• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
क्या नैन भाई आप भी ऐसे मोड़ पे लाके रोकते हो की रहा नहीं जाता बाकि एक बात तो है की की सोम का पूरा परिवार मीरा को अपना चूका है अब लगता है जडेजा परिवार के घमंडी सदस्यों की भी अच्छी खासी लगने वाली है क्योंकि जिस सोम को बेरोजगार बोला था उसके परिवार ने जिसे कितना उल्टा सीधा बोला उसकी माँ शुग्नधा ने अब वही सोम उनका दामाद है अब मज़ा आएगा जब सोम और मीरा के बारे में पता चलेगा

बाकि मुझे सिया, दीक्षा और मीरा की कोई चिंता नहीं उलटा उन 200 लोगो की चिंता हो रहि है
Jald hi... Jald hi main udhar ki bhi khabar dikhata hun.... Jadeja family me kya uthal puthal hoti hai... Lekin abhi usme waqt hai... Filhaal to samne chal rahe mahol ka thoda jayja le lete hain... Dekhte hain ye match kya gul khilati hai...
 
  • Like
Reactions: Monty cool

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
nice update ..emotional drame ke baad thodi hansi majak ho gayi meera ke saath .
aur aakhir me mishra ji ke saamne sach aa hi gaya jisse unka dil toot gaya par sia ne mauke ki najakat ko samajhkar anurag ko pehle hi call kar diya tha ,aur unki baat maankar mishra ji ne sab sun liya meera ka .
jadeja family ko confuse karne ke liye mast idea lagaya hai meera ne 🤣.

ab ye cricket match dekhne gaye jaha pe diksha ko kirti bhi dikh gayi aur meera ne sab baate bhi bata di .

ye neerav aur uska partner test match to nahi khel rahe ya unko lag raha ho ki ye test hai 🤣🤣🤣..
bachche bhi isse achcha khel lete hai .

par waha ka mahaul kuch garmane wala hai aisa lagta hai 🤔🤔 .college ke ladke nahi hai par bahari ladke hai junki tadad bhi bahut hai .sia ne ye notice kar liya .par ye agar koi trap hai to kisne bichhaya hai aur target to sia ya uske apne hi honge .

aur sia ne koi plan nahi banaya abhi tak waha se safely nikalne ka .
Hahaha... Nahi match to test nahi t-20 hi hai... Lekin pata na final year wale kya kar rahe hain... Khaskar Neerav... Baki cricket hai to bawal hoga hi fir inside the field ho ya outside... Dekhiye agla update kya rang laati hai :D
 

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
वाह बहुत ही भावनात्मक क्षण और रायता समेट लीआ गया
अब क्रिकेट ग्राउंड में सिया एंड ग्रुप के खिलाफ़ षडयंत्र घेरा बनाया जा रहा है
सिया को आभास भी हो गया है
अब क्रिकेट मैच में नीरव का रौद्र रुप शायद देखने को मिले
और जब व्यास बल्लेबाज़ी करने आएगा तब क्या सिया का भंडाफोड़ होगा
Kala naag ji main uski kasam khata hun jiski kasam kisi ko nahi lagti ... Ki aapne jo-jo puchha hai usme kya sab hone wala hai... Mujhe katai nahi pata wo kaun ladke baith rahe ya fir cricket match ka kya hoga... :D

Aapko pata chale to kripya mujhe bhi suchit karen... I am curious too...
 

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
साला हर जगह योजना और षडयंत्र।
आखिर चल क्या रहा है, सब कोई घेर कर आखिर करना क्या चाहते हैं। कमीनों को अच्छे से कूटो, साले क्रिकेट का भी मजा नहीं लेने दे रहे, वैसे मजा करने लायक कुछ हो ना रहा मैच में।
Kutne ke liye kya maine yahan par okhal dal rakha hai ya dhan kutai ki machine laga rakhi hai.. kuto kuto chilla rahe... Kaise kutna hai wo to bata dijiye aur kutne ke liye jo equipment aayega uska bhara kitna lagega... Budget bhi to dekhna padta hai...
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,207
22,528
173
Update:-9




Som waqt se pahle hi social profile ka kaam khatm kar chuka tha. Mount Abu lautne ke badle wah kuchh din Gujrat bhraman kiya. Gujrat bhraman kar ke wah Mount Abu pahuncha.


