• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
Sorry bhai but mene bahi bola jo aapne kaha tha thread close krte samay but koi naa
I'm being happy for u to restart this thread
Bus esseee hi update dete rahna aabse m jarur aapke update pr comment kruga
Bahut sandaar jaa rhi h story
Essee hi lge rho
All tha best

Waiting for next update 😉
Thankooo sooo much... Don't worry aadarsh bhai... Mere reader ek baat jante hain ... Free hun to update ki kami na hogi ... Kaam me fasa hun tabhi update nahi aate ...

Baki don't worry dono sath me mil'kar iss kahani ko poora kar denge
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

CG

Sab Chutiyapa hai Bhaya
1,991
3,547
159
Sweeto ki pitaai to banti hai thodi bahut Som Sia aur Vyas ka discussion shayad next update me hoga


Waise update chota tha agli baar thoda aur badaa karnaa.
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
Awesome update

Superb update

Behtreen update

Bohot hi ummdha update
Thankyou soooo much tiger bhai...

Tino dosto ki funny harkte or daŗu party.
Bhai padh kar apni jawani ke din yaad aa gaye.kya mast din the nainu bro.
Daru ke liye paise ikhakarna👍🏻👍🏻👍🏻👍🏻😜😜😜
Haan haan mujhe bhi Buddha bana dijiye... Main ab bhi jawan hun bus Bihar me pina muskil ho gaya aur ladkhadaye to arsa bit gaye ..... Corona jab se aayi kahin state ke bahar bhi nahi gaya :(
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259

Vade tutne lage he

नैन भाई क्या होगया अचानक जो एक दम से गायब हो गए

nain11ster Are you alright ? sab kuchh thik to hai n ? :?:

Update posted .... delay ke liye maafi... Kaam me fasa tha...
ଭାଇ କେବେ ଆମ ପୃଷ୍ଠା କୁ ବି ଆସ
Kisi odissa bhasha me gaali to na de rahe hain :D
 

vmvish

Banned
290
369
63
Anookool waqt raha to 3 action pack back to back aayenge... Aryamani, Bhanwar-2, and The galexian... Kahan romance me action karwa rahe.. 😂😂😂😂😂

nain11ster Bhai,

Ishq-Risk aur Ishq-Risk ~ Reload me gazab ke action scenes likh ke hi hamari adat kisi ne bigadi hai.

Ab jab Indian Agents ki gupt entry Pak me hone ja rahi hai, toh kuchh toh ghamasaan dekhne milna chahiye na...

"Shershah" ke shabdon me -> "Ye dil maange more !!"

Thanks !!
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

vmvish

Banned
290
369
63
Update:-83





Som sab kuch samjha'kar fir se ek baar poora plan check kiya. Som apne commandig office me tha jab uske pass 2 I'ds pahunchi. Jisme se ek uske dad aur dusra uske boss ka tha. Som apne dad se khud milne gaya aur wahan se sabhi commanding hall me chale aaye...


Avneesh Sinha:- Sir hum aa gaye mission in-charge ke pass. Ab aap kah sakte hain.


Mr. Malhotra:- Sorry... Main iss waqt profession ke bich thoda personal ho raha. Can we talk after 15 minutes?


Som:- Charanjeet dad ke liye ek drink lane bolo. Dad aap kuch der relax karo main ek chhota sa kam khatm kar'ke aaya.


Som apni baat kah'kar jaise hi 2 kadam aage badha... Anurag Malhotra Som ko rokte, "Ek minute yahan aana Pursom." Som mud'kar jaise hi unke karib pahuncha, Anurag usse gale lagate... "I am proud of you my boy. Jao kaam finish kar'ke aao"


Som jab jane ke liye muda, uski aankhen nam thi aur chehre par pyari si muskaan. Yahi haal Mr. Malhotra ka bhi tha. Som wahan se nikal'kar sidha Sanju ke pass pahuncha. Som, Sanju ke sath ek walk lete.…


Som:- So, kaisa mehsus ho raha..


Sanju:- Sab khula-khula aur ek dum dhanshu...


Som:- Charanjeet ne sab samjha diya hai.


Sanju:- Haan... Befikr rahiye boss...


Som:- Tum ho to waise bhi mujhe fikr nahi hai Sanju. Bus apne emotions par kabu rakhna. Hum sari duniya ki problem ko solve nahi kar sakte, isliye aas-pass ho rahe galat chijon se aankh mundna padta hai. Khas'kar tab jab hum kisi dusri country me illegal tarike se guse ho aur kisi mission ke bich me ho.


