• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Tujhme Rab Dikhta Hai... (paused)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
26,472
54,676
304
तीसवाँ भाग

तो लड़के का नाम पवन है। उसको अपनी माँ को लेकर स्वप्न आते हैं। जैसे वर्तमान में आकाश को आते हैं। और जैसे आकाश स्वप्न आने के बाद जय के पास जाता है ठीक वैसे ही पवन रवि के पास जाता है।

पवन रक्षिता की अच्छाई और जानवरों के प्रति उसके प्रेम को देखकर उस पर मोहित हो चुका है। और उससे प्यार करने लगा है। :kiss:लेकिन रक्षिता उसे मंदबुद्धि समझती है और किसी निपुण वैद्य से उसका इलाज करवाने के लिए कहती है।

गांव में जब लुटेरे आते हैं तो पूरा गांव घर में छुप जाता है तो बस रक्षिता ही उस बुजुर्ग की मदद के लिए बाहर आती है और रक्षिता की मदद के लिए आता है वो नकाबपोश व्यक्ति जो अभी तक रहस्य बना हुआ है। रक्षिता के कारनामे दिन प्रति दिन बढ़ते जा रहे हैं। जिसकी चर्चा राजमहल में भी होने लगी है। और राजमहल में चल रहे षड्यंत्रों के सूत्रधार रक्षिता को अपनी तरफ शामिल करने के बारे में जरूर विचार कर रहे होंगे।

अब देखना दिलचस्प होगा कि ये कहानी आगे क्या मोड़ लेती है।
🤔🤔🤔बहुत ही जबरदस्त कहानी है आपकी अंकिता जी।
 

Ankitarani

Param satyagyani...
2,959
12,528
144
UPDATE 31



Rakshita or pawan me dosti ho gyi...jisdin pawan pahli bar khana laya...usdin rakshita bahut khush hui..kyuki janvro ne usdin pet bhar khana khaya tha...

Or in dhire dhire dono me bhi apnapn bdhne lga......jis din pawan nhi aata...usdin rakshita bdi udas si rahti thi...or jis din pawan aata tha...us din bdi khush rahti thi...hasi khushi dono un chhote janvro ka khyal rkhte the...unhe bhar pet khana khilate the.....halanki pawan kuch hi samay ke lie aapata tha..fir pta nhi kya kaam krta tha...lekin jitne samay bhi aata...dono bahut khush rahte the...
In bato ko sath sath kuch din gujar chuke the...



Arushi-rakshita...kya tum mujhe ek bat satya btaogi ..
Rakshita-haa bolo...
Arushi-kya tum mujhe bta sakti ho ki..tumhe ab mere sang se jada pawan ka sang kyu psand aane lga...

Rakshita hairan hot hui-nhi to...ye kaisi baat kr rhi ho...wo to bs bhojan laata hai...islie usse prempurak bolna pdta hai...anyatha wo to mujhe ek ankh nhi bhata....
Arushi-to ab tum asatya bolna bhi sikh rhi ho...

Rakshita-nhi arushi mai kyu asatya bolungi...tum to mere pasandida sakhi ho...
Arushi-achha...kintu mujhe to kuch or hi prateet ho rha hai...

Rakshita bas muskura deti hai....
Arushi-satya btao...kisi divas wo nhi aata...to tum bahut udas rahti ho...or ata hai to prasann rahti ho...

Rakshita-achha...iska kya tatparya hua...
Arushi-iska tatparya..tum usse or wo tumse prem krne lge ho...

Rakshita ankh badi krti hui-kya kuch bhi anargal bole ja rhi ho...mai tumse baat nhi krungi...

Itne me hi waha ravi aajata hai...
Ravi-rakshita...ye lo bhojan...
Rakshita-or pawan ?
Ravi-wo nhi aa sakta aaj...kisi awashyak kam se gao se bahar gya hai...atah mai le aaya...
Ravi ek khane ki bhari hui bori wha rakh deta hai..

Jb pawan ke na aane ka pta lgta hai to rakshita ka chehra murjha jaata hai....jisse paas bethi arushi note kr rhi thi...
Arushi-rakshita.....
Rakshita ekdm bnawati hansee ke sath arushi ki taraf dekhti hai...
Arushi-ye kritrim psannta hai rakshita...sab janti hu...

Rakshita-arushi...tum na bs....

Rakshita jakar mandir ke ek side me beth jaati hai...
Or sochne lgti hai...ki ajtak usne mahsus nhi kiya tha...ki pawan ke na aane se usko achha nhi lgta...lekin aaj arushi ke bolne pr wo mahsoos kr rhi thi...ki arushi ne sach hi kaha hai...aaj schme use achha nhi lg rha tha...kya schme use prem ho gya hai...kya aisa hota hai prem...


Rakshita bethe hue bahut sari esi hi bate soch rhi thi bs...
Kuch der bad mandir ke kaamo me lag jaati hai...lekin uska man bilkul nahi lag rha tha...
Jaise taise din kat'ta hai...ghar jaate samay bhi bar bar wo mandir ki taraf dekh rhi thi ki shaayd pawan uss aata hua dikhai de jaye...
Lekin chalte chalte wo ghar pahuch hi jaati hai...khana khakar so jaati hai..
Subah uthte hi wo is khushi se taiyar hoti hai...ki wha jaate hi use pawan milega..jaldi jaldi taiyar hokar bhag jaati hai mandir ki or....or wha ke kaam krte hue intjar krne lgti hai us samay ka jb pawan aata hai...
Jaise hi wo samay hota hai..rakshita fir se us raste ki or dekhne lgti hai ....

