ashish_1982_in
Well-Known Member
- 5,573
- 18,878
- 188
Awesome update bhai waiting for next updateUpdate 7
Dekhte hi dekhte exam ka time up bhi ho gaya tha. Sabhi constantly battling, observing aur capturing kar rahe the. 2 hours ke baad sabhi apni apni jagah par assemble ho gaye the.
Har koi apne captain ke piche 3 lines mei khade the. Koi bhi late nahi hua tha.
Sagar ne har ek captain ke samne 2 box rakhe. Usmei se ek mei unhe khud ke bands aur dusre mei enemy bands ko dalna tha.
Sabhi collection hone ke baad Sagar ne sabhi ke samne usse count kiya. Aisa Sagar ne is liye kiya kyo ki har kisi ko yeh pata lagna chahiye tha ke unhone kaise performence kiya hua hai.
Josh ke team ne 2 flags ko collect kiya hua tha aur 19 bands ko secure kiya hua tha. Mark ki team ne 1 flag aur 25 bands ko secure kiya hua tha wahi Gary ki team ne 1 flag aur 27 bands ko collect kiya hua tha.
Sagar ke liye unke results over all same hi the. Although Josh ki team ke paas sab se low bands the lekin uski team ne 2 flags ko collect kiya hua tha. Wahi Mark aur Gary ki team ke same score the. Har ek soldier successfully exam pass ho gaya tha.
Jab sabhi ne is baat ko suna toh vo sabhi itne khush hue ke unke aankho se aansu tak nikalne lag gaye the. Ek baat note karne wali thi ke yeh unke life ki sab se hard exam thi.
In mei se most of the soldiers ke paas abhi tak koi bhi battle experience nahi tha aur na hi vo battle tactics ke saath kisi bhi tarah se familiar the. Lekin un sabhi ne is sab mei se khud ko nikaal liya.
Un sabhi ko apne body aur mind mei aaye hue changes ke baremei pata chal gaya tha. Ab vo sabhi ek dusre ko ek family ki tarah dekhne lag gaye the aur sabhi ke bich ek brotherhood bond ban gaya tha.
Unhe ab empire ke knights aur khud ke bich kaafi changes dikhne lag gaye the. Capital ke knights kaafi selfish the aur unki thinking bhi sirf khud ko zyada powerful aur wealthy banane mei lagi rehti thi. Agar tum waha par strong nahi ho toh waha par har koi tumhe apne pairo ke niche crush kar sakta tha.
Lekin yaha Baymard mei in sabhi soldiers ko life ko lekar ek new understanding mil gayi thi. Jo strong hai yeh uski responsibilty hai ke vo weak ko protect aur provide kare. Even koi kitna bhi poor kyo na ho.
Abhi 6:30 am ho rahe the aur yeh unke normal training sessions ke time se kaafi jaldi ka time tha. Toh is sab se unhe pata chal gaya tha ke abhi exam puri tarah se end nahi hui hai.
Sagar-Ab jab hamare paas kuch time hai toh ham sabhi aaj ke test ke next stage ki taraf badhte hai. Abhi jo tumne kiya vo is test ka Phase 1 ka part A tha ab ham part B par focus karte hai. Mein chahta hu ke sabhi 6 group ko form kare jisme har ek team ke 2 knights honge. Last test ne yeh show kiya ke tum apne captains ke under kaise perform karte ho lekin ab mein chahta hu ke tum sabhi other captains ke under bhi perfom karo. Ek baat yaad rakhna Baymard ham sabhi ka hai. Yaha par koi bhi ek dusre se superior aur inferior nahi hai. Is liye khud ko improve karne ke liye kafi kuch hai. Is liye zarur achhe se hard work karna.
Issi ke saath Sagar ne aur bhi kaafi baate aage kahi. Wahi sabhi soldiers bhi yeh samajh gaye the ke Sagar sahi hai ke Baymard un sabhi ka hai. Aise mei vo kis captain ke under hai yeh bilkul bhi matter nahi karta hai. Vo Baymard ke success ke liye hamesha ready rehne wale the.
Sagar ki command par sabhi ne jaldi se group ko form kiya. Sirf soldiers ne hi nahi balki captains ne bhi groups ko exchange kar liya tha.
Jab sabhi ready hue tab Sagar ne aage kaha.
Sagar-Last months se mein ne tum sabhi ko train kiya hua hai aur yeh bhi train kiya hua hai ke simple tools ka use kar ke apne bare strength se tum sabhi hills aur cliffs ko kaise chadh sakte ho. Apne bare hands ko use kar ke tum sabhi ne apne physical stamina, flexibility, mental strength, muscle coordination aur adaptability ke sense of judgement ko improve kar liya hai. Tum mei se kuch ne apne height ke dar ke upar jit hasil kar li hai.
Sagar yeh sab kehte hue sabhi ko dekh raha tha. Sabhi soldiers ke faces pride, confidense aur sense of accomplishment se chamak rahe the.
Kuch din pehle Sagar ne kuch villagers ki help se in sabhi ke liye ek exam set banaya tha. Yeh exam set puri tarah se military drill ki tarah tha jo uske planet par hua karta tha.
