• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
nain11ster Bhai,

Bahut hi shandar update

Shuruat me hi ek sath 2-2 baghad bille (Kapendra Mishra & Anurag Malhotra) ke gale me ghanti badhi gayi. Un dono ko Meera-Som ke vivah ke bare me sab kuchh bataya gaya. Sabko hi Meera bahu ke roop me sweekar hai

Aur ab cricket match me ek taraf final year walo ko 3rd year walo ne gher liya hai

Waise ye openers sale itne fattu kyu hai ? Power-play hi toh chances le ke high run rate pe scoring karni chaiye. Maiden overs khel rahe hai 20-20 me !!

Wahi dusri taraf darshako wale area me Som ke ghar ki mahilaon ki bhi fielding set ho chuki lag rahi hai

Hopefully Sia ne sabh kuchh bhampte hue Som se madad mang li hogi.
Kyuki murders ke bad hi Som ne use warn kiya thha, ki woh khud ke prati aur parivar ke prati savdhan rahe.

Ab intezar rahega agle update ka jaha field ke andar aur field ke bahar dono hi taraf solid action ki ummeed hai.

Thanks !!
Mujhe bhi in opener ko dekh kar gaali dene ka man kiya... Lekin kya karun... De nahi sakta tha... Dekhiye kahin aapki gali sunkar sudhar jaye... Abhi 14 over bacha hua hai...

Baki off ground kya karname ho rahe wo mujhe nahi pata jaldi se update de deta hun.... Fir hum dono dekhte hain ki on ground aur off ground kya hua... Oh BTW aaj popcorn na bhuliyega ... Popcorn ke sath update ka maza lijiyega
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
सहवाग निःसंदेह एक अच्छा ओपनर था लेकिन सच यह है कि गावस्कर से बड़ा ओपनर बल्लेबाज हिन्दुस्तान में तो कोई और नहीं हुआ ।
बीस ओवर का मैच , वन डे मैच को मैं असल क्रिकेट ही नहीं मानता । कभी किसी का लक फेवर कर गया कभी किसी का ।
एक्चुअल क्रिकेट टेस्ट मैच है जहां सभी की परिक्षा होती है ।

मेरे नजर में गावस्कर इंडिया की ही नहीं बल्कि वर्ल्ड के आल टाइम इलेवन में एज ए ओपनर बल्लेबाज चुने जायेंगे ।
क्योंकि मैं बाकी आने वाले प्लेयर को समझ सकता हूं कि वो कौन होंगे ।
कपिल देव और सचीन तेंदुलकर की भी लोग कल्पना कर सकते हैं लेकिन वो रेस में हैं ही नहीं ।
Abhi main isliye cricket par kuch nahi likhta... Koi jawab chhoda ya chhodi nahi hai jisne Virat ke bare me likha ..

Gawaskar, Sachin they are the legend... Sehwag as a one day cricket opener... Ab shayad main clear hun aur poori clarity ke sath apni baat rakh raha...
 
  • Haha
Reactions: SANJU ( V. R. )

Kala Nag

Mr. X
4,152
16,159
144
Update:-81(B)





Match ka second enning shuru hua. Sagar Chaturvedi ke sath koi aaya tha opening karne... Lekin match ke pahle hi ball par, pahla wicket.. High score ka pressure pahle hi gend par dikh gaya… Uske baad first down khelne aaya Vyas... Vyas ke crease par aate hi darshkon ne hooting karna shuru kar diya. Sab usse cheer kar rahe the...


Match ke second ball se Vyas ki batting shuru hui aur fir powerplay me jo hi aatishi pari kheli, Vyas aur Sagar ne sabhi bowlers ki bakhiya udher dali… Powerplay ke 6 over samapt hone ke baad team ka score 96 run 1 wicket ke nuksan par. 14 ball khel'ker 52 run ke niji score par Vyas khel raha tha aur 16 ball khel'kar Sagar 40 run bana chuka tha..


3rd year ki team kafi teji se apna score badha rahi thi. Pahle ball par mili khushi ke baad final year walon ko fir koi khushi nahi mili. Dekhte hi dekhte dono ne dusre wicket ke liye 166 run jod diye, jab Vyas ka wicket 92 run par gira aur uske kuch der baad hi Sagar bhi 68 ke niji score par chalta bana. 13 over me 170 run ka score ban chuka tha. Bache 7 over me ab inhe 72 run banane ki jaroorat thi aur hath me the 7 wicket.


