to ye kuch jhalkiyaan hai kahani ki.... bahot hi ghambhir aur hriday vidaarak mahol bana hai kahani ki suruwati daud mein hi......jaha ek bahan bawli si OT ke saamne is kadar ghum rahi thi jaise ushe hosh hi na.... ro ro ke haalat bigad li kyunki usne farz ke chalte apne hi bhai pe goli chala di.... wo bhai jo kahi kho gaya tha lekin jab mila to usipe goli chalani padi farz ke khatir.. ye kaisa vidambana hai sarita ke liye jaha ek taraf farz aur dusri taraf uska bhai, dono mein se ek ko chunna tha...
aur jo aarop laga rahi thi uski maa us par... ki wo apne hi bhai ko maut di hai... apni maa dwara boli gayi wo kadwi baatein sun ke to jaise uska dil chid hi gaya hoga....
waise baaki sabhi ko ehsaas tha ki Sarita ne jo kiya kahi na kahi sahi hi kiya hai hai....
Lekin sarita ki mom bhi kya kare....jo bhi ho ek maa ka dil hai.....khoya hua beta mila bhi lekin is haalat mein....ek hi kokh janam leke ek ne Dusre ki jaan le li, ek maa ke liye isse badi peeda kya ho sakti hai.....mana ki Sarita farz nibha rahi thi lekin ek maa ka pehla farz hota apne bachho ki khushi aur suraksha....ab apne bete ko is haalat dekh uski mamta to Sarita ke khilaaf hi bolegi.. kyunki abhi unke bete ke liye koi dushman hai to wo khud unki beti hi hai...
Khair.... khushi ki baat ye hai ki Sarita ka bhai ab khatre se bahar hai....
puri family ko ye khabar dubte huye ke liye tinke sahara jaisa hi sukun diya hai..
............................
Ek jaruri baat . ....
Agar goli khane wala nischal nikla to .... baaki kirdaaro ke sath kya hoga....
...........
well....
Nayi kahani.... naye mod, naye pehlu.... ek freshness... waise freshness ki jagah yaha to dukh ke badal ghire hai story characters ke upar...
. shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan....har shabd ek alag kahani bayaan kar raha tha..family, farz ,emotions, tragedy ka mila jhula mahol ke sath suru huyi ye kahani jaane kitne mod se gujre....
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills