• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
Update:-81(A)

Sia apne charo ore dekh rahi thi... Halanki jo bhi log baithe the wo Sia ke poore group se 5 fit ki duri par baithe the, lekin charo ore se takriban 200 log baith chuke the... Sidhiyon ke dayen aur bayen itni dur tak darshak baithe the, ki unke bich se gujrne ke dauran yadi sabhi darshak khade ho gaye to pata bhi na chale ki wahan bich me kya ho raha hai...

5 over ka match samapt ho chuka tha. Final year ko support karne aaye students kafi niras dikh rahe the... 6th over ki surwat ho rahi thi. Asif aur Mukul ke 2-2 over ke first spell ke baad, 5th over naya bowler aaya tha... 6th over me ball ek bayen hath ke leg-spinner Vinay Upadhyay ke hath me thi...

Indian batsman yadi kisi spinner ko dekh le to uske mann me yahi chalta hai... "Lalach aayi lap-lap"… Neerav ka partner Joy ka bhi wahi haal tha... Over ki pahli ball... Aur diya ghuma ke... Balle ka kinara laga aur ball hawa me fine leg ke taraf uchhal gayi. Fine leg circle ke ander hone ki vajah se, final year walon ka pahla boundry...

Darshakon me kuch rahat... Aur ye bowler ki dusri ball.. Joy 2 kadam aage nikal'kar shot liya... Ball sidha long on boundry ke paar darshkon me... Aur ye dusre ball par 6… Jahan darshkon me pahle ball par rahat hui wahin dusri ball par khushi se jhum gaye...

Bowler ki teesri ball aur Joy ka ek shandar backfoot se liya gaya shot... Ball point ke upar se bich maidan me giri aur utni hi raftaar se boundry line ke paar... Chauthi ball par fir ek risky hawai shot aur ball mid wicket boundry ke pass khade player ke sir ke upar se hoti hui 6…

Bowler chala apne over ki 5th delivery fekne.. Captain Sagar aur Bowler ke bich thodi baat chit... Bowler ne ball dala aur iss bar bhi Joy 2 kadam aage nikal'kar apna balla ghumaya.... Lekin iss baar bowler ne ball off stump ke thoda bahar rakha.. ball tappa khate hi off stump ke aur jyada bahar chali gayi aur Joy poori tarah se chuk gaya.. Aur ye gaya team ka pahla wicket, stump out..

Team ka next batsman pahuncha, aur batting crease par pahunch'kar... kuch push-up ki nautanki, kuch wo wicket guard ki nautnki, etyadi-etyadi nautanki karne ke baad hawa me balla uthaye taiyar... Apne team ka score 200 paar karne ke irade se...

Bowler ne ball leg aur middle stump par pitch kiya.. batsman back foot par ja'kar, deep point aur deep backward point ke bich shot liya... Oppsss... Ball ki uchhal ne chakma de diya... Ball bilkul niche hi rah gayi... Inner edge lagti hui ball sidha wicket se ja takrayi aur back to back team ka dusra wicket down hua...

Team ka score 6th over ki sampati par.. 6-24-2.. Yani ki 6 over me 2 wicket ke nuksan par 24 run.. aur ye team ka drink break...

Waise 6th over jab shuru hua, tab darshak ke reaction kewal 2 ball tak hi simta raha. Kyunki jab teesri ball feki ja rahi thi, tab darshak stand me achanak se hulchal mach gayi... Daurte-bhagte aur strict se lagbhag 20 officers ne uss jagah ka charo ore se muayna kiya, jahan Diksha aur Sia baithi thi... Idhar se "All clear" ka msg gaya, udhar se National Security Council ke deputy advisor Mr. Anurag Malhotra.. Suit pahne apne 6 bodyguard ke sath sirkat kar rahe the...

Sia ke chehre par muskaan to tabhi aa gayi thi jab usne officers ko round lagate dekhi... Sia, apne bhai Som ke kisi bhi strict baat ko kabhi bhi casually nahi leti. Som ki samjhayi chijen yadi Sia khud se kar payi to thik warna wo ek kabil madad dundh leti hai... Aur ye baat Som bhi janta tha...

Som ne Sia ko jaise hi mamle ke seriouness ko samjhaya, Sia samajh chuki thi ki ye kaam uss se nahi ho payega... Tabhi usne soch liya ki wo apne dad ko yahan bulayegi... Yadi Sia ke pass Mr. Malhotra ko bulane ke liye unki bahu Meera ka bahana nahi hota, to bhi wo kisi na kisi bahane se bula leti...

Waise suit me aaye bodyguard ko dekh'kar Diksha bhi khush ho chuki thi kyunki usse bhi pata tha ki kaun aa raha hai... Diksha ko 2 sal mile huye ho gaye the... Sia aur Diksha dono chahakti hui khadi ho gayi...

Thodi hi der me Mr. Malhotra samne se chale aa rahe the... Aaj bhi wahi personality aur utne hi rashukhdar najar aa rahe the… Stand me baithi poori audience ka dhyan wahi khinch rahe the. Tabhi to dusre ball ke baad poore darshak chuppi sadhe the... Wahin drink ke waqt khiladiyon ka dhyan bhi issi ore raha.

Baharhaal Sia ko apne dad dikh gaye the usse kuch bhi ab fikr karne ki jaroorat nahi thi. Wahin Diksha to Sia se pahle daur laga di... Diksha ko bhagte dekh Sia bhi uske pichhe bhagi... Diksha, Mr. Malhotra ke pass pahunchte hi unse lipat gayi.… "I am soooo sorry dad... Aapko apni shadi me na bula'kar ek irrivarsable mistake kar gayi... Iss baat ka ehsas mujhe kal hua.. I am sooo sorry... Please mujhe maaf kar do"…

Mr. Malhotra, Diksha ki pith thap'thapate… "Hey mera strong beta... Ab kya public me mujhe emotional karogi. Don't cry please..."..

Diksha:- Dad mere aanshu nahi ruk rahe.. main kya karun...

Mr. Malhotra:- Apne pati ko divorce de'kar uss se dobara shadi kar lo. Ya fir rona band karo..

Diksha:- Daddd...

Mr. Malhotra:- Either you stop crying or I'll leave. Understood...

Diksha, khud ko shant karti... "Thik hai dad nahi roti lekin aap hum sab ke sath lamba samay bita kar jaoge..."

Mr. Malhotra:- Done.. Anytying else…

Diksha:- Thank you so much..

Diskha jaise hi Mr. Malhotra se alag hui, Sia apne dad ke gale lagte... "Abhi tak aapko chutti nahi mili na".

Mr. Malhotra:- Abhi to aa gaya na... Shikayat band karo... And where is my daughter in law...

Diksha:- Wo apni jagah se kahdi ho'kar hume dekh rahi hai...

Mr. Malhotra:- To hum yahan kya kar rahe .. wahin chalte hain....

Sabhi chal diye, tabhi Sia ki najar pichhe se aa rahe J.P. Jatav yani ki Neerav ke papa par gayi... "J.P uncle aap bhi aaye hain"..

J.P:- Haan tumhare papa ke sath main bhi chala aaya...

Diksha:- Uncle maine suna tha ki Neerav achha cricket khelta hai… Yahan to usne poori izzat mitti me mila di...

J.P:- Abhi wo hai ya gaya…

Sia:- Crease par besharmon ki tarah tika hai... 18 ball aur anda run...

Sia ki baat sun'kar sabhi hasne lage. Mr. Malhotra jaise hi Meera ke karib pahunche, Meera ne jhat se paun chhu liya... Isse pahle ki koi aur baat hoti, Sia Meera aur Mr. Malhotra ke bich aati... Dad, wo abhi natkhat Kuku hai jise aap jante ho.. Got my point Mr. Malhotra..

Mr. Malhotra:- Yep.. Got your point..

Sia:- Kuku tum bhi samajh gayi..

Meera:- Bilkul.. main to samjhdar hi paida li thi Sia didi…

Meera ki baat par sabhi hansne lage. Darshkon ki bhid me 2 alaa adhikari.. ADGP surveillance J.P. Jatav aur National Deputy Security Advisor Mr. Anurag Malhotra. Match ek baar fir shuru hua. Neerav strike par aur darshak 'Booo, Boooo, boooo" chilla rahe the...

7th over ki pahli ball par 2 run se Neerav ka khata khula... Aur kya khata khual tha... Fir to dhire-dhire sab ko samjh me aa gaya ki iss batsman ka crease par tike rahna kitna khatarnaak ho sakta hai...

12th over me Asif ko ek chhod se lagaya gaya tha... Jab Asif bowling karne pahuncha tab usne 2 over me 1 run diya tha aur jab apna over samapt kiya tab 3 over me 43 run de chuka tha. Asif ke 1 over me to Neerav ne poora 42 run loot liya... Over bhi lamba tha. 3 no ball aur 3 free hit ke sath 9 ball ka wo over raha...

Issi tarah Mukul ke ek over me Neerav ne 30 run thok dale the. Final year ka total score 20 over me 6 wicket ke nuksan par 242 run ka tha jisme Neerav 68 ball khel'kar 118 run naabad banaya tha... Jabki 23 ball to usne dot khele the...

Waise match ka rang to aur bhi jyada tab chadh gaya jab final year team ka captain Amarnath Chaudhry crease par aaya... 5th down ka wo perfect batsman tha jisne anth me aa'kar aur bhi jyada sama bandh diya... 20 ball khel'kar usne 72 run thok dale...

Pahli inning samapt ho chuki thi aur break chal raha tha. Tabhi Diksha aur Sia ke pass Kirti pahunchi... Jaise hi wo Sia ke karib aane lagi, tabhi 2 bodyguard rasta rokte... "Rukiye miss"..

Udhar se Mr. Malhotra ka ishara hua aur bodyguard ne rasta chhod diya. Kirti unke karib pahunchti... "Hello Sir, shayad aap mujhe nahi jante, lekin main aapko"…

Kirti iss se aage kuch bol pati, uss se pahle hi Diksha ne ek jhannatedar thappad chipka diya.… "Nanda ki varish, ja'kar apne baap ko bol dena ki main uss par ab legal action lene wali hun... Kya sochta hai wo, Faisal Sehnavaj ya Kasif Sehnavaj ke sath hath mila lene se wo kuch bhi kar sakta hai"..

Sia:- Diksha no...

Diksha:- Tu jarra chup rah... Miss chhuyi-muyi maine suna hai ki tujhe aaj kal har koi thappad maar raha... Ye sach hai kya?

Kirti:- Main to bus yahan Anurag uncle se milne aayi thi. Wo kya hai na Sadhna mami aksar uncle ki charcha karti hain... I think wo ab bhi inse love karti hai...

Diksha:- Manish sir yahan hain kya? Please iss pagal ladki ko wahin chhod aaeye jahan se ye aayi hai...

Kirti:- Takalluf ki koi jaroorat nahi hai, main ja rahi hun...

Jaise hi Kirti wahan se nikli.. Mr. Malhotra… "She deserve another slap"..

Sia:- Dad aap thik ho...

Mr. Malhotra gahri shwans lete... "Haan maine thik rahna sikh liya hai. Oh by the way ye sample piece kaun thi"..

Diksha:- Jay Kumar ki bahan Supriya Nanda ki beti..

Mr. Malhotra:- Hmmm !!!! Iske pass humare poore parivar ki detail hai. Iska matlab Jay Kumar ke poore khandan ko humari information hogi...

Sia:- Leave it dad... Inhe main, Diksha, aur Som handle kar lenge...

Mr. Malhotra:- Kaise handle kar loge jab dhairya hi nahi... Diksha to legal action lene tak ki dhamki de dali. Koi kaam chup-chap aaram se karna chahiye na...

Diksha:- Dad maine bhi ye sab kaam chup-chap aur dhaiya'purn tarike se ki hun. Aur aisa karna mujhe Som ne sikhaya hai... Thoda sa uksao aur chup-chap reaction observe karo..

Mr. Malhotra:- And what did you find...

Diksha:- Main jab professionally gherne ki dhamki di, tab Kirti personally humla bol rahi thi.. Ek chhota sa gusse ke reaction se bahut kuch samajha ja sakta hai... Ab jab samne ki ladai hogi fir main bhi apne hath majboot rakhungi..

Mr. Malhotra:- Haan wakai tum sab ye civil sajisen handle kar sakti ho... Waise main agar koi help kar sakun?

Sia:- Haan aap kar sakte hain na.. Waise bhi aap par work load jyada hai.. So my dear lovely dad... Aap jab humare sath ho to humare ye chhote-bade saas bahu serial type sajison par na dhyan de'kar, family time enjoy kare... Can you help us..

Mr. Malhotra:- Haan kyun nahi bilkul... Chalo match enjoy kiya jaye, uske baad mujhe ghar jane ki bhi jaldi hai…

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Nice update bhai
 
The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
Update:-81(B)

Match ka second enning shuru hua. Sagar Chaturvedi ke sath koi aaya tha opening karne... Lekin match ke pahle hi ball par, pahla wicket.. High score ka pressure pahle hi gend par dikh gaya… Uske baad first down khelne aaya Vyas... Vyas ke crease par aate hi darshkon ne hooting karna shuru kar diya. Sab usse cheer kar rahe the...

Match ke second ball se Vyas ki batting shuru hui aur fir powerplay me jo hi aatishi pari kheli, Vyas aur Sagar ne sabhi bowlers ki bakhiya udher dali… Powerplay ke 6 over samapt hone ke baad team ka score 96 run 1 wicket ke nuksan par. 14 ball khel'ker 52 run ke niji score par Vyas khel raha tha aur 16 ball khel'kar Sagar 40 run bana chuka tha..

3rd year ki team kafi teji se apna score badha rahi thi. Pahle ball par mili khushi ke baad final year walon ko fir koi khushi nahi mili. Dekhte hi dekhte dono ne dusre wicket ke liye 166 run jod diye, jab Vyas ka wicket 92 run par gira aur uske kuch der baad hi Sagar bhi 68 ke niji score par chalta bana. 13 over me 170 run ka score ban chuka tha. Bache 7 over me ab inhe 72 run banane ki jaroorat thi aur hath me the 7 wicket.

Naye ballebaaj jaise hi pahunche, vipakshi team ne pressure banana shuru kar diya. Dono hi ballebaaj jamne ke liye 18 ball khel gaye aur matr 17 run hi banaye... Jahan team ka score ek waqt 13 over me 170 run tha wahin ab 16 over me 187. Ab 24 gendon me 55 run banane ki jaroorat thi...

Ballebaji kar rahi team par pressure badhta ja raha tha aur iss pressure ka asar batting kar rahe ballebaj par bhi dikh raha tha. 17th over ki shuruwat aur har ball maarne ke chakkar me, 3 boll dot chali gayi.. aur issi dauran 4th ball par wo ballebaj bhi out ho gaya... Ball catch hone se pahle dusra ballebaj Kailash strike change kar chuka tha... Aakhri ke 2 ball bache the jis par matr 2 single aaye...

18 ball aur 53 run banane the. Strike par purana ballebaj Kailash tha, jisne pahli ball par ek shandar chauka laga'kar dusri gend par single le liya... Naya ballebaj Dhiraj, strike par aate hi pahli ball ko bade pyar se defence kar diya... Match ka 4th ball aur Dhiraj ka shandar sixer.… Fir to Diraj jaise charge ho gaya ho... 2 back to back 6 se baad ek chauka jad kar team ko poori rahat ki shwans di...

18th over se 21 run aa chuke the aur jit ke liye 12 ball par 32 run chahiye the. Dono hi ballebaj apna poora johar dikha rahe the. 19th over me bhi dono kamal karte, 1 six, 2 four, 2 double aur 1 single ke sath 19 run jod chuke the. Match ka aakhri over aur jit ke liye chahiye the 13 run.. Dono hi ballebajon ne mil'kar hath se fisalte match ko yahan tak le'kar aaye..

Aakhri over ka tashan bhi kafi hight tha. Final year ke captain kuch jyada hi chintit. Unka star bowler ke hath me ball thi... Ye pahli ball delivered aur Dhiraj ne diya ghuma kar sixer… Final year ke pale me sannata aur 3rd year wale darshak utsahit. 5 ball aur 7 run... Match haar ki kagar se jit ke muh tak le aaya tha Dhiraj aur Kailash...

Dusri ball par ek single ke sath, Dhiraj ne strike Kailash ko de diya... Teesri ball aur bowler ka ek shandar reverse swing... Kailash poori tarah chaunk gaya... 3 ball aur 6 run banane the. Aakhri over ki 4th ball... Kailash poore dhyan se taiyar khada ball ke intzar me, tabhi fielding team ka wicket keeper ne dhime se Kailash ki maa ke upar comment kar gaya... Wakai kafi abhadr tippni thi jahan bowler ke hath ki ball ki tulna uski maa ke stan se kar gaya tha wo...

