-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Bohot badiya updateUpdate:-20
Diksha ki Maa Lata Mishra ander apni bhavnayen samete hansti hui aage nikli. Som ke sath kadam se kadam milati Diksha chali. Dono apni chhoti ungli fansaye huye dhime-dhime chal rahe the. Diksha apne ek jivan ki dahlij paar karne se le kar dusre jivan me praves karne ka safar apne sab se pyare dost ke sath, kadam se kadam mila kar tay kar rahi thi...
Jaise hi darvaje se bahar nikle, 4 rishtedar char kone se chunni ki chhat banaye sath chal rahe the.
Jugnu iss mauke ke liye, doli-kahar, modern entry chhote rikshaw se, aur bhi 20 tarah ke ideas diye the. Lata Mishra ne sabhi idea ko kharij karti hui simple le jane ke plan karne kahi. Unka kahna tha Diskha ko to uski dahlij se bahar Som hi le kar aayega uske naye jivan ke mandap tak.
Itne sajo-sajja aur tarah-tarah ke bharkile log apni klaa tab na dikhaye jab Diksha apne kadam shadi ke liye badha rahi ho. Uss waqt har kisi ki najar kewal dulhe aur dulhan par rahe. Hua bhi wahi. Lawn me takriban 600 guest baithe huye the. Sabhi ki najar uss chunni kee chhat ke niche thi, jahan Diksha aadhi ghunghat me thi aur log ki najren khinch rahi thi.
Photographers "khich-khich-khich" click par click kiye ja rahe the. Kuchh utsahit ladke-ladkiyan kafile ko rok kar ek selfie lene ki kosis kar rahe the. Haan lekin unhe bhi thodi mehnat karni padi thi kyonki selfie to le sakte the lekin chalte-chalte.
Waise social profile par picture ki gallary lagane walon ke pass kamal ki taknik to thi tasveer khinchne ki. Kafila kise ke liye nahi ruka siway madam ke, jiski awaj par hi kafila ruk gaya. Jaise hi kafila ruka Diksha dhime se jhuk kar madam ke dono paun chhu kar aashirwad lee.
Madam bhi dono hath se aashirwad deti chunni ke niche aakar jaise hi dono ko dekhi. Aankhon se unke bhi aanshu the.… "Dono dil me utar rahe ho. Lagta hai mujhe apne fb wall par photoshop karwana hoga.. agar allowed karo to 2-3 selfie le lun"
Diksha:- Aap aise puchhogi to main aage nahi ja paungi yahin baith kar rone lagungi...
Diksha apni baat kahti dono hath failate… "Aaj apne sweetie ko gale nahi lagaogi maa"
Madam gale lagti... "Bahut pyari lag rahi ho Diksha. Khush rahna aur aa kar milte rahna. Ab main retire ho gayi hun. Kayi salon se koi tour par nahi gayi. Ek tour plan karungi, waqt ho to aa jana. Som tum Diskha ko chhod kar aao, kuchh baat karni hai"..
Jab tak madam khadi thi Diksha, Som ke hath ko kas kar thami rahi. Shayad khud ke aanshu ko rokne ki kosis kar rahi thi lekin ye aanshu the ki rukte hi nahi the.
Kafila aage badha… "Aanshu pochh le rotlu. Kitna roti hai"
Diksha:- Sorry wo apne aap aa gaye...
Som:- Dhyan Pranshu par laga… my best suggestion.. yahan se tu kuchh nahi khone wali hai. Na to Mishrayan aur Mishra ji ko. Na hi Som ko. Na hi Sia ko. Na hi madam ko aur na hi kisi anya ko. Lekin jiske sath umr bhar rahna hai, uske sath bandhne ki jo excitment hai. Wo tu ektarafa feeling ke jhukav se maar rahi hai. Ye din tum dono ke jivan me dobara nahi aayega. Haan lekin bhavuk ho kar jitne baar rona chahti hai, wo kabhi bhi ro sakti hai. Chal ab hans.
Diksha:- Ek peg pilayega to excitement me Pranshu ke sath nachungi bhi.
Som:- Pranshu tak teri feeling pahunch jayegi. Lekin tera dress jutha na hoga. Tujhe to shadi hone tak pani bhi pine na denge…
Diksha:- Haan to usse dance karna hoga to sare terms and conditions ko follow karega. Waise bhi main ladki hun iss tarah ki tikrambaji nahi kar sakti.
Stage ki sidhiyan dono chadhne lage. Pranshu pahle se wahan pahuncha hua tha. Uske dost, bhai, bahan sab usse ghere huye the. Diksha ke pahla kadam jaise hi sidhiyon par pade, charo ore se fulon ki barish hone lagi. Issi bich Diksha ko Pranshu ki pahli jhalak mili. Bilkul hi dhimi awaj me.… "Hayyyy killer look me aaya hai ye bhi. Main flat ho gayi"
Som:- Control, bhul mat tu dulhan hai...
Diksha:- Haan so to hai. Tum T&C samjha dena. I wanna dance with him.
Som:- Thik hai. Ab main yahan se jaunga. Tu stage sambhal.
Diksha:- Please tu rah na mere sath…
Som:- Yaad hain na... Chhote Som aur aur Chhoti Diksha ko bada hona padega taki chhota Som aur Chhoti Diksha kabhi gayab na ho..
Diksha:- Love you Som.. you are right. Ja tu enjoy kar... Meri shadi hai iss khushi me 4-5 peg laga aur haan jhagda mat karna…
Som:- Love you too... Tu yaad rakhna dulhan hai..
Pranshu:- Main bhi ander aa kar sunu dono kya meeting kar rahe.….
Pranshu bol hi raha tha tabhi upar ki chhat hat gayi. Som apna sar jhukaye Diksha ko uski jagah tak le kar aaya. Diksha Som ke hath ko achanak hi bhinch lee aur fir apna panja khol di. Som ruka nahi aur teji se sar jhuka kar hi nikla. Diksha bhi apne hath ke rumal ko apne chehre tak le gayi.
Pranshu, wo to Diksha ke aadhe ghunghat ke pahle look me hi bolte-bolte aisa khoya ki uski bolti hi band thi. Wahan maujood har koi Diksha ke pahle look ke sath hi bus khinche chale gaye aur photo khinchne ki hor si lagi hui thi. Pranshu ke bhai-bahan usse hosh me late huye pass wali chair par bithaya.
Jaise hi Pranshu ko dhyan aaya, wo khoye aalam se bahar aaya aur thoda sa kinare ho kar dhime se kahne laga, "Main to tumhe dekh kar hi kho gaya. Tum kamal lag rahi ho Diksha"
Pranshu samne dekhte huye apni baat dhime se 2-3 baar kahta raha lekin Diksha ke ore se koi pratikriya nahi aayi. Pranshu jab najren tirchhi kar ke dekha to usse pata chal gaya ki Diksha ghunghat ki aad me subak rahi hai.
Pranshu chair ke hand rest ke upar hath rakh'kar, Diksha ke mehndi rache khubsurat haath ko tham kar apni pancho ungliya uski ungliyon me fansa'kar dhime se kahne laga.… "Tum roti kyon ho. Ruko Som ko bula deta hun"
Disksha, Paranshu ke hath ko bhinchti... Kalai ko na ke ishare ne hila dee. Pranshu ishare samjhte fir se kaha... "Tumhara rona achha nahi lag raha"
Diksha hath ke upar apna dusra hath rakhti Pranshu ko saaf sanket de dee nahi wo thik hai. Idhar Som apna sar jhukaye sidha washroom pahuncha aur apne chehre par pani marne laga. Chehra saaf kar ke Som bahar nikla.
Uski najar Jugnu ko dhundhne lagi. Jugnu bhi stage par hi thi. Som, Diksha ke mobile se usse call kiya. Diksha ka call dekh kar Jugnu thodi hairan hoti niche ghutno par baithi aur ghunghat ke niche se puchhne lagi... "Bhabhi aap ka call aa raha hai"
Diksha:- Som hoga, mera mobile ussi ke pass hai.
Jugnu thodi hairan thi. Call pick ki to Som usse thik pichhe niche aane ke liye bola. Jugnu jab pichhe mudi tab wo bhi pahli baar Som ko dhyan se dekh rahi thi. Jugnu uske karib pahunchti.… "Sir, kafi dashing lag rahe ho, jarra najren charo ore bhi dal lo, kayi deewani dil liye ghum rahi hai"…
Som:- Jugnu leave this. Ek chhota sa favour karogi..
Jugnu:- Order karen sir..
Som ne Jugnu ko sare T&C samjha diya. Diksha ko nacahne ka tarika bata kar wahan se chala gaya. Jaise hi Som ke kadam resort ke west side pool area ke ore badhe wo khud me hi hasne laga. Haan ummid jaisa kiya tha bilkul waisa nahi tha lekin mahol tha.
Mishra ji apne 3 samdhiyon ke sath baithak laga rahe the. Jisme Pranshu ke papa aur uske 2 chachere bhai the. Som jitne tej pahuncha tha, bhid dekh kar uss se bhi tej apna rasta moda lekin tab tak Mishra ji dekh chuke the.… "Oye lafantus kidhar?"..
Som bina jawab diye nikalne ki kosis me tha lekin tabhi Mishra ji fir chillaye.… "Haan main bhi faltu hi hun na. Ek Diksha se tu poori baat nahi kar sakta. Dusre ko tu kyon tokega"…
Som pichhe muda aur hath ke ishare se hi... "Kya hai"… Mishra ji bhi usse isharon me hi bulane lage. Dono ka khel dekh kar Pranshu ke papa Veraji Jadeja... "Kya bhai nahi aayega kya? Soch le tera mere yahan aana paratibandhit kar dunga"
Som ko majbooran aana pada. Mishra ji apne pass bitha kar Som ke ore glass badhate… "Kyon muh utra hai. Le le ab"
Viraji:- Tu karta kya hai?
Som apna peg uthate... "Freelancer hun"
Viraji:- Freelancer kya hota hai..
Harindr:- Kisi kaam ke...
Viraji:- Wo kaam karta hai na Harindr to usse bolne de.
Som:- Self-employed hote hain. Hume kisi company ya group dwara kaam offer kiya jata hai. Apna kaam kiye aur paise liye.
Viraji:- Aur kisi ne kaam nahi diya to berojgari… ha ha ha..
Som:- Haan kah sakte hain…
Viraji:- Aise berojgar ladke ka naam apni bacchi ke sath joda ja raha tha. Harinadr yahan se hum uss scientist ke yahan chalenge. Mujhe wo ladka pasand aaya.
Harindr:- Haan din dekh kar chalte hain..
Viraji:- Tujhe kaam na mile to humari company hai join kar lena. Waise padha kitna hai.
Som:- PhD in linguistics...
Mishra ji:- Oh ho Dr Som. Tune bataya nahi.
Viraji:- Managment ka cource hai kya?
Mishra ji:- Nahi ye...
Viraji:- Aree usse bolne dijiye, padhai to usne kiya hai na.
Som:- Nahi Jadeja sahab ye management ki padhai nahi hai. Bhasha ke bare me padhai ki jati hai.
Viraji:- Oh translator hai...
Som, Kapendra Mishra ko ishare kiya. Mishra ji samajh gaye... Som ko ek aur peg offer karte… "ye khinch aur ja ander ka kaam dekh"
Viraji:- Aree ander ka kaam to kramchari dekh rahe hain. Usse meri beti itne paise kyon deti hai, ghar walon ko kaam karne ke liye kya? Sab enjoy karenge… ..