Shadi me 5 din bache the. Dono pakshon ke ghar ke logon ke sath kuchh karibi rishtedar bhi pahunche huye the. Sham ka waqt tha. Som resort me poora din sone ke baad resort ke lawn se chala ja raha tha.


Bahar halki barish ho rahi thi aur raushni itni prayapt nahi thi ki dur se kisi ko saaf dekha jaye. Jugnu ladki paksh ke sath thi. Dulhan ka poora pariwar ek hi jagah baitha hua tha. Jugnu un sab ke bich shadi ka poora karykarm samjha rahi thi.


Diksha Mishra, iss shadi ki sabse pramuk sadsya, Dulhan... Uski najar ek jhalak bahar khule lawn me gayi jahan se Som gujar raha tha. Utni dur se pahchan pana thoda muskil lekin aabhash ho gaya tha ki wo Som hai. Baaten chal rahi thi. Diskha sab logon ke bich baithi hui thi. Jaise hi usse aabhash hua wo daur gayi.


Jaise hi wo dauri, sab ke sab hairan ho gaye, poora parivar hi Diksha ke pichhe daur gaya. Diksha teji se daur kar Som ke aage rasta rok kar khadi ho gayi. Wah haanf rahi thi. Haanfti hui... "Kamina kab aaya"


"Jab dekh le tab aaya."


Diksha aankhen mundi, aankhon me bachpan ki wahi chhavi thi. Ek tej daur aur uchhal kar sidha Som ke gale lag jana. Diksha ke liye na to wo dost badla aur na hi Diksha ki bhavnayen. Chand second shwans lene ke baad Diksha ek tej daur laga di. Kud'kar sidha Som ki god me. Dono baanh Som ke gardan ko jakde... "Tu soch nahi sakta main kitni khush hun. Ab ye event nahi shadi lag raha hai. Warna tere bina ek event sa lag raha tha jahan main formality karti".


"Bacchi nahi rahi Diksha. You grow up aur sath me, you know what I want to say"


"Fucking basterd. Tu jyada udhar feel mat kar, tu mere emotion feel kar. Got it"


"Haan thik hai, lekin tera neta baap mujhe gayab karwa dega. Tere hone wale ne dekh liya to, teri shadi toot jayegi"..


"Kuchh der aur. Aahhh tu soch nahi sakta main kitni khush hun. Tu kaisa hai Som. Tera mann nahi kiya mujhse milne ya baat karne ka"…


"Tera interview dekha tha. Kamal ki thi. Main tumhare achievement ko dekh kar kafi proud feel karta hun".


"Janta hai poori bhid hua karti thi. Aur uss bhid me meri najar tujhe dhundha karti thi. Sab aaye the, Madhurima thi, Amit tha, bus un palon me tu hi nahi tha Som. You made my all event hell. Are you listening me Som"…


"I miss you too Diksha. Tabhi to yahan hun. Don't cry"


Diksha, Som se alag hoti... "Har kisi ka apna ek group hota hai. A friend's arena. Amit aur Madhurima jab se relationship me gaye, they forgot me. You forgot me. In every moment when my eyes seeks some close one, no body was there. Jab lagta ki kisi se baat karni hai tab mere pass dost nahi hote. Don't you think how I felt. Logon ki bhid hoti thi aur main khud ko akeli mehsus karti thi. It seems like I am a biggest looser. Mujh se achhe to mere office ke employees hain jo 30k, 40k salary uthate hain aur har mahine unke pass celebrate karne ke liye unke dost hote hain. And what I achieved, a big Md cabin and nothing else. Why shouldn't I cry Som... Why..."


Som niche baith kar Diksha ke aanshu pochhte... "Tere pass to 4 dost the, jisme se ek out of contact ho gaya. Mere pass kewal 2 dost hai. Jitna waqt main tujh se nahi mila hun utne waqt se main lagbhag Sia se bhi nahi mila"


"She is enough strong. But main Sia nahi hum Som. Kah de ki Sia se teri baat nahi hoti, UK jane se pahle mila na hoga."


Som khada hua. Uchhal kar 2 baar chhap-chhap karte alhad se dance ke sath chinkh-chinkh kar gaane laga...