Kailash ballebaji chhod'kar uss wicket keeper ko sidha maarne daud gaya. Mamla shant hone se pahle Kailas uss wicket keeper ko 4-5 ghuse aur 1 bat pith par maar chuka tha... Haan lekin gusse me ballebaaj ya to 6 lagata hai ya out ho jata hai. Kailash ka durbhagya raha. Usne 4th ball par gusse se hawa me tej balla ghumaya. Balla ka halka bahri kinara laga aur ball sidha wicker keeper ke hath me...

Ab bache 2 ball par 6 run chahiye the. Match kafi tashan me. Naya ballebaj aate hi apna kaam kar gaya, kisi tarah ek single nikalne me kamyab... Ab ek ball aur 5 run chahiye the... Fielding team lagaatar Dhiraj ko uksa rahi thi... Ye cricket ground ka aam uksana tha, na ki uss wicket keeper ki tarah family ko bich me ghasit rahe the...

Dhiraj apne poore sanyam ke sath. Jaise hi bowler delivery dalne ke liye crease me pahuncha Dhiraj hat gaya... Usne umpire se shikayat kari, ki pichhe se wicket keeper kuch-kuch bol raha hai...

Umpire ne warning diya aur bowler fir se ball dalne gaya.. Iss baar Dhiraj ko ek khiladi ke braslet se samasya ho gayi. Aise hi kar'ke Dhiraj ne 5 baar uss bowler ko run-up karwa diya... Dhiraj ke ander se sara pressure aur chidhane se utpann emotions kahin gayab ho gaye...

Match ki aakhri ball.. Aur kya shandar ball thi.. Outside off stump par ek shandar yourker... Bowler ne apna perfect delivery daal diya jo wicket ke liye nahi balki dot ke liye feka gaya tha ..

Dhiraj bhi utni hi teji se ball ko sidha deep extra cover ke ore hawa me uchhal diya. Thoda sa chuk gaya.. ball boundry line ek 2 inch pichhe giri aur 4 run ke sath match tie raha... Waise bhi yourker, wo bhi outside off stump par dala gaya, fir sahi dhang se ball balle par lag jaye uski koi gurantee nahi hoti, Dhiraj fir bhi uss ball ko sahi gape me khel chuka tha...

Haan lekin romanchak mukable me match tie raha... Aur yahan ka tie match ka faisla super over se nahi hota balki ya to re-match ya fir dono team ki nayi sandhi...

Wahin jaise hi match khatm hua Kailash ek baar fir daur gaya. Jab tak log bich bachav ke liye aate... Tab-tak wo ek baar fir wicket keeper ko 4-5 ghushe de chuka tha... Ek round yahan cricket ki ladai bhi dekhne ko mil jati yadi wahan Mr. Malhotra na hote...

Bodyguard sab ko shant karwa'kar field khali karwa chuke the. Sabhi ke wapas lautne ke sath hi Sia, Diksha aur baki sabhi log lot aaye the... Ghar pahunch'kar Mr. Malhotra kuch der apne parivar ke sath waqt bitaye aur ek jaroori kaam se Lucknow airforce station nikal gaye. Wahan pahunchte hi, ek bade se office me... "Manish rescue operation ki kya position hai"…

Manish:- Sir sabhi jaankari aa chuki hai. Ek rescue team kal raat hi Afganistan border me ghusi hai...

Mr. Malhotra:- Rescue team lead kaun kar raha hai…

Manish:- Koi Officer Vishal Singh hai sir..

Mr. Malhotra:- Unke superior se baat karwao....

Manish:- Unse baat nahi ho sakti sir..

Mr. Malhotra:- Why?..

Manish:- IIRF (Indian Intelligence of Rescue force) Kewal case leti hai aur ongoing opretion ke bare me wo kisi se koi baat nahi karte..

Mr. Malhotra:- Damnnn !!! Who is the department head... Mujhe unse baat karwao....

Manish:- Sir IAS Avneesh Sinha is the chief, but..

Mr. Malhotra:- What but Manish?..

Manish:- Sir wo kisi ki nahi sunte... Na hi kisi ke sath kaam karte hain... Bus unke pass case pahunchte hi wo log concerning department ko rescue ki ek deadline time bata dete hain...

Mr. Malhotra:- Trapped Raw agents ke rescue ka deadline time kab tak diya hai unhone...

Manish:- Sir, kal der raat se parso sham ke 6 baje tak ka waqt diya hai....

Mr. Malhotra, apne superior, National security advisor ko call laga'kar poora mamla samjhaya... Udhar se National Security Advisor ne puchha.. "Karna kya hai"...

Mr. Malhotra:- Sir, aap PMO se permission lijiye ya president office se, mujhe nahi pata, lekin mujhe IIRF ka chief yahan Lucknow Air station par agle 1 ghante me chahiye. Sath me wo mere order follow kare…

National Security Advisor:- Ok.. aap aage ki planning kijiye... Main 1 ghante me sab arrange karta hun...

Lagbhag 45 minute bite honge... IIRF head IAS Avneesh Sinha, Anurag Malhotra ke samne the.… "Sir, mujhe ek request letter mila hai. Hum kaise aapki madad kar sakte hain"..

Mr. Malhotra:- Avneesh, Thank you for accepting our request. I want your team to do some more work before getting the RAW agents out of there.

IIRF head Avneesh Sinha:- Aur wo kis tarah ka kaam hai...

Mr. Malhotra:- It would have been better if I discussed my entire planning with the mission in-charge.

Avneesh Sinha:- Thik hai sir aap mere sath chaliye.. Lekin kewal aap. Baki ko main allowed nahi karunga...

Lucknow Air station me hi IIRF ka ek bada sa working office tha, jo ki strictly prohibited area tha jahan IAF ke officers bhi nahi ja sakte the... Darwaje par biomatric security scan tha... Avneesh Sinha ke ratina aur palm scan ke baad darwaja khula. Dono ander ke ore chalne lage...

Mr. Malhotra, uss office ki shandar building ko bade dhyan se dekhte... "Lagta hai government aapke department par kuch jyada hi kharch karti hai"..

Avneesh Sinha:- Hahaha... Aap jal rahe hai kya sir...

Mr. Malhotra:- Nahi, itna shandar to humara PMO bhi nahi hai...

Avneesh Sinha:- Iss ore aaeye sir..

Dono ek darvaje ke bahar khade the, jahan 4 security officers tainat the.. Sabhi officer kale libas ke sath mask me the aur atyaaadhunik hathiyar se laish… Wo charo un dono ka rasta roke... "I'd card please"

Mr. Malhotra:- What.. I'd card..

Avneesh Sinha apna I'd nikalte... "Rule is rule sir"… Avneesh Sinha ki baat sun'kar Mr. Malhotra ne bhi apna I'd card de diya... Dono I'd card ek box me daal'kar jaise hi ander gaya... Thik 15 second baad darvaja khula aur darvaje ke samne IIRF ke joint director.....

Avneesh Sinha:- Oh, to apne boss ke liye jo aadmi aaj tak apne chair se nahi utha, wo Security Council ke deputy advisor ki I'd dekh kar khud chala aaya... "Inse miliye sir... Som Malhotra, IIRF joint director aur Filed opration ka head..."

Som:- Ab roj-roj mere dad thode na mere office aate hain sir, isliye aana pada...

Avneesh Sinha:- What?? Your dad...

Wahin, Anurag Malhotra bilkul hairani se Som ke ore dekhte... "Som tum yahan kaise"…

"Dad, pahle kaam kar len, fir aaram se baat karenge. By the way humare sath aisa pahle kabhi nahi hua, kisi dusri agency ne itna urgent basis par humse sampark kiya ho. Ummid hai ki RAW aur Security Council ke pass kuch vajah rahi hogi"…

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Nice update bhai
 
nitya.ji

New Member
78
306
53
Update:-82(A)

Sanivaar ki raat, Som sabhi officer ko kidnapped kar’ke apne Sniper training center le gaya. Wahin Riaz ka hath paun baandh’kar Som ne Riaz ko Ussi building me rakha tha jahan Meera uss se milne gayi thi.. “The Connecting” apartment...
2600 square meter jamin par bani 12 manjili multi storey building thi. Issi building ke kisi andhere bade hall me Riaz ko rakha gaya tha. Som jaise hi “the connecting” building me sithit apne office me pahuncha..

“Sanju sir, wahan aisa kya hua tha jo aap ko 2 murder karne pad gaye... Aur Charanjeet tum Vishal ko kaho 12 logon ki ek rescue team taiyar kare.. 00 hour me hum Air Station se operate karenge. Wahan 1 team ravana hogi aur mujhe 2 back-up team stand-by me chahiye..

Charanjeet:- Any serious mission boss..

Som:- Yep..Hum Pakistani terretory me ghusenge..

Charanjeet wahan se nikal gaya.. Uske nikalte hi Sanju... “Boss mujhe ye rescue mission lead karne do please”..

Som:- Absolutely not... Tumhari saza abhi khatm nahi hui hai. By the way maine kuch puchha tumse..

Sanju:- Wo dono drug dealer marne hi aaye the. Riaz ko bachane me un drugs dealer ko marne wala dono shooters bhag gaya...

Som:- Any identification...

Sanju:- Highly trained... Local mafia ke pass aise trained shooters nahi hote. Ye kisi highly organized group ke shooters the..

Som:- Tumhare hisab se unki planning kya thi..

Sanju:- Wo log dono drug dealer ko maar’kar Riaz ko ghayal karne wale the.

Som:- Tumhe kaise pata?

Sanju:- Point blank par shoot karne wale upper body target kyun lega? Wo bhi right side jahan koi vital organ nahi... Mere hisab se wo jo bhi the Riaz ko achhe se fasane aaye the. Drug dealing, murder... Kam se kam umr kaid ya fir faansi..

Som:- Aur iss Riaz ka kya scene hai. Kya pata kiya tum dono ne?..

Sanju:- Mujhe nahi pata boss. Kafi ajib hai ye ladka...

Som:- Jaise ki..

Sanju:- Bolta kuch aur hai.. action kuch aur hote hain... Dikhne me lagta hai ki ye apne hi doston ko fasa raha hai lekin aisa lag raha hai jaise kisi unknown group aur apne friends circle ke bich ye akela khada hai..

Som:- Iss conclusion ki vajah..

Sanju:- Ye aksar Sia par najar rakhta, lekin ek bhi video ya sanp capture nahi kiya. Har uss jagah par pahle pahuncha rahta jahan Sia ya iske dost kisi se ulajh rahe hote... Aur un logon ke ulajhne se pahle hi ye apne doston se ulajh jata... Ye janta tha ki iske dost ab isse like nahi karte, fir bhi unke sath chipka rahata... Aisa lag raha hai jaise apne doston se jhagda matr ye kisi teesre ko sunane ke liye karta hai..

Som:- Hmmm !!! Kafi uljhi paheli hai... Tumhari baat yadi satyapit karni ho to...

Sanju:- Ek tarika hai... Uske pass pen aur paper ke sath chalte hain..

Som:- To fir chalo..

Som uss andhere hall me pahuncha jahan Riaz ko bandha gaya tha.... “Abe smarat tilvish ke fan, ye kaun se andher nagri me mujhe patak diye. Abe koi kuch to bolo”..

Wahan ki light jal gayi. Riaz ke samne Som aur Sanju khade the. Riaz, Sanju ko dekhte... “Abe chitiye tu hai kaun aur tere 2 sathi un 2 lukkhon (drug dealer) ko maarne ke baad mujhe kyun niptana chahte the”...

Tabhi ek jordar punch para aur Riaz dard se chhatpata gaya. Uska muh baandh’kar ek chair par bithaya gaya aur samne table par Sanju ne pen aur paper rakh diya. Riaz jhatpat pen uthate likhna shuru kiya...

Likhne ke baad wo “unnnn-unnn” karte najron ke ishare se paper uthane kah raha tha. Sanju uss paper ko uthaya... “Koi mujhe dekh aur sun sakta hai”...

Som isharon me Sanju ko samjha diya aur Sanju bhi waise hi karne laga... Ek fake puchh tachh... Som jab tak ek computer master ke pass pahuncha...

Som:- Aakash ek insan par kaise lagatar najar banaye rakh sakte hai..

Aakash:- Sir settelite, drone..

Som:- Tum ye Hollywood aur Fbi agents ki movie dekhna band karoge Aakash.. Ek samany se insan par kaise najar rakh sakte hain?

Aakash:- Simple uske phone hack kar lo... 24 ghante audio-video milta rahega... Aaj kal to log sandas me bhi phone le’kar jate hain boss...

Som:- Perfect... To kya tum uss hacker ka pata laga sakte ho.

Aakash:- Aap ko boss kisne bana diya. Main yadi phone se chhed-chhad karunga to hackers ki pata chal jayega... Fir yadi wo alert ho gaye tab parinam kuch bhi ho sakte hain..

Som:- Thanks Aakash..

Aakash:- Boss khush ho gaye ho to 1 week ki chutti de do...

Som:- No...

Aakash:- Boss ye to baimani hai. Iss department ke sabhi employee ko kabhi-kabhi kaam par aana padta hai aur ek main hun jise bandhua majdoor banaye ho...

Som:- Aakash tum technical department me ho..

Aakash:- Jao boss.. Main samjh gaya..

Som:- Tumhe kaha tha na apne jaisa 10 logon ko dhundh’kar ek team bana lo...

Aakash:- Aap bhi Hollywood movie dekhna chhod do, jahan Ethical Hacker chutki bajate mil jaye..

Som:- Thik hai nirash kyun hote ho. Maine dusri agency se madad maangi hai...

Aakash:- Haan 2 sal se sun raha hun.

Som:- Aakash abhi mera waqt nahi lo. Jaldi se kaam par lag jao...

Aakash:- Boss phone kahan hai..

Som:- Hum jab kisi ko kidnapped karte hain to uska phone sath le’kar aate hain kya?

Aakash:- I am telling you boss, this boy is genius..

Som:- Kaun..

Aakash:- Wahi jise aap yahan laye hain... Wo apne sath ek phone ander le’kar ghusa hai ..

Som:- How...

Aakash:- Ab ye to ussi se puchhna hoga na..

Som:- Aakash iska matlab uss phone ke gps se koi hume ab tak trace kar chuka hoga?

Aakash:- Kisi ne hack nahi kiya hoga uss phone ko.

Som:- Tumhe kaise pata wo phone hack nahi..

Aakash:- Boss jab aap jaise khoji log na dhundh paye..

Som:- Baaten band aur kaam chalu karo...

Aakash:- Uss ladke ka phone number to do...

Som ne Riaz ka number diys. Keyboard par kuch der ke khitir-pitir ke baad... “Boss ye mobile handset simple se phishing link se hack kiya gaya hai, jo kisi Nazma ne bheja tha”

Som:- Kya tum iss Nazma ko trace kar sakte ho...

Aakash:- Uska phone number se le’kar social account tak hai mere pass. Ye to 2 minute ka kaam hai..

Som:- Thik hai main tumhe ek mission assigned karta hun. Ek field team chuno aur iss Nazma ki poori kundli mujhe jald se jald chahiye..

Aakash:- Manglik hai ki nahi wo bhi check karna hai kya?

Som:- Kaam karo chup-chap. Aur mujhe nirash mat karna.

Aakash:- Yes boss...

Som wapas Riaz ke pass pahuncha... “Acting band karo dono. Iska phone hack kiya gaya tha. Haan Bhai Riaz ab bolna shuru kar, lekin bolne se pahle ye batao ki tumhara dusra phone kahan hai..”

Riaz:- Dusre phone ke bare me aapko kaise pata bade bhaiya..

Som:- Sawal ke upar sawal nahi. Sanju ab se ye aisa kare to iske har sawal par ek ungli tod dena. Haan bhai kahan hai phone.

Riaz apna paint niche utar kar, apne boxer ke bich me hath daal’kar phone bahar nikalte... “Ye raha dusra phone”... Phone dekh’kar Som aur Sanju dono ko ghin badhne lagi.. Screen ke dayen-bayen, upar-niche, har jagah baal hi baal the.

Sanju:- Abe isse kaan me laga’kar kaise baat karta hoga...

Riaz:- Muth maarne ke baad apna virus kisi ko Ganda lagta hai kya? Ye bhi aisa hi hai...

Som:- Ye on hai kya?

Riaz:- Nana bade bhaiya ye emergency me on karta hun warna chup-chap pada rahta hai. On raha phone aur galti se iski ghanti baj gayi... Fir to underworld me thu-thu ho jayega...

Som:- Hmmm !!! Ab bolna shuru karo..

Riaz:- Kya bolna hai wo to batao..

Som:- Ho rahi ghatnaon par tumhare vichar... Tumhe kaise pata ki koi Sia ke pichhe hai? Tumhare doston ke pichhe hai? Tumhe kaise pata ki koi tumhe dekh-sun sakta hai..

