• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhare Liye... (Completed)

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Shandar story hai aur mast starting ki hai dear neelam ji aapne_____
Story ke first update me hi stpry ki heroine neelam apne lover nakul ke sath bhaag jati hai. Ye baat kuch achhi nahi lagi kyo ki is tarah mata pita ko thukra kar use nahi jana chahiye tha. Kya mata pita ka barso ka pyar koi ahmiyat nahi rakhta______
Jis din neelam apne lover ke sath bhaagi usi din se uski dost naina bhi gayab hai. Uske baad se ab tak naina ke bare me story me kuch nahi bataya gaya. To sawaal uthta hai ki kaha gayab ho gai naina aur ab kis haal me hogi. Uske sath bura to nahi huwa_______
Ghar se bhaag kar dono by train mumbai aa gaye jaha par rohan naam ka dost dono ko apne flat me le jata hai. Ye sare dost achhe hain ki dhokhebaaj shayad baad me pata chale. Yaha par neelam aur nakul ke bich kuch romance bhi hota hai. Udhar ghar me neelam ke is tarah bhaag jane se ghar wale tension me hain jo ki hona hi tha. Ab aage in dono bhagodo ke sath kya kya hoga ye dekhne ke liye aage padhta hu aur apna review bhi duga. By the way your writing style is awesome. Keep writing and posting_______


Update - 5

Main nakul ki awaaj sun kar jaag gai. Pata nahi kab meri aankh lag gai thi. Main jaldi se uthi aur samne dekha to nakul niche se meri taraf hi dekh raha tha. Usne bataya ki ham mumbai pahuch gaye hain aur ab hame train se utarna hai. Uski baat sun kar maine apna huliya sahi kiya aur sirhaane par rakhe bag utha kar use pakdane lagi. Dono bag nakul ko dene ke baad main bhi samhal kar niche aa gai. Aas paas ke log ek ek kar ke gate ki taraf ja rahe the.

Nakul ne dono bag le liya tha. Maine usse kaha bhi ki ek bag main le leti hu magar usne kaha ki halke hi to hain bas tum araam se aao mere piche. Uski baat sun kar main uske piche piche chalne lagi. Kuch hi der me ham dono gate se baahar aa gaye. Baahar kafi shor tha. Main nakul ke piche piche hi chal rahi thi. Mere dil ki dhadkane apne aap hi tej ho gai thi.

Station se baahar aane me hame kuch time laga jarur magar aakhir ham baahar aa hi gaye. Nakul ek side par dono bag ko jameen me rakh kar khada ho gaya. Main bhi uske paas hi khadi ho gai. Nakul ne apni jeb se mobile nikala aur kisi ko phone karne laga. Maine dekha ki nakul ke hath me koi dusra mobile tha. Main uske mobile ko pahchaanti thi. Par is wakt uske hath me koi dusra hi mobile tha. Maine socha ki usse puchu is bare me magar fir main ye soch kar chup rah gai ki baad me puchugi.

Nakul kisi Rohan naam ke aadmi se baat kar raha tha mobile me. Uski baato se hi mujhe pata chala tha. Usne phone par bataya ki wo station se baahar kis jagah par hai. Baat karne ke baad nakul ne mobile waapas jeb me daal liya.

"Ye rohan kaun hai nakul." Maine utsuktawas puchha nakul se.
"Rohan vikram ka dost hai. Vikram ne usse baat ki thi aur mujhe rohan ka mobile number diya tha aur kaha tha ki mumbai pahuch kar main usse baat kar luga." Nakul ne kaga.

"To kya wo yaha aa raha hai." Maine pucha.
"Haan maine use bataya ki ham dono yaha pahuch chuke hain. Usne kaha ki wo bas kuch hi der me aa jayega." Nakul ne kaha.

"Kya wo yahi kahi paas me hi rahta hai." Maine hairani se pucha.
"Nahi paas me to nahi rahta magar maine use tab bhi phone kiya tha jab tum train me so rahi thi aur ham yaha pahuchne wale the." Nakul ne kaha.

"Tumne to kaha tha ki yaha pahuch kar ham pahle kisi hotel me rukege aur araam karege. Uske dusre din hi tum baat karoge apne dost ke dost se." Maine kaha.

"Haa par jab maine rohan se us wakt baat ki to usne pucha ki yaha kaha rukoge to maine use bata diya tha ki hotel me ruk jaauga aaj to usne kaha ki hotel me rukoge to kharcha jyada lag jayega is liye isse achha hai ki ham dono uske flat me ruk jaye." Nakul ne kaha.

"To kya wo bhi hamare sath usi flat me rukega." Main nakul ki in baato se thoda asahaj ho gai thi.
"Wo to rukega hi aakhir flat usi ka hai magar chinta ki koi baat nahi hai neelam. Hamare liye to filhaal yahi bahut badi baat hai ki yaha aate hi hame rukne ke liye achhi aur safe jagah mil gai hai. Warna kisi ajnabi jagah par rukte to sukoon se so bhi nahi pate." Nakul ne kaha.

"Haa ye to hai." Maine bas itna hi kaha. Uske baad nakul ne mujhse paani wagaira pine ke liye pucha to maine mana kar diya. Aakhir kuch aur intjar ke baad achanak hi nakul ka mobile baja to usne mobile nikaal kar dekha. Shayad rohan ki call thi. Nakul ne usse baat karke bataya ki wo kis jagah par hai.

Rohan se baat karne ke baad nakul ne dono bag uthaye aur mujhe sath chalne ka ishara kiya to main uske piche chal padi. Kuch doori par ek ladka safed rang ki car ke paas khada najar aaya. Shayad rohan hi tha wo. Ham dono jab uske paas pahuche to usne nakul ko dekh kar use nakul kah kar pukara to nakul ne bhi use rohan kah kar pukara. Jab confirm ho gaya ki wahi rohan hai to nakul ne usse hath milaya.

Rohan ne mujhe dekh kar namaste kiya to maine bhi sir ko halka sa hila diya. Uske baad rohan ne apni car ka pichla gate khola aur mujhe baithne ko kaha to main baith gai. Jabki nakul uske sath car ke piche side ja kar dikki me dono bag rakhe aur fir rohan ke sath aa kar aage ki sheet par baith gaya.

Car chal padi aur nakul rohan se idhar udhar ki baate karne laga. Main pichhli sheet par chup chaap baithi car ki khidki par lage glass se baahar dekh rahi thi. Waha par badi badi buildings najar aa rahi thi mujhe. Aisi buildings maine tv me dekha tha magar aaj yaha dekh rahi thi.

Main najaro me hi khoi hui thi aur mujhe wakt ka pata hi nahi chala. Car ruki aur nakul ki awaaj mere kano me padi to maine chaunk kar uski taraf dekha. Wo mujhe utarne ke liye bol raha tha. Main hadbada kar jaldi se gate khol kar niche utar aai. Charo taraf najar ghumai to pata chala ki ham kisi society ke andar the aur yaha bhi ek kataar se badi badi building dikh rahi thi.

Nakul ne car ki dikki se jab bags nikaal liya to rahan ne nakul ko wahi par rukne ka bol kar car ko aage badha diya. Shayad wo car ko parking me khadi karne gaya tha. Thodi der me wo aaya aur ham dono ko apne sath chalne ko kaha. Kuch door chalne ke baad ham jis jagah pahuche waha par ek side lift thi. Rohan ne diwaar ke bagal se lage ek button ko dabaya to usi button ke upar laal rang me dikha ki lift upar tenth floor se niche ki taraf aa rahi hai.