Sagar-Tum sabhi ab mere piche aao. Mein tumhe dikhata hu ke tumhare next stage of exam mei kya hone wala hai.
Jab vo sabhi drill ground par aaye tab sabhi apne samne jo tha usse dekh kar confuse se ho gaye. Unhe samajh mei nahi aa raha tha ke yaha par test kaise progress hone wali hai.
Sagar ne har ek team ke liye 5 wood ke stacks rakhe hue the vo bhi kaafi short distance par. Iske upar se ek time par sirf 6 log hi jump kar sakte the. Sabhi soldiers ko unke upar se jump karni thi vo bhi unhe touch kare bina.
Next drill tire drill thi jo earth par common drills mei se ek thi. Lekin yaha par koi tire nahi the is liye Sagar ne mud ke circular moulds banaye the jispar grass aur leave lagaye hue the. Soldiers ko aise 20 tires mei bina gire hop karte hue jana tha.
Iske aage Sagar ne muddy water par 5 wooden bars ke row banaye hue the. Har ek team ke liye yahi goal tha ke unhe hanging bars se travel karte hue aage badhna hai.
Iske aage ek 10 feet ki badi si wall bani hui thi aur uske upar nets lagaye gaye the. Wahi uske piche ek bada sa tree tha jisse sabhi ko pole ki tarah use karna tha. Soldiers ko us wall par chad kar uske dusre side mei jana tha aur aage badhna tha.
Iske baad un sabhi soldiers ko kaafi sare nets ke niche se crawl karte hue aage jana tha. Jab vo yaha se aage badhenge toh un sabhi ko ek small clif ko bhi chadhna tha.
Us small clif ko chadhne ke baad unhe unke samne Commander Lucias dikhenge jo unhe ek wood block denge. Un sabhi ko vo wood block phir se lekar Sagar ki position par aana tha.
Sagar-Tum sabhi ke liye ab yeh samajhna hoga ke Baymard war situation mei hai aur usse bachane ke liye tum sabhi ko Commander Lucias se ek important thing lani hai aur apne protector ko deni hai. Tum sabhi ka task yahi hai ke tumhe in sabhi obstacles mei se jana hai air apne item ko kisi bhi damage ke bina successfully yaha lana hai.
Yeh keh kar Sagar sabhi ko dekh raha tha jo Sagar ki baat sunkar excited ho gaye the.
Sagar-Lekin ek important note hai tum sabhi ke liye. Jab tum sabhi rock climbing karoge toh har ek team ko 8 ropes hi milengi. Tum sabhi ko apne ropes ko saath apne teammates ko bhi secure karna hoga. Agar tumhare teammates kam hue toh tumhe Commander Lucias item nahi denge. Agar ek person fail hota hai toh sabhi fail ho jayenge.
Sagar ke is baat ko sunkar sabhi serious ho gaye aur teamwork ke baremei sochne lag gaye.
Sagar-Aur haan Commander Lucias ki taraf jaane aur aane ke liye sirf 15 minutes hi milenge. EK baar time up ho gaya toh tumhari exam end ho jayegi.
Sagar ki baat par ab sabhi soldiers kuch tension mei aa gaye the. Jab Sagar ne unke worried expressions ko dekha toh un sabhi ko cheer up karne ke liye usne unke captains ko yeh sab kar ke dikhane ke liye kaha.
Infact jab Sagar ne sabhi obstacles ko bana liya tha tab usne Lucias aur sabhi captains ko yeh dikhaya hua tha ke inhe kaise perform karna hai.
Starting mei vo sabhi slow the lekin ab practice ke baad vo sabhi bhi jaise pro ho gaye the. After all vo apne soldiers ke samne as a captain hone ke baad fail nahi hona chahte the. Is liye unhone kaafi hard training ki thi is sab ke liye.
Sagar-Jaise ke tum sabhi yeh dekh sakte ho ke tum sabhi ke samne 5 obstacles of sets hai. Wahi 3 net walls hai har kisi ko use karne ke liye. Jis chiz ko tum sabhi share karne wale ho vo sirf clif hogi. Is liye har team ek hi time par perform karegi. Ab mein tum sabhi ko show karunga ke tumhare captains kaise is drill ko perform karte hai ek team ki tarah is test ke liye.
Jab sabhi ne unke captains ko ek team ki tarah aage move hote hue dekha toh vo sabhi kaafi shock se ho gaye. Unhe pata tha ke vo unki tarah fast toh nahi ho sakte hai abhi ke liye. Par ab vo confident the ke vo sabhi bhi apne capabilities ko test karne ke liye.
Jab sabhi captains return aaye toh sabhi ne unke liye clapp kiya aur saath mei sabhi ke team work ke liye kaafi achhi baate bhi kahi.
Sagar-Ab first 5 teams step up ho jao aur apne test ko start karo.
Jaise jaise exam aage progress ho rahi thi waise waise Joseph kuch nervous sa ho gaya tha. Usne observe kiya ke kuch soldiers ke pair net wall par chadhte time net mei tangle ho gaye hai, wahi kuch wood stacks ke upar se achhe se jump nahi kar paa rahe hai.