Arushi-achha...to pratiksha ho rhi hai...
Rakshita-chup rho tum
Arushi-man kyu nhi jaati ki tum pawan se prem krne lgi ho...

Rakshita-tum kuchh bhi bolo or mai man lu....itne hi use fir se ravi aata hua dikhai deta hai...
Ravi ko dekhte hi rakshita ka firse chehra utar jaata hai....
Ravi-wo aaj...
Rakshita gusse me-ha janti hu...tum bhojan laye ho...or aaj bhi pawan nhi ayenge...yhi na...sun liya ab jao...
Rakshita ki baat sunkr ravi muh sa maskodta hua ,wha bhojan rakhkr wapas chal deta hai.

Or rakshita ki ankhe bheegne ko taiyar ho jati hai...
Lekin rakshita control krti hai...or wha se uthkar thoda side me chali jaati hai...jaha koi nhi hta hai...
Wha jate hi uske ansuo ki dhaar bandh jaati hai...

Arushi uske pichhe pichhe ati hai...rakshita ke jaise hi kandhr pr hath rakhti hai...rakshita ko cntrol nhi hota or wo arushi ke gle se lagkr rone lgti hai...

Arushi-are...isme vilaap krne ki kya baat hai..
Rakshita-wo...wo mera ek mitra tha na...memna jo pichhle varsh mrityu ko prapt hi gya tha...mujhe uski yaad aarhi hai...
Arushi-fir se asatya bol rhi ho man kyu nhi jaati ki tum pawan se pram krne lgi ho.....or tum islie vilaap kr rhi ho kyuki wo aaj nhi aaya....

Rakshita kuch nhi bolti...or ansu bahaye jaa rhi thi bs...

Arushi-achha thk hai mt bolo...kintu ese vilap to mt kro...chup ho jao....
Rakshita badi mushkil se shant hoti hai...lekin pura din wo badi udaas thi....lgbhag 10 din ho gye the jbse pawan or rakshita dost bne the....1baar hi hua jb pawan nhi aya tha...usme rakshita udas jrur thi lekin udasi ki vjh khud rakshita ko nhi pta thi...ab jb arushi use uski sthiti se awagat kraya to mano jaise uske andat bse sare ahsaso ne karwat li ho....use ahsas hua ki ha...pawan ke na aane se uska mn udas tha...

Pawan ne in dino me rakshita ko esi koi baat nhi boli jisse rakshita disturb ho...wo to hasti khelti rakshita ko dekhkar hi khush rahta tha...
Lekin ab 2din se pawan nhi aaya tha... Rakshita ko bilkul achha nhi lg rha tha....

Next day....
Mandir me sarwajanik bhoj ka ayojan kiya gya....bhaandaara jaisa....ab aisa kaam ho or takshita free rhe ..ye to ho nhi sakta...rakshita ke upr bht si jimmedari dali gyi thi.......
Rakahita bhi sbhi kaam bahut mehnat se kr rhi thi kekin sath hi uske dimak me ek khyal ye bhi tha ki pta nhi aaj bhi pawan aayega ya nhi....shreer kaam jrur kr rha tha usks lekin dimak kahi or hi ghum rha tha....

Bhoj ki sabhi taiyariya ho gy thi...ishwar ko prahsad ka bhog lgakar shaddhaluo ko line se bitha diya jata hai...rakshita ,arushi or 2,4log sbhi ko bhojan khilane lgte hai...line me bethe logo ke same puuriya or halwa ,laddu rakhte jaate hai...

Achank rakshita ka dhyan dur se aate hue pawan pr jaata hai...
Rakshita ke mn me maano khushi ki lahar daud gyi...
Rakahita-arushi....mai abhi aayi...
Bolkar rakshita khushi khush tej kadmo se us taraf bhag leti hai.....

Arushi uske bhagne ki disha pr dhyan deti hai...samne se aate hue pawan ko dekh arushi bhi muskura deti hai.....

Rakshita bhagti hui ekdm pawan ke samne aakar ruk jaati hai...
Or pawan achank se usko hug kr leta hai...
Pawan ki ankho me aansu the....ekdm ese hug krne se rakshita thodi asahaj mahsus krti hai...kyuki wha sb the...or is trh pahle kbhi kisi ne use hug nhi kiya tha...

Rakshita ekdm usse alag hoti hai...
Rakahita-are...tum vilap kyu kr rhe ho....kya hua...sb kushal to hai na...
Pawan-haa sb kushal hai...bs tumhe mene bahut smaran kiya rakshita....
Rakshita- tum aaye kyu nhi the 2divas se...

Pawan-wo...kuch mahatvapurna karya tha...
Rakshita-yadi pahle suchna de dete to achha hota hai...
Paawan-ha...mujhe chhama krdo.....
Rakahita thoda gusse me-chhama ishwar se mango.....
Pawan muskurata hua-wo hi to kr rha hu....
Rakshita hairani se-arthat...?

Pawan-kuch nhi....wese kya tumne mujhe smaran nhi kiya...
Rakshita-mitra ka smaran to kiya hi jaata hai...
Pawan muskura dete hai-wese yha kya ho rha hai....
Rakshita-sarwajanik bhoj....aao tum bhi prashad grahan kro...

Pawan-kintu mai to...
Rakshita uska hath pakadkr-aao na....
Pawan apna hath rakshita ke hatho me dekhta hai...uske chehre pr muskan aajati hai...

Rakshita-are...kintu pahle ishwar ki puja kro...uske bad bhoj krna....
Rakshita pawan ko mandir me le aati hai....

Paawan-thik hai...mai to kr lunga...tum bhi to ishwar ke samaksh hath jodo na...
Rakahita ankhe band krke ishwar ke samne hath jodkr khadi ho jaati hai...