Riaz:- Sach kahun to mujhe in sabke bare me kuch bhi pata nahi. Bus ander se ek awaz aati hai na, kuch to ajib ho raha. Main bus ussi instinct ko follow kar raha tha.

Sanju:- Intresting... To tumne kya sab ajib dekha aur kya sab follow kiya...

Riaz:- Abhi jaise kuch din pahle ki baat hai, Wo Sia.. aree nahi.. Bade bhaiya main Sanju ko bata deta hun, aap jao..

"Haan Sia ko dil de baithe.. Yahan bahut se log pahle se diye baithe hain..." Fir Sanju apne Gaal par hath rakh’kar dhime se kaha.. “Aur kutton ki tarah pit bhi chuke hain”..

Riaz:- Khiii, khii, Khiii.. Ye bhi maar kha chuka hai...

Som:- Silent.. Riaz tum bejhijhak bolo..

Riaz:- Abhi kaise kahun.... Bade bhaiya kahoge to Sia ko bahan bana lunga... Chaho to tyohar bhi manaa lunga, bhaiya more rakhi ke bandhan ko nibhana.. lekin please mujhe pitna mat kyunki meri baton se misunderstanding ho sakti hai lekin college me milne ke baad Sia ko main Vyas aur Asif ki tarah dost hi samjhta hun..

Som, gardan hila’kar haami bharne laga. Riaz thoda rahat ka shwans lete.... “Sanju bhai pani milega kya?”

Ek glass pani pine ke baad Riaz ne bolna shuru kiya.… "Abhi jaise Vyas ne Sia ko propose kiya tha aur usne jhat se usse manaa kar diya... To mera Sia ko le'kar koi wo love wali feeling nahi thi, haan lekin wo hoti hai na ek girlfriend apni bhi ho... Aur Sia jaisi GF jiske pass ho wo to bilkul chaude me ghume"…

"Abhi main kayi baar socha ki Sia ko bolun jab tak uska koi BF nahi hota tab'tak wo mere sath kabhi-kabhi ghumne chale, taki main bhi shining maar sakun. Ek din maine ye batane ke liye Sia ko call kiya... Sia aayi bhi milne... Lekin hum jis park me the, wahan maine 2 aise chehre dekhe jise main pahle bhi ek-do baar kabhi college ke pass, to kabhi local bazar me dekh chuka tha"…

"Uss din Sia se maine koi baat nahi ki, bus idhar-udhar ke faltu sawal aur usne kya socha mere bare me wo to main nahi janta lekin wo kuch to mere bare me soch rahi thi" ...

"Khair mere dimag me kewal wo dono aadmi hi the. Main kuch din tak apne aas pass bade dhyan se dekhta... Ek din mere dimag ne kaha ki ek test kar'ke dekhte hain. Maine fir Sia ko call kiya. Iss baar wo mujhse nahi milna chahti thi, lekin bahut request ke baad wo mujhse milne aayi. Main uss din jab auto me baitha, tabhi se dhyan rakhe tha... Auto ke side mirror me wo dono mujhe fir se dikhe"…

"Maine turant fir ek aur plan kiya... chuki wo mujhse achhi duri bana'kar pichha kar rahe the, isliye main unhe chakma de'kar ulta unke pichhe gaya. Unke pichhe jane par pata chala ki wo log bhi exactly ussi park me pahunche the, jahan main Sia se milne wala tha. Haan wahan ek aur ghatna hui thi. Wo log apne mobile ki screen dekh'kar exactly ussi taraf dekhne lage, jahan main khada tha..."

"Main bhi wahin khada raha aur aisa dikhaya jaise main Sia ko dhundh raha hun. Uss din mujhe pata chala ki koi mujh par najar rakhe hai. Koi meri baat sun sakta hai. Meri location kahan hai, wo log jante hain. Main to dar gaya tha. Mujhe laga kisi ne meri body wo jasoosi wala transmeter dal diya hai, jo mera audio-video aur location batate rahta hai"

Riaz magan me apni baat kah raha tha, tabhi usse Som ne ek jhannatedar thappad de diya.… "Jemes bond ki movie dekh'kar theater ke ander hi bhul jao. Agli baar aam logon ki tarah aaklan karna ki koi kaise tum par najar rakh sakta hai.. Aage batao"…

Riaz:- Ji jaroor dhyan rakhunga. Khair wahan tak to kahani ka ek hissa tha. Ab maine next step shuru kiya. Asif se milne gaya tab wo dono mere pichhe nahi the... Tea party gange ke 30-40 ladkon se mila, wo log nahi the…"

"Vyas, Meera, Sia, Diksha di aur Bade bhaiya aapko jab-jab main mila, tab wo log mujhe dikh jate the. Main pareshan rahne laga. Kahun to kya kahun aur kis se kahun.. Wo log mujhe dekh rahe the, sun rahe the aur main janta tak nahi tha ki wo aisa kyun kar rahe hain"…

Sanju:- Ruko... Tum ye baat agar boss se ya apne friends me se kisi ek ko bata dete to hum sab mil'kar solution nikal lete. Tumhe itni pareshani to nahi jhelni padti...

Riaz:- Matter ye nahi tha ki mere dost kya sochte hain ya in sab jhamelon me main kitna pareshan ho sakta hun..... Aree wo mere dost hain, jab bhi unhe sach ka pata chalta apni soch par rote aur mujhse maafi bhi maangte... Lekin matter ye tha ki main nigrani rakh rahe logon ke irade nahi janta tha? Yadi main apne doston ko sab bata deta to kal ko Riaz ki jagah koi aur hota aur hum jin 2 log ko dhundh rahe hote wo kahin aur gayab rahte aur unki jagah koi aur le leta…"

Sanju, Som ke ore dekhte... "Boss ladka complete observation karta hai... Riaz fir tumhe uske maksad ke bare me pata chala ki nahi?"

Riaz:- Ye kafi complicated part hai...

Som:- Tumhe aisa kyun lag raha hai ki ye complicated part hai...

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Update:-82(B)

Riaz:- "Bade bhaiya yahan agar un pichha karne walon ko X-Group maan lijiye to yahan ek Mishra family & Friends Group. Short me Sia group maan lete hain. Dusra X-GROUP aur teesri Kirti group hai… Ab aate hain iske complicated part par... Kirti group aur Sia group me samne se ladai hai. Samne ki ladai me Kirti group kisi bhi vidhi se Sia group se nahi jit sakti…"

"To Kirti group karegi kya?... Wo Sia group me se kisi aise ko todegi jo bewakoof, dilfek aur aasani se tootne wala dikhta ho, yani ki main. Aur Kirti group ne mujhe approch kiya. Fir unhone shuru kiya zahar dalne ka kaam. Pahla naam Huma tha, jise main pasand karta tha aur usne Vyas ko pasand kar liya aur Vyas ke khatir mujhe pichhe hatna pada, baad me Vyas bhi pichhe hat gaya..."

"Dusra naam Sia tha. Jiske bare me kaha gaya ki Vyas ki vajah se main usse parpose tak nahi kar raha... Waise yahan ruk-kar main ek baat bata dun, mujhe aur Sia ko dekh'kar kabhi koi nahi kah sakta ki mera koi affair type rujhan hai.... Lekin Kirti aur Sagar ne jo kaha wo meri un do mulakaton ka natija ho sakta tha, jo un X-Group wale ke samne hui thi..."

"Ab aage badhte hain. Sia ke mamle ke baad wo log pahunche Master sahab (Pandit ji, Vyas ke papa) ke coaching band hone ke matter par. Udhar bhi unhone mujhe Vyas ke khilaf bharkaya. Uske baad fir bade bhaiya ne jo Vyas aur Asif ko deal diya tha, wo makan kabje wali, uss matter me bharkaya... Kul mila'kar unke pass aise-aise matter the jinhe sun'kar mera bhadakna lajmi tha..."

"Yahan par mera instinct ne kaam kiya. Mujhe lag gaya ki bol Kirti rahi hai lekin bulwa X-Group wala raha hai. X-Group wale jaroor mujhse kuch chahta hai. Isliye khud samne se na bol'kar kisi aur se bulwa rahe hain... Ab itna bharkau baaten sun'ne ke baad, Kirti mujhse bharakne ki ummid lagaye baithi thi. So main unki ummidon par khada utra aur aisa bhadka ki Kirti Group kya X-GROUP walon ko bhi yakin ho chala tha ki ab main uska... Main apna kaam kar chuka aur bus intzar me tha."

"Mujhe 2 din ka intzar karna pada, uske baad pata chala inki ran'niti. Mujhe Sia ke bare me har detail pata karni thi ki parivar ke alawa uske karibi kaun-kaun hai. Yun to unhe bhi maloom tha ki Meera, Neerav, Asif, Vyas, Nisha.. aur bhi bahri log jinhe main nahi janta hun... Un sab se Sia ki acchi baten hoti hai. Lekin un achhi baaton ka level kya hai... Matlab Sia un logon ke liye kis had tak ja sakti hai ye pata karna tha... Taki in sab logon se Sia ko dur kar'ke, akela kiya jaye. "Jitna jyada karibi, unke tootne ka utna jyada dard..." Yahi baat kahi thi wo Kirti...

Sanju:- Haan to story simple hai, isme complication kahan...

Som:- Nahi story itni bhi simple nahi kyunki Kirti sach me Sia ke karibi ko uss se todna chah rahi thi, jabki Mr. X-GROUP ko ye pata lagana tha ki bahri kitne log Sia ke itne close hain ki jise khatre me dekh har sambhav kaam kare. Taki un logon ko kidnapped kar'ke, unki jaan ki dhamki de'kar Sia se kuch kaam nikal sake. Karibi ke jaan ka khatra hoga to Sia, Som se madad nahi maang payegi. Sia apne dad ko kuch nahi bata payegi.. Sia police me nahi ja payegi...

Riaz:- Haan mera bhi same openion tha...

Som:- Iss openion ki vajah…

Riaz:- Kirti ne sab kuch sahi kaha, uske emotion bhi orignal the, lekin wo jitni bhi baat boli, kisi dusre ke homework ko wo bol rahi thi. Ab mere liye kahani saaf ho chuki thi ki koi sala itna professional ho'kar ye saas bahu serial type apno se juda kar'ke Salaji Telifilm ke liye kahani to nahi banayenge… Lekin haan kidnapping ke liye itni homework jaroori hai ki kise uthane se apna kaam aasan hoga? Ek perfect aur easy target kaun hai?

Sanju:- Kyun bhai pahle kidnapper tha kya?

Riaz:- Kidnapper to nahi tha lekin bahut se criminal aur unke kaam karne ke tarike ko ladke chay ki dukan par discuss kar jate the. Bacpan se jinke kaam ka tarika sun raha hun usse samjhne me der lagegi kya? Haan lekin ek baat mere palle nahi pad rahi, jo log kidnapping ka plan banayenge... Iska matlab hai ki unhe Sia se kuch chahiye... Fir wo Sia ko kisi murder case me kyun fasayenge..

Som, Riaz ke baal ko pakad'kar sir gol ghumate... "Dimag par jor dalo, tumhe poori kahani samjh me aa jayegi"..

Riaz:- Nahi mujhe kuch samjh me nahi aaya? Main bahut baar soch chuka..

Som:- Haan janta hun... Aur ye bhi janta hun ki har baar tumne target Sia ko hi socha hoga, jiske dad desh ke surksha salahkaron me se ek hain... Jiski bahan ke pass arbo rupye hain... Jiske bhai ke pass bahut se contacts hai... Jiske muh'bole mata-pita ek jane mane hasti hai.. aur Sia par jaan chhidkane wale unke muhbole nanu aur mama itne bade political hasti ki Sia ke liye assembly tak me phoot daal de...

Riaz:- Ok... Matlab iss target ko to wo hathkadi bhi nahi pahna sakte.. aur ye baat X-GROUP ko bhi achhe se pata hogi. Tabhi to Sia ki jankari ke liye unhe aise logon ki jaroorat thi jo Sia ke karib hai. Wo log khud se Sis par najar bhi nahi rakh sakte the. Wo Sia ke pichhe nahi ja sakte the isliye mere pichhe aaye. Kirti ke pichhe gaye... Ya Allah… wo sale mujhe murder case me fasane wale the…

Som:- Ab jarra karan batao iss soch ki...

Riaz:- Sia ko fasa nahi sakte the.. Diksha di ko fasa nahi sakte the... Tabhi mere kaan me baat dali gayi ki room number 211 me kuch ho raha hai, jise Diksha nam ki kisi mahila ne book kiya, police bhi aati hi hogi... Sale harami.. wo waiter nahi tha iska matlab.. jo mere samne ye baaten kar raha tha...

Som:- Ab jarra bade gaur se socho to tumhe fasane ki vajah bhi samjh me aa jayegi...

Riaz:- Haan wo main samajh gaya. Meri bewakoofi ne X-Group walon ko sochne par majboor kiya ki main unke raste ka kaanta hun aur mujhe kisi sajis ki bhanak lag chuki hai..

Sanju:- Ye kaise socha tumne...

Riaz:- Ye akl se paidal hai kya bade bhaiya.… Ek criminal nahi samjhega ki kaun usse target se dur kar raha... Ek baar ho to iteffaq mante hai.. Baar baar ho to Sochi samjhi chaal. Aur main bhi baar-baar wahi kar raha tha. Kirti jisko bhi Sia ke karibi manti, main un sab ko bhadka'kar Sia se dur kar raha tha…

Som:- Galat... Poora sach batao...

Riaz:- Fine.. batata hun... Target Vyas tha.. jise main safe kar raha tha... Target Meera thi, jise main uljhaye rakha tha... Bus yahi 2 target the...

Som:- Perfect analysis… Waise ye Nazma kaun hai...

Riaz:- Meri phone wali girlfriend..

Som:- Ussi ne tumhara phone hack karwaya.. jis vajah se tumhari pal-pal ki khabar unhe thi... .

Riaz:- Fir to bade bhaiya aap lag gaye honge X-GROUP ke pichhe... Waise ek baat main add kar dun, kyunki X-Group ki kuch picture ab saaf ho rahi hai...

Som:- Kya???

Riaz:- Mahira… Humare sath padhti hai.. Achanak se usse hum 3 doston me ruchi ho gayi aur ussi ne mujhe Nazma ka contact diya tha... Ek din me hi Nazma itni close ho gayi ki agli raat main uss se baat nahi kiya to Mahira mujhse ladne aayi thi...

Som:- Ye to bahut badi break hai... Sanju iski mehnat aur sujh-bujh ke liye iska bank aur Neta Makhan Lal Chaturvedi ka karja utar do...

Riaz:- Kya baat hai bade bhaiya... Aap to kafi dildar nikle... Lekin sorry, sala ye paisa maine accept kiya na, to umr bhar akhdega ki dost ko safe karne ke badle me paise liye... Haan mere kaam se khush hain to mujhe bhi wo Indian Motorcycle wali bike gift kar do jo Asif ko kiye the. Aur Vyas ko bhi... Apne group me khali Asif ke pass hai...

Som:- Sanju 3 bike book karwao. Mujhe bhi pasand hai wo bike...

Sanju:- Ok boss... Ab iska kya kare...

Riaz:- Karna kya hai, mujhe chhodo aur ek naya phone dilao… Mera naya-taza liya phone to fek diye raste me...

Som:- Hath paun bandh do... Ye abhi kuch din mehman hai... Aaj ka kaam pahle khatm karte hain fir isse dekhte hain...

Riaz:- Are bade bhaiya, iss andhere kothri me mat bandho please... Main kahin nahi jaunga bus mujhe ek room de do, jisme smart tv aur wifi connection ho. Main janta hun ye wahi building hai jisme Meera aayi thi...

Sanju:- Ye bahut shatir hai... Goli maar dun kya isse...

Riaz:- Lagta hai bada sa muh khul gaya...

Som:- Isse 3rd floor par shift kar do... Aur Riaz yahan IPs, Police aur Players rahte hain... Kisi se bhi baat mat karna...

Sanju:- 3rd floor par hoga to kis'se baat karega…

Riaz:- Bade bhaiya iski jagah mujhe rakh lo... Ye kisi kaam ka nahi... Bhai tum ab bhi nahi samjhe... Bade bhaiya jante hain ki main yahan se bahar nahi jaunga lekin iss jagah ko explore karunga.

Sanju:- Meri naukri khayega ye... Boss..

Som:- Main ja raha hun.. Riaz ki nigrani tunhare jinme hai... Isse rokna tumhara kaam hai...

Raat ke takriban 10 baje Som wahan se Lucknow Air Station, IIRF office nikal gaya, jahan Vikram Singh apne team ke sath ready tha.… Som ke pahunchte hi Lucknow Air Station se ek viman taiyar kiya jane laga... Sabhi jaroori ammunition ke sath equipment load ho chuke the. Double re-check karne ke baad, Som, Vikram sing ke sath viman tak ek walk lete...

Som:- Vikram ummid hai tumne on field planning kar li hogi..