Som apna peg khinchte... "Aap log aaram se lijiye main jata hun"
Som apni baat kah kar peg khincha aur wahan se jane laga. Tabhi, Pranshu ke papa Viraji... "Suno ladke"
Som:- Haan ..
Viraji:- Kafi achhe dikh rahe ho. Uss se bhi achha tumhara attitude hai, (Jugnu ke phone call ki ghatna, jab usne Som ko propose kiya tha usse dhyan me rakh kar) jise dekh kar main sukoon me hun. Warna majboori me hume bacchon ke pyar ka dushman ban'na padta.
Som dhanywad kahta mud gaya. Uske pichhe Mishra ji nikle apne samdhiyon ko kahte, kuchh jaroori baat karni hai... "Som sun to"..
Som:- Chilla kyon rahe ho, muh fula kar ya naraj ho kar thode na ja raha hun…
Kapendra:- Nahi mujhe laga ki kahin tujhe ye na lage Diksha kin logon ke ghar ja rahi hai…
Som:- Main Mishra ji ko janta hun. Right Mishra ji. Aur Mishra ji Diksha ke liye kabhi koi galat faisla nahi le sakte. Isliye chill...
Kapendra:- Nahi Pranshu ke papa ko sun'ne ke baad dil thoda ghabra raha hai...
Som, Kapendra ka hath apne sine par rakhta... "Aap ka dil idhar hai. Aur jante hain ye dil kya kah raha hai?
Kapendra:- Kya?
Som:- Jab tak Som jinda hai, aapki har galti ko wo sahi kar dega. Chinta chhod dijiye. Abhi Gajendra Mishra ki beti Lata Mishra ko inke bich bitha dun na to sab ki ghighi chhutne lagegi... Aap na apne samdhiyana walon ke sath raha karo na tab Mishrayan ji ko sath le'kar raha karo..
Kapendra:- Haan samjh gaya. Waise ek baat to sach hai ki tu bhi aaj bada lag raha hai... Ye pakad, apne bike ki chabhi..
Som:- Sab aaj hi kar lo mujhe jane hi mat do. Khud to yahan ho aur mujhe bhi pakde raho.
Kapendra:- Nahi wo baat nahi hai, main bus...
Som:- Bus Mishra ji bahane band kijiye ki beti ko dur jate dekha na jayega.… Rona aa raha hai…. Ja kar shadi me samil ho jaeye. Warna ye raat gayi na to kosoge khud ko. Kaisa lagega Diskha ko jab shadi ki tasveer me aap uske sath raho hi na. Main ja raha hun sabha khatm kar ke jaldi aao. Jyada hi-fi logon ke bich baith kar naya-naya culture ko sikhne ki kosis na karo to hi achha hoga… ja raha hun.. ..
Som apni baat kahte huye chala lawn ke ore. Charo taraf ka mahol kafi achha lag raha tha. Som stage par ek najar diya jahan Diksha sab ke bich baithi thi. Kuchh ladki paksh ke log stage par the to kuchh ladke paksh ke.
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Mind-blowing updateUpdate:-21
Diksha ki ghunghat ab abhi uska aadha chehra dhake hui thi. Wo shayad sar utha kar dekh na pa rahi ho lekin Som janta tha ki Diksha ki najren usse hi dhundh rahi hogi. Issi bich karykarm shuru hone laga. Ladka aur ladki dono aamne samne the.
Som bhi stage par pahunch gaya. Som ko apne pass mehsus kar Diksha uska hath tham kar apne karib le aayi… "Kahan tha"
Som:- Kya hua so..
Diksha:- Kuchh nahi. Madam se mila.
Som:- Ohhh, bhul gaya. Varmala daal fir main chalun...
"Are Som sir, kuchh log aap ko pukar rahe aur aap hai ki dhyan hi nahi de rahe"… Mayank ne kaha
Som:- Mayank tum to boarding me nahi the na fir ye sir kyon kah rahe...
Mayank:- Ab Jugnu didi humari leader hai na. Unhone jo kah diya so humne follow kar liya..
Som:- Ji sir samajh gaya... Waise Jugnu kahin dikh nahi rahi..
Mayank:- Kisi VIP guest ko attend karne gayi hai. Unka request tha ki jab tak wo rahen Jugnu didi unke sath rahe...
Som:- Thik hai.. waise bhai utaar de Pranshu ko. Kahan Diksha varmala dalne ke liye 8 fit kudegi...
Mayank:- Ab har kisi par mera jod chalta fir kya baat thi... Aap hi request kar lo..
Tabhi Diksha Som ko thuski deti... "Duffer mujhe upar utha na. Har baat main hi sikha rahi hun"…
5 minute tak stage par kautuhal aur hooting ka mahol chalta raha. Wahan har koi bahut kuchh notice bhi kar raha tha siway Som ke. Kyonki uss stage par kitne log the aur kis-kis paksh ke ye to Som bhi nahi janta tha.
Baharhaal Som ne Diskha ko upar uthaya aur ussi ke sath taliyan bajne lagi. Dono ke gale me varmala padte hi Som wahan se niche aaya aur madam se milne chal diya.
Madam ab bhi wahin baithi hui thi jahan wo mili thi. Haan lekin jahan madam ho wahan log na ho aisa ho sakta tha kya? Log khade ho kar madam se baten kar rahe the. Som bhi uss bhid ke pichhe samil ho gaya.
Tabhi madam ne samay dekha aur sab ko wahan se jane ke liye bolne lagi. Bhid jaise hi chhati Som madam ke najron ke samne tha.… "Mujhe to laga announce karna hoga. Stage se to kab ka utar kar gaya tha."
Som:- Najar kamjor nahi hui kya?
Madam:- Chal mujhe drop kar de.
Som:- Gadi to Jugnu ke pass hogi aur wo kisi guest ko attend karne gayi hai.
Madam:- Jugad laga. Mujhe abhi jana hai lekin uss se pahle jara tujhe dekh lun. Bahut pyara lag raha hai.
Som:- Thanks madam
"Aa idhar aa" kahti hui madam khadi ho gayi. Som madam ke gale lagte apni aakhen mund liya. "Hum dono (Som aur Sia) aap ke ideal hai" .. Som ne gale lag kar khote huye dhime se kaha.
"Sab ke samne boli na, fir bhi tujhe shak ho raha hai. Haan lekin wo touchy moment tha jab main Diksha ke sath tasveer le rahi thi. I want that pics too on my wall. Jugnu ko nahi bolungi usse bura lag jayega"
"Koi nahi Sia kar degi. Thanks a lot madam. Kabhi kisi mehfil me aaj tak koi naam nahi liya gaya. First time jab aap ne itne logon ke bich bola na. Its feeling like... Yep I am something."
"Som ek baat bata, main itna bhai-bahan se mili hun. How could you manage or trained your sister"… Som ki baat sun kar madam shayad uss par pratikriya nahi dena chahti thi isliye topic change kar dee.
"Main samjha nahi madam"
"Ya fir batana nahi chahta"
"She loves me a lot madam, aur kya kah sakta hun"
"Haan so to hai. Sia ke PhD class ki jab chhutti ho to uske sath aana. Tumhare official pata hone se main bahut khush hun. Achha sun ab main retire ho gayi hun to mere pass bahut waqt hoga faltu ki bakwas karne ke liye"
"Main, Sia aur Diksha teeno confrence par roj aap ki bakwas sunege madam aur hum sab bhi bakwas karenge."
"Mera baccha. Log kitne bharm me hain, Som baat nahi karta. Sia hamesa formal rahti hai. Koi mujh se puchhe kitni baaten karta hai"..
"Jane do madam. Curious log hote hain. Unke jaise common harkaten na karo to unke ander jigyasa jaag jati hai dusron ke personal life me ghusne ki. Jo main karta hun wahi to duniya ke log karte hain. Anjano ko avoid aur apno ke pass waqt bitana"
"Haan lekin baat karna ya na karna thode na issue hai, tere aur Sia ke sath. Bus tum log apne charo ore baat karne wale logon ko nahi jodte. Dusre aise nahi karte."
Bade se lawn me shadi ka poora arrangements tha. Bich se 8 fit ke raste par cham chamata red carpet bichha hua tha aur dono kinaro se sitting arrangements thi. Madam aur Som dono raste ke kinare ek dusre se gale lage huye the. Dono aanken munde ek dusre me lagbhag khoye se baat kar rahe the.
Madam ke liye bhi ye pahla mauka tha jab usne Som ko taiyar ho kar pahli baar samne khada dekhi thi. Som ke liye madam ke dil me bhi dher sari bhavnayen thi aur wo gale lag kar apni bhavnao ko sukoon de rahi thi. Thik waisi hi haalat Som ki bhi thi.
Madam, Som ke gaal ko chumti, "Aa jaa, iss moment ko capture karte hain"
Som, madam se alag hua. Dono satge ke ore hi dekhe pahle, jahan Diksha aur Pranshu hanth jode khade the. Diksha itni pyari lag rahi thi ki madam aur Som dono ussi ko dekhne lage... "Som Diksha aadhe chehre me kahar dha rahi hai na"
"Madam aaj wo itni pyari lag rahi thi ki kya kahun. Maine kayi pics click kiye"
"Aree wahhh ladke, naya coat, naya paint, nayi boot, naya mobile. Sab chakachak hai"... Madam Som ka mobile dekhti hui uski khinchai ki..
"Areee yaar, ye ladke paksh wale bhi na. Bechari ke ghunghat ke pichhe pade hai"..
"Bewakoof hain sabhi. Daughter of Lata Mishra kabhi apni maa ke kahi un baat ko kaat sakti hai kya jise wo khushi se aur bina pareshani ke kar sake"..
"Madam ulte ho jate hain. Selfie me Diksha ko bhi capture karenge."
"Good idea."
Dono stage ke opposite face kar rahe the. Tabhi madam ki najar charo ore gayi.… "Som lagta hai tera idea viral ho gaya. Poori mehfil hi mobile nikale Diksha ke sath selfie le rahi"
"Wo itni pyari lag rahi hai ki koi bhi iss moment ko capture karega"…
Dono fir Selfie-Selfie khelne lage. Madam kisi bacchi ki tarah pose de rahi thi. Madam aage khadi, Som apna chehra madam ke kandhe par lade, unke gaal se apna gaal chipkaye, aadhe frame me dono ko aur aadhe frame me stage ko capture kiye ja raha tha..
Madam kabhi jibh nikalti, kabhi teasing moment. Khud to kar rahi thi sath me Som ko bhi copy karne kah rahi thi. Som tha to madam ka hi chela. Bilkul unhi ke rang me rangte selfie click kar raha tha. Madam jibh bahar nikal kar bayen ore karti to Som dayen ore... Eeeeeee.. uuuuuu... Chiissss... Aur na jane kaun-kaun se selfie pose the.
Dono bacche ki tarah magan the. Issi bich Som aur madam ke kandhe par kisi ka hath pada aur bilkul naam matr ka halka push hua. Shadi ka mahol me to ye aam baten thi, bhukamp se aaj jamin bhi hil jati to bhi dono aaj screen me ghuse rahte.
2 selfie aur liye the ki thoda tej jhatke ka push hua aur kisi ne Som ke hath se mobile le kar ander kursiyon ke ore uchhal diya. Ander kursiyon ke ore dhakka thoda jod ka laga tha. Kisi ne dono ko raste se ander jane ke liye dhakela tha. Madam ladkhadati hui apna balance kho dee aur kurshiyon par girne lagi.