Kuch der tak ankh kholne ke bad jb rakshita ankh kholti hai to hairaj ho jaati hai...
Pawan uske samne uski or muh krke...ghutno ke bal betha tha...or rakshita ki taraf hath jode hue the...

Rakahita soch me pad jaati hai...pawan ki ankhe abhi band thi...
Rakshita idhar udhar dekhti hai...to samne arushi use hansti hui dikhai deti hai...
Rakahita uski or bas ankhe nikal deti hai...or mandir me kaam krane ka ishara krti hai...
Rakahita-pawan....

Rakshita ke pukarne pr pawan ankhe kholta hai...
Rakshita-ye sb kya hai...
Pawan-...RAKSHITA ...MUJHE TUM ME HI ISHWAAR DIKHTA HAI...yhi to bina kathor tap ke ishwar ke darshan krna hai...kintu mai 2din se ishwar ke darshan nhi kr paya..atah aaj....mna bharkr darshan krne ki lalsa hai...


Rakshita-pawan...ye kaisi baate kr rhe ho.
Pawan-meri bate tumhe bad me smjh me aayengi....
Rakshita hanste hue-chalo...ab bhojan grahan kro....
Pawan-mai khakar aaya hu...ab nhi...

Rakshita-ishwar ke bhojan ko mna nhi krte...chalo....
Pawan-are lekin....
Rakshita jabardasti uska hath pakadkr use logo ki line me bitha deti hai...or uske samne ek bda patta rakhkar usme bhojan parosne lgti hai.....
Pawan bhi ab bde chaw se bhojan krne lgta hai.


Rakshita khush hoti hui andar kuch saman lene jaati hai...
Aruushi uska hath pakad leti hai...
Rakshita-kyaa hua...
Arushi-ab to bdi khush prasann najar aarhi ho...

Rakshita-tum fir se wo hi shararat krne lgi na...
Arushi-achha nhi krugi...kintu btao..ab prasann ho na...
Rakahita muskurahat ke sath "haa"me gardan hila deti hai...
Arushi bh muskura deti hai....


Aj rakshita ko schme ehsas ho gya tha ...ki wo bhi pawan ki taraf akarshit hai...use arushi ki baat prr lgbhag vishwas ho gya tha...ki pawan se uski mitrta ,mitrta se kahi adhik hai....


Idhar naqabposh ke charche bdhte hi ja rhe the...kisi bure kam ke nhi...blki achhe kam me...pitamah bhishm ne to uske samne aakr bhi uska chehra dekhna utna jruri nhi smjha...lekin maharaj or duryodhan ko ye bat sahi nhi lgti thi...shaayd unka manna bhi sahi tha...jo bhi hai...uski kmsekm identity to honi chahiye...itna bda yodha ese hi ghum rha hai...uska pta rajan ko to hona hi chahiye...
Naqabposh ko kai bar maharaj ne sainiko se pakadwane ki koshish ki..kintu wo nikal bchta tha...


"Pakadwane ki koshish ki"iska vakya ka ye bilkul mtlb nhi hai ..ki ishrya vash ya fir kisi apradh ke chalte use pkdwana chahte the maharaj.....bs uski identity janne ke lie uske rubru hona chahte the...halanki bs kuch sainik h use dhunde k lie jaate the....maharaj bhi use pakadne ko itna sireus nhi le rhe the the...iske 2karan the...ek to...us naqabposh se koi nuskan nhi tha....yadi nuksan hota to hastinapur ...jiske shubchintak itne bde bde yodha tha...unkr samne bhla ye nakabposh kya thahrta ....

Or dusra karan tha...pariwar me foot...ji ha...yha maharaj ke priwar yaani..
Pandav or korvao me yudh ki puri ashanka bnti jaa thi thi....

Halanki duryodhan adharm me paksh me jrur the...kintu unki praja unse itni bhi khafa nhi thi...unhe bs singhasn chahiye tha...orr bhaiyo ke prati aag to mama shrre unke dimak me daalte hi rahte the.....

Yudhishtir raja bne...ye praja jrur chahti thi lekin iska mtlb ye bilkul bhi nhi tha ki duryodhan unpr atyachar krte the....nhi...duryodhan bhi apni praja ko atyadhik prem krte the...

Yadi mama shaakuni ka wish durydhan ke andar na ghola gya hota...to ykeena wo ek shreshtra manushya hote ....lekin ab unke andar hadse jada wish ghola jaa chuka tha....ab tak unhone praja pr kisi trh ka koi atyachar tknhi kiya tha...lekin jis trh ka unka mahol bna hua tha...unki soch ko bdlaa ja rha tha...yadi duryodhan yudh jeet jaate...or raaj paat dusryodha ko mil jata to ykeenan praja ka bhi shoshan hota hi...vajah shakuni mama....



Ek baar fir se pawan ne aana shurr kr diya mandir me...or rakshita ko uski baat chit,hasee mjak...or baat baat me bolna ki mujhe tumme ishwar dikhta hai,bdi achhi lgti thi...sbse bdi vajah pawan ka janvro ke lie prem...jo rakshita ko sbse jada pabhvit krta tha....
Khair ese hi dhire dhire 5,6din nikal gye.....

Ek din rashita ne dekha ki whi budhha jisko rakshita ne bchaya tha...mandir me khada hua ro rha tha...
Rakahita uske laas jakar-kya hua kaka....ap vilap kyi kr rhe hai...

Budhha-putri...tumne ek bar mere prano ki raksha ki thi....meri putri ke vivah hetu jo mene abhshan rkhe the...wo kisi se chura liye putri...ab mai kya kru...
Rakshita preshan hoti hui-are...ese kaise..kisne churaye...
Budha -gyat nhi putri...us lutoro ki vajah se sbko gyat ho gya ki mere pas meri putri ke lie kuch abhushan hai....ab kisi ne unko chura liya....ab mai kya krunga....meri putri ka vivah najdeek aarha hai...

