-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
awesome update again nain sir
.
samajh nhi aa rha phle kya likhu isiliye pahle som sir ki bat karte hai
.
lagta hai ye room no. 211 ka mamla kuch jyada hi khichne wala hai
pr jo bhi ho bechare som sir ki pocket to dhili ho hi gayi ek hi bar me 20 lacs khali ho gaye
par ek bat to pakki hai iss mamle me bahut se bade bade log shamil hai aur som sir se umeed bhi hai ki ye sabhi log jld hi nange bhi ho jayenge baki dekhte hai kya hota hai
.
dusri taraf thodi deja vu wali feeling hai
ye to confirm hi tha ki vyas ke sath ladai karne wala banda wo wicket keeper hi hai
par baat yaha tak pahuch jayegi ye andaza nahi tha aur itna sb hone ke bad bhi goli chalane wale bande par koi action lene ke bajay police ulta vyas aur asif ke piche bhi padi
aur chalo wo bhi thik hai but iss mamle me full family ko lana to bilkul bhi thik nhi tha
par wo ek famous dialogue hai na "ab tera kya hoga kaliya"wo wali feeling aa rhi hai last incident ko padhkar pata nhi ab iss bechare police wale ka kya hoga sia par hath utha diya aur wo bhi is tarah ki use chotil kar diya lagta hai iss police wale ke din bhar gaye hai
dekhte hai ab kya hota hai is police wale ke sath
.
besabri se intzar hai agle update ka.
Pass bhai update de diya hai... Free waqt me likhna hi hota hai lekin vishwas kijiye ussi ki kami ho gayi hai .... Isliye likhne ki speed slow hai... Baki kosis rahti hai ki likhta hi rahun... Update de diya hai .. mita lijiye tadapSir jldi se agla dedo ab to raha hi nahi jaa raha TDP hi aisi hai
Hahahaha... main kuch na kahunga ... Update de diya haiAwesome update bhai or bhai lagta he ki ye officer ke din pure ho gaye he waiting for next update
Shayad waqt Badal raha hai... Cricket game ke chalte game me bhi aaj kal sir phodne ke kisse ki badhotari hui hai... Issi dushmani me jaan ki aahuti bhi kabhi kabhi chadh jati hai...एक जेंटलमैन गेम को दोनों ग्रूप ने खून खराबों का अखाड़ा बना दिया । क्रिकेट में गंदी फब्तियां कसना आज के जमाने में आम हो गई है । लेकिन इस के लिए दंगा फसाद करना और किसी की हत्या की कोशिश करना बहुत ही ग़लत है । विकेट कीपर ने तो हद से ज्यादा गलतियां कर दिया है । पर व्यास जैसे अच्छे लड़के से यह उम्मीद नहीं थी । उसे ऐसी ओछी हरकतें करना शोभा नहीं देता ।
सोम मल्होत्रा और अनुराग मल्होत्रा का भावपूर्ण मिलन बहुत ही बढ़िया लगा । हर बाप फक्र महसूस करता है जब उसका बेटा उससे भी ज्यादा तरक्की करे ।
लेकिन यह समझ में नहीं आया कि अचानक से उन्हें अपनी भूतपूर्व पत्नी की यादें क्यों सताने लगी ?
इधर व्यास के पिता श्री जब तब अपने जवान बेटे को तबला समझ कर बजा बैठते हैं । कम से कम उसके कद काठी और उम्र का तो लिहाज करें ! बच्चे जब जवान हो जाते हैं तब वो अपने बाप के कंधे से कंधा मिलाकर चलने वाले बन जाते हैं ।
बेचारा गुस्से में निकला और बेमतलब का फसाद कर बैठा । पांव में गोली लगी सो अलग । उसकी जान जाते जाते बची ।
सिया के साथ और पंडित जी के साथ जैसा सलूक पुलिस वालों ने किया वो किसी भी एंगल से जायज नहीं था । वैसे यह पता नहीं है कि वो पुलिस वाले सही में ही जाहिल थे या वो किसी के इशारे पर धृष्टता दिखा रहे थे ! देखते हैं उनको सबक सिया सिखाती है या सोम !