Sab se zyada soldiers fail tire ke andar se jump ke waqt hue the. Wahi kuch rock climbing ke time par slow ho rahe the. Unke protector ne unhe kaise decisive decision lena hai yeh sabhi sikhaya hua tha jab unhe kabhi rock climbing karni ho.
Saath hi Joseph ne yeh bhi notice kiya ke jab kuch soldiers jab clif ke top par pohoch jaate the tab Sagar unhe time up keh deta tha.
Wahi jab kuch unke item ko collect kar ke return kar rahe hote the tab Sagar unhe bhi time up keh deta tha. Kuch soldiers ne unke item ko damage kar diya tha usse mud mei gira kar toh kuch ne apne item ko clif ke upar se niche chod diya tha.
Sagar ke liye yeh sabhi fail the. Sagar ne un sabhi ko achhe se kaha tha ke agar item par blood lagta hai toh chal sakta hai lekin other type ke damage bilkul bhi nahi chalne wala tha. Important items aur state document ke saath carelessness dikhane par tum apne aap ko expose kar sakte ho ya phir worse tumhari position ke baremei tumhare opponent ko pata chal sakta hai. Agar tumhe item milta hai toh tumhe usse return karne se pehle secure karna hota tha.
Lekin Joseph in sabhi baato ke baremei nahi balki clif climbing ke baremei soch raha tha. Jab usne pehle isse climb kiya tha tab vo confident tha ke vo rope par akela hai. Par ab baki ke teammates uspar depend hone wale the. Unki security aur lives ab jaise uske haato mei thi.
Unke protector ne unhe military camp mei bataya hua tha ke rock wall, cliff ya phir mountain ki side kabhi bhi visible ho sakti hai. Is liye kaafi log ghum kar jana hi sahi mante hai.
Yeh first time tha jab Joseph ne suna tha ke unhe hill, cliff ya phir mountain ko scale karna tha. Kisi ne bhi is idea ke baremei pehle socha nahi tha par Joseph ko uske andar wisdom feel ho raha tha.
Koi bhi enemy yeh soch nahi sakta tha ke unpar attack karne ke liye koi bhi willingly cliff ko climb kar ke aayega. Toh is liye vo edge ko unsupervised hi rakhenge. Is sab se others ko invasion karne ke liye chance mil sakta tha.
Aur agar tum cliff ko climb karne mei fast nahi hue toh enemy tumhe discover bhi kar sakta hai aur tum par bade bade boulders bhi daal sakta hai tumhe crush karne ke liye. Jaise ke unke protector kehte the ke "Tumhe Assassin war mei sab se zyada swift hona hai."
Joseph ne yeh soch liya tha ke vo Baymard ka naam girne nahi dega aur apne aap ko pehle se zyada improve karega. Usne soch liya ke agar vo exam ko complete nahi bhi kar paya toh bhi vo apne teammates ko achhe se carry karna chahta tha.
Aur Joseph sahi tha. Although drill ke liye time important tha Sagar ka primary objective teamwork tha. Vo har ek knight ko yeh feel karwana chahta tha ke team mei unki responsibility same hai jaise bakiyon ki hai. Vo selfishly act nahi kar sakte the aur wise decision lekar pure team ke saath aage badhna tha.
Jab Joseph aur uski team cliff ke bottom mei aayi toh Joseph ne rope ke ek end ko liya aur apne waist ko bandhte hue aage apni team ki taraf paas kiya. Yeh safety measures course tha.
Joseph ne yeh realise kar liya tha ke vo safety climber hai jo uske team ko lead karega.
Joseph ne ek aur rope ko liya aur usse is tarah apne pairo mei bandha jaise vo koi harness ho. Usse dekh kar uske teammates ne bhi wahi kiya.
Of course unke protector ne yeh bhi kaha tha ke jab bhi vo rock climbing kar rahe ho toh apne paas dagger zarur rakhe. Har new rope ka ek end hamesha dagger se bandha hua hona chahiye aur dusra end unke waist ko bandha hua hona chahiye
Jab vo dangerous height par pohoch jayenge tab lead climber cracks ke andar apne dagger ko ghusa dega taaki climb mei support mil sake. Aise mei agar vo sabhi slip bhi ho jaate hai toh bhi dagger se bandhe hue ropes ke wajah se vo bach sakte the.
Joseph ne cliff ko dekha aur phir usne climb karna start kar diya. Kuch aage chal kar usse ek vein dikhi. Pehle toh vo hichkicha raha tha ke us vein ko pakadna sahi rahega yah nahi.
Lekin jab usne us vein ko pakda toh vo kaafi khush hua ke usne sahi choice ki hui hai uske liye aur uski team ke liye.
Aise hi vo aage badh hi raha the ke ke suddenly Joseph ko apne waist par badhi hui rope kuch zyada hi tight ho gayi hai yeh feel hua. Usne niche ki taraf dekha ke uska ek teammate slip ho kar aise hi hawa mei latak raha hai. Joseph ne situation ko samajh kar jaldi se kaha.