Rakshita-kaka...ap chint mt kijiye...agle divas aap yha aayige....mai apki madad krti hu...
Budha-kintu...tum kaise putri...

Rakshita-tum aana to sahi....mai dekhti hu...kai kya kar sakti hu...

Budhe ke jaane ke bad...rakshita sochne lgti hai ki kya kre...
Or use achank ek baat yaad aati hai...
Jbse pawan bhojan laane lga hai...rakshita ne mandir ki kisi abhshan,ya chadhave me chadhaye gye swarn mudrao ki chori nhi ki...kyuk jrurt hi nhi pdi...


"Yadi un swarn mudrao ko mai...us vrudhya vyakti ko de du...to uski putri ka vivah ho sakta hai...haa ye sahi rhega....kintu mujhe ye karya bahut sawdhani se krna hoga...ha...
Aaj saykaal me hi mujhe swarn mudraye mandir se nikalni hongi..."rakshita apne mn me sochti hui...apne kaam me lag jaati hai...



Sham ke samay...jab rakshita ka ghar me jaane ka samay hota hai..to rakshita mandir ke chadhawe se kuch swarn mudraye or abhshan utha leti hai...or ek chhoti potli bandhkar ghar ki taraf chal deti hai...

Gao se nikli jaa rh thi thi...tbhi achank pichhe se use kis janvar ke bhagne ki aawaj aati hai...
"Putri bcho..."ek aadmi rakshita la hath pakadkar kheechta hai...
Piche se ek bail bhaga aarha tha...or sidha nikal jaata hai...

Rakshita ekdm side me jaa girti hai...or uske hath se wo swarn mudrao ki potli girkar khul jaati hai...
Usme se kuch abhushan or swarn mudraye bahar aajati hai...
Aaspas ke sbhi log ankhe faade unhe dekhne lgte hai...


"Are..ek nirdhan kanya ke pas itne swarn mudraye...."
"Are ye to us mandir me rahti hai......pichhle dino pandit ji kah rhe the ki mandir me utna dhan nhi hai jitna chadhawa aata hai"

"Iska tatparya ye kanya chori krti hai...ha bhai...ye chori karti hai kanya... islie ye mandir me rahti hai...."

Log un swarn mudrao ko dekh tarah tarah ki baate krne lge the...
Or rakshita chupchap dharti pr pdi un sbke muh ko dekhe jaa thi thi...ab wo kahti hhi kya...koi vishwas bhi nhi krta...

"Kyu re kanya...ishwar ka chadhawa churati ho....isjwar tumhe dand denge..."ek aadmi guse me bolta hai...

Rakshita-mai to us vridhha vyakti ki madad krna chahti thi....

"Achha...mithya bolti hai ye kanya....are koi sainiko ko bulao...."

Rakshita-kintu mai satya bol rhi hu...
"Satya asatya ka nyay to ab swayam maharaj krege...."
"Ab samajh aayega jb tumhe kaal kothari me rkha jayega......"

Logo ajib ajib baate krne lge the or itne me hi kuch sainik aajate hai...
"Is kanya ne chori ki hai...mandir se...ye rha praman...ye potli...ise maharaj ke samaksh le jaiye...."kuch aadmi apne apko jaagruk bnane ki koshish krte hai....

Sainik rakshita ko pakadkar rajamahal ki or chal dete hai...rakshita bhi chupchap chal deti hai...kyuki wha uske pitashree to the hi...lekin ghar jakar mata ki daant to pkka pdni thi...

Rajmahal me sainik ke dwara rakshita ko maharaj ke samne prastut kiya jata hai...
Sabha me sbhi the...lekin pitmah nhi the..shaayd kahi gye hue the...

Maharaj ko koi btata hai ki ek kanya pr chori ka iljam hai...
Maharaj-kon hai ye kanya....
Senapti-maharaj...is kanya ne gao ke mandir me chori ki hai....

Maharaj-kanya...kya ye baat satya hai...tumne mandir me chori ki...
Rakshita-ji maharaj...ye baat satya hai...
Vidur-kanya...tum jaanti ho ye apradh hai...apne bachao me tum kuch nhi kah rhi ho...or tumne ptatyaksh rup se ye apradh sweekar kar liya.....


"Maharathi....paramveer,dwarkadheesh madhusudan ,vasudev shree krishna pdhaar rhe hai...."dwarpal achank shree krishna ke agman ka smachar deta hai...

Sbhi jan shreekrishna ke swagat me khade ho jaate hai...
Krishan ji andar aakar sbhi ko pranam krte hai...
Vidur-padhariye vasudev...
Krishna ji-prateet hota hai ki...yha kisi mamle pr sunvai chal rhi hai....hmne bich me akar koi vyadham utpann kiya ho to...hm chhama chahte hai...

"Tum akaran kabhi aa hi nhi sakte vasudev...isme bhi awashya hi tumhara koi shadyantra hai..."mama shakuni apne man me sochte hai....

Maharaj-nhi vasudev...apke aane se is raajsabha ka maan bdhta hai...vyavdhan ka to prashann hi nhi uthta hai...
Krishna ji rakshita ki taraf dekhte hai...rakshita kbhi unki bansuri ko dekh rhi thi to kbh unke sr pr lge mor pandkh ko..
Shayad kuch yaad krne ki koshish kr rhi thi...