Sanju:- Galti ho jati hai boss. Kya aap meri jagah hote to uss bacche ko nahi bachate.


Som:- I appreciate your work Sanju, lekin kabhi-kabhi hum bandh jate hain. Ek chhoti si galti ka parinam bhayavah ho sakta hai. Khair rahne do. Aaram se mission complete karo aur sabko sath le'kar aana..


Sanju:- Yes boss...


Sanju ka viman bhi run-way se udaan bhar chuka tha. Som apni jagah wapas pahunch'kar… "So Malhotra sir, hum kaise aapki madad kar sakte hain"..


Mr. Malhotra:- Hum chahte hain Islamabad se humare agents ko rescue karne ke sath ek kaam karte huye aao.…


Som:- Kaun sa kaam sir...


Mr. Malhotra:- Humare agents jab arrest huye tab ek hard drive ghumte firte ek colonel ke pass pahunch gaya. Aur wo hard drive apne office me rakhta hai... Hume wo hard drive chahiye...


IIFA head Avneesh Sinha:- Main samjha nahi. Ek Raw agent ki hard drive ek colonel ke pass hai, tab bhi wo log humare agent ko civilian jail me rakhe hain..


Mr. Malhotra:- Uss colonel ko pata nahi ki uss hard drive me kya hai? Wo to bus uske ander ki porn movie ko apne office me baith'kar enjoy kar raha hai...


Som:- Ye koi badi problem nahi dikhti jo security council aur Raw agency itni chinta me hai. Bus coloneal ke sath chhoti si jaan pahchan aur ek dosti hi ti banani hai. Fir hard drive uss colonel ke sath ja'kar office se la sakte hai. Aakhir issi baat ki to Raw agents ko traning milti hai...


Mr. Malhotra:- Yes you are right. But we have a situation. Hum Pakistani jail me jyada din apne agents ko nahi rahne de sakte. Yadi chhanbin me kuch bhi doubt hua to unhe turant millitary jail me shift kar diya jayega... Dusri baat jail se jaise hi humare agent rescue honge, thik uske baad jail se bhage logon par jaanch baithegi. Chhanbin hogi... Colonel uss hard disc ki chhanbin bhi karwayega…. Kyunki 4 kaidi jail todkar gayab ho gaye iska matlab wo mamuli chor to nahi honge…


Som:- Now we have a situation… Aapka koi field agent iss waqt wahan nahi hai kya?


Mr. Malhotra:- Believe me, yadi wahan ye kaam karne ke liye koi agent hota to main itni der se tum dono ko explain nahi kar raha hota aur na hi apni chhuti barbad kar raha hota.


Som:- Relax sir.… Chief aap kya kahte ho..


Avneesh Sinha:- Ek hard drive ko bhi rescue kar do. Islamabad me apne khabri se contact karo aur usse kaho sahi aadmi ko kharid le...


Som, Vishal Singh aur Sanjay Vaghela se cordinate kar'ke unhe new mission objective samjhane laga. Lagbhag aadhe ghante discuss karne ke baad yah tay hua ki, Sanju apne 2 team'mates ke sath pahle wo hard-disk lega. Aur thik uske baad Vishal Singh mission lead karega, jise second team back-up degi. Uska Incharge ab Praveen Kumar tha.


Som apni poori yojna discuss karne ke baad... "Charanjeet, ye commanding center tumhara. Kuch bhi gadbad lage to mujhe inform karna. Boss aap ruk rahe ho"…


Avneesh Sinha:- Haan main ruk raha hun.


Som:- Ok boss. Chaliye dad, chala jaye... Bahut din ho gaye aapse bhi mile..


Wo dono wahan se nikle. Som aur dad Anurag Malhotra jaise hi bahar aaye.… "2 logon ko civilian jail se nikalna aur ek hard disk ko kisi ke office se gayab karwana, iske liye IIFA ke 36 officer kaam par lage hain. Kamal hai na... Tumhari agency ki koi bhi khabar hume kyun nahi"..


Som:- Dad, abhi yahan bahar aapko ye sab discuss karna hai.


Dad:- I should talk to PM directly...


Som:- Unka PA kahega.. "This is non of your concern"


Dad:- Tumhara actual operation ab Tuesday ko hoga na. Jab kal ya Tuesday tak wo hard disk uss colonel ke office se koi uska mulajim chura'kar tumhare logon ko de nahi deta...


Som:- Dad, ye kya hai?


Dad:- Mujhe jaan'na hai ki tumhari 3 team wahan kis operation par hai.