"Apne dagger ko use kare khud ko stable karne ke liye. Zyada tension mat ham tumhare liye wait kar rahe hai."
Joseph ne yeh baat smile karte hue kahi thi.
Joseph ki baat par vo latak raha teammate bhi bitterly smile karne laga. Usne give up karne ke baremei soch liya tha.
Joseph ne usse dekhte hue kaha.
"Yeh bilkul bhi matter nahi karta hai ke ham 15 minutes mei task ko complete kar pate hai ya nahi. Abhi matter yeh karta hai ke hame hard work karte hue saath mei apne skills ko better karna hai. Tum isse pehle ke obstacles mei better the. Aise mei yaha par tum slow hue toh kya hua. Ham hamare protector ki help se khud ko aur bhi jaldi improve kar sakte hai. Is liye give up karne ke baremei mat sochna."
Joseph ne us soldier ke confidence ko boost sa kiya.
Is par uske dusre teammate ne kaha.
"Yes vo sahi keh raha hai. Mein khud bhi waha par slip hone wala tha. Ham sabhi abhi sikh rahe hai. Abhi ham mei se koi bhi hamare captains jitna achha perform nahi kar sakte hai. Par aage chal kar zarur kar payenge is liye ham abhi push karna hoga."
Joseph ne teammates usse dekh rahe the aur unke face par confidence clearly dikh raha tha.
Wahi jab Sagar, Lucias aur baki captains ne unki baat suni tab vo sabhi bhi smile karne lag gaye aur unhone Joseph ki kahi baat ko acknowledge kiya. Is test ka yahi toh main point tha.
Jab Joseph ki baat ko other soldiers ne suna tab unhe bhi samajh mei aa gaya tha ke unhe kya karna hai.
Jab tak Joseph aur uski team cliff ke upar pohoch gayi tab tak unka time up ho gaya tha. Although vo time ke aspect mei fail ho gaye the par teamwork mei pass ho gaye the.
Unke sir proudly upar the. Unke mind mei bas yahi tha ke aage vo khud ko kaise improve kar sakte hai. Infact other soldiers bhi is sab se discourage nahi hui balki vo sabhi bhi apne apne captains ki tarah khud ko imrove karna chahte the aur unki tarah tough banna chahte the.
Aaj ki test ke baad sabhi apne apne daily duties ki taraf chale gaye. Next din par unka last test tha.
Sabhi yahi soch rahe the ke aane wali sword fighting competition normal hogi ya kuch aur bhi hoga ? Yahi question unhe pura din sabhi soche jaa rahe the.
Jaldi hi sabhi raat ko apne apne bed par aa gaye the aur aaj ki accomplish ke baad sabhi achhe se soch gaye the.
Next Day.
Sabhi soldiers ab castle ke training ground mei aa gaye the. Aaj unke exam ka last test thi.
Last day par jo 'dead' hue the aaj vo sabhi bhi apne aap ko prove karna chahte the. Pa vo kuch nervous bhi feel kar rahe he apne last day ke performence ko lekar.
Unhone apne Commander, Captain's, teammates aur apne protector ke expectation par khare nahi utar paye the. Par aaj vo apna best performence dena chahte the.
Sagar ne sabhi ko dekha aur smile karte hue kaha.
Sagar-Aaj mein aur Commander Lucias tum sabhi ke swordsmanship ko test karenge. Ham tum sabhi ke reaction time, flexibility, prowess aur fighting tactics ko dekhenge. Har person ko 4 kg ke 4 bags milegi aur ek 15 kg ki bag back par carry karne ke liye. Tum sabhi mere saath aur Commander Lucias ke saath 5 minutes tak fight karoge in sabhi weights ko pehen kar. Same time par 2 matches chalti rahegi. Commander Lucias ek match fight karenge aur mein khud ek karunga.
Sagar ko pata tha ke Lucias apne sword ke saath 2 ghanto tak bina ruke reh sakta tha.
Lucias ek war veteren tha. Is position par aane ke liye kisi ko bhi battle field mei kaafi saare enemies ko marna pad sakta tha. Kuch war cases mei Lucias ko straight 4 ghanto tak battle karna pada tha jaha par others sirf 2 ghante ya phir 3 ghanto tak hi ruk paaye the.
Knights ke bich breathing exercise kaafi populer thi. Kisi ko bhi battlefield par kaafi stamina aur kaafi momentum ki zarurat hoti thi khud ko push karne ke liye.
Sagar ko pata tha ke har match ke baad har ek soldier ko jaane ke liye aur new soldier ko aane ke liye 1 minute ka time lag sakta tha.
Ek veteren knight hone ke wajah se vo 1 minute kaafi tha breathing exercise aur momentum gather kar ke new opponent ko handle karne ke liye. Lekin is sab ke baad bhi Sagar Lucias par burden nahi dena chahta tha.