Lift ke andar ham teeno aaye aur rohan ne 9th floor ka button daba diya. Kuch der me ham teeno rohan ke flat me pahuch gaye. Rohan ne bataya ki ye flat uske personal use ke liye hai magar filhaal ham tab tak ruk sakte hain jab tak ki hamare rahne ka intjaam nahi ho jata. Rohan ne ye bhi bataya ki flat me jarurat ka sara samaan rakha hai jise wo bahut kam hi use karta hai magar ab ham use kar sakte hain.

Rohan ki ye baat sun kar hame thoda sukoon mila. Usne kaha ki aaj ham dono araam kare. Kal wo subah 8 baje aayega aur nakul ko apne dad se milwane le jayega. Sab kuch samjha bujha kar rohan chala gaya. Main uske chale se raahat feel karne lagi thi. Ab is flat me sirf ham dono hi the.

"Kitna sundar ghar hai na nakul aur kitna bada bhi." Maine charo taraf najar ghumate huye kaha.
"Sahi kaha magar mahga bhi to bahut hoga. Aise ghar ki ham kalpana nahi kar sakte neelam. Hamare liye to filhaal yahi bahut hoga ki rahne ka koi thik thaak intjaam ho jaye kahi." Nakul ne kaha.

"Sab ho jayega nakul. Achha sochoge to achha hi hoga." Maine kaha.
"Achha tum jaldi se fresh ho jaao uske baad main bhi fresh ho jaauga." Nakul ne kaha.

"Thik hai nakul. Tab tak tum jara kitchen me dekho khana banane ka sab samaan hai ki nahi. Fresh hone ke baad main garma garam khana bana dugi. Fir ham sath hi khana khayege." Maine kaha.

Nakul meri baat sun kitchen ki taraf chala gaya aur main apna bag le kar ek kamre me chali gai. Kamre me aa kar maine apne bag se apne kapde nikale aur bathroom me chali gai fresh hone ke liye.

Back to home side...

Shaam ho chuki thi aur ravendra uncle ghar waapas aa chuke the. Is wakt sab hall me hi baithe the. Dad sanjay uncle aur ravendra uncle bhi.

"Iska matlab hamara shak sahi tha ravendra. Hamari wo namuraad beti us do kaudi ke chhokre ke sath mumbai gai hai." Dad ke chehre par gussa tha.

"Haan bhaiya us wakt wahi ek train thi jo mumbai ja rahi thi." Ravendra uncle ne kaha.
"Fir to naina bhi mumbai hi gai hogi surendra. Isi liye yaha aas paas uska kahi bhi pata nahi chal saka." Sanjay uncle bhi bol uthe.

"Chalo maan liya sanjay ki naina bhi mumbai gai hogi magar kyo. Aakhir uska un dono ke sath jane ka kya matlab ho sakta hai." Dad ne kaha.

"Matlab chaahe jo bhi ho surendra magar itna to ab pakka ho gaya hai na ki wo un dono ke sath mumbai hi gai hai. Is liye ab hame un sabko khojne ke liye mumbai jana hoga. Pata nahi kis haal me hogi hamari bachchiya. Jamana bahut kharaab hai dost. Mujhe to rah rah kar ye andesha ho raha hai ki un dono ke sath kahi kuch bura na ho jaye." Sanjay uncle ne kaha.

"Fikar mat karo sanjay. Mujhe bhi unki chinta hai. Us ladke ne apne prem ke jaal me fasa kar neelam ko aisa kaam karne par majbur kiya hai. Ham aaj hi mubmai ke liye niklege aur un sabko har haal me khoj nikalege." Dad ne kaha.

"Main mumbai jane ke liye tickets ka intjaam karta hu bhaiya." Ravendra uncle ne kaha aur wo uth kar baahar ki taraf chale gaye.

"Tum bhi mumbai jane ki taiyari kar lo sanjay. Ho sakta hai ki hame waha par kuch din lag jaye is liye us hisaab se taiyari kar lo." Dad ne kaha to sanjay uncle ne haa kaha aur fir uth kar wo bhi apne ghar nikal gaye.

Sabke jane ke baad mom dad ke paas aai. Unka chehra abhi bhi aisa lag raha tha jaise wo roi ho. Dad ne ek najar unhe dekha magar bole kuch nahi.

"Agar wo waha par mil jaye to unhe kuch mat kahiyega. Pyar se ghar le aaiyega aur fir yaha jo marji kijiyega aap." Mom ne halki awaaj me kaha.

"Mujhe achhi tarah maloom hai ki mujhe kab kya karna hai. Is liye gyaan dene ki jarurat nahi hai tumhe. Tumhari beti ne jo kiya usse hame ye seekh mil gai hai ki bachcho ko itna bhi laad pyar nahi karna chahiye jiski vajah se kabhi aisa din bhi dekhna naseeb ho jaye." Dad ne gusse se kaha aur uth kar kamre ki taraf chale gaye.

Back to my side...

Bathroom se fresh ho kar aur kapde pahan kar main kamre me aai to dekha nakul bed par hi baitha hua tha. Use dekh kar main ek pal ke liye ruki aur fir muskurate huye bed ke paas hi aa gai.

"Wo main ye batane aaya tha ki kitchen me har samaan maujood hai aur maine safaai bhi kar di hai." Nakul ne meri taraf dekhte huye kaha.

"Thik hai tum bhi fresh ho lo. Tab tak main jaldi se khana bana deti hu." Maine halki muskaan me kaha.
"Thik hai main dusre kamre me ja raha hu fresh hone ke liye." Nakul ne kaha aur uth kar apna bag utha liya. Uski is baat se main muskuraai.

"Dusre kamre me kyo. Is kamre me bhi to fresh ho sakte ho." Maine kaha.
"Haa par main soch raha hu ki jab tak hamari shadi nahi ho jati ham dono alag alag hi rahe aur alag alag kaamre me hi soye." Nakul ne sakuchate huye kaha.

"Tum aisa kyo sochte ho nakul. Badi mushkil se to ham ek dusre se mile hain aur itne kareeb aaye hain. Fir alag alag sone ki baat kyo nakul. Nahi nahi ham ek hi kamre me aur ek hi bed par sath sath soyege aur dher sari baate bhi karege." Maine kaha.

"Par neelam kya ye thik rahega. Kahi hamare bich...
Nakul bolte bolte ruk gaya tha magar main uski baat ka matlab samajh gai thi aur sharm to mujhe aai lekin ye jaan kar achha bhi laga ki nakul itna kuch soch raha tha.

"Agar hamare bich aisa kuch ho bhi gaya to kya ho jayega nakul. Mera sab kuch to tumhara hi hai. Chaahe aaj apni amaante le lo ya fir shadi ke baad. Mujhe isse koi fark nahi padega magar haa is baat se jarur bahut fark padega ki yaha par ham itne kareeb hote huye bhi alag alag kamro me soye. Kya tumhe nahi lagta nakul ki ham dono ek dusre ki baaho me samaye huye soye." Maine kaha.

"Lagta hai neelam bahut lagta hai. Mera dil to har pal tumhe apne sath lagaye rakhne ki hasrat karta hai magar main nahi chaahta ki hamare prem ke bich ek pal ke liye bhi hawas aa jaye jisse tumhare dil ko thes pahuche." Nakul ne kaha.