Som apne dayen hath se madam ko sambhala aur ussi ke agle pal chehra halka pichhe kiya. Unhe dhakka de'kar aur mobile uchhal'kar aage badh gaya aadmi, jisne pichhe mud kar dekha tak nahi ki kya kiya usne.… Som apna bayan hath pichhe le jaa kar, uske gardan ko pichhe se dhar dabocha aur uss sadhe 6 futiye (6.5 fit) aadmi ko gardan se pakad kar hawa me utha diya aur usse kinare rakhe kurshiyon par dhair-paith patak diya.
Som madam ko chhoda aur kinare kiya. Ye kisi VIP ke kafile ka highly trained videsi bodyguard tha. Jaise hi ek par humla hua, 2 ussi hight ke bodyguard daur gaye. Som coat ko teji se madam ke gode me diya. Som, ek underground fighter, 2 kadam ke chhote se daur ke sath uchhal kar ek chair to top par paun dala aur hawa me aur uncha uchhal kar punch chala diya. Kinare se bhagte aa raha bodyguard ke chehre par ek jordar punch laga aur wo apna naak pakad kar baith gaya.
Wahin uska sath daurte aa raha dusra bodyguard, usne bhi apne punch se Som ke chehre par humla kiya. Som usse dodge kar gaya. Dodge karne ke sath hi wo bodyguard Som ke thik pichhe chala gaya. Som teji se uske kamar me hath dal kar usse khincha. Belt ke niche se kamar ki pakad aur dusra hath pichhe se gardan ko daboch'kar Som ne usse upar hawa me utha liya. Dharammmmm.. dharam ki jordar awaj aur Som ne usse chair ke bich patak diya. Mahaol poora intense ho chala. Aise videshi bodyguard ki kami nahi thi. Pichhe se kaun kya chilla raha tha Som ko kuchh sunai nahi de raha tha.
Gussa aur kewal gussa. Madam ko dhakka de diya... Diksha ka diya mobile hath se chhin kar fenk diya.…. Som paglon ki tarah kewal aur kewal utha kar hi fekne me vyast ho gaya tha. 2 ko kursyion ke bich utha'kar feka tha. Teesra bodyguard wahin biatha naak pakad kar aankhon ke aage se andhera chhtne ka intzar kar raha tha. Issi bich Som ne uske kamar ko dono hath se pakda aur kandhe par uthaya hi tha ki samne se 2 aur daure aa gaye.
Som ne kandhe par wale bodyguard ko bhi kursyion ke bich uchhal kar usse bhi uske stahiyon ke bich pahunchaya. Aur agle hi pal 2 daudte huye aa rahe bodyguard bhi uchhalte huye pahunhe. Som 2 kadam pichhe hata. Dono ka attack missed hua aur issi ke sath Som ne ek ka tie khinch kar uske chehre par ghutne se itna tej mara ki uska muh aur naak fat gaya. Jis waqt pahle ka tie khincha tha thik ussi ke sath hi dusre bodyguard ka gala dhar dabocha tha. Idhar ek bodyguard ka chehra ghutno se takraya aur udhar dusre wale ko ek hath se hi usse utha'kar usse bhi kurshiyon ke bich dharaammmm...
5 bodyguard ko Som buri tarah se pit chuka tha. Tabhi Som ke sine par poora panja tha... "Sommm... Sommm... Sommmm"…. Aakhen utha kar dekha to samne Diksha thi aur uske pichhe kayi sare VIP log aur uske bodyguard ki bhid. Uss VIP ke poori bhid ko najren gada kar Som poore gusse se ghur raha tha.
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Superb updateUpdate:-22
5 bodyguard ko Som buri tarah se pit chuka tha. Tabhi Som ke sine par poora panja tha... "Sommm... Sommm... Sommmm"…. Aakhen utha kar dekha to samne Diksha thi aur uske pichhe kayi sare VIP log aur uske bodyguard ki bhid. Uss VIP ke poori bhid ko najren gada kar Som poore gusse se ghur raha tha.
Kuchh waqt pahle Som aur Madam gale lag kar khoye se mahol me baat karne se le kar selfie lene me magan the. Issi bich lawn ke charo ore lage bade-bade parde par desh ke mashoor udhogyapati, arabpati, real state segment ke king aur pharmaceutical business ke emerging businessman jinhone 7 salon me iss industry ke topped listed me apni company ko 5th place par pahuncha chuke mashoor business man, founder of Kumar Group, Hiten Kumar ke bete aur Kumar Group ke chairman Jay Kumar, apni patni aur Co-Chairman Sadhna Kumar ke sath aa rahe the.
Jadeja family ke tarah hi Kumar family bhi thi jahan Kumar Group complete family business tha. Jay Kumar ladka aur ladki dono pakshon se invited the. Lata Mishra aur Sadhna Kumar dono cousins sister the, iske alawa Kumar Group, Jadeja family ke sath business relations the. Jay Kumar apne bade bete, bahu aur sabse chhoti beti ke sath iss shadi me shirkat kar rahe the.
Lighting ke bhuk-bhak aur parde par chal rahe family history se lekar social profiles sab flash ho raha tha. Ye iklauta VIP tha jiski tasveeren pichhle 2 minute se parde par flash ho rahi thi. Har koi ek alag hi curiosity me tha. Viraji Jadeja and brothers khud swagat ke liye mukhya dwar par khade the.
Sadhna aur Jay dono mahine din purv suchna de chuke the ki wo iss shadi ko attend karne aayenge. Event aur unke sheduale ko le'kar unki 1 baar Jugnu se pahle meeting ho chuki thi jahan Sadhna Kumar ne Jugnu se ikchha jahir ki thi ki 30 minute ke marriage attending duration me Jugnu uske sath rahe.
6.5 fit aur uske plus hight ke videshi bodyguard ki ek poori toli thi. Kumar family ke 5 member ke liye unke personal 24 special trained, complete armed bodyguard. Iske alawa Jay Kumar ke request par Sirohi Distt. Commissioner aur unke kuchh mustaid sipahi to pahle se iss jagah ke charo ore the.
Local politician ko bhi high command se special orders mile the, Jai Kumar & Family ka swagat karna. Kul mila kar ek poora kafila jisme Kumar family ke 5 member ke alawa 10 local top figure chamchagiri karte. Uske sath Jedeja family ke mukhiya. Kul 20-30 logon se ghire wo Aadmi resort me shirkat kar raha tha.
2 minute ke mind blasting introduction ke baad chaka-chak jagmagati hui raushni ke bich kafila chala aa raha tha. Sabhi log khade uss aate kafile ko dekh rahe the. Kuchh jo tasveeren le rahe the unhe mana kiya ja raha tha. Kinaro se jo log raste par aa chuke the unhe well trained, sadhe chhah futiya (6.5fit) bodyguard kandon par hath rakh kar hath ke ishare me ander jane ko kahte.
Inka kafila fir jab Som ke sath mess kar ke nikle aur jaisa counter reply Som ne diya, sabhi bus muh aur aankhen faade dekh rahe the. Mishrayan aur Mishra ji wahan pahunche jaroor lekin Som itne gusse me tha ki pichhe se inki awaj sun hi nahi raha tha.
Commissioner ne turant force ander lane ka order diya tha. Jaise hi Som ruka mahol 2 pakshon me bant gaya. Sabse aage Kumar & Company hi thi, jise Som ghur raha tha. Som aur Kumar & company ke bich me Diksha khadi thi. Issi bich Som ko pichhe se kayi policewale gher chuke the. Ab commissioner ka call tha, thana in-charge apne boss ko khush karne ke liye tuchhi harkat kar gaya.
Diksha poora panja Som ke sine se tikaye usse apni aakhon se bilkul shant khade rahne ka ishara kar rahi thi. Som, Kumar & company ko apni gussail aankhon se ghur raha tha. Issi bich uss police wale ne Som ke gal par ek thappad chipkaya.
"Tumhe kisi ne sikhaya nahi kya, kisi ko uski family ke samne me bejjat nahi karte"…. Aankhen ab bhi Kumar & Company ko ghur rahi thi. Usse dekhte huye hi Som garja aur bina unse najren hataye, thappad maarne wale hath ko khincha. Uske gidewan aur kamar ke belt ko pakar kar teji se hawa me uthaya aur usse bhi dharaammm. Itni teji ke sath usne police wale ko utha kar patka, usse dekh kar sab hakke bakke rah gaye.
Police wale ko utha kar patakte hi gun tan gayi aur commissioner hath dikha kar kisi ko na maarne ka ishare karte…. "Ek policewale ko maar kar tumne achha kiya ladke. Sari umr tu bahar ki zindgi nahi dekhega"
Som ab bhi Kumar & company ko apni laal gussail aankhon se ghur raha tha. "Thuuuu"… Commissioner ke baat sun kar Som, Kumar & family se bina najren hatate apna chehra kinare kiya aur thuk diya. Jay Kumar ka bada beta Nirvan aage badha tha lekin Jay hath badha'kar usse roka.
Commissioner:- Hathkadi pahnao...
"Commissioner Som ko Hathkadi laga kar isse thane tak le jao, mera wada hai tumse, uske Thane pahunchne se pahle iss case me main tumhari vardi utarva chuka rahunga. Naam nahi pata to note kar lo, Advocate Ashok Kamat"… Ashok ne kaha...
"Commissioner 2 minute me apne police ko le kar niklo warna raat ke 11 baje sab ke ghar par anti corruption ka chhapa padega aur main sunischit karunga ki mere log corruption ka charge laga kar hi bahar nikle"… Bansal ne chetavni dete huye kaha...
Jugnu, Som ke ore khadi hoti.… "Mujhe nahi pata ki ye jhagra kaise shuru hua, lekin ek baat hum sab ko pata hai.. wo kya hai"…
Ek sath kayi aawaj chillate … "Som ne yadi kisi ko maara hai to jaroor chindi harkat kiya hoga"…
Jugnu:- Ek comment Som sir ke live action ke bare me...
"Awesomeeeeee, mind blowing... Fantasticcccc... Apna Som, in videsi bodyguards ko ball ki tarah hawa me uchhal-uchhal kar patak raha tha"… bhid chillayi…
Jugnu:- Love you Som sir, kamal ka live action tha. Aap log naye hai isliye jaankari deti chalun. Humara lagbhag 1200 logon ka parivar hai. Baat koi aage na badhaye to hi sab ke liye achha hoga..
Som:- Madam ko sorry bolo abhi aur mera mobile utha kar lao... Yadi wo mobile kharab hua hoga aur uski tasveeren retrieve nahi hui to jis waqt mujhe ye baat yaad aayegi uss waqt ghar me ghus kar marunga bina kisi ki lihaj kiye...
Jay Kumar ka ishara hua ek bodyguard aage aaya... Som usse dhakke de kar pichhe karte…. "Jiska kafila tha wo sorry kahega, tu ja kar mera mobile dhundh kar la"
Jay Kumar ka beta fir ghura. Waiter ke serve karne ki tray se Som poora daru ka khamba utha kar ek shwans me poora gatakte... "Mrs Kumar, tumhara beta bahut ghur raha hai, protein powder aur calcium de kar body ko tandurast aur haddiyon ko majboot karwaya hai na, warna haddi tootne ka dard bahut hota hai"…
Jay Kumar ka beta Nirvan Kumar….. "Tumhe to baad me dekh lunga main aawara. Jitne drame yahan kar sakta hai kar le."
Som uski baat sun kar dobara se apna chehra ek kinare karte... "Akkk thuuu"
Sadhna Kumar:- Baat mat badhao... Madam I am sorry. Apne staff ki galti ke liye main maafi mangti hun"
Madam:- Jay, Sadhna, kisi ke beti ki shadi me aaye ho. Ye show off jaruri tha kya? Tumhe 4 baar iss baare me sochna chahiye. Som tum apne kamre me jao... Baad me aana..