Som:- Dad aap line cross kar rahe hain. Aapko bhi pata hai ki iss baat ka jawab hum PMO me bhi nahi denge. Aap to sadak par ek agency ki ongoing opration discuss karne ki kosis kar rahe...


Dad:- Thik hai ab se meri najar IIFA par rahegi. Waise kya tum bata sakte ho ki yahan tak pahunche kaise? Kyunki aakhri jo mujhe pata hai, wo ye ki NDA written exam me tum list me sabse aakhri the. Aur tumhe bottom rank se job nahi karni thi.


Som:- Dad aapko hua kya hai... Aap yahi jaan'ne me intrested hai na ki main IIFA me kaise pahuncha...


Dad:- Haan filhaal itna hi.


Som:- Thik hai kal IIFA Lucknow office me main iska jawab dunga. Ab please ye bacchon jaisi harkat band karenge..


Dad, gahri shwans lete... "Achha lag raha hai aise casual hona. Varsho huye casual huye. Som meri ek ikchha hai..


Som:- Kahiye na dad..


Dad:- Yaar teri maa se milne ki ikchha ho rahi hai... Please tu chillana mat...


Som:- Dad.. wo India ki bahut badi hasti hai... Wo aise nahi mil sakti.


Dad:- Tum uss se Diksha ki shadi me mile the na...


Som:- Dadddd !!!


Dad:- Thik hai yaar chidh kyun raha hai..


Som:- Ye humari car ke pichhe kya aapke log hai?


Dad:- Haan mere log hain...


Som:- Kya kuch dino ke liye inhe bhi chutti par nahi bhej sakte. Aapke office me kaam karne wale apne bacchon ko sidha jawan hi dekhte honge... Kyunki 10 baje se raat ke 2 baje tak to ye log National Security Council ke office me hi rahte honge...


Dad:- Now who is talking about whose profession?


Som:- Ohk.. Sorry... Main nahi karta. Lekin please jab ghar me ho to ye protocol wale bodyguard hata lijiye...


Dad:- I cannot do that. Kyunki mere pichhe rahne ka order inko apne department se milta hai. Main to bus apna kuch kaam inse karwa sakta hun. Wo order ye follow karenge...


Som:- Oh aur shayad aapke department wale aapke teeno bacche (Som, Sia aur Diksha) par bhi nigrani rakhte hai na, bina humari jaankari ke..


Dad:- Galat, Som Malhotra par najar rakhne wali team ki tukdi Mishra ji aur bhabhi ki nigrani karti hai... Tum par nigrani karne aayi team ko tum kayi baar chakma de chuke. Jabse Lucknow shift huye aisa kabhi nahi hota ki tumhare aas-pass 2-4 officers na hote ho. IMA se pata chala ki wo log niji taur tumhe suraksha muhaiya karwate hain, kyunki bina kisi fee ke tum unke officers trained karte ho. Mujhe kya pata wo sirf ek fake file thi, yahan to tum apni team ke sath rahte ho...


Som:- Pahli baat ye ki aap baar-baar meri agency ki inquiry karna band karenge. Warna mere boss aapke boss se baat karenge. Aur dusri baat sharm nahi aati apni family par najar dale rahte hain…


Dad:- Absolutely not... Unhe order hain ki kewal sandigdh gatividhiyon aur khatre par respond kare. Iske alawa unhe niji mamle me nigrani rakhne ki jaroorat nahi. Aisa hota to main Zurul Imam ke case me nahi action lene kahta, ya fir Sia ko jab Faizal Sehnavaj ne ghera tha tab nahi action leta...


Som:- Ek minute... Faisal Sehnavaj ne Sia ko ghera tha...


Dad:- Haan ek chhoti si misunderstanding thi. Tab Faisal ko pata nahi tha ki wo wahi Sia hai... Wo Anusia aur Sia me confuse kar gaya…


Som:- Hmmm !!! Khair chhodo... Mujhe to ab bhi yakin nahi ki Zurul Imam ke case me aapne interfare nahi kiya.. Jo mejor mere sath kaam kar raha tha, wo aapke sath bhi kaam kar chuka tha...


Dad:- Kaun?


Som:- Puchh to aise rahe ho jaise aapko kuch pata hi nahi... Ab ye sab baaten band karo, ghar aa gaya hai aur hume grih prawes ka nimantran patr bhi baantna hai...


Som, Anurag Malhotra ke sath cottage me pahuncha. Jaise hi dono pahunchr darvaje par Meera khadi thi.… "Bina bataye kal aap kahan gayab ho gaye the ji"… Som ko dekhte hi Meera sawaliyan najron se puchhne lagi...