Krishna ji-ye kanya kon hai....
Maharaj-isne chori ki hai vasudev....isi pr sunvai chal rhi hai......kaho senapati...
Sepapati-maharaj...gao me ek mandir me...ye kanya bahut samay se wha karya krti hai...niswarth karya....mandir se kai baar chadhave ke roop me aaye swarn mudraye athwa abhushan me kmi aayi hai... Aisa pujari ji ne pushti ki hai....

Maharaj-kmi aayi...arthat chadhwa nhi chadhate log...
Senapati-chhama kre maharaj...mera kahne ka tatparya hai ki...mandir me jo chadhwawa chadhaye jaata tha usme se bdi matra me koi chura leta tha...or ab ye kanya chori krti pakdi gyi hai....

Maharaj-kanya...kon ho tum....kya naam hai tumhara...
Rakshita-maharaj...mera naam rakshita hai...
Vidur-rakshita...kahi tuk whi rakshita to nhi...jisne kuch divas pahle lutero se ek vyakti ki raksha ki thi....or tum...bhupad ki putri ho?

Rakshita-ji...apne uchit kaha...mai whi rakshita hu...or shee bhupad mere pita shree hai....

Maharaj-bhupad ko bulaya jaye..
Ek sainik sabha se chle jaate hai....bhupad ko bulane...
Vidur-hme gyat hai...tum varsho pahle bhi aayi thi na...jo samast gramvaasioyo ko mrityudand dene ki mang kr rhi thi...

Mahraj-haa...kya ye whi natkhat kanya hai....?
Rakshita ajeeb sa muh bna leti hai...pr kuch bol nhi paati...
Kuch der me bhupad bhi aajate hai...or rakshita ko dekhkar hairan rah jate hai...

Maharaj-bhupad...tumhari putri ne ek mandir me chori ki hai....tumhari putri ne sewayam is arop ko satya mana hai...
Bhupadh-mai kya kahu maharaj...jaisa ap uchit samjhe...

Maharaj-kanya...kya tumhe is vishay me kuch kahna hai...
Kanya-maharaj...us mandir se jo bhi vastu chori hui hai...wo maine ki hai...swarn kudraye...abhushan...sbhi vastu...

Maharaj-kitnu kyu...yadi tumhe kuch jrurt thi...tum yha aati....
Rakshita-mahraj...chhote chhote pashu...jinhe koi nhi paal'ta...anath ghumte rahte hai...unke bhojan ke prabhandh hetu hi mai ye chori karti thi....yhi satya hai....

Maharaj-kintu ye kaisa karan hai..kuch pahsuo ke bhojan ke lie...mandir me chori...

Rakshita-maharaj...ishwar in sb bahymulya washtuo ka kya krege...is sabha me bde bde vidwan mojud hai...kya mai ek prashann kr skti hu...hm chadhawa kyu chadhate hai...jbki ishwar ne hi hme bnaya hai...pura sansar bnaya hai..to unhe in vastuo ki kya awashyakta....

"Putri...chadhwa islie chadhaya jata hai...taki manshya jo din bhar me arjit krta hai..uska thoda sa bhag wo ishwar ko arpit kar yah sidhh krta hai ki maine jo bhi arjit kiya wo ishwar ke karan kiya....atah meri is arjit vastu me ishwar ka bhi hak hai...wo ishwar ka maan rkhta hai us chadhawe se....."koi gyani brahamn rakshita ke prashan ka uttar dete hai...

Rakshita-ek baar chadhane k bad...ishwar ka man to rakh liya...kintu yadi whi chadhawe se kisi bhuke pashu ki bhuk mit jaye......isse to us manushya ko or adhik punya milega na rishivar....

Mahraj-kintu putri....chadhwa bahut adhik maatra me aaata hai....
Rakshita-ji maharaj...or pashu bhi bahut adhik sankhya me bhuke hote hai...ek baar ke chadhawe se kai divas ke bhojan ka prabandh hota hai unke lie...or aaj vhi vridhha vyakti jiski rakha mene ki thi...uske abhushan kisi se chura liya...uski putri ka vivah hai...wo atyadhik viap kr rha tha maharaj...islie maine ye churakar use dena ka vichar kiya......


Mahraj-hmm..tumhara karya to nek tha..kintu chori to galat hi hoti hai na.....islie iska dand to dena hi hoga.....
Krishna ji-yadi mahraj ki agya ho...to kya mai...kuch bol sakta hu...

Mahraj-awashya vasudev....
Krishna ji-maharaj yadi ap is kanya ko..iske kiye pr dand dena chahte hai...to jo isne uchit karya kiye hai...uspr ise puraskar bhi milna chaiye....

Krishan ji ki bat se sb chaunk jaate hai...
Maharaj-puraskar....
Krishna ji-ha maharaj...chori karna ka dand dijiye...kintu un pashuo ko bhojan krana...us vridhha vyakti ki raksha krne...is sbka puraskar kaha hai maaharaj?

Maharaj-to aap kya chahte hai vasudev...
Krishna ji-mai bhala kya hahuga maharaj...maharaj to aap hai....nirnay apko karna hai....

Vidur-maharaj...agya ho to..mai kuch kahu...
Maharaj-awshya....kaho anuj...
Vidur-maharaj...rakshita ko pitamah bahut achhe se jaante hai...kyu na hm unse is baat pr vichar vimarsh kre...
Maharaj-haa...tumne uchit kaha...ye sabha...agle divas hogi...or agle divas hi is pr sunwayi hogi...tab tak rakshita ko atithgrah me samman purvak rakha jaye ...


Ratri ka samay...
Bhupad apni putri se milkr ghar chale jaate hai...
Pitamah sham ke samay mahal me aate hai.
Or unhe rakshita ke baare me or krishna ji aamann ke bare me suchna di jaati hai....