"Oh nakul itna kuch mat socho jaan. Main achhi tarah janti hu ki tum kabhi bhi mere dil ko thes pahuchane ka soch bhi nahi sakte. Ab ye baate chhodo aur isi kamre ke bathroom me fresh hone jaao. Ham ek hi kamre me sath sath rahege. Waise bhi nai jagah par akele kamre me mujhe dar hi lagega. Tum mere paas rahoge to mujhe sukoon rahega." Maine muskurate huye kaha.

"Thik hai neelam. Ab tum jaao main bhi fresh ho leta hu." Nakul ne kaha aur fir wo apne bag se kapde nikaalne laga.

Main kitchen ki taraf chali gai. Mere man me nakul ki masumiyat se bhari baate goonj rahi thi. Mujhe uski baato par man hi man hasi aa rahi thi. Wo aisa hi tha. Nature se sharmila aur jhijhakne wala ladka. Apne se kabhi bhi wo mere kareeb nahi aata tha aur na hi aisi baate karta tha jo jara sa bhi sex se related ho. Yaha tak ki wo ye bhi nahi kahta tha ki mere hoth kitne rasile hain aur dil karta hai ki inhe choom lu. Agar kabhi main usse aisi baate kar ke chhedti to wo buri tarah sharma jata tha aur najre jhuka leta tha. Fir badi mushkil se wo ye kahta ki main usse aisi baate na karu. Mujhe uski is baat par bahut hasi aati thi. Main socha karti thi ki jo baat ladki ko kahni chaahiye thi wo baat khud ek ladka ladki se kahta tha.

Kitchen me khana banate wakt main yahi sab soch rahi thi. Fir main past ki sari story ke bare me bhi sochne lagi. Sochte sochte us jagah par pahuch gai jaha par ratan bhaiya mujhe achanak se mil gaye the. Mujhe yaad aaya ki unhone mujhe ek packed dibba diya tha aur kaha tha ki ise rakh lu. Mere man me sawaal ubhra ki aakhir kya ho sakta hai us dibbe me.

Gas ko dheema kar ke main waapas kamre me gai aur apne bag se us dibbe ko le kar kitchen me aa gai. Kisi gift ki tarah packed tha wo dibba. Mere man me ye janne ki utsukta aur bhi badh gai ki usme kya hai. Is liye main jaldi jaldi dibbe ke upar lagi hare rang ki panni ko kholne lagi. Kuch hi der me wo panni nikal gai to main ye dekh kar chaunki ki wo packed dibba waastav me ek mobile ka tha. Samsung company ka screen touch mobile tha wo.

Mobile ko dekh kar main hairaan thi aur soch rahi thi ki ratan bhaiya ne ye mobile mujhe kis liye diya hoga. Kya is liye ki wo iske jariye mujhse baat kar sake aur mera haal chaal jaante rahe. Platform par jis tarah se unhone mujhse baat ki thi usse to yahi laga tha ki unhe meri fikra hai aur wo mujhse bahut pyar karte hain. Magar is situation me mere man me khayaal aaya ki kahi iske pichhe unki koi chaal to nahi hai. Maine khud se sawaal kiya ki kya wo mujhe kisi bhi tarah ka nuksaan pahuchane ka soch sakte hain. Mere andar ke har jarre se ye awaaj aai ki nahi. Unhone iske pahle bhale hi kabhi ye nahi dikhaya tha ki wo mujhe bahut pyar karte hain magar ye bhi sach tha ki unhone kabhi bhi mujhe kisi baat ke liye na daata tha na hi mana kiya tha. Wo awaragardi karte the aur usi me lage rahte the magar hamare bich kabhi kisi tarah ki takraar nahi hui thi.

Maine apne dimaag se in sari baato ko nikala aur us mobile ko dibbe se nikaal kar dekhne lagi. Mobile naya hi tha aur uska sara samaan bhi usi dibbe me tha magar mujhe khayaal aaya ki mobile ke sath sath sim card bhi diya hoga bhaiya ne. Ye dekhne ke liye main dibbe me dekhne lagi magar sim card na mila. Fir mujhe khayaal aaya ki ho sakta hai ki sim card mobile me hi laga diya ho bhaiya ne. Kyo ki dibbe ki seal open thi. Maine mobile ke button ko dabaya to pata chala wo abhi off hai. Mere man me sawaal ubhra ki kya mujhe mobile ko on karna chahiye.

Kitchen ke baahar se kisi ke aane ki aahat hui to maine jaldi se mobile aur dibbe ko kitchen ke platform ke niche chhupa diya aur uske rapper ko dustbin me daal diya. Thodi hi der me nakul kitchen me aa gaya aur mujhse puchne laga ki khana ban gaya ki nahi to maine use bataya ki bas kuch der aur time lagega. Meri is baat se nakul thik hai kah kar waapas laut gaya.

Nakul ke jane ke baad maine mobile ko nikala aur use on karne ke liye button daba diya. Mera dil joro se dhadakne laga tha. Main ye soch kar hairaan bhi thi ki main nakul se mobile ke bare me chhupa rahi thi. Mujhe khud nahi pata tha ki main aisa kyo kar rahi thi. Mobile on hua to maine sabse pahle uske valume ko bilkul hi band kar diya. Mobile me hi sim card laga tha aur jaise hi sim card network me aa kar show hua to usme messages aane lage. Message tone ki jaga beep beep ki awaaje hui. Kuch message network company wale the aur kuch whatsapp wale. Whatsapp me ratan bhaiya ka naam add tha aur unke hi messages the.

Apni badhi hui dhadkan ko kaabu me karte huye maine whatsapp messages ko dekhne ka socha. Usme ratan bhaiya ke kai sare messages the. Jinme wo starting ke message me kah rahe the ki i hope tum dono sakushal pahuch gaye hoge. Ek message me likha tha ki subah jaise hi sabko tumhare jane ka pata chala to ghar me hangama shuru ho gaya tha. Dad bahut gusse me the aur mom ka ro ro kar bura haal tha. Dad ravendra uncle aur hamare aadmi tumhari khoj me nikal chuke hain. Ek message ko padh kar main buri tarah shocked ho gai. Wo message ye tha ki naina ka kahi pata nahi ki wo raat se kaha gayab hai. Naina ke dad uski khoj kar rahe hain.

Naina ke bare me jaan kar main shocked thi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki naina kaha gayab ho gai. Ek message me ratan bhaiya ne kaha ki mere kisi message ka reply kyo nahi de rahi tum. Last ka message padh kar meri dhadkane aur bhi badh gai. Us message me likha tha ki dad ko pata chal gaya hai ki tum mumbai gai ho is liye tum dono ke sath sath naina ki bhi khoj me dad ravendra uncle aur sanjay uncle mumbai aane wale hain.

Ratan bhaiya ke in messages ko padh kar mujhe samajh hi na aaya ki main ab kya karu. Sabse jyada pareshaan to main naina ke bare me jaan kar ho gai thi. Aakhir wo kaise gayab ho gai. Kahi aisa to nahi to nahi ki ratan bhaiya naina ke bare me aisa bol kar mujhe kisi jaal me fasa rahe ho. Magar mera dil kahta tha ki bhaiya aisa nahi kar sakte. To kya sach me naina gayab ho gai hai magar kyo aur kaise. Kya wo khud gayab hui hai ya kisi ne use gayab kar diya hai. Sochte sochte mera sir chakrane laga.

Badi mushkil se maine khud ko samhala aur ratan bhaiya ko message karne ka socha. Maine unhe message me type kiya ki naina ke gayab hone ki baat kya sach hai bhaiya. Aakhir kaha gai wo. Plz uska kahi pata chale to mujhe bhi batana kyo ki mujhe uski bahut fikar ho rahi hai.