Naye ballebaaj jaise hi pahunche, vipakshi team ne pressure banana shuru kar diya. Dono hi ballebaaj jamne ke liye 18 ball khel gaye aur matr 17 run hi banaye... Jahan team ka score ek waqt 13 over me 170 run tha wahin ab 16 over me 187. Ab 24 gendon me 55 run banane ki jaroorat thi...


Ballebaji kar rahi team par pressure badhta ja raha tha aur iss pressure ka asar batting kar rahe ballebaj par bhi dikh raha tha. 17th over ki shuruwat aur har ball maarne ke chakkar me, 3 boll dot chali gayi.. aur issi dauran 4th ball par wo ballebaj bhi out ho gaya... Ball catch hone se pahle dusra ballebaj Kailash strike change kar chuka tha... Aakhri ke 2 ball bache the jis par matr 2 single aaye...


18 ball aur 53 run banane the. Strike par purana ballebaj Kailash tha, jisne pahli ball par ek shandar chauka laga'kar dusri gend par single le liya... Naya ballebaj Dhiraj, strike par aate hi pahli ball ko bade pyar se defence kar diya... Match ka 4th ball aur Dhiraj ka shandar sixer.… Fir to Diraj jaise charge ho gaya ho... 2 back to back 6 se baad ek chauka jad kar team ko poori rahat ki shwans di...


18th over se 21 run aa chuke the aur jit ke liye 12 ball par 32 run chahiye the. Dono hi ballebaj apna poora johar dikha rahe the. 19th over me bhi dono kamal karte, 1 six, 2 four, 2 double aur 1 single ke sath 19 run jod chuke the. Match ka aakhri over aur jit ke liye chahiye the 13 run.. Dono hi ballebajon ne mil'kar hath se fisalte match ko yahan tak le'kar aaye..


Aakhri over ka tashan bhi kafi hight tha. Final year ke captain kuch jyada hi chintit. Unka star bowler ke hath me ball thi... Ye pahli ball delivered aur Dhiraj ne diya ghuma kar sixer… Final year ke pale me sannata aur 3rd year wale darshak utsahit. 5 ball aur 7 run... Match haar ki kagar se jit ke muh tak le aaya tha Dhiraj aur Kailash...


Dusri ball par ek single ke sath, Dhiraj ne strike Kailash ko de diya... Teesri ball aur bowler ka ek shandar reverse swing... Kailash poori tarah chaunk gaya... 3 ball aur 6 run banane the. Aakhri over ki 4th ball... Kailash poore dhyan se taiyar khada ball ke intzar me, tabhi fielding team ka wicket keeper ne dhime se Kailash ki maa ke upar comment kar gaya... Wakai kafi abhadr tippni thi jahan bowler ke hath ki ball ki tulna uski maa ke stan se kar gaya tha wo...


Kailash ballebaji chhod'kar uss wicket keeper ko sidha maarne daud gaya. Mamla shant hone se pahle Kailas uss wicket keeper ko 4-5 ghuse aur 1 bat pith par maar chuka tha... Haan lekin gusse me ballebaaj ya to 6 lagata hai ya out ho jata hai. Kailash ka durbhagya raha. Usne 4th ball par gusse se hawa me tej balla ghumaya. Balla ka halka bahri kinara laga aur ball sidha wicker keeper ke hath me...


Ab bache 2 ball par 6 run chahiye the. Match kafi tashan me. Naya ballebaj aate hi apna kaam kar gaya, kisi tarah ek single nikalne me kamyab... Ab ek ball aur 5 run chahiye the... Fielding team lagaatar Dhiraj ko uksa rahi thi... Ye cricket ground ka aam uksana tha, na ki uss wicket keeper ki tarah family ko bich me ghasit rahe the...


Dhiraj apne poore sanyam ke sath. Jaise hi bowler delivery dalne ke liye crease me pahuncha Dhiraj hat gaya... Usne umpire se shikayat kari, ki pichhe se wicket keeper kuch-kuch bol raha hai...


Umpire ne warning diya aur bowler fir se ball dalne gaya.. Iss baar Dhiraj ko ek khiladi ke braslet se samasya ho gayi. Aise hi kar'ke Dhiraj ne 5 baar uss bowler ko run-up karwa diya... Dhiraj ke ander se sara pressure aur chidhane se utpann emotions kahin gayab ho gaye...


Match ki aakhri ball.. Aur kya shandar ball thi.. Outside off stump par ek shandar yourker... Bowler ne apna perfect delivery daal diya jo wicket ke liye nahi balki dot ke liye feka gaya tha ..