Som, Meera ko chup rahne ka ishara karte.… "Wo dad, Meera apne college ke drame me participate kar rahi hai, aur kal se hi mujh par dialogue practice kar rahi. Kyun hai na Meera"..


Meera, khile se chehre banaye naa me apna sir hilati... "Aisa to bilkul"… Shayad kahna chah rahi ho aisa to bilkul bhi nahi lekin bich me hi Som uska muh band kar'ke kinare karte... "Aap ander jao na dad, shayad Meera ko kuch personal baaten karni hai"…


Tabhi Som ko dakka laga aur wo darwaje se ladkhadata hua bahar. Som sambhal'kar jab darwaje par najar dala... "Ek kaam kar tu hi bahar hi nikal"…. Darvaje se hi Lata Mishra, Som ko dhakka deti kahne lagi. Som, Mishrayan ji ko aankh se ishara karte... "Maa dad itne din baad aaye hain"…


Lata:- Anurag se hum mil chuke aur kuch kahna hai...


Som:- Oh wowww !!! Aap log mil chuke.. wowww!!!


Diksha:- Aise bhondu ki tarah reaction dena band kar, yahan teri shadi ke bare me sabko pata hai...


Som:- Dad ko bhi bata diya...


Dad:- Kyun mujhe nahi batana tha kya?


Som, apne dad ke gale lag kar unka gaal chumte…. "I am soooo sorry"..


Dad, Som ki pith thap'thapate… "Why sorry... Gadha kahin ka. Haan thoda dukh hua, lekin abhi family & party time.


Anurag Malhotra khush the aur ek chhoti si family party ka announcement din me hi ho gaya. Haan in sab ke bich ek baat jo sab notice to kar rahe the, lekin koi kuch kah nahi raha tha.… Sia ki anupasthiti.


Yun to Sia ghar par thi lekin usse ummid nahi thi ki Som itni jaldi laut aayega. Sia, Som se chidhti hui khud se hi kah rahi thi... "Abhi to Vyas se mil'kar kamra number 211 ki kahani discuss tak nahi kar payi aur ye chala aaya. Bhagwan isse sabke bich uljhaye rakhna, jab'tak main Vyas se mil'kar sab settle kar leti hun. Kahan hoga Vyas. Ek kaam karti hun Vyas ko ek message kar deti hun"…


Sia khud se baaten khatm karne ke baad phone uthayi aur message type karne lagi.… "Sweeto, tumse milna tha. Main free ho'kar text karoongi, tum taiyar rahna. Pleaseeeeeee..."


Bahar, Som aur sabhi logon ke bich baaten chal rahi thi. Ander Sia, Vyas ko text bhejne ke baad uske reply ka intzar kar rahi thi. Sia kuch der tak Vyas ke reply ka intzar karti rahi, itne me bahar se log chillane lage. Sia phone dekh'kar chhota sa chehra banati… "Lagta hai phone kahin aur hoga"…. Itna sochti wo sabke pass chali aayi.


Ab Sia ko bhi kya pata ki Vyas jahan hai, wahan chal kya raha hai. Kayi ladkon ki bhid thi aur uss bhid ke bich me Vyas, MBBS final year student ka girewaan pakda tha. Haan Vyas ka bhi girewaan usne pakad rakha tha... Aur wahan ka mahol... Mahol to puchhiye hi mat.…..






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>

nain11ster Bhai,

Badhiya update tha aaj ka

Achanak se apne putra ko Defence Establishment ke ek bahut hi reputed officer ke roop me dekh ke Anurag ji bahut proud feel kar rahe hai Som par.

Unka achanak se kyu mann hua Anurag ka apni bewafa bhutpurv-patni se milne ka ? Taki ye bata sake ki "Dekh tere bina bhi mera beta kya ban gaya hai" ?? Right ???

Anurag ko ab Som ke career life ke blank areas fill karne hai, lekin Som unse open me aur openly kuchh bhi discuss nahi karna chahta hai...

Chhutti pe aye hai, aur ab Family time aur Party time hi hona hai.

Sia tension me hai ki Som ko kya kahani sunani hai. Ki voh kyu Vyas ke sath 211 ti taraf ja rahi thi ??

Idhar ab Vyas kaha pe apne seeng adaye baitha hai ? Team-X ne toh nahi ghera dala hai ??

Jaldi se agla update dijiye aur action time arambh kijiye. Pak wala bhi aur Vyas wala bhi.

Thanks !!
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
Top