Ratan bhaiya ko message kar ke maine mobile ko off kar diya aur usi dibbe me daal kar use kitchen me hi chhupa diya. Kuch der me khana ban gaya to main khane ko thaali me sajane lagi. Mere man naina ke gayab hone ki baat hi ghoom rahi thi. Rah rah kar khayaal aata ki wo kaise gayab ho gai.
 

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Shandar story hai dear neelam ji aur usse bhi achha lekhan hai. Har baat ko bariki se likhna achha laga. Laga hi nahi ki pahli baar likh rahi hain aap______
Story ke 11 update padh daale maine. Gajab ka likha hai aapne. Kafi interesting lagi ye story. Story ki heroine neelam apne premi nakul ke sath raato raat ghar se bhaag jati hai. Usse pahle neelam ki friend naina ne use samjhaya bhi tha lekin wo na maani aur bhaag hi gai nakul ke sath. Idhar nakul ke kuch dosto ne in dono ka mumbai jane ka intjam kar diya. Railway station me neelam ka bhai ratan apni bahan se milne aata hai aur ek achhe bhai hone ka farj nibhata hai aur ek mobile bhi gift karta hai use. Neelam ne apne bhai se milan wali baat nakul se chhupaye rakha. Lagta hai ki use kisi baat ka dar tha ya fir shak tha. Kher mumbai pahuche to waha inhe rohan milta hai jo nakul ke dosto ka dost tha. Rohan dono ko apne flat le kar jata hai aur kahta hai yaha safety raho jab tak koi kaam nahi mil jata. Kahani aage badhti hai aur ek twist aata hai. Twist ye aaya ki neelam ke father naina ke father ke sath gaon se yaha mumbai me rohan ke ghar neelam ki talaash me aa jate hain. Rohan ne bataya ki neelam ke dad aur uske dad dost dost hain. Yaha se rohan in dono ko batata rahta hai ki neelam ki talash ke liye neelam ke dad yaha kya kar rahe hain. Neelam ke dad ke aane ki vajah se problem khadi ho jati hai aur wo dono rohan ke hi flat me chhupe rahte hain magar neelam ko kisi na kisi din pakde jane ka dar satata hai. Ek din story me ek twist aur aya ki neelam ke dad ne police ko inhe dhudhne ke liye report likhwa di. Neelam aur nakul dono aapas me ray maramarsh karte hain aur fir rohan se batate hain ki unhe yaha se kisi dusri jagah bhejwa de. Rohan dono ki baat maan kar dono ko pune bhejwa deta hai apne ek dost deepak ke jariye. Pune me dono deepak ke sath rahne ke liye jagah khojte hain aur aakhir unhe thikana mil jata hai________

Yaha tak ki story padhi maine. Sach me kafi interesting lagi kahani lekin kuh doubt bhi hain. Wo ye ki aaj ke time me itne achhe dost kaha milte hain. Koi kisi ke liye itna kuch kaise kar sakta hai. Jarur in dosto ke man me kuch to hoga. Police inki khoj me pune bhi to ja sakti hai. Matlab ki in dono ko chain nahi milne wala abhi. Isse to accha yahi tha ki ye dono bhaag kar aate hi nahi. Neelam ko is tarah apne parents ko chhod kar nahi aana tha lekin ishk me andhe ko kaun samjhaye. Dekhta hu aage aur kis chakkar me faste hain ye dono_________



Update - 11


Subah jaldi hi meri aankh khul gai thi. Jabki baaki sab log soye huye the. Shayad bade bade shahro me der se uthne ki aadat thi in logo ki. Kal raat thakaan ki vajah se gahri need me so gai thi main. Bed par pade huye maine idhar udhar dekha to pata chala ki kamre me hi attach bathroom tha. Kamra kaafi achha tha. Kuch der tak main bed me hi sochti padi rahi. Mumbai se to ham aa gaye the magar abhi hamare thikane ka kuch pata nahi tha. Deepak ne to kaha tha ki wo nakul ko job bhi dilwa dega aur yaha kahi rahne ki jagah bhi magar main soch rahi thi ki kya ye sab itna jaldi ho payega. Makaan maalik ko hamare bare me sirf itna hi bataya tha deepak ne ki ham yaha apne kisi kaam se aaye hain aur der raat hone ki vajah se hame yaha rukna pad raha hai. Iska matlab raat gujaarne ke baad aaj din me yaha rukne ke liye hamare paas koi bahana nahi tha.

Sochte sochte mujhe feel hua ki hamare saamne fir se ek problem khadi ho gai hai. Kafi der tak main isi bare me sochti rahi fir maine ye soch kar apne dimaag se in baato ko hataya ki dekhte hain kya hota hai. Bed se uth kar maine bag se apne kuch kapde nikaale aur unhe le kar bathroom me ghus gai.

Bathroom se main puri tarah fresh ho kar aur naha dho kar hi baahar nikli. Pahle wale kapdo ko paani me ye soch kar nahi dala tha maine kyo ki agar hame yaha se jana pada to geele kapde jaldi sookhege nahi. Kamre me aa kar maine thoda bahut khud ka make up kiya aur bed par baith gai. Har taraf khamoshi thi aur main soch rahi thi ki nakul deepak ke kamre me kya kar raha hoga is wakt. Kya un dono ke beech hamare thikane ko le kar baat cheet hui hogi ya wo dono bhi abhi so rahe hoge. Mujhe kisi tarah nakul se milna tha aur aage ke bare me baat karni thi. Is liye main bed se uthi aur kamre ke darwaje ko aahista se khol kar kamre se baahar ki taraf dekha.

Baahar ek gallery thi jo sunsaan padi thi. Gallery me ek taraf ek aur kamra tha jo ki band hi tha. Mujhe nahi pata ki us kamre me kaun hoga magar main dabe paav gallery se chalte huye seedhiyo ke paas aai. Abhi main seedhi ke paas aai hi thi ki meri najar upar se aate huye nakul par padi. Nakul ko dekh kar main khush ho gai aur maine raahat ki saans li. Nakul ne bhi mujhe dekh liya tha. Usne mujhe hath ke ishare se upar aane ko kaha to main bina kuch bole seedhiyo par chadhti chali gai.

Thodi hi der me main nakul ke sath deepak ke kamre me thi. Deepak ka kamra us kamre se alag tha jis kamre me raat main soi thi. Maine dekha ki dono hi abhi fresh nahi huye the balki bed par hi baithe huye the. Kamre me ek taraf ek chair rakhi thi jis main baith gai thi.

"Hamne raat aapas me is bare me baat ki thi ki hame yaha kahi par rahne ki jagah mil jaye to jyada achha hoga. Kyo ki yaha ham ruk nahi sakte aur na hi hamare paas rukne ka koi bahana hai." Nakul ne mujhse kaha.

"To kya aaj hi hame kahi par rahne ke liye koi kamra mil jayega." Maine utsuktawas pucha usse.
"Deepak bhai ka kahna hai ki agar inhe pahle se pata hota to ye kahi par hamare rahne ke liye kamra talaash kar dete. Ek din me kahi par kamre ka intjaam hona mushkil hai." Nakul ne kaha.