Dhiraj bhi utni hi teji se ball ko sidha deep extra cover ke ore hawa me uchhal diya. Thoda sa chuk gaya.. ball boundry line ek 2 inch pichhe giri aur 4 run ke sath match tie raha... Waise bhi yourker, wo bhi outside off stump par dala gaya, fir sahi dhang se ball balle par lag jaye uski koi gurantee nahi hoti, Dhiraj fir bhi uss ball ko sahi gape me khel chuka tha...


Haan lekin romanchak mukable me match tie raha... Aur yahan ka tie match ka faisla super over se nahi hota balki ya to re-match ya fir dono team ki nayi sandhi...


Wahin jaise hi match khatm hua Kailash ek baar fir daur gaya. Jab tak log bich bachav ke liye aate... Tab-tak wo ek baar fir wicket keeper ko 4-5 ghushe de chuka tha... Ek round yahan cricket ki ladai bhi dekhne ko mil jati yadi wahan Mr. Malhotra na hote...


Bodyguard sab ko shant karwa'kar field khali karwa chuke the. Sabhi ke wapas lautne ke sath hi Sia, Diksha aur baki sabhi log lot aaye the... Ghar pahunch'kar Mr. Malhotra kuch der apne parivar ke sath waqt bitaye aur ek jaroori kaam se Lucknow airforce station nikal gaye. Wahan pahunchte hi, ek bade se office me... "Manish rescue operation ki kya position hai"…


Manish:- Sir sabhi jaankari aa chuki hai. Ek rescue team kal raat hi Afganistan border me ghusi hai...


Mr. Malhotra:- Rescue team lead kaun kar raha hai…


Manish:- Koi Officer Vishal Singh hai sir..


Mr. Malhotra:- Unke superior se baat karwao....


Manish:- Unse baat nahi ho sakti sir..


Mr. Malhotra:- Why?..


Manish:- IIRF (Indian Intelligence of Rescue force) Kewal case leti hai aur ongoing opretion ke bare me wo kisi se koi baat nahi karte..


Mr. Malhotra:- Damnnn !!! Who is the department head... Mujhe unse baat karwao....


Manish:- Sir IAS Avneesh Sinha is the chief, but..


Mr. Malhotra:- What but Manish?..


Manish:- Sir wo kisi ki nahi sunte... Na hi kisi ke sath kaam karte hain... Bus unke pass case pahunchte hi wo log concerning department ko rescue ki ek deadline time bata dete hain...


Mr. Malhotra:- Trapped Raw agents ke rescue ka deadline time kab tak diya hai unhone...


Manish:- Sir, kal der raat se parso sham ke 6 baje tak ka waqt diya hai....


Mr. Malhotra, apne superior, National security advisor ko call laga'kar poora mamla samjhaya... Udhar se National Security Advisor ne puchha.. "Karna kya hai"...


Mr. Malhotra:- Sir, aap PMO se permission lijiye ya president office se, mujhe nahi pata, lekin mujhe IIRF ka chief yahan Lucknow Air station par agle 1 ghante me chahiye. Sath me wo mere order follow kare…


National Security Advisor:- Ok.. aap aage ki planning kijiye... Main 1 ghante me sab arrange karta hun...


Lagbhag 45 minute bite honge... IIRF head IAS Avneesh Sinha, Anurag Malhotra ke samne the.… "Sir, mujhe ek request letter mila hai. Hum kaise aapki madad kar sakte hain"..


Mr. Malhotra:- Avneesh, Thank you for accepting our request. I want your team to do some more work before getting the RAW agents out of there.


IIRF head Avneesh Sinha:- Aur wo kis tarah ka kaam hai...


Mr. Malhotra:- It would have been better if I discussed my entire planning with the mission in-charge.


Avneesh Sinha:- Thik hai sir aap mere sath chaliye.. Lekin kewal aap. Baki ko main allowed nahi karunga...


Lucknow Air station me hi IIRF ka ek bada sa working office tha, jo ki strictly prohibited area tha jahan IAF ke officers bhi nahi ja sakte the... Darwaje par biomatric security scan tha... Avneesh Sinha ke ratina aur palm scan ke baad darwaja khula. Dono ander ke ore chalne lage...


Mr. Malhotra, uss office ki shandar building ko bade dhyan se dekhte... "Lagta hai government aapke department par kuch jyada hi kharch karti hai"..


Avneesh Sinha:- Hahaha... Aap jal rahe hai kya sir...


Mr. Malhotra:- Nahi, itna shandar to humara PMO bhi nahi hai...


Avneesh Sinha:- Iss ore aaeye sir..