Kyo ki Sagar ko pata tha ke Lucias 1 ghante tak bina ruke reh sakta hai. Par baat uske baad ki thi. Age ko dekh kar Sagar bhi bata sakta tha ke 1 ghante baad Lucias ko bhi problem ho sakti thi. Is liye Sagar ne Lucias ke liye ek recovery mage ko rakha hua tha. Jo usse har 1 ghante ke baad recovery spell se Lucias ke stamina ko recover kar sakta tha. Wahi Sagar ko khud ke stamina par confident tha ke 2 ghanto se zyada jaa sakta hai. Par uske baad ke fights ke liye bhi usne khud ke liye ek mage rakh liya tha.
Sagar yahi chahta tha ke Lucias apne peak condition ke saath sabhi soldier se fight kare.
Agar soldiers Lucias ko thaka hua dekhte hai toh vo uske saath fight nahi kar sakte the. Is liye is fight ko fair rakhne ke liye Sagar ne yeh sab kiya hua tha.
Wahi yeh weights ko is liye Sagar ne rakha hua tha ke yeh ek tarah ke scenarios ke liye the. Enemy ko face karte time kisi ko bhi heavy items ko carry karna ho sakta tha ya phir kisi civilian ko rescue karna ho toh usse unhe apne back par carry karna pad sakta tha.
Kya ho agar aap kisi unconscious princess ko carry kar rahe ho aur 1 minute ke liye aap usse niche rakh do toh koi bhi sneak attack kar ke usse mar sakta tha. Adaptability hi KEY thi.
Sagar ne yeh notice kiya tha ke most of the young knights weights ko carry kar ke fight nahi kar sakte the.
Surprisingly unke haato par jo weight the vo unhe problem nahi kar rahe the par in weights ke wajah se une body ki center of gravity sahi se balance nahi ho rahi thi.
Is liye zyada tar time vo gir rahe the, trip ho rahe the ya phir accidentally apne sword ko drop kar rahe the. Apne aap ko adjust karne ke liye vo struggle kar rahe the. Par battle mei koi bhi enemy unhe adjust karne ke liye time nahi dene wala tha.
Upar se Sagar jin suits ko inke liye bana raha tha vo bhi kuch kuch heavy hone wale the aise mei agar yeh normal weights ko hi sambhal nahi paaye toh aage chal kar exo suits ko kaise sambhal sakte the.
Is sab ko dekh kar Sagar ne soch liya tha ke vo daily in sabhi ko weights ke saath train karega.
Aisi hi sabhi ki test hoti gayi.
Jab exam complete hui toh Sagar ne kaha ke sabhi ko unke results next din mil jayenge.
Issi ke saath sabhi ki exam end hi gayi thi.
next din breakfast hone ke baad Sagar farmlands aur mines ko check karne ke liye chala gaya.
Okay bhayaUpdate raat ko aayega.
ADIOS.
Ok intazar rahega update kaUpdate raat ko aayega.
ADIOS.
Nice update bhai....Update 8
Abhi Sagar mines ko check kar ke aa hi raha tha ke usse uske bracelet par vibration feel hua.
Is par Sagar ne apne status window ko open kiya aur usse dekhne lag gaya.
Uske geo satellite ne ek notification bheji thi. Usmei Baymard ki taraf ek unknown ship badh rahi hai aisi report thi aur 2 ghanto mei vo waha par aane wali thi.
Is report ko dekh kar Sagar ko kuch serious ho gaya. Empire mei sabhi ko pata tha ke Baymard ko kingdom se nikala gaya hai. Aise mei waha koun aa raha tha.
Par Sagar aise hi khade reh kar is sab ke baremei pata nahi kar sakta tha. Usse khud se is baat ko face karna hoga.
Sagar ne apne suit ko activate kiya aur ek thrust ke saath vo hawa mei ud gaya aur castle ki taraf aane lag gaya.
Castle mei land karne ke baad Sagar jaldi se Lucias ke cabine ki taraf chala gaya.
Andar Lucias kuch documents ko dekh raha tha. Par Sagar ko waha aaya hua dekh kar usne un sabhi documents ko side mei rakh diya.
Sagar-Uncle Lucias Baymard ke coastline ki taraf ek ship aa rahi hai. Hamare 100 mens ko lijiye aur mere saath coast ki taraf chaliye.
Jaise hi Lucias ne yeh baat suni vo jaldi se apne chair se uth gaya aur apne sword ko lekar jaldi se bahar chala gaya.
Sagar bhi uske piche chala gaya.
Lucias-Hamare paas kitna time hai ?
Sagar-2 ghanto ka.
Yeh sab kuch kaafi fast ho raha tha.
Jaldi hi Lucias ke orders par 100 mens aa gaye the. Unmei se 50 ko Sagar ne pehle hi coastline ki taraf bhej diya aur waha par pohochne ke baad usse report karne ke liya kaha.
Sagar ke orders par 50 mens waha se nikal gaye aur bache hue 50 unke report ke baad nikalne wale the.
Kuch aadhe ghante baad ek soldier aaya aur usne Sagar aur Lucias ko salute karte hue kaha.
"Reporting to Commander Sagar."
Sagar ne apne sir ko haan mei hilaya aur usse relax hone ke order di.
Sagar-Kya report hai soldier ?