"Maine nakul bhai ko suggestion diya hai ki jab tak kahi rahne ka jugaad nahi hota tab tak aap log kisi hotel me ruk sakte hain aur fir jaise hi kahi rahne ka intjaam ho jayega to aap log hotel se waha par shift ho jana." Deepak ne meri taraf dekhte huye kaha tha. Main samajh sakti thi ki kahi par bhi itna jaldi rahne ka intjaam nahi ho sakta. Makaan maalik ki jaankari me deepak hame apne yaha rakh bhi nahi sakta tha. Hamare paas yahi ek raasta tha ki ham kisi hotel me ek do din ke liye ruk jaye.

Maine nakul ki taraf dekhte huye kah diya ki jaisa thik lage karo. Uske baad yahi faisla hua ki jab tak hamare liye kahi rahne ka intjaam nahi hota tab tak ham hotel me rukege. Nakul ne deepak se kaha ki agar possible ho to wo aaj chhutti le kar hamare liye kahi par kamra talaash karwane me uski madad kare. Deepak bhi samajhta tha ki hamare liye ye jagah ajnabi hi hai is liye wo nakul ki baat maan gaya aur apne boss ko phone karke chhutti le li.

Aath baje sab so kar uthe. Makaan maalik subah das baje apne job par jata tha. Is liye tab tak makaan maalkin uske liye breakfast taiyar kar deti thi. Is ghar me makaan maalik apni biwi ke sath hi rahta tha. Deepak ne bataya tha ki uske ek beta hai jo dusre shahar me apni biwi ke sath rah kar job karta hai. Das baje ham sabne breakfast kiya. Deepak ke liye khana pina yahi par banta tha. Yaani use apne liye khud nahi banana padta tha. Breakfast ke dauraan makaan maalik ne hamse puchha ki ham yaha kis kaam se aaye the to hamne wahi bataya jo hamne pahle hi socha hua tha.

Das baje makaan maalik ghar se chala gaya. Uske jane ke thodi der baad ham bhi ghar se nikle. Ghar se baahar aa kar hamne ek taxi li aur us taxi se ham kisi saste hotel me gaye. Nakul ke paas jyada paisa nahi tha ye main bhi jaanti thi magar mere paas the. Lekin jis tarah ke halaat the usme ham paisa bachane ki koshish kar rahe the.

Deepak ke liye ye shahar ajnabi nahi tha is liye sasta hotel khojne me jyada mushkil nahi hui. Hamne ek hotel do din ke liye book kiya aur fir apne liye kahi rahne ke liye koi achha sa kamra khojne lage. Nakuk ne mujhe hotel me rukne ko kaha tha magar main akele hotel me nahi rukna chaahti thi. Is liye main bhi un dono ke sath hi yaha se waha ghoom rahi thi. Sara din ham isi kaam me idhar se udhar bhatakte rahe. Rahne ke liye jagah to kayi jagah mili magar wo hame pasand nahi aai. Ham koi aisi jagah khoj rahe the jaha par shaanti ho aur kisi ke dwara hame uncomfortable feel na ho.

Shaam tak ham bahut jyada thak gaye the. Mera to bura haal tha. Aisa lag raha tha ki koi chalne ko na kahe balki bistar par lambi taan kar let jaau aur yahi haal nakul ka bhi tha. Deepak bhi thak gaya tha. Wo bechara hamare liye kitna kuch kar raha tha. Aaj ka din aise hi gujar gaya. Shaam ko deepak hame hotel me chhodne ke baad waapas apne room chala gaya tha. Main to hotel ke kamre me bed par let'te hi behosh si ho gai thi. Shaam ko aath baje ke kareeb nakul ne mujhe jagaya. Mera bed se uthne ka jara bhi man nahi kar raha tha magar usne kaha ki kuch kha pi lete hain uske baad so jayege.

Maine bathroom me ja kar thande paani ka shower liya to bahut achha laga. Mere baad nakul ne bhi shower liya. Uske baad taiyaar ho kar ham dono kamre ko lock kar ke neeche aaye. Hotel me hi hamne bhar pet khana khaya. Khana khane ke baad nakul ne mujhse kaha ki agar baahar tahalne chalna ho to chale magar maine jane se inkaar kar diya. Asal me aaj sara din idhar udhar bhatakte huye main bahut jyada thak gai thi is liye mujhe bas bed hi dikh raha tha.

Apne room me aa kar hamne apne kapde change kiye aur bed par aa gaye. Ham dono ek hi bed par lete huye the. Main nakul ki taraf karwat le kar leti hui thi jabki nakul seedha lete huye kuch soch raha tha.

"Kya soch rahe ho jaan." Maine pyar se pucha usse.
"Soch raha hu ki hamari ye saari problems kab door hogi." Nakul ne meri taraf karwat le li.
"Bahut jald saari problems door ho jayegi jaan aur fir ham dono apni ek alag duniya basayege." Maine kaha.

"Kya pata kabhi aisa wakt aata bhi hai ki nahi." Nakul ne mayusi se kaha to main uske aur kareeb khisak aai.
"Kyo nahi aayega nakul balki jarur aayega. Dekhna sab thik ho jayega. Tumhari job lag jayegi aur hame kahi par rahne ke liye achhi si jagah bhi mil jayegi. Uske baad ham shadi kar lege aur yahi rahege." Maine nakul ke gaal par apni ungli firate huye kaha.

"Kahna aur sochna bahut asaan hai neelam magar hakikat me aisa hona bahut mushkil hota hai." Nakul ne kaha.
"Tum itni mayusi bhari baate kyo kar rahe ho jaan. Sab kuch bahut jaldi thik ho jayega. Khud socho ki kya abhi tak sab kuch thik nahi hua. Dekho ham kitni asaani se yaha aa gaye hain. Aise hi aage bhi sab thik hi hoga." Maine kaha.

"Main mayusi bhari baate nahi kar raha neelam balki ek sach bata raha hu. Ye sahi hai ki ham mumbai se yaha badi asaani se aur bina kisi baadha ke aa gaye hain magar main ye bhi soch raha hu ki maan lo agar kisi din aisa hua ki police hame khojti hui is shahar me bhi aa gai to kya hoga. Aakhir police bhi to ye soch sakti hai ki agar ham mumbai me khojne par unhe nahi mil rahe to ho sakta hai ki ham kisi tarah mumbai se nikal kar yaha aa gaye ho. Bhala mumbai se pune hai hi kitna door." Nakul ne ye kaha to main soch me pad gai.

Sach hi to kah raha tha nakul. Aisa to sach me ho sakta tha. Iska matlab ye hua ki ham yaha bhi jyada dino tak mahfooj nahi hain. Pal bhar me mujhe aisa lagne laga jaise meri saari khushi aur ummido par paani fir gaya ho. Nakul ki baato se mujhe jhatka sa lag gaya tha. Main sochne lagi ki ab yaha se ham kaha jaye.

Raat me is sabke bare me sochte huye jane kab meri aankh lag gai thi. Subah jab nakul ka phone baja tabhi ham dono ki aankh khuli. Nakul ke mobile par deepak ka call aaya hua tha. Nakul ne usse baat ki aur fir mujhe bataya ki deepak ne das baje ham dono ko bulaya hai. Deepak aaj bhi ham dono ke rahne ke liye kahi achhi jagah ki talaash karne ki baat kar raha tha.

Ham dono baari baari se bathroom me nahaye aur fir taiyar ho kar room se nikle. Deepak hotel se kuch hi doori par hamara intjar karta hua mila. Usne bataya ki usne apne boss se aaj bhi chhutti ki baat ki magar boss gussa karne laga tha. Aakhir badi mushkil se usne use chhutti di.