Vikram:- Yes boss...

Som:- Risky mission hai isliye Sanju ki tarah tum koi bewakoofi mat karna. 2 back-up team yahan stand by me hai... Yadi khud ko trapped mehsus karo to wahan...

Vikram bich me baat kaat'te... "Haan samajh gaya boss. Trape hua to wahan hero nahi banuga. Khud ko surrender kar dunga aur ek team kis raste se aa rahi hai wo information de dunga… Kya mujhse kuch rah gaya...

Som:- Wahan fase Raw agents aur 11 log tumhari jimmedari hai… Sabke sath tum bhi mujhe Tuesday evening tak yahan report karoge... Am I clear...

Vikram Singh:- Yes boss...

"Chalo jao, jao.. aur IIRF ka naam raushan karna"….. Som ke najron ke samne se Viman, Afganistan terretory ke liye nikali. Unke jate hi Som working office me pahuncha aur screen par najre jama'kar apna kaam karne laga.

Sanivar ki Raat 2 baje tak Som road map, root plan, entry to exit points aur back up plans ki detail, Vikram Singh ko bhej kar sone chala gaya... Night shift kar rahe sabhi staff ko shakt hidayat thi ki kuch gadbad dikhe to usse turant inform kiya jaye. Nahi to morning shift wale staff usse 11 baje subah tak utha de...

Ravivar ki subah 11.30 baje tak Som ek baar fir opreting hall me tha. Computer operator se mission ki poori jaankari lene ke baad, Som commanding seat par baitha... Wahin Vishal Singh apni team ke sath Jalalabad, Afganistan ki terretory me sanivar ki der raat lagbhag 2 baje land kiya tha. Wahan se lagbhag 350 km ki duri tay kar'ke unhe Islamabad pahunchna tha.

Border cross kar'ke wo sabhi Peshawar ke raste Islamabad ja rahe the. 20 malvahak truk par IIRF ke 12 Officers subah ke 10 baje tak Islamabad safe house tak pahunch chuke the. Ravivar ki subah 11.30 baje tak Officer Vishal Singh aur Som aamne samne the...

Som:- Everything seems fine...

Vishal:- Yes boss... Hum log target se 6 kilometre ki duri par hain. Yahan ke khabri ke sath Roy investigation ke liye niklega. Sab kuch sahi raha to 2 hour par mission shuru karenge...

Som:- Vishal, take proper rest. Investigation ke liye unhe sham me bhejna. Humare pass abhi 2 din hai.

Vishal:- Yep, got the point boss. Aur kuch humare liye order...

Som:- Abhi rest karo. Evening me aaram se baat karte hain...

Som, Vishal se baat karne ke baad Charanjeet ko bulaya... Lekin Charanjeet ke pichhe-pichhe Sanju bhi chala aaya..

Som:- Sanju tum Air Station me kya kar rahe ho? Tumhe to City office me hona chahiye tha na...

Sanju:- Sir wo.. wo.. Riaz..

Som:- Sanju ab ye mat kahna ki wo IIRF ki building me kahin gum gaya?

Sanju:- Maine sare cctv footage check kar liye... Wo gayab ho gaya hai?

Som:- Sanju mujhe tumhara dimagi santulan thik nahi lag raha... Charnjeet, Neha se kaho ek unfit letter taiyar karne. Sanju ko tab'tak wapas nahi rakha ja sakta jab'tak ki wo mentally fit certificate na le aaye...

Sanju:- Boss...

Som:- Kya boss... Ek ladka IIRF ki building me gum gaya. Kya hota agar koi reporter uss building me ghus jata. Buiding ki security ko aur pukhta karna hoga. Waise Riaz wind pipe me kahin ghusa hoga..

Sanju:- Haaannn... Haannn.. Haannn... Thankyou boss... Main abhi jata hun...

Som:- Nana, tum sidha jao phychiatrist ke pass...

Sanju:- Boss ek field staff ko 9 mahine se bitha'kar office ke faltu kaam karwaoge to yahi hoga na... Boss please 1 chance de do... Mera dimagi santulan sab sahi ho jayega...

Som:- Fine... Halla mat karo... Riaz ko abhi building me rahne do. Charanjeet, dono stand by team ko Islamabad ke liye rawana kar do. Mujhe ye team 00 hour se pahle Islamabad me chahiye..

Charanjeet:- Isse lead kaun kar raha hai boss..

Som:- Mr. Sanjay Vaghela..

Sanju:- What... Thank you, thank you, thank you so much sir.…

Som:- Sanju, don't let me down again..

Sanju:- Abhi mera kaam bolega sir, main nahi...

Som:- Thik hai Sanju, Charnjeet isse sari detail de do... Aur sabko jane ke liye ready karo...

Som sab kuch samjha'kar fir se ek baar poora plan check kiya. Som apne commandig office me tha jab uske pass 2 I'ds pahunchi. Jisme se ek uske dad aur dusra uske boss ka tha. Som apne dad se khud milne gaya aur wahan se sabhi commanding hall me chale aaye...

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
mind blowing update sir aur agar real me kha jaye to mind blow kar hi diya aapne sirji schme
iss update ko samjhne ke liye sch bol rhi hu ise 2-3 baar to read krna pada hai
matlab abhi tak jise ham log vibhishan samajh rhe the wo bharat nikla
umeed se pare update sir lga nhi tha ki riaz itna intelligent niklega ye to pta tha ki koi use vyas, sia aur asif ke khilaf bhadka rha hai but ye to hamare sapno me bhi nhi tha ki riaz un sabhi se khel rha hoga jo use uske dosto ke khilaf bhadka rhe hai.
aur to aur usne to intelligence officers tak ko chakma de diya.
iss update me iss sawal ka jawab bhi mila ki jab riaz un logo ke sath mila hua hai to unhone riaz ko hi fasane ki koshis kyo kri. ye X group bhi koi kam to nhi hai aur ye kirti group ko bhi sirf use hi kar rha hai wo khte hai na dushman ka dushman dost hota hai wohi wali theory ho rhi hai yha par.
.
som sir to kisi mission par hai lekin sath hi sath wo ye bhi pta lagane ki koshish jaroor karenge ki ye X group akhir hai kaun.
.
dekhte hai sir agle update me kya hoga waise iss update me atleast mujhe to ye umeed thi ki som aur anurag malhotra ke conversation ka kuch part aap isme likhenge aur wo na pakar thodi disappointment to hui atleast unke reactions bhi agar pta chalte to mja aa jata but again you know better.
to dekhte hai aage kya hota hai.
 
Rawat@7

Bad Is Never Good Until Worse Happens.
740
1,021
124
.
 
Last edited:

Awesome updates brother.
 
Tiger 786

Well-Known Member
6,207
22,528
173
Update:-17

Madam kursi par baithi. Baki sabhi students chahe koi bhi ho, har koi jamin par baitha hua tha. Shadi ke mahol me madam ki ye class, shadi ka sabse khas attrection sa ban gaya tha. Jo student sath the unme se jyadatar ki aankhen nam thi. Jo online jude the wo bhi apne aanshu nahi rok pa rahe the. Kayi logon ke jehan se to school ki tasveeren dhundhli ho chuki thi, Jugnu ki ek kosis ne sab ko school ke dino me wapas le aaya...

Itne me Diksha bhi bhagi aayi... Dur se chillati hui... May I come in madam.…

Madam:- Mere class me late.… Chal uthak baithak lagao...

Diksha:- Madam aaj meri shadi hai... .

Madam:- No excuse shadi raat me hai na, chal laga…

Diksha bhi lagbhag uthak baithak laga hi chuki thi, lekin fir madam ne usse bithaya…

Madam jor se chillati… "Kya kahte ho ek chhoti si class shuru ho jaye"

"Langad lagne me abhi waqt hai madam, ek class abhi shuru kar do. Bina jyada pakaye".

Madam:- "Kya re 2001 batch Naina... Teri harkaten band nahi hui... Tere se hi class shuru karun kya. Khair, ab sab slilence ek chhoti si class shuru karte hain."

"Sab se pahle main thanks kah dun, tum me se jisne bhi meri property bachayi hai. I know about you. Haan lekin mere sabhi bacche utne hi capable the, bus uski madam ne kisi ko bataya nahi aur tumhe kahin se khabar mil gaye... Right bacchon"

Bhid se ek sath aawaj aayi... "Absolutely right madam"

Madam:- Ye Madav ne fir dhime bola. Kanjus to bachpan se tha...

Madhav:- Madam u know main kya feel kar raha hun iss waqt…

Madam:- Love u beta. I know re. Shuru se kitna kahti hun thoda ghula mila kar. Baat kiya kar. Aawaj buland kar, lekin tu bhi Purusom aur Anusia hi rah jayega. Btw don't call then Purusom and Anusia Main hun to shyad na mare warna kya hoga...

Poori bhid ek sath.… "Muh tootega, sab ko pata bhi hoga ki kisne toda bus kab, kahan, kaise ye pata nahi chalega…

Madam:- Marne se pahle ek hi khwish...

Bich se hi ek student…. "Madam aap aise na bole"

Madam:- To kya shadi karwa kar honeymoon par bhejega iss umr me... Marne ka ek announcement karna hai, isse class khatm karne ke baad batati hun. Bhul gayi to yaad dila dena. Haan to main ye kah rahi thi, kash kisi din Purusom ka live action dekhne ko milta to kitna achha hota..."

Diksha:- Madam jisne bhi maar khaya usse bhi pata nahi hota ki kaise maara. Chehra tak nahi dekh pate the. Kash main bhi ek baar action dekh paati...

Madam:- Sharm na aati hai tujhe ye kahte. Ittu chhoti si thi tab se dono 24 ghante sath hi rahte the, lekin tab bhi dekh na payi… Besharm business kaise chalati hai... Aise to lutiya gol kar degi...

Poori bhid:- Haan madam hume bhi Som ka live actiom dekhna hai...

Madam:- "Muh chhipakar baitha hoga wo gadha. Abhi wo iss topic par ek baar bol bhi de na to kisi puppy ko pal lena aur uska naam Kalpna rakh dena. Bahut dhit hai"...

"Khair aaj ki class hai Ankit Shrivastav. Ankit samne aa ja apna sunder mukhda dikhao"...

Ankit samne aa gaya. Madam khadi ho kar Ankit ko gale lagati... "Feel the proud moment... Ankit Shrivastav, one of the youngest scientist in India. Taali bajao re sabhi"…

Bhid se kayi awaj... "Isme feel the proud moment kya hai"

Madam dono hath utha'kar sab ko shant rahne ka ishara karti…. "Haan re murkhon... School ke portal par ja kar Alumani ke bare me kabhi padhte tab na pata chalta, feel the proud moment kya tha. Suno ulluon, paise kamane me vyast logon."

"Ankit ne Cambridge me top mara. Wahan usse Cambridge me hi research ke sath-sath proffesor ka job offer ho gaya. Sir ne saaf kah diya, jaunga to kewal Banaras Hindu University, aur chala aaya. Yahan jab Ankit se puchha gaya ki kahe bhai chhod kar kaahe aaye Cambridge."

"Humare iss genious ne bade aaram se kaha,. Cambridge me bhi padhana hai BHU me bhi padhunga. Wahan bhi research karunga aur BHU me bhi karunga. Accomodation shayad kam ho BHU me. Lekin wo bhi isliye kam hoga kyonki koi demand karne wala nahi hai… Jo Cambridge me karna hai wahi BHU me bhi karenge… Aakhir wo Cambridge ka naam students aur Proffesor ki wajah se hi hai na... Kaun sa log building ko top university ka khitab de dete hai.. Ek kosis BHU ko unchai dene kee"

"Ankit join BHU. Aur suna hai ki aaj kal mere style me padha bhi raha hai... Ankit really proud of you… Feel the proud moment feel hua"…

Ankit ke liye lagatar 2 minute tak taaliyan bajti rahi. Madam wapas se sabko hath dikha kar rokti.… "Dekho ek clap to mere achievement ke liye bhi baja hi do. Har field ke top log mere students hai. Bharat ki ek powerful hasti to main aise hi ho gayi... Kyon hai ki nahi"…

Online ofline... Charo disha se jab taliyan bajne lagi, kewal aur kewal bajti hi rahi. Madam sab ko hath dikhati…. "Class ko jarra jaldi end kar dun... 3.30 baj gaye hain… fir tum log ekadh ghanta sar khaoge so alag"

"Aaj khud ke liye isliye tali bajwayi hun, kyonki ye meri aakhri class hai. Iske baad main retirement le rahi hun. Wo mere marne ki aakhri wish aur ye retirement ki baat claer nahi hui to class over hone ke baad yaad dilana"..

"Mere first batch ka ek student tha, Parekh usse janta tha. His best friend, Anmol Singh. Ankit aur Anmol ki kahani same thi. Usne bhi feel the proud moment diya tha. Sab ne diya hai compare mat karna, bus sun lo."

"Anmol aur Ankit jaise log... Pure genious log. Ye kuchh bhi ho sakte the. IAS, IPS Or top bureaucrat Like Niharika, Sonam, Jagdish, Bansal... CEO, like my another genious Parekh, Sonali, Batra. Ya fir khud ke company ke malik ho sakte the like Indra Patel, Kanchan Gupta, Diskha Mishra, Jugnu Jadeja. Aise genious jo kisi ke line ko na sirf cross kar sakte the, infact parellel itni lambi line khinch de ki samne wala soch me pad jaye competition karun ya uski line ko kisi tarah mita kar apne barabar kar dun"

"Ab achhi kaho ya buri baat, ye genious apni marji se apna profession chunte hain... Ankit iss waqt BHU me maximum 2 lacks salary leta hoga. Aur mera vishwas hai ki wo apne 2 lacks me se dedh lakh ya kabhi-kabhi karj lekar 5 lakh bhi research par laga deta hoga."

"Anmol also did the same. Wo hamesa batata tha, madam aaj maine ye kiya. Madam ek chhota sa success milte-milte rah gaya... Falana project. Ye wo... Bahut se sodh me uske refrence maine padhe. Kayi sari uski theories. He just forget the world and get indulge into his ambitious projects.

"Fir aisa hua ki 48 varshiya Anmol, kisi waqt ka youngest scientist train se jaa raha tha. Ek hadsa hota hai, aur Anmol duniya chhod jata hai. Uske 2 padhne wale bacche, uski patni minimum compantation par jine ko majboor hote hain. Koi savings nahi thi ulta karj chhod kar gaya. Ek genious jo kuchh bhi kar sakta tha, kitna bhi paise kama sakta tha usne sirf har sukh suvidha ko isliye laat maar diya kyonki wo jahan paida liya uske liye achha kar sake. Uski family kewal uski issi galti ke liye suffer karti hai."

"Main ye nahi kah rahi tum sab apni salary, apni income charity karo. But unki to madad kar hi sakte ho jo humare bich ke log hain. Aise har koi apne bich ke logon ke liye to social service kar hi sakte hain, na kare poori duniya aur har kisi ke liye social service".

"Koi sansthan mat banao, koi group mat banao. Bus school ke alumani dekh lo. Khud kee ikchha se ek baar uski family ko dekh lo. Arrre yahan shayad hi koi aisa ho jo minimum lakh rupya mahina se kam kamata ho. Alumani average income ki to baat hi abhi nahi kiya maine… Sabka avrage nikalenge to mere khyal se avrage 10 lacks per month salary aayega. Yani mere padhaye sabhi students yadi 1 mahine ki salary donate kar de to 1200 x 10 lacs calculate kar lo."

"It's huge amount. Itna jitne me 1 poora mohalla baith kar umr bhar khayega. Mat karo sab ke liye. Lekin Anmol, Ankit in jaise logon ke liye to kar do, jo moti salary lekar usse savings kar sakte the, lekin ambitious projects ruke na isliye apni salary tak laga dete hain. Marnoprant hi kyon karna. Kya tum sab ki aatma apne bich se kisi ke marne ke baad hi jaagegi kya, jab uski widow wife aur bacchon ki tanghaali dikhegi. Unke jite ji kyon nahi"?

"Ankit jaise genious ko unke jinda rahte me support karo. Thode ego wale hain ye genious, 2 thappad laga kar poora income tax clear waigairah kar ke de do 1 mahine ki salary."

"Humare yahan bahut se invention sirf isliye nahi ho pate kyonki genious ke innovations aadhe par aate-aate ya to badhali me dum tod dete hain ya unka invention kam se kam duniya me aaye, isliye corporate companies ke paas apna idea aur research bech dete hain..."

"Aur jante ho, wo log apna idea nahi bechte balki paglon ki tarah jis kalpna roopi bacche ko un logon ne janm diya tha, usse bech aate hain. Mere aakhri class ka motive sirf itna hai, apne bich se nikle genious ko kabhi paise ki kami nahi aaye… taki return me wo tum sab ke sath iss duniya ko kuchh aisa sarthak khoj de jaye jo aap ki duniya ko, aap ke bhavishya ko aur ujjwal bana de."