दोनों अपडेट्स बेहद ही खूबसूरत थे नैन भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड जगमग जगमग ।
Superb update
Behtreen update
Thankooo so much tiger bhaiLazwaab update
romanchak update ..ye naushad ne to kaand hi kar diya vyas ko goli maarkar ..par amir baap ka beta hai to police kuch karegi nahi ye sab jaante hai .
aur ye hospital me jo bura bartaw ho raha hai vyas ke pariwar ke saath isme bhi kisiki saajish hi najar aa rahi hai .
sia ko dhakkar dekar badi galti kar di officer ne aur ye baat jab sia ke apno ko pata chalegi to us officer ke saath kuch kar na baithe.
som ko chhodne ke liye usse hi training liya hua banda paise maang raha hai. aakhir ye kaam kisliye hai ye sabko pata hai
..
waise target diksha thi us shukla ke liye par som ne samjhauta kar liya .
koi aakar us officer ko bedam maarta kyu nahi jisne sia ko dhakka diya.. aur isike saath uski job ki ghamand bhi tod de .
Nice update broUpdate:-85
Bahut se logon ki maujoodgi me ek ladki dwara hath pakda jana, uss officer ne kuch jyada hi dil par le liya. Fir to usne Sia ko aisa dhakka diya ki wo ladkhdati hui ja'kar sidha deewar se takra gayi. Uska dakka thoda tej tha. Sia ka hath chhil gaya aur kisi nukili chij se sir takrane ke karan bleeding shuru ho gayi thi.…
Sia ke mathe se jaise hi khun ki dhar nikli wahan maujood har koi hairan rah gaya. Hairan to wo officer bhi tha, kyunki usse bhi andesha ho gaya tha, ki uss se galti hui hai. Iss se pahle ki Sia ki haalat par koi pratikriya deta, wah police officer lipa-poti karte.… "On duty police wale ko harash karegi. Shukla thane se lady constable bulao aur iska trearment karwa'kar le chalo thane"…
Ek to uss officer ne badtamiji kiya, upar se chinkhte huye ulta ilzaam lagaa'kar Sia ko thane bhi le jane ke liye kah raha tha. Sia, Shashtri family ki manodasha samajh rahi thi. Sia wahan sab ko shant rahne ke liye kahti hui.… "Neerav mbbs group me Vyas ki haalat ki suchna do aur logon se kaho 2 unit AB+ blood arrange kare, turant"…
Itna kahi hi thi ki Nirali aur Jannat uss police officer ko ghurti, Sia ke zakhm ko dekhne lagi... Sia dono ko hausla deti... "Chinta ki baat nahi hai. Sabko le'kar lounge me intzar karo, uncle ko bus yahin rahne do"…
Pandit ji:- Sab meri hi galti hai. Beta jawan ho gaya hai aur mujhe iss baat ka ehsas tak nahi.… Vyas se kah dena baba ab kabhi gussa nahi karenge, bus thik ho'kar wo jaldi aa jaye... Ek hi to beta hai, usse bhi aisi haalat me dekhunga... Upar se Police wale... Zinda ko bhi nochte hain aur mare huyo ko bhi... Ek jarra tamij nahi aur na hi inhe kisi ke bhavnao ki kadar hai... Koi Sia ka ilaz karwao. Ab kya iss bacchi ka bhi khun bahte dekhun...
Alka Shashtri, apne pati ke aanshu saaf karne lagi. Yun to wo pandit ji ke aanshu saaf kar rahi thi, lekin khud ki aankhen aanshuon me aisi dubi thi ki najren dhundhli ho gayi thi. Ek baar fir kafi gamgin mahol tha. Apne abhibhawakon ke aanshu ko dekh'kar Nirali aur Jannat ke aanshu bhi chhalak aaye.
Idhar Neerav ke samne se ek tralli ja rahi thi. Jisme dressing ka sara saman tha. Neerav ne saman le ja rahe ward boy ko 100 rupya diya aur usne Neerav ko sabhi jaroorat ki chijen de dee. Neerav Sia ke khun ko cotton se saaf kar'ke uske zakhm ko dekhne laga... "Kisi nukili chij ka tip aapke sir par laga hai. Mamuli ghav hai. Ek tetnus ka injection bus lagwa lijiye"…
Neerav sir par cotton ke upar tape chipka'kar isharon me Shastri family ko sambhalne ke liye kahne laga. Sia Shashtri family ke aansu pochhti sabko bahar le aayi. Issi bich uss officer ke pass uske senior ka call aaya. Pahle to uss police officer ke senior ne charge-sheet ke bare me puchha. Police officer ka jawab bhi kamal ka aaya, "Investigation complete ho gayi hai. Ghayal ladke ki medical report ke baad charge-sheet taiyar kar lunga"….