Ham teeno ne sabse pahle naasta kiya uske baad fir se apne liye rahne ke liye jagah ki khoj me nikal pade. Kal ki thakaan jo thoda tham gai thi wo fir se ubharne lagi thi magar ham kahi na ruke. Aakhir dopahar baad ek jagah hame rahne ke liye jagah mil hi gai. Wo jagah waisi hi thi jaisi ham chaahte the magar abaadi se hat kar thi. Makaan do floor ka tha aur usme do buddha buddhi rahte the. Baaki sara makaan khaali tha.

Makaan ka maalik apni biwi ke sath akela hi rahta tha. Usne bataya ki uske do bete hain jo dusre shahar me apni biwiyo ko le kar rahte hain. Yaha par unka kharcha unki sarkari pension se chalta hai. Kabhi kabhi unke bachche bhi unhe paisa bhejwa dete hain.

Makaan is shahar ke hisaab se waisa nahi tha jaisa ki bade bade shahro me hote hain magar hamare liye bahut behtar tha. Hamne jab maalik se rahne ki baat ki to unhone inkaar nahi kiya balki yahi kaha ki hamare rahne se unhe bhi sahara rahega. Uske baad deepak ne unhe pahchaan ke taur par hamari ID ki photo copy di. Kiraye ki baat huyi to unhone kaha ki jo man kare de dena. Deepak ke kahne par maine advance me unhe teen hazaar rupaye nikaal kar de diye.

Hamare rahne ka intjaam ho gaya tha. Ground floor par buddha buddhi rahte the. Unhone hamare liye upar ke floor par kamra de diya. Hamne upar aa kar apna kamra dekha. Usme kram se do kamre the. Jis me se ek kamra kitchen ke liye banaya gaga tha. Bathroom kamre ke bagal se dusri side me tha. Upar ke floor me aur bhi do kamre the jo ki usi design me bane the. Ek taraf khaali jagah thi jo ki chhat hi tha. Chhat par boundary bani thi. Boundary ke peeche door door tak khaali jameen najar aa rahi thi. Dusri taraf aise hi type ke kuch makaan najar aa rahe the.

"Jagah to thik hai deepak bhai magar yaha se market aur city door hai." Nakul ne deepak se kaha.
"Door to hai bhai magar city me aisi jagah nahi milegi aur na hi itne saste me milegi. Dekha nahi makaan maalik kya kah raha tha. Kah raha tha ki jo dena ho de dena. Matlab ki yaha kiraye ki tension bhi nahi hogi tumhe. City se hat ke hai to yaha par shaanti bhi hai aur sabse badi baat ye ki yaha par pakde jane ka jyada dar bhi nahi hoga." Deepak ne samjhate huye kaha.

"Haa ye baat to hai deepak bhai." Nakul ne kaha.
"Yaha par neelam bhabhi ji ko akelapan mahsus nahi hoga. Kyo ki sahare ke liye makaan maalkin hai aur tumhe bhi tension nahi hogi. Main to kahta hu ki kismat wale ho bhai jo aisi jagah mil gai hai. Sochta hu main bhi yahi shift ho jaau. Uske baad ham dono sath me hi job par jaya karege." Deepak ne kaha.

"Ye bhi theek kaha deepak bhai lekin meri to abhi job lagi hi nahi hai uska kya kare. Job lag jaye to baaki ka sara tension bhi door ho jaye." Nakul ne kaha.
"Chinta mat karo bhai. Main kal hi company me tumhare job ke liye baat karta hu. Mujhe puri ummid hai ki tumhe waha par job mil jayegi." Deepak ne kaha.

"Kaash aisa hi ho deepak bhai." Nakul ne kaha.
"Aisa hi hoga nakul bhai. Bas ye samjho ki tumhari job lag gai hai. Ab chalo hotel se apna samaan yaha shift kar lo. Waise bhi abhi tum logo ko yaha ki saaf safaai aur sab kuch byawasthit karne me time lagega." Deepak ne kaha.

"Sahi kaha bhai aur abhi hame kuch samaan bhi market se kharidna padega. Jaise ki raashan aur khaana banane ka samaan wagaira." Nakul ne kaha.
"Ruko paise le lo aur sara samaan le aana. Tab tak main yaha ki saaf safaai karti hu." Maine kaha aur apne bag se apna parsh nikaal kar usme se kuch paise nakul ki taraf badha diye.

Paisa lete wakt nakul ke chehre par aise bhaav the jaise use ye paise lene me jhijhak aur sharm mahsus ho rahi ho magar majburi thi. Is liye usne mere hath se paise liye aur fir deepak ke sath chala gaya. Uske jane ke baad main kaafi der tak is sabke bare me sochti rahi. Fir maine apne dimaag se saari baato ko nikala aur kamre ki saaf safaayi me lag gai.
 

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Behad hi shandar update the dear neelam ji_______
Neelam aur nakul jab ghar se bhaage the tab kya ye socha hoga ki aage chal kar unki life kaise jhand ho jayegi. Waise ye to socha hi hoga ki pyar ki raah me muskile bahut hain lekin is tarah ki muskile hogi sayad hi socha raha ho. Jo bhi ho ab jab bhaag kar yaha aaye hi to ab jo kuch unke sath hoga use to jhelna hi padega_______

Ye rohan to khiladi nikla. Lag to raha tha ki kuch to jhol hai warna aaj ke jamane me itni gahri dosti kaun karta hai kisi ke sath. Kamaal ka gamer nikla ye. Pahle to dono ka bharosa jita aur help karte huye dono ko pune bheja. Uske baad news me khabar chhapwa di taaki un dono ke samne koi raasta na bache aur wo yahi soche ki rohan ke alawa dusra koi unki help nahi kar sakega. Ye soch kar wo waapas mumbai aane ki baat deepak se karege lekin aisa huwa nahi. Kyo ki makan maalik unhe achhe wale mil gaye the aur is haal me un dono ki help kar rahe the. Deepak ne ye sari baat rohan se batai hogi tab usne khud hi deepak ko unke paas bheja. Deepak ne apni taraf se kosis to ki magar dono mumbai aane ke liye raaji nahi huye. Mere khayal se ye un dono ne achha faisla kiya tha lekin sochne wali baat hai ki kya rohan ab chup baithega. Aakhir uske man me to kuch aur hi hai inke liye________
Puri kahani me naina ko hide rakha gaya tha magar ab ja ke naina ka pata chala. Is rohan ne use bhi kaid karwa rakha tha agar uski achi kismat jo wo mauke pe chauka maarte huye unki kaid se faraar ho gai. Pedh ke pichhe jo kala saya tha wo hi naina thi. Kya kamaal ka stunt marte huye us aadmi se bike hathiyaya aur ab nikal gai lekin wo ja kaha rahi hai. Samne police ki checking hote dekh wo pareshan ho gai hai. Dekhte hain ab kya hota hai aage_________


Update - 15


Akhbaar me chhapi news ke chalte main aur nakul ab kamre me hi rahte the. Sach to ye tha ki is news ki vajah se ham dono bahut hi jyada udaas ho chuke the. Kuch bhi achha nahi lag raha tha. Uncle aunty ne bhale hi hame chinta na karne ko kah rahe the magar hakikat to ye thi ki chinta naam ki bala hamare andar se ja hi nahi rahi thi. Ham dono ka ab ek hi kaam rah gaya tha aur wo ye ki khaao piyo aur kamre me pade raho. Uncle ji ne hame shadi kar lene ka sujhaav diya tha magar abhi ki situation ke hisaab se kuch din iske liye intjar karna tha. Ham dono ek dusre se prem karte the aur ek din hame shadi karni hi thi magar chaahat ye thi ki hamari shadi hamare parents ki marji aur khushi se ho.

