Update 7
Dekhte hi dekhte exam ka time up bhi ho gaya tha. Sabhi constantly battling, observing aur capturing kar rahe the. 2 hours ke baad sabhi apni apni jagah par assemble ho gaye the.
Har koi apne captain ke piche 3 lines mei khade the. Koi bhi late nahi hua tha.
Sagar ne har ek captain ke samne 2 box rakhe. Usmei se ek mei unhe khud ke bands aur dusre mei enemy bands ko dalna tha.
Sabhi collection hone ke baad Sagar ne sabhi ke samne usse count kiya. Aisa Sagar ne is liye kiya kyo ki har kisi ko yeh pata lagna chahiye tha ke unhone kaise performence kiya hua hai.
Josh ke team ne 2 flags ko collect kiya hua tha aur 19 bands ko secure kiya hua tha. Mark ki team ne 1 flag aur 25 bands ko secure kiya hua tha wahi Gary ki team ne 1 flag aur 27 bands ko collect kiya hua tha.
Sagar ke liye unke results over all same hi the. Although Josh ki team ke paas sab se low bands the lekin uski team ne 2 flags ko collect kiya hua tha. Wahi Mark aur Gary ki team ke same score the. Har ek soldier successfully exam pass ho gaya tha.
Jab sabhi ne is baat ko suna toh vo sabhi itne khush hue ke unke aankho se aansu tak nikalne lag gaye the. Ek baat note karne wali thi ke yeh unke life ki sab se hard exam thi.
In mei se most of the soldiers ke paas abhi tak koi bhi battle experience nahi tha aur na hi vo battle tactics ke saath kisi bhi tarah se familiar the. Lekin un sabhi ne is sab mei se khud ko nikaal liya.
Un sabhi ko apne body aur mind mei aaye hue changes ke baremei pata chal gaya tha. Ab vo sabhi ek dusre ko ek family ki tarah dekhne lag gaye the aur sabhi ke bich ek brotherhood bond ban gaya tha.
Unhe ab empire ke knights aur khud ke bich kaafi changes dikhne lag gaye the. Capital ke knights kaafi selfish the aur unki thinking bhi sirf khud ko zyada powerful aur wealthy banane mei lagi rehti thi. Agar tum waha par strong nahi ho toh waha par har koi tumhe apne pairo ke niche crush kar sakta tha.
Lekin yaha Baymard mei in sabhi soldiers ko life ko lekar ek new understanding mil gayi thi. Jo strong hai yeh uski responsibilty hai ke vo weak ko protect aur provide kare. Even koi kitna bhi poor kyo na ho.
Abhi 6:30 am ho rahe the aur yeh unke normal training sessions ke time se kaafi jaldi ka time tha. Toh is sab se unhe pata chal gaya tha ke abhi exam puri tarah se end nahi hui hai.
Sagar-Ab jab hamare paas kuch time hai toh ham sabhi aaj ke test ke next stage ki taraf badhte hai. Abhi jo tumne kiya vo is test ka Phase 1 ka part A tha ab ham part B par focus karte hai. Mein chahta hu ke sabhi 6 group ko form kare jisme har ek team ke 2 knights honge. Last test ne yeh show kiya ke tum apne captains ke under kaise perform karte ho lekin ab mein chahta hu ke tum sabhi other captains ke under bhi perfom karo. Ek baat yaad rakhna Baymard ham sabhi ka hai. Yaha par koi bhi ek dusre se superior aur inferior nahi hai. Is liye khud ko improve karne ke liye kafi kuch hai. Is liye zarur achhe se hard work karna.
Issi ke saath Sagar ne aur bhi kaafi baate aage kahi. Wahi sabhi soldiers bhi yeh samajh gaye the ke Sagar sahi hai ke Baymard un sabhi ka hai. Aise mei vo kis captain ke under hai yeh bilkul bhi matter nahi karta hai. Vo Baymard ke success ke liye hamesha ready rehne wale the.
Sagar ki command par sabhi ne jaldi se group ko form kiya. Sirf soldiers ne hi nahi balki captains ne bhi groups ko exchange kar liya tha.
Jab sabhi ready hue tab Sagar ne aage kaha.
Sagar-Last months se mein ne tum sabhi ko train kiya hua hai aur yeh bhi train kiya hua hai ke simple tools ka use kar ke apne bare strength se tum sabhi hills aur cliffs ko kaise chadh sakte ho. Apne bare hands ko use kar ke tum sabhi ne apne physical stamina, flexibility, mental strength, muscle coordination aur adaptability ke sense of judgement ko improve kar liya hai. Tum mei se kuch ne apne height ke dar ke upar jit hasil kar li hai.