Lata Mishra samne aa kar khadi hoti… "Tune suna nahi madam ne kya kaha... Ja abhi apne kamre me. Aur sun tu wo ekant wale kamre me mat ja, tu Diksha ke kamre me ja...
Som:- Nahi madam ko chhodne jana hai. Mishra ji car ki chabi do...
Kapendra Mishra:- Tere bike ki chabi diya tha na... Ja bahar khadi hai teri bike...
Som:- Mishra ji kaun si bike hai wo to batao...
Kapendra:- Wahi bike, kabhi jiski tasveer dekh kar tera dil aa gaya tha.…
"Aata hun mai Mishra ji"… fir Som dono hath jod kar Kumar & Company ko dikhate … "Kaha suna maaf karna Mr & Mrs Kumar. Staff ko salikha sikhao ki simple kapdon me khada aadmi bhi tum se jyada aukaad wala ho sakta hai. Fir to usne Madam ke upar hath dala tha. Poore Bharat me unse bhi jyada aukaad wala hai koi... Hai kya??"
Poori bhid ek sath.… "Koi bhi nahi"…
Madam:- Diksha, Som ko kamre me bhejo, aur koi mujhe ghar tak drop kar do...
Som:- Main chalta hun na.. .
Madam:- Nahi rahne de... Poori bottol pi gaya mere samne, tujh se main kal baat karungi. Abhi chalo koi mujhe drop kar do aur Som beta koi jhagda nahi...
Som:- Madam maine kahan shuru...
Madam:- Kya hua uss par safai maangi hun kya? Boli na ab koi jagda nahi…
Som:- Ok madam…
Madam:- Jay, Sadhna tum dono bhi jao. Diksha ki shadi me aaye ho na, scene create mat karo.
Jay:- Madam humne scene creat nahi kiya hai. Aap ke student ne scene creat kiya tha..
Madam:- Jay pichhe ki baat hoti to kuchh kaha bhi ja sakta hai. Video reapeat chalwa dun kya, yahan hua kya tha? Baat mat badhao. Tum unchi naak wale ho aur mere student ne bina kahe maafi maanga hai. Baat yahin khatm kar do...
Sadhna:- Bhid hatao yahan se, Jay, Nirvan chalo. Jijaji (Mishra ji) hume maaf karna… Diksha beta tu yahan kya kar rahi hai. Tum chalo yahan se. Aise jhagde to shadi me aam hote hain. UP me to bina goli chale koi shadi sudhh nahi mani jati... Tum aao mere sath stage tak..
Som:- Shukr hai kuchh to jamini culture yaad hai. Hume to lagta tha arabpatiyon ko American culture hi sabhya lagta tha...
"Chatakkkkkkkkkkkkkkkkkkkk" ki itni tej awaj thi ki charo ore ka mahol jaise gunj gaya ho. Som kuchh bolne ko hua.… Diksha aankhen dikhati…. "Bilkul chup"
"Lekin Diksha"… Som fir se kuchh bolne ko hua, utna hi tej thappad dobara para... "Boli na chup. Ja mere kamre me. Call krungi tab bahar aana. Understood... Understood na"..
Som ek baar fir Kumar & Company ko ghurte huye nikala. Raste se 2 bottol daru ke collect karte chala. Teji se Diksha ke kamre me ghusa aur dharram se darvaja band.
5 miniute ke high level drame ke post effect uss poore mahol me chhaya hua tha. Lata, Sugandha, Sugandha ki devrani Minakshi (Mayank aur Roopam ki maa) aur Viraji ki patni Aanadi Jadeja charo lawn ke ek hisse me baithe huye the. Wo charo bhi abhi huye mahol ke bare me jaan'ne ki kosis kar rahe the. Aanandi Jadeja ko bhi kumar & company ka show off khal gaya tha. Aanandi apni pati Viraji ki galti ko swikaar kiya. Unki hi request thi ki ek guest ko thoda jyada tawajjo di jaye, jisne maatr apni upastithi se hi baki aaye guests ki bejjati kar gaye.
Som ne unke sath jo kiya wo issi yogya tha. Kisi ki shadi me ja kar dono pakshon ko nicha dikhana, jab ki uske liye to special vayvasthayen ki gayi thi. Aanandi aur Sugandha ne dhanywad bhi kaha Lata Mishra, Kapendra Mishra aur Madam ko, jo wahan tamsha to dekhti rahi lekin Som ko roka nahi. Yadi shuru me rok lete to sabhi guests ke bich dono paksh wale kewal hansi ke patr hote. Unki mehfil me koi aise aaya jaise wo apne office me aa raha ho, iss se jyada aur bejjati ki baat kya ho sakti thi. Som ka unko maarna poora justify karta hai.
Haan lekin baton ke dauran kuchh baten Lata Mishra ke dil me chhed bhi kar gayi, jab Som ne sab ke bich daru ke bottol ko hi muh laga liya. Lata Mishra janti thi uska beta addicted nahi hai, lekin wo ye baat kisi ko samjha nahi sakti thi. Haan daru ki bottol ko muh se laga'kar pine galat tha, lekin Lata Mishra, Kapendr Mishra ya fir Madam ke liye ye chijen normal thi jise wo logon ko nahi samjha sakte the aur na hi samjhaane jaisi ikchha thi.
Bahut muskil ho jata hai aisa waqt jab kisi apne ke liye koi bahar wala teer saman shabd chhod de. Jise aap na to defend hi kar sako aur na hi dil khol kar jhagra kar sako. Kuchh asahay sa mehsus hone lagta hai. Lata Mishra khud me wahi mehsus kar rahi thi. Wo nahi chahti thi bolna, par lagatar shabd ke baan aise the ki uske muh se nikal hi gaya.…
"11 sal aur 7 sal ke umr ki bacche ka humne dard dekha tha, jo yahan ke sabhya aur sophisticated samaj ne unhe diya. Sia chhoti thi, usse Som aur Diksha ne sambhal liya lekin Som thoda bada tha, uss ke sine me jab dard badhta tab wo khud ke hath deewaron se maarta, aur tab tak marte rahte jab tak ki marte-marte behosh na ho jaye."
"Pagal nahi tha mera beta. Pagal hota to sar deewar se marta lekin wo Sia aur Diksha se utna hi pyar karta tha. Utni si umr me usse pata tha ki sar deewar par marne se kya hoga. Usse apne bhadas nikalne ka jariya mil gaya tha aur wo bhadas nikalte rahta tha."
"Uske santulit hone ka andaja issi baat se laga sakte the ki main, madam dono usko uksate ki hath kewal deevar par marne aata hai. Koi tujhe ulta bolta to uska muh kyon nahi todta… mera chhota Som utni hi masoomiyat se kahta, jise maarne ki ikchha hai usse main kabhi nahi maar sakta, dusron ko maar kar main kaun sa veer ban jaunga."
"Dikhta wo bedhanga hai lekin kisi par hath uthana uski aakhri majboori hoti hai. Padha likha hai mera beta. Koi awara nahi hai. Doctor ki digree usne le rakhi hai. Wo bhi ek tough subject se aur uss sabject me jo number one University hai wahan se usne kiya hai. Haan bus uska pahnava waisa nahi jo aam logon ke bich ka hota hai aur sab se jyada galatfehmi wahin se ho jati hai"
"Nasha karna galat hota hai aur main manti hun iss baat ko. Lekin main kabhi rokti nahi, nahi to mar jayega wo. Nashe me bhi wo aap sab ki izzat karega, isliye kabhi uske nashe me hone se koi aahat nahi hua. Addicted nahi hai wo, bus nasha uski jaroorat hai. Main janti hun wo galat karta hai lekin baccha hai mera. Ek galti ke sath usse jinda dekhti rahun isme mujhe koi burai nahi lagti... Haan lekin wo galat hai iss mamle me main usse defend nahi kar rahi"
Sabhi log jaise ek nirmal bhavna ko sun rahe the. Har kisi ki bhavna uske aakhon me dikh rahi thi. Sabse jyada bhavuk Sugandha hi thi kyonki uss ne to kayi baar muh par Som ko bejjat kiya tha aur fir bhi Som kuchh kahta nahi tha, chup chap wahan se chala jata. Bechari ko sabse jyada afsos ho raha tha.
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Awesome updateUpdate:-23
Mahol shant hua. 10 minute baad wapas se shaadi jaisa mahol tha. Jugnu ke chachere bhai Mayank, Roopam aur uske sabhi dost uss waqt stage par hi the jab Som ne ek hollywood movie me dikhne wale agent type shooted-booted bodyguard ko pichhe se hi dabocha aur utha kar kursiyon ke bich fenka tha.
Sabhi Jugnu ke pass pahunchte... "Didi, uss din ye hum sab ko maarne par aata to 2 minute bhi na tikte"
Jugnu:- Achha beta, tab se akl nahi khuli jab hum sab kahte the ye akela seniors ke hostel ke lobby me ghusta tha aur kisi ki himmat nahi hoti thi bolne kee.
Roopam:- Didi isse pata le... Mujhe to ladka pasand hai...
Jugnu:- Hahahaha… Pagal...
Mayank:- Arreee sach me didi... Ye to terror hai.
"Tum sab ko kaise sanjhaun ki uss waqt to bf banana fashion samjhti thi. Lekin Ankit sir ki baat se kaleja kaisa dharka tha. Kitni dukhi thi jab Som ne Ankit ko maara. Ek mann kiya ja kar puchh lun Som se lekin main hi gadhi thi jo Devanshu ki baton me aa gayi"… Jugnu apne bhaiyon ko sun kar bite dino me kho gayi.
Roopam:- Style dekhi thi, wo commissioner kuchh bol raha tha, aur wo akk thuu kar raha tha. Daring hai usme didi...
Jugnu:- Ae gadhera sab gher kar mera magaj nakki kha..
Mayank:- Chal bhai achha ladka hath se nikal gaya. Ye na maanegi. Kisi aur ke liye baat chalayenge…
Jugnu hansti hui.… Uss akdu ke pichhe time waste hai. School time me 14 ladkiyon ko thappad maar chuka hai. Fighter hi pasand hai to boarder par ja kar jijaji nakki kar aa. NSG commando, Raw, Cbi, IPS, real hero fighters ki kami hai kya?"
Mayank:- Ye vishvashniya hai. Unka charecter parakhna padega na didi. Samjhti kyun nahi...
Jugnu:- Bus bhi kar. Abhi jayega kahan. Shristhi ya Kanak se lagan ki baat chalayenge..
Roopam:- Ek baagi thodi mismatch thi lekin yahan hoti to uss se baat kar lete. Lekin jiddi ladki nahi hi aayi. Kar li apne man ki.
Jugnu:- Jane de uske liye sare niyam me chhut hai. Sakhti sirf humare liye.
Mayank:- Galat to wo bhi nahi thi Jugnu didi.
Jugnu:- Achhe khase mahol ko kharab na kar Mukku. Abhi shant rah warna uske naam par Viraji aur Shurendr kaka yahin par shuru ho jayenge. Ghar ki ek wahi ladli jo thehri..
Roopam aur Mayank ek sath... "Bechare Jignesh bhaiya".. aur bol kar hasne lage..
Jugnu:- Chhod na kaahe matha laga raha. Miss kar gaya na, jhagde ke bich bhabhi ghunghat upar ki thi uss waqt tasveer le lete..
Roopam aur Mayank dono hanste huye... "Gaandi, itna intense mahol tha. Uske bich me ghus kar photo click karte… chal na abhi bhabhi se request karte hain."