"Commander, Ek badi ship coastline ki taraf aa rahi hai. Agar sab kuch sahi raha toh hamare estimated time ko dekhe toh vo 1 ghante mei coastline par aa jayegi."
Sagar-Very good. Now you can go and support your brothers.
"Yes sir !"
Yeh keh kar us soldier ne phir se Sagar ko salute kiya aur waha se chala gaya.
Issi ke saath Sagar aur Lucias bhi 50 mens ki team ko lekar coastline ki taraf chale gaye.
Sagar ne pehle hi yaha par rehne wale logo ko move out kar diya tha aur ab ship ke aane ka wait kar raha tha.
Jab Sagar first time aaya tha tan usse yaha ka area dekh kar kuch doubt hua tha. Kyo ki yaha par pehle se hi ek dock bana hua tha. Saath hi yaha ke logo ne kaha tha ke har 4 moths ke gap mei yaha par yeh ships aati hai.
Tabhi se Sagar ko doubt ho gaya tha. Par apne soldiers ke training aur Baymard ke baki sabhi kamo mei Sagar ke mind mei se yeh baat nikal gayi thi. Par jab uske satellite ne usse report kiya tab usse yeh baat yaad aa gayi thi.
Sagar ne yeh hunch kar liya tha ke ho na ho yeh kisi merchant ki ship hai. Saath hi Baymard se Caronar sab se closest empire tha Terikas ke mukable. Zarur Arcdina ke nobel's empire ke outside mei bhi trade karte the. Yeh baat sense bhi banati thi.
Jaise hi ship dock hui waise hi usmei se kuch der baad ek chubby ladka nikal kar bahar aaya jo apne 20s mei tha. Saath usse knights ne surround kar liya tha. Vo chalte hue Sagar ki taraf aane lag gaya.
Us ladke ne smile karte hue aur apne haato ko open karte hue zor se kaha.
"Ahhh Yeh Baron Sylvain aur City Lord Augustus kaha hai ? Kahi dono bhi bimar toh nahi pad gaye ? Mein abhi abhi Yodan empire ke kuch cities mei trading complete kar ke yaha se mera usual supply lene aaya hu."
Sagar us ladke ko dekh raha tha. Usse dekhte hi samajh mei aa gaya tha ke yeh ladka Baymard ke situation se puri tarah se anjaan hai.
Saath hi Sagar ko yeh samajhte der nahi lagi ke is ladke ka nature jolly type ka hai. Upar se uske chubby hone ke wajah se vo kuch kuch cute bhi lag raha tha.
Jaise ke vo baat ka raha tha uske smile ko dekh kar koi bhi bata sakta tha ke vo genuine hai. Sagar ne is ladke ke against apne guard ko toh down kar liya par vo abhi bhi alert tha.
Us ladke se Sagar kuch kehta usse pehle hi Lucias aage aaya aur usne usse kaha.
Lucias-Sorry sir, but Baymard ab Arcdina empire ka part nahi hai is liye Baron aur City Lord yaha se chale gaye hai. Ab is Baymard ke new King Sagar hai.
Yeh baat sunkar vo ladka kaafi shock ho gaya. Par vo sirf ladka hi nahi balki khud Sagar bhi kafi shock ho gaya. Kyo ki vo khud ko Baymard ka King nahi manta tha aur na hi vo banna chahta tha.
Yaha vo ladka kaafi surprise tha is news ko sunkar. Wahi Sagar ne abhi ke is baat par koi bhi baat karna sahi nahi samjha. Is liye Sagar us ladke ke samne aa kar khada hota hai.
Vo ladka Sagar ko upar se niche tak dekhne lag gaya aur uske aaspas circle mei ghumne lag gaya.
Usne Sagar ko dekhte hue kaha.
"Tum mujhe bad person nahi lagte ho. Mein kisi ko bhi usse dekh kar bata sakta hu ke vo person kaisa hai. Tum se mujhe kafi good vibes aa rahi hai."
Sagar bas us ladke ki harkato ko dekhe jaa raha tha.
Sagar ko puri tarah se dekhne ke baad vo ladka Sagar ke samne aa kar khada hota hai aur kehta hai.
"Mera naam hai Benjamin Hamilton..In short tum mujhe Ben keh sakte ho ya phir tumhe jo bhi achha lage. Tum mujhse bade ho is liye mein tumhe big bro kahunga."
Yeh keh kar Ben hasne lag gaya.
Sagar ke saath saath Lucias aur unke saath aaye hue soldiers sabhi Ben ke behavior se confuse se the. Un sabhi ko dekh kar hi pata chal raha tha ke Ben ka nature kaafi playful hai.
Sagar-Agar mein sahi hu toh tum yaha par business ke chalte aaye hue ho. Toh kyo na business ki baat ki jaaye.
Ben-Big bro mein tumse jhoot nahi bolunga. Mein yaha par sirf minerals ko buy karne ke liye aaya tha. Toh kya vo abhi bhi mere liye possible hai ?
Sagar-Of course sirf wahi nahi future mei mein kaafi unique aur interesting items ko banane wala hu jo sirf Baymard hi available hongi. Anyway tum mujhe batao tumhe kitne tons mei minerals chahiye. Mein tumhe vo abhi provide kar sakta hu.