Charge-sheet taiyar karne ki baat par CI sahab bade hi naatkiya dhang se kahne lage... "Kamal hai FIR ke mahaj 2 ghante me complete investigation. Bade teji se case solve kar liya... Lagta hai promotion ki jyada jaldi hai"… Uske baad FIR ki baat hone lagi. Jaise hi FIR ki baat hui, uska senior uss police officer ko aade hath lete.… "Tu charge-sheet file karne ki soch raha aur poore department ko teri FIR hi fake lag rahi. Kisne likhwayi wo FIR"
Police Officer:- Wo pirit ladka Nausad ka cousin, Sorab ne CI sahab...
Senior:- Kamal hai ye to... Ussi ladke Sorab ka written confession mere hath me hai. Isme likha hai, "mauke par pahunchi police ne, jabadarsti ek man-gadhant FIR mujhse likhwaya. Mbbs kar rahe 400 student ne likhit gawahi Thane me jama karwayi hai, jante ho kya hai usme... Hostel me koi goli nahi chali. Aur wo ladka Vyas khelte waqt tab ghayal ho gaya, jab wo fisla aur pichhe se uske paun me sariya ghus gaya."..
Wo officer:- Sir, saaf dikh to raha hai goli lagi hai. OT se nikal'kar doctor bhi apne medical report de dega...
Senior:- Lucknow ke private University. Usme bhi medical kar rahe 2 Student ke bich ki jahadap hai... Doctor ki report tak wahi hogi jo main bata raha. Samjha tu chutiye... Tujhe kya lagta hai University management itni badi baat accept kar lenge. Wo internally iss matter ko resolve karenge...
Wo officer apne sir ka pasina pochhte... "FIR kya kare sir"…
Senior:- FIR ka kya karoge wo to chhota sa kaam hai. Tu to pahle bhi aise FIR ko manage kar chuka hai. Main janta hun tu manage kar lega. Main uske liye thode na phone kiya.…
Wo officer:- Thanks sir, wo to aap jaise guru ka sikahaya hai, isliye aise FIR manage karna sikh gaya hun.. Phone kisliye kiye the CI sahab...
Senior:- ye bata ki hospital me pirit ke abhibhawak par hath kyun uthaya? MC paise khane ke baad kya pirit ke parivar ko pareshan karne ka koi riwaz hai....
Wo officer:- Nahi sir aap ilzam laga rahe..
Senior:- Bc baap ko chodna sikha raha hai. Janta bhi hai wo master kaun hai. Sala teri tarah koi corrupt govt employee nahi hai aur na hi uss se padhe students, jo Lucknow me hi kayi govt. department me hai. Unme se ek high court me hai. Kamaal ki baat janta hai, tere chutiyapanti me high court ke judge ka call DC office aaya hai aur usne commissioner sahab se hi written explanation maang liya... Abhi aayega DC office se phone Mc.
Police officer:- Sir, wo.. wooo
Senior:- Ye tum wo, wo karte rah... Aur kis ladki ko dhakka diya re MC, kabhi kisi ka background check bhi karta hai ki na bsdk. Pata na wo kaun ladki hai, uske liye alag se mujhe SP office se danda ho raha hai. Sala SP office me desh bhar se kayi officer ke call aa gaye. Aur MC koi bhi call teri tarah SI ka nahi tha, balki IPS ke calls aa rahe...
Police:- Sir lekin yahan ki baaten sabko pata kaise chali...
Senior:- Mc aaj kal log apne mobile ko hi court room banaye hai, tujhe samajh me nahi aata. Tu Facebook par live hai. Poora desh teri harkat dekh raha hai, aur niche comment me itna thuka hai, ki tujhe ussi me duba'kar kahin maar na de. Chutiye apni to marwai hi hai, humari bhi maarva diye. Hostel ke lafde me jitno ko arrest kiya hai usse turant release kar aur station ja'kar apni gun jama kar. Agle aadesh tak tu suspend. Aur dua kar ki wo ladki tere khilaf FIR na kare, warna aur lamba ghusega... Sale suar, harami.. madarchod khali ghus lene aata hai. Bc public place me public ke sath behave kaise karte hain wo pata nahi... Mc roj police walon ki video leak hoti hai, fir bhi chaman chutiye bane ho...