Jugnu:- Bhabhi se dance karwayenge na, uss bich bolenge. Chal pahle dance wala programme shuru kiya jaye. 20ml vodka 120ml orange juice ke sath 3 peg, bhabhi ke liye le aa.
Roopam:- Bar me kaam karne lagi kya Jugnu didi.
Jugnu:- Nahi re Som sir ne samjhaya tha, Bhabhi ko kitna dose dena hai aur kaise...
Mayank:- Bhabhi aur Som sir ki bounding dekhta hun na to maza aa jata hai didi. Kya hum logon ki bhi bounding waise hi hai.
Jugnu baanh faila kar apne dono bhai ko smet'ti... "Unki bounding unki hai. But hum kya kisi se kam hai. Jadeja brothers and sisters."
Mayank aur Roopam, dono muskurate huye... "Yesssss didi. Chalo apni bhabhi ko welcome kare."…
Young, old, sabhi prakar ke guest me ladai hi charcha ka vishay bana hua tha. Dikhsa, Sadhna aur Jay Kumar ke sath stage tak aayi. Usne Pranshu se aupcharik taur par Jay aur Sadhna ko introduce karwayi. Introduce to karwa rahi thi lekin Diksha ko malal sirf ek hi baat ki thi, thoda jaldi rok di Som ko. 2-4 aur logon ki haddiyan tod deta to achha hota.
Haan Diksha ander se kafi chahak rahi thi aur jaise hi ladai ka poore mamle se fursat hui, teji se ghunghat ko niche daal li. Wo mann hi mann apni maa ko dhanywad kahne lagi. Usse ghught ka culture pasand aaya. Bhid uske facial expressions ko judge nahi kar sakti thi.
Bejjati aisi hui thi kee Kumar & company bhi wahan 10 minute se jyada nahi ruke. Kumar & Company ko ek baar aur bejjati jhelna pad gaya, jab wo stage par aaye. Uss waqt Pranshu ke kayi rishtedar stage par majoid the jo muh par Pranshu ko kahte gaye.... "Shadi me aaye the ya filmon me chalne wale kisi underworld don ki sabha me, hum to tay nahi kar pa rahe. Inhe shayad humara yahan hona achha na lage"… Tane dete sabhi guest stage se niche utar gaye the.
Baharhaal Kumar & Comspany ke jate hi stage ek baar fir bhara poora tha. Chilled orenge juice with vodka pahunch chuka tha. Jugnu ki vayvstha bhi utni hi thight thi. Tray me glass tha, glass ghunghat ke ander aur mote straw se Diksha peg khinchne lagi.
60 ml vodka 3 divided dose me poore terms and conditions ke sath khinchne ke baad Diksha jaise hi fursat hui, Pranshu ko uske bhai-bahan ne himmat diya aur Pranshu, Diksha ka hath tham kar dance floor par le aaya.
Sare bhai bahan charo ore se ghere huye the aur Diksha bade pyar se Pranshu ka hath tham kar romantic song par bus apne kadam chala rahi thi. Dono kadam chalate huye ek dusre me kahin kho se gaye the. Dono ek dusre ki badhi dharkano ko mehsus kar sakte the, issi bich kaan faad hooting hone lagi. Diksha aur Pranshu shor sun kar muskurate huye alag huye.
Uske baad bari aayi nanad, devar, aur bhabhi ke dance karne kee. Idhar Diksha ke rishte ki kuchh close bhai-bahan apne jija ke sath thumke lagane lage. Shadi ka jyadatar bhid ussi jagah ikattha thi. Kabhi kisi ke funny drame aur bedhange dance se log khush hote to kabhi koi piyakkad iss rang me bhang daalne ki kosis karta to usse manch par chadhne se pahle hi bahar ka rasta dikha diya jata.
Kuchh der dance karne ke baad Pranshu aur Diksha ek kinre khade ho'kar bakiyon ka dance dekh rahe the... Issi bich Pranshu… "Diksha, apne bete ko nahi bulaogi kya"?..
Diksha:- Khamba gataka tha wo, so gaya hoga…
Pranshu:- Humari suhaagraat bhi to ussi kamre me hogi. To kya wo tab bhi..
Diksha:- Bada hi ghatiya joke tha. ..
Pranshu:- Aise ghatiya joke se bachna ho to bula lo usse. Bus chand ghanton me to ye samroh bhi khatm ho jayega...
Diksha:- Rahne do wo jahan hai thik hai...
Pranshu:- Mujhe tumhari baton par shanka ho raha hai. Wo jab wahan gusse me Kumar & family ko ghur raha tha tabhi uske chehre par likha tha ki wo kafi sukoon me hai. Kumar ke bodyguard ko marne ke baad tum kuchh to post analysis ki ho isliye usse nahi bula rahi.
Diksha:- Isse faltu ka dimag lagana kahte hai. Mangadhant baaten jo muh se ulti ki tarah nikalti hai... 1 poora khamba gatakne wala chalne ke bhi haalat me hoga kya? Upar se 1-2 bottol aur le gaya..
Pranshu:- Thik hai mat bulao.. .
Diksha:- Aaj tumhari shadi hai sirf isliye tumhari baat maan kar bulava leti hun. Kisi ko bolo kewal nimbu nichod kar uske kamre me le jaye aur kaan ke pass itna bolne ki Lata aunty sab ke bich ro rahi hai...
Pranshu ne Roopam aur Mayank ko awaj lagaya lekin bhid se uski bua ki ladki uske pass pahunchi... "Bhaiya mujhe bulaya kya?"
Pranshu:- Shristhi ek kaam karegi..
Diksha, Pranshu ke hath hilati... "Nooo"
Pranshu, Diksha ki baat ko najarandaj karte Shristhi ko sari baat samjha kar bhej diya. Uske jate hi Diksha shikayti lahje me… "Kisi ladke ko nahi bhej sakte the?"
Paranshu:- Oh come on Diksha. She is a big girl. Aise rudhiwadi soch...
Diksha:- Had hai ek anjaan ladki ek anjaan ladke ko kamre me uthane jaye... Ye galat hai..
Pranshu:- Arre wo kal se mere pichhe padi thi ki ek intro karwa de Som se. Kayi baar usne Som se baat karne ki kosis bhi ki lekin Som sir ko ek apni dost se poori baat nahi ho pati, bakiyon ka number kyun aaye. Ab wo apni marji se Som ke sath jaan pahchan badhana chahti hai isme galat kya hai...
Diksha:- Mere baap ka kya jata hai. Jaan pahchan salikhe se badhayi to thik warna gaal laal hona to tay hai...
Pranshu:- Main bore ho gaya hun ek hi baat sun kar. Wo kya sadhu mahatma hai jo kisi ladki ke ore jarra bhi aakarshan nahi hoga. Ya fir gey hai..
Diksha:- Kisi ko kitna bhi samjhao wo samjhte nahi. Pranshu sir aap ki baat sun kar main chup rahne me hi apni bhalai samjhti hun.. Aap jari rakho..
In dono ki bahas jari thi idhar wo ladki Shristhi nibu ka poora juice le kar Diksha ke kamre me pahunchi. Jaise hi wo darvaja kholi, Som pahle se jaag raha tha aur kuchh juice waigrah le raha tha. Shayad nasha utarne ki koi vidhi thi, kyunki waise hi kayi khali glass aas pass rakhe the..
Jaise hi darvaja se kisi ke aane ki aahat hui Som ki najar darvaje par… "Koi kaam tha kya"?
Shristhi:- Aapse baat karni thi.
Som:- Hmmm ! Thik hai main jab bahar aaunga to baat kar lunga...
Shristhi, Som ki baat sun kar honth gol bana lee aur hawa me kiss fenkti, jaise darwaje se ander kadam badhane lagi... "Dekho main apne room me kisi ko allowed nahi karta"
"Lekin ye to bhabhi ka kamra hai na"..
Som chup chap wahan se uth kar darvaje tak aaya. Some ko bahar jate dekh Shristhi apni balkhati aakarshak kamar ko angel deti poore darwaja ko hi gher lee. Jaise hi Som, Shristhi ko kinare karne laga... "Main kisi ko touch karna allowed nahi karti. Touch kiye to aage ke natije ke liye taiyar rahna"
Som uski baton ko najarandaj karte, jaise hi Shristhi ke kandhe se hath lagaa kar kinare kiye, wo teji se Som ke honth ko chumti... "Ek baar tumne mujhe touch kiya, ek baar maine. Baat barabar."
Som, uske ore ghurti najron se dekhte... "Suno miss, kisi ladki par haath uthana mujhe ajib lagta, lekin kuchh ladkiyan apni masti me maar khane wala hi kaam karti hai"….
Som apni baat kah nar jaise hi darvaje se 2 kadam aage badha, Sugandha khadi thi. Shristhi darwaje se ander dekh rahi thi isliye usse pata nahi chala ki pichhe kaun khadi hai... "Shristhi tumhara kaam ho gaya kya?"
Apni Mami ki awaj sun kar Shristhi ki sitti-pitti gum ho gayi. Glass ko wahin fenkti bhagi.… Shristhi teji me nikli aur idhar Sugandha... "Som kya tumse 5 minute baat kar sakti hun?"
Som kuchh soch kar kamre me aaya. Dono aamne samne baithe. Kuchh pal khamoshi hi rahi dono ke bich.
Sugandha:- Mujhe aunty kahne me sharm aati hai kya?"
Som:- Aap kuchh baat karne aayi thi aunty?
Sugandha:- Ek ladki kisi ladke ko kiss karne ki himmat nahi karti, jab tak ki uske dil me uss ladke ke liye koi bhavna na ho. Tum Shristhi ko dekh kar hi samjh gaye the na ki uske mann me kya chal raha hai…
Som:- Ji
Sugandha:- Shayad Shirsthi ka tumhare prati aakarshan ho sakta hai, shayad pyar bhi ho sakta tha, kyon?..
Som:- Haan shayad…
Sugandha:- Jab ek ladki himmat kar ke tumhare samne apni bhavnayen rakh sakti hai to tum kyon dil aur dimag ka shutter band rakhte ho. Kya tumhe ladke pasand hai...
Som:- Chhod dijiye aunty, iss vishay par baat karne se koi natija nahi niklega. Aap jo bolengi sab sahi hoga, lekin ek hi baat kahna chahunga kuchh feeling natural hoti hai, usse samjhaa kar badla nahi ja sakta.
Sugandha:- Haan ye bhi sahi hai. Main ek musibat me hun, tumse help maangne aayi hun...
Som:- Ji...
Sugandha:- Maine kisi ki karjdar ho gayi hun aur main apne bacchon ki kasam kha kar kah sakti hun ki yadi ye karj nahi utra to meri zindgi ghut'ti rahegi.
Som:- Aap itne sare logon me se mujhe kahne aayi. Strange na aunty. Shayad kisi ko maarne wala kaam hoga isliye aap ko ek gundey ki jaroorat padi hogi...
Suganda:- Ae pagal, bina poori baat samjhe, ab kisne bich me toka aur faltu ki baat kahi...
Som:- Sorry Human error..
Sugandha:- Jhutha ladka, tumhe thik se jhuth bolne nahi aata…
Som, tukur-tukur dekhte… "Lata Mishra ne sikha kar bheja hai kya?"
Sugandha:- Mujhe Lata Mishra kyun sikha kar bhejegi. Saaf kyon nahi kahte ki tumhare dimag me faltu ke khyal aa gaye.
Som:- Haan kah sakti hain. Wo aap ke jeth Viraji ne pahle se itna kuchh mujhe offer kar diya ki dimag me ek hi khyal rahta hai, aap ki poori family mujhe ek gunde se jyada treat nahi karti..
