KUCH SAMAY BAAD :
Bahut hi dhime se Ayush apne palkon ko kholne lagta hain. Lekin agle hi pal usne pure ke pure aankhen kholne pe majboor ho gaya kyonki is vaqt voh apne ghar me nahi balki Rohit aur Jyotika ke ghar me tha..
Aur voh bhi chair pe bethe rassi se kaid hoke bithaya hua!
Charo aur keval laal laal roshni dekhke Ayush pehle se aur bhi zyada pareshan hone laga aur khud se kehne laga...
"Main yaha kaise aa gaya??? Yeh to Rohit aur Jyotika ki ghar hai...aur uhhhh! Damnit! Mujhe is tarah uhh! Kaid kyon ki.. HELP!!!!!!!! BACHAO!!!"
Tabhi vaha upasthit hote hain teeno ke teeno. Jyotika, Rohit aur Ruchita bhi!
Ayush ke halaat dekhke teeno tippaniya karne lage...
Jyotika : Vaise tumhe behosh karne ke piche meri hi haat thi!
Rohit : Bechara ekdam confused lag raha hai!
Ruchita : Sorry Ayush, lekin ab hum teeno ko tumhari zaroorat nahi!
Ayush rassi se mukt hone ki jee tod koshish karne laga lekin Darr aur khauff ke karan zyada hulchul hi nahi kar paya.
"PLEASE...JAAANE DD DDOO MMMUJHE!"
Ayush apne kismat ko kosne laga jab voh is ilake me aane ka faisla kiya tha. Uske yeh halat pe teeno hasne lage aur Ayush samajh chuka tha ke Ruchita ki rooh ab un dono ke vash me ho chuki thi aur voh baar baar apni gale ke nishan ki aur ishara kar rahi thi...
"Sorry darling! Ab main bhi in dono ki ho chuki hoon aur hum teeno me se tumhari zaroorat kisi ko nahi hai!"
Ruchita ki seedhe teer jaise shabdo ko sunke Jyotika aur Rohit bhi baari baari hasne lage aur Ayush ka pura jism pasina pasina hone laga.
"Oh! By the way Ayush, Lucy se to tumhe milaya hi nahi maine! Milna chahoge usse?"
Jyotika ki awaaz me natkhatpan thi aur Ayush ka dil is baar zor zor se dhadak raha tha. Aisa lamha usne sapne me bhi nahi dekha tha ab tak!
Ayush ko nishabd dekhke Rohit kehne laga..
"Khair! Main hi bula leta hoon...Lucy! LUCY!"
Upar ke manzil ka ek darwaza behad ahista se khulta hain aur haule haule ek sher jaise hunkaarne ki awaaz ke saath saath kadmo ki awaaz bhi ahista ahista badhne laga seediyon pe.
"Yyyehhh kaisi awaaz hai???? Kaun hai Lucy????"
Ayush ka rooh kaamp utha jab usne saamne ke deewar pe ek jaanwar ki saaya dekha!
Aakhirkar Lucy Ayush ke aamna saamna ho jaata hai aur Ayush apne shamat ko davaat de deta hain, kyonki Lucy koi kutta nahi, balki ek head khoonkhar bhediya tha!
"Naaahii!!!! RUCHI! MUJHE BACHA LO! MM..MAUN PATI HOON TUMHARA! YEH GALAT HAI!"
Lekin Ruchita, Jyotika aur Rohit, teeno ke teeno ahista ahista apne rakshasi roop me aane lage aur apne apne kaale Nile rangat bhare roop me aake teeno apne apne naknun aur daanto ko dikha dikha ke Ayush ko gher lete hain.
"PLEASE...JJJ..JANE DO MUJHE....HELP!!!!!! BACHAOOO KOII!!! PLEAAASE!"
Ayush ke charo aur teen teen rakshas the aur samne laali tapkata hua ek behad bhookha bhediya!
Shuruvat Ruchita ne ki, jab voh apne naukile daanton se sabse pehle Ayush ke jabre ko kaid karke, vaha ka maas khaa leti hain...
"Aaaaaaaaaargghhh!!!!!! Aaaaah!'
Lekin ahista ahista Rohit aur Jyotika bhi apne apne bhayankar shaklo ko Ayush ke mooh ke nazdeek laate hain aur mooh ke ek ek ang ko phaadke, cheedke khaane lage aur bhookh se bhari bhediya bhi Ayush ke dono taangon pe hamla mod lete hain.
Ek jeete jaagte tandaruar insaan ko teeno rakshas aur ek bhediya milke bhojan karne lage, jaise barso se bhookhe ho. Ayush ke cheekh ahista ahista kam hone laga kyonki ab uske hriday se leke dimaag aur baaki saare ang mehez ek bhojan ban chuka tha chaaro ke liye aur Ayush ko yeh sab milke tab tak khaate gaye jab aakhirkar uske kangal nahi reh gaya tha.
Ayush ke jism se nikla saara ka saara khoon zameen me se kabhi voh bhediya chaat leta to kabhi Jyotika to kabhi Rohit aur yaha tak Ruchita bhi, jo ab khud in dono jaise ban chuki thi. Lambe gadraye dakaaro ke saath baaki ke raat guzar gaye.
............
1 MAHINE BAAD :
"Wow! Fantastic house! Kyon Lalwani ne badiya makaan dilaya hai ki nahi! Aur voh bhi itni sasti price pe!"
Gaadi me se utarte hi ek naujawan apne patni se kehne laga aur dusre aur se ek haseen mahila gaadi me se utar jaati hain, sunglass ki rim ko honton ke darmiyan dabati hui...
"Sach me! Sach kahaa tumne...behad khoobsurat makaan hai! Are voh dekho...lagta hai hume padosi bhi naseeb hui hai!"
"Cool indeed!"
Us mahila ka pati utsahit hoke kehne laga.
Jis ghar ki voh zikar kar rahe the, us ghar ke bedroom.me ek aalishan bistar tha jahaan Rohit leta hua tha aur gaur se apne naye padosiyo ke baaton ko vahi lete lete sun raha tha.
Rohit ke dono baju uske chaati se dhase huye the Jyotika aur dusre aur Ruchita, jinke nitambo par ek ek zor ke thapki maarte huye Rohit rumani andaaz me kehne laga...
"Kyon mere rakhelo! Naye padosiyo ko swagat karne nahi jaana hai? Hm?"
Apne apne hilte nitambo ko shaant kiye Jyotika aur Ruchita, dono pyar se ek saath kehte hai....
"Zaroor! Kyon nahi!"
Agle hi pal teeno ke teeno hasne lagte hain aur agar vaha koi maujud hota to aine me ek rakshas ke saath do do rakshasniyo ko leta hua dekhta, jo apne apne masti me magan the.
Shayad kabhi kabhi jeet shaitan ki bhi hoti hai!
SAMAPT