Bhaag 5
AGLE DIN :
Door kahin, sheher me :
Lalwani khushi khushi apne cabin seat pe beth jaata hain aur aise me uske baju wale karmachari Mehta hairani se uske aur dekhe jaa raha tha. Apne Vada pav pe daanton ke mohor lagane se pehle hi, Lalwani kuch chid sa jaata hain.
Lalwani : are Sai! Aise ghoor kya rahe ho? Aap apna tiffin khud laya karo bai!
Mehta : are voh baat nahi, lekin kya aapne....(sankoch me) sach me voh plot bech diya us chokra aur... aur us chokri ko??
Lalwani : phir kya! (Khushi se) are Bai, jis ilake ka saalo se koi sale nahi hua, voh ghar me kam se kam daam me bech ke aya hoon! Aur vaise bhi un dono ko us ilake ka kuch malum nahi!
Mehta : baat kuch thik nahi hua Lalwani! Us ghar ke pados wale ghar kaafi badnam hai!.....maine ek...
Lawani : are jhula laal! Zara chup bhi raho! Mera promotion ke badle me mera resignation sign karwana chahte ho kya?? Chaliye, apna kaam kijiye!
Lalwani ko apne insentive ki padi thi, use is baat ka ehsaas bhi nahi tha ke aakhir kis mod pe Ayush aur Ruchita ki zindagi rukne wali thi.
...........
Vaha dusre aur :
Ayush ke jaane ke baad, Ruchita paidal market jaane lagi aur kuch rashan ke samaan kharidne ke baad jaise hi vapsi kar rahi thi, tabhi ek cycle zor se uske nitamb pe jhatka deti hain aur voh ghabraye apne saari samaan niche gira deti hain. Ghusse me voh piche mudti hain..
"Are dekh ke chala...karo...."
Uske saamne jo shaks tha cycle pe, voh koi aur nahi, balki Rohit tha. Use dekhke, Ruchita khush to hui, lekin use ek baat ajeeb lagi. Subah ka vakt tha, aur Rohit ne kaala chashma pehna hua tha. Yeh dekhke Ruchita hairan hui.
Ruchita : oh hi Rohit....are yeh kya, subah subah chashma?
Rohit : (muskurake) sorry! Tumhe chashma pehnke darane ke liye!
Dono hans dete hain, lekin phir Rohit kuch serious ho jaata hain...
Rohit : baat yeh hai ke, mujhe ek khaas eye vision virus hai, isliye zyada dhoop bardaasht nahi hota!
Ruchita : oh.... sorry!
Rohit : Lekin fitness ki ek buri aadat hai mujhe, isliye cycling to har subah karta hoon!...
Ruchita bas muskurati hain, lekin phir voh dekhti hain ke Rohit uske aur bahut gaur se dekhe jaa raha tha. Ek sihrin si daud gayi uski jism me, jaise hi Rohit uske aur dekhe jaata hain.
Ruchita : aise kya dekh...r..rahe ho?
Rohit : hey! Main soch raha hoon ke why don't you join me every morning!...
Ruchita : matlab cycling??
Rohit : kyo nahi?
Ruchita : lekin Rohit....main cycle....I mean...mere paas to..
Rohit : no big deal! Jytoika ki cycle lelo! Vaise bhi madam bahut alsi ho gayi hai aajkal!
Ruchita kuch soch hi rathi thi, ke Rohit ek chutki bajata hai, uski aankhon ke saamne!
Rohit : chalo! Main Ghar hi jaa raha tha, tumhe lift de sakta hoon!
Is mamle me Ruchita bhi maahol jamane lagi aur Rohit ke rang me rangne lagi.
Ruchita : hmmm sochke dekho! Cycle ki rod kuch patli hai aage ki, aur mere....thodi chaudi hai!
Apne hi nitamb ke varnan karti hui Ruchita ki niche kuch hulchul hui aur voh sharma jaati hain. Dekhte hi dekhte Ruchita aage handle par bethti hain aur Rohit cycle ko aage raste pe leke chalta hain. Cycle ki is mamuli ride me bhi, dono me aag barabar malum ho rahi thi. Jahaan ek taraf Rohit nazre niche kiye, upar se hi tshirt me kaid Ruchita ki moti moti stan ki daraar ko dekh raha tha, vaha dusre aur Ruchita apni gardan par haule haule saans mehsoos kar rahi thi Rohit ki.
