vmvish
Banned
- 290
- 369
- 63
The search is now underway !Update 31
Komal aur aniket dono khush the kyuki kal se uska honeymoon aur avi ko khoj mohim dono shuru hone wala tha..
Agle din subah subah sanjana aniket ke ghar par maujud thi, anikt hall me chai pite huye baitha tha, usne aate hi aniket se sawal kiya
Sanjana- avi ke bare me koi update ?
Sanjana ki baat sunkar aniket ne udas chehra banaya aur bola
Aniket- nahi, kuch bata nahi chala hai, par ek asha ki kiran najar aa rahi hai
Asha ki kiran najar aa rahi hai sunte hi sanjana se utsukta se pucha
Sanjana- aur kya hai wo asha ki kiran ?
Aniket- yash ne avi ka mail account hack kiya hai aur wo bata raha tha ke shayad uske account ki search history se kuch pata chal jaye
Sanjana- to kuch pata chala search history se ?
Aniket ne apna laptop on kiya aur yash ka bheja hua mail khola, par search history dekhne ke baad sanjana ko kuch samajh nahi aa raha tha aur sanjana ne hatash hote huye kaha
Sanjana- isme to aisa kuch nahi hai.
Komal bhi unke paas aakar baith gayi aur teeno laptop me sar ghusa ke baithe the, komal ne kaha
Komal- mujhe pura yakin hai ke wo theek hoga par is search history se kaise pata chalega ke wo kaha gaya hai
Tabhi achanak se aniket bola
Aniket- ek minute ye kya ai, ‘in search of love god’ ?
Sanjana ne bhi jhat se jawab diya
Sanjana- mujhe pta hai ye kya hai,ye ek book hai jise avi padh raha tha, shayad is book me koi clue mile
Komal- ye book to maine bhi padhi hai, aur love god yani pyaar ka devta aur yaha bharat me pyar ka devta mana jata hai bhagwan madhusudhan ko par madhusudhan se iska kya link hai ?
Aniket- vrindavan, unka ka janm stan, wo harami vrindavan me hai
Komal- unka janm mathura me hua tha baad me gokul me wo pale badhe vrindavan kaha se aa gaya beech me
Aniket- par pyaar to vrindavan ki ladki se kiya tha unhone, mujhe lagta hai ye hame pehle vrindavan chalna chahiye par ye sirf ek guess hai, kya sach me waha jana theek rahega ?
Aniket waise to tayar hi tha par sala sanjana ke maje le raha tha aur kuch sochne ka natak kar raha tha,use sanjana ka reaction dekhna tha, aur sanjana bechain thi
Sanjana- tum kya soch rahe ho aniket ?
Aniket- soch raha hu ke sirf ek guess ke bharose itni dur jana theek hoga , aur kya guarantee hai ke wo waha milega
Sanjana- hamare paas koi aur rasta bhi nahi hai kuch to try karna padega
Aniket- mere hisab se ye saaf murkhta hai, hum abhi agar waha jane ke liye nikalte hai to bhi kam s ekam 13 ghante lagenge waha pahuchne me aur vrindavan ya mathura koi chhoti jagah nahi hai wo avi hame waha pahuchte hi mil jaye, mujhe isme koi point najar nahi aa raha
Aniket ne sanjana ke maje lete huye kaha aur uski baat sunkar komal ne aniket ko ghur kar dekha to aniket se use aankho se shant rehne ka ishara kiya, waise aniket ki baat me logic tha aur sanjana ko kya kare kuch samajh nahi aa raha tha..
Dekho waise to bollywood ki filme chutiya hoti hai par kabhi kabhi kuch dialogue sahi bhi ho jate hai jaise agar kisi chiz ko shiddat se chaho to puri kaynat tumhe usse milane me lag jati hai, aur yahi sanjana ke sath hua, sanjana ko uske papa ka phone aaya aur unhone bataya ke avi ka naam delhi jane wali train ke tatkal ticket list me mila hai, unki baat sunkar sanjana khushi se jhum uthi aur aniket ko boli
Sanjana- dekho avi delhi jane wali train me chadha hai ye to confirm ho gaya hai aur delhi jane wali train mathura me rukti hai to ho na ho wo mathura ya vrindavan me hi hai, mujhe lagta hai ab bato me time waste nahi karna chahiye, hame jald se jald waha ke liye nikalna chahiye
Aniket fir bhi hilne ko tayar nahi tha, wo bas ye dekhna chahta tha ke sanjana ki kitni tayari hai
Aniket- maan liya ke avi vrindavan me hai par waha jakar use kaha dhundhe
Aur ab aniket ki baat sunkar sanjana bhadak gayi
Sanjana- tu yahi baith ke bas shanka nikalte raho, aise to mil gaya avi, tumhe aana ho to aao mai ja rahi hu avi ko dhundhne bhale uske liye mujhe kuch bhi karna pade
Aniket ekdum utna aur use samjhate huye bola
Aniket- shant ! gadabhari bheem , mujhe bhi mere dost ki chinta hai, ab dhundhna hai to age to badhna hi padega
Komal bhi jhat se boli
Komal- mai bhi chalungi tum logo ke sath
Aisa bol ke usne sanjana se chip kar aniket ko aankh maar di, unka ye sab natak shuru tha aur unhe sanjana ko is game ki bhanak nahi lagne deni thi
Aniket- hum koi waha picnic manane nahi ja rahe hai jo tumhe bhi sath le jaye
Komal- avi tumhara akele ka dost nahi tha, mai chal rahi hu baat khatam
Aniket- theek hai, sanjana tum apne ghar jao gharwalo ko kya batana hai dekho mai kuch der me tumhe tumhare ghar se pich kar lunga, chalo ab vrindavan..
