• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

vmvish

Banned
290
369
63
Aa gaye ho to update bhi de do nain bhai..... Gate ka exam sir pe tha to review nhi de paya ...koi na ab free hu to de dunga ek do din me baki update padh leta hu bich bich me
Indrajeet Bhai,

Hame ummeed ki aap ne darwaze pe jhande gaad diye honge !!
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
Update:-83





Som sab kuch samjha'kar fir se ek baar poora plan check kiya. Som apne commandig office me tha jab uske pass 2 I'ds pahunchi. Jisme se ek uske dad aur dusra uske boss ka tha. Som apne dad se khud milne gaya aur wahan se sabhi commanding hall me chale aaye...


Avneesh Sinha:- Sir hum aa gaye mission in-charge ke pass. Ab aap kah sakte hain.


Mr. Malhotra:- Sorry... Main iss waqt profession ke bich thoda personal ho raha. Can we talk after 15 minutes?


Som:- Charanjeet dad ke liye ek drink lane bolo. Dad aap kuch der relax karo main ek chhota sa kam khatm kar'ke aaya.


Som apni baat kah'kar jaise hi 2 kadam aage badha... Anurag Malhotra Som ko rokte, "Ek minute yahan aana Pursom." Som mud'kar jaise hi unke karib pahuncha, Anurag usse gale lagate... "I am proud of you my boy. Jao kaam finish kar'ke aao"


Som jab jane ke liye muda, uski aankhen nam thi aur chehre par pyari si muskaan. Yahi haal Mr. Malhotra ka bhi tha. Som wahan se nikal'kar sidha Sanju ke pass pahuncha. Som, Sanju ke sath ek walk lete.…


Som:- So, kaisa mehsus ho raha..


Sanju:- Sab khula-khula aur ek dum dhanshu...


Som:- Charanjeet ne sab samjha diya hai.


Sanju:- Haan... Befikr rahiye boss...


Som:- Tum ho to waise bhi mujhe fikr nahi hai Sanju. Bus apne emotions par kabu rakhna. Hum sari duniya ki problem ko solve nahi kar sakte, isliye aas-pass ho rahe galat chijon se aankh mundna padta hai. Khas'kar tab jab hum kisi dusri country me illegal tarike se guse ho aur kisi mission ke bich me ho.


Sanju:- Galti ho jati hai boss. Kya aap meri jagah hote to uss bacche ko nahi bachate.


Som:- I appreciate your work Sanju, lekin kabhi-kabhi hum bandh jate hain. Ek chhoti si galti ka parinam bhayavah ho sakta hai. Khair rahne do. Aaram se mission complete karo aur sabko sath le'kar aana..


Sanju:- Yes boss...


Sanju ka viman bhi run-way se udaan bhar chuka tha. Som apni jagah wapas pahunch'kar… "So Malhotra sir, hum kaise aapki madad kar sakte hain"..


Mr. Malhotra:- Hum chahte hain Islamabad se humare agents ko rescue karne ke sath ek kaam karte huye aao.…


Som:- Kaun sa kaam sir...


Mr. Malhotra:- Humare agents jab arrest huye tab ek hard drive ghumte firte ek colonel ke pass pahunch gaya. Aur wo hard drive apne office me rakhta hai... Hume wo hard drive chahiye...


IIFA head Avneesh Sinha:- Main samjha nahi. Ek Raw agent ki hard drive ek colonel ke pass hai, tab bhi wo log humare agent ko civilian jail me rakhe hain..


Mr. Malhotra:- Uss colonel ko pata nahi ki uss hard drive me kya hai? Wo to bus uske ander ki porn movie ko apne office me baith'kar enjoy kar raha hai...


Som:- Ye koi badi problem nahi dikhti jo security council aur Raw agency itni chinta me hai. Bus coloneal ke sath chhoti si jaan pahchan aur ek dosti hi ti banani hai. Fir hard drive uss colonel ke sath ja'kar office se la sakte hai. Aakhir issi baat ki to Raw agents ko traning milti hai...


Mr. Malhotra:- Yes you are right. But we have a situation. Hum Pakistani jail me jyada din apne agents ko nahi rahne de sakte. Yadi chhanbin me kuch bhi doubt hua to unhe turant millitary jail me shift kar diya jayega... Dusri baat jail se jaise hi humare agent rescue honge, thik uske baad jail se bhage logon par jaanch baithegi. Chhanbin hogi... Colonel uss hard disc ki chhanbin bhi karwayega…. Kyunki 4 kaidi jail todkar gayab ho gaye iska matlab wo mamuli chor to nahi honge…


Som:- Now we have a situation… Aapka koi field agent iss waqt wahan nahi hai kya?