Ruchita bhale hi khud ko kabu me rakh rahi thi, lekin Rohit uski stan ki daraar se leke, handle par phaile uski trackpant me moti si nitamb ko bhi taare jaa raha tha. Yeh cycle ka safar to mamuli si lag rahi thi door se, lekin kuch hulchul Ruchita ke mann me baar baar ho rahi thi, yaha tak ke Rohit ke jism se aate huye sukhe sukhe pasina bhi uske mann pe prabhav daal raha tha.
Ruchita soch me hi doobi hui thi ke tabhi cycle ki ring use sunayi diya.
"Hello Ruchita??? Ghar aa gaya hai!"
Ruchita apni khayalon se bahaar aati hain aur dekhti hain ke sach me ghar aa chuki thi. Voh cycle se utar jaati hain aur Rohit se bina nazre milaye apne samaan leke.."thanks" kehti hui apni ghar ke andar chali jaati hain. Uski matakti hui nitamb phir se Rohit dekh leta hain aur us nitamb ko voh kisi khaane ki vastu ki bhanti parakhta hua, apne honton par apni asli naukile daant ko aise dhass leta hain, ke foran khoon ki kuch boond bahaar aa jate hain, jise voh khud hi chaat leta hain.
...........
SHAAM KO :
Darwaze ki ghanti baj utha aur Ruchita foran darwaze ki aur jaane lagi. Khulte hi, use Ayush nazar aaya aur uske chehre pe ek utsahit bhav tha.
Ruchita : hmmmm janab ke mann me kuch chal raha hai! Hmmm kya baat hai?
Ayush : bilkul! Ek choti si surprise hai!
Itna kehke Ayush andar aake foran Ruchita ko god me leleta hain aur uske hont pe hont thama deta hain foran. Ruchita bhi ab bechain ho jaati hain ki aakhir baat kya thi.
Ruchita : ab god me yunhi uthaye rahoge, ya news bhi sunaoge??
Ayush : well! News yeh hai ke shanivar ko, finally humare ghar, Jatin aur Meghna aa rahe hain! Aur itna hi nahi. Office ke taraf se jo choti si holiday mila hai hume, usme hum chaaro Goa me ek beach festival bhi hoke ayenge!
Ruchita khushi se jhoom uthi...
"Wwoooooww! Yeh to sachme ek badiya khabar hai, lekin mujhe trophy ki tarah kab tak uthaye rahoge???"
Ayush ekdam akdu tha, voh seedhe apne patni ko pyar se apne baahon me bharke bedroom pe leke jaata hain aur dono ek dusre ke kareeb ab lete the kuch aise, jaise maano prem ke saagar me dheere dheere doobte huye do premi ho. Ab dhimi awaaz me dono ek dusre se baatein karne lag gaye...
Ruchita : janab, dinner bhi banani hai!
Ayush : sabse swadisht dish to mere paas, mere kareeb leti hui hai!
Ruchita : swine! Suar ho tum mard log! (Hasti hui) bhog ke alava kuch aur bhi sujhta hai?
Ayush : dinner ka baad me dekhenge, pehle kuch starters ho jaye!
Itna kehke Ayush apne hont ko apne patni se milane hi wala tha ke..
Bell baj utha!
"Uff! Ab kaun aa sakta hai? Yeh kabab ka haddi kaun ban betha??"
Ruchita pyar se apne pati ko side me dhakelti hain....
"Tum sochte raho, main dekhne jaati hoon!"
Apni matakti ada ke saath Ruchita jaise hi darwaza kholti hain, uske saamne khadi hui Jyotika muskurati hui dikhayi deti hain.
Ruchita : oh...hi..
Jyotika : hi! Ummm kahin maine Laila majnu ko disturb to nahi kiya? (chanchal muskurahat ke saath)
Ruchita : umm nahi...asi koi baat nahi! Hum to bas yunhi...
"Kaun hai baby??"
Daudte huye Ayush vaha pahuch gaya aur ek hi pal me uske aankhen seedhe jaake Jyotika se mil gaya. Bade pyar se uske mooh se nikal gaya...
"Oh hi Jyotika!"
Jyotika bas aankhon se hi pyar se ishara karti hain aur phir kehti hain..