Sugandha:- Oh ho, Som sir ke emotions..
Som:- Mai kya insan nahi jo mujh me bhavna nahi hogi...
Sugandha, apne dono hath jodti... "Viraji bhai sahab ke ore se main tumse maafi maangti hun. Kuchh log kuchh jyada samjhdar hote hain jise kewal apna kaha aur apna kiya hi sahi lagta hai. Baki duniya unke hisab se chale to achha warna log bure ho jate hain. Chhodo unhe.. aur haan mera poora parivar tumhe kya samjhta hai uske liye pahle tumhe bhi mere parivar ko jaan'na hoga."
Som:- Hammm !!!
Dono ki baaton ne jaise ardh-viram (semi-stop) liya ho. Sugandha hath jod kar apni bhavna kahne ke baad kuchh jyada ki ummid laga baithi thi, lekin Som fir se aisa chhota aur fika responce diya ki Sugandh sankoch me pad gayi. Ander se yahi khyal aa raha tha, "Kahna to hai, lekin kaise kahun?"
Som ki bhi apni hi majboori thi. Personally Som poore Jadeja parivar ko parakh chuka tha. Achhe bure har tarah ke log parivar me hote hain, yahan bhi the. Haan lekin business community se hone ke bawjood bhi ek bhi member kisi bhi prakar ke serious elligal activity me involve nahi tha, ye Som Gujrat jaa kar khud pata kar aaya tha.
Som ke mann me ek achhi chhavi thi Jadeja parivar ko le kar. Jadeja parivar bahar walon ke liye kaise bhi rahe, ghar ke har sadsya ki bhavna ko samjhte the. Haan lekin Som ke dimag me parellel ye baat bhi thi, Jadeja family ke mukhya kabhi usse Mishra parivar ka hissa nahi maan sakte, isliye wo kuchh bhi kar le Jadeja family ke liye bahar wala hi rahega...
Pahle Sugandha ki wo khamoshi se 5 minute baat karne ki request. Fir ek maa (Sugandha) apne bacchon ki kasam kha rahi thi. Kisi prakar ka karj utarne me Som ki help chahiye... Som ne tab human error nahi kiya tha, balki kahin Sugandha, Diksha ke naam par kisi ko pitwana na chah rahi ho, isliye indirectly apna stand clear kar raha tha.
Jab mamla kisi ki pitai ka nahi nikla, fir ek anjaana dar Som par haavi hone laga. Iss bich Sugandha ne hath tak jod liye, shayad usse Som ki feeling samjh me aa rahi thi, lekin parivar ke hath wo bhi majboor na ho... Som ko kahin na kahin lag raha tha uske nashe me hona ya mahefil me maar pit karne ke karan, kahin Sugandha ye na kahne aayi ho, "Diksha se dobara mat milna..."
Som ke dimag par soch itna haawi tha ki uski dharkane baith gayi thi. Chinta ne dimag ko aise shock me daala tha ki bacha khucha nasha bhi gayab ho gaya tha. Khamosh bus wo Sugandha ke bolne ka intzar kar raha tha aur idhar Sugandha bhi apni hi sankoch me thi...
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Sughanda ne som ko phasa hi liya shadi ke liyeUpdate:-24
Som, kuchh pal ki khamoshi ke baad Sugandha ka mann tatolte huye.… "Aap kuchh sankoch me hai. Kya baat mere vyavhaar aur mere pahnave ko le kar hai? Kahin yah khyal to nahi, aap ke yahan mera jaana aap sab ko embarrassed feel karwayega?"
Sugandha, harbadati... "Bilkul nahi. Ye tum kya sochne lage? Haan ye kah sakte ho ki main sankoch me hun, kyunki tumhara meri baton ka respond karna aisa hai, mano tunhe jabardasti bitha rakha ho. Aur wakai jo meri haalat hai iss waqt, karj tale dum ghutne jaisi situation hai"..
Som:- Sorry... Main bahut hi dhyan se aap ko sun raha hun. Bus ye hai ki meri aadat hi aisi ho gayi hai baat karne ki... Main poori kosis karunga proper respond karne ki. Aap be jhijhak apni baat kahiye...
Sugandha:- Waise ek baat tumne sahi kahi thi. Hum sab me ek Som basta hai, jo kewal apne logon se khul kar baat karna chahta hai... Bus hum dusre logon ko hans kar avoid kar dete hain aur Som akad kar. Aur ye akad log ko aakarshit kar leti hai..
Som:- Hum dono ko shadi me jana hai. Aap kuchh jaroori baat karne aayi thi aur ab aap topic ko divert kar rahi hain...
Sugandha:- Jane do wo ab jaroori nahi hai..
Som:- Main kasam me vishwas nahi rakhta lekin kabhi parivar me se kisi ki kasam uthani pade, kisi ko yakin dilane ke liye, iska matlab wo baat wakai serious hai.
Sugandha, thodi mayus hoti... "Karj dil me dard de raha hai. Har waqt mujhe pachtave ke aag me jhonkta hai…"
Som:- Galti kiye, galti ka ehsaas hua, aur ab aap khud me pachta rahi hai... Aap kisi se maafi na bhi maange to bhi chalega aunty, kyonki self realisation bahut badi baat hoti hai... Muh se to har koi, har baat par sorry baant deta hai. Rahi baat aap ke pachtave ko sukoom mile, to bejhijhk payback kijiye main poori help karunga...
Sugandha, Som ke samne ek baar fir apne dono hath jodti... "Please help me in payback"..
Som:- Hath niche kijiye achha nahi lagta. Aap payback karne me lead lo aur main aap ki poori help karunga. Ye Som Malhotra son of Anurag Mahlotra ka wada hai...
Sugandha:- Areee tum to Mishra ke munchhon ki shan ho, to fir ye bich me Malhotra sahab kahan se aa gaye.. Punjabi Munda..
Som:- Haan main Mishra hi hun. Aadarniya babuji ka surname to har ladke ke mathe par chipak jata hai.
Sugandha:- Tumhara aadarniya babuji nahi aaye?
Som:- Wo defence ke bade adhikari hai, desh bachane se fursat mile tab to kahin aayenge jayenge...
Sugandha:- Itna mayus kyon hote ho..
Som:- I want to meet him.. ek arsa gujra unki shakl dekhe... Kayi sal ho gaye unse mile. I proud my self when I say, Son of Anurag Mahlotra. He is my hero. Not only for me Sia and Diksha also feel the same.
Sugandha:- Su chhe haan... Papa ki baat aaya to juban kisi hi-society ke bacchon jaise angreji ugalne lagi…
Som:- Aapko payback me help chahiye tha na. Kyon time pass kar rahi ho. Ek to pahle hi main over smartness ke chakkar me paglon ki tarah bottol muh se laga liya... Sar bilkul naach raha tha.. Abhi nashe ko zero kiya to aap sar ghumane aa gayi...
Sugandha:- Mujhe bhi batao kaise manage kiya apna nasha. Bilkul zero kar liya..
Som:- Really aap ko ye jaan'na hai..
Sugandha:- Haan..
Som, Sugandha ka hath pakad kar bathroom tak laya aur darvaja khol diya. Sugandha much bichakti wahan se bhagi. Som Jaise hi uske pass baitha, Sugandha, Som ko thokti.… "Aisa kaun karta hai"
Som:- Kaun jaan'ne ke liye vyakul thi..
Sugandha:- Aise, muh se vidhi batane boli thi...
Som:- Natije dikha diya hai, yadi meri vidhi follow karengi to yahi hoga...
Sugandha:- Mat batao... Ye natija dekhne se achha hai sula dun...
Som:- Haan kabhi emergency ho to aap call kar sakti hain. Khair, aap ka wo payback...
Sugandha apni ek hath aage badhati... "Main payback ko taiyar hun bus mujhe Som ke help ki jaroorat hogi... To kya Som mera anth tak sath dega..."
Som, Suganda ka hath thamte….. "Aapne apne bachhon ki kasam uthayi hai. Main wada karta hun, IPC ki 10-12 dharayen tod kar bhi help karna para to karunga."
Sugandha, Som ke hath ko majbooti se pakadti, uske sar ko chum lee.. "Main apni aatma tumhe dena chahti hun. Main apni beti ka rishta tumse tay karne aayi hun. Mere kiye ka iss se behtar payback kya hoga."
Som:- Whattt ?????
Sugandha, aaram se apne paun par paun chadha kar baithi aur hansti hui puchhne lagi.… "Kya hua payback me help nahi karoge"..
Som:- Jugnu hi nahi uski maa bhi chalu chij hai. Aunty mujhe shadi vivaah me interst nahi hai. Numebr 1, Main ye rishta nahi nibha sakta.. Number 2, Heroic image sun kar beti ka rishta tay karne wali maa ko pahli baar dekh raha hun. Na to main aap ki society ko match karta hun aur na hi shadi ke liye perfect hun. Number 3, apane kuchh bhi aisa nahi kiya jo aap ko payback karna pade.. aur in sab karno se main aap ki koi help nahi kar sakta..
Sugandha:- Itne sare numbers mujhe nahi pata. Na hi mujhe tumhari tarah facts me believe hai. Main feeling me believe karti hun. Ek maa apne bachhon ki kasam kha lee aur tumhe lagta hai ki maine aisa kuchh nahi kiya jis wajah se mujhe payback karna pade."
"Aur kami kya hai tum me... PhD kiya ladka hai. Apne ghar ka chaheta hai. Lata Mishra aur Kapendra Mishra ke sanskar hai. Women ki respect karta hai. Ladkiyon ke bhatkav se koson dur hai. Jo kaam karta hai poora kar ke hi dum leta hai. Aise mehnati ko registan me chhod do to bhi apni mehnat se wahan fasal uga kar khayenge.. Last but not least ek shander fighter bhi hai.."
"Itne gun ke sath thode avgun bhi hai. Bedhange ki tarah rahta hai. Sab ke samne bewaron ki tarah peeta hai aur chilam dekh kar personally mujhe aag lag jati hai. Lekin koi nahi shadi ke baad meri beti sudhar degi ye aadat"...
"Ek beti ki maa hun, bina parkhe kisi ladke ko kaise chun sakti hun. Sari baton par vichar kiya to maine paya ki iss se behtar jamai to mujhe iss sansar me kahin nahi milne wala... Isliye main ladke ko hath se kaise jane de dun... Kya samjhe babua.."
Som, bura fansa tha. Kisi tarah nikalne ka upay sochte huye.…. "Lekin kya Jugnu aur Ankit ko alag kar ke aap ko sukoon mil jayega"…
Sugandha:- Hat re, meri kya ek hi beti hai... Jugnu ki jodi waise bhi match nahi hoti. Badi beti ka rishta tay hai, chhoti ka karne aayi hun..
Som:- Aap pagal hain... Mera koi thikana nahi. Khud ka ghar bhi nahi..
Sugandha:- Achha Lata bahan ji to bata rahi thi ki tere pass achhi khasi paitrik sampatti hai..
Som:- Haan usse bech kar bahan ki shadi karunga...
Suganda:- Haan to pahle apni kar lena aur apne dahej ke paise se apni bahan ki shadi kar lena. Iske liye jamin bechne ki kya jaroorat hai...
"Ye kahan fans gaya main"…. Som khud se chidha hua tha... "Dekho aunty"…
Sugandha:- Tum suno, abhi mujhe koi jaldi nahi hai. 3-4 saal aaram se jo jee me aaye karo. Iss bich tumne kisi ko pasand kar liya to uss se shadi kar lena, main tumhe bandh nahi rahi… lekin 4 sal deadline hai. Pahle maan gaya to thik nahi to uske baad main tumhe wade se nahi mukadne de sakti..