Dono ek darvaje ke bahar khade the, jahan 4 security officers tainat the.. Sabhi officer kale libas ke sath mask me the aur atyaaadhunik hathiyar se laish… Wo charo un dono ka rasta roke... "I'd card please"


Mr. Malhotra:- What.. I'd card..


Avneesh Sinha apna I'd nikalte... "Rule is rule sir"… Avneesh Sinha ki baat sun'kar Mr. Malhotra ne bhi apna I'd card de diya... Dono I'd card ek box me daal'kar jaise hi ander gaya... Thik 15 second baad darvaja khula aur darvaje ke samne IIRF ke joint director.....


Avneesh Sinha:- Oh, to apne boss ke liye jo aadmi aaj tak apne chair se nahi utha, wo Security Council ke deputy advisor ki I'd dekh kar khud chala aaya... "Inse miliye sir... Som Malhotra, IIRF joint director aur Filed opration ka head..."



Som:- Ab roj-roj mere dad thode na mere office aate hain sir, isliye aana pada...


Avneesh Sinha:- What?? Your dad...


Wahin, Anurag Malhotra bilkul hairani se Som ke ore dekhte... "Som tum yahan kaise"…


"Dad, pahle kaam kar len, fir aaram se baat karenge. By the way humare sath aisa pahle kabhi nahi hua, kisi dusri agency ne itna urgent basis par humse sampark kiya ho. Ummid hai ki RAW aur Security Council ke pass kuch vajah rahi hogi"…






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
वाव बाप बेटे आमने सामने
क्या बात है
भाई झटका सुपर झटका
और झटके पे झटका
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
10,105
42,445
258
Abhi main isliye cricket par kuch nahi likhta... Koi jawab chhoda ya chhodi nahi hai jisne Virat ke bare me likha ..

Gawaskar, Sachin they are the legend... Sehwag as a one day cricket opener... Ab shayad main clear hun aur poori clarity ke sath apni baat rakh raha...
कई सालों का इतिहास है क्रिकेट का । डॉ डब्लू जी ग्रेस , डाॅन ब्रेडमेन , ट्रिपल डब्लू , गैरी सोबर्स , डगलस जारडिन से लेकर विराट कोहली, स्मिथ , रूट वगैरह तक ।

स्टेप बाई स्टेप इन सभी लोगों के बारे में बता सकता हूं और यही नहीं वर्ल्ड में जितनी लड़कियां इंटरनेशनल मैच खेल रही है , उनके बारे में भी । :D

उपन्यास , ओल्ड मूवी और स्पोर्ट्स इन्हीं के चलते मैं वो नहीं कर सका जो मैं बड़ी आसानी से कर सकता था । यही वे चीजें थी जिसके चलते मुझे अभी भी इनकम के लिए बहुत मेहनत करनी पड़ती है ।‌‌
प्रैक्टिकल नॉलेज की जरूरत है लड़कों को न कि थ्यूरीकल नाॅलेज की । :D
 

Pass1234

.:| BFF |:. @s.r.a.j.p.u.t_s.r__
862
1,114
139
Sceart agent ki felling huuu.
Maja aya
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

nitya.ji

New Member
78
306
53
Pita ke emotions aise hi hote hain ... Kabhi kabhi aate hain lekin jab aata hai fir to agla pichhla sab hisab barabar kar dete hain... Mishra ji ne genuine kaha tha... Bechare ke armaan... Khair anth bhala to sab bhala...

Baki Ab main samaj se bahar thode na ho sakta hun.... Ek bich cricket ki deewangi sabse jyada high rahti thi, jab Sehwag opener hua Karte the... Uss jaisa opener Indian cricket me na ab hai aur na pahle kabhi raha.... Uske jane ke baad dekhne ki ruchi khatm ho gayi .. haan deewangi barkarar hai bus subah uth'kar ya match khatm hone ke baad final score dekhne ki... Usme bhi kahin se khabar mili ki Indian team haar gayi fir wo bhi nahi dekhta...

Baharhaal cricket ke maidan par ho rahi sari ghatnao ko capture kar liya isliye ab aur jyada kuch nahi kahunga... Baki sara kuch update me
sir mana ki sahwag jaisa opener shayad hi kbhi india ko mile but mera manna hai ki jo young talent abhi india me hai aur jo progress indian cricket team ne dikhayi hai pichle 5-7 salon me wo kbhi na hui hogi khaskar test matches me.
to sir apna to sidha sa fanda hai cricket match wo bhi khaskar test match aur nain sir ki stories kbhi miss nhi krna re baba😜
 
Last edited:
Top