Mr. Malhotra:- Believe me, yadi wahan ye kaam karne ke liye koi agent hota to main itni der se tum dono ko explain nahi kar raha hota aur na hi apni chhuti barbad kar raha hota.


Som:- Relax sir.… Chief aap kya kahte ho..


Avneesh Sinha:- Ek hard drive ko bhi rescue kar do. Islamabad me apne khabri se contact karo aur usse kaho sahi aadmi ko kharid le...


Som, Vishal Singh aur Sanjay Vaghela se cordinate kar'ke unhe new mission objective samjhane laga. Lagbhag aadhe ghante discuss karne ke baad yah tay hua ki, Sanju apne 2 team'mates ke sath pahle wo hard-disk lega. Aur thik uske baad Vishal Singh mission lead karega, jise second team back-up degi. Uska Incharge ab Praveen Kumar tha.


Som apni poori yojna discuss karne ke baad... "Charanjeet, ye commanding center tumhara. Kuch bhi gadbad lage to mujhe inform karna. Boss aap ruk rahe ho"…


Avneesh Sinha:- Haan main ruk raha hun.


Som:- Ok boss. Chaliye dad, chala jaye... Bahut din ho gaye aapse bhi mile..


Wo dono wahan se nikle. Som aur dad Anurag Malhotra jaise hi bahar aaye.… "2 logon ko civilian jail se nikalna aur ek hard disk ko kisi ke office se gayab karwana, iske liye IIFA ke 36 officer kaam par lage hain. Kamal hai na... Tumhari agency ki koi bhi khabar hume kyun nahi"..


Som:- Dad, abhi yahan bahar aapko ye sab discuss karna hai.


Dad:- I should talk to PM directly...


Som:- Unka PA kahega.. "This is non of your concern"


Dad:- Tumhara actual operation ab Tuesday ko hoga na. Jab kal ya Tuesday tak wo hard disk uss colonel ke office se koi uska mulajim chura'kar tumhare logon ko de nahi deta...


Som:- Dad, ye kya hai?


Dad:- Mujhe jaan'na hai ki tumhari 3 team wahan kis operation par hai.


Som:- Dad aap line cross kar rahe hain. Aapko bhi pata hai ki iss baat ka jawab hum PMO me bhi nahi denge. Aap to sadak par ek agency ki ongoing opration discuss karne ki kosis kar rahe...


Dad:- Thik hai ab se meri najar IIFA par rahegi. Waise kya tum bata sakte ho ki yahan tak pahunche kaise? Kyunki aakhri jo mujhe pata hai, wo ye ki NDA written exam me tum list me sabse aakhri the. Aur tumhe bottom rank se job nahi karni thi.


Som:- Dad aapko hua kya hai... Aap yahi jaan'ne me intrested hai na ki main IIFA me kaise pahuncha...


Dad:- Haan filhaal itna hi.


Som:- Thik hai kal IIFA Lucknow office me main iska jawab dunga. Ab please ye bacchon jaisi harkat band karenge..


Dad, gahri shwans lete... "Achha lag raha hai aise casual hona. Varsho huye casual huye. Som meri ek ikchha hai..


Som:- Kahiye na dad..


Dad:- Yaar teri maa se milne ki ikchha ho rahi hai... Please tu chillana mat...


Som:- Dad.. wo India ki bahut badi hasti hai... Wo aise nahi mil sakti.


Dad:- Tum uss se Diksha ki shadi me mile the na...


Som:- Dadddd !!!


Dad:- Thik hai yaar chidh kyun raha hai..


Som:- Ye humari car ke pichhe kya aapke log hai?


Dad:- Haan mere log hain...


Som:- Kya kuch dino ke liye inhe bhi chutti par nahi bhej sakte. Aapke office me kaam karne wale apne bacchon ko sidha jawan hi dekhte honge... Kyunki 10 baje se raat ke 2 baje tak to ye log National Security Council ke office me hi rahte honge...


Dad:- Now who is talking about whose profession?


Som:- Ohk.. Sorry... Main nahi karta. Lekin please jab ghar me ho to ye protocol wale bodyguard hata lijiye...


Dad:- I cannot do that. Kyunki mere pichhe rahne ka order inko apne department se milta hai. Main to bus apna kuch kaam inse karwa sakta hun. Wo order ye follow karenge...


Som:- Oh aur shayad aapke department wale aapke teeno bacche (Som, Sia aur Diksha) par bhi nigrani rakhte hai na, bina humari jaankari ke..


Dad:- Galat, Som Malhotra par najar rakhne wali team ki tukdi Mishra ji aur bhabhi ki nigrani karti hai... Tum par nigrani karne aayi team ko tum kayi baar chakma de chuke. Jabse Lucknow shift huye aisa kabhi nahi hota ki tumhare aas-pass 2-4 officers na hote ho. IMA se pata chala ki wo log niji taur tumhe suraksha muhaiya karwate hain, kyunki bina kisi fee ke tum unke officers trained karte ho. Mujhe kya pata wo sirf ek fake file thi, yahan to tum apni team ke sath rahte ho...