Som:- Wada tod diya maine. Mujh se nahi hoga..
Sugandha:- Hello Som Malhotra, son of Anurag Mahlotra. Apne hero ke naam ka tashan dikha kar mujhe yakin dilaya tha ki main payback lead karun aur tum out of the way ja'kar meri help karoge...
Som:- Haan thik hai main help karunga... aapke iss payback me... Lekin kya aap ki chhoti beti taiyar hogi shadi ke liye...
Sugandha:- Wo meri beti hai, usne kaha tha ki wo kewal aur kewal arrange marriage karegi. Chal ab issi khushi me dance karte hain.. ..
Som:- Ruko 2 minute. Bahut dur se aapne fasaya hai mujhe. Kuchh baten to clear ho jaye... Aap ke Viraji ko main pasand nahi aur aap kitni bhi kosis kar lo wo pasand nahi karne wale...
Sugandha:- Beti ke liye haan kahna hi padega. Viraji ki chaheti hai hai wo. Uske liye 100 khun maaf hai.
Som:- Hmmm !! Waise aap ki chhoti beti aayi nahi yahan?
Sugandha:- Wah beta, abhi se dekhne ke liye tadap raha.
Som:- Main bhi kahan phans gaya hun.
Sugandha:- Main apni zindgi de rahi hun aur tumhe fansna lag raha hai..
Som:- Haan Howard ya fir Oxford se management kar'ke kayi zindgiyon ko chus kar amir banne ka training le rahi hogi, aap ki zindgi...
Suganda:- Tumhe business community se itni nafrat kyon hai. Waise bhi meri beti koi business management nahi kar rahi hai. Balki MBBS me admission lene gayi hai, isliye yahan nahi aa payi..
Som:- Oh …
Sugandha:- Aur koi detail chahiye… bol to uska phone number de dun…
Som dono hath jodte... "Rahne do.. Meri life me thrill daal di ho uski life me mat dalo. Waise bhi 2-4 sala, taiyari karne ke baad ek bada success mila hoga. Usse enjoy karne do. Kyon uski shadi ki baat kar ke padesan karogi..
Sugandha:- Na beta tu jaisa soch raha waisa bilkul bhi nahi hai. Maretorious ladki hai. Intelligent.. brillient, uss scientist ki tarah genious. She can be anything wala tag ke sath... Idhar wo 12th pass ki aur udhar medical nikal li...
Som apne muh par hath rakh kar aankh faade huye Suganda ko dekhte.… "Uski umr kya hogi"..
Suganda:- Rishta pakka ho gaya to umr ka kya karega...
Som:- Main 25 sal ka hun aur wo abhi abhi 12th pass out. Are you insane... Mujh se wo 8 sal junior hai...
Sugandha:- Tu jyada soch raha hai... Wada kiya hai mukadne nahi dungi…
Som:- Ek hi baat par sui atak gayi hai. Wada na hua angad ka paun ho gaya hai. Suno meri ek shart hai..
Suganda:- Kya???
Som:- Iss rishte ke liye usse aap force nahi karengi. Usse main pasand na aaya to meri tarah usse nahi fasaogi. Aap usse kal tak bata dene ek ladka aa raha hai uss se milne…
Sugandha:- Waah beta, laga liya dimag. Recently 12th passout ladki ko shadi ke liye ladke dekhne kahun... Bahut khub... Jab uske dil me shadi ke laddu futenge tab meeting bhi karwa dungi... Haan tab tak tu chahe to apni hone wali bibi ko pataa sakta hai... Jaldi se raji kar le. Mujhe bata dena fir to koi dikkat hi nahi... College ka adress dun kya??
Som:- Ye kaisi maa hai.. Agar usse kisi ladke se pyar ho gaya to...
Suganda:- Chup kar, main ldaki wali ho'kar itne clause aur conditions nahi bata rahi jitne tu ladka ho kar bata raha. Tujhe main force kar rahi hun ki tu meri hi beti se shadi kar. Yadi meri beti ki ikchha hui aarenge marriage ki aur tum free huye to main ye rishta pakka kar dungi... Happy now...
Som:- Kaahe ka happy… chalo
Sugandha wahan se bahar nikalne se pahle… "Batane ki jaroorat hai kya, yahan hui baat.…"
Thap ki awaj aayi.. Som jod se dono hath jodte... "Khatarnaak aurat ho aap. Kuch bhi batane ki jaroorat nahi hai baat mere ore se leak nahi hogi. Chalo ab"
Sugandha ka chehra bata raha tha ki wo kitna khush thi. Uski hansi thi ki ruk nahi rahi thi. Som kya hi reaction de. Ander se to puzzle bana hua tha lekin Sugandha ke chehre par rah-rah kar aati hansi dekh kar Som khud bhi hans raha tha... Dono dance floor ke ore chal rahe the... "Bus bhi karo aur kitna hansti rahengi"
Sugandha, Som ko rok kar uske dono gaal khinchti... "O lle mera baccha sharma raha hai."
Som:- Waise poore mamle me payback solution pahle aa gaya, lekin karj kya tha wo main jaan nahi paya..
Sugandha:- Haan jaan bujh kar nahi batayi... Chalo to Som sir, kyon panic hote ho...
Diksha aur Pranshu dono dance floor ke kinare hi khade the. Bahut minnaten aur apne pyari nanad aur devron ki request ko Diksha najar andaj nahi kar payi. Apni maa Lata Mishra se puchhva aayi thi, "Kya ghunghat hata kar kuchh der ke liye sab ke sath photo khinchva sakti hai. In sab ki bahut ikchha hai aur itne request ke baad naa karna kafi rude lagta hai."
Mata ji ne haan kah diya tha. Jaise hi ghunghat upar gayi, ek udta gulaab Pranshu ke haath me. Pranshu roll karta thik Diskah ke samne ghutno par aaya aur gulaab badhate huye... "I love you sweetheart."…
Ufff Diksha ki wo pyari si shoorat... Hayeeee... Ek to dulhan ke roop me pahle se Diksha saji. Itni pyari aur khubsurat lag rahi thi, upar se iss proposal ke baad uske chehre par failti muskan. Dekh kar hi dil me kuchh-kuchh hone lag jaye.. Diksha muskura kar jaise hi gulaab lene ke liye haath aage badhayi, tabhi 2 gulaab aur upar ke ore.
Parnshu ke ek kinare Roopam aur dusre kinare Mayank tha. Dono apne hath ka gulaab upar badhate... "We too love you, Bhabhi"
Diksha ki khil-khilati hansi aur pahle unhi dono ke hath se gulaab leti.… "Love you too Roopam, Mayank"
Paranshu:- Arre main waiting me rah gaya.
Disksha:- Jo pahle se confirm hai usse aaplication daal kar confirm karne ki kosis karenge to yahi hoga. Prince mujhe laga aap haq se kahenge. Khair, fir bhi ye gulaab accept karti, Love you too janu. Ab jara khade ho jayen warna sab ko sanka hone lagega ki ab kahin will you marry me to nahi aane wala aur ye soch kar 4-5 aur application na aa jaye.
Pranshu khada to ho gaya lekin Pranshu ko uske bhai-bahno ne hi gher liya…. "Ghor bejjati, ghor bejjati, ghor bejjati... Haq se jawab do gale lag ke"
Gale to wo bhi lagna chahta tha lekin Pranshu nahi chahta tha ki wo sabhi emotion ek sath logon ke bhid me jataye. 2-4 baar apne bhai-bahno ke taane sun'ne ke baad Pranshu... "Diksha, ghughat wapas niche karo. Jis kaam ke liye ghunghat upar karwaya wo kaam na karenge ye log". Sabhi "no, no" karte bhage huye aaye aur selfie-selfie khelne lage...
Unhi selfie me se ek selfie ke dauran Jugnu ki aankhon par yakin na aane wala drishya capture ho raha tha. Pahle uski maa Sugandha Jadeja hans rahi thi, fir usse dekh kar Som hansa.… "Bhabhi raste par dekho aap ki aankhen badi ho jayegi"
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Story ka aagaz karna koi apse sikhe nain11ster BhaiUpdate:-1
Aadhi raat ka waqt tha. Tej bijli ki gargarahat charo ore se sunai de rahi thi. Ek to amavasya ki raat upar se aasman me kale badal chhaye huye the. Bilkul kaali ghanghore andheri raat.
Ek kataar me khadi kayi street lamp post ki bulbs me se koi bulb raushni de rahi thi tou kayi bulb kharab pade the. Sadak par aati hui raushni kuchh jyada hi ajib dikh rahi thi. Charo ore ki sadken khali aur bilkul sunsaan sa mahol bana hua tha...
Ghanghore kaali raat ke iss prahar me teen dost sadak ke kinare, kataar lagaye halka ho rahe the.
"Tujhe kya lagta hai, kaam ho jayega Vyas"
"Shastri se hi puchh raha hai... Wo jabtak sure na hota, itna bada risk nahi leta"…
Teeno paint ki zip band kar ke jaise hi 2 kadam sadak ke ore badhe. Ek car unke pass aa'kar ruki. Car jaise hi ruki teeno hi 2 kadam pichhe huye. Ek dusre se najar milate, bilkul khamosh khade the.
Dur se street light ki dhimi raushni aa rahi thi. Uss jagah par halka andhrea tha aur bundabandi shuru thi. Khattt ki dhimi awaj aayi aur car ka darvaja khol kar ek ladki bahar aayi…. Car se jaise hi ek ladki ko utarte dekhe, 3 me se 2 ladkon ki aankhon me chamak saaf dekhi ja sakti thi....
Dono utsukta ke sath ek kadam aage aaye. Ek najar upar se niche uss ladki ko dekhe. Andheri raat me aati halki raushni me bhi uska chehra unhe kisi bulb ki tarah chamkta najar aa raha tha. Un dono ke chehre ki bhavna badli si najar aa rahi thi…..
"Aalambag road".. Ladki ne kuchh puchha aur pucchne ke baad dono ke ore khamoshi se dekhne lagi. Barshat ki iss kaali raat me wah ladki bilkul ghabrayi si nahi dikh rahi thi. Haan bus in dono ladkon ki khamoshi usse chidha rahi thi... Chidh'kar wo ek baar aur puchhi.… "Aalambag bus stand"..
Pichhe khada teesra ladka aage aaya.. hath ke ishare se... "Aage se left"
Ladki usse ek najar dekhi aur thanks kah'kar car ka darwaza jaise kholne lagi... "Suno itni raat ko kisi se pata puchhne se achha hai Google map dekh lo"…
Ladki car ka darwaza kholti hui ruki, pichhe palti... Jaise hi wo palti, jordar bijli kadki. Us ladka aur ladki ki najren ek pal ke liye uljhi aur...
Wo uski pahli jhalak aur wo ladka apne sine ke bayen hisse me hath rakh kar, achanak se badhi dhadkano ko kabu karne ki kosis kar raha tha. Chamakti bijli kab ki ek chhan ko chamak kar poorn andhera kar gayi lekin uss ladke ki aankhon me ab bhi chamak thi. Yun to wapas se andhera chha chuka tha, lekin uske palatne par jab bijli chamki aur uska chehra samne aaye... Lovely, cute, hot, adorable girl ki ultra HD wallpaper ladke ke dimag me download ho gayi, jo aankhon ke home screen par jaa kar save ho gayi thi.