Sagar yeh sab kehte hue sabhi ko dekh raha tha. Sabhi soldiers ke faces pride, confidense aur sense of accomplishment se chamak rahe the.
Kuch din pehle Sagar ne kuch villagers ki help se in sabhi ke liye ek exam set banaya tha. Yeh exam set puri tarah se military drill ki tarah tha jo uske planet par hua karta tha.
Sagar-Tum sabhi ab mere piche aao. Mein tumhe dikhata hu ke tumhare next stage of exam mei kya hone wala hai.
Jab vo sabhi drill ground par aaye tab sabhi apne samne jo tha usse dekh kar confuse se ho gaye. Unhe samajh mei nahi aa raha tha ke yaha par test kaise progress hone wali hai.
Sagar ne har ek team ke liye 5 wood ke stacks rakhe hue the vo bhi kaafi short distance par. Iske upar se ek time par sirf 6 log hi jump kar sakte the. Sabhi soldiers ko unke upar se jump karni thi vo bhi unhe touch kare bina.
Next drill tire drill thi jo earth par common drills mei se ek thi. Lekin yaha par koi tire nahi the is liye Sagar ne mud ke circular moulds banaye the jispar grass aur leave lagaye hue the. Soldiers ko aise 20 tires mei bina gire hop karte hue jana tha.
Iske aage Sagar ne muddy water par 5 wooden bars ke row banaye hue the. Har ek team ke liye yahi goal tha ke unhe hanging bars se travel karte hue aage badhna hai.
Iske aage ek 10 feet ki badi si wall bani hui thi aur uske upar nets lagaye gaye the. Wahi uske piche ek bada sa tree tha jisse sabhi ko pole ki tarah use karna tha. Soldiers ko us wall par chad kar uske dusre side mei jana tha aur aage badhna tha.
Iske baad un sabhi soldiers ko kaafi sare nets ke niche se crawl karte hue aage jana tha. Jab vo yaha se aage badhenge toh un sabhi ko ek small clif ko bhi chadhna tha.
Us small clif ko chadhne ke baad unhe unke samne Commander Lucias dikhenge jo unhe ek wood block denge. Un sabhi ko vo wood block phir se lekar Sagar ki position par aana tha.
Sagar-Tum sabhi ke liye ab yeh samajhna hoga ke Baymard war situation mei hai aur usse bachane ke liye tum sabhi ko Commander Lucias se ek important thing lani hai aur apne protector ko deni hai. Tum sabhi ka task yahi hai ke tumhe in sabhi obstacles mei se jana hai air apne item ko kisi bhi damage ke bina successfully yaha lana hai.
Yeh keh kar Sagar sabhi ko dekh raha tha jo Sagar ki baat sunkar excited ho gaye the.
Sagar-Lekin ek important note hai tum sabhi ke liye. Jab tum sabhi rock climbing karoge toh har ek team ko 8 ropes hi milengi. Tum sabhi ko apne ropes ko saath apne teammates ko bhi secure karna hoga. Agar tumhare teammates kam hue toh tumhe Commander Lucias item nahi denge. Agar ek person fail hota hai toh sabhi fail ho jayenge.
Sagar ke is baat ko sunkar sabhi serious ho gaye aur teamwork ke baremei sochne lag gaye.
Sagar-Aur haan Commander Lucias ki taraf jaane aur aane ke liye sirf 15 minutes hi milenge. EK baar time up ho gaya toh tumhari exam end ho jayegi.
Sagar ki baat par ab sabhi soldiers kuch tension mei aa gaye the. Jab Sagar ne unke worried expressions ko dekha toh un sabhi ko cheer up karne ke liye usne unke captains ko yeh sab kar ke dikhane ke liye kaha.
Infact jab Sagar ne sabhi obstacles ko bana liya tha tab usne Lucias aur sabhi captains ko yeh dikhaya hua tha ke inhe kaise perform karna hai.
Starting mei vo sabhi slow the lekin ab practice ke baad vo sabhi bhi jaise pro ho gaye the. After all vo apne soldiers ke samne as a captain hone ke baad fail nahi hona chahte the. Is liye unhone kaafi hard training ki thi is sab ke liye.
Sagar-Jaise ke tum sabhi yeh dekh sakte ho ke tum sabhi ke samne 5 obstacles of sets hai. Wahi 3 net walls hai har kisi ko use karne ke liye. Jis chiz ko tum sabhi share karne wale ho vo sirf clif hogi. Is liye har team ek hi time par perform karegi. Ab mein tum sabhi ko show karunga ke tumhare captains kaise is drill ko perform karte hai ek team ki tarah is test ke liye.