Aise hi teen din gujar gaye. Teesre din shaam ke teen baje ke kareeb deepak hamare yaha aaya. Main bathroom me kapde dho rahi thi jabki nakul aur deepak aapas me baate kar rahe the. Mujhe nahi pata tha ki deepak aaya hai kyo ki main bathroom me kapde dho rahi thi. Jab main kapde dho ke waapas kamre me aayi to nakul ne bataya ki deepak aaya tha aur do minute pahle hi yaha se gaya hai.

"Deepak kah raha tha ki agar hame yaha kisi tarah ka dar ho ya police ke dwara pakde jane ka khatra ho to wo hame waapas usi tarah bhesh badalwa kar mumbai le ja sakta hai." Nakul ne mujhse kaha.

"Kya rohan ne tumhe phone kiya tha iske liye." Maine puchha.
"Haa phone to kiya tha usne aur ye bhi puch raha tha ki akhbaar me hamare bare me khabar kaise chhapi hai. Maine to usse yahi kaha ki is bare me hame khud nahi pata tab usne bhi kaha ki shayad tumhare dad ne uske dad se khabar chhapwane ke liye kah gaye ho." Nakuk ne kaha.

"Fir aur kya kaha usne." Maine pucha.
"Mujhse puch raha tha ki agar koi problem ho to batao wo hame waapas bula lega. Uske flat me ham jab tak chaahe safety se rah sakte hain. Uski is baat par maine kaha ki abhi ham safe hi hain. Baar baar idhar se udhar aana jana achha nahi hai. Waise bhi ham uske upar bojh nahi banna chaahte. Meri is baat par wo kahne laga ki isme bojh jaisi kya baat hai. Wo to hame apna samajhta hai is liye agar ham par koi problem aayegi to wo hamari har tarah se help karega." Nakul ne kaha.

"Fir tumne kya kaha usse. Kya tumhe lagta hai ki hame waapas uske yaha jana chahiye." Maine puchha.
"Sach kahu to mera bilkul bhi waha jane ka man nahi hai neelam. Main maanta hu ki wo mere dost ka dost hai magar fir bhi main aisi situation me kisi ke upar bojh nahi banna chaahta. Waise bhi jis tarah ki situation ban gai hai usse hame har jagah khatra hi hai. Agar ham yaha se jayege to ho sakta hai ki is baar ham raaste me hi police dwara pakde jaye. Isse better yahi hai ki ham jaha hain wahi rahe. Yaha uncle aunty hain jo hamari problem ko samajhte hain aur hame uchit salaah bhi de rahe hain. Mujhe to un par yakeen hai ki agar kal ko ham par aisa koi khatra aata hai to wo hame safe kar lege. Jabki rohan ke yaha aisi koi baat nahi hai. Waha to bas khao piyo pade raho wala system hi rahega. Ham yaha is liye nahi aaye hain neelam balki apni ek alag duniya banane aaye hain. Uske liye hame khud kuch na kuch karna hoga." Nakul ne kaha.

"Tum bilkul thik kah rahe ho jaan. Mana ki mumbai me rohan ke flat me ham safe the aur waha har suvidha bhi thi magar uske alawa waha aisa kuch nahi tha jiski hame chaahat hai. Musibat me kisi dost ke yaha nahi rahna chahiye. Aaj ke wakt me door ka dost itni gahri dosti nibhaye to samajh lena chahiye ki uske pichhe koi na koi wajah jarur hogi. Main nahi jaanti ki wo vajah kya hogi magar itna samajhti hu ki koi na koi vajah jarur hogi. Is liye main bhi yahi kahugi ki hame ab yaha se kahi nahi jana hai. Agar hamari kismat me pakde jana hi likha hai to wo ho kar hi rahega. Fir chaahe ham jis jagah rahne chale jaye." Maine kaha.

"Sahi kaha tumne. Isi liye maine rohan ko waha aane ke liye mana kar diya hai. Maine usse saaf saaf kah diya hai ki ab jo hona hoga wo ham dekh lege. Maine usse itna jarur kah diya hai ki wo hamare bare me apne dad se ya tumhare dad se na bataye." Nakul ne kaha.

"Ye thik kah diya hai usse. Waise jab tumne use aane se mana kar diya to kya usne fir kuch nahi kaha." Maine pucha.
"Kaha tha. Bol raha tha ki mujhe usse kisi baat ke liye sankoch karne ki jarurat nahi hai aur na hi kisi baat se darne ki jarurat hai. Wo deepak ko bol dega to deepak hame puri safety ke sath mumbai bhej dega. Uski is baat par maine usse kaha ki nahi bhai ab ham yahi rahege." Nakul ne kaha.

"Thik kaha tumne aur shayad deepak usi ke kahne se yaha aaya tha." Maine kaha.
"Haa wo mujhe bol raha tha ki chinta karne ki koi jarurat nahi hai. Wo company me chhutti le lega aur hame usi tarah mumbai bhej dega magar maine use saaf mana kar diya hai. Mera khud man nahi hai neelam ki ab ham waha waapas jaye. Waha bhale hi safety thi aur har suvidha thi magar fir bhi aisa lagta tha jaise koi kaid ho jaha par ham band ho gaye hain aur apni marji se kahi aa ja nahi sakte." Nakul ne kaha.

"Chhodo is baat ko. Ham ab yaha se kahi nahi jayege balki yahi rahege. Ab jo kuch hoga use ham yahi rah kar jhelege. Waise kab tak hame yaha yu hi baithe rahna padega. Uncle ji hame bhala kab tak apne is kamre me muft me rahne dege. Matlab ki hame yaha ka kiraya dene ke liye koi na koi kaam to karna hi padega." Maine kaha.

"Maine is bare me uncle ji se baat ki hai. Unhone kaha hai ki kiraye ki chinta mat karo beta. Hame bhi pata hai ki tum log is wakt kis tarah ke halaat se gujar rahe ho is liye kiraye ki chinta na karo. Hame to tumse kiraya bhi nahi chahiye. Balki tum logo ke aane se hame khud ke liye hi ek sahara ho gaya hai. Ye ghar viraan sa ho gaya tha. Bachche apna apna pariwar le kar dusri jagah chale gaye. Unhe bhala is baat se kya lena dena ki unke budhe maa baap ko unse kya chahiye. Unhe to bas ab apna pariwar apne biwi bachche hi pyare hain. Tum logo ke aane se aisa lagne laga hai jaise is viraan se ghar me ek raunak aa gai hai. Is liye kisi baat ki chinta na karo. Sab thik ho jayega bas dhairya rakho." Nakul ne kaha.

"Agar aisa hai to fir thik hi hai hamare liye. Is duniya me aise log milna bhi mushkil hi hai. Ham bhi koshish karege ki hamari vajah se unhe koi taklif na ho." Maine kaha.