"Naata yeh sannata hai, dekho lambu shor hain

Har dil mein bud bud karta h2so4 hain

Na koi padhne wala na koi sikhnewala

Apni toh paathshala masti ki paathshala

Apni toh paathsahala masti ki paathshala"



Jaise hi Som ne gaana shuru kiya thik ussi waqt Diksha uth khadi hui. Aankhon se aanshu gir rahe the lekin wo hans rahi thi. Roti hansti wo bhi Som ke pass pahunchi aur alhad ke jaise chinkh kar gaate huye nachne lagi.


Dono nachte huye haanfne se lage. Kuchh bund aanshu Som ke aankhon me the. Kucch bund aanshu Diksha ke aankhon me bhi. Dono barish me bhing chuke the. Haanfte huye dono aamne samne khade huye.


Diksha sar upar kar ke Som ko dekhi. Aanshu uske jaise fir se phoot nikle ho. Som se lipat kar wo roti hui kahne lagi... "Ab please out of contact nahi hona... Pleaseee"


Dono mahol se poore be khabar, ek lambe arse ke baad milne ka gum bhula rahe the. Ab tak resort ke har kamre se darwaja khul chuka tha. Kamre me maujood log dono ko dekh rahe the. Lawn me lage bade-bade vaper light jal rahi thi. Ladki aur ladke paksh ka parivar karib se dono ko dekh rahe the.


Kitne bhi modern Bhartiya samaj kyon na khud ko dikha le. Unke pass har ainaitik rishte ko naitik sangyan dena fashion aur har natik rishte ko anitik samjhna jaise mentality ho chuki ho...


Yahan bhi aisa hi kuchh ho raha tha. Aisa bhi nahi hua ki dono jab shurwat me mile tabhi rok dete. Poora show jab khatm ho gaya tab inhe dhyan aa raha tha ki "ohhh ye to galat ho raha hai"…


Ek chhota sa mello drama scene creat hota, jahan kisi ristedar ke muh se nikla... "Ye aaj kal ke bacche shadi kisi aur se ho rahi hai aur chipak kisi aur se. Vyakul ho kar aise bhagi jaise sab kuchh yahi ho"…


Bus fir kya tha. Mata ji ka dimag fira. Poore gusse se khadi ho gayi dono ke pass. Khinch kar alag kiya aur bilkul Hindi serial ke style me hath upar utha aur chatakkkk ki awaj gunj gayi.


Som ke muh se "aawwwww" nikala aur ussi ke sath tej hansi bhi. Thappad padne ka gum nahi tha lekin Diksha, Som ko aise ghuri mano kah rahi ho... "Hans le kamine baad me batati hun"


Itne me hi bechara dulha bhagte daudte, chhote chhote jhadiyon se bani fancing ko kudte faandte, kisi hero ki tarah wahan pahuncha. Apni dulhaniya ko apne pichhe liya aur.… "Aap logon ka dimag kharab hai kya, dono bachpan ke dost hai aur aap bina jane hath utha diye"


"Aisi dosti bus filmon me hi dikhaya jata hai. Lekin wahan bhi dono me kuchh-kuchh hote rahta hai."

"Isse besharmi kahte hain"


Kuchh atyant bhawuk rishtedar jo in vishyon par shuksham gyan rakhte hain, apne vichar dene lage. Tabhi dulha gusse me sab se kahne laga... "Agar aisi bhavna hoti to chori se milte. Kisi ki bhavnao ko aise nichta ka naam nahi dete. Diksha tumhare rishtedar bahut hi orthodox hain. Kahan hai sasur ji."


"Pagal ladka, neta ji idhar hote tab aise comment sun ne ke baad mamla katam-katai ka ho jata"... Bhid se chill kar kisi ne dulhe ko cheta diya ki Dulhan ke pita yahan hote to kya hota. Mata ji thi to bus thappad hi para tha. Kuchh der mahol thoda gambhir raha lekin kuchh der baad sab ko samjha diya gaya ki award function me log anjano ke gale lag jate hain tab to taliyan baja dete ho. Yahan bachpan ke dost se mil rahe tab galiyan."


Aise hi 8-10 comprision aur kuchh ristedaron ke beton ki profile khol kar dikha di gayi thi jo videshon me videshi balaon ke sath kaise-kaise tasveer khincha rakhe the. 1 ghante ka ek debate session chalne laga.