Sanjana bhi gadbad me uske ghar ke liye nikal gayi aur idhar uske jate hi komal aniket ke gale lag gayi
Komal- meri bahut icha thi vrindavan dekhne ki, maja aayega
Aniket- sala log honeymoon ko goa jate, shimla jate aur hum direct vrindavan, us hamramjade ko milne do bas ek baar aisi gand pe laat marunga ke bhulega nahi kabhi, sala kisi hill station pe jata par nahi ye bhai gaya mathura vrindavan
Komal- mai to khush hu, meri bahut icha thi waha jane ki
Aniket- barabar hai, hum duniya ke eklaute couple honge to honeymoon par bhajan kirtan karenge
Komal- sach me aisa hoga kya
Uske baad aniket ne ye puri kahani narayanrao ko sunayi aur wo bhi haste huye bole
Narayanrao- mai mana karunga to tum rukoge to nahi, jao aur us gadhe ka kaan pakad kar mere paas leke aao, itne bade ho gaye par jara akkal nahi hai
Aniket nikalne ki tayari karne laga aur jaldi se aniket aur komal taya hokar nikle
Idhar sanjana ne sari baat apni maa ko bata di to unhone kaha kle aniket ko komal sath hai to chinta ki koi baat nahi hai aur use jane ki permission de di aur ye bhi bol diya ke wo uske papa ko samjha degi itne me aniket waha apni gadi leke pahuch gaya aur shuru huyi avi ki khoj mohin aur sath hi hatele aniket aur komal ka hatela honeymoon
Aniket lagatar char ghante se gadi chala raha tha to komal ne use gadi rokne ko kaha aur gadi rukte hi komal boli
Komal- tum thak gaye honge, mai gadi chalati hi thoda samay
Aniket mana karne laga par komal ne uski koi baat nahi suni
Aniket- arey gaon me gadi chalana alag baat hai aur highway par alag baat hai
Komal- rehne doaur tum ho na mere sath mujhe sambhalne ke liye, waise bhi fourlane highway hai aur kabhi na kabhi to shuruwat karni hi hai, tum sath ho to koi dikkat nahi hai, aaram karo mai chalati hu
Sanjana un dono ko dekh rahi thi. Dono ekdusre se kitna pyaar karte hai, ekdusre ki care karte hai aur sabse important dono ekdusre par bharosa karte hai, pichli baate yaad aayi to samajh aaya ke dono ekdusre ko kitna achi tarah samajhte hai dusre ki baat sambhal lete hai, ek naraj ho to dusra use sambhalne ke liye shant rehta hai, koi compitition nahi, ego nahi, sanjana man hi man aniket aur komal ko dekh kar unme apne aap ko aur avi ko dekh rahi thi, uske liye to mano wo dono ideal couple the, aaj sanjana pyaar ke anginat rango ka anubhav kar rahi thi……
So close, yet so far...Update 32
Sanjana komal aur aniket vrindavan ja rahe the itne me aniket ke phone par yash ka call aaya
Yash- anya kidhar hai tu
Aniket- on the way to vrindavan
Aniket ki baat sunkar yash chauka
Yash- kya ?? vrindavan ?
Aniket- sorry bhai wo gadbad me tere ko batane ka reh gaya
Uske baad gali gali sim sim, in search of love god aur vrindavan ka kya logic hai wo aniket ne yash ko samjhaya aur uski bata sunkar yash chidh gaya
Yash- arey neech halkat aadmi, mereko batata to mai bhi sath me aata na avi ko dhundhne ko
Yash ki baat sunkar aniket ne apne sar par hath maar liya aur bola
Aniket- chya may bhin avya ko dhundhna yani family tour ho gaya hai, ab kya tempo traveller nikalu kya
Yash- traveller kyu be, apan dono jate na
Aniket- ha aur ye jo do chudaile mere sath hai unka kya ?
Aniket ne jaise hi chudail bola idhar komal ne usko chimti katio aur piche se sanjana ne ek tapli maar di aur aniket bas oye oye karta raha aur udhar yash ko kuch samajh nahi aa raha tha ke ho kya raha hai
Yash- abe chilla kyu raha hai, aur ye do chudaile kon hai ?