Police officer:- Sir, please, please... Ek mauka de do...
Senior:- Ja'kar gun jama kar. Baad me dekhte hai… Abhi mamla bahut garam hai. Aur haan special update aaya hai, tere khilaf uss ladki ka FIR bhi aa gaya...
Police Officer:- Lekin wo to mere samne hai sir…
Senior:- Complaint uske bhai ne kiya hai aur saboot me Govt hospital ki Cctv image ke sath Facebook Live ka video evidence bhi aa gaya... Ab bacha le wardi…
Police officer:- Sir, madad karo galti ho gayi...
Senior:- Gayi teri vardi. Aam public ke live video par tu suspend hua tha, fir ye complaint to DISI Acadamy ka boss Som Malhotra ka hai, wo bhi SP office me... Ab to department bhi tera sath nahi dega.... Ja'kar master aur uss ladki ke paun pad ja aur apne favour me statement le, tabhi teri vardi bachegi…
Officer ke to chehre se hawaeyan udd chali thi, lekin aage aur bhi muskil ho gaya, kyunki medical college ke students poore hospital me hi bhid laga chuke the. University prabandhan khud wahan pahunchi thi aur Vyas ko blood transfusion ke sath hi apne hospital me shift karwa dee, jahan usse vip kamra allot hua tha. Hospital passage me bhid hone ke karan wo officer Shastri family aur Sia ke pass tak nahi pahunch paya. Aur idhar Sia, Shastri family ke sath nikal chuki thi...
3 baje ke karib Vyas ko hosh aa gaya. Uske pass uska poora parivar baith'kar ro raha tha. Vyas kisi se bhi najren milane me asamrth tha. Gamgin sa mahol aur marmik pristithi. Sab kuch samanya hone me lagbhag ghante bhar lag gaye.
Asif wahan se har kisi ko jane bol diya. Raat ko bhi wahi ruk raha tha. Sabhi vida le chuke the. Asif, Sia se bhi uske ghar chale jane kaha... Tabhi pahle Vyas ki ummid bhadi najar Sia ko takne lagi, aur Vyas ki ye ummid bhari masoom si shakl dekh'kar.… "Asif tum ek kaam kyon nahi karte, ghar ja'kar apne ye maile aur fate kapde badal lo. Kyunki tumhe to apni haalat ka andaza nahi hai lekin mujhe lagta hai ki maar-pit ke baad tum ghar nahi pahunche"…
Asif khud ki haalat ka jayja lete... "O' teri itne kautuhal ke mahol me kuch yaad hi nahi raha. Thik hai main ghar ho'kar aaya".
Asif nikal gaya, wahan rah gaye bus Sia aur Vyas. Vyas hasrat bhari najron se Sia ko dekhne laga aur Sia.… Vyas ko apne ore dekhte Sia muh fer'kar pichhe mud gayi. Sia ki ye harkat Vyas ko chubhi ho jaise... Apne priyasi dwara andekha karna jaise akhad gaya ho.… Dil me tej chubhan fir bhi chehre par muskaan... "Kya ho gaya meri sweeto ko. Ab kya main itna bura ho gaya ki muh fer lee. Ae sweeto.…"
Sia ke dil me bhi jaise tis utha. Wah teji se bhagti hui pahunchi... Jitna dil me tis utha tha utna hi gusse me bhi shayad dikh rahi thi. Ankhen bhingi thi aur sath me gusse me laal bhi... Pahunchte hi 4-5 thappad rasid kar di aur Vyas ke sir se sir tika'kar chinkh-chikh kar rone lagi... Vyakulta ne jaise gher liya ho.…
"Kya jaroorat thi Vyas… Aakhir kya jaroorat thi aise ladai karne ki."…. Bolte bolte jaise shwans upar chadh gayi ho. Poori tarah se besudh thi… Awaz rukne lagi fir bhi hichkiyan leti kisi tarah kahti rahi.… "Daraa diya mujhe Vyas… Bilkul dara diya"….
Bahut din ke baad Sia royi thi. Logon ki bhid me jis ladki ne apni sabhi bhawnao ko daba'kar muskurati rahti thi. Jo ab se kuch der pahle apne sath huye abhadr vyaywahar ke liye koi pratikriya nahi di, wah Sia chinkh-chinkh kar ro rahi thi... Vyas, Sia ke pith par apni baanh daal'kar usse khud me samet liya. Wah siskiyan leti rahi. Madhyam madhyam aanshu bahte rahe...