Som:- Pahli baat ye ki aap baar-baar meri agency ki inquiry karna band karenge. Warna mere boss aapke boss se baat karenge. Aur dusri baat sharm nahi aati apni family par najar dale rahte hain…


Dad:- Absolutely not... Unhe order hain ki kewal sandigdh gatividhiyon aur khatre par respond kare. Iske alawa unhe niji mamle me nigrani rakhne ki jaroorat nahi. Aisa hota to main Zurul Imam ke case me nahi action lene kahta, ya fir Sia ko jab Faizal Sehnavaj ne ghera tha tab nahi action leta...


Som:- Ek minute... Faisal Sehnavaj ne Sia ko ghera tha...


Dad:- Haan ek chhoti si misunderstanding thi. Tab Faisal ko pata nahi tha ki wo wahi Sia hai... Wo Anusia aur Sia me confuse kar gaya…


Som:- Hmmm !!! Khair chhodo... Mujhe to ab bhi yakin nahi ki Zurul Imam ke case me aapne interfare nahi kiya.. Jo mejor mere sath kaam kar raha tha, wo aapke sath bhi kaam kar chuka tha...


Dad:- Kaun?


Som:- Puchh to aise rahe ho jaise aapko kuch pata hi nahi... Ab ye sab baaten band karo, ghar aa gaya hai aur hume grih prawes ka nimantran patr bhi baantna hai...


Som, Anurag Malhotra ke sath cottage me pahuncha. Jaise hi dono pahunchr darvaje par Meera khadi thi.… "Bina bataye kal aap kahan gayab ho gaye the ji"… Som ko dekhte hi Meera sawaliyan najron se puchhne lagi...


Som, Meera ko chup rahne ka ishara karte.… "Wo dad, Meera apne college ke drame me participate kar rahi hai, aur kal se hi mujh par dialogue practice kar rahi. Kyun hai na Meera"..


Meera, khile se chehre banaye naa me apna sir hilati... "Aisa to bilkul"… Shayad kahna chah rahi ho aisa to bilkul bhi nahi lekin bich me hi Som uska muh band kar'ke kinare karte... "Aap ander jao na dad, shayad Meera ko kuch personal baaten karni hai"…


Tabhi Som ko dakka laga aur wo darwaje se ladkhadata hua bahar. Som sambhal'kar jab darwaje par najar dala... "Ek kaam kar tu hi bahar hi nikal"…. Darvaje se hi Lata Mishra, Som ko dhakka deti kahne lagi. Som, Mishrayan ji ko aankh se ishara karte... "Maa dad itne din baad aaye hain"…


Lata:- Anurag se hum mil chuke aur kuch kahna hai...


Som:- Oh wowww !!! Aap log mil chuke.. wowww!!!


Diksha:- Aise bhondu ki tarah reaction dena band kar, yahan teri shadi ke bare me sabko pata hai...


Som:- Dad ko bhi bata diya...


Dad:- Kyun mujhe nahi batana tha kya?


Som, apne dad ke gale lag kar unka gaal chumte…. "I am soooo sorry"..


Dad, Som ki pith thap'thapate… "Why sorry... Gadha kahin ka. Haan thoda dukh hua, lekin abhi family & party time.


Anurag Malhotra khush the aur ek chhoti si family party ka announcement din me hi ho gaya. Haan in sab ke bich ek baat jo sab notice to kar rahe the, lekin koi kuch kah nahi raha tha.… Sia ki anupasthiti.


Yun to Sia ghar par thi lekin usse ummid nahi thi ki Som itni jaldi laut aayega. Sia, Som se chidhti hui khud se hi kah rahi thi... "Abhi to Vyas se mil'kar kamra number 211 ki kahani discuss tak nahi kar payi aur ye chala aaya. Bhagwan isse sabke bich uljhaye rakhna, jab'tak main Vyas se mil'kar sab settle kar leti hun. Kahan hoga Vyas. Ek kaam karti hun Vyas ko ek message kar deti hun"…


Sia khud se baaten khatm karne ke baad phone uthayi aur message type karne lagi.… "Sweeto, tumse milna tha. Main free ho'kar text karoongi, tum taiyar rahna. Pleaseeeeeee..."


Bahar, Som aur sabhi logon ke bich baaten chal rahi thi. Ander Sia, Vyas ko text bhejne ke baad uske reply ka intzar kar rahi thi. Sia kuch der tak Vyas ke reply ka intzar karti rahi, itne me bahar se log chillane lage. Sia phone dekh'kar chhota sa chehra banati… "Lagta hai phone kahin aur hoga"…. Itna sochti wo sabke pass chali aayi.