Jab sabhi ne unke captains ko ek team ki tarah aage move hote hue dekha toh vo sabhi kaafi shock se ho gaye. Unhe pata tha ke vo unki tarah fast toh nahi ho sakte hai abhi ke liye. Par ab vo confident the ke vo sabhi bhi apne capabilities ko test karne ke liye.
Jab sabhi captains return aaye toh sabhi ne unke liye clapp kiya aur saath mei sabhi ke team work ke liye kaafi achhi baate bhi kahi.
Sagar-Ab first 5 teams step up ho jao aur apne test ko start karo.
Jaise jaise exam aage progress ho rahi thi waise waise Joseph kuch nervous sa ho gaya tha. Usne observe kiya ke kuch soldiers ke pair net wall par chadhte time net mei tangle ho gaye hai, wahi kuch wood stacks ke upar se achhe se jump nahi kar paa rahe hai.
Sab se zyada soldiers fail tire ke andar se jump ke waqt hue the. Wahi kuch rock climbing ke time par slow ho rahe the. Unke protector ne unhe kaise decisive decision lena hai yeh sabhi sikhaya hua tha jab unhe kabhi rock climbing karni ho.
Saath hi Joseph ne yeh bhi notice kiya ke jab kuch soldiers jab clif ke top par pohoch jaate the tab Sagar unhe time up keh deta tha.
Wahi jab kuch unke item ko collect kar ke return kar rahe hote the tab Sagar unhe bhi time up keh deta tha. Kuch soldiers ne unke item ko damage kar diya tha usse mud mei gira kar toh kuch ne apne item ko clif ke upar se niche chod diya tha.
Sagar ke liye yeh sabhi fail the. Sagar ne un sabhi ko achhe se kaha tha ke agar item par blood lagta hai toh chal sakta hai lekin other type ke damage bilkul bhi nahi chalne wala tha. Important items aur state document ke saath carelessness dikhane par tum apne aap ko expose kar sakte ho ya phir worse tumhari position ke baremei tumhare opponent ko pata chal sakta hai. Agar tumhe item milta hai toh tumhe usse return karne se pehle secure karna hota tha.
Lekin Joseph in sabhi baato ke baremei nahi balki clif climbing ke baremei soch raha tha. Jab usne pehle isse climb kiya tha tab vo confident tha ke vo rope par akela hai. Par ab baki ke teammates uspar depend hone wale the. Unki security aur lives ab jaise uske haato mei thi.
Unke protector ne unhe military camp mei bataya hua tha ke rock wall, cliff ya phir mountain ki side kabhi bhi visible ho sakti hai. Is liye kaafi log ghum kar jana hi sahi mante hai.
Yeh first time tha jab Joseph ne suna tha ke unhe hill, cliff ya phir mountain ko scale karna tha. Kisi ne bhi is idea ke baremei pehle socha nahi tha par Joseph ko uske andar wisdom feel ho raha tha.
Koi bhi enemy yeh soch nahi sakta tha ke unpar attack karne ke liye koi bhi willingly cliff ko climb kar ke aayega. Toh is liye vo edge ko unsupervised hi rakhenge. Is sab se others ko invasion karne ke liye chance mil sakta tha.
Aur agar tum cliff ko climb karne mei fast nahi hue toh enemy tumhe discover bhi kar sakta hai aur tum par bade bade boulders bhi daal sakta hai tumhe crush karne ke liye. Jaise ke unke protector kehte the ke "Tumhe Assassin war mei sab se zyada swift hona hai."
Joseph ne yeh soch liya tha ke vo Baymard ka naam girne nahi dega aur apne aap ko pehle se zyada improve karega. Usne soch liya ke agar vo exam ko complete nahi bhi kar paya toh bhi vo apne teammates ko achhe se carry karna chahta tha.
Aur Joseph sahi tha. Although drill ke liye time important tha Sagar ka primary objective teamwork tha. Vo har ek knight ko yeh feel karwana chahta tha ke team mei unki responsibility same hai jaise bakiyon ki hai. Vo selfishly act nahi kar sakte the aur wise decision lekar pure team ke saath aage badhna tha.
Jab Joseph aur uski team cliff ke bottom mei aayi toh Joseph ne rope ke ek end ko liya aur apne waist ko bandhte hue aage apni team ki taraf paas kiya. Yeh safety measures course tha.
Joseph ne yeh realise kar liya tha ke vo safety climber hai jo uske team ko lead karega.