Aniket- ek to meri kammo rani hai aur dusri avi ki heroine sanjana, ye log bhi hai sath me, ab tere ko batata to tu bhi aata aur tu hai railway ka dabba to tere sath tera engine priya bhi to aati isiliye tempo traveller bola, sala usko dhundhne ja rahe hai uski barat leke nahi ja rahe hai, us hamari ko milne de bas nai gadhe par bitha ke gaon me ghumaya to boliyo
Ab bato me aniket se koi nahi jeet sakta tha, usne mast baato baato me chudail shabd par de dhyan hata diya tha, kammo rani bolne se komal khush aur avi ki heroine bolne se sanjana aur call par yash udhar se bol raha tha
Yash- tu aur wo avi ek number ke haramkhor ho, aur ek dusre ko barabar pehchante ho, maine wahi batane ko call kiya tha, kal usne naya search kiya hai, usne mathura ka ‘bake bihari dharamshala’ ka address search kiya hai, number uska abhi bhi band hai shayad naya sim liya ho
Aur yash ki baat sunkar aniket khush
Aniket- shabash mere sher, gajab kaam kiya hai tune, abhi jata hu aur us bhadkhau ko gardan se pakad ke lata hu, ek kaam kar meko us dharamshala ka address msg kar
Aniket ne ye good news un dono ko bhi batayi, komal aur sanjana bhi khush ho gayi thi, sanjana ki heart beats badh gayi thi aur komal soch rahi thi ke aaila honeymoon shuru hone se pehle hi khall fir ekdum sanjana boli
Sanjana- matlab wo vrindavan me nahi mathura me hai
Aniket- correct !
Komal- maine to pehle hi kaha tha
Ye teeno subah 10 ke aaspaas mathura ke bake bihari dharamshala me pahuche, counter par ke aadmi ne hath jod kar namaste karte huye unka swagat kiya, aniket ne apne phone me avi ka photo dikhate huye us aadmi se puche
Aniket- aapne isko kahi dekha hai kya ?
Us aadmi ne chashma lagake photo ache se dekha aur na me jawab diya fir waha ek karib 20 saal ka ladka tha usko photo dikhate huye bola
“arey o babua tanik hiya aao aur dekho to sahi ye babu sahab ka puchat rahe “
Wo ladka jaldi se waha aaya aur aniket ke hath se mobile lekar usne photo ache se zoom karke dekha aur fir haste huye us aadmi se bola
“tum budhiya gaye ho kaka, ye wo 202 number kamre wale babu hai, u is photo me dadhi nahi rahi tabhi pehchane nahi “
Aniket ne jaldi se pucha
Aniket- ye 202 number kamra kidhar hai
“ par jake kariyega kya, wo sahab to kamre me hai hi nahi, wo subah hi keshavdev mandir gaye rahe, humko u pata puche the”
Us ladke ki baat sunkar wo teeno waha se jane lage tabhi us counter wale aadmi ne unko awaj di
“arey tanik suno babu, aap aniket ho ka ?”
Us aadmi ki baat sun wo teeno ruk gaye aur aniket bola
Aniket- aapko kaise pata ?
“o kisi yash babu ka phone aaya tha unhone bhi yahi pucha tha aur aapke liye do kamra bhi book kiye hai, avinash babu to iha hi wapis aavenge to tanik naha dho lo to jana, aise bagair nahaye mandir jaoge ka?”
Un aadmi hi baat un teeno ko jam gayi aur man hi man yash ko thank you bolke wo apne apne rooms me gaye aur bahdiya naha ke tayar hoke bahar aaye aur sidha pahuche keshavdev mandir
Mathura ka vatavaran hi aisa tha ke teeno ke man ko shanti ki anubhuti ho rahi thi…
Aap chronology samajhiye yaha, jis krishna ne duniya ko pyaar karna sikhaya usi janm stan par sanjana apne pyaar ki talash karte huye pahuchi thi.. aur komal ne bachpan se jiski puja ki thi wo bhi uske janm sthan par khadi thi… har kisi ka drishtikon yaha alag tha.. us jagah par sanjana ko uska pyaar milega aisi feeling sanjana ko mehsus ho rahi tih aur komal kobhagwan krishna ki murti me aniket ka swaroop dikh raha tha…
Teeno ne mandir me pravesh kiya, komal aur aniket is tripko pura enjoy kar rahe the, har chiz ko jagah ko apni najro me bhar rahe the par sanjana har taraf bas avi ko dhundh rahi thi.. avi ko dhundh te huye aaju baju ki jagah dekhte huye wo teeno krish janmbhumike paas pahuche waha darshan karke bahar nikle, aniket ne komal ka hath pakda hua tha, un dono ko dekh ke sanjana ko avi ki yaad aane lagi, kitna acha hota agar is waqt avi bhi unke sath hota to, pyaar ki ek alag hi anubhuti is waqt sanjana mehsus kar rahi thi, ek pal ko to sanjana ko aniket aur komal ko dekh ke aisa laga mano wo dono hi radha krishna ho, wo bas unki taraf dekh rahi thi aur avi ko yaad karke uski aankho se aansu behne lage.. tab komal ne uski taraf dekha aur bagair kuch bole sanjana ke man ke bhav komal ne padh liye aur dono hatho se sanjana ke galo ko thapthapaya to sanjana ekdum uske gale lag gayi….
In search of love and in search of God...