Ab Sia ko bhi kya pata ki Vyas jahan hai, wahan chal kya raha hai. Kayi ladkon ki bhid thi aur uss bhid ke bich me Vyas, MBBS final year student ka girewaan pakda tha. Haan Vyas ka bhi girewaan usne pakad rakha tha... Aur wahan ka mahol... Mahol to puchhiye hi mat.…..





<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
लेकिन अगर आप किसी के बारे में सुरु से पढ़ रहे हो जिसमे उसका बचपन से लेके जवानी तक सब कुछ दिखया गया हो फिर अचानक उस किरदार का प्रोफेशन बदल जाए तो सवाल लाजमी है हम जैसे नार्मल लोगो के लिए

Monty cool Bhai,

Ib i khulasa toh sirf lekhak mahoday hi de payi...

Bataiye nain11ster ji...

Thanks !!
Itna khulasa mujhse na ho payega... I am like khadus wife... Khana jaise bhi paka ho... Kacha, pakka, ya jala... Chup chap khane ka aur dil se tarif karne ka... Samjhe ki nahi dono :vangry:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
Khud ne bhaag ke gup chup shadi kar li to Som ki bhi karwa di aur uske piche apna kaand chupa gaye.

Riaz kuch jyada hi smart nahi hai kya 😲 ?? Kahin wo Som n baapu ki baat to nahi sun raha air duct se ?
Hahaha... Hume to forum tak se na chhipaya CG bhai... But ju... Itne update padhne ke baad aaj dikh rahe .. khud chhup chhup padhte uss par bhi koi charcha hogi :D

Nahi Som to Lucknow Air station ke base par hai... Aur Riaz lucknow office ... 2 alag alag jagah hai...
 

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
आप की और वि जे भाई की स्टोरी को प्रेडिक्ट करना बहुत ही मुश्किल है । अनुमान हम कुछ और लगाते हैं और दिखा कुछ और ही देते हैं आप लोग ।
रियाज अब्दुल्लाह खान पर मैंने बहुत पहले ही संदेह किया था कि वो विश्वशनीय आदमी नहीं है और पहले के कुछ अपडेट्स ने मेरी बात पर मुहर भी लगाई । लेकिन जैसा कि हम जानते थे , हमारे अनुमान को धता करते हुए रियाज को एक हरफनमौला खिलाड़ी के रूप में शो कर दिया ।

रियाज के कहे अनुसार सिया ग्रूप , किर्ति ग्रूप के बाद एक तीसरा ग्रूप भी है और वो है एक्स ग्रूप । मैंने पहले भी आशंका जताई थी कि कुछ लोग सिया के पीछे लगे हुए हैं लेकिन उनका एक्चुअल मकसद क्या था यह समझ में नहीं आ रहा था । मुझे यह भी शक था कि कहीं न कहीं इन सब चीजों के पीछे मिस्टर कुमार और उनकी पत्नी साधना का हाथ हो सकता है । आखिर बेटी है वो उनकी । मिस्टर कुमार अपनी बेटी का बुरा तो सोच नहीं सकते पर उसे मल्होत्रा परिवार और मिश्रा परिवार से दूर करने के लिए हर संभव कोशिश जरूर कर सकते हैं ।
वैसे रियाज ने ओवर स्मार्टनेस वाला काम किया इस पुरे मामले में । उसे सारी चीजें जो उसे संदिग्ध लग रही थी , अपने दोस्तों , सिया और सोम से शेयर करनी चाहिए थी ।

सोम एक गवर्नमेंट की डिफेंस से सम्बंधित एक ऐसी ओरर्गनाइजेशन पर कार्यरत अधिकारी है जिसका प्रमुख कार्य विदेशों में फंसे हिंदुस्तानी एजेंट को सुरक्षित वापस ले आना है । लेकिन इस संगठन के बारे में मैंने पहले कभी सुना नहीं । मुझे लगता है एक रेस्क्यू डिपार्टमेंट प्राकृतिक विपदाओं से बचाने के लिए बनी हुई है । और जहां तक विदेशों में फंसे अपने एजेंट का रेस्क्यू करना है तो वो नेशनल सेकयूरिटी , राॅ , हमारी सेना , सी आई एस एफ वगैरह की टीम काम करती है ।
इस के बारे में मेरा डाउट क्लियर कीजियेगा नैन भाई !