Joseph ne ek aur rope ko liya aur usse is tarah apne pairo mei bandha jaise vo koi harness ho. Usse dekh kar uske teammates ne bhi wahi kiya.
Of course unke protector ne yeh bhi kaha tha ke jab bhi vo rock climbing kar rahe ho toh apne paas dagger zarur rakhe. Har new rope ka ek end hamesha dagger se bandha hua hona chahiye aur dusra end unke waist ko bandha hua hona chahiye
Jab vo dangerous height par pohoch jayenge tab lead climber cracks ke andar apne dagger ko ghusa dega taaki climb mei support mil sake. Aise mei agar vo sabhi slip bhi ho jaate hai toh bhi dagger se bandhe hue ropes ke wajah se vo bach sakte the.
Joseph ne cliff ko dekha aur phir usne climb karna start kar diya. Kuch aage chal kar usse ek vein dikhi. Pehle toh vo hichkicha raha tha ke us vein ko pakadna sahi rahega yah nahi.
Lekin jab usne us vein ko pakda toh vo kaafi khush hua ke usne sahi choice ki hui hai uske liye aur uski team ke liye.
Aise hi vo aage badh hi raha the ke ke suddenly Joseph ko apne waist par badhi hui rope kuch zyada hi tight ho gayi hai yeh feel hua. Usne niche ki taraf dekha ke uska ek teammate slip ho kar aise hi hawa mei latak raha hai. Joseph ne situation ko samajh kar jaldi se kaha.
"Apne dagger ko use kare khud ko stable karne ke liye. Zyada tension mat ham tumhare liye wait kar rahe hai."
Joseph ne yeh baat smile karte hue kahi thi.
Joseph ki baat par vo latak raha teammate bhi bitterly smile karne laga. Usne give up karne ke baremei soch liya tha.
Joseph ne usse dekhte hue kaha.
"Yeh bilkul bhi matter nahi karta hai ke ham 15 minutes mei task ko complete kar pate hai ya nahi. Abhi matter yeh karta hai ke hame hard work karte hue saath mei apne skills ko better karna hai. Tum isse pehle ke obstacles mei better the. Aise mei yaha par tum slow hue toh kya hua. Ham hamare protector ki help se khud ko aur bhi jaldi improve kar sakte hai. Is liye give up karne ke baremei mat sochna."
Joseph ne us soldier ke confidence ko boost sa kiya.
Is par uske dusre teammate ne kaha.
"Yes vo sahi keh raha hai. Mein khud bhi waha par slip hone wala tha. Ham sabhi abhi sikh rahe hai. Abhi ham mei se koi bhi hamare captains jitna achha perform nahi kar sakte hai. Par aage chal kar zarur kar payenge is liye ham abhi push karna hoga."
Joseph ne teammates usse dekh rahe the aur unke face par confidence clearly dikh raha tha.
Wahi jab Sagar, Lucias aur baki captains ne unki baat suni tab vo sabhi bhi smile karne lag gaye aur unhone Joseph ki kahi baat ko acknowledge kiya. Is test ka yahi toh main point tha.
Jab Joseph ki baat ko other soldiers ne suna tab unhe bhi samajh mei aa gaya tha ke unhe kya karna hai.
Jab tak Joseph aur uski team cliff ke upar pohoch gayi tab tak unka time up ho gaya tha. Although vo time ke aspect mei fail ho gaye the par teamwork mei pass ho gaye the.
Unke sir proudly upar the. Unke mind mei bas yahi tha ke aage vo khud ko kaise improve kar sakte hai. Infact other soldiers bhi is sab se discourage nahi hui balki vo sabhi bhi apne apne captains ki tarah khud ko imrove karna chahte the aur unki tarah tough banna chahte the.
Aaj ki test ke baad sabhi apne apne daily duties ki taraf chale gaye. Next din par unka last test tha.
Sabhi yahi soch rahe the ke aane wali sword fighting competition normal hogi ya kuch aur bhi hoga ? Yahi question unhe pura din sabhi soche jaa rahe the.
Jaldi hi sabhi raat ko apne apne bed par aa gaye the aur aaj ki accomplish ke baad sabhi achhe se soch gaye the.
Next Day.
Sabhi soldiers ab castle ke training ground mei aa gaye the. Aaj unke exam ka last test thi.
Last day par jo 'dead' hue the aaj vo sabhi bhi apne aap ko prove karna chahte the. Pa vo kuch nervous bhi feel kar rahe he apne last day ke performence ko lekar.