Kuch der baad main raat ke liye khana banane me lag gai. Jabki nakul uth kar niche uncle ji ke paas chala gaya. Is tension se bhare maahaul me ye baate hamare liye achhi hi thi. Mere man me is baat se raahat wali feeling aane lagi thi. Bas bhagwan se yahi vinti thi ki kisi din koi police wala hamari khoj me yaha na aa jaye. Ham to waise bhi filhaal baahar nikalne wale nahi the is liye kisi ki najar me aane ka sawaal hi nahi tha. Is sabke beech ek baat ki ashanka jarur thi ki nakul jab company me job ke liye gaya tha to us din company me logo ne use jarur dekha hoga. Is liye agar police waha pahuchti hai to log nakul ke bare me police ko bata sakte the ya fir news me chhapi khabar ke chalte bhi log nakul ke bare me police ko suchit kar sakte the. Mere man me isi baat ki ashanka thi aur iska dar bhi tha.

Raat me ham dono ne khana khaya aur fir sone ke liye bed par aa gaye. Nakul ne uncle ji ke sath hui baato ke bare me bataya aur fir ham kuch der me so gaye.

...........

Back to home..

Dad aur uncle mumbai se waapas ghar pahuch chuke the. Dono hi niraash the aur unhe dekh kar ghar wale bhi chitit aur pareshan ho gaye the. Sabse jyada meri mom ka bura haal tha. Ghar me dad se sabhi darte the magar jab dad khaali haath ghar pahuche to mom bifre huye andaaj me unse kahne lagi ki wo meri beti ko sath laye bina kaise mumbai se waapas aa gaye. Badi mushkil se mom ko sabne samhala. Dad mere na milne se bahut pareshan the. Iske pahle jab wo ghar se chale the tab unke andar gussa tha magar ab gussa to kam tha magar chinta aur pareshani jyada thi. Yahi haal udhar naina ke mom dad ka bhi tha.

Aisa nahi tha ki dad ko sirf apni ijjat ki hi chinta thi balki unhe meri bhi chinta thi. Wo apna pyar kabhi kisi ko dikhate nahi the magar iska matlab ye nahi tha ki wo apne bachcho se pyar nahi karte the. Ratan bhaiya ko hamesha daatte rahte the wo jabki main hamesha unka pyar aur sneh paati thi. Uske baad wakt badla aur meri life me nakul aa gaya. Nakul ke bare me pata chalte hi jaise sab kuch badal gaya. Ek hi jhatke me dad ka pyar gussa aur nafrat me badal gaya tha. Ghar me sabka yahi haal ho gaya tha.

Meri saheli naina ne mujhe bahut samjhaya tha magar ishk ka rog lag chuka tha aur wo fir kisi ki nahi sunta. Apne dilbar ke khilaaf bolne wala har shakhs jaise apna dushman ban jata hai. Jinhone janm diya aur jinhone apne pyar aur sneh se hame pala posha aur yaha tak ki jinhone hamari har khwaaish ek pal me puri ki wo sab dilbar ke aage feeke se pad jate hain. Aaj ye baate bhale hi main samajhti hu magar us wakt aisi baate dimaag me nahi aati thi. Tab to sirf ye lagta tha ki chaahe koi bhi keemat chukaani pade aur chaahe jisko chhod dena pade magar dil jise chaahta hai wo use mil jaye. Normal situation me kisi ka samjhana aur kisi ki achhi baate bhale hi bahut achhi lage magar jise kisi se prem ho jata hai uske liye sirf wo baate achhi lagti hain jo sirf uske anusaar ho ya jo baate uski pasand waali ho.

Ratan bhaiya har din mujhe message bhejte the aur mujhse baat karne ki koshish karte the magar yaha unka diya hua mobile phone switch off hi tha. Mujhe is tension me us mobile ka dhyaan hi nahi aata tha aur agar aata bhi tha to ye soch kar mobile ko on nahi karti thi ki kahi unke man me koi chaal na ho mujhe pakadne ki.

Kahte hain ki wakt se pahle kuch nahi milta aur na hi kuch hota hai. Ye sach baat hai. Wakt se pahle insaan ko uchit anuchit ki baate samajh me nahi aati ya shayad ham samajhna hi nahi chaahte magar jab wakt aata hai ya yu kahe ki hame thokar lagti hai tab hame ahsaas hota hai. Tab shayad hamare dimaag ke yantra chaalu hone lagte hain. Lekin tab tak shayad der ho chuki hoti hai. Insaan raaste me itna aage badh chuka hota hai ki wo waapas apne kadam nahi badha sakta. Kuch log badha bhi lete hain kyo ki wo himmat kar lete hain magar mere jaise log kadam waapas karne ki himmat nahi juta pate.

............

Raat ka wakt tha.
Shahar ki abaadi se door sunsaan sadak ke kinaare ek moter sycle khadi thi aur usi moter sycle ke handle par helmet latka hua tha. Us moter sycle se do ya teen kadam ki doori par ek aadmi khada peshaab kar raha tha. Jis jagah par wo aadmi peshaab karne me busy tha us jagah se do teen kadam door hi ek pedh tha jiske peechhe koi chhupa hua tha. Andhera tha magar itna nahi ki das kadam ki doori par khada koi insaan najar na aaye.

Pedh ke peechhe chhupe huye byakti ki nigaah us aadmi par hi thi. Us aadmi ka side view pedh ki taraf tha. Thodi thodi der me sadak par koi na koi waahan aa hi jata tha jiski roshni waha par pad jati thi. Pedh ke peeche chhupe huye us byakti ne kuch pal socha uske baad wo chupke se pedh se baahar nikal kar us aadmi ki taraf badha. Do kadam ka hi faasla tha is liye peshaab kar rahe aadmi ko kuch bhi samajhne ka mauka na mila kyo ki tabhi uske mukh se cheekh nikal gai thi. Pedh ke peeche se aane wale byakti ke hath me mota sa danda tha jise usne us aadmi ke paas aate hi bina kuch bole uske sir par maar diya tha. Aadmi jor se cheekha aur fir apna sir pakad kar wahi gir gaya. Danda maarne wale byakti ne jhuk kar us aadmi ko dekha. Shayad dekh raha tha ki aadmi uske maarne se hosh me hai ya nahi.

Sadak par door se kisi waahan ke headlight ki roshni najar aai to us byakti ne dande ko jaldi se door feka aur fir us aadmi ke baaju me jor laga kar aage ki taraf dhakel diya jisse wo thodi dhalaan par ho gaya. Ab wo door se kisi ko najar nahi aa sakta tha is wakt. Us aadmi ko pare dhakelne ke baad wo byakti uski jagah par waise hi pose me khada ho gaya jaise ki peshaab kar raha ho. Thodi der me hi door se najar aata hua wo waahan gujar gaya. Waahan ke gujarte hi wo byakti jaldi se palta aur moter sycle ke paas aa gaya. Moter sycle me chaabhi lagi hui thi. Ye dekh kar usne jaldi se handle me se helmet nikaala aur use apne sir me laga liya. Fir moter sycle me kick maar kar usne moter sycle ko teji se aage badha diya.


Kuch door aane par saamne se ek aur waahan aata dikha jiski roshni us par padi. Roshni padte hi najar aaya ki us byakti ne jo helmet pahna tha uske andar se uske bade bade baal hawa me lahra rahe hain. Wo byakti koi ladki thi jiske badan par is wakt aise kapde the jo shayad usne kabhi nahi pahne the. Lambi chaudi sadak par uski moter sycle speed me daudi ja rahi thi. Kareeb das minute baad saamne police ka barrier dikha use. Kuch waahan bhi kataar me khade najar aaye use. Ye dekh kar usne moter sycle ko dhimi kar ke rok diya. Helmet ke andar uske maathe par pareshani dikhne lagi thi.
 

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
November to beet gaya dear neelam ji. I hope ki ab story me update aayege______
 
Top