हमेशा की तरह अपडेट्स बेहद ही खूबसूरत थे नैन भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग ।
Hahahaha... Areee ye jo department hai ye naya naya aaya hai... IIRA ... Abhi haali taza jis din aapne update me dekha... Uss se pahle astitva me nahi tha... Matlab kalpnik hai.... Baharhaal kahani shuru se hi thode thrill ke jayke me chal rahi thi... Jahan pahla part Som aur Sia ki zindgi thi to ab ye MR. X .... Bus inhi jaykon ke sath pyar ke humrahi sab aahe badhenge Sanju bhai.... :hug:
 
  • Love
Reactions: SANJU ( V. R. )

Pass1234

.:| BFF |:. @s.r.a.j.p.u.t_s.r__
862
1,114
139
Update:-83





Som sab kuch samjha'kar fir se ek baar poora plan check kiya. Som apne commandig office me tha jab uske pass 2 I'ds pahunchi. Jisme se ek uske dad aur dusra uske boss ka tha. Som apne dad se khud milne gaya aur wahan se sabhi commanding hall me chale aaye...


Avneesh Sinha:- Sir hum aa gaye mission in-charge ke pass. Ab aap kah sakte hain.


Mr. Malhotra:- Sorry... Main iss waqt profession ke bich thoda personal ho raha. Can we talk after 15 minutes?


Som:- Charanjeet dad ke liye ek drink lane bolo. Dad aap kuch der relax karo main ek chhota sa kam khatm kar'ke aaya.


Som apni baat kah'kar jaise hi 2 kadam aage badha... Anurag Malhotra Som ko rokte, "Ek minute yahan aana Pursom." Som mud'kar jaise hi unke karib pahuncha, Anurag usse gale lagate... "I am proud of you my boy. Jao kaam finish kar'ke aao"


Som jab jane ke liye muda, uski aankhen nam thi aur chehre par pyari si muskaan. Yahi haal Mr. Malhotra ka bhi tha. Som wahan se nikal'kar sidha Sanju ke pass pahuncha. Som, Sanju ke sath ek walk lete.…


Som:- So, kaisa mehsus ho raha..


Sanju:- Sab khula-khula aur ek dum dhanshu...


Som:- Charanjeet ne sab samjha diya hai.


Sanju:- Haan... Befikr rahiye boss...


Som:- Tum ho to waise bhi mujhe fikr nahi hai Sanju. Bus apne emotions par kabu rakhna. Hum sari duniya ki problem ko solve nahi kar sakte, isliye aas-pass ho rahe galat chijon se aankh mundna padta hai. Khas'kar tab jab hum kisi dusri country me illegal tarike se guse ho aur kisi mission ke bich me ho.


Sanju:- Galti ho jati hai boss. Kya aap meri jagah hote to uss bacche ko nahi bachate.


Som:- I appreciate your work Sanju, lekin kabhi-kabhi hum bandh jate hain. Ek chhoti si galti ka parinam bhayavah ho sakta hai. Khair rahne do. Aaram se mission complete karo aur sabko sath le'kar aana..


Sanju:- Yes boss...


Sanju ka viman bhi run-way se udaan bhar chuka tha. Som apni jagah wapas pahunch'kar… "So Malhotra sir, hum kaise aapki madad kar sakte hain"..


Mr. Malhotra:- Hum chahte hain Islamabad se humare agents ko rescue karne ke sath ek kaam karte huye aao.…


Som:- Kaun sa kaam sir...


Mr. Malhotra:- Humare agents jab arrest huye tab ek hard drive ghumte firte ek colonel ke pass pahunch gaya. Aur wo hard drive apne office me rakhta hai... Hume wo hard drive chahiye...


IIFA head Avneesh Sinha:- Main samjha nahi. Ek Raw agent ki hard drive ek colonel ke pass hai, tab bhi wo log humare agent ko civilian jail me rakhe hain..


Mr. Malhotra:- Uss colonel ko pata nahi ki uss hard drive me kya hai? Wo to bus uske ander ki porn movie ko apne office me baith'kar enjoy kar raha hai...


Som:- Ye koi badi problem nahi dikhti jo security council aur Raw agency itni chinta me hai. Bus coloneal ke sath chhoti si jaan pahchan aur ek dosti hi ti banani hai. Fir hard drive uss colonel ke sath ja'kar office se la sakte hai. Aakhir issi baat ki to Raw agents ko traning milti hai...


Mr. Malhotra:- Yes you are right. But we have a situation. Hum Pakistani jail me jyada din apne agents ko nahi rahne de sakte. Yadi chhanbin me kuch bhi doubt hua to unhe turant millitary jail me shift kar diya jayega... Dusri baat jail se jaise hi humare agent rescue honge, thik uske baad jail se bhage logon par jaanch baithegi. Chhanbin hogi... Colonel uss hard disc ki chhanbin bhi karwayega…. Kyunki 4 kaidi jail todkar gayab ho gaye iska matlab wo mamuli chor to nahi honge…


Som:- Now we have a situation… Aapka koi field agent iss waqt wahan nahi hai kya?