Mamla samajhne-samjhaane ka jaise hi shuru hua tha, Diksha aur Som ke najron ke bich sangosthi hui aur dono pool side paun latka kar baith gaye. Cigerette ka ek kas Som khinchta aur fir cigerette pass ho jata.


"Kafi majboot ho gaya hai. Army to nahi join kar lee"


"Army join karne ki ikchha thi, lekin wahan bade baal rakhna allowed nahi tha isliye idea drop kar diya".


"Pagal… Itna emotionless kaise ho gaya Som. Kya Sia yahan nahi hogi to tu mujh se bhi nahi milega"


"Soooo sollyyyyyy... Kya karun jo Diksha ko santusti mile"..


Diksha, Som ke baanh me apni baanh fasakar sir ko uske kandhe se tikati.… "Mere pass rahna, bus itna kar de"


"Ab kahin gayab nahi hounga. Happy na"


"Very happy. Mujhe nachne ka man kar raha hai"


"Abhi nahi rahne de. Waise Mishrayan ne tujhe thapad bahut shandar maari"…


"Satak gayi hai uski. Tujhe thappad maarna chahiya tha to mujhe ulta maar di. Aur tu kamina hans raha tha"


"To kya karta, Lata Mishra ko jawabi thappad maar deta"..


"Huhhhh !!! Hath rok nahi sakta tha. Thappad poora pad jane diya, ulta hans bhi raha tha. Bahut din baad mila hai isliye bach gaya warna dono gaal par haath ke nishan chhape hote"…


"Hahaha... Diksha tujhe tairana aaya ki nahi ab tak"


"Nahi kahan aaya. Bahut kosis ki lekin dubne ke siwa ab tak kuchh na aaya. Jaldi-jaldi ab quick view de itne salon me kya kiya."


"PhD in linguistics. Distance cource offered by Massachusetts Institute of Technology (MIT), Cambridge. Jine ke liye mahine me ek baar underground fight karta hun. So 1 se 2 lakh income ho jata hai. Iske alawa apna portal develope kiya hai jahan Lancer ke naam se log mujhe jante hain. Udhar freelancer hun. Jis area me bhatak raha uss area ka kaam mil gaya to kar deta hun. Charges kaam ke hisab se"..


"Tu ye kya naya naya cource dhundh leta hai. Kabhi suni bhi nahi. Aur ye elligal fight karte tujhe sharm nahi aati. Police pakad legi to."


"Mehnat ke paise loot leti hai aur kya. Janti hai tum sab ko yaad kar'ke main kayi baar roya hun"..


"Ya I know. Main bhi to roti thi. Wo Sia nahi royi hogi"..


"Wo to sab ke touch me thi na. Aur wo samne me roti hai. Abhi race lagayegi mere sath"


"Haynn na lagati mai race tu cheater hai. Aur ek emotion me baat kar na. Abhi Sia abhi race. Ab ye mat kahna chal kisi ke garden me uske fruits chori karne hai"


"Khyal bura nahi hai. Kya kahti hai. Madam ka ghar matr 7 km. Race lagate chalte hain. Chori bhi kare aayenge."


"Tujhe yakin na ho to pichhe zip khol kar dekh. Pith par madam ke chhadi ki bilkul halka nishan ab bhi najar aata hai. Chamdi udher di thi aur daya bhi nahi dikhayi".


"Diksha, jo pakde gaye wo chor. Jab ek chor pakda jata hai tab uska kya hota hai ye tumhe jaan lena chahiye, taki next time jab chori karo to utni hi taiyari ke sath chori karo.… Hahaha"


"Kamine dono bhai bahan mujhe chhod kar bhag gaye the."


"Hahaha.. ab tujhe extra fun chahiye the. Main aur Sia to shuru se tere followers rahe hain".


Diksha ek hath badha kar Som ke gaal ko khinchti... "Thanks a lot. Som aur Sia mere followers the ye feel the proud momnet tha. Waise tere gaal pichak gaye. Pahle ki tarah gol matol na hai."