"34 hoga kya? Sine me daba kafi mast feel de raha hai"…. Vyas mazakiya lahze me kaha... Sia fir bhi bina koi pratikriya diye bus uske sine se lagi rahi. Rona to kabka band ho gaya tha bus khamoshi hi thi. Vyas ne mahol halka karne ke liye kaha lekin Sia ka mann shayad abhi halka nahi hua tha. Iske baad Vyas ne fir baat karne ki kosis nahi kee, bus Sia ke pith par pyar se haath ferte, dilasa dene laga.
Waqt bit'ta gaya aur dono khamosh hi rahe. Jaise in khamoshiyon ki bhi apni ek juban ho. Vyas ki bahon me Sia ko dard se sukoon mil gaya tha aur uski dhadkano ko sun'na aisa tha, maano kisi madhur sangeet me kho gayi ho... Dono ek dusre ko bahon me bhar'kar dharkano ki madur awaz me apni aankhen munde the.
Khamoshi me kuch pal aur bita. Sia, Vyas ke haath ko hata'kar, apne chehre ko Vyas ke chehre ke upar leti, Vyas ka chehra dekhna lagi... Sia bilkul khamosh aur utni hi gambhir bhaw se Vyas ka chehra dekh rahi thi. Aisa lag raha tha jaise mehsus karne ki kosis kar rahi ho ki goli lagne ke baad Vyas kis dard se gujra hai. Ek baar fir Sia ke aanshu chhalak aaye... "Sweetoooo... Sweetoooo"… ruwasi awaz me wah Vyas ko paukarne lagi. Vyas thoda muskuraya. Apna hath badha'kar Sia ke aanshu pochhte huye apne sir ko uncha kar ke Sia ke sir se tika diya. Sia ke aankhon me aansu ab bhi the aur apni nam aankhon ke sath hi wo Vyas ke hont se apni honth laga'kar chumne lagi...
Behatasha Vyas ko chume ja rahi thi. Vyas surakshit hai, iss khyal se hi wo apna pyar dikha rahi thi aur aanshu bhi baha rahi thi. Uss kiss me itni bhavna thi mano apne pyar ki poori bhawna Sia dikha rahi ho. Bus chumti hi ja rahi thi... Besudhh si hui. Poori bekhayali me thi aur bus chume hi ja rahi thi.…
Tabhi darwaja khat se khulne ki awaz aayi, lekin Sia to Vyas ko chumti hi rahi. Usse surakshit dekh apni bhawna jatati hi rahi... Wahin Vyas "uuuuunnnn... Uuuuunnn" karte Sia ko apne upar se hatane laga...
Sia ek baar fir Vyas ke upar chehra laati usse ghur'kar dekhne lagi. Vyas apni putliyon ko baar-baar bayen ore karte, uss ore dekhne ka ishara karne lagi... Sia, Vyas ki najron ka pichha karti jaise hi bayen ore dekhi... Jhatke se Vyas ke upar se uthi... "Soooomm... Wooo, main.." Sia itna hi kah payi aur fir khamosh ho'kar apni najren niche kar lee... Wahin Som kabhi Sia to kabhi Vyas ko ghur raha tha...
Waise ek ore jahan Som, Vyas aur Sia ko ghur raha tha, wahin issi waqt me kahin koi aur bhi bade aascharya se ghur raha tha.… Din somvar, sham ke lagbhag 6 baj rahe the. Aankh ke samne English me likha ek board tha, jisme Falana bazar, Haidrabad likha tha... Riaz ghur'kar kabhi uss angreji me likhe board ko dekh raha tha to kabhi dukano ke upar lage sthaniya bhasha ke board ko... Bada hi ajib chehra bana'kar Riaz khud se hi kahne laga.… "Ye Haidrabadi angreji ya telgu me likhte board. Bc ye kya ghotala hai. Sare board angreji aur urdu me likhe hai"…
Ab Station Road, Allahabad ke aage India likhne ka to koi culture hi nahi. Thik waise hi shayad padosi mulk ke yahan bhi culture tha. Falana bazar, Haidrabad ke aage Pakistan likha hota to na Riaz ko samjh me aata ki wo kaun se Haidrabad me hai... Wo to bus Haidrabad me hai...
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Bahut hi shaandaar update dostUpdate:-85