Mr. Malhotra:- Believe me, yadi wahan ye kaam karne ke liye koi agent hota to main itni der se tum dono ko explain nahi kar raha hota aur na hi apni chhuti barbad kar raha hota.


Som:- Relax sir.… Chief aap kya kahte ho..


Avneesh Sinha:- Ek hard drive ko bhi rescue kar do. Islamabad me apne khabri se contact karo aur usse kaho sahi aadmi ko kharid le...


Som, Vishal Singh aur Sanjay Vaghela se cordinate kar'ke unhe new mission objective samjhane laga. Lagbhag aadhe ghante discuss karne ke baad yah tay hua ki, Sanju apne 2 team'mates ke sath pahle wo hard-disk lega. Aur thik uske baad Vishal Singh mission lead karega, jise second team back-up degi. Uska Incharge ab Praveen Kumar tha.


Som apni poori yojna discuss karne ke baad... "Charanjeet, ye commanding center tumhara. Kuch bhi gadbad lage to mujhe inform karna. Boss aap ruk rahe ho"…


Avneesh Sinha:- Haan main ruk raha hun.


Som:- Ok boss. Chaliye dad, chala jaye... Bahut din ho gaye aapse bhi mile..


Wo dono wahan se nikle. Som aur dad Anurag Malhotra jaise hi bahar aaye.… "2 logon ko civilian jail se nikalna aur ek hard disk ko kisi ke office se gayab karwana, iske liye IIFA ke 36 officer kaam par lage hain. Kamal hai na... Tumhari agency ki koi bhi khabar hume kyun nahi"..


Som:- Dad, abhi yahan bahar aapko ye sab discuss karna hai.


Dad:- I should talk to PM directly...


Som:- Unka PA kahega.. "This is non of your concern"


Dad:- Tumhara actual operation ab Tuesday ko hoga na. Jab kal ya Tuesday tak wo hard disk uss colonel ke office se koi uska mulajim chura'kar tumhare logon ko de nahi deta...


Som:- Dad, ye kya hai?


Dad:- Mujhe jaan'na hai ki tumhari 3 team wahan kis operation par hai.


Som:- Dad aap line cross kar rahe hain. Aapko bhi pata hai ki iss baat ka jawab hum PMO me bhi nahi denge. Aap to sadak par ek agency ki ongoing opration discuss karne ki kosis kar rahe...


Dad:- Thik hai ab se meri najar IIFA par rahegi. Waise kya tum bata sakte ho ki yahan tak pahunche kaise? Kyunki aakhri jo mujhe pata hai, wo ye ki NDA written exam me tum list me sabse aakhri the. Aur tumhe bottom rank se job nahi karni thi.


Som:- Dad aapko hua kya hai... Aap yahi jaan'ne me intrested hai na ki main IIFA me kaise pahuncha...


Dad:- Haan filhaal itna hi.


Som:- Thik hai kal IIFA Lucknow office me main iska jawab dunga. Ab please ye bacchon jaisi harkat band karenge..


Dad, gahri shwans lete... "Achha lag raha hai aise casual hona. Varsho huye casual huye. Som meri ek ikchha hai..


Som:- Kahiye na dad..


Dad:- Yaar teri maa se milne ki ikchha ho rahi hai... Please tu chillana mat...


Som:- Dad.. wo India ki bahut badi hasti hai... Wo aise nahi mil sakti.


Dad:- Tum uss se Diksha ki shadi me mile the na...


Som:- Dadddd !!!


Dad:- Thik hai yaar chidh kyun raha hai..


Som:- Ye humari car ke pichhe kya aapke log hai?


Dad:- Haan mere log hain...


Som:- Kya kuch dino ke liye inhe bhi chutti par nahi bhej sakte. Aapke office me kaam karne wale apne bacchon ko sidha jawan hi dekhte honge... Kyunki 10 baje se raat ke 2 baje tak to ye log National Security Council ke office me hi rahte honge...


Dad:- Now who is talking about whose profession?


Som:- Ohk.. Sorry... Main nahi karta. Lekin please jab ghar me ho to ye protocol wale bodyguard hata lijiye...


Dad:- I cannot do that. Kyunki mere pichhe rahne ka order inko apne department se milta hai. Main to bus apna kuch kaam inse karwa sakta hun. Wo order ye follow karenge...


Som:- Oh aur shayad aapke department wale aapke teeno bacche (Som, Sia aur Diksha) par bhi nigrani rakhte hai na, bina humari jaankari ke..


Dad:- Galat, Som Malhotra par najar rakhne wali team ki tukdi Mishra ji aur bhabhi ki nigrani karti hai... Tum par nigrani karne aayi team ko tum kayi baar chakma de chuke. Jabse Lucknow shift huye aisa kabhi nahi hota ki tumhare aas-pass 2-4 officers na hote ho. IMA se pata chala ki wo log niji taur tumhe suraksha muhaiya karwate hain, kyunki bina kisi fee ke tum unke officers trained karte ho. Mujhe kya pata wo sirf ek fake file thi, yahan to tum apni team ke sath rahte ho...


