portal main roj dekhta hun. 2 baar."
"Got it Purusom"
"Come here"
Jugnu khadi ho kar uske pass pahunchi. Ek Napatula thappd pad gaya... "Don't ever try to call me Purusom. Call me Som or Lancer."
"Yes sir"
Jugnu jaise hi jane wali hui, "achha suno Jugnu"
"Ek baar aur thappd maarna hai kya"
"Nahi, apne mobile me jo tumne mera vido shoot kiya hai usse delete kar dena."
"Maine koi video shoot nahi ki hai"
"Tumhara phone naya bhi hai aur mahnga bhi. Aage tumhari marji"..
Jugnu jhatpat Som ke paun pakadti…. "Sir please, please, pleaseee, main face blur kar dungi. Kisi ko pata nahi chalega ki video me kaun maar raha hai aur kaun maar kha raha. Yahan ke cc tv image bhi delete karne ki jimmedari meri. Sir aap se sirf ek batch hi junior rahi hun. Agar aap ne mere baare me kuchh bhi jana hoga to ek baat pahle jana hoga, Jugnu trustworthy hai. Sir, please, please, pleaseee"
Som kuchh soch kar apne aankhon se sahmati de diya. Jugnu muskura'kar thanks kahi aur bahar jane lagi. Ek baar fir jaise hi darwaje se bahar nikli.…. "Jugnu ek minute"
Jugnu darvaje se ander aati... "Yes sir, kahiye"
"Tum bahut achha kaam kar rahi ho. I like your work. Ground work ke momentum ko kabhi jane mat dena"
"Sir please come here"…
"Tum bhi thappad maarne wali ho kya?"
"Maine to sawal nahi puchhe the na"..
Som Jugnu ke pass pahuncha. Jaise hi wo karib pahuncha, Jugnu, Som se lipat gayi... "Thanks a lot sir. Tarif to kayi logon ne mere kaam ki kee hai. Lekin aap ke muh se sun kar pahli baar khud me proud feel hone laga hai"
Som uska pith thap thapate…. "Don't be emotional. Tumhara kaam wakai mujhe pasand aaya. Ab ek chhota sa favour kar dena"
"Ya I know, aap yahan hai kisi ko nahi bataun, yahi na"
"Exactly. Thanks a lot. Maine tumhe ek mail bheja hai. Us par apna contact info update karte rahna"
Jugnu alag hoti... "Apna contact to dijiye sir"
"Mera contact wahi mail hai. Iske alawa kuchh nahi".
"Phone number"
"Baten bahut ho gayi. Ab tum jao. Mere pass na koi phone hai aur na phone number. Aur na hi social account"
"Achha Lancer, tumne to 5 din ka kaam khatm kar liya. Kya mere liye ek job karoge"
"2 din ki chhuti par hun. Teesre din aana"
Teen din baad Jugnu ne sampark kiya. Som ne kaam ke liye haan kah diya. Bus ek kaam tha, dulhe ki social profile develope karna, jise shadi ke dauran chalaya jana tha. 8 alag-alag theme the social profile ke, aur ye kaam usse dulhe ke sath mil kar karna tha.…..
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Pita ke emotions aise hi hote hain ... Kabhi kabhi aate hain lekin jab aata hai fir to agla pichhla sab hisab barabar kar dete hain... Mishra ji ne genuine kaha tha... Bechare ke armaan... Khair anth bhala to sab bhala...awesome update sirji
.
finally ab mishra ji ko bhi pta lg chuka hai ki som aur meera ki shadi ho chuki hai aur me anurag ji ko to bilkul hi bhul chuki thi lekin hamare nain sir sbka khayal rkhte hai. aakhir som ke pita toh wohi hai to unhe to pta hona hi tha. par lagta hai anurag ji mishra ji se jyada samajhdar aur sahanshil hai aur issi karan mishra ji ko samjhana possible ho paya warna abhi sara sameta hua rayta wapas fail jana tha.
.
waise nain sir mujhe lga nhi tha ki aap bhi cricket ki itni samajh rkhte honge pr fir khayal aaya ki india me cricket ka kitna craze hai aur aap samaj se pare thode hai.
.
lagta hai iss cricket match me final year walon ki badhiya band bajne wali hai aur neerav ko bhi kuch jyada khelna nhi aata. atleast abhi tk ke khel se to hi lgta hai.
lekin kuch alag hi ghatna mujhe lagta hai maidan ke andar nhi maidan ke bahar ghatne wali hai aur lagta hai sia ko bhi iska andesha ho gya hai.
dekhte hai next update me kya ghathit hota hai
Haan cricket ke maidan par 2 romanchak mukable ho rahe hain Nevil bhai... Reply me uss match ke bare me bata'kar main romanch ko chhota nahi kar sakta... Jald hi update deta hun..Parsanshniye update bhai
Meera ne aakhirkaar Kapender Mishra ji v Som ke pita Anurag Malhotra ko convinces kar hi liya ki kin halaato me gupt shaadi karni padi.
Idher cricket match ke douraan dushri branch ke students ko dekhkar Sia avlokan kar rahi hai kishi nayi saazish ka jo shaayad Kirti ne create ki ho badle ke liye Meera v Sia se par jald hi muh ki khaayenge saazishkarta.
Mujhe kya pata... Mujhe bhi jab Som, Sia, Meera ya Vyas me se koi batata hai wahi main chhap deta hun...Kya kaand karana chahte ho
Hmm sajish ji sugbugahat ho rhi hai ,sab plan ke according chal rha hai, magar Sia ki parkhi nazre kuch bhap chuki hai , even Meera bhi shayed kuch soch rhi h, filhal yaha som bhi nahi hai, aur main baat hai aaj chutti hai college prashasan bhi maujud nahi hoga