"Sorry tum dono ko aake disturb Kiya, lekin! Main aur Rohit soch rahe the ke kyon na aane wale weekend me hum chaaro kahin ghoom aaye! You know....kinda.... celebration jaisa!"
Ruchita hairan reh jaati hain jab Ayush ke mooh se aise hi nikal aata hain....
"Oh sure! Kyon nahi..... hum..."
Lekin phir Ruchita use tokne lagi, dhimi awaaz me...
"Pagal ho gaye ho?..bhool gaye ke Mehgha aur Jatin yah aa rahe hai!"
Ayush ko apne galti ka ehsaas hua aur voh Jyotika ko ek bheegi billi ki bhav se dekhne laga..
"Well...sorry darasal kuch aapsi program hai!...sorry!"
Pati ke shabdo ka saath deti hui Ruchita bas Jyotika ko dekhke muskurayi aur khud kehti hain, ek ardh muskaan ke saath...
"Shayad next time!"
Jyotika khush to nahi hui, lekin age hi pal voh bhi muskurati hain aur kehti hain..."it's okay! Enjoy the weekend!'
Itna kehke Jyotika vaha se apni balkhati chaal dikhaye chali jaati hain aur Ruchita darwaza de deti hain. Ayush ko apne patni ke vyavahar kuch vyanagn si lagi aur voh uske aur dekhne laga.
Ayush : tum itna rude kab se ban gayi?
Ruchita : rude? Kya matlab hai tumhara?
Ayush : are thodi pyar aur namrata se bhi to pesh kar sakti thi tum!
Ruchita : Ayush?? Tumhe khud kya ho gaya?? Tum Jyotika pe itni meherbaan ho rahe ho ke, ek hi pal me tum plan kiya gaya program ko bhool gaye??
Ayush : are baba thik hai, shayad bhool gaya tha kuch pal ke liye, usme kya?
Ayush vaha se chala jaata hain aur Ruchita ko yeh baat buri lagi ke ek hi pal me uski aur uske pati ka mood off ho gaya.
.......
Vaha dusre aur :
Jyotika sofe pe bethi ghusse me kuch soch rahi thi ke tabhi Rohit vaha pravesh hota hain, do do glass liye, jisme taaza taaza lal rang ka paani tha. Jald hi voh sofe ke dusre kone pe beth jaata hain.
Ruchita : tum piyo! Mujhe pyaas nahi hai!
Rohit : are pee lo! Taaza taaza khoon hai! Vaise manna padega, us delivery ladke ka khoon ekdam taaza aur shudh hai! Bechara abhi abhi jawani me aaya tha, lo! Are pee lo...
Khoon ki taazi taazi gandh Jyotika ko naak tak aane lagi aur ab bhala voh kaise mana kar paati? Usne foran apni glass leli aur peene lag gayi. Par Rohit yeh saaf dekh raha tha ke Jyotika kuch bechain si lag rahi thi.
Ab mahol ko rangeen banane ke liye Rohit kuch yaha vaha ke baatein karne laga...
Rohit : yaar! Yeh aaj kal ke londe, itne duble patle hote hain ke maas se zyada haddi ke darshan hote hai! Is delivery londe ki tarah! Bhai! Mera to pet bilkul nahi bhara!
Jyotika apne pati ko dekhne lagi, banawati ghusse me...
"Accha? Uske jaanghon se leke uske haathon ke maas tak kisne khaya??? Har baar sirf khaane se man nahi bharti hai!"
Ab Rohit apne pure glass ko khatam karke, mudde ko samajhte huye, apne patni ki baaton ka jawab deta hain, voh bhi uske haathon ko thaame...
"Hmmmmm to yeh bechaini padosi ke liye hai? Hmmmmm...ab thoda to intezar karna padega! Baat khaane ki nahi, maze bhi maarne ki bhi hai!"
Jyotika ab josh ke aake apne pati ke ungli ko kaantke vaha se ek ek katra khoon apni pehle se hi khoon se bhari glass me milati hai aur kehti hain...
"Darling! Meri pyas kuch zyada hi hai...jald se jald un dono ko humare vash me karni padegi!"
Sau baat ki ek baat, Ayush ki masoom bhav Jyotika ki dil ko bhaa chuki thi. Voh mann hi mann jaanti thi ke use apni changul me laana koi badi baat thi hi nahi.