Som:- Pahli baat ye ki aap baar-baar meri agency ki inquiry karna band karenge. Warna mere boss aapke boss se baat karenge. Aur dusri baat sharm nahi aati apni family par najar dale rahte hain…


Dad:- Absolutely not... Unhe order hain ki kewal sandigdh gatividhiyon aur khatre par respond kare. Iske alawa unhe niji mamle me nigrani rakhne ki jaroorat nahi. Aisa hota to main Zurul Imam ke case me nahi action lene kahta, ya fir Sia ko jab Faizal Sehnavaj ne ghera tha tab nahi action leta...


Som:- Ek minute... Faisal Sehnavaj ne Sia ko ghera tha...


Dad:- Haan ek chhoti si misunderstanding thi. Tab Faisal ko pata nahi tha ki wo wahi Sia hai... Wo Anusia aur Sia me confuse kar gaya…


Som:- Hmmm !!! Khair chhodo... Mujhe to ab bhi yakin nahi ki Zurul Imam ke case me aapne interfare nahi kiya.. Jo mejor mere sath kaam kar raha tha, wo aapke sath bhi kaam kar chuka tha...


Dad:- Kaun?


Som:- Puchh to aise rahe ho jaise aapko kuch pata hi nahi... Ab ye sab baaten band karo, ghar aa gaya hai aur hume grih prawes ka nimantran patr bhi baantna hai...


Som, Anurag Malhotra ke sath cottage me pahuncha. Jaise hi dono pahunchr darvaje par Meera khadi thi.… "Bina bataye kal aap kahan gayab ho gaye the ji"… Som ko dekhte hi Meera sawaliyan najron se puchhne lagi...


Som, Meera ko chup rahne ka ishara karte.… "Wo dad, Meera apne college ke drame me participate kar rahi hai, aur kal se hi mujh par dialogue practice kar rahi. Kyun hai na Meera"..


Meera, khile se chehre banaye naa me apna sir hilati... "Aisa to bilkul"… Shayad kahna chah rahi ho aisa to bilkul bhi nahi lekin bich me hi Som uska muh band kar'ke kinare karte... "Aap ander jao na dad, shayad Meera ko kuch personal baaten karni hai"…


Tabhi Som ko dakka laga aur wo darwaje se ladkhadata hua bahar. Som sambhal'kar jab darwaje par najar dala... "Ek kaam kar tu hi bahar hi nikal"…. Darvaje se hi Lata Mishra, Som ko dhakka deti kahne lagi. Som, Mishrayan ji ko aankh se ishara karte... "Maa dad itne din baad aaye hain"…


Lata:- Anurag se hum mil chuke aur kuch kahna hai...


Som:- Oh wowww !!! Aap log mil chuke.. wowww!!!


Diksha:- Aise bhondu ki tarah reaction dena band kar, yahan teri shadi ke bare me sabko pata hai...


Som:- Dad ko bhi bata diya...


Dad:- Kyun mujhe nahi batana tha kya?


Som, apne dad ke gale lag kar unka gaal chumte…. "I am soooo sorry"..


Dad, Som ki pith thap'thapate… "Why sorry... Gadha kahin ka. Haan thoda dukh hua, lekin abhi family & party time.


Anurag Malhotra khush the aur ek chhoti si family party ka announcement din me hi ho gaya. Haan in sab ke bich ek baat jo sab notice to kar rahe the, lekin koi kuch kah nahi raha tha.… Sia ki anupasthiti.


Yun to Sia ghar par thi lekin usse ummid nahi thi ki Som itni jaldi laut aayega. Sia, Som se chidhti hui khud se hi kah rahi thi... "Abhi to Vyas se mil'kar kamra number 211 ki kahani discuss tak nahi kar payi aur ye chala aaya. Bhagwan isse sabke bich uljhaye rakhna, jab'tak main Vyas se mil'kar sab settle kar leti hun. Kahan hoga Vyas. Ek kaam karti hun Vyas ko ek message kar deti hun"…


Sia khud se baaten khatm karne ke baad phone uthayi aur message type karne lagi.… "Sweeto, tumse milna tha. Main free ho'kar text karoongi, tum taiyar rahna. Pleaseeeeeee..."


Bahar, Som aur sabhi logon ke bich baaten chal rahi thi. Ander Sia, Vyas ko text bhejne ke baad uske reply ka intzar kar rahi thi. Sia kuch der tak Vyas ke reply ka intzar karti rahi, itne me bahar se log chillane lage. Sia phone dekh'kar chhota sa chehra banati… "Lagta hai phone kahin aur hoga"…. Itna sochti wo sabke pass chali aayi.