Ben ki aankhe jaise chamak gayi jab Sagar ne unique aur interesting items ke baremei kaha tha tab. After all vo ek merchant tha.
Jaise jaise vo sabhi Lower Region se move ho rahe the Sagar purposely Ben ko roads aur baki sabhi development ko show kar raha tha.
Wahi Ben yeh sab dekh kar kaafi shock tha.
Ben-Isne is land mei food uga diya. Yeh banda sach mei kaafi intelligent hai.
Yeh baat Ben ne apne aap se kahi thi.
Koi bhi dekh sakta tha ke farmlands mei wheat, beans jaise crops kaafi kuch cover up kar rahe hai. Kuch places par banana, apples, tomatoes, lettuces, cabbages aur Spinach bhi dikh rahe the.
Past mei Ben jitni baar Baymard aaya tha tab usse 97% farms par kuch bhi nahi dikhta tha. Par ab farms rich crops ke saath overflow ho rahe the. Aise mei Ben kaise na shock hota. Kya yeh wahi Baymard hai jisse vo pehle janta tha.
Wahi Ben yeh bhi notice kar raha tha ke Sagar other nobel's ki tarah village ke peace ko disturb nahi kar raha hai.
Saath hi Ben yeh bhi notice kar raha tha ke vo sabhi jis bhi farm se guzar rahe the waha par jo bhi khada tha vo khud se unhe salute kar raha tha specially Sagar ko vo bhi warm smile pass kar rahe the. Par yeh sab koi bhi dikhawa nahi kar raha tha. Unki smile genuine thi. Wahi unki aankho mei Sagar ki image kisi God ki tarah thi.
Wahi kabhi kabhi Sagar bich bich mei villagers ke saath bhi baat karta aur unke problems ke baremei bhi puchta. Saath mei waha par agar bachhe hote toh vo unke saath bhi baat karta.
Ben ke thoughts mei ek nobel ki image yahi thi. Infact Ben khud ek nobel tha. Vo Caronar ke Baron Hamilton ka 3rd son tha. Kyo ki vo apne father ke title ko inherit nahi kar sakta tha is liye vo merchant ban gaya.
Over the years mei usne apna kaafi naam bana liya tha aur pure Caronar mei "Foolish Nobel Merchant" ke naam se famous ho gaya.
Usse sabhi foolish is liye kehte the kyo ko ek nobel hone ke baad bhi usne kabhi unke vo fake rules jo follow nahi kiya tha. Kaafi early age mei vo mature ho gaya tha.
Uske father ke peers unpar kabhi kabhi haste the ke unka 3rd son commoners ke saath ghumta hai.
Jaldi hi Ben ne apne hard income se ship buy ki aur successfully ocean ko cross karne lag gaya. Issi ke saath vo kaafi different items ko Caronar mei laane lag gaya tha. Is sab ke wajah se Ben sabhi shop owners aur nobel's ke bich popular ho gaya tha.
Lekin is sab ke baad bhi uske father usse disappoint the. Saath mei uske dono elder brothers bhi. Unke liye ek nobel ke liye war mei jana ek honor ki baat thi his majesty ke liye.
Usse jo pyar karne wale the unmei uski mother aur uski 3 sisters thi. Unke liye vo cute, funny aur kind person tha.
Ben fake pretend nahi karna aata tha. Uska yahi sochna tha ke har koi equal hai is world mei aur har kisi ko respect milni chahiye. Yahi wajah se Ben Sagar ko admiration ke saath dekhne lag gaya tha. Ab tak Ben ko pata chal gaya tha ke Sagar kisi bhi nobel ke fake rules ko follow karne walo mei se nahi hai.
Aise hi chalte hue Sagar ne Ben ko uski laboratory bhi dikhayi jaha par various research ho rahe the.
Ben waha par ban rahi items ki maang bhi ki thi par Sagar ne usse bataya ke vo sabhi items abhi testing period mei is liye vo unhe nahi de sakta hai.
Issi ke saath vo main baat par aa gaye jis par Ben ne kaha ke vo usse har mineral ore ke 1200 gold coins dega aur usse 150 tons ore chahiye the.
150 tones ke liye Sagar ko 180,000 gold coins mil rahe the. Yeh deal Sagar ko bhi achhi lagi.
Sagar-Thik hai mujhe yeh deal accept hai. Waise slaves ki kya cost hai ?
Ben-Slave market mei slaves ko unke appearance aur strength par mark kiya jata hai. Average slave ki prise 1600 copper ki hai.
Sagar-Toh 3000 slaves ke liye mujhe 480 gold coins pay karne honge.
Sagar-Tumhare paas kuch rare seeds hai ?
Ben-Of course hai. Past mei jab bhi mein yaha aata tab yaha ke nobel mujhse wheats, beans aur bhi bohot tarah ke food ke bags lete the.
Sagar-Good ek baar tumhara order complete ho jaaye toh mein tumhare seeds ko dekhna chahunga.