Rakshita alishan atithigrah me bethi thi...
Or us kamre ki sundarta ko nihar rahi thi...
Tbhi darwaje se krishna ji aate hue dikhai pdte hai...

Rakshita unke samman me khadi ho jaati hai...or unhe pranam krti hai...
Krishna ji-mujhe pahchana ya nhi....

Rakshita-ap to...whi hai na...jinhone mujhe bansuri di thi....

Krishna ji muskurane lgte hai..
Rakshita-ap kon hai..kya ap ishwar hai...mere pitashree kahte hai ki ap ishwar hai...kya ye satya hai...

Krishna-ishwar...are baba na...mai to manushya hu...tumhari tarah...
Rakshita-to fir apki bansuri us divas chakra kyu ban gyi thi...or sbhi ko maar diya tha...ye kaisa chamatkar bhala....

Krishna ji-wo mene nhi...ishwar ne kiya hoga...mene tumhe bs bansuri di thi...taki tum bajati hui aage bdhti rho...ho sakta hai tumhe ishwar ne bchaya ho...

Rakshita kuch sochne lgti hai-kintu kuch log apko ishwar kyu mante hai...

Krishna ji-sambahv hai ki mera atyadhik samman krte hai..wrna kuch to mujhe gwala...chhaliya...ranchhor bhi kahte hai...

Rakshita kuch sochne lgti hai...
Krishna ji-jada mt socbo rakshita....kintu mujhe nhi pta tha ki tum chor ban jaogi...

Rakshita-apne pashu mitra ke lie yadi mujhe ishwar se bhi ladna pde......to bhi mai piche nhi hatungi......chor bnna to chhoti baat hai....

Krishna ji-wahh...itne uttam vichar.....kya baat hai...chalo thik hai...aj tumhe ek bhaishya ki baat btata hu...jin pashuo ke lie tum itna samarpit ho...bhavishya me tumhari sbse bdi kathinai ka hal( हल)bhi ek pashu hi nikalega...


Rakshita-arthat...
Krishna ji-tumhare jeevan ka sbde bda adhyaay arambh hone jaa rha hai rakshita...wo adhyay jo tumhe mahan bna skta hai.......

Rakshita-mujhe apki baate ekdm samajh nhi aati...pahle ap mile the...tb bhi esi baate kr rhe the...

Krishna ji-mai sbhi ko marg dikhata hu putri...kon use samajh pata hai...athwa nhi...ye to unhi pr nirbhar krta hai...
Tbhi drwarpal pitamah ke aane ki suchna dete hai....

Pitamah or krishna ji dono ek dusre ko pranam krte hai...rakshjta bhi pitamah ko pranam krti hai...

Pitamah-putri...to tum chor bhi ban gyi....pitamah thoda muskurate hue bolte hai...

Rakshita-pitamah maine kuch anuchit nhi kiya...kisi ke ghar se dhan nhi churaya...kisi se balpurvak chheena nhi hai...mai to...

Pitamah-mujhe pta hai putri...tum kbhi kuch anuchit nhi kr skti...

Krishna ji-yadi apko itna vishwas hai pitamah...to fir...agle divas ap kya faisla sunane wale hai...

Piatamah-vasudev...faisla sunane ka krya maharaj ka hai...
Krishna ji-kintu...mai chahta hu ki...rakshita ko koi dand na mile..

Pitamah-kintu vasudev....ye to asambhav hai...bahar logo me ye sandesh jayega ki hmne ek chor ko dand nhi diya...or isse logo me chori krne ka sahas badhega....

Krishna ji-nhi pitamah...hm bahar logo ko khabar pahuchwa denge ki...rakshita ko karagar me daal diya gya hai...or rakhita yha atithi grah me rhegi...kuch divas bad isko ghar bhej diya jayega...

Pitamah-kya ye anuchit nhi hai....
Krishna ji-uchit krne kr lie...anuchit krna pdta hai....
Pitamah muskurate hue-vasudev....abhi bhi apko kuch log chaaliya bolte hai...ese to...bhavishya me log apko najane kya bolege....

Krishna ji-ha pitamah...mai sb jaanta hu...bhavishya me log to puri mahabharat ka uttardayi bhi mujhe hi thahrayege.....bhavishya me jo log ishwar ki satta manne se inkar kr denge, wo bhala mujhe kya manege...

Krishan ji idharr udhar ghumne lgte hai...
"Bhavishya bahut andhrkaarmay hona wala hai pitamah....manushya ishwar ko chunauti dega...uske astitva ko chunauti dega...manushyo khud ko itna budhhiman manega ki ishwar to matra uske liye tark vitark ka mudda bnkr rah jayega.....ishwar me sainkdo buraiya dhundne lgegaa manushya,sirf swayam ko shreshtha sidhh krne ke lie...ese me...bhala mera kya vajood hoga....koi mujhe kuch bhi smjhe..mai bs bhavishya ke logo ko ye sandesh dena chahta hu...ki uchit krne ke lie kabhi kabhi anuchit mang sweekar kr lena hi uttam vikalp hota hai.....

Pitamah-chaliye vasudev...apka or mera to chhodiye...kintu is kanya ka bhavishya mujhe kuch vichitra sa prateet hota hai....
Krishna ji-ye to vidhi ka vidhan hai pitamah...kb kisko ishwar kis karya ke lie chun le...ye bhala mai ya aap...kon jaan sakta hai.



Pitamah-kintu mai apka ishara smjh chuka hu....
Vasudev-mujhe to ye bhi prateet hota hai ki...gandhaar raj shakuni...is bar bahut hi lamba shadyantra soch rhe hai.......