Ab Sia ko bhi kya pata ki Vyas jahan hai, wahan chal kya raha hai. Kayi ladkon ki bhid thi aur uss bhid ke bich me Vyas, MBBS final year student ka girewaan pakda tha. Haan Vyas ka bhi girewaan usne pakad rakha tha... Aur wahan ka mahol... Mahol to puchhiye hi mat.…..






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Kya kand kara rahe abb
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
Update plzzz

नैन भाई सब कुशल मंगल है ना क्योंकि आप की कोई खबर नहीं मिल रहि है

Intjaar rahega dost

क्या बात है नैन भाई इस बार बिन बातये ही निकल लिए


❤❤❤SECOND HONEYMOON ❤❤❤

nain11ster bhai,

Bina bole dobara se gayab ho last 2 din se...

Sab khairiyat ??

Please take care...

Thanks !!

सब खैरियत ही है । मुझे लगता है कांटेस्ट वाली स्टोरी लिख रहे होंगे । वेलेंटाइन डे तक वो कांटेस्ट शुरू हो जाए शायद ।
और अगर स्टोरी नहीं लिख रहे हैं तो जरूर अपने काम पर फोकस किए होंगे ।

koi nhi sirji wait kr lenge

नैन भाई अपडेट कब दोगे

Kabhi kisi ko intzar karwane ka irada nahi raha jante hain kyon... Kyonki marketing me hun aur janta hun intzar karna .. aur uss se bhi bura ghanton intzar ke baad ghanta kuch nahi mila...

Pahli baat main kahani adhuri nahi chhodta aur jab update ruk jaye to samajh jaeye ki main kahin kaam me fans gaya aur likh nahi pa raha... Bus yahi hota hai...

Main information nahi daal paya ye thoda galat hua... Kosis karunga thread update jar dun..
 

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
Ye kya kar diya tumne nainu darling...... :vhappy: :vhappy:

covid ke samay dimagi santulan ko jaise ek thehrav de diya tumne.........
1st tumhe bohot bohot shukriya shukriya ish kahani ki arambh ke liye..... Mujhe personally virtual site me kahanion se moh uth gaya tha even main khud apni kahani ko likhna band kar chuka hun.........

lekin.....lekin......lekin......

Aap ki iss kahani ne jaise mere soye armanon ko ek naye savera de di hai......
Mere bhitar ke khamoshi ki ke dastak ko ek nayi aahat de di hai........
Andheri amavas raat ko jaise jugnu si ek nayi kiran de di ho....

kya kahun, kaise kahun ki iss kahani ne meri najar me prem ki dubti suraj ko chand ki madhu jyotsna se sushobhit kar manjar me ek sunhera pal saamne rakh diya hai....

pahle jab 1st update padha to bohot hi intresting laga.... socha 2nd update padh ke review deta hun lekin belive me 2nd padhne ke baad mere dil ne mujhe rukne ki izazat nahin diya.... ek hi din me pura ka pura kahani padh dala......Aur badle me mila ek adbhut sukhad eheshas jise mehshus karne n jaane ye man kabse taras gaye the......

Siya aur Som kahani ke mukhya kirdar hain....... Jahan Siya thodi pyari sorry.. thodi nahin bohot hi jyada pyari hai vahin Som bhayia ka jatayu Shivjee ki rup me hai :D
Siya... Meri pyari Siya.... thodi natkhati aur chubuli hai lekin gussa baap re baap..... Lekin Meera.... naam ki tarah nirmal aur pyar ki bhaktan nikli..... Main to deewana ban gaya Meeruuuu ki.......

Lekin aap ne kya kiya :angry: uski shadi hi kar di....

Vyaas Bhai mere sabse chaheta hain.... thoda unko bhi kuchh supreme moment dijiye taki unki khasiyat puri duniya ko pata chale ki mere bhayia kitna special hain....

Kahani ki har kirdar ki apni ek kahani rahi hai.... Shabdon me bayan karun to aap ki kahani me meri kahani shuru ho jayegi... Puri khichdi pak jayegi.... Ishlye main meri udbodhan ko yahin sthagit rakhna chahunga....

Punah bahut bahut shukriya iss kahani ko ujagar karne ke liye....
Thankoooooo soooo muchhhh.... Pradeep bhai aapko bhanwar me kabhi dekha tha .. tab se aaj dekh raha :hug:..

Baharhaal kahani apne lay me hai aur Meera ki shadi fix thi matlab fix thi... Wo rab ne Bana Di Jodi type... Samjhe budbak :slap: isme mera koi role nahi.... Baki Abhi to likh raha hu .... Vyas ke sath sath ek bhi side charecter nahi chhutenge ... Koi charecter rah jaye to yaad mat dilana :D
 
Top