Ben ka order complete hone ke baad Sagar ne usse dried apple, pear, watermelon, peach, grapes, orange, pepper, peanuts, rice aur beans ke seeds buy kiye.
Issi ke saath Sagar ne Ben ke saath ek trade business ko establish kar liya tha.
Wahi Lucias ke king wali baat par castle ke saath saath sabhi baymard ke logo ne bhi Lucias ko support kiya aur ab se Sagar Baymard ka KING ban gaya tha.
Baymard ke sabhi log isse khush bhi the kyo ki unhe ek aisa leader mila tha jo visionary tha. Saath hi vo un sabhi ki development bhi kar raha tha.
Dekhte hi dekhte time aage badhne lag gaya aur sabhi soldiers ko unki rankings bhi mil gayi thi aur unke performence par unki posting bhi. Wahi schooling system ko bhi Sagar ne start kar diya tha.
Sagar ki help se oil ki production par work start ho gaya tha aur uske hi saath synthetic rubber, sugar, spices jaise products par bhi kaam start ho gaya tha.
Sabhi documents ke liye Sagar ne plastic, paper aur ink ko bhi invent kiya tha.
Wahi Baymard ke soldiers ke liye new types ke suits bhi banaye gaye the jo unke physical movements ko increase kar rahe the.
Iske baad Sagar ne city ke sewage treatment ke plan ko start kiya aur saath mei advance construction bhi.
Aise hi 2 years beet gaye.
Baymard ne kaafi developement kar li thi. Sagar ne 3-4 aur satellites ko is planet ke orbit mei release kar diye the.
Wahi Sagar ne issi bich ek kafi badi Military academy open kar li thi jaha par mens ke saath womens bhi training kar sakte the aur soldiers ban sakte the.
Yaha Arcdina empire ke andar bhi kaafi kuch changes ho gaye the. King ke death ke baad uske 2nd bete ne 1st bete ko maar diya tha aur khud thron par aa gaya tha.
Par abhi tak Arcdina empire ko Baymard ke development ke baremei zyada kuch pata nahi tha. After all Baymard capital se kaafi distance par tha.
Ben ne bhi Baymard ke saath relations ko aur bhi aage badhaya tha aur apne empire mei kaafi kuch new items ko show kiya tha jo sirf aur sirf Baymard mei milte the.
Is sab ke bich Sagar ne Meera ko apne dil ki baat bhi bata di thi jispar Meera ne haan bhi kaha tha.
Ab Sagar apne Baymard ki army ke liye khud ke jaise ultra suits banane wala tha. Usne is par apna kaam bhi start kar diya tha.
Sab kuch kaafi achhe se chal raha tha ke ek din Sagar jo abhi apne castle ke cabine mei baitha tha aur kuch documents ko dekh raha tha uske door ko kisi ne knock kiya.
Sagar-Come in.
Sagar ke kehne par uske cabin ka door open hua aur bahar se ek soldier andar aaya.
Andar aane ke baad usne Sagar ko salute kiya aur kaha.
"Reporting to commander. Commander walls ke bahar ek girls ka group khada hai aur city mei vo entry chahte hai. Saath hi vo sabhi kaafi injured bhi hai."
Us soldier ki baat par Sagar khada hua aur usne usse kaha.
Sagar-Gate par jiski bhi posting hai usse kaho ke unhe andar aane diya jaaye aur kisi ko bhej kar unhe hospital bhej do recovery ke liye. Mein bhi unhe dekhna chahunga.
Yeh keh kar Sagar ne us soldier ko jaane ke liye kaha.
Uske jaane ke baad Sagar ne apne bracelet par tap kiya aur Meera ko contact kar ke usse saari baat batayi.
Is par Meera bhi apne cabine se nikal kar Sagar ke saath aane ke liye ready ho gayi.
Jaldi hi Sagar Meera ke saath hospital mei aa gaya un sabhi girls ke group ko dekhne ke liye.
Unmei se ek ladki kaafi injured thi aur uske body par bhi kisi beast ke attack ke nishan bane hue the.
Sagar ke ishare par kuch recovery spell cast karne wale aaye the aur unhone usse treat karna start kar diya tha.
Un sabhi ladkiyon mei jo sab se badi thi uske right shoulder par bandage lagi hui thi aur vo apne bed par baithi hui thi.
Usne Sagar aur Meera ko dekhte hue kaha.
"Aap sabhi ko mein witch union ki taraf se thanks kehna chahti hu. Ham par paas ke jungle mei ek beast ne attack kar diya tha. Ham sabhi apni jaan bachane mei itne confident nahi the is liye bhagne lag gaye aur issi bich hamari ek witch par us beast ne attack kar diya aur usse injured kar diya. Uski life ko bachane ke liye ham is direction mei dikhne wali walls ki taraf aaye."
Meera-Koi baat nahi. Tum yaha par rest kar sakte ho baaki baate ham baad mei kar sakte hai.
"Thank you mam."
Meera-Hmmm !
Sagar abhi bhi un sabhi ladkiyo ko observe kar raha tha. Usne suna toh tha ke is world mei witches hoti hai par itne time mei vo aaj 1st time unhe dekh raha tha.