"Accept the change and feel the happiness. Har umr ki apni ek kahani hoti hai. Har padav par kuchh naye milenge, kuchh purane chhut jayenge. Lekin friend's arena aisa hota hai jo jivan bhar constant rahta hai. Ek dost hi kafi hai boaring se zindgi me thrill laane ke liye".… Som apni baat kahte Diksha ke gaal ko chuma... "Aur mere zindgi me to 2 thrill hain".


"Madam ki har baat ko poora ratta maare hai philospher ka nana. Jyada gyan mat de gyan chand. Issi chakkar me tu kisi na kisi subject me fail hota tha."


"Meri kya galti hai, likha tha kisi ek poem ko explain karo. Mai atak gaya uss sawal me"


"Wo poore class ko dikha tha. 2 ghante tak tune extra copy maang maang kar madam ki philosophy explain karta raha tha, Gadha. Ek baar jo achhe marks le aata. Har exam ka tera aisa hi natak hota tha. Kisi ek sawal me aisa ulajhta tha ki 2 ghante me se dedh ghanta ussi me laga deta tha"


"Ek hi baar to hua hai"


"Achha aur wo best friend ke bare me jab puchha tha tab. Uss paper me bhi kewal ek answer kiya tha aur fail. Oxygen ki properties puchha tha tab kya hua tha. About school. History of Rajasthan kindoms, Vayumandaliya dabaw. Koi ek aise subject ko baksha tha, jiske sawal padh kar teri bhavna na jaag gayi ho aur poora exam ussi ke answer me nikal diye ho."


"Mere dimag me to madam ki philosophy hai. Lekin tere dimag me to mere poore nakarepan ki kahani store hai. Ye sab tune mere sath bahasbaji ke liye yaad kar ke rakhe hai na".


"Ab yahi baki rah gaya hai kya? Aur tere poor marks ke kewal 1 hi kisse honge kya? Yaad dilaun tujhe."


"Pass ho jata tha na. Ab sab brilliant to nahi ho sakte na teri tarah. Har subject me 100 me se 100 lane wali. School ke portal par hall of fame me sab se upar."


Dono ki baten chalti rahi. Shayad raat kam par jaye lekin inki baten thi ki khatm hone ka naam nahi le rahi thi. Khatti mitthi purani yaden. Dono itne masgul the baat karne me ki kab ek baar fir sabhi log uske pichhe baithe, dono ko dhyan hi nahi tha.






<---------------{ }------------>

Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye

<---------------{ }------------>

Awesome update
 

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
nain11ster Bhai,

Story 10 din pehle hi resume ho chuki hai aur apun ko koi notification hi na aya... ??

Waise galati meri bhi hai, kyuki maine bhi 15th Jan ke bad yaha ka rukh na kiya...

Ab jitne bhi recent updates miss hue hai, aaj unko he sabse pehle finish kar ke, current wale update tak ana hai...

Thanks for resuming this amazing story !!

:party::partyjump::party1:
Abhi kya hai na... Incomplete story kitna chot deti hei wo mujhe pata hai... Baki jab update deta hun to fir kisi ko update ka intzar karna pade aisa nahi hota... Haan lekin kabhi kabhi mahino gayab ho jata hun :D

:welcome: back Vish babu
 
  • Love
Reactions: vmvish

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
nain11ster bhai,

Sab log hi kya chhipte-chhipate hue hi shaadi karenge ?? :wink2::wink2::wink::wink:

Meera aur Som ki chori-chhipe shaadi ho chuki hai

Mishrayain ji ne ye khushkhabri sunte hi tamacha jad dala aur gaal sek diye. Diksha ko bhi shaq ho chuka hai.

Lekin ye kya kar dala hai Sia ne... Vyas ko latka diya hai steel wire se, aur Neerav uske pran bachane me laga hai !

Vyas ek tarah se "Bahubali" type ka insan nahi thha ? Itni asani se Sia ne use ped se kaisa tang diya ??

Chaliye, dekhte hai ki agli update me kya hota hai...

Thanks !!
Bahubali bhi latak gaya hota yadi devsena gale me rssi daal kar 3-4 fit ki unchai se rassi khinchte huye kud jati... Main janta hun meri baat par yakin nahi to apni GF ke sath poori scene record kar'ke dekhiye .. waise ye don't try at this home or anywhere wala tag hai isliye 70 kilo ka putla le laga dijiyega...
 
  • Haha
Reactions: Mbindas and vmvish
Top