"Ab kuchh refrences jinhone kiya hai aur Anmol ke family ke update. Main aaj bhi kisi ka naam nahi lungi. One of my grand daughter, yes she is. Sorry my mistake... Jo jante hain wo gossip me bhi uska naam bahar na le. Ek bacchi padhai ke dauran apne papa ke kuchh technical works ki, usne apne papa se 2 lakh mehntana haq se liya. Mere pass aayi aur mujhe deti hui kahne lagi... "Anmol sir ke bacchon ki study nahi rukne dijiye madam".

"2 of alumani send 20 laks to Anmole's wife account. Sab log Jugnu ke liye ek baar tali bajao, kyonki wo mere iss project par kaam kar rahi hai, jiska idea uss bacchi ne diya tha. Abhi Anmol ke wife ko koi samsya nahi hai... Lekin mera ek hi sawal hai… kya apne bich se kisi ke marne ke baad hi aatma jagegi... Main chahti hun humare bich ke genious ko humare ore se financial gift milna chahiye... It's not only moral duty, it's your debt and you have to pay it... Shall we..."

Poori bhid ek sath.… "Yesss madam".

Madam:- Main apna bhoot pichhe laga rahi hun... Purusom, jitno se Jugnu cordinate karegi agar un me se kisi ne dich kiya to tumhara kaam hoga karj ko wasool lana...

Som:- Jo murde hain unhe jagaa nahi sakte aur jo jaage hain unhe jagaane ki jaroorat nahi madam..

Madam:- Tu aage aa philospher ka chacha... Aaj tak to action dikhaya nahi hume... Yahan philosophy kar raha… kaun ye duty lega bolo... Parekh beta tu wasooli bhai banega... ..

Parekh:- Kahin mujhe golmaal wala wasooli bhai na bana de...

Madam:- Sabhi nikamme hai... Khair joke a part... Sabhi yaad se kar dena... Jugnu tum sab ko is vishya me ek detailed mail likh degi... Sab samjh kar aapas me dekh lena… now iss aakhri class ka aakhri case..

Sab hooting karte…. "Kya baat kar rahi hai madam… koi case hai kya"…

Madam:- Haan mere laal... Itni din baad class le rahi hun tum sab ki to case na hogi kya... Jugnu, Purusom, dono jaldi aao… Oye Ankit tu kidhar chala, khada rah idhar hi... Apne man se bhag raha...

Madam satasat 2 chhadi deti hui kahne lagi. Bechara Ankit chichuk gaya. Jaldi hi dono wahan pahunch gaye. Jugnu aur Som ko wahan dekh kar sab ke gossip shuru the… madam sab ko shant karwati...

Madam:- I thought, ab bhi ek student kam hai. Ankit wo tere class ka ladka tha na Devanshu, wo bhid me kahin dur dikha tha. Tujhe dikh raha hai kahin..

Ankit:- No Madam..

Madam:- Tu jhoot kab se bolne lag gaya re. Khair, Devanshu your principle is calling, come here immediately.

2 minute tak sabha bilkul khamosh rahe kyonki madam apne hath upar kee hui thi. Bhid ke bich thodi gahma-gahmi thi. Sabhi kinare huye to pata chala Devanshu aane me nakhre kar raha hai. Finally Devanshu ke hone wale sasur yani ki Jugnu ke pappa Harindr Jadeja ne daantaa tab wo Jugnu, Som, aur Ankit ke pass ja kar khada hua...

Madam:- Iske aas-pass ya inke batch ka koi bata sakta hai kya, kisi ne Devanshu ko mere class me dekha ho?"

Poori bhid me se jo un logon ke batch ke the... Sabne No kaha...

Madam:- To naye student ko welcome kaun karega...

Sab ne Devanshu ka welcome kiya. Fir madam ek aupcharik introduction dilwane ke baad...

"Ye kahani 3 batch ke students ke bich ka hai. Jugnu 10th me thi. Som 11th me. Ankit aur Deepanshu 12th me. Uss waqt ek ghatna hui thi. Jugnu apne doston ke sath thi and 1st April ka bakda banane ke liye 2 sal senior student chuna. Jugnu kya tum uska naam bataogi, poori ghatna short me"..

Jugnu:- Madam wo..

Madam:- Don't think about your parent. Kyon Sugandha, Harindr tum dono ko koi aapatti hai kya... Are yaar jab Diksha ki maa Lata Mishra, wo ab kisi ladke ke proposal ko galat nahi leti tab tumhari family to waise bhi kafi upgraded hai...

Harindar:- Madam bahut hi strict hai ye... Iske kaand Sun'ne ko hum sab bahut vyakul hain..

Madam:- Thanks Harindr. Chalo Jugnu shuru ho jao. Highlight karo jara ghatna...

Jugnu:- Madam wo hum sab friends ne ek shart lagayi thi. Shart ye thi ki 1 April tak kisi sidhe ladke se I Love You bulwana hai. Yadi shart main jiti to ek mahine tak ka hostel ka mera sara kaam meri friends karti. Warna mujhe unka kaam karna padta. Sab ne mil'kar Ankit sir ka naam suggest kiya...

Madam:- Ganimat hai Purusom ya fir Gaurav ka naam suggest nahi kiya… Haan aage bata na...

Jugnu:- Maine bahut try kiya lekin jab bhi main Ankit sir ke pass jati aur wo meri ore dekh kar smile karte tab meri heart beat itni badh jati ki main unse kuchh kah hi nahi pati thi. Finally 1 April najdik aa raha tha aur ek subah Ankit sir ne khud samne se puchh diya... "Koi kaam hai kya. Roj aati ho aur chali jati ho"

"Main khud me thodi himmat jutayi aur Ankit sir ko akele me le ja kar shart ki sari baten bata kar unhe raaji kar liya..."

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Awesome update
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Tiger 786

Well-Known Member
6,207
22,528
173
Update:-18

Madam:- Main na kahti thi ye ladki bahut chalu hai. Arreee Divya aur Harpreet hai kya, iske batch ki..

Harpreet:- Aithe hi hun madam. Diviya bhi online hai, sath me baki sab bhi. Iss baiman ko sab sun rahe hai. Tu bahar miliyo Jugnu fir pakka tu aaj raat Jugnu ban kar tim timayegi...

Madam:- Shabash lady don. Tune yadi chhod diya to fir mera invitation aayega... Gossip band karo aapas ki. Jugnu continue kar…

Jugnu:- Madam maine Ankit sir ko sari baaten bata di. But.. Unhone 1 April ke baad 2 April ko bhi mujhe propose kiya tha.. Unhone kaha ki meri himmat nahi hoti kabhi kahne ki. Lekin jahan ek baar meri sacchi feeling ko jhut samjah kar suni, wahin ek baar aur aaj sach samajh kar sun lo... Kitab ke tarah meri koi chahat hai to wo tum ho. Aage tumhari marji hai, koi force nahi... Naa ho to mat batana, haan ho to gale lag jana... Bus 2 April ko itni hi baat hui thi…

Madam:- Areee yaar clap to kar sabhi Ankit ke liye. Ek scientist apne book ko jitna chahta hai utna hi apne lover ko bhi... Haan bhai dono par umr bhar research jo karni thi... Ek ore Ankit ke subjective thesis aate dusri ore love thesis. Sab shant hooting band karo sabhi... Ankit beta propose kar diya uske baad kya hua...

Ankit:- Kuchh nahi madam...

Madam:- Bata de bhai... Cambridge ko no kah kar aaya hai aur yahan jhijhak raha hai... Kya jindgi bhar har interview me yahi kahta rahega... Mujhe Jugnu (firefly) se pyar hai... Main sari umr issi par reasearch karunga…

Ankit:- 2 April ke sham mujhe kisi ne buri tarah peeta tha. Dhamki bhi diya tha ki main Jugnu se dur rahun. Khair dur ya pass rahna to Jugnu ka faisla tha aur wo 2 April ke baad mujhe poore session me nahi dikhi...

Madam:- Marne wale me naam kiska aaya tha...

Ankit:- Som ka...

Madam:- Som par aane se pahle Jugnu se ek sidhi baat... Tumne haan ya naa me kuchh bhi jawab kyon nahi diya...

Jugnu:- Madam kyonki Devanshu aur uske doston ne mujhe bataya ki Ankit sir, Som sir ke hathon peete gaye hai. Ek baat jo yahan baitha har koi accept karega, yadi kisi ko Som sir ne school me mara hai matlab kuchh jyada hi chidi harkat rahi hogi. Isliye maine ek sal tak khud ko pack hi kar liya... Main uss ek sal me class aur hostel ke alawa kisi aur chij ka muh hi nahi dekhi. Haan lekin Devanshu ke message milte the... Kab-kab Som sir ne Ankit sir ko peeta hai.

Madam:- Koi aur puchhe le Purusom se, "kya tumne falane ko mara hai?" Yadi Purusom muh khol de to wahi pappi pal kar... Samajh hi gaye hoge aage.. Beta Som jara highlights do.. aur full detail highlights dena... Bhai itne sare kaand me naam aane wala, aaj pahli baar kisi ko maarna accept karega... Main to poori detail sun'na chahungi... Kya kahte ho tum sab...

Poori bhid:- Hum sab bhi intrested hain madam...

Som:- Pitne ka koi lekha to hai nahi lekin Devanshu iklauta aisa tha jiske maar khane ke case kabhi bahar nahi aata tha. Mere poore school time me ye Devanshu aur uska chindi group, mujhse sab se jyada peeta hai. 12th start se lekar uske school chhodne tak to fir kuchh jyada hi maar khata raha hai. Ek case me main isse aur Zaid ko May se lekar June tak, subah sham lagatar maarta hi raha tha. Summer vacation par ye uss sal nahi gaya tha, balki iske aur iske 6 doston ke maine hath tod diye the. 2 mahine tak hospital me the.

Madam:- Akele hi toda tha ya group ke sath...

Som:- Akela hi tha main. Chaho to confirm kar lo samne hai. Ye Devanshu 2 bar Sia se maar khaya hai, khud se 4 sal junior ek ladki se... 6 baar iski serious complaint hone se maine roki thi..

Madam:- Kis tarah ke case the...

Som:- "Usually iske roj ke case aane shuru ho gaye the. Isliye isse lagatar dose dena padta tha... Jyadatar apne sath wale juniors jo iske hostel me hote, unse unethical kaam karwata tha. Kafi alag level ka juniors ke sath ragging karta tha, jo aamuman filmon me police wale third digree me karte hai, bina nishan chhode andruni maar"..

"Iske alawa jis case me lagatar marne ke baad maine hath tode the, wo tha juniors girl ko molestation karna. Usually tab main child sex abuse ki class leta tha apne juniors ki. Aur jin-jin baton par main unhe oppose karna aur andekhi na karne ki salaah deta tha, kuchh ki sikayten unhi sab chijon ki hoti thi."

"Uss waqt main hi unka teacher hota tha, yadi main hi unhe ignore karne kah deta, then how they felt. Isliye main unhe bol'kar jata tha, "you complaint at right place'. Abhi apne tarike se samjhate hain aur baad me nahi mana to school se resticate."

"Mere uss samay me, Devanshu aur Zaid 2 aise phyco seniors the jise maine lagatar 30 din tak maarta hi raha tha.… 30 din baad maine Devanshu aur Zaid ke sath uske 5 doston ka hath tod diya. Ye log ghar chale gaye the. 2 mahine baad aaye to complete sudhre the. Fir aage cases junours ke tourcher wale aaye the... Aise hi kuchh na kuchh lafde me maar khate raha tha.."

Madam:- Kamal ho gaya... Aaj Som itna bola. Beta lekin Ankit ke bare me bhi to batao...

Som:- Maine bhi wo rumour sune the. Mujhe khud nahi pata tha ki wo rumour kisne udaye. Jugnu se uske BF ke bare me jaan'ne ke baad kahani clear hui. Main uss waqt Ankit ki koi madad nahi kar sakta tha, kyonki jo bhi mujh se peeta uske bare me main saaf kahta tha maine nahi mara. Ankit ke bare me clarification dena na dena koi fark nahi padta…

Madam:- Chalo aakhri class ke sabse aakhri case me... Jugnu jo jawab tab nahi de payi thi wo jawab tum do aisa koi force nahi hai... Par Ankit ke liye main sifarish laga rahi... Class dismiss... Chalo ab pakana shuru karo... Parekh.. puchh beta kya common sawal hai...

Parekh:- Madam aap ek principle ho kar aise class leti thi. Iski inspiration kahan se mili...

Madam:- Ye class se related sawal hai kya?

Parekh:- Please aaj no mat karna... Kuch bina class se related sawal...

Madam:- Hmmmm !!! Bacche boarding me lagbhag 12 sal bitane ke baad jab bahar jate the tab unme bahut si chijon ki kamiyan hoti thi. Ek baat se inkar nahi kiya ja sakta tha ki parents apni duty samjhte the. Boarding me diye bacchon ko aur apni life enjoy karte the."

"Jyadatar humare yahan carorepati, higher government officials ke bacche padhne aate the. Yahan se nikle fir higher education and office. Un bacchon ka shape samaj ke prati shift kab hua. Office me gaye to paise kamane ki machine ban gaye. Government job me gaye to jo poora samaj kar raha hai, ussi ko samaj maan kar wahi sab karte jo dusre kar rahe hote... Basically boarding school ek selfish banane ki factory kah lo to galat nahi hoga..."

"Mere papa ne jab mujhe school ka bhar shaunpe tab unhone yahi kaha tha. Ek garib ke bacche ko samaj ke prati jimmedar banaye to dusron ke inspiration banege. Un inspirations ke highlights bhi fir amiron ke tarah hi hote hain jo khud ko paisa kamane ki machine bana lete hain. Bahut kam aise garib hote hain jo free education me achhe post par jane ke baad dusron ki madad karte hain. Its fact and we have to accept it".

"Wahin yadi kisi paise wale ka baccha samaj ke prati jimmedar ho gaya to kayi inspiration ko support kar sakta hai. Mujhe concept samjh me aa gaya.. and see the results... Jugnu ne jo last deta collect kiya tha uske according over 50000 poor students directly or indirectly supported by alumani students.."

"Now clalculate the chain, agar 25% bhi uss 50k se support shuru kare to ye fighure around 1 lacks cross ho jayega. Doesn't it seems a good achievement. Main apne school se free education me bahut maximum nikalti to ab tak 10k students nikal sakti thi... Ek clap mere papa ke naam bhi..."

"Apne retirement ke sath hi ek announcement. The student who proposed me first.. Parekh has applied for the job of principal. Aur aaj ke baad se school ke naye principle wahi hoga... Ek clap Parekh ke liye bhi... Parekh dusra sawal... Aur ye aakhri beta... Diksha ki shadi late ho gayi to iska husband mujhe marne ke baad bhi galiyan dega…

Parekh:- Your most favourite student…

Jaise hi ye sawal puchha gaya bhid ne halla karna shuru kar diya... Som and Sia... Som and Sia...

Madam hath utha kar sab ko shant karwati… "Besharmon mere students kahlane layak nahi ho. Ek quick glimps de dun. 50k students me se 7k students ko alone humari genious alumni Diksha dekh rahi hai. Isme uski madad 2 outstanding teacher Kapendra aur Lata Mishra karte hain. Technically Sia and Som ye dono 80% unke products hain"...

"So pahle bhid ki baat ko kharij karte huye. Purusom and Anusia mere students rahe hain, yep mere favourite student bhi rahe hai... Like each one of you jo bhi mujh se padhte the… Naam to waise bhi nahi leti...

Parekh:- Be modest madam. Jo hume sikhati aayi hain aaj aakhri me wahi bhul rahi...

Madam:- "Ohk batati hun gala mat pakad. Jine ki 2-3 ikchha abhi baki hai... Honestly kahun to sabhi favourite hi hain... Haan lekin kuchh touchy moments hote hain aur wo aap ke emotion ke taar ko chhed jate hain... To unhe sab me kuchh jyada yaad kar leti hun"...

"My lovely Parekh. Mere pass endless reason hai ki main Parekh ko most favourite na manu. Lekin mera pahla batch, pahla student aur experiment ke uss daur me mujhe apne bewak baton se bahut kuchh sikha gaya. Parekh".

"My lovely Anmol. He is like moon. Poore din Suraj me tap kar jisne suraj se rausni batori wo bura waqt, yani kali andheri raat jab aaya to bikher diye. That was Anmol."