Pitamah-ye to ap or shakuni ji jaane...kintu vasudev......ye yudh kinhi manushyo ke bich nhi...apeetu 2 soch ke bich hai...shakuni or vasudev krishna ki soch ke bich....vastav me ap dono hi isme pratidvandi hai...ek taraf adhharm ke rath me sarthi shakuni hai.jo apni soch se...apne shadyantra se bharatvansh ka nash krna chahta hai...to ek trf aap...dhrm kr marg chalne ki prerna dete hue...satya ko bnaye rakhna chahte hai....

Vasudev-kintu hm dono me ek samanta bhi hai pitamah....wo ye ki...wo bhi chhal(छल) se adharm ko jeetana chahte hai...or mai bhi chhal se dharm ko jitauga....

Rakshita-kintu...
Pitamah-are...hm to ye bhul hi gye ki yha hmari putri rakshita bhi mojud hai......
Rakshita-pitamah...to kya agle divas mujhe mrityudand milega....

Krishna ji-putri...maine kaha na....ab tumhare jeevam me ek ati mahatvapurna adhyay judne jaa rha hai....tanik savdhan rahna....
Itna kahkar krishna ji wha se chal dete hai...

Rakshita-pitamah...mujhe inki bate kbhi smajh nhi aati...inhone meri raksha ki thi...us shawak ko us singhni tak pahuchate samay...or aaj bhi...kintu krishna ji baate...?

Pitamah-achha...to us divas us prn se tumhe vasudev ne hi mukt kraya tha...
Rakshita-ha pitamah ...or inki bansuru ne sudarshsn chakra bnkr kai aadmiyo ko maara tha...wo aadmi dusht the...

Pitamah muskurate hue-to ab...rajmahal me raho aram se...
Rakshita-arthat....

Pitamah-ab tum araam kro...sb samajh ajayega....


Idhar bhupad or pura priwar bht dukhi the...lekin kar bhi kya sakte the...agle din bhupad maharaj se kuch nivedan krege...aisa sochkr pura priwar so jaata hai ....

Agle din...
Maharaj-bahar jan samuday tak ye samachar pahucha diya jaye ki rakshita ko 2mah ke lie karawas ka dand diya gya.....


Krishna ji ke samjhane ke bad...maharaj ko bhi ye thik lga...or gao me ye khabar fail gyi ki rakshita ko karawas ka dand diya gya hai..lekin wastav me rakshita yha athithi grah me thahri thi......
Bhupad ko bhi ye sawdhani bartne ko kaha jaata hai ki wo gao me kisi se ye baat na btaye...or kiso trh se preshan na ho...

Rakshita ne usi din maharaj se ye bhi agrah kiya ki us garib vridha ki sahayta ki jaye...jb uski sahayta maharaj ki agyanusar ki gyi...to maharaj or sbhi ko rakshita ki koi jada bdi glti najar nhi aayi...ye bhi ek karan tha ki use koi dand nhi diyaa gya......


2din gujar gye...pawan udhar bahut preshan tha...gao walo se khabar mili ki rakshita ko karawas me daal diya gya hai...2din tak wo pta krta rha ki kisi karawas me hai...lekin kuch pta nhi lg paya.....
Akhir 2din bad uska sabra ka bandh tuut gya...or pawan ne apni talwar nikal li. ..chehre pr nawab lgaya...or nikal pda apni naqabposh wala bhesh bnakar mahal ki or...najane uske dimak me kya tha...lekin rakshita ko kisi preshani me dekh nhi sakta tha...

Raatri ka samay ho chuka tha.....naqabposh tha hi ek bda yodhha...jo chhipkar apne kaam ko anjam deta tha.. ..to ese kisi ke mahal me ghusna jada mushkil kaam nhi tha uske lie...
Lekin ...hastinapur ke mahal me ese pravesh krna itna asaan bhi nhi tha......kyuki yha bde bde yoddhaao ka jamghat tha tha...duryodhan,dronacharya,kripacharya.,karan,or khud bhish pitamah.....unke samne bhala ye naqabposh kya tha.....lekin apne prano ko sankat me daaal,pawan ne bs rakshita ko chhudane ki thaan li thi.....

Next update will be soon...
 
Last edited:

DARK WOLFKING

Supreme
15,556
31,971
259
nice update ..to pawan ke naa aane par rakshita dukhi ho jaati hai ,aur arushi samajhati haixki ye prem hai 😍..
vriddha vyakti ke gehne chori ho gaye jo usne apne beti ki shadi ke liye rakhe the aur rakshita madad karne ke liye mandir se kuch aabhushan aur swarna mudraye chori karti hai 🤩..
par uski chori sabke saamne aa jaati hai aur uske maharaj ke saamne pesh kiya jaata hai ..

krishna ji sahi samay pe aake rakshita ko dand se bacha lete hai aur bhavishya ko lekar aagah bhi kar dete hai ..

ek pashu hi rakshita ke kathinaai ka karan banega 🤔🤔..

ab rakshita 2 mahine ke karawas ki jagah rajmahal me reh rahi hai aur yaha pawan chintit hai uske liye ,,..

pawan hi nakabposh hai aur wo rakshita ko bachane rajmahal me ghusne jaa raha hai ,,dekhte hai kitna kamiyab hota hai pawan 🤔..
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,556
31,971
259
aur ek baat yaad aa gayi ki rakshita kehti hai chandraksh ne aata type kuch ko maar diya par yaha kisi ka bhi naam aata se milta julta nahi dikh raha 🤔🤔🤔🤔..

aata ko aakash yaa lata samajhe the sab,, par is naam ka koi bhi nahi aaya abhi tak kahani me 🤔..
 