Wah ladki palti thi kuchh javab dene lekin uss ladke ki haalat dekh kar wo bina kuch kahe wahan se nikal gayi... Car ja chuki thi, lekin wo ladka ab bhi apne sine par hath rakhe, wahin khada tha...
"Shastri beta tu to gaya. Waise sach kahun kamal ki ladki thi. Poore lucknow ke Nawabon ke ghar me dundh le fir bhi aisa kohinoor Hira nahi milegi. Main to soch liya hun, yahi tum dono ki bhabhi hogi"… Pahle aage aaye 2 me se pahla dilfek ladke ne bola.
"Madarchod, pahle kaam par dhya de harami. Tu duniya bhar ki ladkiyon ko humari bhabhi hi banana aur hum muth marte rahenge"… Uske sathi dusre ladke ne apne dilfek dost ko harkaya.
"Sala jalata hai harami. Waise bhi Navab Riaz Abdullah Khan ki kam se kam 8 Begum to hongi hi"… Pahle Dilfek dost ne kaha..
"Baap ko 10 hazar na dega to puncher ki dukan pe tujhse puncture lagwayega... Madarchod khud ko nawab kahta hai".. Wapas se dusre dost ne usse sacchai se avgat karvaya.
"Asif, Riaz, dono kya kar rahe ho? Chalo chalte hain"… Maun khada ladka apni chuppi todte huye kahne laga..
Teen pakke yaar, Pandit Vyas Prasad Shastri, Asif Zafar Shiekh aur Riaz Abdullah Khan. Yun to in teeno ke hi apni-apni alag duniya hai, aur alag-alag bada sa mitr mandli, lekin cricket khelte-khelte teeno khasam khas ho gaye aur ab teeno hi apne career banane me lage the...
Middle class jindgi ne jaise teeno ko jhulsaya tha aur teeno hi lagbhag haalaat ke maare the. Kuchh dur baat karte huye paidal chalne ke baad teeno ek ghar ke pass ruke. Riaz ne ghar ki bell bajayi. Aadhi raat se upar ka waqt tha shayad sab so rahe the. 10 minute me 5-6 baar ghanti bajane ke baad ek aurat jamhai leti hui darvaja kholi aur samne teen ladkon ko dekh'kar pahle to ghuri fir chidhte huye bell bajane ka karan puchne lagi.
Asif:- Khala, khaalu hai kya?
Wah aurat Asif ko kaccha chaba jane wali najron se ghurne lagi. Vyas usse picche karte... "Noor Mirza ko kahiye Vyas aaya hai. Sath me ye bhi kahiyega, kisi ko samay diye ho to samay ka khyal rakhe"
Karib 2 minute baad jamhai lete huye ek adher umr ka aadmi darwaje tak aaya aur teeno ko ander aa'kar baithne kaha. Mirja sahab apne panvatti se ek paan ka patta nikal kar uspar chuna aur kattha lagate huye... "Maaf karna dhyan hi nahi raha ki tumhe waqt diya hai. Tumhare walid kaise hain"
Vyas:- Raat ke waqt hum yahan punchayat nahi karne aaye hain Mirja sahab. Na to aap mere pitaji ko jante hain aur na hi humara koi gharelu sampark. Kaam ki baat kar len...
Noor:- Dekho bina paise ke kaam to hone se raha. Ek ke 1 carore 10 lakh rupye lagenge. Wo bhi kewal tum teeno ke marks ke wajah se itne kam me seat offer kar raha hun, warna ek seat ke 2 carore tak mil rahe hain.
Asif:- Tum log yadi paise le'kar admission ka dhandha nahi karte to humara kabka medical me admission ho gaya rahta. Thuuu hai tum jaise logon par.
Noor:- To baithe kyon ho jao.. Shauk se jao aur aandolan karo. Bhrastachar mitao aur admission lo...
Vyas, Asif ko hath dikhate... "Asif, khamosh rah. Noor Mirza hum paise laye hain"
Noor:- Lao do paise...
Vyas ne ishara kiya, Riaz apne hath ki badi troli ko ludka diya. Noor uss troli ko pakda aur lita kar usse khola.... "Kitne hain"
Vyas:- Kitne maange the...
Noor:- Ye to kamal ho gaya, tum chindi logon ke pass 3 carore 30 lakh kahan se aa gaye...
Noor Mirja ne jaise hi apne muh ka shutter khola waise hi Vyas ne chaku ki nok itna tej uski gardan par rakha ki gardan se khun nikalne laga. Noor Mirja ki chinkh nikal gayi. Vyas usse shant rahne ka ishara kiya, lekin tab tak ander ke kamron ki light jal gayi. Darwaje se lage 15 by 12 fit ke hall me uske 3 bete aur 2 betiyan "kya hua abbu" kahte pahunche.
Hall ka najara dekh kar Noor ke bacche kuchh jawabi pratikriya dete uss se pahle hi Asif aur Riaz samne se desi katta tan diya….
Noor:- Tum teeno pagal ho kya? Ye mera ghar hai... Tum jante bhi ho iska anjaam..
Vyas:- Pahal tumne ki thi Noor. Humari koi galti nahi...
Vayas ne apni chaku hatayi. Wo dono bhi apna gun hataye. Noor ne apne bacchon ko wapas apne kamre me bhejne ke baad…. "Tum kya yahan taiyari ke sath aaye ho"
Asif:- Chacha kaam ki baat karo bus... Faltu ki baton me mahol kharab ho sakta hai. Humne puchha tha kya medical ki seat ki fees jahan 80 lakh hai, tum 1 carore 10 lakh kyon maang rahe… Waise hi tumhe bhi paise ke bare me nahi puchhna chahiye tha..
Noor:- Hmmmm !! Galti ho gayi..
Vyas:- Sun lo Noor… iss paise ke bare me hum char logon ko pata hai. Kisi panchve tak khabar pahunchi to jaise iss paise ke bare me 4 logon ko pata hai, thik waise hi tumhare gayab hone ki khabar sirf 3 logon ko pata hogi.. Chal ab jaldi kaam kar.
Kaam hote-hote subah ke 4 baj gaye the. Aankhen jab khuli to ek ladki aawaz de rahi thi. Ek ladki tray me chay liye teeno ko jagaa rahi thi.
Aisf aur Vyas ne chup chap cup utha liya, wahin Riaz ki ghoorti najar uss ladki par thehar gayi. Ladki thodi uncomfortable mehsus karne lagi. Gusse me tray wahin pass ke table par rakhne ke liye jaise hi jhuki, apne chhati ke ore ghurti najron ko dekh kar, 2-4 galiyan bad'badati hui nikal gayi...
Vyas ek thappd khinch kar diya. Shayad thappad ki gunj dusre kamre tak bhi sunai de raha ho. Hasne ki awaj aa rahi thi.… "Kisi ke ghar jao to salikhe se raha kar."
Riaz, apne gal par hath ferte... "Ab main to salikhe se hi tha, bc kutti najar galti se par gayi. Usse bhi to samjhna."..
Asif:- Bc aankh ki galti ko aankh nikal kar samjha dun. Mc kisi ke ghar me dobara aisi harkat ki na to... Vyas, Noor ko awaj laga kahan hai, kaam hua ki nahi...
Teeno baat kar hi rahe the, ussi waqt Noor bhi hall me pahuncha aur Vyas ke hath me 80 lakh ke 3 check dete huye.… "Admission ho gaya hai. Loan ke liye apply kar do bank me. College account me paise jama hote hi cash le jana. Security ke apne check rakho"…
Vyas:- Abhi jo ladki chay le'kar aayi thi, wo kaun thi...
Noor:- Meri chhoti beti, Zoya. Abhi 12th kar rahi hai..
Vyas:- Humare ladke ko ladki kabool hai. Tumhe ladka pasand ho to bolo..
"Bhag Bsdk"… Noor ke muh se pahli pratikriya nikli. Fir Noor apni badi najron se Vyas ko ghurne laga. Usse ghurte dekh Asif uske aankhon ke aage chutki bajate.… "Neet ke exam me kabhi 2 to kabhi 1 marks se rah gaya tha apna Riaz. Padha likha aur poora khandani ladka hai. Kam se kam tumhare khandan me kisi se bhi jyada talented hoga"…
Noor:- Dekho netaji ka phone aaya tha isliye chup hai warna... Raat ko dikha tha teeno ka talent. Chay khatm karo aur niklo yahan se...
Asif:- Hum sarif to hain Noor Mirza, lekin itne nahi ki koi hume chutiya bana'kar chala jaye... Hum shanti se jine wale wo launde hai jiski shanti bhang karne par utne hi ashant ho jate hai... Tum na samjhoge... Bhej dena nikaah kar ke kisi NRI ke sath... Khuda hafij... Chhod uske ghar ki bakwas chay ko, chal..
Vyas aur Riaz dono chay ke cup wahan rakh'kar hanste huye nikal gaya. Noor Mirja teeno ka chehra dekhte hi rah gaya.
Raat ke uss andhere me jo car inse pata puchh'kar aage badhi thi wo bataye raste par chalti hui ek road side bus stop par ruki. Wahan pahle se ek car khadi thi aur bus stop par ek admi uska intzar kar raha tha.
Wah ladki car se utar kar uske pass phunchi, aur apna hath aage badhati... "Hello Nirbhay ji"…
Wah aadmi Nirbhay, ek baar uss ladki ko ghurte huye dekha. Apna hath aage badha kar hath milate... "Hello Sia"
Sia:- Kya hua Nirbhay ji, aap ke chehre se lag raha hai mujhe dekh kar thode wired feel kar rahe ho...
Nirbhay:- Culture badal raha hai suna tha, itna badal jayega aaj dekh raha hun. Ajib to lagega na.
Sia:- Chalen kya??... Ab to apne desh laut aayi hun, culture bhi sikh jaungi, dhire-dhire...
Nirbhay apne driver ko car lane kaha aur khud Sia ke sath baith kar nikala. Dono kuchh dur aage badhe the...
"So Nirbhay ji, mere aane se aap ko padesani to nahi hogi. Yadi aisa ho to bata dena main arrangements dekh lungi"…
"Tum mujhe chacha, kaka, bade bhai kuch bhi kah sakti ho. Bahut sernior hun. Aise naam se pukara jana ajib lag raha hai"…
Ek chhote se vartalaap ke baad bilkul khamosi pasar gayi. Car duplex bunglow ke darwaje se ander ghusi. Charo ore halki raushni thi. Sia ek najar wahan ke charo ore ka lee. Lambi chaudi boundry thi. Boundary ke dono kinare se 3-4 cottage bane huye the aur bich me double storey building thi.
लेकिन अगर आप किसी के बारे में सुरु से पढ़ रहे हो जिसमे उसका बचपन से लेके जवानी तक सब कुछ दिखया गया हो फिर अचानक उस किरदार का प्रोफेशन बदल जाए तो सवाल लाजमी है हम जैसे नार्मल लोगो के लिएnain11ster Bhai, Monty cool Bhai,
Jo log intelligence community ko belong karte hai, unka sabse important task hota hai "khud ki true identity" ko kisi bhi keemat pe sabki (aur khaskar apne dushmano ki) nazaron se bacha ke rakhna.
Khufiya vibhag me kya hi khufiyapanti reh jayegi jab sab ko already pata ho ki samne wala kaun hai aur kya-kya kar sakta hai.
Thanks !!
Monty cool Bhai,लेकिन अगर आप किसी के बारे में सुरु से पढ़ रहे हो जिसमे उसका बचपन से लेके जवानी तक सब कुछ दिखया गया हो फिर अचानक उस किरदार का प्रोफेशन बदल जाए तो सवाल लाजमी है हम जैसे नार्मल लोगो के लिए