Unhone apne Commander, Captain's, teammates aur apne protector ke expectation par khare nahi utar paye the. Par aaj vo apna best performence dena chahte the.
Sagar ne sabhi ko dekha aur smile karte hue kaha.
Sagar-Aaj mein aur Commander Lucias tum sabhi ke swordsmanship ko test karenge. Ham tum sabhi ke reaction time, flexibility, prowess aur fighting tactics ko dekhenge. Har person ko 4 kg ke 4 bags milegi aur ek 15 kg ki bag back par carry karne ke liye. Tum sabhi mere saath aur Commander Lucias ke saath 5 minutes tak fight karoge in sabhi weights ko pehen kar. Same time par 2 matches chalti rahegi. Commander Lucias ek match fight karenge aur mein khud ek karunga.
Sagar ko pata tha ke Lucias apne sword ke saath 2 ghanto tak bina ruke reh sakta tha.
Lucias ek war veteren tha. Is position par aane ke liye kisi ko bhi battle field mei kaafi saare enemies ko marna pad sakta tha. Kuch war cases mei Lucias ko straight 4 ghanto tak battle karna pada tha jaha par others sirf 2 ghante ya phir 3 ghanto tak hi ruk paaye the.
Knights ke bich breathing exercise kaafi populer thi. Kisi ko bhi battlefield par kaafi stamina aur kaafi momentum ki zarurat hoti thi khud ko push karne ke liye.
Sagar ko pata tha ke har match ke baad har ek soldier ko jaane ke liye aur new soldier ko aane ke liye 1 minute ka time lag sakta tha.
Ek veteren knight hone ke wajah se vo 1 minute kaafi tha breathing exercise aur momentum gather kar ke new opponent ko handle karne ke liye. Lekin is sab ke baad bhi Sagar Lucias par burden nahi dena chahta tha.
Kyo ki Sagar ko pata tha ke Lucias 1 ghante tak bina ruke reh sakta hai. Par baat uske baad ki thi. Age ko dekh kar Sagar bhi bata sakta tha ke 1 ghante baad Lucias ko bhi problem ho sakti thi. Is liye Sagar ne Lucias ke liye ek recovery mage ko rakha hua tha. Jo usse har 1 ghante ke baad recovery spell se Lucias ke stamina ko recover kar sakta tha. Wahi Sagar ko khud ke stamina par confident tha ke 2 ghanto se zyada jaa sakta hai. Par uske baad ke fights ke liye bhi usne khud ke liye ek mage rakh liya tha.
Sagar yahi chahta tha ke Lucias apne peak condition ke saath sabhi soldier se fight kare.
Agar soldiers Lucias ko thaka hua dekhte hai toh vo uske saath fight nahi kar sakte the. Is liye is fight ko fair rakhne ke liye Sagar ne yeh sab kiya hua tha.
Wahi yeh weights ko is liye Sagar ne rakha hua tha ke yeh ek tarah ke scenarios ke liye the. Enemy ko face karte time kisi ko bhi heavy items ko carry karna ho sakta tha ya phir kisi civilian ko rescue karna ho toh usse unhe apne back par carry karna pad sakta tha.
Kya ho agar aap kisi unconscious princess ko carry kar rahe ho aur 1 minute ke liye aap usse niche rakh do toh koi bhi sneak attack kar ke usse mar sakta tha. Adaptability hi KEY thi.
Sagar ne yeh notice kiya tha ke most of the young knights weights ko carry kar ke fight nahi kar sakte the.
Surprisingly unke haato par jo weight the vo unhe problem nahi kar rahe the par in weights ke wajah se une body ki center of gravity sahi se balance nahi ho rahi thi.
Is liye zyada tar time vo gir rahe the, trip ho rahe the ya phir accidentally apne sword ko drop kar rahe the. Apne aap ko adjust karne ke liye vo struggle kar rahe the. Par battle mei koi bhi enemy unhe adjust karne ke liye time nahi dene wala tha.
Upar se Sagar jin suits ko inke liye bana raha tha vo bhi kuch kuch heavy hone wale the aise mei agar yeh normal weights ko hi sambhal nahi paaye toh aage chal kar exo suits ko kaise sambhal sakte the.
Is sab ko dekh kar Sagar ne soch liya tha ke vo daily in sabhi ko weights ke saath train karega.
Aisi hi sabhi ki test hoti gayi.
Jab exam complete hui toh Sagar ne kaha ke sabhi ko unke results next din mil jayenge.
Issi ke saath sabhi ki exam end hi gayi thi.
next din breakfast hone ke baad Sagar farmlands aur mines ko check karne ke liye chala gaya.