Ankitarani

Param satyagyani...
2,959
12,528
144
तीसवाँ भाग

तो लड़के का नाम पवन है। उसको अपनी माँ को लेकर स्वप्न आते हैं। जैसे वर्तमान में आकाश को आते हैं। और जैसे आकाश स्वप्न आने के बाद जय के पास जाता है ठीक वैसे ही पवन रवि के पास जाता है।

पवन रक्षिता की अच्छाई और जानवरों के प्रति उसके प्रेम को देखकर उस पर मोहित हो चुका है। और उससे प्यार करने लगा है। :kiss:लेकिन रक्षिता उसे मंदबुद्धि समझती है और किसी निपुण वैद्य से उसका इलाज करवाने के लिए कहती है।

गांव में जब लुटेरे आते हैं तो पूरा गांव घर में छुप जाता है तो बस रक्षिता ही उस बुजुर्ग की मदद के लिए बाहर आती है और रक्षिता की मदद के लिए आता है वो नकाबपोश व्यक्ति जो अभी तक रहस्य बना हुआ है। रक्षिता के कारनामे दिन प्रति दिन बढ़ते जा रहे हैं। जिसकी चर्चा राजमहल में भी होने लगी है। और राजमहल में चल रहे षड्यंत्रों के सूत्रधार रक्षिता को अपनी तरफ शामिल करने के बारे में जरूर विचार कर रहे होंगे।


अब देखना दिलचस्प होगा कि ये कहानी आगे क्या मोड़ लेती है।
🤔🤔🤔बहुत ही जबरदस्त कहानी है आपकी अंकिता जी।
Thanks mahi ji...ha pawan ko snpne aatw hai...yha iska dosr ravi hai...wha akash ka dast jay hai..ye sb ek ittefak hau...inme koi esa raaj ha suspase ya aage bhi raaaj ravi ka punarjanm hai iska kucu nhi hai....
Punnarjanm bs pawan ka hai or kisi ka nhi...

Rakshita ka pyar ab dhire dhire pawan ke lie bdhega...dekhte hai...kya hoga aage...thanks for coment
 

Ankitarani

Param satyagyani...
2,959
12,528
144
nice update ..to pawan ke naa aane par rakshita dukhi ho jaati hai ,aur arushi samajhati haixki ye prem hai 😍..
vriddha vyakti ke gehne chori ho gaye jo usne apne beti ki shadi ke liye rakhe the aur rakshita madad karne ke liye mandir se kuch aabhushan aur swarna mudraye chori karti hai 🤩..
par uski chori sabke saamne aa jaati hai aur uske maharaj ke saamne pesh kiya jaata hai ..

krishna ji sahi samay pe aake rakshita ko dand se bacha lete hai aur bhavishya ko lekar aagah bhi kar dete hai ..

ek pashu hi rakshita ke kathinaai ka karan banega 🤔🤔..

ab rakshita 2 mahine ke karawas ki jagah rajmahal me reh rahi hai aur yaha pawan chintit hai uske liye ,,..

pawan hi nakabposh hai aur wo rakshita ko bachane rajmahal me ghusne jaa raha hai ,,dekhte hai kitna kamiyab hota hai pawan 🤔..
Thanks leon ji. ...pashua kathai ka karan nhi bnega..kathinai se nikalne ka marg bmega...martb kathinai se nikalega....iska mtlb ye hai...

Dekhte hai ab lawan bcha pata hai rakshita ko ya nhi...
Thanks for coment...
 

11 ster fan

Lazy villain
2,961
7,007
143
Akhir 2din bad uska sabra ka bandh tuut gya...or pawan ne apni talwar nikal li. ..chehre pr nawab lgaya...or nikal pda apni naqabposh wala bhesh bnakar mahal ki or...najane uske dimak me kya tha...lekin rakshita ko kisi preshani me dekh nhi sakta tha...
Oh yeh bro.. matbal Mai sahi tha ki Pawan hi nakabposh hai..dekho lo vamp queen ji I won the bet...to Ankit mam kab laddu bhejawa rhi hai aap...I am waiting..
 

Ankitarani

Param satyagyani...
2,959
12,528
144
aur ek baat yaad aa gayi ki rakshita kehti hai chandraksh ne aata type kuch ko maar diya par yaha kisi ka bhi naam aata se milta julta nahi dikh raha 🤔🤔🤔🤔..

aata ko aakash yaa lata samajhe the sab,, par is naam ka koi bhi nahi aaya abhi tak kahani me 🤔..
Aata mtlb...maata....
Wo tolti bolti thi na tb jada...
Chandraksh me" maata "ko mar diya...ye tha uska mtlb
 

11 ster fan

Lazy villain
2,961
7,007
143
Krishna ji-ha pitamah...mai sb jaanta hu...bhavishya me log to puri mahabharat ka uttardayi bhi mujhe hi thahrayege.....bhavishya me jo log ishwar ki satta manne se inkar kr denge, wo bhala mujhe kya wo manege...

Krishan ji idharr udhar ghumne lgte hai...
"Bhavishya bahut andhrkaarmay hona wala hai pitamah....manushya ishwar ko chunauti dega...uske astitva ko chunauti dega...manushyo khud ko itna budhhiman manega ki ishwar to matra uske liye tark vitark ka mudda bnkr rah jayega.....ishwar me sainkdo buraiya dhundne lgegaa manushya,sirf swayam ko shreshtha sidhh krne ke lie...ese me...bhala mera kya vajood hoga....koi mujhe kuch bhi smjhe..mai bs bhavishya ke logo ko ye sandesh dena chahta hu...ki uchit krne ke lie kabhi kabhi anuchit mang sweekar kr lena hi uttam vikalp hota hai.....
Hey taunt kiya ja rha hai mujhe....
 
Top