"Krishn kant. Isse Anmol ka brother kah lo to galat nahi hoga. Krishn Kant thoda apno se rutha hua hai. Ek karne wale ko ussi ke logon ne bahut pratarit kiya, isliye humse ruth gaya. But thanks Parekh and Jugnu. Krish Kant ne sahmati jata di hai ki wo kewal issi shart par aayega ki wo school join karega. Iske alawa wo ab samaj ko kuchh nahi de sakta aur na hi wo dene ke layak hai"

"My alaways sweeti Diksha. Apne mom dad ki iklauti beti. Ladli bhi utni hi. She is the only student jiske pass summer vacation me apne ghar na jane ki koi vajah nahi thi. Lekin class 1 me jo boarding me wo aayi so sidha class 12 pass hone ke baad nikli thi. Naam na bhi lun to bhi samjh jaoge. So Purusom kisi karanvash apne ghar nahi ja sakta tha, aur uss 2 month ke vacation me Diksha ne apne dost ka sath nahi chhoda. Aur wo 2 mahine Lata Mishra aur Kapendra Mishra meri chhati par mung dararte the. Purusom aur Anusia ko khatarnak aur ladaku Lata Mishra ne hi banaya tha. Uss vacation ke kisse school se jyada hote the dear. Purusom aur Anusia Inke vacation par ghar na jane ki vajah thi. But meri ladli Diksha... Jab uske papa aur mammi usse lene aate to badi masoomiyat se kahti thi... "No papa. Som yahan akela hoga". Fir kuchh saal baad dialogues the... "No papa Som yahan akela hoga aur Sia ko wo akele kaise dekhega."

Lovely Jugnu. Ab iska jikr itni baar main ek session me kar chuki hun to mere most favourite me na ho, aisa hoga kya. Kya hi kah dun... Best.. beti hai ye meri. Isliye to achhe damad ki sifarish lagani padi mujhe... Isne mere sare bacchon ko jod diya. Har kisi ki info rakhti hai. School ke endless work ye hans ke kar deti hai bina jahir kiye...

And the cutest one… sabse chhoti, Pari... Simply no quality.. she has nothing... But close to my heart. Ab koi complaint nahi karega fir wo kyon... Warna maar dalungi... Koi mere dil ke karib rahegi to wahi hai sweeto. Ek baat bata dun Pari uska naam nahi hai... Ye main usse pyar se pukarti hun aur sirf main hi bula sakti hun... Ae Jugnu meri poti ka kaam poora hone se pahle main tapak gayi to sabko bata dena ki wo kaun hai... Lo bata diya na apne best favourite ka naam..

Bhid:- Fir Som aur Sia...

Madam:- Oh haan inke bare me rah gaya. To sawal ye hai ki Kalpna madam ke most fav me jab kahin dur tak Purusom aur Anusia ka naam nahi fir madam ke FB wall pic me Purusom aur Anusia kyon. Chalo jarra isse samjhte hain.. Ek example lo... Mukta beta tere FB par kiski post hai..

3 mukta ek sath khadi ho gayi... Madam hath dikhati... Are apni heroin mukta kidhar hai Nagpur wali, 2008 batch mukta...

Mukta:- Madam family pics hai aur mere ideal, parent ke..

Madam:- Tu to Hiritik ke dhoom 2 wali pic bhi lagaye thi na lambe samay tak... Uska kya..

Mukta:- Wo madam mera fav hero hai...

Madam:- "Itna Sharma kyon rahi hai. Khair, so tasveer hum hamesa unki lagate hain jinki najron me hum favourite rahne ki kosis karte hain, our ideal or most beloved.. like parent, film star… wo alag baat hai humari Mukta behosh ho jaye yadi wo sun le ki Hritik ki najron me wo fav ho gayi hai. Ya fir kahin heart attack na aa jaye.

Ab tak to samjh hi gaye honge jawab fir bhi main sab ke samne kah dun... Purusom aur Anusia mere aadrash hai. Aur jab se main un dono jaisa ban'ne ki kosis ki hun, jamin par baithne wale students me na sirf ijafa hua hai balki unka return bhi jyada mil raha hai mujhe, yadi main compare kar lun pichhle kanjuson se to. Bus ab yahin khatm karte hain. Koi sawal jawab nahi...

Bhid:- Madam wo aap marne wala kuchh announcement karne wali thi... Retirement wala to bata diya wahi rah gaya hai...

Madam:- "Haan suno sab log. Waise ye copy ki hui khwaish hai jab tikhi bahas hoti thi Kapendr Mishra aur Purusom ke bich. Tab jo plan Purusom ne un sab ke shav yatra ko lekar banaya tha wahi ikchha meri bhi hai..."

"Main jab marun to mere shav yatra me poori bhid honi chahiye. Sab 1 din ki chutti lekar aana aur rona koi nahi, balki baje gaje ke sath bilkul rang me sarobar hokar mujhe aakhri vidai dena... Chalo ab sabha samapt."

Kya sabha thi. Logon ke aankhon par yakin tak nahi ki unhone kya dekha tha abhi-abhi. Kisi ke zindgi ki asli punji kya hoti thi, iss sabha bhavan me Kalpna madam sab ko sikha rahi thi. Kaun nahi the jamin par baithne walon me.

Sabhi log madam ko ghere, aur madam sab ko kewal itna hi kahti... "Ab to bhid hatao, ya main chali jaun."…

Shadi ka rang to abhi jam raha tha. Lagbhag 8 se 8.30 baje ke karib Diksha ko stage par laya jana tha. Aur khatti-mithi yaden sanjoye Diksha ki shadi apne aakhri prahar me thi.

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Behtreen update
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Tiger 786

Well-Known Member
6,207
22,528
173
Update:-19

Bharat me ek khas din, ek poora khas samroh, ek poora jashn ka mahol har ladka aur ladki ke kismat hota hai. Kaisi bhi dikhne wali ladki kyon na ho, jise logon ne kurup ka sangyan de kar kabhi pookara ho, apne iss khas din me wo duniya ki sabse khoobsoorat ladki dikhti hai. Solah shringar kiye jab koi ladki dulhan ke libas me poori sajti hai, fir uss se khubsoorat koi nahi dikhta.

Diksha to waise bhi bhid me alag dikhne wali ladki thi, jise sab se khas uska hasmukh chehra aur uski pyari baaten bana deti thi. Diksha, poori tarah se taiyar ho chuki thi. Ye din uska tha. Dulhan ke libas me jab wo poori tarah taiyar hui, uski khubsoorti apna moh jaal uss mahol me aise bikher rahi thi, har najar bus thehar jaye aur jo pahli awaj dil se nikle... "Wowww !!! Khubsurat !!! Kya lag rahi hai"

b99b59d7ea555b41ac177b996b05b522-1.jpg

Poore badan par khoobsoorat aabhushan, hathon ki khubsoorat menhdi, solah sringar aur dulhan ka libas, in sab me lipti Diksha apne pahli jhalak se har kisi ka dil dharka rahi thi. Apartim khoobsurati, jiske bare me jitna bhi likh dijiye, jitna bhi upma se tulna kar lijiye, ek malal sa har baar rah hi jaye, nahi iss se bhi jyada khubsoorat aur pyari dikh rahi thi.

Diksha poori tarah saji baithi hui thi apne bestie ke intzar me, jiske sath wo stage tak jati. Aamuman aise maukon par dulhan ka kamra ladies se bhada hua rahta hai lekin Diksha ka poora kamra khali tha. Uss kamre se bahar nikal kar nayi zindgi me kadam rakhne se pahle usse Som se khul kar baat karni thi. Aadhe ghante ka yun to waqt jyada nahi tha lekin fir bhi aaj apne iss khas din se Diksha ne aakhri palon me apne papa se Som ke liye aadha ghanta maang lee thi.

Som jab Diksha ko lene apne kamre se bahar nikla tab koi bhi usse pahchan nahi paya. Baal bilkul kisi model ki tarah set the. Haan dadhi badhi hui thi lekin trim aur setting ke baad bus kahar hi dha raha ho jaise. Aaj uski aankhen na to koi kahani kah rahi thi aur na hi nashe me dubi hui thi. Badi-badi kali retina wali khubsoorat aakhen aur chehre par faili muskan.

Shadi ke iss mauke par Diksha aur Som ke liye Sia ne khud shopping ki thi. Na to dono se puchhi thi aur na hi unhe bhejne se pahle dikhayi thi ki usne kya kharida hai. Haan kewal chhota sa armaan jahir kar diya tha Sia ne, nahi pasand aaye to bata dene lekin shadi me dono uske pasand ke kapde pahne.

Diksha ne bhi poori khushi se Sia ke bheje kapde pahan kar taiyar thi. Som bhi Sia ke bheje suit pahne hua tha. Kamal lag raha tha. Shayad wo aaj jitne waqt Diksha ke sath khada hota, kisi aur ko kahne ka mauka nahi dena chahta tha ki Dulhan ke sath kaun khada hai.

Lagbhag 6 fit hight ki khatarnak body physique, Som jab taiyar ho'kar kale suit me nikla, bus sab ko mud kar ek baar dekhne par majboor kar raha tha. Chehre par faili si muskaan aur badhte kadam Diksha ke kamre ke ore.

2cb37795d7adcd8bf935f33b7c12e0cc.jpg

Chhoti si aahat ke sath darvaja khula. Diksha jo najren jhukaye Som ke intjar me thi, darvaja khulne ke aahat me wo najren utha kar dekhi aur Som ko dekhte hi muskurati wo khadi ho gayi.….

6ac28d1342af096b2b22891837f683e2-1.jpg

Dulhan ke libas me poore shrinagar ki hui Diskha. Darvaja khulne ke sath jaise hi uski najar upar uthi, Som ke honth halke khul gaye. Hath sine tak uth kar aaya aur dhime-dhime shwans khinkhte Som apne sine par hath fer raha tha... "Shuuhhhh .. Shuhhh... Shuhhhh... Shant... Shant... Shant".

Shabdon ki koi jagah nahi thi lekin sine par hath ferne ki pratikriya aur halke khule hont se jo dhimi hawa wo apni dharkan ko shant karne ke liye bahar nikal raha tha, Diksha ko dekh kar aniyantrit hui dharkano ko shant karne ke liye tha. Som to apni badhi dharkano ko shant kar raha tha lekin Diksha...

Kuchh der pahle Diksha ke jahan me hajaron sawal the. Shadi ke liye kadam badhane se pahle kayi baton ka dar sine me dard utha raha tha. Taiyar ho kar 10 minute se Diksha, Som ka intzar kar rahi thi. In 10 minute me ek ke baad ek aate khyalon ne sine me aisa dard uthaya tha ki wo khud me shadi ke liye nurvous feel kar rahi thi. Manodasha aisi thi jo kah rahi thi abhi shayad main shadi ke liye taiyar nahi.

Darwaje ka wo khulna aur najar utha kar Som ko dekhna. Mehfil me shayad kayi aise ladken aise hon jo "point of attraction" ho sakte hain. Kayi itne paise wale the ki fashion designers ki line laga chuke honge, khud ko sabse best sabit karne ke liye. Lekin koi aaj Diksha se puchh le ki Som kaisa dikh raha hai... Shyad wah tulna karte huye yah bhi kah sakti thi ki swyam ishwar ka roop aaj fika hai Som ke samne.

Kahe bhi kyon na zindgi me pahli baar Som ko taiyar ho kar kisi function ko aatend karti hui dekh rahi thi. Aaj bhi yadi wo kisi nashedi ki tarah ban kar aata to bhi Diksha ke liye wo sabse khubsurat hi rahta. Som ki to dhadkane badhi thi lekin Diksha ka dil uchhal raha tha.

Wo bus Som ke wapas uski ore dekhne ka intzar kar rahi thi taki Diksha dikha sake wo kitni khush hai. Som apni badhi dharkan ko hath ke ishare se niche karte jaise hi najar upar uthaya…

Tej Seety ki awaj gunjti rah gayi. Diksha ruki hi nahi kuchh minton ke liye aur jab ruki tab sidha daur chuki thi. Wah bhool chuki thi ki wo poore gahno se ladi hai. Bhul chuki thi ki wo kis libas me hai. Bhul chuki apni sari soch...

Som hanste huye usse gode me sambhala. Khud ko thoda pichhe karti Diksha, Som ke gal ko apne hath me tham kar uske chehre ko bade dhyan se dekhti rahi aur fir shawans ke chalne matr jitni awaj se bus itna hi kah payi.… "Thankeeuuuuu"

Som usse nicha uthara, uske gal par hath ko kisi abhibhavak ki tarah ferte... "Bahut pyari lag rahi hai. Chal ab jara sab ko dikha de"

Diksha:- Papa ko maine 8.30 ka waqt diya hai. Abhi humare pass aadha ghanta se upar ka samay hai. Ek cigerette pilayega.

Som:- Mandap par baithegi na. Wahan cigerette pi kar jana allowed hai kya...

Diskha:- Upar-upar funk dungi...

Som:- Na na.. wo kapde juthe wale system hota hai na... Juthe kapde pahan kar lagan-mandap me kaise baithegi…

Diksha:- Haaannn... Maa ne bataya tha... Kuchh kar na jo mere hath muh tak nahi jaye...

Som:- Pagal... Ruk jalata hun...

Som ne cigerette jala kar aage badhaya. Diksha muh aage badha'kar ek kas khinchti... "Bahut pyara dikh raha hai. I want capture this moment. Oh haan wo bag khol na."

Som bag kholne laga... Diksha ishare se... "Haan wo box nikal".

Som, box nikalne ke badle box khol kar aneder se phone nikalte... "Thanks a lot. Kitna kharch kar dee iss phone par"

Diksha:- Apni khushiyan kharch ki hun. Isme maine apna number save kar diya hai. Tere sare email waigarah sab active hai. Tera number kisi se share karun ya nahi...

Som:- Sia kya boli...

Diksha:- Tu apni bol..

Som:- Koi issue nahi hai. Jisko bhi jaroorat ho unhe number de dena... Sia se baat kare kya?

Diksha:- Main ussi ke samne to taiyar hui hun. Usne kaha wo shadi live dekh rahi hai, lekin ab baat nahi kar payegi, rona aa raha hai.

Som:- Haan tere pass na aa payi na, usse bhi akhad raha hoga...

Diksha:- Tu bhi nahi aa pata to main samjh sakti thi. Khair, kya tune sach kaha tha, main shadi ke baad badal jaungi? Meri priority badal jayegi?

Som:- Pata nahi, ab to anubhav kar hi legi to mere sath bhi share kar dena.

Diksha:- Tu aise na dekh mujhe sharm aa rahi hai. Najar samne kar…

Som:- Kya karun.. bahut pyari lag rahi hai… dekhne de..

Diksha:- Fenk uss cigerette ko aur jaldi se hath dho kar aa.. Main iss moment ko capture karungi… Achhe se hath ponchh kar aana.

Labhag 10 minute tak alag-alag emotion aur alag-alag pose me dono selfie click karte rahe. Fir agle 5 minute tak dono apne-apne mobile se ek dusre ki tasveer lene lage.

Som:- Chalen madam. Ab jara Pranshu ko bhi apni shakl dikha de. Bechara mara ja raha hoga. Aur tu bhi to excited hogi uske first look ke liye.

Diksha:- Yep kafi jyada excited hun, lekin bechara, aadhi shakl dekhega kyonki maa ne kaha hai aadha ghunghat.

Som:- Ooooooo bechara. Matlab I am the luckiest one.

Diksha:- Tu to meri maa hai re. Well explained Som. Main chah kar bhi kya hai hum dono ke bich bata nahi pati. But yep mera chhota Som. Tujhe taiyar ho kar aaye dekh aisi feeling aa rahi hai, mano koi maa apne bacche ko pahli baar school ke liye taiyar karne ke baad dekh rahi ho. Duniya me sabse pyaraaaa aur sab se khubsurat...

Som:- Bus bhi kar. Kitni tarif karegi. Main nurvous feel karne lagunga..

Diksha:- Tujhe kahi na samne dekh. Ander se sharm aa rahi hai. Achha Som tu na abhi poori shadi me mere sath hi rehna. Dil me fir se ghabrahat si hone lagi hai.

Som:- Aaj jab teri najren mujhe dhundhegi to main tere aankhon ke samne rahunga. Lekin meri ikchha hai ki tu poora dhyan Pranshu par laga. You know ab tum dono ek dusre ko complete karoge isliye chhote Som aur chhoti Diksha ko ab bada hona hoga. Hum har mehfil me logon ko clarification nahi de sakte ki hum kya hai aur ye sahi bhi nahi hai. Hum jis samaj me rahte hain, hume kuchh uske anusar bhi chalna padta hai. Bhale family kitna bhi allowed kyon na kare. Hope you understand..

Diksha:- Iss samaj ki to...

Som:- Kya boli...

Diksha, chhota sa muh banati.… "Chhoti Diksha ko chhoti hi rahne do, wo badi nahi hona chahti."

Som:- Kya samaj ke kuchh niyam maan kar aur ek fit dur baith kar chhoti Diksha aur Chhota Som nahi rah sakte. Kya sab ke bich gale lag kar, ya gal ko chum kar hi feeling express hoga..

Diksha:- Bilkul nahi.. Ek fit kya 1000 km dur baith kar bhi Chhoti Diksha apne chhote Som se utna hi pyar kar sakti hai aur apni feeling express kar sakti hai. Maan lenge hum samaj ke niyam. Sab ke bich lahje se gale lag jaungi apne chhote se Som ke. Khush na...

Som:- Bahut Khush.... Chalne ab..

"Tum dono.… Sommmm... Mera baccha... Aaj baal me kanghi kar ke aaya hai. Bhagwan ye to shoot boot me hai.… Diksha ek photo le na re jaldi"…. Diksha ki maa Lata Mishra aayi to thi kahne... "Tum dono raat yahin bita do baat karte-karte"... Lekin jaise hi Som muda. Lata Mishra ki bhi wahi bhavnayen thi jaisi Diksha ki..

Kuchh der Selfie-Selfie khelne ke baad... "Mishrayan ji aap badho hum dono bhi aaye"..

Diskha:- Maa ruko ek minute...

Lata Mishra jaise hi mudi Diksha bhinch kar gale lagti…. "Maa, I love you"…

"Love you too beta. Lekin dekh abhi mere aanshu nikal degi to mera makeup kharab ho jayega aur main nahi chahti ki teri vidai se pahle mere aanshu nikle. Chal ab mujhe chhod aur jaldi se aao"

Diksha:- Sath me hi chalte hain. Jarra ek baar dress to dekh lo aur sahi kar do..

Lata ne dress thik karne ke sath hi ghunghat ko aankhon ke niche tak le aayi. Aadha ghunghat jaise hi aaya, ek baar fir Som ke hath uske sine par firne lage aur wo apni badhi dhadkano ko shant karne laga. Lata Mishra hansti hui kahne lagi… "Mera bhi yahi haal hai. Bahut pyari lag rahi hai na Diksha?"

Som chillaya… "Mishrayan ji sambhalo, ek hi emotion me raho aur dialogue bahar mat aane dena jo dimag me hai"

Lata:- Kaun sa re...

Som:- Beti kab badi ho gayi...

Lata Mishra kuchh bolne ko hui. Som usse hath dikhate…. "Isse stage tak chhod aaye fir baat karte hain"

Lata:- Kuuta, mere bolne ka waqt aaya to... Khair, jayega kahan ab to tera number aa gaya hai mere pass... Chal..

Diksha ki Maa Lata Mishra ander apni bhavnayen samete hansti hui aage nikli. Som ke sath kadam se kadam milati Diksha chali. Dono apni chhoti ungli fansaye huye dhime-dhime chal rahe the. Diksha apne ek jivan ki dahlij paar karne se le kar dusre jivan me praves karne ka safar apne sab se pyare dost ke sath, kadam se kadam mila kar tay kar rahi thi...

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Shandaar update
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
Update:-82(A)

Sanivaar ki raat, Som sabhi officer ko kidnapped kar’ke apne Sniper training center le gaya. Wahin Riaz ka hath paun baandh’kar Som ne Riaz ko Ussi building me rakha tha jahan Meera uss se milne gayi thi.. “The Connecting” apartment...
2600 square meter jamin par bani 12 manjili multi storey building thi. Issi building ke kisi andhere bade hall me Riaz ko rakha gaya tha. Som jaise hi “the connecting” building me sithit apne office me pahuncha..

“Sanju sir, wahan aisa kya hua tha jo aap ko 2 murder karne pad gaye... Aur Charanjeet tum Vishal ko kaho 12 logon ki ek rescue team taiyar kare.. 00 hour me hum Air Station se operate karenge. Wahan 1 team ravana hogi aur mujhe 2 back-up team stand-by me chahiye..

Charanjeet:- Any serious mission boss..

Som:- Yep..Hum Pakistani terretory me ghusenge..

Charanjeet wahan se nikal gaya.. Uske nikalte hi Sanju... “Boss mujhe ye rescue mission lead karne do please”..

Som:- Absolutely not... Tumhari saza abhi khatm nahi hui hai. By the way maine kuch puchha tumse..

Sanju:- Wo dono drug dealer marne hi aaye the. Riaz ko bachane me un drugs dealer ko marne wala dono shooters bhag gaya...

Som:- Any identification...

Sanju:- Highly trained... Local mafia ke pass aise trained shooters nahi hote. Ye kisi highly organized group ke shooters the..

Som:- Tumhare hisab se unki planning kya thi..

Sanju:- Wo log dono drug dealer ko maar’kar Riaz ko ghayal karne wale the.

Som:- Tumhe kaise pata?

Sanju:- Point blank par shoot karne wale upper body target kyun lega? Wo bhi right side jahan koi vital organ nahi... Mere hisab se wo jo bhi the Riaz ko achhe se fasane aaye the. Drug dealing, murder... Kam se kam umr kaid ya fir faansi..

Som:- Aur iss Riaz ka kya scene hai. Kya pata kiya tum dono ne?..

Sanju:- Mujhe nahi pata boss. Kafi ajib hai ye ladka...

Som:- Jaise ki..

Sanju:- Bolta kuch aur hai.. action kuch aur hote hain... Dikhne me lagta hai ki ye apne hi doston ko fasa raha hai lekin aisa lag raha hai jaise kisi unknown group aur apne friends circle ke bich ye akela khada hai..

Som:- Iss conclusion ki vajah..

Sanju:- Ye aksar Sia par najar rakhta, lekin ek bhi video ya sanp capture nahi kiya. Har uss jagah par pahle pahuncha rahta jahan Sia ya iske dost kisi se ulajh rahe hote... Aur un logon ke ulajhne se pahle hi ye apne doston se ulajh jata... Ye janta tha ki iske dost ab isse like nahi karte, fir bhi unke sath chipka rahata... Aisa lag raha hai jaise apne doston se jhagda matr ye kisi teesre ko sunane ke liye karta hai..

Som:- Hmmm !!! Kafi uljhi paheli hai... Tumhari baat yadi satyapit karni ho to...

Sanju:- Ek tarika hai... Uske pass pen aur paper ke sath chalte hain..

Som:- To fir chalo..

Som uss andhere hall me pahuncha jahan Riaz ko bandha gaya tha.... “Abe smarat tilvish ke fan, ye kaun se andher nagri me mujhe patak diye. Abe koi kuch to bolo”..

Wahan ki light jal gayi. Riaz ke samne Som aur Sanju khade the. Riaz, Sanju ko dekhte... “Abe chitiye tu hai kaun aur tere 2 sathi un 2 lukkhon (drug dealer) ko maarne ke baad mujhe kyun niptana chahte the”...

Tabhi ek jordar punch para aur Riaz dard se chhatpata gaya. Uska muh baandh’kar ek chair par bithaya gaya aur samne table par Sanju ne pen aur paper rakh diya. Riaz jhatpat pen uthate likhna shuru kiya...

Likhne ke baad wo “unnnn-unnn” karte najron ke ishare se paper uthane kah raha tha. Sanju uss paper ko uthaya... “Koi mujhe dekh aur sun sakta hai”...

Som isharon me Sanju ko samjha diya aur Sanju bhi waise hi karne laga... Ek fake puchh tachh... Som jab tak ek computer master ke pass pahuncha...

Som:- Aakash ek insan par kaise lagatar najar banaye rakh sakte hai..

Aakash:- Sir settelite, drone..

Som:- Tum ye Hollywood aur Fbi agents ki movie dekhna band karoge Aakash.. Ek samany se insan par kaise najar rakh sakte hain?

Aakash:- Simple uske phone hack kar lo... 24 ghante audio-video milta rahega... Aaj kal to log sandas me bhi phone le’kar jate hain boss...

Som:- Perfect... To kya tum uss hacker ka pata laga sakte ho.

Aakash:- Aap ko boss kisne bana diya. Main yadi phone se chhed-chhad karunga to hackers ki pata chal jayega... Fir yadi wo alert ho gaye tab parinam kuch bhi ho sakte hain..

Som:- Thanks Aakash..

Aakash:- Boss khush ho gaye ho to 1 week ki chutti de do...

Som:- No...

Aakash:- Boss ye to baimani hai. Iss department ke sabhi employee ko kabhi-kabhi kaam par aana padta hai aur ek main hun jise bandhua majdoor banaye ho...

Som:- Aakash tum technical department me ho..

Aakash:- Jao boss.. Main samjh gaya..

Som:- Tumhe kaha tha na apne jaisa 10 logon ko dhundh’kar ek team bana lo...

Aakash:- Aap bhi Hollywood movie dekhna chhod do, jahan Ethical Hacker chutki bajate mil jaye..

Som:- Thik hai nirash kyun hote ho. Maine dusri agency se madad maangi hai...

Aakash:- Haan 2 sal se sun raha hun.

Som:- Aakash abhi mera waqt nahi lo. Jaldi se kaam par lag jao...

Aakash:- Boss phone kahan hai..

Som:- Hum jab kisi ko kidnapped karte hain to uska phone sath le’kar aate hain kya?

Aakash:- I am telling you boss, this boy is genius..

Som:- Kaun..

Aakash:- Wahi jise aap yahan laye hain... Wo apne sath ek phone ander le’kar ghusa hai ..

Som:- How...

Aakash:- Ab ye to ussi se puchhna hoga na..

Som:- Aakash iska matlab uss phone ke gps se koi hume ab tak trace kar chuka hoga?

Aakash:- Kisi ne hack nahi kiya hoga uss phone ko.

Som:- Tumhe kaise pata wo phone hack nahi..

Aakash:- Boss jab aap jaise khoji log na dhundh paye..

Som:- Baaten band aur kaam chalu karo...

Aakash:- Uss ladke ka phone number to do...

Som ne Riaz ka number diys. Keyboard par kuch der ke khitir-pitir ke baad... “Boss ye mobile handset simple se phishing link se hack kiya gaya hai, jo kisi Nazma ne bheja tha”

Som:- Kya tum iss Nazma ko trace kar sakte ho...

Aakash:- Uska phone number se le’kar social account tak hai mere pass. Ye to 2 minute ka kaam hai..

Som:- Thik hai main tumhe ek mission assigned karta hun. Ek field team chuno aur iss Nazma ki poori kundli mujhe jald se jald chahiye..

Aakash:- Manglik hai ki nahi wo bhi check karna hai kya?

Som:- Kaam karo chup-chap. Aur mujhe nirash mat karna.

Aakash:- Yes boss...

Som wapas Riaz ke pass pahuncha... “Acting band karo dono. Iska phone hack kiya gaya tha. Haan Bhai Riaz ab bolna shuru kar, lekin bolne se pahle ye batao ki tumhara dusra phone kahan hai..”

Riaz:- Dusre phone ke bare me aapko kaise pata bade bhaiya..

Som:- Sawal ke upar sawal nahi. Sanju ab se ye aisa kare to iske har sawal par ek ungli tod dena. Haan bhai kahan hai phone.

Riaz apna paint niche utar kar, apne boxer ke bich me hath daal’kar phone bahar nikalte... “Ye raha dusra phone”... Phone dekh’kar Som aur Sanju dono ko ghin badhne lagi.. Screen ke dayen-bayen, upar-niche, har jagah baal hi baal the.

Sanju:- Abe isse kaan me laga’kar kaise baat karta hoga...

Riaz:- Muth maarne ke baad apna virus kisi ko Ganda lagta hai kya? Ye bhi aisa hi hai...

Som:- Ye on hai kya?

Riaz:- Nana bade bhaiya ye emergency me on karta hun warna chup-chap pada rahta hai. On raha phone aur galti se iski ghanti baj gayi... Fir to underworld me thu-thu ho jayega...

Som:- Hmmm !!! Ab bolna shuru karo..

Riaz:- Kya bolna hai wo to batao..

Som:- Ho rahi ghatnaon par tumhare vichar... Tumhe kaise pata ki koi Sia ke pichhe hai? Tumhare doston ke pichhe hai? Tumhe kaise pata ki koi tumhe dekh-sun sakta hai..

Riaz:- Sach kahun to mujhe in sabke bare me kuch bhi pata nahi. Bus ander se ek awaz aati hai na, kuch to ajib ho raha. Main bus ussi instinct ko follow kar raha tha.

Sanju:- Intresting... To tumne kya sab ajib dekha aur kya sab follow kiya...

Riaz:- Abhi jaise kuch din pahle ki baat hai, Wo Sia.. aree nahi.. Bade bhaiya main Sanju ko bata deta hun, aap jao..

"Haan Sia ko dil de baithe.. Yahan bahut se log pahle se diye baithe hain..." Fir Sanju apne Gaal par hath rakh’kar dhime se kaha.. “Aur kutton ki tarah pit bhi chuke hain”..

Riaz:- Khiii, khii, Khiii.. Ye bhi maar kha chuka hai...

Som:- Silent.. Riaz tum bejhijhak bolo..

Riaz:- Abhi kaise kahun.... Bade bhaiya kahoge to Sia ko bahan bana lunga... Chaho to tyohar bhi manaa lunga, bhaiya more rakhi ke bandhan ko nibhana.. lekin please mujhe pitna mat kyunki meri baton se misunderstanding ho sakti hai lekin college me milne ke baad Sia ko main Vyas aur Asif ki tarah dost hi samjhta hun..

Som, gardan hila’kar haami bharne laga. Riaz thoda rahat ka shwans lete.... “Sanju bhai pani milega kya?”

Ek glass pani pine ke baad Riaz ne bolna shuru kiya.… "Abhi jaise Vyas ne Sia ko propose kiya tha aur usne jhat se usse manaa kar diya... To mera Sia ko le'kar koi wo love wali feeling nahi thi, haan lekin wo hoti hai na ek girlfriend apni bhi ho... Aur Sia jaisi GF jiske pass ho wo to bilkul chaude me ghume"…

"Abhi main kayi baar socha ki Sia ko bolun jab tak uska koi BF nahi hota tab'tak wo mere sath kabhi-kabhi ghumne chale, taki main bhi shining maar sakun. Ek din maine ye batane ke liye Sia ko call kiya... Sia aayi bhi milne... Lekin hum jis park me the, wahan maine 2 aise chehre dekhe jise main pahle bhi ek-do baar kabhi college ke pass, to kabhi local bazar me dekh chuka tha"…

"Uss din Sia se maine koi baat nahi ki, bus idhar-udhar ke faltu sawal aur usne kya socha mere bare me wo to main nahi janta lekin wo kuch to mere bare me soch rahi thi" ...

"Khair mere dimag me kewal wo dono aadmi hi the. Main kuch din tak apne aas pass bade dhyan se dekhta... Ek din mere dimag ne kaha ki ek test kar'ke dekhte hain. Maine fir Sia ko call kiya. Iss baar wo mujhse nahi milna chahti thi, lekin bahut request ke baad wo mujhse milne aayi. Main uss din jab auto me baitha, tabhi se dhyan rakhe tha... Auto ke side mirror me wo dono mujhe fir se dikhe"…

"Maine turant fir ek aur plan kiya... chuki wo mujhse achhi duri bana'kar pichha kar rahe the, isliye main unhe chakma de'kar ulta unke pichhe gaya. Unke pichhe jane par pata chala ki wo log bhi exactly ussi park me pahunche the, jahan main Sia se milne wala tha. Haan wahan ek aur ghatna hui thi. Wo log apne mobile ki screen dekh'kar exactly ussi taraf dekhne lage, jahan main khada tha..."

"Main bhi wahin khada raha aur aisa dikhaya jaise main Sia ko dhundh raha hun. Uss din mujhe pata chala ki koi mujh par najar rakhe hai. Koi meri baat sun sakta hai. Meri location kahan hai, wo log jante hain. Main to dar gaya tha. Mujhe laga kisi ne meri body wo jasoosi wala transmeter dal diya hai, jo mera audio-video aur location batate rahta hai"

Riaz magan me apni baat kah raha tha, tabhi usse Som ne ek jhannatedar thappad de diya.… "Jemes bond ki movie dekh'kar theater ke ander hi bhul jao. Agli baar aam logon ki tarah aaklan karna ki koi kaise tum par najar rakh sakta hai.. Aage batao"…

Riaz:- Ji jaroor dhyan rakhunga. Khair wahan tak to kahani ka ek hissa tha. Ab maine next step shuru kiya. Asif se milne gaya tab wo dono mere pichhe nahi the... Tea party gange ke 30-40 ladkon se mila, wo log nahi the…"

"Vyas, Meera, Sia, Diksha di aur Bade bhaiya aapko jab-jab main mila, tab wo log mujhe dikh jate the. Main pareshan rahne laga. Kahun to kya kahun aur kis se kahun.. Wo log mujhe dekh rahe the, sun rahe the aur main janta tak nahi tha ki wo aisa kyun kar rahe hain"…

Sanju:- Ruko... Tum ye baat agar boss se ya apne friends me se kisi ek ko bata dete to hum sab mil'kar solution nikal lete. Tumhe itni pareshani to nahi jhelni padti...

Riaz:- Matter ye nahi tha ki mere dost kya sochte hain ya in sab jhamelon me main kitna pareshan ho sakta hun..... Aree wo mere dost hain, jab bhi unhe sach ka pata chalta apni soch par rote aur mujhse maafi bhi maangte... Lekin matter ye tha ki main nigrani rakh rahe logon ke irade nahi janta tha? Yadi main apne doston ko sab bata deta to kal ko Riaz ki jagah koi aur hota aur hum jin 2 log ko dhundh rahe hote wo kahin aur gayab rahte aur unki jagah koi aur le leta…"

Sanju, Som ke ore dekhte... "Boss ladka complete observation karta hai... Riaz fir tumhe uske maksad ke bare me pata chala ki nahi?"

Riaz:- Ye kafi complicated part hai...

Som:- Tumhe aisa kyun lag raha hai ki ye complicated part hai...

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Nice update bhai
 
The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
Update:-82(B)

Riaz:- "Bade bhaiya yahan agar un pichha karne walon ko X-Group maan lijiye to yahan ek Mishra family & Friends Group. Short me Sia group maan lete hain. Dusra X-GROUP aur teesri Kirti group hai… Ab aate hain iske complicated part par... Kirti group aur Sia group me samne se ladai hai. Samne ki ladai me Kirti group kisi bhi vidhi se Sia group se nahi jit sakti…"

"To Kirti group karegi kya?... Wo Sia group me se kisi aise ko todegi jo bewakoof, dilfek aur aasani se tootne wala dikhta ho, yani ki main. Aur Kirti group ne mujhe approch kiya. Fir unhone shuru kiya zahar dalne ka kaam. Pahla naam Huma tha, jise main pasand karta tha aur usne Vyas ko pasand kar liya aur Vyas ke khatir mujhe pichhe hatna pada, baad me Vyas bhi pichhe hat gaya..."

"Dusra naam Sia tha. Jiske bare me kaha gaya ki Vyas ki vajah se main usse parpose tak nahi kar raha... Waise yahan ruk-kar main ek baat bata dun, mujhe aur Sia ko dekh'kar kabhi koi nahi kah sakta ki mera koi affair type rujhan hai.... Lekin Kirti aur Sagar ne jo kaha wo meri un do mulakaton ka natija ho sakta tha, jo un X-Group wale ke samne hui thi..."

"Ab aage badhte hain. Sia ke mamle ke baad wo log pahunche Master sahab (Pandit ji, Vyas ke papa) ke coaching band hone ke matter par. Udhar bhi unhone mujhe Vyas ke khilaf bharkaya. Uske baad fir bade bhaiya ne jo Vyas aur Asif ko deal diya tha, wo makan kabje wali, uss matter me bharkaya... Kul mila'kar unke pass aise-aise matter the jinhe sun'kar mera bhadakna lajmi tha..."

"Yahan par mera instinct ne kaam kiya. Mujhe lag gaya ki bol Kirti rahi hai lekin bulwa X-Group wala raha hai. X-Group wale jaroor mujhse kuch chahta hai. Isliye khud samne se na bol'kar kisi aur se bulwa rahe hain... Ab itna bharkau baaten sun'ne ke baad, Kirti mujhse bharakne ki ummid lagaye baithi thi. So main unki ummidon par khada utra aur aisa bhadka ki Kirti Group kya X-GROUP walon ko bhi yakin ho chala tha ki ab main uska... Main apna kaam kar chuka aur bus intzar me tha."

"Mujhe 2 din ka intzar karna pada, uske baad pata chala inki ran'niti. Mujhe Sia ke bare me har detail pata karni thi ki parivar ke alawa uske karibi kaun-kaun hai. Yun to unhe bhi maloom tha ki Meera, Neerav, Asif, Vyas, Nisha.. aur bhi bahri log jinhe main nahi janta hun... Un sab se Sia ki acchi baten hoti hai. Lekin un achhi baaton ka level kya hai... Matlab Sia un logon ke liye kis had tak ja sakti hai ye pata karna tha... Taki in sab logon se Sia ko dur kar'ke, akela kiya jaye. "Jitna jyada karibi, unke tootne ka utna jyada dard..." Yahi baat kahi thi wo Kirti...

Sanju:- Haan to story simple hai, isme complication kahan...

Som:- Nahi story itni bhi simple nahi kyunki Kirti sach me Sia ke karibi ko uss se todna chah rahi thi, jabki Mr. X-GROUP ko ye pata lagana tha ki bahri kitne log Sia ke itne close hain ki jise khatre me dekh har sambhav kaam kare. Taki un logon ko kidnapped kar'ke, unki jaan ki dhamki de'kar Sia se kuch kaam nikal sake. Karibi ke jaan ka khatra hoga to Sia, Som se madad nahi maang payegi. Sia apne dad ko kuch nahi bata payegi.. Sia police me nahi ja payegi...

Riaz:- Haan mera bhi same openion tha...

Som:- Iss openion ki vajah…

Riaz:- Kirti ne sab kuch sahi kaha, uske emotion bhi orignal the, lekin wo jitni bhi baat boli, kisi dusre ke homework ko wo bol rahi thi. Ab mere liye kahani saaf ho chuki thi ki koi sala itna professional ho'kar ye saas bahu serial type apno se juda kar'ke Salaji Telifilm ke liye kahani to nahi banayenge… Lekin haan kidnapping ke liye itni homework jaroori hai ki kise uthane se apna kaam aasan hoga? Ek perfect aur easy target kaun hai?

Sanju:- Kyun bhai pahle kidnapper tha kya?

Riaz:- Kidnapper to nahi tha lekin bahut se criminal aur unke kaam karne ke tarike ko ladke chay ki dukan par discuss kar jate the. Bacpan se jinke kaam ka tarika sun raha hun usse samjhne me der lagegi kya? Haan lekin ek baat mere palle nahi pad rahi, jo log kidnapping ka plan banayenge... Iska matlab hai ki unhe Sia se kuch chahiye... Fir wo Sia ko kisi murder case me kyun fasayenge..

Som, Riaz ke baal ko pakad'kar sir gol ghumate... "Dimag par jor dalo, tumhe poori kahani samjh me aa jayegi"..

Riaz:- Nahi mujhe kuch samjh me nahi aaya? Main bahut baar soch chuka..

Som:- Haan janta hun... Aur ye bhi janta hun ki har baar tumne target Sia ko hi socha hoga, jiske dad desh ke surksha salahkaron me se ek hain... Jiski bahan ke pass arbo rupye hain... Jiske bhai ke pass bahut se contacts hai... Jiske muh'bole mata-pita ek jane mane hasti hai.. aur Sia par jaan chhidkane wale unke muhbole nanu aur mama itne bade political hasti ki Sia ke liye assembly tak me phoot daal de...

Riaz:- Ok... Matlab iss target ko to wo hathkadi bhi nahi pahna sakte.. aur ye baat X-GROUP ko bhi achhe se pata hogi. Tabhi to Sia ki jankari ke liye unhe aise logon ki jaroorat thi jo Sia ke karib hai. Wo log khud se Sis par najar bhi nahi rakh sakte the. Wo Sia ke pichhe nahi ja sakte the isliye mere pichhe aaye. Kirti ke pichhe gaye... Ya Allah… wo sale mujhe murder case me fasane wale the…

Som:- Ab jarra karan batao iss soch ki...

Riaz:- Sia ko fasa nahi sakte the.. Diksha di ko fasa nahi sakte the... Tabhi mere kaan me baat dali gayi ki room number 211 me kuch ho raha hai, jise Diksha nam ki kisi mahila ne book kiya, police bhi aati hi hogi... Sale harami.. wo waiter nahi tha iska matlab.. jo mere samne ye baaten kar raha tha...

Som:- Ab jarra bade gaur se socho to tumhe fasane ki vajah bhi samjh me aa jayegi...

Riaz:- Haan wo main samajh gaya. Meri bewakoofi ne X-Group walon ko sochne par majboor kiya ki main unke raste ka kaanta hun aur mujhe kisi sajis ki bhanak lag chuki hai..

Sanju:- Ye kaise socha tumne...

Riaz:- Ye akl se paidal hai kya bade bhaiya.… Ek criminal nahi samjhega ki kaun usse target se dur kar raha... Ek baar ho to iteffaq mante hai.. Baar baar ho to Sochi samjhi chaal. Aur main bhi baar-baar wahi kar raha tha. Kirti jisko bhi Sia ke karibi manti, main un sab ko bhadka'kar Sia se dur kar raha tha…

Som:- Galat... Poora sach batao...

Riaz:- Fine.. batata hun... Target Vyas tha.. jise main safe kar raha tha... Target Meera thi, jise main uljhaye rakha tha... Bus yahi 2 target the...

Som:- Perfect analysis… Waise ye Nazma kaun hai...

Riaz:- Meri phone wali girlfriend..

Som:- Ussi ne tumhara phone hack karwaya.. jis vajah se tumhari pal-pal ki khabar unhe thi... .

Riaz:- Fir to bade bhaiya aap lag gaye honge X-GROUP ke pichhe... Waise ek baat main add kar dun, kyunki X-Group ki kuch picture ab saaf ho rahi hai...

Som:- Kya???

Riaz:- Mahira… Humare sath padhti hai.. Achanak se usse hum 3 doston me ruchi ho gayi aur ussi ne mujhe Nazma ka contact diya tha... Ek din me hi Nazma itni close ho gayi ki agli raat main uss se baat nahi kiya to Mahira mujhse ladne aayi thi...

Som:- Ye to bahut badi break hai... Sanju iski mehnat aur sujh-bujh ke liye iska bank aur Neta Makhan Lal Chaturvedi ka karja utar do...

Riaz:- Kya baat hai bade bhaiya... Aap to kafi dildar nikle... Lekin sorry, sala ye paisa maine accept kiya na, to umr bhar akhdega ki dost ko safe karne ke badle me paise liye... Haan mere kaam se khush hain to mujhe bhi wo Indian Motorcycle wali bike gift kar do jo Asif ko kiye the. Aur Vyas ko bhi... Apne group me khali Asif ke pass hai...

Som:- Sanju 3 bike book karwao. Mujhe bhi pasand hai wo bike...

Sanju:- Ok boss... Ab iska kya kare...

Riaz:- Karna kya hai, mujhe chhodo aur ek naya phone dilao… Mera naya-taza liya phone to fek diye raste me...

Som:- Hath paun bandh do... Ye abhi kuch din mehman hai... Aaj ka kaam pahle khatm karte hain fir isse dekhte hain...

Riaz:- Are bade bhaiya, iss andhere kothri me mat bandho please... Main kahin nahi jaunga bus mujhe ek room de do, jisme smart tv aur wifi connection ho. Main janta hun ye wahi building hai jisme Meera aayi thi...

Sanju:- Ye bahut shatir hai... Goli maar dun kya isse...

Riaz:- Lagta hai bada sa muh khul gaya...

Som:- Isse 3rd floor par shift kar do... Aur Riaz yahan IPs, Police aur Players rahte hain... Kisi se bhi baat mat karna...

Sanju:- 3rd floor par hoga to kis'se baat karega…

Riaz:- Bade bhaiya iski jagah mujhe rakh lo... Ye kisi kaam ka nahi... Bhai tum ab bhi nahi samjhe... Bade bhaiya jante hain ki main yahan se bahar nahi jaunga lekin iss jagah ko explore karunga.

Sanju:- Meri naukri khayega ye... Boss..

Som:- Main ja raha hun.. Riaz ki nigrani tunhare jinme hai... Isse rokna tumhara kaam hai...

Raat ke takriban 10 baje Som wahan se Lucknow Air Station, IIRF office nikal gaya, jahan Vikram Singh apne team ke sath ready tha.… Som ke pahunchte hi Lucknow Air Station se ek viman taiyar kiya jane laga... Sabhi jaroori ammunition ke sath equipment load ho chuke the. Double re-check karne ke baad, Som, Vikram sing ke sath viman tak ek walk lete...

Som:- Vikram ummid hai tumne on field planning kar li hogi..

Vikram:- Yes boss...

Som:- Risky mission hai isliye Sanju ki tarah tum koi bewakoofi mat karna. 2 back-up team yahan stand by me hai... Yadi khud ko trapped mehsus karo to wahan...

Vikram bich me baat kaat'te... "Haan samajh gaya boss. Trape hua to wahan hero nahi banuga. Khud ko surrender kar dunga aur ek team kis raste se aa rahi hai wo information de dunga… Kya mujhse kuch rah gaya...

Som:- Wahan fase Raw agents aur 11 log tumhari jimmedari hai… Sabke sath tum bhi mujhe Tuesday evening tak yahan report karoge... Am I clear...

Vikram Singh:- Yes boss...

"Chalo jao, jao.. aur IIRF ka naam raushan karna"….. Som ke najron ke samne se Viman, Afganistan terretory ke liye nikali. Unke jate hi Som working office me pahuncha aur screen par najre jama'kar apna kaam karne laga.

Sanivar ki Raat 2 baje tak Som road map, root plan, entry to exit points aur back up plans ki detail, Vikram Singh ko bhej kar sone chala gaya... Night shift kar rahe sabhi staff ko shakt hidayat thi ki kuch gadbad dikhe to usse turant inform kiya jaye. Nahi to morning shift wale staff usse 11 baje subah tak utha de...

Ravivar ki subah 11.30 baje tak Som ek baar fir opreting hall me tha. Computer operator se mission ki poori jaankari lene ke baad, Som commanding seat par baitha... Wahin Vishal Singh apni team ke sath Jalalabad, Afganistan ki terretory me sanivar ki der raat lagbhag 2 baje land kiya tha. Wahan se lagbhag 350 km ki duri tay kar'ke unhe Islamabad pahunchna tha.

Border cross kar'ke wo sabhi Peshawar ke raste Islamabad ja rahe the. 20 malvahak truk par IIRF ke 12 Officers subah ke 10 baje tak Islamabad safe house tak pahunch chuke the. Ravivar ki subah 11.30 baje tak Officer Vishal Singh aur Som aamne samne the...

Som:- Everything seems fine...

Vishal:- Yes boss... Hum log target se 6 kilometre ki duri par hain. Yahan ke khabri ke sath Roy investigation ke liye niklega. Sab kuch sahi raha to 2 hour par mission shuru karenge...

Som:- Vishal, take proper rest. Investigation ke liye unhe sham me bhejna. Humare pass abhi 2 din hai.

Vishal:- Yep, got the point boss. Aur kuch humare liye order...

Som:- Abhi rest karo. Evening me aaram se baat karte hain...

Som, Vishal se baat karne ke baad Charanjeet ko bulaya... Lekin Charanjeet ke pichhe-pichhe Sanju bhi chala aaya..

Som:- Sanju tum Air Station me kya kar rahe ho? Tumhe to City office me hona chahiye tha na...

Sanju:- Sir wo.. wo.. Riaz..

Som:- Sanju ab ye mat kahna ki wo IIRF ki building me kahin gum gaya?

Sanju:- Maine sare cctv footage check kar liye... Wo gayab ho gaya hai?

Som:- Sanju mujhe tumhara dimagi santulan thik nahi lag raha... Charnjeet, Neha se kaho ek unfit letter taiyar karne. Sanju ko tab'tak wapas nahi rakha ja sakta jab'tak ki wo mentally fit certificate na le aaye...

Sanju:- Boss...

Som:- Kya boss... Ek ladka IIRF ki building me gum gaya. Kya hota agar koi reporter uss building me ghus jata. Buiding ki security ko aur pukhta karna hoga. Waise Riaz wind pipe me kahin ghusa hoga..

Sanju:- Haaannn... Haannn.. Haannn... Thankyou boss... Main abhi jata hun...

Som:- Nana, tum sidha jao phychiatrist ke pass...

Sanju:- Boss ek field staff ko 9 mahine se bitha'kar office ke faltu kaam karwaoge to yahi hoga na... Boss please 1 chance de do... Mera dimagi santulan sab sahi ho jayega...

Som:- Fine... Halla mat karo... Riaz ko abhi building me rahne do. Charanjeet, dono stand by team ko Islamabad ke liye rawana kar do. Mujhe ye team 00 hour se pahle Islamabad me chahiye..

Charanjeet:- Isse lead kaun kar raha hai boss..

Som:- Mr. Sanjay Vaghela..

Sanju:- What... Thank you, thank you, thank you so much sir.…

Som:- Sanju, don't let me down again..

Sanju:- Abhi mera kaam bolega sir, main nahi...

Som:- Thik hai Sanju, Charnjeet isse sari detail de do... Aur sabko jane ke liye ready karo...

Som sab kuch samjha'kar fir se ek baar poora plan check kiya. Som apne commandig office me tha jab uske pass 2 I'ds pahunchi. Jisme se ek uske dad aur dusra uske boss ka tha. Som apne dad se khud milne gaya aur wahan se sabhi commanding hall me chale aaye...

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Awesome update bhai waiting for next update
 
Top